Jump to content

Shadab Ashrafi

اراکین
  • کل پوسٹس

    60
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    7

سب کچھ Shadab Ashrafi نے پوسٹ کیا

  1. Imam Subki Ne Bhi Kiya Hai http://www.islamimehfil.com/topic/23294-saleheen-ka-aqida-tawassul-per/#entry99917
  2. ⭐ NABI-E-KARIM ﷺ AB ABHI HUMARE DILON K HAAL SE WAQIF HAIN ⭐ Imam Ibn Hajar Haithami Shafayi Farmate Hain k... Zayereen k Liye Masnoon Hai k Mowajah Sharif Me Khada Ho To Apni Nazrein Rauzah Sharif Ki Mowajah Sharif Wali Deewar k Samne Zamin Per Rakhe Or Nazron Ko Idhar-Udhar Jhankne Se Rokey Or Zeb-o-Zeenat Or Dusre Hazraat Se Sarf Nazar Kare Kyun k Yeh Moqaam-e-Haibat-o-Jalal Hai Duniya k A'alaiq Se Apne Dil Ko Khali Kare Or Apne Dil Me Is Izzat-o-Jalal Wale Moqaam Ka Khayal Rakhe Or Yeh Soche k Main Kis Jagah Hazir Hoon Or AAP ﷺ Zinda Hain Zayereen Yeh Zehan Nasheen Rakhe k AAP ﷺ Zinda Hain Or Woh Us Ki Taraf Dekh Rahe Hain Or Mukhatib Hain Or Us k Dil Or Jo Dil Me Hain Us Ko Jante Hain Or Is Ko Yun Zehan Nasheen Rakhe Jaisa Rakhne Ka Haq Hai Or Har Duniyawi Ta'luq Tod De Takeh Us k Liye Har Kamal Hasil Ho Sake. ➡ IBN HAJAR HAITHAMI SHAFAYI, AL-JAWHAR AL-MOANAZZIM FI ZEYARATI AL-QABRI AL- SHARIF AL-NABAWI AL-MOKARRAM, FASL NO. 7, MASLA NO. 9, SAFA NO. 114.
  3. Burhan Bhai Mujhe Mukhtasar Bukhari Ka Scan Page Chahiye Ya Sahih Bukhari Se Mokammal Hawala Isi Hadees Per Ho To Woh Hi De Dijye
  4. حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَسْلَمَةَ، حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي حَازِمٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ سَهْلٍ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّ امْرَأَةً، جَاءَتِ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم بِبُرْدَةٍ مَنْسُوجَةٍ فِيهَا حَاشِيَتُهَا ـ أَتَدْرُونَ مَا الْبُرْدَةُ قَالُوا الشَّمْلَةُ‏.‏ قَالَ نَعَمْ‏.‏ قَالَتْ نَسَجْتُهَا بِيَدِي، فَجِئْتُ لأَكْسُوَكَهَا‏.‏ فَأَخَذَهَا النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم مُحْتَاجًا إِلَيْهَا، فَخَرَجَ إِلَيْنَا وَإِنَّهَا إِزَارُهُ، فَحَسَّنَهَا فُلاَنٌ فَقَالَ اكْسُنِيهَا، مَا أَحْسَنَهَا‏.‏ قَالَ الْقَوْمُ مَا أَحْسَنْتَ، لَبِسَهَا النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم مُحْتَاجًا إِلَيْهَا، ثُمَّ سَأَلْتَهُ وَعَلِمْتَ أَنَّهُ لاَ يَرُدُّ‏.‏ قَالَ إِنِّي وَاللَّهِ مَا سَأَلْتُهُ لأَلْبَسَهَا إِنَّمَا سَأَلْتُهُ لِتَكُونَ كَفَنِي‏.