Jump to content

Abdur Rehman

مدیرِ اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    561
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    7

سب کچھ Abdur Rehman نے پوسٹ کیا

  1. Imam e Ahlesunnat Ala hazrat azimul barkat Imam Ahmed Raza khan alaihi rahmatir Rahman , khat pay ticket bhee ulta lagatay kay us zamanay mai ungraiz ki tasveer ticket mai hoti .. tu address seedha parho tu ticket pay ungraiz ka sir neechay hota aur ticket koi mahnga (1st class) laga kay bhaijta tu mana farmatay kay jab aam ticket say kaam hota hai tu Nasara ko bila zarorat nafa pohnchana kaisa aur Marizaan e deoband ka hakim ul ummat , ungraizo say 600 rupay mahwar milna jo us zamanay mai kafi bari raqam thee , bhai ka ungraiz ki khufya jasoosi police mai hona ...... Deobandiyo mai hai koi insaf pasand mard?
  2. Allah azzawajal apnay Habib e Pak alaislam kay sadqay aap ko aur aap kay walid sahab ko aur sab musalmano ko jo bhe bimar hain shafa -e kamila aajila naafia ata farmaiay Allah azzawajal apnay pyaray Nabi pak alaislam kay sadqay aap ko har parichani har burai har aafat har bimar say bachaiay aur sada khoush rakkhay dono jahan mai sarfaraz farmaiay aamin summa aamin Dawa ka khayal rakhain . Allah azzawajal jaldi shafa naseeb karay aamin
  3. Yei discussion pahlay bhee yaha howi thee im pay us ka link yei hai please check inshaAllah azzawajal http://www.islamimehfil.com/topic/3941-deo-kay-bando-kay-mazeed-aitarazat-shumali-hawa
  4. Asslam alaikum aziz bhai mai nay aap ko aisay nahe kaha tha kay aap ko jo aaitaraz hai mai nay kaha tha jo aaitaraz laga hai isi leay mai nay lagnay ka lafz istamal kia tha kay baaz auqat insan ko shak shobha ho jata hai aur seekhnay sikhanay ki niyyat say sawal jawab mai koi haraj nahee aap zaror poch lia karain jis baat ko samghna ho Allah azzawajal ham sab kay ilam o amal mai izafa farmaiay aaamin maghrib ki namaz raat mai shumar hoti hai soraj dhalnay kay baad say raat hai soraj ghro'ab hotay hi roaza iftar kar lia jata hai maghrib ki namaz kay intheai waqt tak intazar nahe kia jata...
  5. Mai sahee say nahe samgh paya kay aap kia kahna chahtay hain baharhal jo mai samgha ho us kay mutabiq ugar aap tajweed kay baray mai janna chahtay hain tu zaror bil zaror yei qaida poora parh lain http://library.faizaneattar.net/Books/index.php?id=265 wasslam
  6. Allah azzawajal nay har kaam aaik nizam kay tahat kar dia hai isi leay mukhtalif farishto kay zimmay mukhtalif kaam laga deay hain maslan Syedina Azraeel alaislam kay zimmay rooh qabz karna hai magar Haqiqataan Allah azzawajal he zindagi aur moat dainay wala hai isi tarah jo farishtay aamal likhtay hain yani Kiraman Katibain wo is leay nahe likhtay kay Allah azzawajal ko is likhnay ki zarorat hai balkay wo hamaray leay aur Insaf kay taqazay pooray karnay kay leay hai kay kal akhirat mai koi inkar kar day tu us kay samnay us ki sari zindagi ka aiak aaik amal likha howa hai phir us kay hath pao aankhain sab aaza-e jism mazeed gawai dai gain tu insan kay pass inkar ki koi gunjaish bhe na hogee . aisay he Darood sharif ki azmat o maqam ki waja say farishtay us kay leay nazil hotay hain aur Nabi pak alaislam