Jump to content

Sameer Razvi

اراکین
  • کل پوسٹس

    17
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About Sameer Razvi

Sameer Razvi's Achievements

Rookie

Rookie (2/14)

  • First Post
  • Collaborator
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. janab ahmad lahore sahab is side pe logo ke aiteraz ka jawab dene ke liye madoo kiya jata hai ya unse sawal qayam karne ke liye agar aiteraz ki wazhat nahi hoti yaha to bata de hum rukhsat ho jate hai yaha se lafz bazi ke liye mere paas fuzool waqt nahi hai aapki tarah
  2. dedh hushiyari to aap dikha rahe ho janab najaiz samaj kar badmazhab ki iqteda me namaz aada karna sulehkuliyat nahi hai aur ye meri jahilat hai to aap aapne ilm se wazhati bayan kar ke mere aiteraz ko galat sabit kyu nahi karte ho sulehkulli ki tarif ke saath?
  3. صلح کلیت کی تعریف اگر معلوم نہیں تھی تو اعتراض اٹھانے سے قبل پوچھتے۔ thik hai janab aap bata de tareef mai to puch hi raha hu
  4. janab ahmed lahore sahab aap mere bayan karda mafhoom ko chaye durust samjhe ya na durust mujhe is se koi mansha nahi. kyu ki is ibarat ka haqeeqi mafhoom yehi hai ki jan buj kar ilyas attar sahab ne kisi badmazhab ki iqteda me jaiz samaj kar ek baar bhi namaz nahi padhi'' jis se saaf zahir ho raha hai ki najaiz samaj kar padhte hai is mafhoom ke beja hone ka beja ihtimal aapko hai aur aapne is ibarat pe koi roshni bhi nahi ki jaisi rais khan sahab ne koshish ki sirf rabt kis ke saath? aur namaz haqeeqat me na mumkin hone par apni zahen ko aseer kar rakha hai maine yaha najaiz samajh kar padhne ke hukm se mutalik aiteraz kiya hu aur aap mahal aur na mahal me baat ko ghumaye jaane ki ek mahal si daud dhoop me bhatak rahe ho bhatakte raho janab haq baat se bad hona to mubalig e naam nihad dawate islami ka kirdar hi raha hai to isme wahid aapki zaheni basarat ka koi qasoor nahi jaisa aapka des waisa bhes aur jaisa raja waisi parja aap bajaye mera jo aiteraz namaz najaiz samajh kar padhne wale pe kya hukm hai uski jagah iqteda ki haqeeqat ke talab me gotah maar rahe hai janab yaha pe us talab se nikal aye aur shariat ki baat karo ke jisne namaz jaiz samajh kar padhi ya najaiz samajh kar padhi uspe shariat ka kya hukm hai? iqteda ki haqeeqat pe bayan bazi kar ke aapne saathiyo ko uljhane me lage ho uljhate raho janab is jadoo se aapke saathi hi dhoka kha sakte hai pehle to aap log yaha aiteraz karne ke liye mujhe madoo karte hai phir ulta mujhse se hi sawal karna shuru kar dete ho ye kaha ka qanoon hai janab? aap ek jagah kehte ho ki جب میرے نزدیک آپ کا بیان کردہ مطلب ہی غلط اور آپ کے ذہنی خلجان کا شاخسانہ ہے، پھر جواب کاہے کا؟ to janab is par arz hai ki agar jawab dena hi nahi tha to aiteraz karne ke liye madoo karne ka kya matlab? aur baat ko itni toweel kyu kiya janab pehle hi keh dete ke aapko jawab nahi dena hai. dusri jagah aap kehte hai ki یہ بھی خوب فرمایا۔ یعنی صلح کلیت کا شوشہ آپ چھوڑیں، اور اس کا مفہوم میں آپ کو بتاؤں؟ اپنے شناوروں میں آپ "ہوشیارپوری" تخلص کرتے ہوں گے، مگر اس قسم کی ڈیڑھ ہوشیاری یہاں نہیں چلنے کی۔ اس بات کو پلے باندھ لیجئے کہ اپنے اختراعی مطلب کو صلح کلیت آپ نےکس بنیاد پر قرار دیا تھا، اس بات کی وضاحت کرنا خود آنجناب کے ذمے ہے؟ اگرچہ اس کے لیے صلح کلیت کی تعریف و توضیح کرنا پڑے یا کسی دیگر تفصیل میں جانا پڑے۔ اب ڈھول اگر گلے میں ڈالا ہے، بجانا تو پھر خود ہی پڑے گا نا۔ kya baat hai janab pehle to aap mere mafhoom e haq jo tehreer ki ek ibarat me saaf zahir ho raha hai usko ilyas attar sahab ki taraf mansoob karne ko galat bol kar jawab kaheka? puch rahe ho phir meri taraf mansoob ki huwi aapki baat ka mai mutalba karu ke kaise maine sulehkuliyat ka shosha choda hu? uski wazahat karo to ulta mujhe hi sawal ke dayere me la khada karo wah bhai wah aap ke ijad kiye huwe zaheni khaljan ka shaksana mai wazeh karu aur mere aiteraz ke jawab me aap sirf mafhoom galat hai keh kar haath jhad do aur na ibarat ki koi wazahat ki aur jawab kaheka puch kar aapne hushiyar pur ki hushiyari ki dastan suna rahe ho phir aapne jo ye farmaya hai ki dhol gale me khud hi dala hai to bajana hi khud hi padenga to janab arz hai ki aiteraz ke liye madoo apke nihayat qabil dost ne hi kiya tha to aapke dhol wale qaide ke hisab se mere sawal ka jawab kab donge janab jo sab se pehle guzra tha ke jan buj kar badmazhab ki iqteda me najaiz samajh kar namaz aada karna ye amal kaisa hai? aur kya hukm honga namaz aada karne wale pe? Aur ye amali sulehkuli wala amal huwa ya nahi? ab ye aapke zimme hai ki aap aur aapke saathi mere sawal ka jawab kaise dete hai uske liye aap mujh pe sulehkulli ka shosha chodne wali baat ka ilzam lagao ya jaisa aap munasib samjhe lekin aapni wazhat ke saath kyu ki aiteraz pehle maine qayam kiya hu to jawabat aur uski wazahat bhi aap hi ke zimme hai
  5. saeedi sahab aapne jo koshish ki hadees se matlab nikalne ki meri hidayat hai ke hadees ke mafhoom ko aapni janib se bayan na kare agar aap alim na ho to kyu ki mai aapki mafhoom ko dusrust nahi samajhta lekin mai kisi alim se zaroor ruju karunga is hadees ke mutalik aur aapke mafhoom ke mutabik. aap hadees ko bagaur padhe aur dikhaye ke usme Rasool Allah sallallahu taala alaihi wasallam ne kaha farmaya ke be waqt namaz padhne wale ke peeche namaz jaiz nahi hai? is hadees se mai samajhta hu ke namaz ka unke waqto'n par aada karna behtar hai ye sabit ho raha hai yani namaz ko unke waqto'n par aada karna afzal hai is hadees me be waqt namazi ke saath farz namaz padhne se mana ka mafhoom nikale to shayad galat na honga.
