Jump to content

Karam Ho Ya Rasool Allah

اراکین
  • کل پوسٹس

    1,114
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Karam Ho Ya Rasool Allah نے پوسٹ کیا

  1. QISMAAT MERE CHAMKAEYE Qismaat maire chamkaeye chamkaeye Aaqa Mujh ko Dar-e-Pak pe bulawaeye Aaqa Seene mein ho Kaaba to baase dil mein Madina Aankhoon mein mere Aap samajaye Aaqa Betaab hoon bechain hoon Deedaar ki khatir Tarpaein naa Ab khawab mein Aaajaeye Aaqa Her simt se aafaat-o-bilyaat ne ghayraa Majboor ki imdaad ko ab aaye Aaqa Sakraat ka alam hai Shaha ! dham hai laboon per Tashreef sirhanein mairay ab laaye Aaqa Wahshat hai andhaira hai mere qabr kay ander Aaa kar zara roshan lse Farmaye Aaqa Mujrin ko leye jate hein ab soe jahannum Lillah! Shifa'at maire Farmaye Aaqa ATTAR pe ho bahre Raza itni inaayat Wiraana-e-dil aa kay basa jaye Aaq
  2. QAFILA CHAL DIYAA MADINE KA Izn mil jae ger Madine ka Kaam ban jae ga kaminay ka Jaa kay Un ko dikhaoon ga mein to Zakham-e-dil aur dagh seene ka Qalbe Ashiq dharak otha aik dham Zikr jab chir gia Madine ka Maire ankhoon se ashk jaari howe Jab chala Qafila Madine ka Us ki qismat per rashq ata hai Jo musaafir howa Madine ka Tujh pe Rehmat ho zaeere Taiba Jaa, nigahbaan Khuda safeenay ka Sab ko Aaqa bulaein gae ik din Izn mil jae gaa Madine ka Ho Ghame Mustafa ata Ya Illahi Dard barhata rahe Madine ka Naz'aa mein, qabr mein, qiyamaat mein Tum hi rakhna bharam kaminay ka Dour ranjo alam hoon duniya kay Ham ko mil jae gham Madine ka Ail mudat se dil mein armaan hai Jaame Deedaar-e-Yaar peenay ka Aapne ATTAR per ho Nazer-e-Karam Sag bana lejeye Madine ka
  3. MUJHE BULALO SHAHE MADINA Mujhe bolalo Shahe Madina ye Hijr ka gham sata raha hai Mein Dar pe aaon yahi to armaan dil mein tofaan macha raha hai Hai sahna doshwaar ye jodai meri ho Dar tak Shaha Rasai Nahi bharosa hai zindagi ka ye dil mera dooba jaa raha hai Nahi tamana-e- maalo dolat nahi mujhe khuwaish haqoomat Meri nazar meinhaseeno dil qash wo Sabz Gumbad sama raha hai Yahi to hasrat rahi hai dil mein mujhe ajal bhe wohi per aae Jahan pe Aaqa hai piyaara Roza yahi to Aarman sada raha hai Hai jholi khali Aay Shahe Aaali hai arz karta Tera sawali Zalil mangta muradein lainay ko haath ghande barha raha hai Ay benawao gadaoo pasare damen safeen banao Khazana Rehmat ka banta wo Mehboob Aaa raha hai Gadae darjaa balab hai Aaqa Niqaab Othao dikha do jalwa Hoon tishnae Deed per Aanayat jahan se piyaasa hi jaa raha hai Mein goore teeraa mein aa para hoon, firishte bhe aa choke hein sar per Chale gae naaz othane wale Tera hi ab asara hai Hai nafse nafse Chahar janib Nisaar jaon kaha ho Moula Chopa lo Damen mein piyaare aa kar ye shoore mehshar dara raha hai Khuda-e-Ghafaar bakhs de ab To laaj Mehboob rakh hi lay ab Hamar GhamKhuwaar Fikre omat mein Aansoon baha raha hai Saba jo paira ho Kowe Jaana to ghamzaada ka Salaam kahna Ye Aarz karna Ghareeb ATTAR kab Madine ko aa Rraha hai
  4. KUCH OR BAAT HOTI Mein jo youn Madine jata to kuch or baat hoti Kabhi lout kar na aata to kuch or baat hoti Mein Madine to giyaa tha bara sharaf tha laikin Wahein dam jo toot jata to kuch or baat hoti Gham rozgaar mein to mairay ashak bah rahe hein Tera gham agar rolata to kuch or baat hoti Na fazool kaash! hanstaa Tere Yaad mein tarapta Mujhe chain hi naa aata to kuch or baat hoti Yahi Aaah! fikere duniyaa mera dil jala rahe hai Ghame hijer ghr satata to kuch or baat hoti Yahan qaber mein yaqeenen Teri Deed mujh ko ho ge Jo Baq'qe mein qaber pata to kuch or baat hoti Bazbane zaireen tomein Salaam baijtaa hoon Kabhi khod Salaam Lata to kuch or baat hoti Aare zaere Madina! tu khoshi se hansh raha hai Dil ghamzada jo lata to kuch or baat hoti Meri aankh jhab bhe kholti, Teri Rehmatoon se Aaqa Tujhe samane hi pata to kuch or baat hoti Kyoun Madina chore aya Tujhe kya tha ATTAR ? Wohein ghar agar basata to kuch or baat hoti