ki bargah mai paish kartay hain warna khabar Allah azzawajal aur Allah azzawajal ki ata say Us kay Nabi alaislam ko pahlay say hai.. Allah azzawajal koi bhee naik kaam zaror kabool farmata hai aisay he Darood sharif bhee bas ho sakta hai tasaveer ki waja say Malaika Rahmat jo udhar aana chahtay hain nahee aatay tu aaik tu yei farishtoo ko roaknay ka bais ho raha hai dosri taraf un farishto ki barkat aur un ky sath jo rahmat hai us ko ghar mai dakhil nahe honay daiti.. tu inshaAllah is say pak ho phir kia he baat hai magar sirf qabooliyat ki baat hai tu Allah azzawajal say yehi ummid hai kay us ki rahmat zaror qabool farmati hai jald badair is dunya mai us ko badla mil he jaiay ga inshaAllah aur akhirat mai ajre azeem inshaAllah
  7. bhai mai nay likh kay sawal bhaij dia tha inshaAllah Allah pak karam karay tu jaisay he jawab aata hai mai yaha post karta ho baraiay madinah intazar karain jazakAllah azzawajal
  8. SubhanAllah mashaAllah La ilahaillallah Muhammaddur Rasulullah alaislam Allah azzzwajal aap ki aur sab musalmano ki naikiyo ko qabool karay aur gunaho ko maaf farma kay darajat ko buland farmaiay amin
  9. jo bhee naiki ikhlas say kee jaiay usay Allah azzawajal qabool farmata hai .. inshaAllah azzawajal jis qadar ikhlas ho aur jitna kamil ho maqbooliyat bhe waisi he hoti hai utna ajar ziada hota hai tu inshaAllah jo bahtareen jaga , bahtareen daroode pak , bahtareen hal mai parhay us ko ajar bhee bahtareen milay ga ... aur jis kay pass kuch na ho yei sab magar Nabi pak alaislam ki mohabbat mai darood sharif parhay cahahy kis hal mai kahee ho Allah azzawajal us ko zaror qabool farmaiay ga kay yei aaik dua hai aur aisi dua jisay Allah pak kabhee rad nahe farmata.. Allah azzawajal ko har kisi kay haal ki har kisi kay amal ki khabar hai bina kisi farishtay kay bataiay wo Aalimul Ghaib bizZaat hai wasslam aalikum
  10. Allah azzawajal ki bargah mai sachhi tauba Allah azzawajal jis say razi ho jaiy us kay gunaho ko bhee apni rahmat say naikiyo mai badal daita hai. Allah pak ham sab ko mu'af farmaaiy amin. wasslam
  11. Quran e pak may Darood o Salam parhnay ka hukam dia gaya ab is mai koi khas darood sharif nahe kay wohi parha jaiy ugar aisa hota tu aap kah saktay kay jo naya darood parha jaiay wo biddat hai magar Quran nay Darood o Salam parhnay ka hukam dia aur mukhtalif seegho say alqabat say jaisay bhe jo bhee darood e pak hoon Nabi pak alaislam ki tareef mai achay aur pyaray alfaz hoon wo sab parhna theak hai... phir bhee aap ko jis darood sharif pay aaitaraz laga tha us ki picture add kar dain dawateislami ki site say aap nay jo link dia hai waha say main page khulta hai aur us mai buhat say darood hain wasslam
  12. bhai mai darulifta kay fatway ka muntazir ho jab aajiay ga tu inshaAllah post kar du ga filhal aap Shah Turbaulhaq Qadiri damatbarkatuhum aalia ki zubani yei sun lain BayNamazi_ky_Rozay.mp3
  13. may Allah azzawajal grant us Shafa'aa (the intersession) of our beloved Prophet peace be upon him and by the blessing of Him peace be upon him May Allah azzawajal keep us on straight path of Ahlesunna wal jama'a and forgive our sins and enter us in heaven aamin.
