Ya nabi dekha hai rutba aapki naalen ka
arsh ne chooma hai talwa aapki naalen ka
aapki khidmat ka mujhko kaash mil jaata sharaf
bandhta haathon se tasma aapki naalen ka
aap k qadmon ki narmi qalb per mehsoos ki
jab bhi main ne naqsh dekha aapki naalen ka
hashar main jab log choomain aap ka daste karam
sab se chup kar loon main bosa aapki naalen ka
roze mahsher sar pe sooraj jab sawa neze pe ho
aik neze par ho saya aapki naalen ka
jis se aage jain to jal jain par jibreel k
us se aage jana dekha aapki naalen ka
taaj kyun na bheek mangy aapki naalen ki
taajwar khate hain sadqa aapki naalen ka