  5. SABZ GUMBAD KAY SAE MEIN GHAR CHAHEYE Mujh ko duniya ki dolat na zar chaheye Shahe Kauser ki meethi Nazar chaheye Haath othte hi bar aae her mod aa Wo duaaon mein Moula Asar chaheye Aashikaane Nabi kay dil ki hai sadaa Sabz Gumbad kay Sae mein ghar chaheye Zouq barhata rahe Ask bahte rahein Muztarib qalb or chasham chaheye Raat din ishq mein Teray tarapta rahon Ya Nabi ! Aaisa sooze jigar chaheye Ya Khuda! jism se jaan jab hi juda Jalwa-e-Yaar peshe nazar chaheye Bas Madine mein do ghaz zameen dejeye Aur kuch na shahe Bahro Bar chaheye Ham ghareeboon ko Roze per bola loo Rahe Taiba ka zaade safar chaheye Apne ATTAR per ho Karam bar bar Izan Taiba ka bare digar chaheye
  6. DUE-E-MADINA Ya Rab-e-Muhammad meri taqdeer jiga day Sahrae Madina mujhe aankhoon se dikha day Peecha mera duniya ki mohabat se chora day Ya Rab mujhe diwana Madine ka bana day Rota howa jis dam mein Dar-e-Yaar pe pohonchoon Us waqt mujhe Jalwae Mehboob dikha day Dil ishq-e-Muhammad mein tarapta rahe her dam Seenay ko Madina meray Allah bana day Bahte rahe her waqt jo Sarkaar k gham mein Rote howi wo Aankh mujhe mairay Khuda day Imaan pe day mout Madine ki gali mein Madfan mera Mehboob kay Qadmoon mein bana day Ho bahre Raza Karam sowe Gunahgaar Jannat mein paroosi mujhe Aaqa ka bana de Daita hoon Tujhe wasita mein piyaare Nabi ka Omat ko Khudaya Sunnat pe chala de ATTAR say Mehboob ki Sunnat ki lay khidmat Danka ye Tairay Deen ka duniya mein baja day Allah! milay Hajj ki isi saal sa'adat ATTAR ko phir Roza-e-Mehboob dikha day
  7. PUKARO YA RASULALLAH , YA HABIBALLAH PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIB ALLAH NABI KA JHANDA LE KAR NIKLO DUNYA PAR CHA JAO NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO PUKARO YA RASULALLAH , YA HABIBALLAH LAB PAR NAAT PAAK KA NAGMA KAL BHI THA AUR AAJ BHI HAI MERE NABI SE MERA RISHTA KAL BHI THA AUR AAJ BHI HAI NABI KA JHANDA OONCHA RAHEGA NAARA YE HI LAGAO NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIBALLAH QIRYA QIRYA BASTI BASTI ZIKR NABI KA AAM KRO NABI KI AZMAT KE GUN GAO WIRD YE SUBHO SHAAM KRO NABI KA JHANDA OONCHA RAHEGA NAARA YE HI LAGAO NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIBALLAH RANG BARANGE JHANDAY CHORO THAAM LO GUNBAD WALA HUM SAB PAR RAAZI HO JAYEGA PIYARA MADANI AAQA ISS JHANDAY KE SAYE TALAY TUM MIL KAR QADAM BARHAO NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIBALLAH YA RASOOL ALLAH KE NAARAY SE HUM KO PIYAAR HAI HUM NE YE NAARA LAGAYA APNA BERA PAAR HAI KHULD ME HOGA HAMARA DHAAKLA ISS SHAAN SE YA RASULALLAH KA NAARA LAGATAY JAYENGE PUKARO YA RASOOL ALLAH , YA HABIBALLAH SABZ HILALI PARCHAM YARO HUM KO JAAN SE PIYARA HAI ISS PAR GUNBAD-E-KHIZRA HOGA YE MANSHOOR HAMARA HAI ISS GUNBAD KE SAYE TALAY TUM SAB EK HO JAO NABI KA JHANDA AMAN KA JHANDA GHAR GHAR PAR LEHRAO PUKARO YA RASULALLAH , YA HABIBALLAH
