Jump to content

Nasir Noman

Under Observation
  • کل پوسٹس

    198
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Nasir Noman نے پوسٹ کیا

  1. hum ney aaraz kia k ap ney humri post k mafhoom or maqsad per ghor nahi kia doobara malahiza farmaey.
  2. Intehaai qabil ehtram bhai, ap baat k mafhoom ko samjhney ki koshish kia kary. ap ney humari post intehai tasali sey to perhi mager shayad maqsad per ghore farmana bhool gaey. doobara intehai tawajjey sey perhain or maqsad per ghor farmaey phir aap k baat samjh aaey gi.
  3. Mery Aziz Dost, Aap anjaney main Hazoor Sallaho Alihey Wassalam k farman ka inkar kar rahy hain. Aap farmatey hain k Nabi Sallaho Alihey Wassalam ki Ummat ki aksaryat Shirik to kuja Gumrahi per Ikhtaha hona bhi mahal hai. Or humarey Nabi Pak farmatey hai k is Ummat k 73 firqey hongey or 72 Jahunmi hongey sirif ek firqa Janati hoga jis per Hazoor Sallaho Alihey Wassala or Ashab hongey. To Aksaryat Gumrahi per hoi ya Sirat-e-Mustaqim per ??????? Bani Israil k 72 firqey baney to kia infaradi they (yaani tanha tanha shakhas they ya poorey poorey group they ???????? Kia Bani Isarail ney Shirk or Kufur nahi kia ????????? Ager Bani Israil ney Shirik or Kufur kia to is ummat main Yahod or Nasara ki shabahat hogi to ye Ummat 72 firqon main taqseem hojaey gi ya nahi ?????? Phir ager ye Ummat Shirik or Kufur karey gi to kia tanha tanha shakhas kery ga ya firqon main taqseem hoker kery gey ??????? Firqey tanha tanha shakhas k hotey hain ya Ijtemaai ???????? ye ZID Nahi to or kia hai ??????????????
  4. Assal am-o-Alikum bhaion, humari post hazir hai magr pls jawab main jaldi na kijiey ga dehan sey perhain samjhain phir jawab dijey ga Allah hum sab ko Hidayat Ata farmaey Ameen Nasir Noman
  5. Assalam-o-Alikum, Umer Taj bhai is post main 2 attachment hain jo shirikk mutaliq hai. or yaqinan ap kehna hoga k ye ayat Button k mutaliq hian Allah k naik bandon k mutaliq nahi. is ki Mukhtasir si tashreeh farmadain takey hum samjhey k Shirik kia hai ? Nasir Noman
  6. ap ki baat drust hai k Shirik or kufur main faraq hai magr ap ney is ki wazahat nahi farmai k ager ye Ummat bani Israil ki Itebaa kary gi to Bani Israil ney ager kufur kia hai to shirk bhi kia hai or wo bhi chand logon ney nahi balkey poory poory group ney or ager ye ummat bani israil ki itebaa kary gi to kia poorey poorey group nahi kary gey ?
  7. Asslam-o-Alikum, Maaz Allah hum Musalman hain or hum jantey hian k Nabi Pak ki Hadees Pak ko rad karney wala Muslaman nahi hosakta. or na hi humari itni jurrat hai. hum to ap sey samjhna chahtey hain kio k hum ye bhi jantey hain k ek Hadees Paak dosri Hadees Paak sey nahi takra sakti. hosakta hai humain samjhney ki ghalti ho issi liyain to hum ap sey samjhna chah rahy hain "aap ye baat batain k "bani Israil mian 72 firqey they or is ummat main 73 firqey hongey jo sarey Jahannumi hongey siwaey ek k jo Hazoor Sallaho Alihey Wassalam or Sahaba k rastey per hoga" aap kahty hian k is ummat main shirik kerney waley infaradi hongey ya thorey log hongey jabkey Nabi Pak Sallaho Alihey Wassalam k farman k Mutabiq 72 firqey Jahanumi hongey Banni Israil ki Itebaa kery gey.(to ye fiqey hona or bani israil ki Itebaa karna kia ye baat samjhmain nahi aarahi k log firqey bana ker (yaani infaradi ya chand log nahi)shirk or kufur ker sakty hain? ye humara sawal hai,jo hum ap sey samjhna chahrahy hain ? hosakta hai k humarey samjhney ki ghalti ho Nasir Noman
  8. Assalam-o-Alikum, apka behad shukria k ap ney tasleem kia k Muslman bhi shirk karsakta hai issi forum main ek topic hai shirik ki haqiqat Mufti Asif Abdullah Qadri sb ka us main ek Hadees ka hawala tha k Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ka farman hai k mujhey ye dar nahi k meri ummat shirik main giriftar hojaey gi(is Hadees Pak sey barailvi aqeedey k log is Hadees Pak sey matlab leytey hian k ye Ummat shirk ker hi nahi sakti) ap ko bohat shukria k ap us ki bhi tashreeh farmadain or rahi baat k shirk kia hai is k liyain apko intezar karna pary ga Insha Allah thora waqat chahiey phir ap sey baat kaery gey
  9. Assalam-o-ALikum, Toheedi BHai is topic per aap us waqat baat kery jab ye log is baat ko tasleem kery k Muslaman bhi shirik kersaktey hain. in logon ka to ye Aqeeda hai k Musalman shirik hi nahi karsakty phir aagey kia baat ki jaey Ya Mohammada bhai kia ap sirif Quraan Pak or Hadees Paak sey humari baat ka jawab dey sakty hian? hum is topic per ap sey ziada baat to nahi kary gey mager kia aap sirif humarey chand sawal ka jawab dey dain gey ? hum Mashoor Hadees Pak attached ker rahy hain ap sirif itna batadain k kia ye Ahadees Pak Sahi hain ? ager Sahi Hadees Hain to pls Mukhtasir si tashreeh farmadain gey ? Nasir Noman
  10. Assalam-o-ALikum, Hum ney kaha tha key hum gher zaroori baton per behas nahi kary gey sirif jo khas point hain us per baat kary gey. Kya Quran-e-Pak ko samajhnay ke sirf Arabi zaban per uboor hasil hona kaafi hai? Is ka seedha jawab ye hai key “Quraan Pak or Hadees Pak Arbi zuban main hai or Arbi zuban Arab ki zuban hai or Arbi Ulama or Arbi key Mahireen sey acha Quraan or Hadees ka Tarjuma or Tashreeh koi nahi samjh sakta,(Khas tor per Deen key Bunyadi ehkamat) 2. Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi? Ye pichhli post main likha thaw aha bhi perh lain yaha bhi perh lain: ”Islam ka qanoon (Quraan o Hadees) to nahi kahta” Urdu humari qoumi zaban hai jab ke Urdu ke bayshumaar naamwar Shai'r Adeeb India ke hain jinki qoumi zaban Hindi hai! Salman Rushdie Maloon-o-Mardood ka naam suna hoga aap ne. Uss ki Madri zaban English nahi phir bhi iss khabees ko saikro Awards milay hain as an English Writer. Author of the Year (British Book Awards), Author of the Year (Germany), Kurt Tucholsky Prize (Sweden), Aristeion Prize (European Union), English-Speaking Union Award aur najanay kitnay deegar awards. Aur ye woh awards hain jin ke liye English writers including Britishers apni jaan dene ko tayyar ho jaye, aur ye sab mil kisay gaye? Aik aisay banday ko jo Indian hai, jis ki madri zaban Hindi hai magar woh hazaroo laakho Britishers se achi English bool leta hai, likh leta hai aur samajh leta hai! 1-Salman Rushdi ko itney Awards diey gaey wo Islam sey Dushmani ki waja sey diey gaey.(missal ye hubb-e-Ali nahi Bughaz-e-Moawia hai) (Matlab English ki khidmaat sey ziada Islam dushmani ki waja sey) 2-Salaman Rushdi ko awards koi English books ki English writer sey achhi translate kerney par nahi dia gaya. 3- Salman Rushdi ney ager English seekhi to us ney sarey English writers ko challenge nahi kia key main tum sab sey achhi English janta hoon. 4-Salman Rushdi ki books ko bohat sarey British ney Tasleem kia, Kia aap bata saktey hain key kis ney Brailvi Ulama ki translate ko kitney awards miley ya Arab Ulama ney Taaeed ki ho? Aap mujhay bata dijiye ke mein ne kab kaha kis post mein ye baat kahi ho ke "dunia ka koi bhi gher zuban wala maatheri zuban waley sey acha tarjuma or tashreeh nahi karsakta" Itni bay'baaki aur be'sharmi se jhoot bolnay walay mein ne kam hi dekhay hain! Aap ya tu mujhay bataiye ke mein ne kis post mein ye baat kahi, ba'soorat-e-deeegar iss ghalti ka i'aada aap ke zimay hai. Ye apkey alfaz jo teesri dafa hum post kar rahy hain ap shayad perh nahi rahy: “Be'shakk Quran-o-Hadith Arabi mein hai aur jo ke Arab bashindo ki madri zaban hai aur unhay ba'haisiyatt apni qoumi zaban ke, Arabi per hum se zyada uboor hai. Lekin jo mantak aap paish kar rahay hain woh samajh se bala'tar hai. Arabi hona be'shakk iss baat ki daleel ho sakti hai ke unhay Arabi non-Arabs se zyada achi samajh aa jaye.” Ye apkey alfaz hain humarey nahi hain. Aur agar mein aap ko Quran se hi hawalajaat paish kardo ke jaha se wazeh andaaz mein pata chalta hai ke Allah ke naik banday Allah ki aata say bando ki madad kartay hain tu? Aap ko dawat bhi di hai ke janab alehda topic bana kar iss maslay per bhi apnay dil ki hasrat poori kar lijiye. Najanay