  14. Try these links: Tahir-ul-Qadri ke baray main Tahir-ul-qadri Ki Hazrat Ameer Muavia radi allah anhu Ki Shan Main Ghustakhi Charistmas ka hukm & tahir ul qadri Khatra ki Ghanti
  15. un aamal ki qubooliyat ki waja say aur zikar aur darood sharif kay waqt Rahmat kay farishto ka jo nazool hota hai wo ghar mai nahee aatay jandar ki tasaveer ki waja say magar Allah azzawajal kay pass un aamal ki maqbooliyat ka daromadar insan kay khuloos pay hai ugar us nay Allah azzawajal ki raza kay leay koi amal kia tu Allah azzawajal tu dil ka hal daikhnay wala hai is dunya mai kisi na kisi tarah aur aakhirat mai tu zaror us ko ajar milay ga inshaAllah aur jo Allah azzawajal ki raza kay leay (dunyadari aur dikhaway kay leay nahee) naik aamal kartay hain Allah azzawajal un say baki buraio ko bhee dur farma kay un ko pak o saaf farma daita hai aain kisi photo ya mujassamay waghaira kay samnay namaz parhi jaiay tu namaz ko dohrana paray ga kay yei namaz ko fasid kar daiti hai aur bilkul na bach saktay ho tu us tasveer ko ulat dain aur mujassamay ko dhanp dain ya phir apni pusht ki taraf kar lain jis jaga kuch mumkin na ho tu namaz tu har hal mai faraz hai aur Allah dilo ka hal jannay wala hai La Yukalliful laho nafsan Illa Wus'aha tu ho sakta hai in aamal ki barkat say he un ko taufeeq ho jaiay gee aur inshaAllah wo yei cheazain bhe chor dai gain aur phir kamil qubooliyat bhee naseeb ho jaiay gee inshaAllah
  16. Hadis e pak mai yei bhe hai kay jis nay Lailahaillahlah kaha wo jannati hai aur aisi bayshumar ahadis hai jis mai Iman pay marnay walo kay leay maghfirat ki bisharat hai inshaAllah azzawjal... Namaz ka taarik kay dil say Iman kamzoor hota rahta hai hatta kay dar hai kahee bilkul he na nikal jaaiy aur wo kufr mai na par jaaiy isi leay kaha gaya namaz momin ki phaichan hai magar yei bhee aap nay suna kay jis kay dil mai rai'ee kay jitna bhe ieeman ho (sachay saheeh aqiday pay ho chahay kitna bayamal ho) inshaAllah wo jannat mai zaror jaiay ga chahay Allah azzawajal apni ata aur Nabi pak alaislam ki shafa'at say bayhisab he dakhil kar day chahay hisab kitab kay baad bakhsha jaaiy chahay tu Allah azzawajal us kay aamal ki saza day kar phir usay jannat mai dakhil karay aur Allah azzawajal ki bargah say ummid hai kay jin loago kay leay dua kartay rahay isale sawab kartay rahain tu un kay namae aamal say Allah azzawajal burai ko mita kar naikio aur sawab ka izafa farmata hai inshaAllah azzawajal isi leay har musalman ko apni duao aur isal e sawab mai yad rakkhna chaheay kay jis ka koi bhe na ho usko bhee isal e sawab hota rahay.. aap ki mazkoora photo mai aap syedina Imam e Azam rahmatullah alaih ka farman parh saktay hain kay baynamazi ko qaid karo hatta kay tauba karay wallaho alam waRasuluh alaihislam.. mai nay jo ulema karam say sunya hai wo hasoole barkat aur seekhnay sikhany ki niyyat say likh dia aur wo yehi hai kay Baynamazi kay ooper fatwa kufr ka nahee lagaya jata na us pay kuffar kay ahkam jari hotay hain warna aaj kal kitnay baynamzi hai un kay marnay kay baad phir na un ki janaza ho na kafan dafan magar yei sab aap bhee mantay ho gain sirf isale sawab mai phir aap kyu uljhan ka shikar hain.. may