Asalam o alaikum Brothers,
Bhaiyon, Ap aik dam sy dusron par charh dorte hain jb k rasool e khuda s.a.w.w. ka farmaan hy k agar kisi sy behes karo to ahsan tareeqy sy karo or har aik ko apni baat kehne ka moqa do. Abusive language use na karo. Apne arguments polite rakho takay kisi ki dil aazaari na ho.
Jo daleelain ap de rahy hain musalmanon k kaan in ko sun sun kar pak chuky hain lekin afsos k ye baten jahil olama ny logon k zehnon mein daal di hain jin me koi wazan nahi hy. Wo chahte hain k pakistan ko musalmanon k liye jahannum bana dain or shia sunni k jhagry sy hamari taqat ko khtm kar dain. Allah (j.j) ki qasam, shia or sunni 2no he islam ki taqat hain.
Agar taa'sub ki aenak hata kar dekhen or tehqeeq karen to ye bat waazy ho jae gi k shia kafir nahi hain. And yes me khud shia nahi hun but mre neighbour me shia rehte hain. Kaheen ye na smjhen k mein unhen advocate kar rahi hun.
1. Na he un k or hamary quran me aik lafz ka farq hy.
2. Na he wo sahaaba karam r.a ko galiyan dete hain (chand jahil log hain jo tareekh sy na aashna hain or suni sunaai baton par bolne lag jate hain). Kia ap log un 2 takay k olama jinhon ny 3 din tableegh attend kar li un k fatwon ko ankhen bnd kar k hujjat tasleem kar lain gy or khud tehqeeq nahi karen gy?
3. Questions py question puchne k bajae or aik dusry ko taane dene k bajae puche gae questions ka answer dain. Kisi ki dil azaari na karen please ye saazish hy jo ap k zehnon mein ajib o gharib baten dalte hain. Na he un ki koi haqeeqat hy or na he logic.
Reh gai baat moavia (r.a) ki to kon kon ye janta hy k Moavia usi aurat (Hinda) ka beta hy jis ny hazrat e hamza (r.a) ka jigar chabaaya tha or un k jism k aaza kat kar us ka haar bana kar pehna tha??
Bhaiyon, insaf kren. Rasool (s.a.w.w) ko dukh dene wala jannat ki khushbu bhi nahi sungh sakta.
Mene khud apne neighbour bhai sy es baary me baat ki or unhon ny kaha hum sirf unhen he sahaaba maante hain jinhen aap (s.a.w.w) ny khud apna sahaaba kaha hy. Na k wo jo apne apko un ka sahaabi smjte hain. Un ko bura kehte hain jo sirf nam k sahaba thay.
Or us ki daleel mein unhon ny 3rd paara 1st aayat sunai.
"Allah ny rasoolon mein baaz ko baaz par fazilat de di hy"
Or phir kaha k jab rasool aik jese na ho saky to sahaba aik jese kese ho skte hain???
Ye talkh hy but es haqeeqat ko tasleem karna pare ga k kuch aisy log thay jo ap (s.a.w.w) ki sohbat mein bethte thay lekin un ka kirdaar sahaaba wala nahi tha. Please one sided ho kr sochne k bajaae es haqeeqat ko tasleem karen. Tamaam sahaab aik jese nahi thay. Kyun es baat ko nahi maante k sahaaba insan hain aasman sy utry huey farishte nahi.
Finally Hazrat abubakar siddique (r.a) or baqi 2 khalifa e rashideen ko shia usi trha khalifa maante hain jis trha aap. Farq ye hy k wo "Moroosi" khilaafat Hazrat Ali (r.a) ki tasleem karte hain or duniyawi hamary 3 khulafa ki.
I request you k khud parhen or tehqeeq karen na k kisi ki kahi suni hoi baton par yaqeen karen. Ye baten saalha saal sy chali aa rahi hain. Afsos hy k mere bhai in choti choti baton par aik dusry k dushman bn jaen.
Mri koi bat buri lagi ho to maaf kar dijiye ga.
Shukria
Tehmina Saeed