aap ki ghairat iss dawat ke jawab mein kyu soee pari hai! Jee haa, Alhumdulillah hum wazeh ehkamat ko bhi poori tarah samajhnay ke liye Ulema ki tafaseer parhtay hain aur yehi Quran ka hukm hai. "So pooch lo ihl-e-zikr se agar tum nahi jaantay" (Surah Al-Nahl, Ayat 43) Iss ki agli hi ayat mein hai ke; "Bhaija tha un ko) khulli nishaniya aur kitaabein day kar aur utara hum ne tum per bhi ye zikr takay khool khool kar bayan karo tum insaano ke samnay woh taleem jo nazil ki gai hai un ke wastay takay woh ghour-o-fikr karein" (Surah Al-Nahl, Ayat 44) Ab ghour se parhiye ke pehlay Allah farmata hai ke "Bhaija un ko Khulli Nishaniya aur kitabein de kar" tu khulli nishaniya tu ba'qoul aap ke sabhi ko samajh aajani chahiye, lekin Allah agay farmata hai ke "takay khool khool kar bayan karo tum insaano ke samnay". Tu ab Allah se MaazAllah kya ye sawal karien gay ke "Khulli nishaaniyo ko bhi aur khool khool kar bayan karne ka hukum kyu dya?" Ab ye na kahiye ga ke iss tarjumay ko aap nahi mantay! Ye tarjuma humara nahi ussi website se as it as likha hai jaha se pehlay aap ne pehlay images post kiye thay! Is ka jawab apko humari new thread main miley gey Intezar kijey Dunya mein kisi bhi zaban ke kisi bhi baray se baray ustaad ke samnay apni ye mantak rakhiye, agar Ihl-e-Zouq hoga tu shayad aap ko jootay maray ga! Apki age kahin 60 ya 70 to nahi ? Ager essa hi hai to ab hum samjh rahy hian key masla kahan hai Ap sey kafi time sey baat kar rahy hain pehley to hum samjh rahy they key apko ghalat fehmi horahi hai or hum bar bar wazahat sey apki ghalat fehmi door kerney ki koshish ker rahy they mager ab hum samjh gey ap sirif zid kar rahy hain jis ka sirif ek hi hal hai, Wesey apki Itelaa key liyain araz hai key humari ye bewaqoofana muntaq http://noormadinah.nett per Sulaiman Subhani sirif 05 din main samjh gaey they or unhon ney 10 din forum band rakhi or phir jab open ki to humain ban bhi kia or post bhi delete kerdi thi. Yaha ek bat zehan main rakhiey ga key unhon ney or bohat sarey waha key member ney dawa kia tha key wo humarey sawalat ka jawabat dain gey mager jab unko humari”bewaqoofana muntaq” (apkey hisab sey)samjhaai to bagher jawabat diey hi delete kerdi Ap is link per click kary or Sulaiman Subhani sahib sey pooochh lain. http://ashraf786.com main Nomee sey poochain unka iqrar mojood hai key hum ap key jawab deyney sey qasir rahy. 3 time Shah Tarub Ul Haq sahib ko bhijwa chukey hain mukhtalif un key shagirdon key hath mager unhon ney bhi Humari bewaqoofana mantaq koi jawab nahi dia(yaha ye baat zehan main rakhiey ga bewaqoofana muntaq ki waja sey nahi kio key Shah sahib key Shagiron ka dawa tha key Shah sahib jawab zaroor dain gey) 02 time Tahir ul Qadri sahib ko bhej chukey hain ek dafa direct or ek dafa Tahir sahib key shagird-e-khas(Ali Gondel) key hath mager abhi tak wo sahib bhi dawa kerney key bawajood wapis nahi aaey. Kuchh dost India key jinhon ney bhi humari bewaqoofana muntaq key jawab dey ney ka dawa kia tha, Ye sab bataney ka maqsad ye hai ager apko koi bat nahi samjh arahi to is main muntaq bewaqoofana nahi, Jabkey sab sey ooper apkey alfaz bhi mojood hain bewaqoofana muntaq samjhney key. Ap humari frist post key 06 peges key print lain or Tahir ul Qadri sahib,Shah Turab-Ul Haq sahib ya Mufti Muneeb ur Rehman sahib key signature or stamp key sath ager ap ye hi comments jo ap ney is thread main diey hain ager ye Ulma-e-Kiram bhi dain gey to hum samjh lain gey key ap drust they or ghalti humari thi. Wah jee wah! Kya kehnay.. apnay sarr per aye tu infiraadi aur ijtimaee ka farq nazar aa gaya. Mein zyada kuch nahi bolo ga, bus aik seedha aur simple sa sawal aap ki inn tamaam baato ka jawab hai. Pak-o-Hind mein Eidain ki namazein jis andaaz mein hoti hain ussi andaz mein sari dunya mein hoti hain kya? Maslan; 1. Masjid se bahir road block kar ke namaz-e-Eid parhna. Hum ney ye sarey link apko bhejey they mager shayad ap ney kisi link ko bhi dekhney ki zehmat gawara nahi ki ab doobara dekh lain key sari dunia Eid ki namaz Masjid main perh rahi hai ya khuley aasman key neechey, Jesey Pakistan main bhi kuchh Masjid main Eid ki namaz ada ki jati hain issi tarha dosrey Islami dunia main bhi kahin Masjid main or kahin khhuley asman key neechey. Pls check kary(mager humain pata hai ap apni zid ki waja sey nahi maney gey kher hum ney apna kaam poora kardia hai) 2. Masjid ke Imam ka loudspeaker per Khutba-e-Taqreer karna Hum Muslims country ki bat kar rahy hian ap non Muslims country ki. 3. Naiz Eid ke ilawa panj'waqta namaz ke time Masjid se loudspeaker per Azan dena. ye humara sawal tha : “Namaz sari dunia main ek hi Tarha perhi jati hai” Or phir apkey jawab per humara dosra jawab ye tha jo ap na perh saky: ap jawab dey tey hain key azan deyney ka tareeqa dunia main mukhtalif hai(yaani Azan main bhi tabdeeli nahi sirif dey ney ka faraq hai or bhai hum ap sey Islami country ki baat ker rahy hain non muslim country ki nahi) Nasir Noman
  11. Assalam-o-Alikum, Is post main hum ney mukhtasir jawabat deyney ki koshish ki hai takey apko post lambi na lagey or koshish ki hai key gher zaroori behas key bajey jo baat kerney wali hai us per baat kary is liyain is dafa apki mukammal post ka jawab to nahi dia mager jo jawabat apko darkar they un key jawabt dey ney ki koshish ki hai ager apko mazeed pichhli post main apko jawabat darker hoon to pls humain bata dijiey ga hum jawabat deyney ki koshish kary gey. Meri samajh nahi aata ke mein issay aap ki be'waqoofi kaho, jahalat kaho ya phir gumrahi. Mujhe sirf ye bataiye ke Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi. 2. Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi? Islam ka qanoon (Quraan o Hadees) to nahi kahta mager jab Quraan or Hadees key samjhney main hi Ikhtalaf hojaey to phir kia kia jaey ? Phir yahan dunia ka ek asam sa or seedha sada Asool key maatheri zuban waley behter samjh sakta hai ye gher zuban wala behter samjh sakta hai ? is baat ko ek dafa ap bhi tasleem karchukey hain. Ye perhiey apkey alfaz: “Be'shakk Quran-o-Hadith Arabi mein hai aur jo ke Arab bashindo ki madri zaban hai aur unhay ba'haisiyatt apni qoumi zaban ke, Arabi per hum se zyada uboor hai. Lekin jo mantak aap paish kar rahay hain woh samajh se bala'tar hai. Arabi hona be'shakk iss baat ki daleel ho sakti hai ke unhay Arabi non-Arabs se zyada achi samajh aa jaye.” Quran-e-Karim sirf Arbi literature tu hai nahi ke jis kisi ko bhi Arbi zaban per uboor hasil ho woh samajh jaye. Quran ko samajhnay ke liye sirf Arbi zaban ka aajana kaafi nahi hai! Quran ki taleemat ko samajhnay ke liye Imaan ki zaroorat hoti hai. Aur Imaan sirf Arabs ki miraas nahi. Arabi zaban ka kya hai woh tu Iblees ko bhi aati hai! So agar Quran ke tarjumay ko parkhna ho tu simply Akabir Ulema ki tafasir aur tarjumay jo ke sari dunya ke nazdeek mustanadd hain un se parh lein. 1. Kya Quran-e-Pak ko samajhnay ke sirf Arabi zaban per uboor hasil hona kaafi hai? Ye ap ney sawal pichhli post main bhi kia tha or hum ney jawab bhi dia tha mager shayad ap ney perhey bagher hidelet klerdia tha Lekin Quran-o-Hadith sirf kisi aik Arabi literature nahi. Aik mukammal deen hai. So Arabi hona iss baat ki daleel nahi ke jo Arabi hoga ussay Quran-o-Hadith ki taleemat bhi samajh aa jaye gi. Doobara perhain: JI haan ap ney sahi kaha key Quraan Pak or Hadees Pak ek literature nahi hai ek mukammal Deen hai jo key Allah Taala ka Kalam hai. Jab ap ye mantey hian key dunia ka koi bhi gher zuban wala maatheri zuban waley sey acha tarjuma or tashreeh nahi karsakta . Ye to Allah Taala ka Kalam hai or is mian to dunia ki books or or deeger books sey bohat mukhtailf hai or kisi bhi shakhas ko is ka tarjuma or tashreeh kerney sey pehley kai dafa sochna chahiey key kahin hum sey koi samjhney main ghalti to nahi horahi ? Lakhon log humarey peechey Emaan rakhtey hain key ye humarey Ulma-e-Kiram hain or jo hum Tashreeh karey gey us key mutabiq humarey pichhey chalney