‏ قَالَ سَهْلٌ فَكَانَتْ كَفَنَهُ‏.‏ Mujh Se Abdullah Bin Muslimah Ne, Un Se Abi Hazim Ne, Un Se Un k Walid Ne, Or Un Se Hazrat Sahal رضي الله تعالٰی عنه Ne Farmaya k Ek Aurat Buni Huwi Hashiye Wali Chadar Le Kar NABI-E-KARIM ﷺ Ki Bargah-e-Aqdas Me Hazir Huwi Tum Jante Ho k Burdah Kya Hai...??? Logo Ne Kaha Chadar Farmaya Han Aurat Ne Kaha Main Ne Ise Apne Hath Se Buna Hai Takeh AAP ﷺ Ko Pahna'un NABI-E-KARIM ﷺ Ne Woh Le Li Or AAP ﷺ Ko Zaroorat Bhi Thi AAP ﷺ Use Izaar Bana Kar Humare Pass Tashrif Laye Fala'n Ne Us Ki Tareef Ki Or Kaha Kitni Achchi Hai Yeh Mujhe Pahna Dijye Logo Ne Kaha Tum Ne Achcha Nahi Kiya Kyun k NABI-E-KARIM ﷺ Ko Is Ki Zaroorat Thi Or Fir Tum Ne Yeh Jante Huwe Sawal Kar Diya k AAP ﷺ Kisi Ka Sawal Rad Nahi Farmate Kaha k ALLAH Ki Qasam Main Ne Yeh Pahanne k Liya Nahi Mangi Balkeh Is Liya Mangi Hai k Ise Apna Kafan Bana'un Hazrat Sahal رضي الله تعالٰی عنه Ne Farmaya k Wahi Us Ki Kafan Bani. ➡ SAHIH BUKHARI, KITABUL JANAYAZ, BAB 28, JILD 1, HADEES 1277.
  5. Or Asaan Karta Hoon Likha Hai Jo Suunat Hogi Woh Use Bid'at Samjhenge Or Jo Bid'at Hogi Woh Use Sunnat Samjhenge. Aisa Likha Hai Na...???
  6. Hazrat Ibn Abbas رضي الله تعالٰی عنه Farmate Hain k NABI-E-KARIM ﷺ Ne Farmaya k Akhir Zamane Me Aise Log Aayenge Jin k Munh To Aadmiyon Ki Tarah Honge Lekin Un k Dil قلوب شياطين Honge Woh Amr-e-Qabeeh Se Ba'z Rahenge Agar Tum Un Ki Motabe'at Karoge To Woh Tumhari Madaraat Karenge Or Agar Un Se Kinarakash Hogaye To Woh Tumhe Bura Kahenge Or Agar Tum Un Se Baat Karoge To Woh Tumhe Jhutlayenge Or Agar Tum Un k Pass Amanat Rakhoge To Woh Tumhari Khayanat Karenge Un k Bachche Behaya, Besharam Honge Un k Jawan Shatir Or Chalaak Honge Un k Budhe امر بلمروف و نہی عن المنکر Na Karenge Un Se Izzat k Sath Pesh Aana Zillat Hogi Or Jo Un k Hathon Me Hoga Use Talab Karna Mohtaji Hogi Un Logon Me Burdbar Shakhs Ko Bad Andesh Or Khatakar Thahraya Jayega Un Me Neki Ka Hukm Dene Wala Mohtamim Hoga Un Me Imandaar Momin Kamzor Samjha Jayega Un Me Fasiq-o-Fajir Izzatdaar Hoga Un Ki Zaban Per بدعت بدعت Hogi Or Jo بدعت Hogi Woh Un Me Sunnat Kah Layegi Us Waqt Un Logo Per Badtareen Log Hakim Bana Diye Jayenge Un Me Se Achche Log Dua Mangeinge Magar Un Ki Dua Qobool Na Hogi. ➡ KHASAIS-UL-KUBRA, JILD 2, SAFA 157.
  7. Bhai Ansar Ki Aurat Ne Mimbar Banane Ka Nahi Kaha Tha Balkeh Ek Rumi Shakhs Ne Kaha Tha
  8. Shadab Ashrafi

