Jump to content

shahzad6058811

اراکین
  • کل پوسٹس

    634
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    17

سب کچھ shahzad6058811 نے پوسٹ کیا

  1. Mr abdul wahab par hansi aati hay. Baaba pehlay to seekh lo k eid lafaz urdu ka hay,farsi ka ya arabi ka. ya swaal karo k milaad un nabi par ko e kitab ho to dikha o.Moulana Ahmad Raza Khan sahib say pehlay . to main aik naam likh raha hoon. pata kar lo ya kab kee hay MOULUD UR RASOOlALLAH AZ ALLAMA IBNE KASEER DAMISHQEE
  2. Mr abdul wahab jawaab day raha hoon. tanveer fee mouludul bashar main hazrat ibne abbas say aik rawait marvi hay hazrat Abdullah bin abbas aik din logoon k saamnay apnay ghar main HAZOOR ke wilaadat k waqiaat biaan farma rahay thay aur izhar musarrat o khushi kar kay ALLAH ka shukar baja laa rahay thay aur HAZOOR par salato salam bhaij rahay thay achanak HAZOOR tashreef la ay aur daikh kar farmaya, mairee shafaat tukharay liee ay halal ho gaee. issi tarha issi kitab kay hawalay say syed ahmad Muhammad deedar ali apni tasneef rasoolulkalam mun kalamsyed ulannaam fee biaan ul mouloodul qayyam main aur riwayat biaan farmaatay hain. Hazrat Abu darda farmaatay hain,HAZOOR k hmrah aik din maira guzar hazrat Amir ansari kay makan kee taraf hu aa, ham nay daikha k wo apnay kunba waloon aur apnay baitoon k wilaadat nabvi k waaqiaat suna rahay thay aur keh rahay thay k yahee din tha(peer ka din). AAP nay farmya k na shak ALLAH nay tunhaaray liee ay rehmat k darwaazay khol diee ay hain aur sub farishtay tumhaaray liee ay bakhsish ke dua mangtay hain. JO SHAKASH BHEE TUMHAARAY JAISA KAAM (zikra e wilaadat )KARAY GA USSAY TUMHAARAY JAISA AJRO SWAAB MILAY GA. Mr,Abdul wahab umeed hay thand par gaee ho gee.
  3. karachi main mashoor alam asghar daras hain kisi masjid k khateeb, muharaam main t v par nazar aatay hain. darcheenee colour k amama pehntay hain. agar aap karachi kay hain to ptcl say un ka number lay kar aasaani say un say pata chal sakta . ya jahan bhee rehtay hain ptcl say 1217 par MOULANA MUHAMMAD ASGHAR DARAS ka number lay lain. asghar daras zahoor sahib k baitay ya potay hain. aap ko sahee maalumaat mil ja ain gee. itna he guide kar sakta hoon. DARAS family k naam say ya log pehchaanay jaatay hain aur mashoor khateeb aur alam hain.1217 say karachi ka kahain.
  4. saudia main harmain shreefan main saudi hakoomat kay mulazim molvi har namaz k baad group ke shakal main arabic, bangaali, aur urdu main lectiure daitay hain. aur urdu walay khaas tour par 2 cheezoon ka daras daitay hain. ALLAH arash par ustawaa hay. HAZOOR kay waaldain eh li eemaan naheen thay. ya muslimaan naheen thay. ho sakta hay pakistani ghair muqaldeen ya deobandioon ka bhee yahee aqeeda ho. jo ham suntain hain wo ya hay. HAZOOR apni walida majida kee qabar par hazir hu ay . AAP nay dua k liee haath utha ay to ALLAH nay dua mangnay say mana farma dia. sunni kehtay hain mana is liee ay farmaya gia k dua mat maango ya maghfirat shuda hain. ghair muqaldeen kehtay hain choon kay wo muslimaan naheen thay is liee dua kee ijaazat naheen mili. aik jagah ya bhee parah tha k hazoor kay walidain kareemain ko zinda kia gia aur wo emaan la ay aur aap ke risalat ke gawaahee dee. yad rahay HAZOOR kay walid muhtaram ka naam