  8. JAB GHUMBAD-E-KHAZARAH PE WO PEHLE NAZAR GAE Jab Ghumbad-e-Hazara pe wo Pehle nazar gae Ankhoon ke raste meray dil mein ooter gae Sar kham, lab khamoush thay Aankhein thein ashkbar Ik Sa’at-e-bedar thi jo ke Guzar gai Mein Barish-e-Karam mein nahasa gia o’odher Wo Barish-e-Karam meray daman ko barh gai Dil bhi hai shad shad tabi’at hai pur bahar Lagta hai Aaj mere Madina Khabar gai Taiba se lotna kisi Aashiq se pochiye Aisa hai jaise rooh badan se guzar ga’ee Aawaz Ubaid Teri bafezan-e-Naat hi Sinoon mein Aashiqan-e-Nabi ke o’oter gai Jab Ghunbad-e-Khazarah pe wo Pehle nazar gae Ankhoon ke raste meray dil mein ooter gae
  9. AGAYAA WO NOORWAALA JISKA SAARA NOOR HAI Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he Agia wo noore waala jiska saara Noor he Aankh waalo aao dekho maahe Taiba ki ziyaa Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he Jisne jo kuch Noor payaa sub Teri Sarkaar se Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he Jis taraf ko oth gayee aalam munawar hogaye Me Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he Mustafa ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar Mustafa ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he Istaraf bi ek nighahe Noorale Noorala Me sarapaa ma’siyat hoon Tu sarapaa Noor he Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he Agia wo noor waala jiska sara Noor he
  10. Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Ghumbad Dekh kar Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh kar Qaif tari hai Qalam per Sabz Gumbad Dekh kar Hai muqad’darYa wari par Sabz Gumbad Dekh kar Phir na kyoun Jhumay Sanagar Sabz Ghumbad Dekh kar Masjid-e-Nabwi pe pohonche Marhaba Sale A’ala Ho gia Jari Zuban per Sabz Gumbad Dekh kar Aap se bas Aap hi ko mangta hai Ya Nabi Aap ka Adna sanagar Sabz Gumbad Dekh kar Aahaey ATTAR Tugh se itna be na ho saka Jan kar de ta Nichawar Sabz Ghumbad Dekh kar Likh Raha Hoon Naat-e-Sarwar Sabz Gumbad Dekh kar Qaif tari hai Qalam par Sabz Gumbad Dekh kar
  11. MERA DIL OR MERE JAAN Mera dil aur Meri jaan Madine waale Tujh pe sawjaan se qurbaan Madine Waale Sub ke matloob ka Mahboob he matloob he Too Allah Allah reh Teri shaan Madine waale Tera Dar chor ke jaa’o to kaha jaa’o mein Mere Aqaa mere Sultaan Madine waale Bar de bar de mere Aqaa meri jholi bar de Ab na rakh be saro samaan Madine waale Aare aati he Teri zaat har ekh dokhya ke Meri mushkil bhi ho asaan Madine waale Phir tamanna-e Ziyaarat me kiya dil be chain Phir Madine ka he armaan Madine waale Aur Kash mein urhta perhoon Khaaqh-e-Madina ben kar Aur machalta rahoon Sarkar Do Aalam ke leye
  12. BARVEEN KA CHAND AAYA Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Jhumo Jhande Lagao Ghar ko Sajao Karke Charagha Khushian Manao Jhumo Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Jhumo Bacha Bacha Muskuraya Bacha bacha Muskuraya Barvee ka Chand aaya Khushiyon ka tufan laya Khushiyon ka tufan laya Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Jhande Lagao Ghar ko Sajao Karke Charagha Khushian Manao Jhumo Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Shadmani ke tarane goonjte hai daher mein Shadmani ke tarane goonjte hai daher mein Wajd mein har shaks aaya Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Jhande Lagao Ghar ko Sajao Karke Charagha Khushiaan Manao Jhumo Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Aamad e Mustafa Marhaba Marhaba Aamad e Mujtaba Marhaba Marhaba Aamad e Mustafa Marhaba Marhaba Aamad e Mujtaba Marhaba Marhaba Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Jhande Lagao Ghar ko Sajao Karke Charagha Khushian Manao Jhumo Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Roushne hai raushnee hai chandni hi chandni Zarra Zarra jagmagaya