Assalam o Allaikom
Mera question ye hai ke agar koi shakhs kisi Syed family ki maali madad karna chahta ho aur zakat nikalnay ke baad us ke paas itna na bachta ho ke woh uss Syed family ki madad kar sakay, tu kya aisi soorat mein ye heela kya jaa sakta hai ke woh apni zakat kisi mustahik-e-zakat ko de de.. aur woh jisay zakat milay woh apni marzi se bila kisi shart ya zabardasti ke unn paiso se uss Syed family ki madad kar de. Kya ye jayaz ho ga aur aisi soorat mein kya uss ki zakat ada ho jaye gi? Zaid apni zakat bakar ko deta hai aur bakar ussi zakat ke paiso se apni marzi se kisi Syed ki madad karta hai tu kya ye jayaz hoga aur Zaid ki zakat ada ho jaye gi? Iss baray mein agar koi bhai fatwa paish kar dein tu bari meherbaani hogi. Dawat e Islami ka online fatwa section close hai. Aur koi Sunni online Darul Ifta ho to zaroor bataye.