waley humari taqleed kary gey . Or ager hum sey samjhney main koi ghalti hoi to humain Allah Taala key gher jawab dena hai. Hum jo tashreeh or tarjuma kar rahy hain kia ye tarjuma or tashreeh kia ehley zuban ka koi Aalim ya Mahir humari baat ki tasdeeq ker raha hai ? Quran se kya sabit hai kya nahi ye kaisay maloom karein gay? Aap ko tu Arabi aati nahi aur agar aati bhi tu bhi ye zaroori nahi ke Quan ki taleemat bhi samajh aa gai hon. Tu zahir hai Quran ko samajhnay ke liye bhi ulema se rijoo tu karna hi paray ga. Ji haan bohat sari batain essi hain jin key Quraan pak main jawabat nahi miltey mager jo bunyadi ekamaat hain jesey Toheed us key wazeh ehkamat Quraan pak main mojood hain ( jesey Allah key siwa kisi sey madad nahi mangi jasakti or sirif Allah hi madadgar hai) Kia aap in bunyadi aqeedey ko samjhney key liyain Ulama ki Tafseer ki zaroorat perti hay jabkey Quraan Pak main bohat sari jaghoon per wazeh ehkamat mojood hain, Aur ye jo aap ne likha ke "Quran mein Allah ke wazeh ihkamat inn aqeedo ke khilaaf hain" tu yaha aap ki "INN AQEEDO" se kya muraad hai? Kaun se aqaid ki baat kar rahay hain khull kar bayan kijiye. jis jaga hum ney ye line likhi thi waha hum Essai or Shia Hazrat ki baat kar rahy thy key jab hum dekhtey hain key deeger mazahib key Aqeedey key khilaf Quraan or Sunnat key Wazeh jawabat mojood hoon to ye baat wazeh ho jati hai key ye Ehkamat ager Essai Hazrat Essa Alihey Assalam sey mansoob kertey hain ya Shia Hazrat Hazrat Ali Razi Allah Talla unho sey masoob kertey hain to ye logon ki tahreef hain ye Ehkamat koi Nabi ya Peghember ya koi Muqadas hasti dey hi nahi sakta or yaqinqn logon ney un ehkamat main tahreef ki hai. Aap se pehlay bhi kaafi baar ye seedha sa sawal poocha lekin aap jawab dene se katraatay hain. Seedha sa sawal hai dobara likhay deta hon. Iss baat ki kya zamanat hai ke jis shakhs ko Arabi zaban per mukammal uboor hasil ho ussay Quran ki taleemat bhi poori tarah se samajh aajati hain Hum ney jawab dia tha mager ap ney perhey bagher delet kerdia. Ap ye batain key ager Pakistan or India main Urdu boli jati hai to kia Pakistan or India main sarey log Urdu Adab ki books per mukammal Uboor Rakhtey hain ? Yaqinan Apka jawab hoga : nahi. Humarey urdu adeeb or urdu zuban key mahir hazrat jo Urdu per mukamal uboor rakhtey hain kia un ki jaga koi English bolney wala(Urdu seekh ker) ley sakta hai ? Or English bolney wala ek din sarey Urdu key Adeeb or Mahireen ko chalange kerey key Urdu adab ki ye book ka tajuma ghalat hai tashreeh ghalat hai Tafseer ghalat hai ? To kia ye mumkin hai ? Ager na mumkin hai to udru bolney waley kesey Arabi walon sey achhey tarjuma or tashreeh or tafseer ka dawa ker saktey hain ? Abu Jahl Arabi hi tha na? Ussay kyu na samajh aie Quran ki taleemat? Agar sirf Arabi zaban samajh lenay se Quran ki taleemat samajh aajati tu her Arabi Aalim hota. Tu phir kaisay keh saktay hain ke Quran-e-Karim ko samajhnay mein ghair'Arab Ulema se hi ghalti howi hai? 3. Abu'Jahl Arabi tha tu phir usay Quran ki taleemat kyu samajh na aiee? shayad ooper wali baat perh ker ab ap humara maqsad samjh gaey hoon? Koi bhi qoom 100 % drust nahi hosakti ye baat 10 saal ka bacha bhi janta hai achhay burey her qoom main hotey hain. Daleel ye nahi hai key Arbi zuban waley sarey jannati hain balkey daleel ye hai key ek maatheri zuban waley key Ulama or Mahireen ziada bather samjh saktey hain banisbat gher zuban waley key. Aap ne kitnay Arab Ulema ki kutb/tafasir/shurohaat parhi hain jo aap ko ye maloom ho gaya ke Arab Ulema mein aqaid ke silsilay mein koi bara ikhtilaaf nahi? Baraye'meherbaani unn Ulema aur unn ki kutb ke naam bata dijiye. 4. Aap ne kitnay Arab Ulema ki kutb/tafasir/shurohaat parhi hain jis se aap ko maloom ho gaya ke Arab ulema mein ikhtilafaat nahi? Unn Ulema aur Kutb ke naam likh dijiye. Ikhtalafat kis main nahi hotey ?apney sawal main hum ney khud likha hai ikhtalafat to Deobandi, Ehley Hadees Arab Ualama main bhi hain(jo Bareeki main jaaker peda hotey hian) mager bunyadi Aqeeda (jo key ek Moti baat hai)Toheed “Allah Taala madad karnay wala hai”main koi Ikhtalaf nahi. Bilkul Islam ke dushman musalmano ko gumrah karne ke liye Ulema ki kitabo mein tehreef kar saktay hain balkay kar chukay hain. Lekin tehreef ko pakra bhi jata hai. Zahir hai ke Ulema ki asal kitabain mojoud hain tabhi koi unn mein tehreef karay ga. Tu agar tehreef ki jati hai tu ihl-e-ilm jinho ne asli kitabein parhi hai, unn mein se koi na koi uss tehreef ko zaroor pakar hi leta hai. Sirf aik andaishay ki bina per ke "tehreef ki jaa sakti hai" aap kisi bhi kitab ko na'qabil-e-qubool qaraar nahi de saktay. Agar aap ko shakk hai tu tehqeeq kijiye aur agar tehreef hai tu saboot paish kar ke apna mouqif sabit kijiye. Insha Allah apko sabot bhi miley ga, Thora time chahiey hum new topic per ap sey bat kary gey. Pehli baat tu ye zehn nasheen kar lijiye ke aap ne ab tak Milad ke tareeqay per aiteraaz kya hai ne ke Milad ke jawaz per. So ye aiteraaz Aqaid per nahi balkay Aamal per howa. Muslaman honey key baad sab sey pehley Aqeeda banta hai Toheed jab bunyadi aqeedey main kharabi ho to uskey baad jo amal bhi ho wo aap apney bunyadi Aqeedey hi key mutabiq karty hain is liyain hum bar bar ek baat kahtey rahy hain key “jis tareeqey sey Pakistan or India main Milad manaya jaata hai” Kio key Barailvi Aqeeda kahta hai key Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Hazir Nazir hain, Hazoor Sallaho Alihey Wassalam or Buzrugan-e-Deen madad kersaktey hain, Jab ap is tarha key aqeedon key sath Milad manatey hain to ek mukhtalif soorat hoti hai, Naat Khuani main Ikhtalafi ashaar hotey hain jo Barailvi Aqeedey ki bunyad key mutabiq hotey hain, Jalsey main Taqareer wo hi hoti hain jo Barailvi Aqeeda pesh karta hai, Jaloos main wo hi naarey lagey jatey hain jo Barailvi Aqeedey rakhtey hain. Is liyain hum bar bar ye baat kahtey rahy key jesey Pakistan maim hota hai, Or Wahabi Ulama key Aqeedey key mutabiq: Naat khuani (wo ashaar jo Nabi-e-Kareem Sallaho Alihey Wassalam ki Mohabat or Aqeedat main kahin jaey mager jo ikhtalafi na hoon) ya Nabi-e-Pak Sallaho Alihey Wassalam ki Seerat-e-Mubarika bayan farmana takey Musalmano key dilon main Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ki mohabbat peda ho or Muslaman Hazoor Sallaho ALihey Wassalam ki sunnaton per amal kary in tareeqon per koi aitraz nahi hai. Apko iss silsiley main Hazooron bayanat or Mukhtalif Wahabi Aqeedey waley Ulama key taqareer bhi dekha saktey hain or ye bhi deekha saktey hain key kia Wahabi Hazoor Sallaho Alihey Wassalam sey Mohabbat kartey hain ya Toheen kertey hain. Milad per humara mouqif ye hai ke Milad her mulk her sheher mein apnay rehn'sehn aur rasm-o-riwaj ke hisaab se manai jati hai. Jis tarah deegar Islami mamoolat tamam mumamlik mein apnay apnay andaz mein kiye jatay hain. Iss ki kuch misalaien aap ko baar baar de chuka jis per aap ne zaban kholnay ki himmat kabhi nai ki. Jaisa ke Eid-ul-Adha ke mamolaat. Eid-ul-Adha jis andaz mein Pak-o-Hind mein manai jati hai iss tarah tamaam dunya mein nahi manai jaati. Tu phir jo mouqiff aap Milad ke baray mein ikhtiyaar kar rahay hain wohi mouqiff Eid-ul-Adha ke baray mein bhi ikhtiyaar kijiye aur kahiye ke Pak-o-Hind ke Musalman deegar mumalik se alag andaz mein Eid-ul-Fitr manatay hain. Ye aap ka khullda dooghla'pana hai! Is ka jawab Apney shayad perhey bagher hi ye jawab delet kerdia tha ab doobara perhlain : Ye apka sawal tha: Indo-Pak mein jis tarah Eid-ul-Adha ke liye mawaishiyo ki mandi lagti hai, jis dhoom dhaam se mawaishi khareed kar laye jatay hain, jis tarah sajawat ki jati hai, dunya ke kisi doosray mein aisa nahi hota. Mazeed ye ke Eid-ul-Adha ke din jis andaz mein Qurbani hoti hai, deegar mumalik mein waisay nahi hoti. Indo-Pak mein apnay gharo ke aas paas Qurbani hoti hai aur baqi baishtar mumalik mein Qasba'gaah mein jaa ke Qurbani ki jati hai. Ab aap ki mantak ke mutabiq Indo-Pak ke