Salaam,
Moulana sahib apny taboot e sakena me page#2 per dars e hidyet me farmya k sabit hwa k bazurgan e deen k tabarqaat ki Allah k han bari ahmiat hai or umet ko fayez jari kerti hai.......
Moulana sahib Taboot e sakina jesa k apny shoro me farmya k Adam ki trf Allah ne nazil farmya, anbia e karam ne bad me apni ashia is me rakhni shoro keen, ye Allah ki trf se shoro din hi se rehmet tha ye darust nahi k Anbia e karam ke tabarqaat ki waja se rehmet tha. Dosri bat Anbia e karam or bazurgan e deen me zameen asman se bhi zyada fasla hai, koi bary se bara bazurg wali jo kuch bhi keh len, Taba Tabaeen, ki khaq bhi ni, or koi Taba Tabaeen, Tabaeen k baraber nahi, or koi Tabaeen Sahaba k baraber nahi, hatta k Sahaba e karam me bhi 3 catagories define hen (Allah ki trf se) jin me sab se motaber Badri Sahabi hen. Isi tarha koi Sahabi kisi Nabi k baraber nahi h, Anbia e karam k nafs ki zamanet Allah ne di hai, or kisi k bary Allah ne zamanet ni di, ye kisi bhi bazurgan e deen or Nabi me farq ka pata chalata hai. Dosri bat abdullah bin ubai (munafiq e aazam) ko dafnaty waq iska beta jo Sahabi e Rasool guzry hen Hazrat Mohammet k pas Apka ka kurta leny ata hai jo de dia jata hai. aik Sahabi k istafsaar per Apny farmya tha "Yaqeenan mera kurta is bad-bakht ko Allah k azab se nahi bacha saky ga"