Meethay Meethay Islami bhiyoon aaj main aap sab ki khidmat main bohat arsay baad hazir hoa hoon or, taqreeban 1 maheenay baad, or aap sab log k say hain omeed ker ta hoon k aap Allah Azzwajal ki Hifzo-Amaan or Himayaat main hoon gain, Ameen Summa Ameen,
Aaj main aap sab ki khidmat main kuch sawalaat lay ker hazir hoa hoon jo k kafi important sawalaat hain omeed ker ta hoon k aap sab ko acchay lagain gain, or mujhay in sawalaat per fatway bhi chahyeh ager kissi islami bhai ya behan k pass ho to bra-e-Madina zaroor ba zaroor share karain
Mera 1st sawal yeh k
Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam k zaman-e-Mubbaraka main aik aurat nay mannat mani thi k ager mera kaam hogaya to main kissi ghair mard k sath aik raat guzaroon geen, phir us ki mannat pori ho jati hay, to wo aurat preshan hoti hay k ab main kia karon,to wo aurat Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ki khidmat-e-Srapa-e-Aqdas main hazir hoti hay or apni mannat k baray main bata ti hay to Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam us aurat ko irshad fermatay hain k tum bharay bazar main takhnoon say oonchi shalwaar ker k guzar jao to yeh tumhary lea kissi ghair mard k sath raat guzaar nay k braber hay, aap mujhay yeh batain k is waqia ka haqeeat say kitna taluq hay or kia aisa hoa tha kia Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ki aisi koi hadees hay jis main yeh waqia ka zikar ho
Mera 2nd sawal yeh k
K her Sahi-ul-Aqeeda Sunni ka yeh aqeeda hay or hona chahyeh k har ghar main Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ki Rooh-e-Mubbarka tashreef ferma hoti hay, to phir humaray gharoon main Shareer jinnat k asraat kion hotay hain
Mera 3rd Sawal yeh k
kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Huzoor-e-Ghous-e-Pak Radi-Allah Tala Anho ki us Karamat ka inkaar ker day jis main aap nay 12 saal say dobi hoi kashti nikaal di thi, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 4th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Hazrat Junaid Baghdadi Radi Allah Tala Anho ki Pani per chalnay wali Karamat ka inkaar ker day Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 5th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Ulma ka nazrana tay kern a jaiz samjhay or Naat Khuwanoon ka Nazrana tay kern a na jaiz samjhay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 6th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Nafil Namaz ko qaim ker nay k lea Elaan ker wai, jab k Ala hazrat k Fatawa Razawia main Ala Hazrat Radi Allah Tala Anho nay Nafil namaz k lea bulana mana fermaya hay laikin ager koi sakhsh Fatawa Razawia k bar khilaaf karay to Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 7th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Nara-e-Takbeer per aik utha na or Nara-e-Risaalat per dono haathoon ko utha nay ko jahalt kahay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 8th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Quran or Hadees ko apna peer samjhay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 9th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k us ko kissi nay kaha k main Aqa Sallaho Alehi Wallehi Wasllam ka Sadqa kaha ta hoon or phir wo is baat per Daleel maangay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 10th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k ager wo shaksh TV per koi programme ker ta hay or phir yeh keh ta hay k mera TV programme ka ijtima Hajj k Ijtima say ziyada hota hay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 11th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Masla-e-Ilm-e-Ghaib k rad per Ayat pesh karay ya parhay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 12th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Fatiha waghaira ka sabot maangay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 13th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Aasteen charha ker or Kohniyoon ko khula rakh ker manaz parh nay ko jaiz samjhay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 14th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Qadri ho or Attari ho or phir wo apni dono Qadri or Attari nisbat ko khatam ker day, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 15th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Sorah Fatah Ayat No. 2 k tarjumay main Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ki maghfirat tarjuma manta hay Ummat ki maghfirat ka tarjuma nahi maan ta Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 16th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jo Aqa Sallaho Alehi Walehi Wasllam ko Noor jab maanay jab App Sallaho Alehi Walehi Waslaam per Noor ka ghalaba ho, werna aap Bashar hi thay, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
Mera 17th Sawal yeh k
Kia fermatay hain Ulma-e-Kiraam or Muftiyaan-e-Kiraam us shakhs k baray main k jis k pass koi raqam amanat k tor per rakhwai jai ya aisi raqam rakhwai jai k jis ko kissi or istimaal main lay na ho, laikin ager us raqam main wo shaksh ba-halaat majbori kuch raqam apni zaroorat k lea nikaal ker kharch ker day ta hay, or us shakhs ki yeh bhi niyat ho k raqam miltay hi main wo amanat wali ya dosry masrat main istimaal honay wali raqam ko pora ker doon ga, Bra-e-Madina Quraan-o-Hadees or Fiqah ki roshni main jawab marhamat fermain
To meethay meethay bhiyoon aap ki khidmat main kul 17 sawalaat hain jis islami bhai ya behan k pass in sawalaat say related fatway ya ahadees hoon to plz mujhay zaroor share ker dain or aik baat ka lehaaz zaroor rakhain k jis sawal ka jawab day rahay hain us ka sawal ka number zaroor likhain apnay reply main
Muhammed Sajid Attari Qadri (Mutlaashi)