musalman jis tarah Eid-ul-Adha aur Qurbani kartay hain, baqi dunya ke musalman waisay nahi kartay. Agar aisa nahi kahein gay tu kyu nahi kahein gay? Ye humara jawab jo ap ney eprhey bagher delet kerdia: matlab pehley janwer ki tangain kaatey hain ? ya pehley janwer ki khhal utarna shoro kertey hain? Ya raat ko qubani kertey hain or pak-o-hind waley subah kertey hian? Kia apko humari pesh ki hoi poori dunia key Islami country main Namaz-e-Eid ada kertey hoey dekh ker bhi nahi samjh aaya key humara sawal kia hai ? Qubani infiradi amal hai jo sari dunia ka nahi dekhaya jasakta. Namaz or Hajj Ijtemai amal hai jo ko poori dunia dekh sakti hai. Or Barailvi jesey Eid Milad or Jaloos nikaltey hain ye bhi Pakistan or India main Ijtemai amal ki tarha hota hai. Sarey barailvi kia akeley akeyley apney ghharon main Milad kartey hain ? Or akley akeley Jaloos nikaltey hain ? Ya Pakistan or India key aalawa sari Islami dunia main Akeley akley Milad or Jaloos nikaltey hain? (ya aap ye isliyain sabit kerna chah rahy hain kio key ap key pas is ka koi jawab nahi hai ?) is liayin sari dunia waley Namaz-e-Eid ek jaga pehtey hian mager Jaloos or Milad akley akeyley nikaltey hain? To phir ap logon ko dunai main jo Jaloos or Milad ki mehfil dekhaney pichhli post wali koshish kio ki ? Jab or video nahi mili to ye theek hai key ab baqi dunia ghharon main qurbnani ki tarha Milad kerti hai? Nasir Noman
  12. Post abhi tak moujod hai parh lijiye dobara. Yaha forum per moujoud tamaam afraad ki aap yehi guzarish rahi hai ke jo sawal kiya jaye ussi ka jawab dein idher udher ki baatein kar ke apna aur humara time barbaad na karein. Sirf apni iss taza tareen post ko hi dekh lijiye. Khalil Rana bhai ki 2 post moujoud hai aur uss mein kafi sawalaat hain aap ki janib. Aap ne kisi 1 ka jawab dene ki bhi zehmat abhi tak nahi ki. Bhai hum ney Khalil Rana sahib key bhi jawabat diey they jo apney 05 post delet ki hian ager apkey pas save hain to apko un main is ka jawab bhi mil jaey ga. Ap chahtey hian key hum dobara jawab dain to hum dey dain gey mager pehley jab tak apko dalail wali bat nai clear hogi jab taka p nahi samjh sakey gey. Is liyain pehley ye dalail wali bat cear kardain. Kya aap ke nazdeek Quran mehfooz nahi? Ap to humari post ka maqsad hi badal dey tey hain Uski missal kuchh esey hain key kisi ney sirif itna suna key: Allah Taala Quraan Pak main fermata hai key “Namaz key qareeb mat jao” To sunney wala foran fatwa laga deyta hai Phir agey ka jumla suntan hai key “mager jab Nashey ki halat main ho” To apna fatwa wapis ley leyta hai. Ek hi post main ek jumley ko tor dain gey to uska to matlab hi badal jaey ga poori baat perhain gey tab hi koi matlab nikalain gey ya adhi bat per hi fatwa lagadain gey ye perhiey apkey hi alffaz: “Chaliye shukar Quran-e-Karim ko tu aap ne maan liya,” Rahi baat buzurgan-e-deen ki kutb se hawalajaat ki aur unn mein doosro ki gai tehreef ki baat tu janab aap kya kehna chah rahay hain, ke jo bhi kitab aap ki mantak ki khilaaf hai woh tehreef shuda hai? Ager hum ney koi apko kitab ka hawala dia ho tab ap ye bat kehtey key hum apney matlab ki baat ko sabit karney key liayin logon ki likhi hoi book ka hawala dey rahy hain or jab ap hawala dey tey hian to hum nahi mantey? Aap ye bataiye ke aap ne Quran-e-Pak ko jo Urdu tarjuma paish kiya woh kya aasmani hai? Hargizz nahi! Quran-e-Pak ke saray tarajim issi dunya ke logo ne likhay, tu aap ki mantak ke mutabiq tu Quran bhi mehfooz na raha so phir aap ko chahiye ke Quran se bhi istadlaal na karein! Allah ka ek bar phir shukar hai key ab aap ahista aahista humari muntaq ko samjhtey jarahy hain, Jaha tak Quraan Pak main tabdeeli ka sawal hai wo apko jawab mil gaya hai ooper. Mager jo tarjumey wali baat hai to ye hi to masla hai key Quraan pak key tarjumey main hi faraq hai jab hi aaj humarey darmian itney barey ikhtalafat hain us key liayin hi hum ney ye bunyadi sawal pesh kia hai. Aaj jo bhi Barey Ikhtalafat hain wo sirif Quraan Pak ko samjh ka faraq hai, Jo jesa Quraan Pak ko samjha or Tarjuma karta gaya or apney aqeedey banata gaya. Ab humara asal sawal hi ye hai key Quraan Pak ki Kis ki samjh drust hai ? Jab ek ek lafaz wohi sab key pas phir itna bara ikhtalaf kio ? Aap ki nirali mantak se tu sari dunya mein koi bhi kitab mustanadd na rahay gi! Ahadith bhi nahi, kyu ke Bukhari Shareef mein ahadith ko bhi Imam Bukhari ne jama kya. Aap kal ko kisi maslay per phans gaye tu shayad ye bhi keh dein gay ke Imam Bukhari nay tu apna matlab nikalnay ke liye ahadiths mein tabdeeli kar di! Apko chhoti chhoti bat bhi samjhani perti hai or wo bhi lafz ba lafz Arey bhai likha to hai Jo Quraan Pak sey sabit ho wo drust hai. Ye perhain pichhli post: “kio key jab ap dkhtey hian key Quraan Pak main Allah Taala key wazeh ehkamat in aqeedon key khilaf hain or hum bajaey kisi bhi muqadas Hasti chahaey wo Paghember hi kio na ho,hum Paghember key bhi hawala jaat or wo bhi Aasmani book(Anjeel) hi kio na ho phir bhi hum belive nahi karty.” Aur pehlay tu ye bataiye ke mein ne kab aap se sirf aur sirf Buzurgan-e-Deen ki kutb se hawalajaat maangay? Kabhi ap ye poochhtey hain: Or khud hi jawab ap key hi lafaz sirif ek line chhoer ker ye kehtey hain: “ Mein tu aap se kab se keh raha hon ke jo bhi baat kartay hain uss per Quran-o-Hadith aur Awliya-e-Kiram ki tafasir-o-tasaneef se hawalajaat paish karein. “ Aap buzurgan-e-deen ko layk-e-istadlaal nahi samajhtay tu Quran-o-Hadith se hi daleel paish kar dein! Quran-o-Hadith bhi aap ke nazdeek tehreef se mehfooz nahi kya? Even agar Quran-o-Hadith se bhi istadlaal kartay hain tu tafasir ke liye aap ko ulema ki taraf tu jana hi paray ga aur phir wohi baat aa jaye gi ke kis tafsir sahi kis ki ghalat. So iss baat ka bhi taiyunn kar lijiye ke aap ke nazdeek kaun si tafasir aur shurohaat mustanadd hain. Sybarit bhai ap post ko poora parha karian takey apko pichhli post yad rahy, Humara asal sawal hi ye hai key Arab key Ulama (jin ki mother language arbi hai wo hi sab sey behter samajh saktey hain or ager Arab Ulama main ye Aqeedey key barey Ikhtalafat nahi hain to is ka matlab hai key Quraan Pak key tarjuma or tafseer key samjhney ki ghalti ek gher zuban (Urdu ya Hindi) waley ki hi hosakti hai jo Arab Ulma sey Aqeedey key Barey Ikhtalaf rakhtey hain? Allah ne Quran-e-Pak nazil kar ke pichli tamaam Asmaani kitabo ko mansukh farma diya tu phir pichli kitabo ki taleemat per baat karna kaha ki mantak hai? Aap ki issi tarah ki ghair'mantaki batoo ki wajeh se aap ki post delete ki jati hain. Baat gher mantaqi nahi hoti shayad ap samjh nahi patey. Bhai kam az kam kahney waley ka maqsad to samjha kary. Jab Allah ki bheji hoi asmani book main insane tabdeeli karsakta hai apna maqsad hasil karney key liayin to kia Musalmano ka koi dushman buzrugan-e-Deen ki books main likhey hoey ko nahi tabdeel karsakta Musalmano ko apas main laraney key liyain? Shia hazrat ki kitabein khool kar ke parh lein. Unn ka apna aqeeda unn ki kitabo mein ye hain ke deen ka 90% hissa taqiya yaani jhoot hai! Ab khud bataiye ke jo banda khud kahay ke mein jhoota hon tu uss ki daleel kyu kar maan li jaye? Shia Hazrat Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) ki taraf jo bhi baatein mansoob kartay hain uss ki sanadd kya hai? Koi nahi tu phir unn ki jhooti baato ko kyu kar mana jaye. Haa jo aqwal Quran-o-Hadith ki taleemat ke mutabiq hain unhay hum zaroor mantay hain. Akhiri line main ap ney khud hi is bat ka jawab dey dia jo hum kahna chahtey hain key ager koi baat Quraan or Sunnat sey takrati ho wo chahey kisi sey bhi mansoob ho hum usko tasleem nahi karty. Aap kya kehna chah rahay hain janab? Aaj tak kisi bhi Nabi bhi Allah ki ihkamaat ya uss zamanay ki Asmaani kitaab ke khilaf taleemat paish nahi ki. Ab Allah nay pichli tamaam asmaani kitabo ko khud mansukh kar ke Quran-e-Karim nazil farma di tu phir ye ilzaam tu be'tukka sa hi hoga ke aaj ke musalmaan pichlay Anbiya ki taleemat ke khilaaf jaa rahay