    Saleheen Ka Aqida Tawassul Per

    ⭐TAWASSUL⭐ Imam Taqiuddin Subki Farmate Hain k Yaad Rakho NABI-E-KARIM ﷺ Ko Waseelah Banana Or NABI-E-KARIM ﷺ Se Madad Or Shafa'at Chahna Jayaz Hi Nahi Balkeh Amr Mustahsan Hai Is Ka Jayaz Or Mustahsan Hona Har Deendar k Liye Ek Badehi Amr (Qaul-e-Sadiq, Sachhayi, Haq, Musalemah Haqiqat) Hai Jo ANBIYA, RASOOLON, SALF SALEHEEN OR OLMA Se Sabit Hai Or Kisi Mazhab Walon Ne In Baataon Se Inkar Nahi Kiya Or Na Kisi Zamane Me In Cheezon Ki Burayi Ki Baat Kahi Gayi Fir Ibn Tamiyah Paida Huwa Or In Cheezon Ka Us Ne Inkar Shuru Kar Diya Or Aisi Baat Kahi Jin Se Ek Bhola Bhala Musalman Dhokey Me Pad Jaye Or Ek Aisi Nayi Baat Kahni Shuru Kardi Jo Ab Tak Kisi Ne Na Kahi Thi. ➡ IMAM TAQIUDDIN SUBKI, SHIFA-US-SIQAM FI ZEYARAT-E-KHAIRUL ANAAM, SAFA 357, DARUL KUTUB ILMIYAH, BEIRUT LEBANON.
  9. SUBHAN ALLAH ⭐ RAB KI ATA KARDA NEMATON KO BANTNE WALE HAIN NABI-E-KARIM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM ⭐ Hazrat Jabir Bin Abdullah رضي الله تعالٰی عنه Farmate Hain k Hum Me Se Kisi Ansari k Ghar Ladka Paida Huwa To Irada Huwa k Us Ka Naam MOHAMMAD (ﷺ) Rakh Diya Jaye Sho'aba Ne Mansoor Ki Rewayat Me Kaha k Ansari Ne Bataya k Main Us Ladke Ko Apni God (Lape) Me Le Kar NABI-E-KARIM ﷺ Ki Khidmat-e-Aqdas Me Hazir Huwa Suleman Ki Rewayat Me Hai k Us k Ghar Ladka Paida Huwa To Irada Huwa k Us Ka Naam MOHAMMAD (ﷺ) Rakh Dein NABI-E-KARIM ﷺ Ne Farmaya k Mera Naam Rakh Lo Lekin Meri Kuniyat (Abul Qasim) Na Rakhna Kyun k ALLAH TA'ALA Ne Mujhe Apni Nematein Tumhare Darmiyan Taqseem Karne k Liye QASIM Banaya Hai Hosain Ki Rewayat Me Hai Mujhe ALLAH TA'ALA Ne Tumhare Darmiyan Apni Nematein Taqseem Karne k Liye QASIM Bana Kar Mab'oos Farmaya Hai Hazrat Jabir رضي الله تعالٰی عنه Se Dusri Rewayat Me Hai k Un Ka Irada Huwa k Bachche Ka Naam QASIM Rakh Len To NABI-E-KARIM ﷺ Ne Farmaya k Mera Naam Rakh Lo Lekin Meri Kuniyat Na Rakhna. ➡ SAHIH BUKHARI, JILD 3, KITAB FARZ UL KHAMS, HADEES 3114.
  10. Shadab Ashrafi

