Nasir Noman
Under Observation-
کل پوسٹس
198 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
سب کچھ Nasir Noman نے پوسٹ کیا
-
Assalam ALikum Saeedi bhai, ap sey guzarish hai k Owais bhai ki baat chal rahi thi is liyain hum koi reply nahi dey rahy they. ab hum ap sey wahi sey baat shoro kertey hain jaha humari ap sey baat khatam hoi thi. wesey hum abhi tak apkey pesh kiey hoey Quraan Paak sey dalail k jo jawabat hum ney pesh kiey hian hum un jawabat ka bhi intezar kar rahy hian. or apkey kuchh aitrazat k jawabat bhi hazir hian.(in mian sey kuchh jawabat hum issi thread main dey chukey hian jo shayad ap ney nahi perhey) umeed hai is dafa ap intehai tassali sey tawajjaey sey ghore farmaey gey. Nasir Noman
-
Assalam ALikum Owais bhai, ap sey darkhuasat hai k ab hum baat shoro kar rahy hain ap sey guzarish hai k ap koi new post na kijiey ga. kio is tarha baat adhoori rahjati hai. jab humari baat mukammal hojaey phir aap baat kar saktey hian. shukria Nasir Noman
-
Assalam Alikum, Abu Owais bhai ap sey request hai k ager ap ijazat dain to is point sey hum apni baat shoroo karain ????? pls reply me NAsir Noman
-
Assalam ALikum, Abu Owais bhai ki baat mukammal hojaey to hum phir baat shoroo karey gey. kio k is tarha baat udhoori rehjati hai. Abu Owais bhhai apki baat mukammal hojaey to ap yahi masg kar dijey ga takey hum apni baat kerskay. Nasir Noman
-
Assalam Alikum Saeedi sahab, Kamal hai dost apko Allah Taala key wazeh or saaf saaf ehkamat samjh nahi aarahay apko Saeed Kazmi sahab ki batain samjh aarahi hain ? Saeed Kazmi sahab ney sirif ek Ayat Mubaraka or ek Hadees Paak pesh ki hai or wo bhi Islam ki bunyad Toheed ko apney aqeedey k mutabiq drust sabit karney k liayin or ap ko sari baat samjh aagai ????? jabkey apko Quraan Paak mian bohat sari jaga Allah Taala key wazeh or saaf Saaf roshan ehkamat samjh nahi aarahay "Allah k siwa koi madadgar nahi""Allah ki madad sab sey behtar hai""Allah tumhari madad nahi kary ga to kon hai jo tumhari madad karey""or Haq hai hum per madad eman walon ki" ?????? humari post main wazeh tor per is daleel ka jawab dia hai apkey paas is Daleel ka jawab hai to zaroor pesh kary. hum intezar kaery gey Nasir Noman
-
Assalam Alikum Abu Owais bhai or Asif Attari sahab, Abu Owais bhai ye 10 sawal ki baat to baad ki hai ap humari urdu ki post perhain ap sey darkhawasat hai k abhi baat aagey na lay kar chalain. shukria abhi hum apney sawalat ka jawab ka intezar kar rahy hian Asif Attari sahab barh-e-mehrbani humari urdu wali post per ek bar phir ghore farmaey. Shukria Nasir Noman
-
Assalam Alikum Saeedi bhai, huma ney to bohat tafseel sey wazahat ki hai apkey paas Saeed Kazmi sahab k jawabat mojood hian to pls humain zaroor batain wesey to hum ney Saeed Kazmi sahab ki tashreeh ko madd-e-nazar rakhtey hoey hi jawabat deyney ki koshish ki hai ager phir bhi ap samjhtey hian k hum Saeed Kaazmi sahab ki koi baat nahi samjh sakey to pls zaroor nishandahi farmaey. hum intezar kary gey. Nasir Noman
-
Assalam-o-Alikum Yasir Bhai, Kia aap is Biddat ki tareef kersaktey hian jis key liyain Hazoor Sallaho Alihey wassalam ka irshad hai key "Biddati Jahanumi hian" Humain intezar rahy ga Nasir Noman
-
Assalam-o-Alikum Asif Attari Sahab, Post hazir hai barah-e-mehrbani tawajjey sey aakhir tak perhiey ga samjhiey ga. Nasir Noman
-
Assalam-o-Alikum Asif bhai ye post bhi hazir hai jo third page per mojood hai dobara hazir hai Nasir Noman
-
-
-
Assalam-o-Alikum Qadri bhai, apkey jawab is link per tafseel sey mojood hai. urdu main likhi hoi post hain, dehan sey tawajey sey mulahiza farmaey. Allah hum sab ko apna kalam-e-Paak samjhney or amal ki tofeeq ata farmaey.Ameen link ye hai is page sey ley ker aakhiri page tak urdu main likhi hoi post mulahiza farmaey. http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...=1550&st=60 Nasir Noman
