Aray wohi to may pooch raha hu kay ab agar koi bolay kay:
1.) Qabr par azaan Huzoor kay kisi saheeh aur sareeh hadeeth say sabit nahi
2.) Aur Qabr par azaan har giz sunnat nahi balkay khilaf sunnat hay jis ka shariat may koi wajood nahi.
aur upar tumharay ala hazrat ka hawala guzr chuka hay kay "jis amr say Mustafa bay uzar o manay bil qasd ihteraz farmay , woh zaroor amr e shari o mashroo nahi hosakta"
Ab jawab do barelwio , tumharay inhi usoolo say ghaibana namaz e jannaza to najaiaz hogaya aur qabr par azaan jaiz?Kyon?
May hargiz is namaz ko jaiz nahi keh raha , may to bas yay sabit karna cha raha hu kay jis usool kay teht ghaibana namaz e jannaza najaiz hay , usi usool kay teht qabr par azaan najaiz kyon nahi?