Jump to content

shahzad6058811

اراکین
  • کل پوسٹس

    634
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    17

سب کچھ shahzad6058811 نے پوسٹ کیا

  1. attari bhaee, apni aik adat hay kaee saaloon say, jab bhee ko ee naee baat miltee hay to yaqeen karnay k liee hamisah kisi na kisi say share kia, taa k yaqeen ho ja ay k kahen ko e molvee,moulana,khateeb ghalat to naheen keh raha. 3000/4000 milta hay aam tour par punjaab main masjid k khateeb sb, ab wo kia tehqeeq karain gay,books kahan say purchase karain. bahut saari cheezaain discuss hoti rehtee hain. ab main nay aik baat likh dee, us kee tashee kar dee jaati k sahee tarjama ya hay. aik khateeb sahib ab bhee ya kehtay hain ya bhee tarjma sahee hay k AALAH BARA HAY> magar ALLAH ke shaan ya hay k ya kaha ja ay,ALLAH sub say bara hay. jab aap ko kissi cheez kee lagan ho to bahut saaray meaning saamnay aatay hain. about 15 saal pehlay krachi say by air multan aana tha via faisalabad. wahan flite late ho gaee. masjid main ishaa ke namaz parhi. wahan syed hamid saeed sahib say mulaaqaat ho gaee. gup shup start ho gaee. us waqat main bank executive tha. wo hairan ho gay sooted booted aadmi bhee deen main is tarah interest laita hay. main nay meraaj un nabbi, aik waqat main bahut jagah hazir hona, masjid e aqsaa main namaaz ka anbiaa karaam ka hazir hona ,different swaal kiee ay. yahee swaal main khateeb qari iqbal sahib, madina masjid sahiwal bhee kar chuka tha magar sahee jawaab na milla. kazmi sahib nay jo jawab dia, us nay mairay ten years k swaaloon ka jawab day dia. un ka jawab ya tha jis ko sun kar main jhoom gia. aik swaal k jawaab main farmaanay lagaay, HAZOOR masjid nabvi main tashreef farma hotay thay, aur ussi waqat un ka deedaar aik he waqat main bahut saari qaboor main muslimaanoon aur ghair muslims ko karwaya jaata tha jab munkar nakeer swaal kartay thay. ab swaal bhee main nay kia aur jawaab bhee main nay he arabic language kay hisaab say dia k ALLAH SUB SAY BARA HAY. is ka matlab hay bahut saaray parhnay waalay khamosh thay kauns matlab sahee hay. TO JAB TAK POOCHAIN GAY NAHEEN TO ILAM KAISAY HASIL HO GA. aap ka bahut bahut shukria. main jo kuch daikhta hoon,sunta hoon, likh daita hoon.for example, hazrat awais qarni kay mazaar par gunbad hay. main kehta hoon kia sirf saudi arabia waalay sahee muslimaan hain aur syria waalay naheen, to jawab milay k hawaala dain. to bhaee main to aankhoon daikhee baat kar raha hoon, kia hawaala doon, ya to hawaala say bhee bara saboot ho gia k aankhoon say daikha hay. aik ghalti kia main to saari ghaltiaan maan raha hoon. main nay to kissi ka naam bhee naheen lia k falaan nay kaha, mujhey to ya bhee yad naheen tha k kub kee baat thee. topic chala to zehan main baat aa gaee to likh dee. us kee correction kar daitay. bus itni see baat thee. magar is k baawajood main dar gia hoon k kaheen kuch jhoot na likha ja ay. main aap sub ko chor naheen raha attari bhaee, thora sa mohtaat ho ja oon ga. thjank you
  2. khamkhaw baat lambee ho rahee hay. main is ko wind up kar raha hoon. miray pass about 100 books hain, jin ko parhta rehta hoon. qibla kazmi sahib kee. qaazi ayyaz sb ke,peer karam shah sb ke, and bahut saaray doosray authors ke bhee jin ka main yahaan naam naheen likh sakta. kabhee jo kuch bhee likhta hoon to us k peechay kuch na kuch mawaad hota hay. last week main nay 4 swaal likhay thay. wo 4 swaal Q t v par kissi nay taqreer k douraan bataya ay thay. main nay yahan share kiee ay. main madni channel,ARY Q TV,Mufti akmal,mufti Abubakar Shiblee, and others,ko sunta hoon,point note karta