    Noor-E-Mustafa ﷺ

    SUBHAN ALLAH
  11. Hazrat Ibad Bin Abdus Samad رضي الله تعالٰی عنه Farmate Hain k Hum Hazrat Anas Bin Malik رضي الله تعالٰی عنه k Pas Pahunche To Aap Ne Farmaya Aye Kaneez Dastarkhan Lao Takeh Hum Khana Khayein To Woh Dastarkhan Layi Fir Farmaya Rumal Lao Woh Rumal Layi Jo Ganda Tha Aap Ne Farmaya Tanoor Garam Karo Us Ne Tanoor Garam Kiya Aap Ne Hukm Diya k Tanoor Me Rumal Ko Dal Do Rumal Ko Tanoor Me Dal Diya Gaya Jab Rumal Ko Tanoor Se Nikala Gaya To Rumal Doodh Ki Tarah Safed Tha Hum Ne Un Se Pucha k Yeh Kya Baat Hai k Aag Ne Kapde Ko Jalaya Nahi Or Khoob Saaf Kar Diya....??? Unho Ne Farmaya k NABI-E-KARIM ﷺ Is Rumal Se Rukh-e-Anwar Or Dast-e-Mubarak Khushk Kiya Karte The Jab Yeh Ganda Ho Jata Hai To Hum Aisa Hi Karte Hain Kyun k Aag Us Cheez Ko Nuksan Nahi Pahunchati Jo ANBIYA-E-KARAM ALAIHIS SALAM k Chehron Se Mas (Touch) Ho Jati Hai. ➡ KHASAIS-UL-KUBRA, JILD 2, SAFA 80.
  12. SUBHAN ALLAH ⭐ NABI-E-KARIM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM "RAB KI ATA SE IKHTEYAR WALE" HAIN ⭐ Hazrat Horaish Rahmatullah Alaihe Farmate Hain k Hazrat Talha Radi Allaho Ta'ala Anho Ne Farmaya k Jab Pahli Martaba KHANA-E-KABA Munhadum Huwa To Wahan Ek Patther Mila Jis Per Kuch Tahrir Tha Fir Ek Shakhs Ko Bolaya Gaya Us Shakhs Ne Padha To Likha Huwa Tha " MERA JO BANDA MUNTAKHAB, MOTAWAKKAL, MUNEEB OR MUKHTAR HAI US K WELADAT KI JAGAH MAKKA OR HIJRAT KI JAGAH MADINA HAI WOH DUNIYA SE RUKHSAT NA HOGA JAB TAK TEDHI ZABANO KO SIDHA NA KARDE OR AAM GAWAHI NA HO JAYE K ALLAH K SIWA KOI MABOOD NAHI US KI UMMAT BAHUT ZYADA HAMD KARNE WALI HOGI WOH HAR FARAAZ PER ALLAH TA'ALA KI HAMD KAREGI OR NASF KAMAR PER TAHBAND BANDHEGI OR APNE HATHO OR PAON KO PAAK RAKHEGI. 》KHASAIS-UL-KUBRA, JILD 1, SAFA 36
  13. ☆QABR-E-ANWAR SE TAWASSUL SALEHEEN KI SUNNAT☆ SUBHAN ALLAH Hazrat Abu Al Jawza Radi Allaho Ta'ala Anho Farmate Hain k Ahle Madina Ek Martaba Sakht Qahat Me Mubtala Huwe To Ahle Madina Apni Pareshani Ko Le Kar Hazrat Aisha Siddiqa Radi Allaho Ta'ala Anha k Pass Hazir Huwe Hazrat Aisha Siddiqa Radi Allaho Ta'ala Anha Ne Farmaya k NABI-E-PAK SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM Ki Qabr-e-Anwar k Pass Jao Or Rauz-e-Pak Ki Chhat Ko Darmiyan Se Khol Do Takeh Qabr-e-Anwar Or Asman k Darmiyan Chhat Hayel Na Rahe Logo Ne Aisa Hi Kiya To Khoob Barish Hone Lagi Sabza Khoob Huwa Or Oont Khoob Mote Ho Gaye Zyada Charbi Hone Se Maloom Hota k Phat Padenge Or Is Saal Ka Naam Haryali Ka Saal Rakha Gaya. 》IMAM QUSTALANI, MUWAHIB-UL-LADUNIYAH, JILD 4, SAFA 276. 》DARMI SHARIF, JILD 1, HADEES 92. 》MISHKAT SHARIF, HADEES 5950.
  14. Hadees Sharif Ki Books Ka Arbic Aur Urdu Link Chahiye Jis Me Mishkat Sharif, Darmi Sharif Or Deegar Sabhi Ahadees Ki Kitab Maujud Ho
  15. فلما ولى عمربن الخطاب خطب الناس على منبر رسول الله صلى الله عليه وسلم حمدالله وأثنى عليه ثم قال يا أيها الناس إنى قد علمت انكم كنتم تونسون من شدة وغلظة وذالك اني كنت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم وكنت عبده و خادمه : كنز العمال جلد ٣ صفح ١٤٧ Is Ka Scan Chahiye
  16. Is Hadees k Scan Ki Zaroorat Shayad Bukhari Sharif Me Bhi Yeh Hadees Hai Agar Kisi Bhai k Pas Ho To Post Kar Den Badi Meharbani Hogi
×
×
  • Create New...