Jump to content

shahzad6058811

اراکین
  • کل پوسٹس

    634
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    17

سب کچھ shahzad6058811 نے پوسٹ کیا

  1. husband sakhat gunahaar hay. haqooq ada naheen kar raha zojiat kay. naan nafqa naheen day raha. ibadat karta hay magar b v kee taraf say laa parwah hay. allah taala ko jawab day hay. is kaa hal aap kay aur susraal kay baray buzargoon kay paas hay. apni mother say baat karain. wo aap kee saas ya susar say baat karain. try karain. wagana doosri soorat main khula ka haq aap ko hay. magar khula us soorat main qabal e amal ho ga jab aap ka husband court main aa kar divorce paper par sign karay ga. khula ka matlab ya naheen kay aap ko talaq ho jaati hay. khula ka matlab hay aap husband say talaq lay sakti hain. agar court khula ka aap kay haq main faisla karta hay magar husband nay divorce paper ya court k saamnay talaq nahen daita, to aap ke us say alaihdgee to ha gaee,khula k baad aap apnay parents k ghar aa gaeen, husband aap ko apnay ghar zabardasti naheen lay ja sakta, magar aap us ke b v he rahain gee. aap kisi aur jagah shadi naheen kar sakteen. ya khial hay aap ka husband nay kisi aur say ta aluqaat qaim kar rakay hain/ya kisi aur say khufia shadi kee hu e hay. un ke harkaato saknaat say aap check kar sakti hain agar bil faraz wo impotant ho chukay hain.azdwaaji rabta naheen rakh saktay aap k saath,to bhee aap ka haq hay aap khula lay saktee hain. yahan rah kar bhee aap nay apna kharcha khud uthaana hay/service karni hay to parents k paas reh kar bhee is tarah guzara kar sakti hain. kia ya mumkin hay aap ka husband aap ke kisi harkat kee waja say aap say nafrat karnay laga ho. ussay ko e shak parh gia ho. is baat par bhee ghour karain. shaid aisi ko e baat ho,to jaiza lay kar un ka dil saaf karain. apnay parents ko beech main laa kar problem solve karain. doosra ko e kuch naheen kar sakay ga. gharailu muaamla hay. khush asloobi say hal karain. tamam aspect aap ko bata dee ay hain.
  2. shahzad6058811

    Moulana Muhammad Shafi Okaarwi

    Aik good news, one student from karachi completed his PHD thieses with subject. Moulana Muhammad Shafi Okaarwi
  3. ya sub kuch mufti muneeb ur rehman sahib nay kaha tha. kal jumma ko akhbaar dunya main issi baaray aik mazmoon bhee un ka chapa hay. tv channel tha ARV Q TV.
  4. shahzad6058811