  6. rais khan sahab aapne bohat hi achchi baat ka aagaz kiya hai aur kafi had tak mauzu ke qareeb sahi mafhoom ko pesh karne ki koshish ki hai jo aapke baki saathi na kar sake aapne pucha ke mai lafz deedah o danista ko nazar andaz kyu kar raha hu to janab ya aapke baki saathi bhi to hai jo usko nazar andaz kar rahe hai. aage aap farmate hai ki deedah o danista ke 2 maane hai lekin hamne to 1 maane padha hai iska jo maine bayan kiya hai deedah o danista = jan bujh kar aapne dusre word kis dictionary se akhaz kiya? agar ziada duswari na ho to image ya hawala send kar dena mai tasdeek kar lunga. in sha Allah Apne jo 3 baate batayi usme pehli Baat ko aapke maano ke saath rakh kar kuch is nazar se dekhe 1). "Dekh kar" maine(ilyas attar sahab ne) kisi badmazhab ki iqteda me jaiz samajh kar aik bar bhi namaz nahi parhi." is maane ke saath to mujhe pura joomla taal mel khata nazar nahi aa raha hai khair phir bhi mujhe is lafz ke maane ke saath bhi wahi mafhoom nazar aa rahe hai aur yaha to ''jan buj kar'' padhne se ziada saaf mafhoom zahir ho raha ki badmazhab ko ''dekh kar'' badmahab ki iqteda me najaiz samajh kar namaz padhi. 2). "Jan buj kar" maine(ilyas attar sahab ne) kisi badmazhab ki iqteda me jaiz samajh kar aik bar bhi namaz nahi parhi. yaha bhi baqaul aapke maane ke saath majburi me padhne ki baat sabit ho rahi hai ke jaan buj kar nahi majburi me namaz padhi ab konsi majboori me padhi ye to zahir hi nahi ibarat me aur kitni dafa padhi wo bhi nahi likhi aur aisi kya majboori aa gayi thi wo bhi likh dete mukhtasar sa likh diya taake awam ulajh ke reh jaye mukhtasar si baat me aur janab itna to hum samajhte hai ki agar kisi shaks ka pyaas aur bhook se bura haal hai aisi halat me haram khane aur peene ke ilawa koi chara nahi to ye uske liye sharayi ujr hai usko is baat ki ijazat hai ki utna kha le ya pee le jis se uski jaan bach jaye lekin jaan ja rahi ho aur haram o halal dono ashiya maujood hai to uske liye yaha sharayi ujr honga kya haram kaam ko anjam dene ke liye? ab jan buj kar ke maani ko kuch yun dekhte hai ''jan buj kar'' ilyas attar sahab ne jaiz samajh kar nahi na jaiz samajh kar namaz padhi. maaz Allah ye maane to sab se ziada khatarnak maloom hote hai ab aap log bataye jan buj kar najaiz samaj kar iqteda karne wala kya gunhgaar nahi huwa? sulehkulli nahi huwa? maazAllah
  7. chaliye mere kisi alafz ki to aapne nishandahi karne ki zehmat to ki janab ahmed lahore sahab ab aap bataye ke mere nishandahi kiye huwe alfaz me jo amal bayan hai ke badmazhab ki iqteda me na jaiz samajh kar namaz padh lena kisi shaks ka to uspe kya hukm honga? aur is baat ki mujhe koi becheni nahi hai aap chaye to aapne kisi mufti sahab se mera sawal puch ke jawab de sakte hai aram se. aur sulehkulli ki jo jo tarif aap ke nazdeek sahi ho bayan kar de? taake aapne jo shosha chodne wali baat meri taraf mansoob ki hai wo kis buniyad pe kahi hai wazeh ho jaye. ab aate hai aapki jawab ki janib to janab ye jo mafhoom aapne bayan karne se pehle mere mafhoom ko na dursut farmaya hai isme aapki basarat ka nahi baseerat ka kasoor hai kyu ki aapko ilyas attar sahab se andhi mohabbat hongi to aapko haq mafhoom kaise samajh ayenga. aur janab mutlak nafi karne se pehle ibarat ko bagaur padh lete ilyas attar sahab farmate hai: ''Alhamdulilah dawateislami ke qayam SE saliha saal pehle jab SE Sayidi Alahazrat rehmatullah aleh ke