Allah suhana'o wa ta'ala help us all amin jo kalmago'u saheeul aqida musalman foat ho jaiay us kay leay duaiy maghfirat karna aur isale sawab karna chaheay aur walidaain kay leay bayhad zarori balkay un ka haq hai ugar wo mashaAllah islam o iman pay foat howay Allah azzawajal ham sab ko Iman pay mo'aat naseeb karay aamin aur yei tarke namaz kufr hai yei Imam Ahmed bin Hanbal rahmtullah alaih ka qaul likha hai mujhay nahee maloom kay is ki asal riwayat kia hai jis tarah baki farman likhay howay hain us say tu lagta hai kay mafhoom likha howa asal alfaz nahee ... abhee mai fatwa likh kay bhaij raha ho inshaAllah jawab aajata hai tu yaha laga du ga ya kisi kay pas pahlay say ho tu inshaAllah wo aap ko jawab daay dai gain dua hai kay Allah azzwajal hamain Madinay kay tajdar alaihisSlam ki shafa'at naseeb karay aur bayhisab jannat mai apnay Habib pak alaislam kay qadmo mai jaga naseeb farmaiay amin Wasslam alaikum warahmtullah
  17. mai nay riwaj ko daikhnay ka nahee kaha isi leay kaha mumkin ho tu koi jaga makhsos kar laini chaheay magar ab aisa mayyasar na ho tu ... satar aya'n hu tu zikar jarri nahe kar saktay dil mai kar saktay hain aur aisay he har hal mai dil mai zikar kar saktay hain balkay iman kamil jis ka ho jata hai aur Allah ki marifat mil jati hai us ka dil tu har waqt Allah Allah he karta rahta hai sotay jagtay uthtay baithtay har waqt ... laiken zuban say karnay kay leay adab zarori hai.. baki jo jaga finafsihi najis na ho us jaga aap wazoo kartay howay kalma waghaira parh saktay hain aur jab jaga dosri mayyasar nahe aur sath mai toilet hai magar najasat nahee tu make sure istamal kay baad jaga saaf ho aur waha najasat maujood na ho balkay baha dee gae ho jaisay aaj kal aam aisay he hota hai kay sab gandagi pipe lines kay zareaiy gharo say bahar flush kar dee jati hai ... Wallaho aalam wa Rasuluhu alaislam
  18. aaj kal mukammal baylabas ho kay nahanay ka dastoor hai tu jab aisi halat mai insan hai tu jo bhee zikar dua waghaira parhni hai wo apnay dil mai he parhni chaheay.. Aur jo attached washrooms waghaira hotay hain waha ugar istamal kay baad jaisay aaj kal riwaj hai flush kar dia jata hai tu koi najasat maujood nahe hoti ugar ain us jaga say hat kay ghusal waghaira ki jaga pay sirf wazoo kar rahay hain tu dua waghaira parh saktay hain. aur madani mashwara yei hai kay jab ghar tameer ho ya jis ko Allah azzawajal taufeeq day kay wo yei tabdeeli kara sakay , ugar munasib ho to koi choti si jaga makhsoos wazoo kay leay bana le jaiay jaha bhaith kay sunnat kay mutabiq sab ghar walay wazoo kar sakain... and Allah azzawajal knows the best and His Prophet alaihislam
  19. kisi bhee jandar ki tasveer apnay ghar mai diwaro waghaira pay na lagaiay aur yei jo loag tughray waghaira lagatay hain jis mai kisi buzurg ki tasveer hoti hai aur is ko barkat ka bais samghtay hain yei bilkul theak nahee... Khana e kaba , Roza e Rasool alaislam , Harmain Sharifain , Baitul Muqaddas , Mazarate Auliya , Masajid , Naqshe Naalain sharifain waghaira zaror oonchi jaga adab kay saath lagaiay inshaAllah barkat hogee is kay elawa koi bhee tasveer lagaiay jaisay qudrati manazir, samundar , aabshar waghaira