ABDULLAH yaani ALLAH ka banda aur DAADA ka naam ABDUL MUTLIB tha. MUTLIB bhee Allah ka naam hay. to DAADA bhee ALLAH ko maantay thay tabhee to ABDULLAH naam rakha. mazeed kehtay kay ya deen e ibraheemee par thay. is saari temheed ka matlab yoon biaan karta hoon,ho sakta hay ya nuqta kisi kay zehan main ,ya ho sakta hay na bhee ho. namaz main akhri rakat main darood sharif k baad jo ayyat parhi jaati hay, ya ayaat quaraan pak main bhee moujood hay shaid. chalo agar naheen bhee hay,(magar is kee taaleem to HAZOOR nay dee,kay har namaz main laazmi parho. AAP bhee is dua ko har namaz main 23 saal tak,ya jab say namaz faraz hu e parhtay rahay, is dua main aik ayyat hay jis ka tarjama hay,(AY MAIRAY RUB MAIRAY WAALDAIN KEE MAGHFARIT FARMA) to maira swaal hay agar AAP kay waaldain muslimaan ya eh li eemaan naheen thay to AAP ya dua kio parhtay rahay. kion k non muslim kay liee to dua e maghfarit kee to ijaazat he naheen hay. to sabit huaa k AAP kay waldain muslimaan/eh li eemaan thay, ab AAP ke dua say un kay darjaat buland hotay rahay. HOPE I AM CLEARED,agar ko e ghalti ho gaee ho to mazeed roshni dal dain,thanks to all
  5. jahan tak maira ilam hay qiam i pakistan k baad pehli eid ul fitar ke namaz shah ahmad nooraani sahib k walid e muhtaram shah abdul aleem siddiki nay parahee thee karachi main. ho sakta hay may be i wrong. am i write ?
  6. jitna ilam hay us kay mutabiq aur annkhoon daikhee cheez k mutabic jawab day raha hoon. misaal kay tour par baramday aur main haal kay darmyaan jo darwaazay hain wo 9 ya 13 inch ke deewaar/bunyaad par lagtay hain aur issi bunyaad par main haal ke deewaar banti hay. to darwaazay k neechay jo deewaar ya bunyaad hay 9 ya 13 inch kee, us parh kharay ho kar moazzan jumma ke doosri azaan daita hay,jo khutba say pehlay parhee jaati hay. ab aap bata ain soch samjh kar k ya azan masjid main d ja rahee hay ya bairoon masjid. agar samajh aa gaee hay to CHAKKHAA hee.
  7. jahan main nay saari umar service k hay wahan handwriting expert ke bhee training d jaati thee. start main jo fatwa ka image dia gia hay, is kay mundarjaat k baray main to sahib e ilam he jaan saktay hain. k jo fatwa hay wo sahee hay k naheen k wahan k imam kafir hain aur un k peechay parhi gaee namaz batil hay ya naheen. magar jo swaal likha gia aur jawab dia gia hay,wo aik he person ke writing hay. abdul nabi rizvi faizee kay naam say fatwa likha gia gia hay. address main bab e majeedi likha hay. 1992 k baad baab e majeedi new constructions main zam ho chuka hay, ab is k bahir baray gate ko bab e fahad kehtay hain. ko e purana saudi ho to wo bab e majeedi ko janta ho shaid. abdul nabi to sunni naam hay. wahabi k pass ya fatwa kahan say aa ay aa. wahabi ko kia masla hay. agar main makkha jata hoon aur us imam k peechay namaz naheen parhta aur apni alad parh laita hoon to is say wahabee ko kia takleef hay. jab sunni ke namaz un k pechay naheen hoti, wo alag parh lay, to is ka umra ya haj say kia wasta . ab wahabi kahay ga jamat ka swaab hay, to jamat ka swaab to tab lay ga jab us ke namaz ada ho gee. sunni kehta hay hay mujhay 100000 namaz ka swaab to milta hay na, main wo swaab lay raha hoon. jumma waisay bhee musafir par wajib/ys faraz naheen.
  8. shahzad6058811