Barvee ka chand aaya Zarra zarra jagmagaya Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Jhande Lagao Ghar ko Sajao Karke Charagha Khushian Manao Jhumo Hogaye hain band sare zulmaton ke bab aaj Daher mein wo noor aaya Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Jhande Lagao Ghar ko Sajao Karke Charagha Khushian Manao Jhumo Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Saaz e jaan pe baj raha hai ek naghma bar bar Saaz e jaan pe baj raha hai ek naghma bar bar Amina ka lal aaya Amina ka lal aaya Barvee ka chand aaya Amina ka lal aaya Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya Jhande Lagao Ghar ko Sajao Karke Charagha Khushian Manao Jhumo Barvee ka chand aaya Barvee ka chand aaya
  13. PESH-E-HAQ MUZHDA SHAFA’AT KA SUNATE JAEIN GAE Pesh-e-Haq Muzhda Shafa’at ka sunatein ja’aen gae Aap rote jaen ge ham ko hasate jaen gae Dil nikal jane ki ja hai a’aah kin ankhoon se wo Ham se piyasoon ke leye darya bahate jaen gae Kushtugan-e-garmeye mehshar ko wo jaan-e-maseeh Aaj Daamen ki hawa day kar jalate jaein gae Gul khiley ga Aajye Un ki Naseem-e-Faiz se Khoon rote a’aen gae ham muskarate jaen gae Hanh chalo hasarat zado suntain hain wo din Aaj hai Thi khabar jis ki ke wo Jalwa dikhate jaen gae Aaj Eid-e-Aashiqan hai gar Khuda chahe ke wo Abrowe pewasta ka a’alam dikhate jaen gae Kuch khabar hai faqiro aaj wo din hai ke wo Na’amat-e-Khuld aapne sadke mein lotate jaen ge Khaqoftado bas Un ke Aane hi ke dair hai Khud wo Sajde mein gir kar tum ko utate jaen gae Wasa’atein di hein Khuda ne Daamene Mehboob ko Jurm khilte jaen gae aur wo chupate gaen gae Lo wo a’ae muskarate ham aseroon ki taraf Khirman-e-Esiyaan pr aab bijile girate jaen gae A’ank kholo ghumzado dekho wo giryaan a’ae hein Lohe dil se Naqsh-e-ghum ko ab mitate jaen gae Sokhta janoo pe wo pur joush Rehmat aae hein A’ab-e-Kouser se lagi dil ki bhojate jaen ge A’aftab un ka hi chamke ga jab o’oroon ke charagh Sir Sir joushebala se jhil milate jaen gae Paey ko banh pul se guzrein gae Tere awaz per Rabe Sal’lim ki sada per wazad late jaen gae Sarware dheen lijiye Apne natawanoo ki khaber Nafso shitaan shida kab taq dabate jaen gae Hasher tak dalein gae ham Pedaeshe Moula ki dhoom Misle faras najd ke qil’ey girate jaen gae Khaq ho jaen a’ado jal kar maghar ham to Raza Dam mein jab tak dam hai zikr un ka sunate jaein ge Pesh-e-Haq Muzhda Shafa’at ka sunatein ja’aen gae Aap rote jaen gae ham ko hasate jaen gae
  14. Mujhay bhi Madinay bula mere MOULA Mujhay bhi Madinay bula mere Moula Karam ki Tajalli dikha mere Moula Bohot beqarari kay Aalam main hoon main Meri beqarari mitta mere Moula Suna hay Madina karam hi karam hay Tu rakhta jahan main sabhi ka bharam hay Tujhe wasta tere piyaray Nabi ka Meri ab to bigri bana mere Moula Ye dono jahan Tere zer-e-aser hain Jo Tujh ko na maanain bare bekhaber hain Nahin jantay jo Tere Ghazab ko Unhein ghaflatoon say jaga mere Moula Jisay Tune chaha mein us pay Fida hoon Main Tere Muhammad kay der ka gada hoon Tujhe wasta kerbala ki zameen ka Mujhe her bala say bacha mere Moula Shafa'at ka wada keya Tune jis say Gunnah gaaar umeed rekhtay hain Tujh say Shafa'at karain tujh say ummat ki Aaqa Tu karna sabhi ka Bhala mere Moula Muhammad ko Tune jo Quran deya hay Karoroon diloon main mukamal chupa hay Ay..Quran kay Khaliq guzarish hay Tujh say Mere Dil main Quran basa mere Moula Mujhay bhi Madine bula mere Moula Karam ki Tajalli dikha mere Moula