fatawa badmazhabon ke bare mein pedhe hain, TAB SE badmazhabon ki iqtida haram samajhta hoon'' yaha to aapke maulana ilyas sahab farma rahe hai ki Aala Hazrat ke fatwe ke mutala karne ke baad se badmazhab ki iqteda haram samajhta hu to rana sahab ka jawab to in alfazo se mujhe bhi samaj aa raha hai ke fatwe ka mutala karne ke baad se ilyas attar sahab badmazhab ki iqteda haram shamjhte hai aur pehle shayad jaiz samajhte ho lekin aage aapke maulana ilyas farmate hai ta dam e tehreer(tehreer likhne tak) deedah o danista(jaan bujh kar) mai ne(ilyas attar sahab ne) kisi badmazhab ki iqteda me jaiz samaj kar ek baar bhi namaz nahi padhi''' Isme saaf matlab zahir ho raha hai Aala Hazrat ke Fatwe ko mutala ke baad SE badmazhab ki iqteda me jaiz nahi najaiz samajh kar namaz padhte rahe aur ilyas attar sahab ki mazkoora tehreer jo rais sahab aur rana sahab ne attach ki hai tab TAK unka yahi amal raha hai. aur ye baat lafz deedah o danista(jaan buj kar) ke zariye bhi sabit hoti hai kyu ke agar koi shaks bole ke maine jab se suwer khane ke baare me hukm padha hai ki ye haram hai aur mai suwer khana haram samajhta hu aur tab se maine jan buj kar suwer nahi khaya hai to iska matlab ye hota hai ki usne achanak la ilmi me kha liya hai jis ki usko khabar nahi thi jis waqt wo suwer kha raha tha lekin baad me usko pata chal gaya ki wo chiz jo usne khayi thi wo suwer thi to janab pukar uthe maine jaan buj kar nahi khayi phir ye jo aapne sawal mujh se qayem kar rahe ke badmazhab ki badmazhabi had e kufr tak pahonchne ke baad us ki namaz batil hai, yani is soorat me iqteda haqeeqatan mumkin hi nahi ke jab imam ki namaz hi nahi to iqteda kis chiz ki? aur rabt kis ke saath honga? iska asan jawab ye honga ke namaz padhne wale ne aapna rabt aur namaz ki iqteda ke liye badmazhab ko apna imam banaya Ab agar usne jaiz samajhte huwe is fel ko anjam diya hai to uske imaan ka haal Allah o Allah ke Rasool sallallahu taala alaihi wasallam hi behtar jante hai aur najaiz samajh kar ki to bandah gunahgaar to huwa hi aur rana sahab se maine jo baat kahi usko aap apne uper na le kyu ki unhone nishandahi karne ki ijazat talab ki thi is liye maine unse kaha ke maine sawal puchne ki ijazat nahi di lekin aap to aapne ham khayal saathi ki side hone ki badaulat mujh pe aag bagola ho gaye jaise har kutta aapne ilake sher ban jata hai Waise mujhe aisi gair e mauzu baat karne me koi dilchaspi nahi hai magar aapne kuch kaha hi hai to akhri bar uska jawab diya hai aapko ab mehrbani hongi yaha unhi logo ko ijazat de baat karne jo mauzu pe baat kare aur aapni baat ko mauzu ke hisab se rakhe
  8. meri last line sahi type nahi huwi hai is liye retype kar rahu taake samajhne me miss understing na ho Ab Agar baqaul aapke Aala Hazrat ka fatwa maloom hone ke bad namaz nahi padhta To mere mafhoom ko aap mukhalif mafhoom sabit kare aapni saaf wazhat ke zariye Aur MuhammedAli janab aapki bakwas gair e mauzu baato'n me mujhe koi dilchaspi nahi hai agar mauzu pe baat karna ho to comment kare warna chup hi raho to behtar ha