hoon, phir zaroorat parnay par share karta hoon. kabhee masjid k khateeb say discuss karta hoon. AAp kehtay hain main jhoot khta hoon ya likh raha hoon, to ALLAH kee bargah main tauba karta hoon.. kosish karnay laga hoon topics likhnay band kar raha hoon, taa k jin ko pasand naheen,wo khush ho ja ain. mazeed m ain naheen cahta mujh say ko e jhoot likha ja ay and ALLAH kee grift ho. is say pehlay jo nadanista tour par ghaltiaan ho chuki hain. Allah say mafi maangta hoon. Q T V par khasa sun nay ko mil jaata hay, Abhee abhee masjid main milaad sharif attend kar k aa raha hoon. aik hadees khateeb Qari Khuda baksh usman sahib nay sunnaaee. perhaps parhnay waaloon ko faida pohnchay. SUBJECT : KIA QABAR KO CHOOMNA JAIZ HAY. Aik sahaabee nay bargahe risalat main araz kia,YA RASOOL ALLAH main nay mannat maani thee k maira falan kaam ho gia to jannat kee cokht choomoon ga. magar ya to na mumkin hay. AAP nay farmaya,apnay baap ka maatha ya walida kay paoon choom lo. manaat poori ho ja ay gee. araz kia,both fout ho chukay hain. AAP nay farmaya qabarstaan ja o, walida ke qabar kay paoon kee side say aur waalid ke qabar par sir ke taraf say choom lo. araz kia YA RASOOL LALLAH do noon kee qabar ka bhee pata naheen,ya waqat k saath khatam ho chuki hain. to AAP nay aik lakri say 2 mustateel ya square numa zameen par line khaich kar dabba ke tarah bana dia and farmya ya tumharay maan baap ke qaboor hain, is jagah ko he choom lo, manaat ada ho ja ay gee.( O KAMA KALL ) Ab ho sakta hay,sub ko is baaray main pata ho, magar mairay liee ya new hadees aur baat thee. main yahan likh raha hoon. ho sakta bahut saaroon k liee ay new baat ho. to is tarah main bahut saari cheezain share kar lia karta tha. aap samajh lain perhaps akhri topic ho jo likh raha hoon. kion k darta hoon kaheen ghalat baat na likhee ja ay and gunah ho ja ay. aap sub nay mujhey bardhast kia ,aap sub ka shukria
  3. thank you saeedi sahib, i will act upon your advice. magar main nay kabhee is foroumn ko fahashee kay swaal kar k mazaaq naheen uraya foroumn ka. aisay aisay gandy swaal log kartay hain jin ko parh kar sharam aa jay. un ko kabhee kisi nay manna naheen kia. 2 swaal sirf likh raha hoon. swaal to bahut saaray hain. maira husband kaafi dinnoon baad ghar aata hay, 3 din ho gay hain un ko mana rahee hoon, mgar wo kehtay hain maira mood naheen ban raha. islam kia kehta hay. 2. aadmi ko kis age main b v say.......karna chor daina theek hay. islam kee taaleemat ke roshni main guide karain. ya swaal is foroumn par ho chukay hain. kissi nay manna naheen kia.
  4. mustafayee sb nay achhi tarah bata dia, main bhee aik chooti see baat araz kar doon, wo bhee issi topic say related hay, shaid mazeed wazahat ho ja ay. ah li bait wo hain jo jin ka silsala hazrat Imam hassan aur imam hussain say chala. yaanee jo Hazrat fatima kee aulaad hain. yahee ahli bait syed kehla ain gay qiamat tak. Hazrat Ali kee wo aulaad jo dosri beevioon say hay, wo saadaat naheen kehlwa ain gee. Wo ALEY ALI kehlwa ain gee, magar syed nahee. saadaat ke nasal Hazrat imaam hassan/imaam hussain say chali. baqi ahli bait main kaun kaun shamil hay, wo ooper mustafaayyee sb nay aik book ka page paste kar dia.
  5. lahore,multan,south punjab,sind,syria,iraaq main sainkroon shadiaan shia /sunni nay apas main kee hu ee hain. sunni ko sunnioon main he shadi karna theek hay. sunni ulma mana kartay hain sunni ke shia say shadi ko. ulma kaa naam to yaad naheen, albatta sunni bahishtee zaiwar (by khalil ahmad barkati sb) main saaf likha hay k na karain, sunni kissi bhee doosray mazhab main na karay.