  15. AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA Ai Sabze Ghumbadh wale manzoor Dua karna Jab waqt nazah aye deedar atha karna Ai Noor-e-Khuda aakar ankho me samaa jana Ya Dar pe bula laina ya Khaab me Aajana Ai Pardah nashi dil ke parde me raha karna Jab waqte naza aye deedar atha karna Mehboob Ilaahi sa koi na hasee dekha Ye Shaan he in ki k saaya bhi nahi dekha Allah ne saayeh ko chaha na Judah karna Jab waqt nazah aye deedar atha karna Me qabr-e- andheri me ghabraon ga jab thanha Imdaad meri karne ajaana zarah esharah Roshan meri Turbath ko Lillah zara karna Jab waqt naza aye deedar atha karna Chereh se diya paaye in chand sithaaro ne Us dar se Shifa paaye dukh dard ke maaro ne Atha he inni Saabir har dukh ki dawa karna Jab waqt nazah aye deedar atha karna Ai Sabz Ghumbad wale manzoor Dua karna Jab waqt nazah aye deedar atha karna
  16. MOULA YA SALLE WA SALIM DAEMEN Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Khalkekul Leeheme Aamina k Dilbaro Dildaar per laqhoon Salaam Aambiyaa kay Sarwaroo Sardar per laqhoon Salaam Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Kalkekul Leeheme Dono Aalam kay khazane Kar deye Haq ne Aata Do jahan k Malikoo Mukhtaar per laqoon Salaam Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Kalkekul Leeheme Qabr mein lahraen gay jis waqt Jalwe Noor kay Ham parhein gae Rohe Pur Anwaar per Lakhoon Salaam Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Kalkekul Leeheme Masjide Nabwe ke Mehraab or Mimber per Darood Sabz Ghombd or her Minaar per Lakhoo Salaam Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Kalkekul Leeheme Rehmatein Lakhoon Abu Bakro,Umer,Usman per Meray Moula Haider-e-Ali per Lakoon Salaam Moulaya Salle wa Salim Daemen Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Kalkekul Leeheme Meray Pyaare Peer-o-Murshid Syede Ghousul Wara Auliyaaullah kay Sardar per Lakhoon Salaam Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Khalkekul Leeheme Jo gia Ajmeer mein Dil ki muradein paa giya Meray Khuwaaja kay Sakhee Darbar per Lakhoon Salaam Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Khalkekul Leeheme Saeyde Ahmad Raza ne khob lika hai Kalaam Unke sare Naateya Asha'ar per Lakhoon Salaaam Moulaya Salle wa Salem Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Khalkekul Leeheme Meethay Murshid ne Baqi-e-Pak mein Paya Mazaar Sare baijho Murshide ATTAR per lakhoon Salaam Moulaya Salle wa Salim Daeman Aabadan Aala Habeebe ka Khairel Khalkekul Leeheme
  17. DAR-E-MUSTAFA SAY PA'ARE HATNE WALO Dar-e-Mustafa say pa're hatnay walo hova na guzaar phir kia karo gay. Koi bhe agar na howa Do Jahan mein waseela tumhara to phir kia karo gay. Nabi Je ki Ta'azeem say rokte ho Salaato Tasleem say rokte ho Ye Harkat tumhare Rasool-e-Khuda ko hoe na guwara to phir kia karo gay Nabi Je ki misal kahnay walo Khudara zara apne halaat to dekho Qiyamat kay Din Rahmate Mustafa ka hova na Ishaara to phir kia karo gay "Minallahi Noor" hai Quraan mein aya magar is ka inkaar tum kar rahe hoo Qiyaamat kay din munkiroon mein agar naam aya tumhara to phir kya karo gay Mohabaat Nabi ki Mohabat,Khuda ki Ata'at Nabi ki Ata'at Khuda ki Nahi mante hoo to na maano,laiken jo howa jb khisaara to phir kya karo gae. Parhe ge Qiyaamat mein jab nafse nafse,Sadaa dain gay Wo "umati umati" ki To us dam Shafey-eOmam nay tmhain jo diyaa na Sahara to phir kya karo gae Meray mulk-o-milaat kay nojawaano,Musalman bano,Najam(poet) ki baat maano Qiyaamat kay din tum say raa'ze howa na Mehmoob Piyaaara,to phir kya karoo gay.