    Aisal E Sawab Ka Khana

    kal juma ke namaz main khateeb sahib nay bataya, k molvi ikramul haq, wahabee nay apni taqreer main kaha k agar ko e bhook say mar raha ho, aur us kay samnay khinzeer bhee para ho and khtam wala khana bhee para ho,to marnay laga ho to jaan bachaanay k liee khinzeer kha lay, khatam wala khana na kh ay kion is khatam walay khaanay ka to kaheen likha he naheen hu aa. albatta khinzeer khanay ka hukam quraan main hay,k jaan bachanay k liee ay is ko kha saktay hain. issi tarah madina munawra janat ul baqee main saudi govt k pakistani mulazim urdu main tape record ke tarah ratta laga kar lagaataar bole rahay hotay hain, k aisal e swaab ka kaheen saboot naheemn hay,ham sharat lagaatay hain ko e sabit karay. ko e bhaee comment karna chah hay to most welcome.
  9. janab wahabi sahib, kia hazoor ghous e azam ke zabaan urdu thee. naheen, arabic thee, fathe ul ghaib ke asal book ka page paste karain taak sahee tarjama nazar aa sakay.
  10. janab wahaabee sahib, mairay contents main jashne eid miladuunabi dhoond lain, lagaatar 4/5 topic hain. us main daikh lain aik sahabi apnee family k saamnay HAZOOR ke paidaysh k waqiaat bata rahay thay. AAP nay us ko kia khuskhabri d, wo parh lain.
  11. saad qadri sahib,aap nay bachoon wala jawab dia hay. har saal hazaroon sunni haj bhee karrahay hain aur umrah bhee. fitnay say bachnay k liee ay aur namaz ka wahan jo arrangement hay us agar kotaahi karain to namaazi k liee ay bari mushkal paish aa jaati hay. sahib e ilam sunni apni namaz jamat k saath ada karnay k baan dohraa laita hay agar jamat k saath parhay. jis ko in k aqaid ka ilam naheen un ke jamat ho ja ay gee. aik member rana khalil sahib hain, wo 2 month pehlay is baaray main tafseel say samjha chukay hain. ya keh daina k ya sabaz amaamay wala un ka aadmi ho sakta hay sahee naheen. jab tak full ilam na ho jawab na dain. fatwa k baaray main aap nay kuch naheen batayaa. is par roshni dalain. mairay khial main ya khud sakhta hay.
  12. masjid ke jagah par road naheen ban sakti. na ko e building ban sakti hay. issi foroumn par main nay jawab maanga tha. k saudi govt nay 8/10 mosque ko gira kar hotal ya phir road bana dee. kia ya jaiz tha ya hay. wahabeeo jawab to day do
  13. shahzad6058811