-
-
-
BHai hum ney ek bhai k sawal ka ye jawab dia tha shayad ap ney perha nahi aap bhi perh lain. Assalam-o-Alikum Yasir Attari Bhai, Ap is topic per new hain is liayin pehley aap baat shoro sey perhlain k baat kaha sey shoro hoi? Sab sey pehli baat ye hai k hum koi Mufti nahi k jo kissi k khilaf koi fatwa jari kary. Mozoo is waqat ye hai k “kia Allah k naik bandey Allah k siwa madd karsakty hian” Or is mozoo k liyain hum ney ooper jo daleel k jawabt pesh kiey hain wo Quraan Pak sey hain. Ager ap key paas Quraan Paak sey daleel hain to zaroor jawab Inayat farmey Or hum ney Haqooq ul Ibaad ki mukammal tashhreeh nahi bayan ki sirif mozo ki had tak tashreeh ki hai. Ager apkety pas Haqooq ul Ibad ki mukhtalif tashreeh hai to humain zaroor batain Or ye bhi batain k humari post mian haqooq ul Ibaad ki kaha ghalat tashreeh hai? Or rahi baat Burugan-e-deen key aqwal ya Amal ki Jab ek taraf Ulama-e-Kiram or Buzrugan Deen ek kaam ko ghalat farmatey hain Dosri taraf ussi kaam ko drust bataya jaey Or faraq Zameen or Aasman ka hojaey Or masla bhi bareeki wala na ho Balkey Toheed ho Jo k Islam ki bunayad ho To kia Quraan Paak main is bunyadi Rukun k barey main bhi hum khud nahi samjh saktey ? Jabkey Quraan Paak ka bara Hissa Shirk or Kufur k Ehakamat k mutaliq hai Buzugan-e-Deen k aqwal or amal per Phir is zmeen or asman k faraq main sirif ek hi baat samjh aati hai Jesa k Yahood or Nasara ney Allah ki kitab main rad-obadal ker k such or haq chhupaya To kia is dor main Burugan-e-deen k qol or amal k mutaliq jo kitabain hain us mian koi apni marzi sey tabdeeliain nahi karsakta ? Jesa k humary piyarey Nabi Sallaho ALihey Wassalam ka irshad hai “k ye ummat bani Israil ki itbaaa kery gi”(ye Hadees Pak issi topic mian shoro ki post main byan ki gai hai) Is liyan tahreef mumkin hai. Or is ka sabot Quraan Pak sey mil sakta hai. Kio k kissi bhi Buzrugan-e-Deen ka qol or Amal Quraan Paak sey nahi takra sakta. Is liayin hum ney Quraan Pak sey apki Daleel k jawabat diey hain Ager apkey pas in daleel k jawabat hain to zaroor pesh kary takey hum apni Islah karlain.
-
Asif Attari Sahib, humari post hazir hai ap sy guzarish hai l Lafzon ki Ghaltian pakarney k bajey likhney waley k maqasad ko samjhney ki koshish kia karey. ap sey dosri guzarish hai k humari pichhli urdu mian likhi ho poston ko bhi baghor perh lijiey ga.or hosaky to un post ka bhi jawab dey dijey ga. v imp note:ager jawabat deyney k bajey sirif Zid kery gey to hum agey baat cheet na karsaky gey.kio k Zid ka koi jawab nahi hota. Nasir Noman
-
Asslam-o-Alikum, Doston humari new post hazir hai. barah-e-meherbani jawab deney main jaldi na kijey ga. Nasir Noman Toheedi bhai, apkey masage ka ek bar phir shukria Allah apko bhi jaza-e-kher ata farmey Ameen. dost bat ye hai k yaqin maney is likhney mian humara Zarra babar bhi kamal nahi. bas ye Allah Rabbul Izzat ka behad behad shukar hai k jo log sirat-e-mustaqeem per chalna chahtey hain un k liyain Allah Taala hidayat k rastey roshan farmata jata hai belive me humara gharana bhi baralivi tha bas Allah Taala ka jitna bhi shukar ada kia jaey wo kam hai k us ney humary Dada ko hidayat ata farmai or Allah Taala ney hum per sirat-e-Mustqeem roshan farmaya. hidayat sirif ussi ko milti hai jis ko Allah chahey or Allah un logon ko hidayat dyta hai jo apney dil ko naram rakhtay hain apney dil main sakhti nahi rakhtay. kio k barish ka pani ussi zameen ko sarsabz krta hai jo naram ho. sakhat zameen per barish ka pani bhi asar nahi karta. tamam nishanian dekhney k baad Zid nahi kartay. Allah Tala hum sab ko hidayat dey. Ameen Summa Ameen humara email address ye hai [email protected] Nasir Noman
-