  18. BULALO PHIR MUJHE AY SHAHE BAHRO BAR MADINE MEIN Bulalo phir mujhe Ay Shahe Bahro Bar Madine mein Mein phir rota howa aaon Teray Dar per Madine mein Mein pohonchon kowe jana mein garebaa chaak seena chaak Gira day kaash mujh ko shook tarpa kar Madine mein Madine jaane walo jao,jao FiAamanillah Kabhi to apna bhe lag jae ga bister Madine mein Salaame shook kahna Hajeo! mera bhe roo roo kar Tumhein aae nazar jab Roza-e-Anwar Madine mein Piyaame shook laite jao mera qafilay walo Sunana daastane gham meri roo kar Madine mein Mera gham bhe to dekho mein para hoon dour Taiba se Sakoon pae ga bas mera dile muzter Madine mein Na ho mayoos deewano Pukare jao tum Un ko Bulaein gay tumhein bhe aik din Sarwar Madine mein Bulalo ham ghareeboon ko Bulalo Ya Rasool Allah Pae Shabeero Shaber Fatima HAider Madine mein Khudaya wasita daita hoon Tujh ko Ghouse Aazam ka Dikha de Sabz Gumbad ka haseen manzer Madine mein Wasila Tujh ko Abu Bakro Umer,Usmano Haider ka Ilahi! Tu Aata kar day hamein bhe ghar Madine mein Madine Jab mein pohonchon kaash!Aaisa kaif taari hoo K rote rote ghir jaon mein ghas kha kar Madine mein Niqabe Rokh olat jae Tera Jalwa Nazer aae Jab Aae kaash Tera saail-e-bay per Madine mein Jo Taire deed ho jae to meri Eid ho jae Gham Apna day "Eidy" mein bolwa kar Madine mein Madine jonh hi pohoncha ashk jaari ho gae maire Dame rohsaat bhe tarap kar hichkiyaan bhar Madine mein Jodai ki ghari Aasik pe baihad Shaak hoti hai Wo rota hai tarap kar hichkiyaan bhar kar Madine mein Kahi bhe sooz hai duniya kay gulzaaroon mein baghoon mein Faza puraif hai loo daikh lo aa kar Madine mein Wahan ik saans mil jae yahi hai zeestka haasil Wo qismat ka dahne hai jo gia dam bhar Madine mein Madina Jannatul Firdoos se bhe hai fazoon tar keh Rasool-e-Pak ka hai Rozae Anwar Madine mein Chalo chokhat pe Un ki rakh kay sar qurban ho jaen Hiyaate jawidaani paen ge mar kar Madine mein Madina mera seena hoo Mera seena Madina hoo Madina dil k ander ho dile muzder Madine mein Pae Tableeg-e-Sunnat tu jahan rakhe magar Ay kaash Mein khaaboon mein pohonchta hi raho aksar Madine mein Na dolat day na sarwat day mujhe bas ye sa'adat day Teray Qadmoon mein mar jaon mein roo roo kar Madine mein Aata kar do Aata kar do Baqeye Pak mein madfan Lahad ban jae maire Ya Shahe Koser Madine mein Madina is leye ATTAR jano dil se hai piyaara Keh rahte hein maire Aaqa maire dil per Madine mein
  19. MUSTAFA KAY DEEWANE HEIN HAM Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa(Aalihim Salaam) Aakhare Qatra Lahoo ka bhe baha dein gay ham Un ke Namoo per Duniyaa ko hilaa dein gay ham Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa(Aalihim Salaam) Ahmadul Mustafa Hamidul Mustafa Mahmoodul Mustafa Qasimul Mustafa Mustafa,Mustafa Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa(Aalihim Salaam) Unke Ta'azeemo Muhabat hi dharam hai Apna Azmate Shafe jano ko lota dein gay ham Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa(Aalihim Salaam) Aaqibul Mustafa Fatihul Mustafa Shahedul Mustafa Hashirul Mustafa Mustafa Mustafa Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa(Aalihim Salaam) Shame Taiba kay hein parwane hamein mat chayroo Khud to jal jaen gay tum ko bhe jala dein gay ham Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa(Aalihim Salaam) Rasheedul Mustafa Mash'hoodul Mustafa Bashirul Mustafa Nazirul Mustafa Mustafa Mustafa Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa(Aalihim Salaam) Muslimoo jaag oothoo Phir tumhein larkara hai Kah do to faar say phir hash otha dein gay ham Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa(Aalihim Salaam) Daael Mustafa Shakhil Mustafa Hadil Mustafa Mahdil Mustafa Mustafa Mustafa Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa(Aalihim Salaam) Joshe Imaani slamat hai Oojagar apna Khaq mein kufr kay armaan mila dein gay ha Mustafa kay Dewaane hein ham We love Ya Mustafa (Aalaihim Salaam) Mahil Mustafa Muljil Mustafa Nahil Mustafa Rasoolul Mustafa Mustafa Mustafa