  6. main nay guzarish kee thee jahan waqat milta jumma k roze, wahan juma parh lia karta hoon. kissi masjid main jumma parah, wahan ko e masla us nay bataya, sun liee aa aur yaad rakha. kabhi khial aaya to kissi say confirm kar liee aa. main nay ya naheen kaha k mohalla kay local khateeb nay ya kaha tha. aap nay kaha reference dain. main reference kahan say daita. aap nay bhee ko e wazahat na ke AALAH ko sub say bara kehna caheeyay. main nay aap say kaha is baaray main local masjid k khateeb say poochoon ga.jo educated hay. main nay tehqeeq kee, jo jawaab milla ,us ke wazahat kar dee. local khateeb nay ya baat naheen kee thee k kaho Allah bara hay. jahan jumma parah, mujhay kia pata us ka naam kia tha. haan local khateeb ka naam Hafiz Khuda Bakash usman hay. Iqra masjid mohalla pak colony,multan cantt main hain. thori hee door moulna qasim saeedi sahib kee masjid hay graas mandi main. jo jumma main moulana sahib jumma parahain gay, hum urfay aam main un ko alam ya khateeb he kahain gay na ?
  7. one side programme hay. jab tak do fareeqoon ka muaqaaf saamnay na aa ay, tuch naheen kaha ja sakta. is ka behtren hal aap k waaldain k pay ya aap k baray buzargoon k pass hay. us say baat karain. wo aap ke saas aur husband say baat karain. wagarna khula aur talaaq hay. kia karain ge talaq lay kar. phir shaadi karain grr, kia wo in say achhay hoon gay. is say buray niklay to ? sp apnay waaldain ko poori haqeeqat bata ain. hum main say kisi k pass is ka hal naheen. haan ALLAH say ham bhee dua kartay aur aap bhee. namaz parahain and darood shrif kie kasrat karain. kissi jhootay amil kay paas na jain taaweez k liee ay, wahan baray haalat kharab hain
  8. janab sage madina sb, main nay to kaheen bhee kisi alam ka naam naheen lia. punjab main khateeb hee ko alam bhee kehtay hain. jab ko e alam taqreer karta hay to ko e bhee ja kar un say naheen kehta k falan baat jo aap nay kee ,wo sahee naheen. and na he wo jawaab daina pasand kartay hain un ka ilam he itna hota hay. na main topic main likhta aur na he saeedi sahib poochtay to ya masla aisay he rehta aur main samjhta k khateeb sahib nay jo kaha theek he kaha. aap nay bhee sahee roshni naheen daali ALLAH HO AKBAR kay matlab par k Allah BARA kehna sahee naheen. ALLAH sub say bara hay ya kehna theek hay. main wazahat karta hoon . asghar bahut choota sagheer choota kabeer bara akbar sub say bara ALLAH HO AKBAR Allah sub say bara hay. jab kissi insaan k liee ay AKBAR ka lafaz istemaal ho to is ka matlab ho ga, BAHUT BARA. saeedee sahib objection na kartay to baat chupi rehti, mujh ay ya kuch doosroon say bhee, magar un k poochnay par tehqeeq ho gaee aur sahee meaning clear ho gay. thank you saeedi sahib,
  9. hopefully tell you after discussing in details with our local khateeb. aap jaantay hain hamaaray khateeboon kee kitni taaleem hoti hay. jahan time hu aa jumma parh lia. but mairay local khateeb MA islamiat,arabic,hafiz and darse nizami k farigul tehseel hain . un say raabta kar k ,pooch kar aap ko itlaa karoon ga. aap k jawaab say faida ho gia, k main un say mil kar mazeed clear kar loon ga. jazakAllah. waisay english main agar ko e bat karay to is tarah boltay hain hamiasha........GOD IS GREAT, never say.......GOD IS GREATEST. however,will inform you later on. naheen cahta k khud ko e lafaz likh kar gunah gaar ho ja on.