    Deobandi Ka Uras

    kal makhsoos timeko deobandi 3.17 noon aur makhsoos date 17th aug baap (GEN ZIA UL HAQ ) deobandi kay deobandi baitay ijaz ul haq nay apnay baap ka uras manayya aur logoon k saath ja kar fateha khawnee kee. ab sub deobandi khamoosh hain. time fix karna, date fix karna. wah bhaee wah deobandioo wah.jaaab naheen aap ka
  14. shafi, hanblee bhee rafa yadain kartay hain ,kia wo gunahgaar ho rahay hain. yahan aqaid ke ko e baat baheen ho rahi. please advise. sirf rafa yadain kee baat bata ain. thank you.
  15. ya gharilu muaamlaat har family main hotay rehay hain. maan baap ka bhee adab karain aur b v ko bhee izzat dain. asal jhgra aam tour par larkay ke behnoon ke taraf say hota hay,jin ke apni shaadiaan naheen hoti aur badla bhaabi say layteen hain. aap alag ho gay, theek kia, parents ko time daitay rahain. aap ke walda aap ko susraal say qata rehmee kee taaleem day rahee hain ya sakhat gunah hay. kal aap ke behan ka husband aap kee behan ko aap kay parents say naheen milnay day ga to phir kia ho ga. apnay father ko akailay main aitmaad main lain and un ko samjha ain kay hamari behnoon kay susral waalay bhee mother jaisa tareeqa ikhtiaar vkarain to phir kia ho ga. thoray dinoon k liee ay susraal kay ghar kam jana shuru karain. aur apni saas ko bata dain apni problem. thora say break dain gay to aap ke mother khush ho ja ain gee to aahista aahista haalaat normal ho ja ain gay. aap kay bhaee ke shadi ho gee to new dulhan in ko seedah kar day gee phir aap kee izzaat dobara barh ja ay gee. parents say jhgra mat karain. b v ko bhee aitmaad main lain. sub theek ho ja ay ga.
  16. buhat achaa jawaab hay. mazeed aa ssaani k liee ay. har b v kay paas raat guzaarna bari k saath har b v ko aik jaisa khilaana aur pehnaana har b v k haqooq zojiaat ada karna haan agar dil main kisi b v pehli ho ya doosri ka piar ziada hay to us par zore naheen yahan tak likha hay k agar aik b v k paas raat 8 bajay apni baari par ja ay to doosri k pass bhee utna he time daiway. agar aik say time waghaira ke pabandi muaaf kara lee ja ay to alg baat hay. haqooq ada naheen karay aur b v ghalat rah par chal pari to husband gunahgaar. aisa husband sakhat gunah gaar ho raha hay. khatoon ko advise hay k apni mother say baat karay.
  17. bhaee jaan, kia ameen oonchee awaaz say kahain ya aahista say ,is ka eemaan par kia asar parhta hay, kia is ka bhee qiamat main jawab dahee ho gee. oonche awaaz say ameen kehna pehlay ijaazat thee phir mouqoof ho gaee,sahaaba k dour main. oonchee awaaz say ameen kehna sirf ahlihadees he naheen kehtay. hanblee/aur perhaps shafee,malkee bhee kehtay hain. rafaa yadain shaafi bhee kartay hain. malkiee perhaps haath choor kar namaaz parhtay hain. to maira swaal ya hay kay mazahb e arba hanfi/shafi/hanblee/and malki hain . aur charoon barhaq aur ahli sunnat wa jamat hain. charoon sunni kehlaatay hain. to kia un ka rafa yadain karna aur baaz ka oonchee awaaz say ameen kehna bhee ghalat ho ga. shaafi bhee to sunni hain,agar wo rafa yadain karain ya oonchee awaaz main aameen kahain to kia wo ghalat karain. bahut arsa pehlay faisalabad main aik bahut baray alam ke ziarat kee jo shaafi thay aur rafa yadain kar rahay thay. ya sunatain he to hain jin kee har taraf bahaar hay . ko e kar raha hay aur ko e naheen. mairee samajh kay mutabiq in do cheezoon ka aqaid say ko e waasta naheen. extract of mazaakra at Q T V.agar ko e rafa yadain kar raha hay to kia us ko buri nazar say daikhain gay. ya oonchee ameen say. hamain ghair muqaladeen aur deobandeeon kay aqaid say nafrat hay. in 2 cheezoon say naheen.
  18. 295 c hay kia, agar kisi k paas poora qanoon moujood hay to is ko yahan paste kar dain taa k kisi lawyer say point wise samjha ja sakay. thank you,
  19. is ka jawaab qanooni bhee hay aur mazhabi bhee. achay lawyer say bhee pata karain aur mufti sahib say. jo is waqat qanoon hay us ko pehlay parhain, point note karain khas khas, phir mufti sahib say baat karain.