magar jandar ashiya insano , janwaro , parindo ki tasaveer ya jandar ki tarah banaiay gaee koi bhee tasveer maslan cartoons waghaira ki tasaveer aur mujassamy hargiz apnay gharo mai na rakkhain aur bachoon (aur ab tu ba'roon) kay kaproo'n shirts , socks aur khilono waghaira mai bhee jandar ashiya ki tasaveer print ho tu wo istamal nahe karnay chaheay .. aap nay sahee parha Allah azzawajal ki rahmat kay farishtay us ghar mai nahee aatay tu phir rahmat bhe nahee aati.. Allah azzawajal hamaray gharo pay apni rahmat rakkhay aamin aur jo tasaveer phir bhe hoti hain jaisay passport , id card aur digar cheazain un ko kisi jaga locker waghaira mai rakkhain.. wallaho aalam wa Rasuluh alaihislam
  20. Namaz na parhna aur saray alag gunah jo sab aamal hain Allah azzawajal unhain maaf farmaiay aamin yei sab waeedain hain ; aur Namaz ka muqam bayan karnay kay leay hain kay yei Islami tashakkhus ki phaichan hai magar jo shaks namaz ka tarik ho usay ham kafir na kahai gain na samghay gain na kuffar ka koi hukam us pay lagay ga (magar jo shaks namaz ki farziyat ka he inkar kar day wo zaror kafir hai kay jaisay Syedina Abubakr raziAllah anho nay zakat kay munkiro pay jahad ka hukam dia) aur Allah azzawajal hamain aur sab musalmano ko namaz pay qayam karay aur jo is dunya say chalaiy gaiy Allah azzawajal apnay Nabi pak alaihislam kay sadqay un kay gunah maaf farma kay baksh day aamin innaho howat Tawwabur Raheem. Jo musalman bhee is dunya say chalaiy gaiay un kay leay duaiy maghfirat aur iesal e sawab kartay rahain jis qadar taufeeq hu aur khousan walidain ka buhat buhat ziada haq hai ugar Alhamdulillah walidaain , rishta dar , doast ahbab jo Saheeh ul aqida Musalman hoon un kay leay zaror duaiy maghfirat karain aur Iesal-e sawab kartay rahain. Har namaz kay baad kam az kam Sora fatiha , 3 martaba Sora Ikhlas aur Ayatul kursi (aur jo bhee aayat aurad waghaira parhnay hoon) , awwal aakhir darod sharif kay sath parh kay Allah azzawajal say dua karain kay is mai jo ghaltiyan hain Allah azzawajal unhain maaf kar kay qabool farmaiay aur is ka sawab hamari taraf say Sarkare du Aalam alaislam ki bargah mai hadiyatan tohfatan paish farmaiay aur Nabi pak alaislam kay waseela jaleela say tamam Anbiya karam alaihimusSlam , tamam Sahaba kiram , tamam Auliya kiram aur Nabi pak alaisSlam aur in sab kay wasilay say tamam Momineen Mominat Muslimeen Muslimat ko Allah azzawajal is ka sawab pohanchaiay aamin phir khosus bil khousus falan falan ko ( walidain , buzaragane deen aur jis ka bhee naam ho zikar kar dain) is ka sawab pohnchay inshaAllah Allah azzawajal sab ko is ka sawab pohanchaiay ga aur Musalman ki shan yehi hai kay wo un Musalmano kay leay jo is dunya say chalaiy gaiay maghfirat ki dua aur Iesal e sawab karta rahay inshaAllah jab ham is dunya say chalaiy jaaiy gain tu hamaray baad walay musalman bhe hamain yaad rakkhay gain inshaAllah
  21. Allah azzawajal ham sab ko aisay badmazhabo aur fitna andazo kay shar say bachaiay aamin
  22. JazakAllah khair brother Rafique May Allah azzawajal keep us steadfast on the true way of Islam and may Allah save us from all non-Islamic believes and actions aamin
×
×
  • Create New...