  20. AJAB RANG PER HAI BAHARE MADINA Ajab rang per hai BAhare MAdina Keh sab Jannatein hein Nisare Madina Mubarik ho Andleboon tumhein gul Hamein gul se behtar hai Khare Madian Mere khaq Ya Rab na barbaad jae Pas marge garde Ghubaare Madina Jidhar daikhe baghe Janaat khola hai Nazar mein hein Naqsho Nigare MAdina Do Aalam mein bat'ta hai Sadqa Yahan ka Hamein ik nahi raiza Kheare MAdina Bana Aasman manzil Ibne Mariyam Gay La Maqaa Tajdaare Madina
  21. NA KAHEIN SE DOUR HEIN MANZEELAIN Na kahein se dour hein Manzilein ha koi kareeb ki baat hai Jise chahe us ki Nawaaz de Ye Dar-e-Habib ki baat hai Jise chaha Dar pe bola liya jise chaha Apna bana liya Ye bare Karam kay hein faisale Ye bare Naseeb ki baat hai Wo Khuda nahi Bakhuda nahi Wo magar Khuda se Juda nahi Wo hein kya magar Wo hein kya nahi YE Muhib Habib ki Baat hai Wo machal keh rah mein rah gae Ye tarap kay Dar se Lipat gae Wo kisi Ameer ki Shaan thi Ye Kisi Ghareeb ki baat hai Mein boroon se bora lakh sahi Magar Un se hai mera Wasita Meri laaj rakh le mairay Khuda Ye Teray Habib ki baat hai Teray Husn say Tere Shaan taq hai Nigaho Aqal ka fasala Ye zara ba'eed ka zikr hai wo zara Qareeb ki baat hai Tuje Ay Munawaar be Nawa Dare Shah se chaheye or Kya Jo naseeb ho kabi Samina to bare Naseeb ki Baat hai
  22. ARSHE HAQ HAI MASNADE RIF'AT RASOOLLULLAH KI Arshe HAq hai Masnade Rifaat Rasoollulah ki Daikhne hai hashr mein Izzat Rasoollulah ki LA wa Rabil Arsh jis ko jo mila Un se mila Bat'te hai Komain mein Nihmat Rasoollulah ki Soraj olte paon palte, Chand ishaare se ho chaak Andhe najde dekh lay Qudrat Rasoolullah ki Ham Bhekaari wo Kareem Un ka Khuda Un se Fazoon Or NA kahna nahi Aadat Rasoollulah ki Ahle Sunaat ka hai baira paar Ashabe Huzoor Najam hein or nao hai Itrat Rasoollulahi ki Ya RAB ik sa'at mein dhol jaen siyaakaroon kay jorm Joos per Aa jae Aabe Rehmat Rasoollulah ki Ay Raza khod Sahibe Quraan hai Madahe Huzoor Tujh se kab Mumkin hai phir Midhat Rasoollulah ki
  23. AN NABI SALLU AALAIH Ya Rasool Allah Ya Habib Allah An Nabi Sallu Aalaih Salawatullah Aalaih Wa yana Lulbarakat Kullu Man Salla Aalaih An Nabi Ya Hazeerin Elamu Almal Yakeen Inna Rabal Aalameen Warada Salla Aalaih An Nabi Sallu Aalaih Salawat Ullah Aleh Wayana lulbarakaat Kullu Man Salla Aalaih Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Kabe ke Badar-u-Duja Tumpe Karoroon Durood Taiba ke Shamsy-Doha Tumpe Karoroon Durood Shaf-e-Roz-e-Jaza Tumpe Karoron Durood Dafeye Jumla Bala Tumpe Karoroon Durood Ya Rasool Allah Ya Habib Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah An Nabi Ya Man Hadar Al Nabi Khairul Bashar Man Laho shaq-ul-Qamar Wanazil Salim Aalaih An Nabi Sallu Aalaih Salawatullah Aalaih Wayana Lulbarakat Kullu Man Salla Aalaih Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Dil karo Thanda Mera Who Kaf-e-pa Chand sa Seenay Pe Rakh Do zara Tumpe Karoroon Durood Zaat hoi Intikhaab Wasf howe Lajawab Naam howa Mustafa Tumpe Karoroon Durood Ya Rasool Allah Ya Habib Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Al Nabi Zakal Uroos Zikroho yuhyin Nafoos Al Nasara Wal Majoos Aslamo aala Yadaih YA Rasool Allah Ya Habib Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Be Hunero Betameez kis ko hove Hein Azeez Aik Tumhare Siwa Tumpe Karoroon Durood Aas Hai Koi Na Pass Aik Tumhari Hai ###### Bas yahi Aasra Tumpe Karoroon Durood Ya Rasool Allah Ya Habib Allah Seena Ke Hain daag Daag Kehdo Karain Baag Baag Taiba se Aake Saba Tumpe Karoron Durood Ya Rasool Allah Ya Habib Allah Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh Waya Na Lulbarakat Kullu Man Salla Aalaih Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah An Nabiul Mustafa Ibno zam zam wa Safa Man Ta'ala Sharafa Qolkum Salla Aalaih Ya RAsool Allah,Ya Habib Allah Al Nabi Sallu Aalaih Salawat Ullah