  20. ​60 din lagaatar Prozac rakhay.break na ho. or 60 masaakeen ko pait bhar kar 2 time khana khilaa ay. 60 ko 2 time khana khila day ya mutfariq tour par. magar laazmi hay kay jin ko subah ya dopehar khana khilaya wo he shaam ko hoon. agar maskeen tabdeel ho gay to kafaara ada na hu aa. (DUREY MUKHTAR) ya bhee ho sakta hay k har faqeer/maskeen ko sadqa e fitar,Rs.100/- ka malik bana day,yaanee payment kar day. 30 ko aaj 2 time khila day, 10 ko aj 2 time khila day,aur inhee 10 logoon ko baaqi 5 days main poora kar lay. magar 60 laazmi hain. (Durey mu Mukhtar) sunni bahishti zaiwar page 200, by mufti mufti khalil khan qadri, printed by hamid and company 38 urdu bazar lahore. mazeed is baaray main kisi mufti sahib say pooch lain k agar madrasa k 60 talib ilmoon ko dopehar aur sham inhee 60 talib ilmoon ko khana khila dia ja ay to kia kafaara ada ho ja ay ga. mairay khial main main ya tareeqa aasaan hay kion k 60 ikathay maskeen is tarah he mil saktay hain. magar khial rahay 60 talib ilam wahee hoon jinhoon nay subha khaana khaya. ya in ko 100 rupee kay hisaab say 6000 payment kar dain. khud payment dain har talib ilam ko,un ko is ka malik banaana hay. molvi sahib ko na dain.
  21. politics ko beach main laa kar foroumn k members apas main taqseem ho ja ain gay. jis tarah dawat is lami ghair siaasi tanzeem hay isi tarah is foroumn ko bhee politics ya politicians ya political partirs discuss naheen karna cahaheeay. moulana fazal ur rehman imraan khan ko yahoodioon ka agent kehta hay. agar is foroumn par ya silsala start ho gia to JUI ka har rukan is foroumn ka member ban kar JUI ke sisat ka parchaar karnay lag ja ay ga. jo achaa naheen ho ga. is foroumn ko mazhabi discussion tak mehdood hona theek hay. every member is allowed to comment on it if i am wrong.
  22. bela sahib,haq sahib, aik confusion ho rahee hay. bahut lambee behas chal rahi hay. confusion ke wazahat farma dain. 1.moulana ismail dehlvi aur syed ahmad brailvee nay kis kay khilaaf jang kee. 2.agar sikhoon kay khilaaf kee to kia us waqat punjab main sikhoon ke hakoomat thee. 3.dono mujahid abbot abaad/bala kot sikhoon say jang karnay kahan say gay thay. brailee say/lahore say ya dehli say. 4. kitnay mujahdeen saath gay thay. us zamanay main hatheeoon par thay ya ghoron par. ya truck waghaira par. 5.agar bahut saaray mujahaydeen thay yanee hazaaroon main ya sainkroon main to kitnay dinoon baad bala kot pohnchay. kion k baala kot pahari elaqa hay. 6. is jang kay akhraajaat kia local logon nay as chanda dee ay thay. 7.agar us waqat hakoomat punjaab main sikhoon kee thee to jang to lahore ho chaheey thee.baala kot kion gay. 8. us waqat balakot main kis sikh kee hakoomat thee aur us badsha/chief executive sikh ka kia naam tha. 9. agar punjaab main angraiz kee hakoomat thee to angraiz nay kaisay ijaazat d kay itna bata lashkar bala kot lay ja o. 10.baala kot main sikhoon nay aisay kia haalat kharaab kee ay k muslimaanoon ko wahan jaana para, 11. agar baala kot sikhoon kay khilaaf jehaad karna zaroori tha to yahee jehaad angraizoon k khilaaf kion naheen kia gia. 12.kia angraiz achaay thay sikhoon say. 13.ya ya jehaad angraizon kee ijazat aur hamyat say start kia gia. 14. kia mujahdeen via lahore say baala kot gay thay. 15. in mujahdeen nay logoon ko kia keh kar tayyar kia kay sikhoon nay wahan kia ghalat kaam kiee ay hain. 16. kia angraiz behtar thay sikhoon say. raastay main kisi angraiz nay polica,d c, magistrate nay roka nahhen kay kahan ja rahay ho. uneed karta hoon tassali bakash jawaab dain gay.
  23. is ka behtreen hal hay k B V rozay pooray karay faraz waalay. roza rakhnay k darmayyan waqfa daal day. aik din rakh lay aik din chor day. is tarah ghar ka mahool theek rahay ga. husband bhee khush aur B V ka faraz bhee ada ho ja ay ga aur jhgra bhee naheen ho ga. waisay b v ko ijaazat hay k husband say poochay baghair faraz roza kee qaza rakh sakti hay. faraz roza ke qaza lagaatar rakhna zaroori naheen. aap khud is problem ka accha hal nikal lain. zid karain gee to mahool kharab ho ga.
×
×
  • Create New...