  10. please advise karain. 1. kia ya sahee hay k makkha haram sharif qibla ke tehveel ka hukam quran sharif main hay. magar tehveel qibla masjid e aqsa ka hukam pooray quraan main kaheen bhee naheen hay, to phir qibla awwal ke taraf moon kar k namaz parhnay ka hukam kahan likha hu aa hay. 2. AAP nay hijrat farmaee. jab AAP madina k muzafaat banu najjar qabila k mohalla main pohnchay to jumma ka din tha. wahan AAP nay jumma ke namaz parahee. jab k jumma ke namaz ka hukam quraan sharif main hijrat k 4 ya 6 saal baad aa ay aa. 3.makkha mukarmaa hurmat wala city hay. wahan jango jadal,darakhat kaatna, haraam hay. fathe makkha k mouqa par kia aik din k liee ay haram ke hurmat khatam kar d gaee thee aur aglay din phir hurmat bahal ho gaee thee. ya hurmat ALLAH k hukam say khatam hu e thee ya HAZOOR k hukam say. 4. Mufasreen aur muhadseen kehtay hain k Hazoor ke zindgi mubarak main hazrat jibraaeel alayhissalaam 24000 marta AAP say mulaqaat k liee ay aa ay thay. quraan sharif main about 6500 ayyat hain. kisi aik waqat main 3 say lay kar 10 ayyat quraan sharif ke hamaish utreen.kabhhe aik ayat nahee. agar 4 average bhee ayyat laga lain to 1600 martaba hazrat jibraeel alayhissalaam zameen par utray quraan pak mukamal karnay kay liee ay. 22400 martaba j aap wahee lay kar aa ay ya ALLAH ka jo bhee message lay kar aa ay, wo messages kia thay, kia kaheen un ka record jamma hay. for example hadees qudsi ka record moujood hay.taif main hazrat jibraeel ALLAH ka paighaam lay kar aa ay. aur us ka hamain pata hay. in par agar ko e bhaee roshni daal sakay to shukar guzaar hoon ga, ooper walay 4 points par.
  11. jumma k waaz main aksar suntay rahay hain. agar aap kehtay k Allah sub say bara hay, kehna sahee hay to phir aap kee baat maan laitay hain. jo main nay baat kee wo ya thee sub say bara kehnay main kissi say muqabla nazar aata hay. any how, saray tasleem kham hay, ainda yahee kahoon ga, ALLAH sub say bara hay.
  12. aik gunahgaar,bholay badshaho aap ka muntashir zehan hay. zehan main fasaad hay. hazrat abi kaab raat k waqat HAZOOR kay liee wazoo ka paani aur miswaak ka ehtimam kia kartay thay. aik raat aap nay khush ho kar farmaya ,maang kia maangtay ho, to hazrat abi kaab nay araz kia, jannat main aap ke rafaqat mangta hoon, AAP nay farmaya (o kama kaal)atta ke gaee, phir poocha kuch baur, araz kia naheen, to AAP nay farmya to mairee madad kar sajdoon k zarieeaa. aap liast maang rahay hain,AAP nay to farmaya,maango kia mangtay ho, to bhaee jaan list ke to hajat khatam ho gaee. yahan to takhsees he naheen ,kay falan cheez naheen maang saktay,aur falan maang saktay ho. jahan tak mujhey yaad parhta hay, SHaikh Abdul Haq muhadas dehlvi nay likha hay, janat to ALLAH nay HAZOOR ko jageer kar dee. jis ko caahain dain,jis ko na cahain na dain. umeed hay tassalli ho gaee ho gee.
  13. faisal sb, 4 books Aalla hazrat ke hain is subject par. ooper un 4 books k naam likhay hain. pehlay khud un ko parhain, samjhain, is k baad apnay kissi samjhdaar alam k pass lay ka ain aur un say kahain k is k jawaab likh dain ya aap ko zabaani bata dain k zameen ghoomti hay,suraj naheen to phir aap us ka jawab yahan paste kar dain. jaisay he Aalla hazrat ka naam saamnay aata hay and kuch logoon ko bukhaar charna start ho jaata hy. aur bila sochay smjhay airtraaz kar dain gay. Aalla hazrat nay book likhee kay zameen sakin hay aur suraj ghoomta hay. aap ko ghussa aa gia aur question lkh maara. bhaee jaan,kia aap nay 4 books parh liee hain. kissi say poori books par advice lee. naheen, mujhey patta hay. to janab in books ko read karain, phir jo samjh na aay to kisi alam say raabta karain. aap sabit kar dain quraan sharif say k suraj sakin hay aur zameen ghoomti hay,magar daleel k saath.