    Juma Tul Widaa

    aaj aik tv programme main mufti sahib nay farmaya ramzan sharif ka har jumma aik jaisa hay aur braabar swaab hay. widda lafaz kehnay ke ko e asal naheen. kuch log ya kafi saaray log akhri jun\mma ko kouras ke shakal main ashaar parhtay hain,,,,,,,,,alwidah jumatul widdah ya alwiday ramzan. is ka sahaba karaam kay dour main ko e saboot naheen. aur na he ya al widdah ho raha hay, is nay aglay saal phir aana hay . haan aap dua ain zaroor maang saktay hain. magar ro ro kar k ramzan ja raha hay. ya sahee naheen k jis tarah naat parhtay hain us tarah ashaar parah ja ain. kia sahee hay aur kia wrong, ko e wazahat far ma ain gay k kia mufti sahib nay sahee kaha. ya bhee mufti sahib nay farmya k jumma k khutba baaz masajid main alwiddah alwiddah shahr e ramzan parah jaata hay . ya bhee sahee naheen. hamari masjid main bhee aaj mufti sahib nay jo arabic main khutaba dia us main baar baar juma tul widdah kay words parhay. please advise and guide is some bhaee knows about this. thanks to all
  5. bhaee smart ali sahib, hazrat younas alaihisalaam kay mazar aqdas ko shaheed honay ka jo link aap nay dia hay. us ko khola to mazar shaheed hota nazar aa raha hay. magar is k saath bahut sari blue print type jaisee films/wahyaat manazar k saath nazar aa rahi hain. kia aap nay is ko check kia ya kissi un daikhay dushman nay aap k saath dhoka kia aur is foroumn par ya hazaaron log daikh rahay hoon gay. dear administrator please is ko fouri tour par delete karain. ajeeb kaam ho gia hay. link kholtay he pakistani actress,dosray mulkoon ke girls wahyaati phaila rahee hain. please immediately delete it. thank you, aaj 27th ramzaan kee raat hay. log khole rahay hoon gay is link ko mazar daikhnay k liee ay.
  6. ok dear. main apnay shaouq aur maalumaat k liee old topic parhta rehta hoon. is tarah maira faida to hota he hay. agar ko e wrong cheez nazar aa ay to taseeh k baad baqi members ka bhee faida ho jaata hay. so thank you
  7. is tanzeem k peechay bhee saudi zehan kaar farma hay. ALLAH TAALA in ka baira gharaq karay. ameen
  8. post 3 dated 9th october,2008. jahan likha hay k maira khial hay k aisa naheen hay. aap mairi baat naheen samjhay main ya kehna cahta hoon jab ko e bhee baat karay authentic karay. shouqia sirf is foroumn par naam show karnay k liee ko e masla na biaan karain. har bhaee par aitraaz naheen. jo sahee baat bataay ALLAH TAALA us ka bhala karay.ameen
  9. main bara hairaan hoon yahan har aik mufti ban kar fatwa/faisla day daita hay. maslan wo sahib jo apna introduction as MISMILLAH karatay hain. apnay aap he faisla kay mairay khial main ghusal zaroori naheen. madni channel par rozana kehtay hain k ilam na seekhna bhee gunah hay. ya ko e jawaz naheen k mujhey pata naheen tha. is foroumn ko hazaroon log prhtay hain. agar kisi k wrong faisala say ko e gunahgaar ho gia to us par bhee gunah aata rahay ga. is liee ay bari ehtiaat say jawaab dain. aur is pehlay local alam e deen ya masjid k khateeb say maalumaat lay kar foroumn par jawab dain. mairay khial main aisa hota hay,waisa hota hay. maira khia ko e maira khial naheen hota. khial wo hay jo sharah nay sikhyaa ho.
  10. dubai main moulana abbas rizvi sahib ka bara naam hay. in ka taaluq gujranwala say hay. ya wo moulana sahib hain inohn nay dubai say ARY Q t v start kia tha aur 2 saal tak direct wahan say Q t v channel ke nashriaat yahee abbas rizvi sahib chalya kartay thay. wahan kissi pakistani say in ke masjid ka pata kar saktay hain. dubai main.
  11. dear, jahan aap rehtay hain wahan kisi achaay alam/khateeb say mil kar wazahat lay lain. aik to aap baar baar hazrat awais (OWAIS)karni k liee ay wahid ka seegah istemaal kar rahay hain, yaanee,awais nay ya kaha,. hamaisha buzargoon kay liee jama ka seegah istemaal kartay hain. 2nd aap nay ya lafaz kahan say liee aa k unhoon nay kaha k yahan to peer parastee start ho ja ay gee. peer lafaz to urdu ka hay. us waqat peer kahan thay aur kaun thay. sirf naam kee mashoori kay liee to foroumn ko istemaal karnay ka ko e faida naheen. immature question ka ko e faida naheen.