Assalam-o-ALikum Toheed bhai apka behad shukria himat afzai ka ap thora sa saber ker lian insha Allah taala Allah haq ko hi buland farmaey ga hum is thread per Allah taala ki mdd sey kaam kar rahy hain apki baat cheet sey topic alag rukh per chala jaey ga Allah apko jazaey kher ata farmaey Ameen aap Allah Taala sey dua farmey k Allah humian himat or Taqat ata farmaey or humari madad farmey.Ameen kal Insha Allah Umer Taj Attari bhai ka jawab hum post kerney ki koshish kery gey Allah Taala humari maddad far maey Ameen Nasir Noman
-
Janab Poori Ayat apkey samney hain ap khud hi faisla farmaey kia Allah Taala ney Allah ki raH main Shaheed honey walon ko jo zinda farmaya hai kia us ki waja ye hai k wo humary apkey darmiyan zindah hain ? ap khud hi Ayat per ghore farmalain or humain is poori Ayat ki tashreef bhi farmadain. NAsir Noman
-
Assalam-o-Alikum Umer Taj Attari Bhai, apka jawab kafi tafseel sey pichhli post main mojood hai Mukhtasir si Tareef doara hazir hai. Allah Taala ki Zaat or Sifaat main kissi ko Allah ka Shareek manna Shirik kahlata hai. Aap logon sey sirif ek guzarish hai k aap apney logon main sey ek ko chun lain jis sey hum baat kar sakey sarey log ek sath baat kary gey to sab ko ek sath jawab dena mumkin nahi. Shukria
-
Assalam-o-Alikum Yasir Attari Bhai, Ap is topic per new hain is liayin pehley aap baat shoro sey perhlain k baat kaha sey shoro hoi? Sab sey pehli baat ye hai k hum koi Mufti nahi k jo kissi k khilaf koi fatwa jari kary. Mozoo is waqat ye hai k “kia Allah k naik bandey Allah k siwa madd karsakty hian” Or is mozoo k liyain hum ney ooper jo daleel k jawabt pesh kiey hain wo Quraan Pak sey hain. Ager ap key paas Quraan Paak sey daleel hain to zaroor jawab Inayat farmey Or hum ney Haqooq ul Ibaad ki mukammal tashhreeh nahi bayan ki sirif mozo ki had tak tashreeh ki hai. Ager apkety pas Haqooq ul Ibad ki mukhtalif tashreeh hai to humain zaroor batain Or ye bhi batain k humari post mian haqooq ul Ibaad ki kaha ghalat tashreeh hai? Or rahi baat Burugan-e-deen key aqwal ya Amal ki Jab ek taraf Ulama-e-Kiram or Buzrugan Deen ek kaam ko ghalat farmatey hain Dosri taraf ussi kaam ko drust bataya jaey Or faraq Zameen or Aasman ka hojaey Or masla bhi bareeki wala na ho Balkey Toheed ho Jo k Islam ki bunayad ho To kia Quraan Paak main is bunyadi Rukun k barey main bhi hum khud nahi samjh saktey ? Jabkey Quraan Paak ka bara Hissa Shirk or Kufur k Ehakamat k mutaliq hai Buzugan-e-Deen k aqwal or amal per Phir is zmeen or asman k faraq main sirif ek hi baat samjh aati hai Jesa k Yahood or Nasara ney Allah ki kitab main rad-obadal ker k such or haq chhupaya To kia is dor main Burugan-e-deen k qol or amal k mutaliq jo kitabain hain us mian koi apni marzi sey tabdeeliain nahi karsakta ? Jesa k humary piyarey Nabi Sallaho ALihey Wassalam ka irshad hai “k ye ummat bani Israil ki itbaaa kery gi”(ye Hadees Pak issi topic mian shoro ki post main byan ki gai hai) Is liyan tahreef mumkin hai. Or is ka sabot Quraan Pak sey mil sakta hai. Kio k kissi bhi Buzrugan-e-Deen ka qol or Amal Quraan Paak sey nahi takra sakta. Is liayin hum ney Quraan Pak sey apki Daleel k jawabat diey hain Ager apkey pas in daleel k jawabat hain to zaroor pesh kary takey hum apni Islah karlain.
-
Assalam-o-ALikum Umer Taj Attari Bhai new post Hazir hai ap sey guzarish hai k intehai tawajjey sey perhiey ga jawab deyney mian jaldi na kijiey ga Nasir Noman
-
Assalam-o-Alikum, Umer Taj Attari bhai shirik ki tareef hazir hai apkey aqeedey k mutabiq ap tasli sey perh lain ager koi ghalti hai to barah-e-meherbani nishandahi farmey ager drust hai to batain takey hum aagey baat shoro kersaky in daleel ka jawabat k sath sath apko wazahat hoti jaey gi Nasir Noman
-
humari mehnat ka maqsad jeet ya haar nahi hai balkey Islah hai humara ajar Allah k pas hai or hum Allah sey hi ajar k talabgar hain.