madina-e tayeba ki haazri
Hazrat ibne umar radi allah taala anhuma ne kaha k rasoole kareem ne farmaya k jo shakhs meri qaber ki zyarat kare us k liye meri shafaat wajib he.
(dar qatni,behaqi)
Hazrat ibne umar radi allah taala anhuma ne kaha k huzoor ne farmaya k jo meri zyarat k liye aaya siwai meri zyarat or kisi haajat k liye na aaya to mujh per haq he k qyamat k din us ka shafee banoo.(bukhari)
Hazrat ibne umar radi allah taala anhuma ne kaha k rasoole kareem ne farmaya k jis ne haj kya or meri wafaat k baad meri qaber ki zyarat ki to aisa he jesy meri hayaat main zyarat se musharraf hua.
(dar qatni,tabrani)
IHTEBAH.
1.Zyarate aqdas qareeb bawajib he.(fatawa razwiya,bahare shariat)
2.haj k liye jana or sarkare aqdas k roza-e anwar ki zyarat na kerna bad bakhti ki alamat he.