hain. Ab ap khud hi batain ager apko mamooli mamooli bat nahi samjh aati to hum kia kary ? Kis ney kaha key Musalman deegar Umbia-e-Kiram key bataey hoey rastey key Khilaf jarahy hain? Ye dobara parhain: “kio key jab ap dkhtey hian key Quraan Pak main Allah Taala key wazeh ehkamat in aqeedon key khilaf hain or hum bajaey kisi bhi muqadas Hasti chahaey wo Paghember hi kio na ho,hum Paghember key bhi hawala jaat or wo bhi Aasmani book(Anjeel) hi kio na ho phir bhi hum belive nahi karty. To kia Musalman per ye Ilzam lagey ga key aap kisi Paghember key Ehkamat key munkar hain ? Kia ab ap ko ye baat samjh aarahi hai jo hum samjhana chah rahy hain? Yaha ek bohat eham baat samjh aati hai jo aap bhi zehan main rakhiey ga key Insan logon ki likhi hoi books ko to chhorain Allah Taala key bheji hoi aasmani books main bhi Allah key ehkamat ko tabdeel kardeytey hain jis ki missal hum ney apko pesh ki, Jis dunia main Asmani book main tadeeli ker key apni marzi ki baatain edit ki jasakti hoon. Or jab Asmani book ko ager tabdeel kia jasakta ho or apney ghalat aqeedey sabit karney key lian Shia Hazrat ki books main muqadas hastion key hawala jaat pesh kiey jatey hoon. Waha dunia sey kia umeed rakhi jasakti hai? Sirif ek Quraan Pak hai jo sari dunia janti hai 1400 saal sey ek lafaz bhi na tabdeel hua or na kabhi hoga kio key Allah Taala apni aakhiri kitab Quraan Pak ki hifazat farma raha hai.” Ji Sybarite bhai parha ap ney hum ney kia likha tha? Koi or bhai Sybarite bhi ko samjhey hum kia kahna chahtey hain? Hujjat Quran-o-Hadith hai janab! Koi Nabi Allah ke ihkamaat ke khilaaf taleemat de ye tu na'mumkin hai aur issay shayad aap bhi mantay hongay. Rahi baat Awliya-e-Kiram ki tu unn ki aqwal ko Quran-o-Hadith se parakh lijiye. Agar Quran-o-Hadith ki taleemat ki khilaf hain tu na'qabil-e-qubool aur khilaaf nahi tu jayaz! Allah hum sab key liyain hidayat key rastey samjhney aasan farmaey Ameen. Aap ka masla ye hai ke aap sari dunya ke Aimma, Awliya ke aqwaal ko radd karnay per tulay hain lekin inn aqwal ke radd mein aap ke paas Quran-o-Hadith se koi daleel nahi. Agar aap ko lagta hai ke kisi kitab mein tehreef howi hai tu uss tehreef ko sabit bhi kijiye na! Aisa tu honay se raha ke hum Awliya ke aqwaal se hawalajaat paish kartay jaye aur aap sirf ye keh kar unhay radd kartay jaye ke iss mein tehreef howi hai uss mein tehreef howi hai. chalain hum ye bhi koshish kartey hain. Hum ney Aqeedey key Ikhtalafat main do barey Ikhtalafat main ek Milad (jesey Pakistan main manaya jata hai) Or dosra Aqeeda “Allah key siwa kisi sey madad mangna jaiz hai” ye barailvi Aqeedey hain jo barey Ikhtalafat hain. Milad ka to hum ney apko sabit kardia key ye treeqey jo Pakistan main hotey hian wo poori dunia main or kahin nahi hotey Yaha ek baat doobara wazeh kardain key Milad ka public holyday poori Islami dunia mian manaya jata hai. Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key seerat-e-Mubarikha bhi bayan ki jati hai.ye batain zehan main rakhiey ga. (ager ap inkar kary gey to humarey pas uskey sabot save hain hum doobara post kersaktey hian) Ab reh gaya Dosra bara Ikhtalaf “Allah key siwa kisi dosrey sey madad mangna jaiz hai” Ap apney dalil pesh kary Hum apko sabot key sath jawabat deyney ki koshish kary gey Insha Allah Rahi baat kitabo mein tehreef ki ke koi dushman kitab utha kar thori bohut tabdeeli kar ke baqi sab kuch as it is chaap de tu janab zahir hi si baat hai ke asli kitab ko badal kar hi tehreef karay ga. Tu jis alim ne woh kitab likhi, ya agar unn ka intiqaal ho gaya tu unn ke maslak ke logo ke paas asli kitab tu mojoud hogi na. Tu phir agar koi iss tarah ki tehreef shuda kitaab chaap kar market mein de ga tu zahir hai ye Ulema ki zimay'daari hai ke woh uss tehreef shuda kitaab ko radd kar dein aur awaam ko bata dein ke fala fala publisher se chapi howi kitaab mein tehreef hai ussay na parhein aur asli kitaab iss iss publisher ki hai ussay parhein. Allah Taala ney jo asal Anjeel utari kia dunai key kisi Essai key pas asal Anjeel mojood hai ? So agar deobandiyo ka koi dushman kisi deobandi alim ki kitaab mein tehreef kar ke chaap deta hai tu zahir hai deobandiyo ke paas tu asli kitaab mojoud hogi. Woh kyu awaam ke samnay nahi boltay ke ye tehreef wali kitaab mein kuch baatein ghalat hai aur asli kitaab se mukhtalif hain? Khair ye aik bilkul alehda topic hai iss per phir kabhi tafseel se baat karein gay. Filhaal batana ye maqsood ke kitab mein tehreef ki jaye tu woh pakri bhi jaati hai. Is ka asan hal ye hai key koi bhi barilvi kisi Darul Uloom jaey or ye na zahir kary key main barailvi hoon or un kitab ka hawala dey or jab wo kitab mil jaey to Deonad Ulama sey poochain key apka ye hi matlab hai jo barailvi Ulama kahtey hain ? Ya kia matlab hai in baton ka ? Apko jawab mil jaey ga behas ki zaroorat hi nahi. very important note: Apney sarey jawabat deyney ki koshish to ki mager ap ney jo humari bey tuki mantaq ko samjhney ka iqrar kia tha uska jawab ap shayad dena bhool gaey? Font size is liyain bara kartey hain kio key ap ko humari baat samjhney main dushwari pesh aarahi hai. duaon ka talabgar Nasir Noman
  13. Kia ap bata saktey hain key hum ney ap key kis sawal ka jawab nahi dia ? Ap jo dalail key liyain Buzrugan-e-Deen key Hawala jaat ya Ulma Deoband ki books key halawala jaat sey ager ap baat karma chahain gey to hum bar bar ek baat dohra chukey hian ab apko Quraan Pak key hawala jaat sey bhi apni bat sabit kertey hain (Attachment dekhiey.Quraan paak main kai jaga Allah Taala ney ye farmaya hai to koi to waja hogi jo Allah Taala bar bar Quraan main humain ager koi baat bata raha hai) key kis tarha Insan Buzrugan-e-Deen ko chhoarain balkey Allah ki bheji hoi aasmani books main kis tarha tabdeeli kerkey Allah key ehkamat ko apney maqasid hasil kerney key liyain Dunia sey chhupatey hain ya badal deytey hain jis ki waja sey logon main gumrahi pehlti hai or log such tak nahi ponch patey. Ye perhiey or pora aakhir tak perhiey ga: Hazrat Essa Alihey Assalam kia humarey bhi peghember nahi hain ? yaqinan hain or intehai qabil-e-ehtaram hain aaj kal Essaion ki Injeel main jo Essai Hazrat Essa Alihey Asalam key ehkamat pesh karty hian to Musalman kion inkar kartey hain? Musalman kio in ehkamat ko tasleem nahi kartey ? To kia is tarha Sarey Muslaman Hazrat Essa Alihey Assalam key ehkamat key munkar ho jatey hain? Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho humarey 04th khalifa hain, intehai qabil-e-Ehtaram hain jab Shia Hazrat Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho key aqwal apni books main pesh kar key apney aqeedey ko drust sabit karty hian, to Sunni Muslaman kio nahi qabool kartey Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho key Aqwal ko ? to kia Sunni Musalman Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho key ehkamat key mukar kehlain gey ? is ka matlab ye hua key ager koi apko kisi Paghember ka hawala dey ker apna Aqeeda drust sabit karta hai to ap yaqin nahi kartey balkey inkar kartey hian key ye ho hi nahi sakta, issi tarha koi ager Hazrat Ali Razi Allah Taala Unho ka hawala dey ker apna Aqeedey ko drust sabit karta hai to phir bhi ap yaqin nahi kartey , akhir kio ?? kio key jab ap dkhtey hian key Quraan Pak main Allah Taala key wazeh ehkamat in aqeedon key khilaf hain or hum bajaey kisi bhi muqadas Hasti chahaey wo Paghember hi kio na ho,hum Paghember key bhi hawala jaat or wo bhi Aasmani book(Anjeel) hi kio na ho phir bhi hum belive nahi karty. To kia Musalman per ye Ilzam lagey ga key aap kisi Paghember key Ehkamat key mukar hain ? Kia ab ap ko ye baat samjh aarahi hai jo hum samjhana chah rahy hain? Yaha ek bohat eham baat samjh aati hai jo aap bhi zehan main rakhiey ga key Insan logon ki likhi hoi books ko to chhorain Allah Taala key bheji hoi aasmani books main bhi Allah key ehkamat ko tabdeel kardeytey hain jis ki missal hum ney apko pesh ki, Jis dunia main Asmani book main tadeeli ker key apni