ager TAQWA k sath dekho gay to samjh aa jae gi keh unhon ne kin manoon mein apne ap ko Muhammad e Mustafa saw kaha hai eski Aqlann 3 sorteen ho skte hain
1. yeh keh kr unhoon ne apne Ap ko Hazrat Muhamd e Mustafa ka hum martba zahir kya ( Nauzo Billah )
2. Dosra yeh keh Muhammad aik nhi balkeh 2 hain ( Nauzobillah )
3 Teesra Itlaq es trah ho skta hai jin manoon mein Quran e Karim ki sorat Anfaal verse 18 mein hai
" Yaani aay Muhammad saw jab to ny muthi bhar kankryan kuffar ki traf phanikeen to too ne nhi balkeh Allah ny phainkeen "
phir aik awr jaga farmya
Sorat Alfatah verse 11
keh yeh loog jo teri ba'ait kr rahay hain in k hathoon k oper Allah ka hath hai
halankeh woh hath Hazrat Muhamad saw ka tha aab batao kya nauzobillah Hazrat Muhammad saw bhi KHUDA ho gae
en alfaz k maani tammam Mutaqiyoon awr shurfa k nazdeek yeh bante hain keh Hazrat Muhammad saw kamil taur per apne Rab mein fanna ho gai awr apni koe marzi na rahi . AAP saw ka uthna bethna AAP ki harkat o skoon kuch bhi na raha yeh taluq aisa kamil ho gya tha keh aap ne apna sab kuch Khuda mein mitta dya awr apka her amal awr her eradda Khuda ki marzi k mutabiq ho gya
esi trah Hazrat Mirza sahib bhi Eshq e Mustafa saw mein aise fanna howe they awr unhoon ne inhee manon mein Muhammad ka lafz apne liye etammaal kya
baqi aap logo ki marzi jo chahe samjho awr jo chahe kaho
aaj tak Paak Peghambar saw ki zatt per aitrazz khatam nhi howe 1400 saal ho gay to Mirza Sahib to unk Ghulaam hein karte raho aetrazz ap bhi