Aalaih Wayana lulbarakat Kolu Man Salla Aalaih Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Al Nabi Yul Mujtaba Al Nabi Sakino Quba Hobohoo la Mal Haba Rabbana Salla Aalaih An Nabi Sallu Aalaih Salawaatullah Aalaih Wayana Lulbarakat kollo Man Salla Aalaih Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Tumse Jahan Ka Nizaam Tumpe Karoron Durood Tumpe Karoron Sana Tum pe Karoroon Durood Tum Ho Jawad-o-Kareeb Tum Ho Raufo Raheem Bheek ho Data Ataa Tumpe Karoroon Durood Khalq Ke Hakim Ho Tum Rizq Ke Kasim Ho Tum Tumse Mila Jo Mila Tumpe Karoron Durood Nafe-o-Dafe Ho Tum Shafe-o-Rafe Ho Tum Tum se bas Afzoon Khuda Tumpe Karoron Durood Shafio Nafi Ho Tum Kafi-o- Dafi Ho Tum Dard ko Kar Do Dawa Tumpe Karoroon Durood Ya Rasool Allah Ya Habib Allah Barse Karam ki Bharan Phoole Ne'am Ke Chaman Aaise Chala Do Hawa Tum pe Karoroon Durood Kyoun kahon Bekas hon mein Kyoun kahon bebas hon mein Tum ho Mein Tumpe Fida Tumpe Karoroon Durood Ya Rasool Allah Ya Habib Allah Al Nabi Zaka-al-Mali Koloho Kolan Sahi Wal Quran Shae-u-Faseeh Allazi Unzil Aalaih Al Nabi Sallu Aalaih Salawat Ullah Aalaih Wayana Lulbarakat Kullu Man Salla Aalaih Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Kar ke Tumhare Gunah Maange Tumhari Panah Tum Kaho Daman Main Aa Tumpe Karoroon Durood Hum ne khata Mein Na ki Tumne Aataa Mein na ki Koi Kami Sarwara Tumpe Karoroon Durood Ankh Aataa kijeye us mein ziya dijeye Jalwa kareeb aa giya Tumpe Karoroon Durood Kaam wo layle jeye Tumko Jo Raazi kare Theek ho Naam-e-Raza Tumpe Karoroon Durood Ya Rasool Allah Ya Habib Allah Wal Hassan Amal Hussain Lin Nabi Raihanatain Fatima QurratuAin Jadu Hum Sallu Aalaih Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Al Nabi Sallu Aalaih Salawatullah Aalaih Wayana Lulbarakat Kolo Man Salla Aalaih Yeh Ubaid Adna Ghulam Tera Hai Khair-ul-Anam Waqf Midhat ke Liye Is ki ho umar Tamaam
  24. BAKHTE KUFTAA NE MJHE ROZE PE JANE NA DIYA Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya Ah qismat mujhe dunya k ghamoo ne roka Ha'ay taqdeer k Taiba mujhe jane na diya Paoon thak jaate agar paoon banata sar ko Sar k bal jata magar zof/zok ne jane na diya Sar to sar jaan se jane ki mujhe hasrat he Mot ne ha'ay mujhe jaan se jane na diya Sharbat e Deed ne or aag laga de dil mein Tapsh e dil ko barhaya he, bujane na diya Ab kahaan jae ga Naksha Tera mere dil se Tehh me rakha he, Ise dil ne gumane na diya Sajda karta jo mujhe is ki ijazat hoti Kya karoon Izn mujhe is ka Khuda ne na Diya! Mere a'amal ka badla to Jahannum hi tha Mein to jaata, mujhe Sarkar ne jane na diya Mere a'amal e sayah ne kiya jeena dobar Zahr Khata, Tere Irshad ne khane na diya Nafs e badkar ne dil par yeh qiyamat tori Amal e naik kiya b to chupane na diya Or Chamakti si Ghazal koi parho Ay Noori Rang apna abhi jamn e Shu'ara ne na diya Bakhte Kufta ne mujhe Roze pe jane na diya Chashm o dil seene kalejay se lagane na diya
  25. NABIKA ONCHA NAAM Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam Mairay kismat jagane ko, Nabi ka naam kaafi hay, Hazaaron mitane ko, Nabi ka naam kaafi hay. Ghamoo ki dhoop ho ya phir hawaein tayz chaltee ho, Mairay iss aashiyaane ko, Nabika naam kaafi hay, Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam Khoshi ho ya koi gham ho, Nabika naam layta ho, Kay har ik gham mitane ko, Nabi ka naam kaafi hay, Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam Jo pocha Piyaare Aaqa ne, kaha ye siddique Akbar(Radi Allah Anhu) ne, Mairay saaray gharane ko, Nabi ka naam kaafi hay, Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam Soolagti aag par Habshi, kay honton say sadaa aa'ee, Maire bigree banaanay ko, Nabi ka naam kaafi hay, Nabi ka Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam Yhein kehta hay Qaiser bhe, yahi sab log kehtay hain, Kay iss saaray zamaanay ko, Nabika naam kaafi hay, Nabika Oncha Naam,Nabi ka Oncha Naam
×
×
  • Create New...