  9. Janab saeedi sahab aapne aapna mafhoom farmate huwe kaha:- اعلیٰ حضرت کے فتاویٰ پڑھنے سے پہلے جائز سمجھتا تھا اور بدمذہب کی اقتداء میں نمازپڑھ لیتا تھا۔مگر اعلیٰ حضرت کے فتاویٰ پڑھنے کے بعد بدمذہب کی اقتداء میں نماز پڑھنا ناجائز سمجھتا ہو yaha tak to aapka mafhoom samaj aa raha hai ki chalo thik ho sakta hai lekin aapka iske aage ka mafhoom ke اس لئے اُن کی اقتداء میں نمازنہیں پڑھتا ہوں۔ ye mafhoom aapne kis tarah nikala wazhat kar de. Jabke ilyas attar sahab khud farma rahe hai dawateislami ke qayam SE saliha saal pehle jab SE Sayidi Alahazrat rehmatullah aleh ke fatawa badmazhabon ke bare mein pedhe hain, tab SE badmazhabon ki iqtida haram samajhta hoon aur ta dam e tehreer(tehreer likhne TAK) (Yani Aala Hazrat ka fatwa padhne SE ye tehreer likhne TAK) Aur jo khalil rana sahab ne image upload kiya hai us tehreer me date mulahiza farma le kuch ''Rabi Ul Akhir 1435 hijri'' likhi hai yaani 2014 ki tehreer hai ye attar sahab ki Ab aap socho dawate islami ke qayem se pehle se Aala Hazrat ka fatwa pata hai ki badmazhab ki iqteda haram aur khud ilyas attar sahab unki iqtada haram samajhte hai Phir Aage farmate hai:- deedah o danista(jaan bujh kar) mai ne (ilyas attar sahab ne) kisi badmazhab ki iqteda me'n jaiz samaj kar ek baar bhi namaz nahi padhi yani badmazhab ki iqteda jaiz samajh kar nahi najaiz samajh kar namaz padhi Ab Agar baqaul aapke Aala Hazrat ka fatwa maloom hone ke bad namaz nahi padhta mere is mafhoom ko aap mukhalif mafhoom sabit kare aapni saaf wazhat ke zariye
  10. khalil rana sahab aapne nishandahi karne ijazat talab ki thi to wazhat bhi aap hi kare maine sawal puchne ki ijazat nahi ki thi aur hamare uper ke pehle aiteraz par bhi inayat farmaye us se kyu ankhe chura rahe ho aap log
  11. G aap us jamat ki nishandahi kar de aur mere uper jitne aiteraz guzre hai unpe bhi aapni nazre inayat farmaye
  12. khalil rana sahab aapne jo suleh ki tareef bayan ki uspe mujhe 1 sawal puchna hai badmazhab ke aqaid e qufriya jante huwe badmazhab ki iqteda ko jaiz samajh kar namaz padhne wale par kya hukm lagenga?
  13. janab ahmed lohare sahab jawab aapko dena hai mere aiteraz ka lekin aap aapne hi sawal kiye ja rahe hai ajeeb baat hai saheb aapne kaha ke: maine badmazhab ki iqteda me najaiz samajh ke padhne ka matlab akhtra kar ke sulehkulliyat ka shosha chod diya, mere tehreer me kis lafz se aapko sulehkulli ka shosha chorne wali baat nazar ayi uski nishandahi kar de aap baraye mehrbani? aur mere bayan karda maani ko aap hamesha yaha waha kar ke gol kyu kar rahe hai, mera to aap se bas yahi mutalba hai agar mera bayan karda maani durust nahi to aap aapni zabani 1 baar uski wazahat farma de ke ye sahi hai ya galat?, aur agar mere bayan karda maane ko mai haq samajh betha hu baqaul aapke, to aap aapna maane irshad farma de janab awam ko taake haq baat wazeh ho jaye chaliye aapke liye aasani karte hai aap sarbarah e dawate islami ilyas attar sahab ka tasaweur zahen me na rakhe aur mere pehle aiteraz ka jawab de de mera pehla aiteraz ke badmazhab ki iqteda me najaiz samajh ke namaz padh lena ye amali sulekulli huwa ya nahi iska bhi jawab de?
  14. janab ahmad lahore sahab sab se pehli baat mai bhadak nahi raha hu maine Suleh kulli ka ilzam daga tha ya sawal qayam kiya tha thik se padh le uper aur aapse kisne kaha mere qayas ko tasleem kar lene bas mera itna mutalba hai agar wo matlab sahi nahi to uska rad kare ya mera matlab sahi hai to tasleem kare, haq tasleem karne me kya sharam, kyunki 1 qaul ke 2 matlab to nahi ho sakte na?
  15. maine jo matlab nikala hai uska rad kare ya tasleem karo ke sahi maine hai? matlab nikalna pe koi pabandi nahi bol ke jawab se haath na jhaade uske baad aapke sawal pe ayenge
×
×
  • Create New...