  14. ALLAH bara hay. ulma karaam kehtay hain ya mat kahain k ALLAH sub say bara hay kion k is tarah chotay say muqabla nazar aata hay k Allah k muqabil ko e hay. Choonk Allah bara hay is liee hamisha ysahee kaha ja ay ga k ALLAH ka arsh saat aasmaanoon say ooper hay aur sahee bhee yahee hay k arash ooper hay. HAZOOR bhee meeraaj kee raat aasmaanoo say ooper gay. ab sidra tulmuntaha say aagay ko e tasawaar naheen simtoon ka. na waqat ka. Hazrat jibraeel bhee sidra say aagay naheen ja sakay. sirf Allah aur NABI he jaantay hain. ya bhee books main likha hay kay sidra say aagay 70000 noor kay pardoon main say aap guzray ALLAH kay deedaar aur mulaqaat k liee ay. to ALLAH apni shan k mutabiq ustawa hay. ko e tasawwar naheen bandh sakta. saada zabaan main kuch araz kar saka hoon . hope all will understand
  15. janab faisal sahib,aap sub logoon k swaal bhee ajeeb hotay hain aur jawaab bhee. sciece daan kehtay hain zameen suraj k gird ghoomtee hay. Aalaa hazrat Imam Ahmad Raza Khan Qadri nay quraan say sabit kia k zameen naheen suraj ghoomta hay. is silsala main 4 books bhee likheen. Ab 2 tehqeeq saamnay aa gaeen. aik suraj wali and doosri zameen waali. faysal sahib aap apnee tehqeeq sabit kar dain k zameen ghoomti hay. bus itni see baat hay. ko e kehta hay disprin say bukhaar main aaraam aata hay, doosra kehta hay panadol say. waseem sahib,aap nay likha hay k khana kaaba k oopar say jahaaz bhee naheen guzar sakta .aisa naheen. ramzaan aur haj k dinnoon main helicopter pooray makkha main khana kaba k ooper bhee fly kartay rehtay hain security k liee ay. makkha mukarma choon k pahaar bahut ziada hain is liee ay govt nay air port naheen banaya. jagah kam hay. jab k madina sharif main air port hay. faysal sb aap apni tehqeeq share kar lain ko e haraj naheen. zameen ghoomti hay aap k khial main. agar kissi deobandi ya wahabee nay zameen ke favour main likha hay to paste kar dain.
  16. najdi sunni muslimanoon ko chakar dainay k liee ay jhoot bole raha hay. ko e is ka aitbaar na karay, ab to saboot mil gia dalyalulkhairaat ko jalaanay ka.
  17. najdi kehta hay k ya mujh par buhtan e azeem hay. yaanee main nay aisa kuch naheen kaha ya maira aqeeda naheen hay. jo kuch in 12/13 points main kaha gia hay, wo check kar liee aa ja ay k is nay aisa kabhee kaha ya likha to naheen. aasaan see baat hay tehqeeq kar liee ja ay. buhtaan ka matlab kay main aisa naheen hoon ya mujh par jhoot bola ja raha hay. us kee makaari ka bhaid khul ja ay ga. jis kissi k pass us kee likhee hu e book ya us k aqaid wali book parh liee ja ay.
  18. haqeeqat main ya bahut achee book likhee gaee hay. main is ko personaly parh chuka hain. aisi book har sunni k ghar ho zaroori hay. bari muhabbat say likhee gaee hay. hafiz rehan sahib MASHA ALLAH learned aadmi hain.
  19. ulma karam to ya bhee kehtay hain k sidra tul muntaha k baad na to ko e simat, yaani mashraq/maghrab/shumal/janoob na ko e makan, na waqat ke hisaab, wahabee aam tour par yahee kehtay hain k Allah Taala arash par mustavee hay. ko e sahib roshnee daal sakain.
  20. waseem bhaee aap kee baat saheeh hay, tehqeeq honee chaheeay, kia book sahee hay yaa wahabioon nay jaaleey book chaap dee sunnion ko dhoka dainay k liee ay.
  21. syria,damascus main hazarat ameer muwiaa hazrat bilal e habshi, ,shuda e karbala,umulmomayneen hazrat salma raziallah o anha. and buhat saaray aulia karaam kay mazar qabarstaan main moujood hain. salahuddin ayyubi,hazrat nooruddin zangi, is sub ke qabroon par gunbad banay hu ay ain. ab syria k log ghalat thay saary aur suadia arabia kay badsha ya alam sahee thay. ajeeb tamash hay,saudia k ilaava to phir kaheen bhee sahee muslimaan moujood naheen, imam bukhari kay maz\aar par bhee quba moujood hay. aik country sahee,baaqi all countries k muslimaan wrong,na mumkin. musliman kabhee gumrahee par jamma naheen hotay.(mafhoom hadees sharif)
  22. sub say behtar aap ko aap kay parents he guide kar saktay hain. un say baat karain aur difficulties bata ain. un k saamnay do no rukh hoon . aap ka salook bhee husband aur susral k saath and susraal ka salook aap kay saath. wo sahee hal nika lain gay. apnay bhaee say baat karain. hamain app kay gharailu haalaat aur tamam in laws kay aap say rishtoon ka kia patta. so, please apnay parents say baat karain.
×
×
  • Create New...