  12. ya kharjii/amirul moumayneen( so called) israil kay khilaf kion naheen lartay. wahan ja kar jihaad karain, magar naheen karain gay kion k in k peechay wo country hain jo khud badmazhab hain. jo countries hain wo sub bay naqaab ho gay hain moujooda ghaza par hamla k douraan.
  13. hazoor kay wisal k about 80 saal baad jab firqay zahir honay lagay to sahaba karam nay apnay aap ko ahli sunnat wa jamat kehlwaana shuru kardia.jo lafaz chota hotay hotay SUNNI ban gia. HAZOOR nay irshad farmaya tha janti firqa wo hay jo mairay aur mairay sahaba k tareeqa par ho ga. AAP nay frmaya mairi ummat kabhee gumrahi par jama naheen ho gee. AAP nay farmya baray groh kee itbaa karo. baray group 4 hain. hanfi/hanblee/maalki/shaffi. ys sub sunni hain.dunya main do he group hain. sunni aur shia. total muslim abbadi 1,60,00,00,000 hanfi/shafi/malki/hanblee about 1,30,00,00,000 shia about 38,00,00,000 ahle hadees/wahabi/ghairmuqalad 2,00,00,000 poori islami dunya main sirf india/pakistan/aur bangla desh main ghair muqalad hain . batoor jamat in ka kaheen bhee doosray mulak main wajood naheen. 4 mazahab swaad e azam yaanee bara groh hain. in ke itbaa lazmi hay. kisi bhee baray say baray ALLAH k wali nay in 4 mazahab say nikalnay kee kosish naheen kee. wo sub k sub muqalad thay. maslan imam bukhari shafi,imam muslim shafi, hazrat Data ganj bakash hanfi, ham namaz main surat fatiha main kaheen bhee naheen kehtay kay YA ALLAH apnay raastay par chala. hum ya kehtay hain un k rastay par chala jin par tu nay inaam kia. quraan k mutabia ALLAH nay inaam kia, anbiaa karam,shuhda,siddiqeen aur sualeyheen par. ALLAH kay wali saualayheen hain. ab jo in ka mazhab hum ko ussi raastay par chalna hay. try karoon ga k un sualheen kay naam likhoon jo muqalad hain taa k aap ka zehan saaf ho sakay. hazoor ghous pak bhee hanblee thay. 80 saal kay baad sahaba/tabaa taabeen nay sunni kehlwana start kia. hawala khilafat o malookiat by moulana moudoodi
  14. Aala hazrat par aik kitab likhee gaee thee GUNAH E BAY GUNAHEE.agar kissi kay paas ho to paste kar day. bohtoon ka bhala ho ga
  15. ya ko e perhaps 30 saal ya 25 saal poorani baat hay jab hamari team different kitabchay khas tour par aalahazrat aur qibla ahmad saeed kazmi sahib kay mazmoon chaap kar mufat taqseem kia kartay thay. us waqat ham nay marseeaa gangohi par fatawa ikathay karkay baaqaida aik kitabcha perhaps majlis e raza lahore ya noumaan academy distt khanewal say print kar k mufat taqseem kia tha. jis nay fataawa mangwa ay thay agar wo is foroumn ka member hay to wo original fataawa yahan paste kar day. shukria.
  16. mughal bhaee kamal kar diaa. matrix 4 .Allah aap ko HAZOOR ke shaffaat naseeb farma ay. marseeaa gangohi ka baaray tamam fataawa durusat aur original hain. in sub ko main nee apni aankhoon say daikha huaa hay.
  17. ya aik aisa problem hay jis ka bahut saaroon ko bhee pata naheen hay. usually tamam baligh bachay ya no jawaan aisi soorat main apnay paint/pajama/shalwaar ya dhooti dhonay waalay kaproo main phain daitay hain aur kisi ko bata tay bhee naheen hain. baaz dafa ya affected clothes dhobi k pass bhee chalay jaatay hain. aur is tarah doosray kaproon kay sath washing machine ys bhatti main mil kar baaqi tamam paak kaproon ko be pleed kar daitay hain. ehtalam waalay tamam bachook ke duty balkay zimma dari hay kay is kapray ko khud achi tarah paani/soap say saaf karain . is tarah kay cheentay baaqi kapron par na paraihn. ehtalam kay baad choon kay ghusal faraz ho jaata hay to nahaanay say pehlay us hissa ko saaf kar lain achi tarah aur kapra dhoop main daal dain. jab sookh ja ay to phir washing machine walay mailay kaproon main rakh dain. wagarna baaqi saaray ghar waloon ys dhoobi kay saaray kapray naapak aur jo log un kaproon ko istemaal kar k namaz paraihn gay, wo be na hoo gee. is tarah saara gunah us bachaay par. is tarah kee clarification main sharam naheen karnee chaheeay. aap nay bahut achha kia swaal pooch lia. sub parhnay waalay is baat ko zehan nasheen kar lain aur ainda bahut he ehtiaat karain.