marzi ki baatain edit ki jasakti hoon. Or jab Asmani book ko ager tabdeel kia jasakta ho or apney ghalat aqeedey sabit karney key lian Shia Hazrat ki books main muqadas hastion key hawala jaat pesh kiey jatey hoon. Waha dunia sey kia umeed rakhi jasakti hai? Sirif ek Quraan Pak hai jo sari dunia janti hai 1400 saal sey ek lafaz bhi na tabdeel hua or na kabhi hoga kio key Allah Taala apni aakhiri kitab Quraan Pak ki hifazat farma raha hai. Kisi bhi Buzrugan-e-Deen ki book ko koi Musalman ka dushman utha ker ley jaey kisi printing press per or sirif chand lafzon ki tabdeeli kardey or baqi book ussi tarha hi rakhey or hata key publisher key naam main bhi tabdeeli na kary to ek aam Musalman ko jab ye book hath main pohnchey gi wo apna Aqeeda kia banaey ga ? Issi tarha ager musalman ka koi dushman ager kisi dewbandi Alim ki book ko printing press main ley jaey or sirif chand lafzon ki tabdeeli kar dey or baqi sab kuch wo hi issi tarha rakhey or phir jab dosrey aqeedey key Musalman wo book perhain gey to wo Dewbandi Ulma sey nafrat nahi kary gey to or kia kary gey? or issi nafrat key sath musalman apas main lartey rahy gey or Musalmano key dushman faida utha tey rahy gey? “sirif ek nuqtey ki tabdeeli Mehram sey Mujrim bana deti hai’ (urdu main Mehram likhain or sirif ek nuqtey ka izafa kardian dekhain kia ban jaey ga) To Sybaraite bhai is tarha sey Musalamano main Ikhtalafat pehheltey hain, Is liyain hum apko dosrey tareeqey sey dalil dey rahy hain, Jis ka ek hissa samjhney ka ap ney khud ek dafa iqrar kia or phir jab hum ney apko baqi hissa samjhaya to apney humari post delet kerni shoro kerdi: Ye perhiey kia ye apkey alfaz nahi hain ? Ya Allah tera Lakh Lakh shuker hai key kisi ney to humari sawal ka pehla hissa samjha. Bohat shukria bhai ap ko ek hissa samjh aya ab ye baat pehley to sarey bhaion ko samjha dain jo bhai abhi tak ye baat nahi samjhey hain. Apkey baqi baton ka bhi jawab dey tey hain. Apko ye samjh aagaya key ek matheri zuban waley or gher zuban waley ki samjh ka kia faraq hai Insha Allah apko baqi mantaq bhi dobara samjhney ki koshissh kertey hian. Sarey dost jo bhi is thread ka abhi tak sawal nahi samjhey hain pehley ye samjh lain baqi agey ka jawab bhi dey tey hain. Apka shukria key ap humain bar bar moqa dey rahy hain , Mager ager humari batain bewaqoofi wali thin to phir apko chahiey tha key in post ko delete nahi kertey or sari forum key liyain open rakhtey takey log humari zehni position ka andaza lagatey key hum kitney bewaqoof hain ? Phir post delet kerney ka kia maqsad tha ? Or apko ek bar phir wazeh kardia hai key jo sabot key sat hap bat karney ko kehtey hain hum un tareeqon sey kio nahi sabot deytey ? Ager bat na samjh aaey to doobara perh lain ya hum sey doobara pooch lain. Apka ek bar phir shukria humain baat karney ka moqa deyney ka, Duaon ka talabgar Nasir Noman
  14. Assalam-o=ALikum, pehley Sybarite bhai wada karey key ab koi humari post delet nahi kary gaey or hum apkey her aitraz ka jawab dain gey mager apney bhi humarey sarey aitrazat ka jawab dain gey ? or ek waqat main ek hi hum sey baat karey ga sarey log ek sath reply nahi kary gey jis bhai ko bhi koi jawab samjh aaey wo apna dalail jin sey hum bat kar rahy hongey un ko Privte Massage ker ga or sirif wo bhai hi humain dalail dain gey sarey log ek sath nahi dalail dey gey. Ghulam Mustufa bhai Sybaraite bhai sey poochh lain ager wo wo humain is topic per dobara discuss ki ijazat deytey hain to hum tayyar hain Nasir Noman
  15. ager dost ap ko samjh itni kamzor hai to is main humara kia qasoor hai ? kia bach bach nahi janta key Allah Taal wahdaho Lashareeka Lahoo hai jab koi Insan kisi essey insan sey madad mangta hai jo zinda na ho to kia wo gunah gar bandey sey bhi madad magey ga jo dunai main na ho off course gunah gar banda bhi Gher Allah hai. jab koi zinda sey madaad mangta hai or koi madad karta hai to ye Haqooq Ul Ibad hain jis key Wazeh Ehkamat hai (Off course Gher Allah hain) Pukara kis ko jata hai jo samney ho ya jo mojood na ho ? hum jawabat essey dey rahy hain jo kisi perhey likhey ko diey jatey hain key ek lafaz ki wazahat nahi ki jati balkey perha likha Insan maqsad khud hi samjh jata hai kisi chhotey sey bachey ko lafaz ba lafaz samjhya jata hai. page no 872 wali Ayat perhain : Allah Taala Farmata hai "A Nabi in sey kaho kabhi tum ney socha key ye jinhain tum pukartey ho Allah key siwa mujhey dikhao kia peda kia hai inhon ney zameen main ya hai in ki koi shirkat aasmano(ki takhleeq or tadbeer main) lao merey pas koi kitab jo aai ho is sey pehley ya koi Ilmi riwayat(batoor Saboot)ager tum sachey ho" bohat dehan sey perhiey ga koi key ap ghalat matlab lley jatey hain kia farma raha hai Allah Taala? Allah Taala farmata hai key jo log Allah key siwa kisi dosrey ko pukartey hain to Allah Taala Saboot mangta hai key "Jin ko pukara ja raha hai unhon ney kia peda kia hai zameen -o aasman main ya in ki koi shirkat hai Takhleeq o Tadbeer main? Allah Taala saboot magta hai key jo log Allah key siwa kisi ko pukartey hain(yaha ek to ye sabit hua key jin ko pukara jaraha hai wo log mojood nahi hain apney zehan main rakhiey ga ye baat) to ager ap kehtey hain key jin ko aap pukartey hian to ap key pas hain ye Saboot jo Allah Taala mangta hai ? samjh ker jawabat dain plsssssssss jo bat samjh na aaey wo dobara poochh lian
  16. kio key Log ye samjhtey hain key Allah key Naik Bandey hi kio key Allah Taala ki taraf sey namzad hain is liyain Naik Bandey madad kersakty hian or gunah gar bandon sey to koi madad nahi mangey ga. jo zinda hain to ye Allah Taala ka hukum hai ek dosrey ka Khayal Rakhna borhon ki khidmat kerna ,kamzoron key kaam ana,zaroorat mand ki zarooraton ka khayal rakhana kisi key kaam aana or unkey haqooq ka khayal kerna huqooq ul Ibad main sey hain jis ka Allah Taala or Hazoor Sallaho ALihey Wassalam key Wazeh ehkamat hain. Nasir Noman
  17. Assalam-o-ALikum, Ap pehley to ek guzarish hai key apsab logon ko kahin key sarey ek sath jawab na dain kio key ap sarey jab ek sath jawab deytey hain to kisi ko jawab milta hia koi reh jata hai. Phir apka ye shikwa reh jata hia key hum jawab nahi dey rehy. Jis bhai key pas koi aitraz ho wo apko likhey PM main ya ager yaha bhi post kary to hum sirif apki post key jawabat dain gey ager apko kisi bhai ka dalil wazni lagey to ap khud post ker saktey hian or hum jawab deyney ki kohish kary gey. Ap ko yaqinan koi aitraz nahi hoga. Jab ap ney khud kehdia Gher Allah to phir is ki tareef ki zaroorat nahi rahti. Wesey asan alfaz main ap ye samjhain Allah Taala key Naik Bandon ko pukarna jo dunia sey ja chukey hain. Jawabat deney sey pehley sari post ko achhi tarha perh zaror lain humain bar bar apni likhi hoi baat ka hawala na dena perey shukria
  18. Neechey apkey taraf sey jawabat hain or un ki wazahat ye hain ab eh or Dalail dia jata hai jo bohat aam hai key Allah Taala kia kabhi (Maaz Allah)shirk ka hokum dey ga? Is key liayin giney chuni sab Barailvi Ulma key pas Ayat hain wo ap key samney pesh hain. Ager apka ye dalail hai to pls batain Allah Taala ney Iblees ko hukum dia Sajda karo Insan ko . To Allah Taala to shirik ka hukum dey hi nahi sakta ? Baat ye samhj aai ager Allah Taala kissi Khas moqey key liayin koi khas hukum deta hai to ye Allah Taala ki hikmat hai key uski kia waja hai? Mager hum is tarha ki missal ko apni zindagi ka hissa nahi banaya jata. Kio key ager koi ek khas waqia ager Quraan Pak main bayan hua hai to hum kia samjhain key ye humain pegham hai issi rastey per chalney key liayin ? kio bhool jatey hain key jin Ayat ka hawala dey ker aap ek essa Aqeeda ko sabit karma chahtey hain (Jo Wazeh Hukum Bhi nahi Hai or ye bhi pata nahi key Allah ka in Ayat ko Nazil famatey hoey kia Moqa tha in Ayat key pas-e-Manzer kia hai or Tashreeh or tafseer kia hai) jo hosakta hia abhi to ap key liyain Aqeedat ho mager apki Naslon key liyain Ibadat ban jaey jesa key pichhli Ummaton key sath hua ? ager merey Doston jo ap apna Aqeeda sabit kerna chahtey hain to ye to Islam ka ek bunyadi baat hai key humain madad key liyain ya Dua key liyain kis ko pukarna chahiey Allah Taala ko ya Allah Taala key Naik bandon ko ya Allah Taala key doston ko pukarna chahiey? Masha Allah Allah Taala apko or Deen ki samjh ata farmaey hum to apkey samney key bachey hain kia aap log itni mamooli si bat nahi samjh saktey key Islam key itni eham or bunyadi baat key liyain kia Allah Taala key Ehkamat gher Wazeh hongey ? Ager doston ye Aqeeda waqai Allah Taala key Ehkamat key Mutabiq hota to Allah Taala Quraan Pak main Wazeh Ehkamat fermata. Namz main Drud Shareef perha jata haiA;;ah Taala Kami beshi Maaf farmaey) “Ya Allah Humarey piyarey Nabi Salaho Laihey Wassalam per Rehmatain or Barkatain Nazil farma. Quraan Pak main jitni bhi dunain hian ap dekh saktey hain key her dua main hum Allah Taala sey hi Mukhatib hotey hian. apko Quraan Pak ki Itni Wazeh Ayat nazer Nahi aati jin Main Aalh Taala Key Wazeh Ehkamat hain ? issi liyain hi apna pehla sawal pesh kia tha key (Urdu ya Hindi bolney waley ko arbi zuban samjh ker Quraan Pak ka Tarjuma or Tashreeh samjhney main kitni mushkilat aasakti hian? Ab pls Buzrugan-e-Deen key hawala jaat na pesh kijey ga kio key is ki hum wazahat pesh ker chukey hain key Dunia mian kisi likhi hoi book ko kesey tabdeel kia jaskta hai apney maqasid hasil kerney key liayin. Is key liyain hum ney Shia Hazrat ki missal bhi pesh kit hi key Shia Hazrat apney Aqaid sabit kerney key liyain bohat sey essay Muqadas Hastion key hawala jaat opesh kertey hain jo Ehlley Sunnat key liyain bhi intehai Qabil-e-Ehtaram hotey hain. Phir to humain Shia Hazrat key Aqaid ko bhi Qabool perna peryga. Sirif Quraan Pak hi Essi Book hai jo Qayamat tak ek Lafaz kia zer zabar bhi tabdeel nahi kia jasakta. ab pls admin bhai apko jawabat mil gey ab humari dono post bhi add ker dijiey ga Nasir Noman
  19. Assalam-o-Alikum, Ap ney majboor kia key hum saboot pesh kery ab ye Quraan Pak ki Ayat ap key samney hain. Ab yaha Barailvi Ulma ka ek aitraz samney ata hai key Mushrikeen ki liyain aai hoi Ayat ko Musalmano per lagana ghalat hai. Quraan Pak Allah Taala ka Kalam hai. Quraan Pak Hikmat wali Kitab hai. Quraan Pak Qayamat tak key liyain aaney walon key liyain hain(yaani is 2008 key dor key liyain bhi hai) Allah Taala jab Quraan Pak Nazil Farma raha tha to Allah Taala ye 2008 bhi dekh raha tha or jitney bhi saaal aney baqi hain Allah Taala ko un ki bhi khabar hai. Quraan Pak rehnumai wali kitab hai (Jis main Qayamat tak key aaney waley Insano key liyain Rahnumai hai) Abhi tak ap sab logon ka jawab ye hoga jesa hum bata rahy hain or kissi ko is sey Ikhtalaf nahi hoga . Ager Quraan Pak Qayamat Tak key aaney waley Insaniat key liyain rahnumai hai to Allah Taala kio humain ye Ayat Quraan Pak main farmaraha hai key jo Mushrikeen key liyain jo Ayat Nazil farmai? Kia ye Ayat humain sirif Quraan Pak perhney key liyain hi di gain hain ya Rehnumai key liyain ? Hazoor Sallaho Alihey Wassalam ney apney akhiri Khutba-e-Haj main ye hi famaya tha(Allah Kami beshi Maaf farmey) key “Main tumharey darmian Quraan Pak or Ahadees Pak chhor key ja raha hoon is per amal karao gey to kamiab raho gey jab is ko chhor do gey to bhatak jao gey” Or jab rehnumai key liyain Quraan Pak main Allah key ehkamat bataey jatey hain to ye kaha jata hai key ye to Mushreekeen key liyain hain or ap Musalmano per lagatey ho? Kia Non Muslim aasman sey utertey hain ya unper pidaishi nishan hota hai key ye Mushrik hain or bilkul alag hain? Kia Hazrat Adam Aliehy Assalam ka jo silsila bani Adam ka shoro hua to koi mazhab na tha to kia us waqat ki ummat Ehley Emaan nahi thi ? Kia jab Hazrat Essa ALihey Assalam ki Ummat Hazrat Essa ALihey Assalam per Emaan ley aaey they to kia wo log bhi ehley Emaan nahi they ? To sabit ye hua key Shaitan sirif Ehley Emaan ko hi gumrah karta hai jo Kafir hojatey hain un per waqat nahi lagata .issi liyain Allah Taala humain Quraan Pak main ye waqiaat humari rehnumai key liyain hi batata hai. shaitan ney Qayamat tak Insaniat ko gumrah kerney ka Ehed(Wada) kia hai to wo pichhli umaton ko behkany ka baad aaram sey nahi betha balkey wo Qayamat tak apni aakhiri koshish kerta rahy ga. Doston shaitan Ehley Eman ka Sirat-e-Mustaqeem essay hi nahi tabdeel karwata key ek hi din aaey or kahey key ye Buut Khuda hain or Emaan walon aaj sey in ki Ibadat karo? Or na hi ek hi din aaker ye kahy ga key Emaan walon Hazrat Essa Alihey Assalam ko Allah key Beta mano(Maaz Allah) . Apko itni si baat kio nahi samjh aarahi key ye batin to 10 saal ka bacha bhi shaitan ko bhaga dey ga key shirk-o-Kufur ki batain seekhata ho? Gumrah kerney key liyain Shitan sirif Itna hi kerta hai key Muqadas Hastion ki Aqeedat main thora sa Izafa karana seekhata hai. Jab Emaan walon ko is ki aadat hojati hai to is main Mazeed Izafa karana seekhata hai. Kaai Naslain guzar jati hain or tab jaa ker shaitan apney maqasid main kamiab hota hai. Or jab koi mana kerta hai key Aqeedat main Izafa na karo sirif Itni hi Aqeedat karo jitna Allah ka hukum hai to phir ye hi halat ban jatey hain key log us key dushman ban jatey hain key ye to Ghustakh hain, ye to Muqadas logon ko hi nahi mantey waghera waghera Ab yaha logon ko tassali key liyain ek Hadees Pak ka Hawal dia jata hai key “Hazoor Sallaho Alihey Wassalam Ka Faman hai key (Allah Kami Beshi Maaf farmey“Meri Ummat shirik nahi karsakti” Kia Ab sari Ummat ko ko haq hai wo jo chahey karey ? Hum Maaz Allah Hadees sey Inkar nahi karty mager Shia Hazrat key barey main ap logon ka kia khayal hai ? Kia wo Toheen Sahaba key Alawa Shirik kerney key Murtakib nahi hian ? ager Shia Hazrat bhi Shirik key Murtakib hain to wok is ki Ummat hain ? jawab deyney sey pehley pls samjh lijiey ga or dosri post bhi pehiey ga phir jawab dijiey ga Nasir Noman
  20. Assalam-o-Alikum, hum itefaq sey is site per dobara aaey they kio key ap ney thread hi close kerdi thi, Sag-e-Attar bhai aap hi Rana sahib ko translate kerdijiey ga,hum urdu compose nahi ker saktey. pehley to ap koshish kary Rana sahib ko ye bata dain jitni bhi baatin ab tak hoi hain takey ye poori tarha samjh sakey key hum jo samjhana chahtey hain. bhai apka kehna hai key Eid Milad un Nabi Sallaho Liahey Wassalam poori dunia main manaya jata hai or sab apney saqafati tareeqey sey manatey hain to dost Islam key arakeen per poori dunia main ek hi tareeqey sey amal kia jata hai, or hum ney kai dafa apni post main likha shayad ye bhai ya Sag-e-Attar bhai na perh sakey sari post apkey samney hai or ap dobara perh saktey hain key Hazoor Saalaho Alihey Wassalam key Seerat un Nabi Sallaho ALihey Wassalam dewbandi bhi kertey hain or public holyday bhi kia jata hai or Hazoor Saalaho Alihey Wassalm ki seerat-e-Mubaraka bhi bayan ki jatai hai mager Pakistan or India main jis josh o kharosh key sath hota hai wo kahin or nahi hota, ap ki aasani key liyain dobara ye ek or misal dey rahy hain key shayad apki samjh main aajey: jab Eid Ul Fitar jo poori dunia main manaya jata hai apko kisi ko batany ki zaroorat nahi perti key poori dunia main 10,000,000,000 musalman Eid ul Fitar mana rahy Hotey hain or TV or newspapar per pata chal jata hai key kon sey country main kis din Eid mani gai or kia taqreebat hoi to ye ager sari dunia main issi tarha hota jessa yaha hota hai to ye bhi aasani sey sari dunia ko pata chal jata. Jesey cheriten ka chrismis day Hazrat Essa Alhey Assalam ka birthday manateyu hain to poori dunia ko taqreebat ka pata hota hai kisi ko batanay ki zaroorat nahi perti key kesey poori dunia main manaya jaraha hai. shayad apko ab samjh aaya hoga key humara kia matlab hai. or sawal ye nahi hai key Eid Milad Un Nabi Sallaho Alihey Wassalam kesey manana chahiey sawal ye hai key ye sarey Aqaid poori dunia mian kio nahi nazar atey ? in aqaid ko Jab Quraan Pak or Ahadees Pak sey seekha hai to Arab main ye aqeedey aksaryat sey nazar aney chahiey ?