  18. molvi shabbir usmani bhee 1946 main aa kar muslim league ka saath dainay lagay. brailvee pakistan k dushman hain ya deobandi. ko e deobandi ko e saboot to day wo pakistan nananay main saath thay ya khairkhaw thay. bara dhandoora peettay hain amir e shariat syed atta ullah shah bukhari kay bahut baray khateeb thay magar khitabat kis kaam aa ee. pakistan bana to amratsar say jaan bacha kar pakistan aa gay. (DR>safdar mehmood....jab amratsar jal raha tha) ya kis nay nay kaha tha shukar hay ham pakistan ke PAY bananay main sharik naheen thay. pakistan ka khaatay bhee hain aur ghuraatay bhee hain. ya sunni thay jinhoon nau all india sunni banaras conference kee aur pakistan ke himayat kee. deobandio ko e aik misaal o do.
  19. janab najam merani sahib, jazak ALLAH aap nay bahut mehnat kee hay swaal jawab likh kar. aik chooti see baat ke taseeh karna cahta hoon. start k page main aap nay likha k ham gunbad e kizra k colour graan ke nisbat ke waja say green amaama pehntay hain. gunbade khizra ka colour green start say naheen . perhaps 300/400 saal pehlay ya colour green kia gia to green colour say pehlay kia us waqat k muslimaan green amaama naheen pehntay thay yaqeenan pehntay thay. asal baat ya hay k green amama sunat sharif hay. jis ka saboot ya hay k tope khana istanboul turkey main jo HAZOOR say mansoob jo cheezain rakhi hain un main aik amama sharif bhee hay jis ka colour green hay. to ham is green amama ko sunnat samajh kar pehntay hain. gunbad khizra kay colour green ke waja say naheen. alhamdolillah ALLAH nay ya saadat mujh ko bakhjshi kay aug 1989 main makkha haram sharif maghrab kee namaz say pehlay hazrat ilyaas qadri sahib say mulaaqat hu e to main nay araz kia k aap sunatoon par amal karwaatay hain jab k aap nay jo naswaari colour ka amama pehna huaa hay ya sunnat e rasool naheen .ya kehtay hain k ya colour sunnat e siddik akbar hay. us waqat nooraani sahib ya colour istemaal kartay thay kion k wo siddiquee thay. main nay araz kia sufaid, black ya green sunnat sharif hay. aap nay waada kia k pakistan jaa kar tehqeeq kar kay kuch karoon ga. to september 1989 main naswaari say colour green change ho gia. us waqat say yahee colour isteemaal ho raha hay. to janab green colour sunnat hay. gunbad e khizra kee waja say green amama naheen pehntay. thanks to all
  20. sunni tableeghee jamat ka amir kaun hay. ya jamat pakistan ke hay ya india kee.
  21. topic main aik hadees sharif quote ke gaee hay, k badmazhaboon say door rahain(fataawa......mishkat sharif page 28 ) please inform badmazhab kis arabic lafaz ka tarjama kia gia hay.thank you
  22. in teenoon photo main libaas bhee arabi hay, ho sakta hay sham/ya urdan ko ulma hain. kion k syria main aisi dhaari nazar aati hay.
  23. main bhee apni aqal k mutabiq hissa daal loon. likkha hay aala hazrat ke jawwani kee tasweer. aala hazrat 1855/ ya 1856 main paida hu ay. 1903 main photo khainchee gaee. aap kee u mar us waqat 47/48 saal banti hay to ya jawaani to na hu ee. 47 saal kee umar main har aadmi kee dhaari aik muth jitni ho chuki hoti hay. tp swaal ya paida hota hay k aala hazrat 47 saal ke umar main dhaari kutrar waya kartay thay. wah jhooti photo lagaanay waalay. tum ko ya naheen pata k un kee paidyish kia thee jo un ko nou jawaan keh raha ho. ya caption weekly /monthly rasaala ufaq editor zahoor ul hassan bhopali say lia gia hay. aik bahut bari photo aala hazrat kee thee,white libaas,sir par amama, full dhaari thee. ya photo jahanian distt khanewal main aik sahib kay paas hay. us photo k neechay yahee ibaarat likhee hu e thee. kissi jahil mutliq nay aala hazrat ko badnaam karnay k liee ya caption lagaaee hay taa kay log samjhain k wo dhaari kutarwaya kartay thay.
×
×
  • Create New...