  21. Assalam-o-Alikum doston, Ap key samney humari last post hazir hai ap logon sey darkhuast hai key ek dafa aakhir tak zaroor perhiey ga. Maqsad is topic per behas kerna nahi hai sirif maqsad ye hai key hum ney jo apney sawalat per jo behas ki hai us behas kerney ka eham maqsad thaw o ap key samney hazir hai. Na humain apni jeet sey maqsad than a hi kisi ko neecha dekhana maqsad tha. Ager doran-e-bat cheet kisi bhai ki dil aazari hoi hai to hum intehai maazrat chahtey hain. Or admin bhai key bohat shukar guzar hain jinho ney humain is topic per baat kerney ka moqaa dia . Admin bhai sey ek akhri guzarish hai ye post delet na kijiey ga. Kio key ye post hum ney behas key liyain nahi ki sirif doston take k eham maqsad pohcha chahtey hain. Nasir Noman Ye to aap bhi jantey hain key Hazrat Adam Alhey Assalam sey jo silsila bani Adam ka shoro hua To us waqat to koi mazhab na tha phir aaj itney sarey mazahib jo baney wo kesey baney ? Koi to waja hogi mazahib ki bunyad perney ki,kio key sab humarey hi jesey log they jo humari tarha khatey they peetey they or sochtey they or Allah ko bhi mantey they koi na koi to waja hogi?kabhi ap ney socha key kia waja thi logon key gumrahi ki ? Buut paraston key Mazhab key liyain kahtey hain key ek basti main Allah key ek Naik Bandey rehty they,jab un ki wafaat hoi to basti waley bohat udas hogaey key ye Buzrug ab humarey darmian nahi rahain gey,to Shaitan(Evil)basti walon key pass aaya or kaha key tum koi udas hotey ho main ek tareeqa batata hon jis sey tumarey Buzrug humesha tumhari nazaron key samney rahey gey,phir shaitan ney unhain Buut banana seekhaya or Buut ki shakal un buzrug sey milti julti kerdi,basti walon key liyain ek anokhi bat thi or un ka ghum halka hogaya unhon ney wo buut basti main ek jaga laga dia or phir aatey jatey us buut ko ehtaram sey dekhtey they,un key bachon ney dekha key humarey buzrug kesey is buut ka ehtaram kerty hain phir wo jab barey hoey to unhon ney us buut ka ziada ehtaram kia(Kio key un key baron ney aney bachon ko is ehtaram ki tafseel nahi samjhai)bas un key bachey ziada ehtaram kerty gaey or do teen nasalain guzar gain or kisi ney wazahat nahi ki buut key ehtaram ki her nasal apni pichli nasal sey ziada mohabbat kerti gai ot ek waqat aaya key wo log Allah ko bhool ker sab kuch us buut ko man chukey they. (Tafseel lambi hai mager kam-o-besh issi tarha hi hai as) Christen Mazhab ki bunyad bhi isi tarha milti julti hai waqat key sath Hazrat Essa (Alehey Assalam) key maney walon ney apni aaney wali naslon ko Hazrat Essa(Alehey Assalam)key ehkamaat ki sahi sey wazahat nahi ki,waqat guzurta raha new generation aati gai or bible (Anjeel)main tabdeelian aati gai ek waqat aaya key log Hazrat Essa(Alehey Assalam)ki taleemat bhooltey gaey or apney rastey khud sey banatey gaey or Mushrik hogaey, Christen kia Hindu kia koi bhi kabhi bhi apney ap ko na kal ghalat samjhtey they or na aaj ghalat samjhtey hain,sab ye hi kehtey hain hum hi theek hain,mager Allah Taala ney Hazoor(Sallah-o-Alihey Wasallam)key zariey Quraan pak mian sari insaniat ko sahi or ghalat rastey ka batadia or jis ney nahi manna tha wo na kal mana or na aaj mana or na kabhi maney ga. Bohat dehan sey sohiey ga key shaitan ka tareeqa-e-wardat kia hai wo kabhi bhi aaker ye nahi kahta key buuton ko Khuda mano ya Hazrat Essa(Alehey Assalam) ko Allah ka Beta mano(Maaz Allah)wo sirif itna kerta hai key muqaddas logon key ehtaram main izafa ker deta hai or phir tamasha dekhta hai,ek nasal jati hai dosri nasal aajati hai wo is ehtaram main izafa ker deti hai or kisi ko pata bhi nahi chalta key hum apney sirat-e-mustaqeem sey hat’tey ja rahey hain.kio key ager koi mana kerta hai key muqdas logon ki had sey ziada taazeem na karo to awwal to koi suntan hi nahi balkey wo us key dushman ban jatey hain key ye humarey muqadas logon ki shan mian gustakhi ker rhey hain ya ye log muqadas logon ko nahi mangtey? Aap yaqinan samjh rahey hongey jo hum samjhana chah rahey hain. Is ki beshumar missal hain ab jesey apki hi bat key “hum Allah key Hazoor Buzurgan-e-Deen ka waseela pesh kertey hain or Burugana-e-Deen sey koi nahi mantta” Mager Aziz doston hum apko batatey hain key ek waqat main sab ye hi kehtey they mager aaj ap “Ya Rasool Allah Madad” “Ya Ghos Pak Madad”key alfaz apney aas pas sun saktey hain , 1985 main bhi Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)manaya jata tha mager ap aaj logon ka “Main so jaon ya Mustafa kehtey kehtey –khuley aankh Salley Alla kahtey kehty”ki awaz per or new jazbey or walwaley key sath Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)ka jashan manatey aaj is nasal ko dekh saktey hain. ye mohabbat aaj sey 20 saal pehley kion nahi thi?aaj Nabi-e-Pak(Sallah-o-Alihey Wassalam)key aashiq pichley zamano sey ziada hain?ager waqai ye Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sachey Ashiq hotey to aaj ka Musalman itna pershan nahi hota. Kia ye nasalon ki zehan ki tabdeeli to nahi ?dehan sey sochain Bachon key zehan ek sadey kaghaz ki tarha hotey hain jo bachpan ka perha hua sabaq kabhi nahi bhooltey or wo hi in bachon ki shakhsiat ki bunyad hoti hai phir aagey chal key us bunyad per hi un ki zindagi ki emaarat khhari hoti hai, 1985 main jin bachon ki age 10 saal thi or unhon ney jis sadgi sey Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)key jalsey jaloos dekhey or aaj apni 30 saal ki age main jo unhon ney taraqqi ki (Kio key un bachon key masoom zehan main jo aqeedat bethi wo aqeedat agey chal ker yaha tak ponchi jo ap key samney hai) to ye shochain key jin bachon ki age aaj 10 saal hai or wo aaj jo Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sath apney baraon ki jo aqeedat aaj dekh rahy hain to issi taraqqi ki rafter sey aaney waley 20 saal bad kitni taraqqi ki manazil per pohanch chukey hongey? or phir ye nasal jaha tak bhi pohnchey gi mager un ki aaney wali nasal wo sab dekh key kia hasil kerey gi? Aap ye sab baton ko ye mat sochiey ga key ye khayalon ki batain hain,ap ek seedhi deewar banana chahain to yaqinan her step per aap us deewar ki seedhey rehney key liayin dehan dain gey mager aap jab bohat maamooli faraq key sath ek step main faraq ker detey hain to yaqinan us waqat to mehsoos nahi hoga mager yaad rakhiey wo maamooli faraq bhi 10 ya 20 step key bad us deewar ko teraha honey ka faraq pata chalna shoro hojaey ga.or wo hi maamooli maamooli faraq issi tarha ager kertey gaey to yaqinan ek waqat sirat-e-mustaqeem badal jaey ga. Umeed hai tamam log humari batain samjh gaey hongey. Hum ye nahi kehtey key khudana khuasta koi shirk ker raha hai ya. Hum to wo ap sab ko taareekh key wo pages dekhana chahtey hain key kis tarha mukhtalif qoomain gumrah hoi ? Wo konsi wajoohat thi jin sey mukhtalif mazahib wajood mian aaey? Kio key wo bhi humari tarha hi Insan they,or kahin na kahin sey to gumrahi ki bunyadain qaaim hoi hongi? hum apni Naslon ko wo taleem dain jo humarey Nabi-e-Pak(Sallah-o-alihey Wassalam)ney dain hain,or kam sey kam hum un baton ka khayal rakhian key sahi maayno main Nabi-e-Pak (Sallah-o-alihey Wassalam) or Buzurgan-e-Deen ki mohabbat or ehtaram utna hi karain jitna Allah ka Hukum hai.or apni naslon ko wazahat sey seekhain. Allah Taala humain Amal ki tufeeq ata farmaey or humain sahi maayno mian Hazoor(Sallah-o-alihey Wassalam) key Ehkamat ko samjhney main humari madad farmaey.Ameen Or A Allah ager hum sey likhney mian or samjhney mian koi Khata hoi ho to humain maaf farmaey. Ameen Ek aakhiri derkhuasat key sath key apney zehan sey bilkul firqey ka naqab utar ker bohat dehan sey sochiey ga or apney zameer ko gawah bana ker aaj nahi ek haftey baad ya ek month baad ya ek saal baad ap humari batain zaroor sochiey ga. Hosakta hai apko kuchh sachai nazar aajey Or humara maqsad is topic per behas kerna nahi plssssssss jawabat nahi dijiey ga sirif sochiey ga, Duaon ka talabgar Nasir Noman ,
  22. dost ek to ye key hum ney araz ki thi jis tarha Eid Milad un Nabi Sallaho ALihjey Wassalam Pakistan or India mian manaya jata hai or barey barey Jalsey jaloos hotey hain, ek to ye bat hum ney pehley bhi batai thi key Seerat un Nabi Sallho Alihey Wassalam dewobandi bhi manatey hain or essi speech bhi hoti hain. or aap ney jitni bhi vedio post ki hain kia Pakistan or India main bhi itney hi log hotey hian jitney in vedio main nazar atey hain? ap ka kahna hain key dunia key billion Musalman Barailvi aqeedon per amal kertey hain. kia jaha ye mehfil hoi hain waha ki abadi bohat kam hai ya aap billion ka matlab nahi samjhtey? Khana-e-Kaaba key ijtem,aa ko dekhain ye sirif 06 million hota hai Bangala desh main taqreeban 4 million ka ijtemaa hota hai uski pic bhi youtube per search kerain RaeyWind ka Ijtemaa 2.5 million ka hota hai uski pic bhi apko Youtube per mil jey gi Faizan-e-Madinah ka Ijtemaa bhi 2.5 million ka hota hai wop bhi apko youtube per mil jaey gi Shia Hazrat key Jaloos bhio bohat barey barey hotey hain wo bhi apko youtube per mil jain gey, kehney ka maqsad ye hain in you tube ki pic sey sey ap ye sabit kerna chahtey hain key poori dunia main billion(100,000,000 ye ek billion hai) barilvi aqeedon key log hain ? ap dobara dekhain in vedio ko or khud sochain ap kia sabit kar rahy hain?
  23. apko pichhli post main is ka jawab mil gaya hoga hum ney jawab dia tha key khushboo ko bataney ki zarorat nahi perti key main khushboo hoon wo to apney aap pheljati hai. herat hai key Pakistan or India main itney barey Ijtemaat hotey hain Eid Milad Un Nabi Sallaho Alkihey Wassalam per,Buzrugan-e-Deen key Uurus per barey barey jalsoon per or sab sey bari apki ek nishani Green Emama per jin sey newspapar or vedio bhari hoi hoti hain apko kia mushkilat pesh arahi hain? or bhi bohat sari cheezaibn hain wo bhi bata dain gey ager apko chahiey hoon
  24. Dost ap ney kaha sari dunia key Muslaman barailvi aqaid key mutabiq amal kertey hain to hum ney kaha key ager sari dunia apkey aqaid per amal kerti hai to ap sabit karey kio key ye Aqeedey to Pakistan or india mian itney ziada hain or is jadeed dor main newspapar vedio or bohat sari essi cheezain hain jin sey ap ye jasey or jaloos dekha saktey hain or reh gai baat key hum ye sabit karain key dunia main kon sey log in aqeedon par amal nahi kartey? hum ap sey keh rahy hain key kon sey muslim in aqeedon per amal kertey hain or ap kehtey hain key hum unlogon ko apko dekhain jo log in baton per amal nahi kertrey kia hum youtube walon ko kahin key ap un sari Muslim dunia key logon key gheron main jaker movi baney jo essey aqeedon per amal nahi kar rahy ya newspapaer waley un ko collection kerey jo in aqeedon per amal nahi kartey? kia ap sirif Karachi main hi bata saktey hain kitney log Wahabi aqeedey key mutabiq amal kertey hain? kia khayal hai ye apka sawal drust hai ?
×
×
  • Create New...