Jump to content

Ghulam E Mustafa

رکنِ خاص
  • کل پوسٹس

    1,780
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    23

سب کچھ Ghulam E Mustafa نے پوسٹ کیا

  1. Ji nahi aison ke peechy Namaz nahi hoti hai app Sahi-ul-Aqeeda Sunni ke peechy namaz parhain nahi tu akaile par liya karain.
  2. JazakAllah Khair for Sharing this video. YouTube per iss Video ke comment ne aik bhai ne yeh likha... aur mein iss bhai say bilkul agree hon ke Dr. Zakir People ko Money dai kar aisy Sawalat Pochne ko kehta hai Jahil kaheen ka.
  3. Bhai Hadith shareef ke baray mein tu mein kuch nahi kahon ga kyon ki mujhe iss baray mein koi ilm nahi. Aur Pic ke baray mein zaror kahon ga ke yeh Huzoor Ghous-Al Azam Radi Allah Tala Anhu ki aik khayali tasveer banai hoi hai aur iss cheez ke mein bilkul khilaf hon aur aise chezon ko nahi manta.
  4. Salafi Wahabion ko kehty hain jo Ghair Muqalid hotay hain jo Taqleed nahi karty laikin Bukhari ke ilawa kisi aur ki hadith bhi nahi manty
  5. Pehly 2 Pages per kar tu mein reply karne wala tha ke bhai apas mein kyon lartay ho Dr. sahib ke liye bus Dua karo ke Allah unhain hadayt ata farmai Ameen. Beharhal khushi hoi yeh topic read kar ke Allah humein Maslik-e-Haq Maslik-e-Ala Hazrat mein say rakhe Ameen.
  6. Ji bhai meri arz per reply karne ka buhat sukriya aur haan ajj kal IP change karna tu koi mushkil kaam nahi and app ne admin approval laga kar acha kiya.
  7. MasahAllah buhat achi sharing hai.
  8. Yeh Nacheez IM ke baray mein aik Suggestion daina cahta hai. Jaisa ke sabhi janty hein ajj kal IM per buhat say Spammers register hoo rahai hain aur Members Online Today mein bhi woh Banned show hotay hain. Meray (Irshad-ul-Islam Forum) and aur bhi kafi forums hain jahan per yeh spammers hain so iss mein itna pareshan hone wali baat nahi but jo suggestion mein daina cahta hon woh yeh hai ke inn ko Ban karne ki bajai inn ki Regsistration Delete ki jai kyon ki yeh jab Members Online Today mein itne zyada show hotay hain tu buhat bura saa lagta hai. Mujhe IM ke Board ke baray mein tu zyada info nahi but Mein apne Islamic Forum per jo board chala raha hon (vBulletin) uss mein inn Spammers ke baray mein kafi hall mojod hai jaisy IP Ban kar diya jata hai ya phir meine yeh system rakha howa hai ke Member Join tu kar lai but jab tak Administrator uss ka account activate nah karai woh Posting nahi kar sakta so mein tu inhain Ban karne ki bajai inn Spammers ki ke accounts hee delete kar daita hon. Aur Spammers to Usernames say hee pehchane jatay hain aur yeh zyada tar mail.ru ki e.mail dai kar join karty hain aur kuch gmail.com ki bhi e.mail addresses use karty hain. I hope ke meri suggestion per ghor kiya jai ga.
  9. 1. Kapron per aghar gandagi ya ganda pani lag jai tu zahir see baat hai ke woh napaak ho jain gai unn ko Pani say dhoo kar paak karna hoo ga. 2. App ke kapron per jab bhi koi Napaak cheez lagai gi jaisa Peeshab ke katry, ganda pani ya koi bhi aise cheez jo napaak hoti hai tu kapray bhi napaak ho jain gai unn ko bhi Pani say dhoo kar paak karna hoo ga. 3. Fiqh ka masla hai ke aghar app confuse hain aur kuch samajh nahi aa rahi ke yeh howa ya yeh howa tu app apne zehan ke mutabiq jiss cheez ki taraf zyada zehan manta hon ke haan yeh howa woh kar lain yani aghar app ka zehan zyada iss baat per agree hai ke app ke kapron ke sath peshaab ke qatry lagai tu fouran unn ko paak kar lain laikin aghar app ka zehan yeh kehta hai ke nahi yeh sirf mera weham hai peeshab nahi laga ho ga tu phir rehne dain. Aghar mujh say koi ghalti ho gai ho tu jiss ko pata ho woh zaror batain.
  10. Muuuuuuuuuuuuunaaaaaaaaaaaaafqat ki hadh hai inn badmazhabon mein. Pehly humare sath Darood bhi parhain gai, Eid-e-Milad bhi manai gai, Namaz Janaza ke baad dua bhi karain gai jab samjha ke banda ko hum per bharoosa ho chuka hai phir apni Asliayat yani Iblisiyat dekha dain gai.
  11. Khair Mubarik and Meri taraf say bhi buhat buhat Eid Mubarik
  12. Bhai humare Bhaion ne uss say buhat behas ki laikin Kutty ki dum teeri hoti hai iss tarha woh bhi tera hai aur woh bhagh gaya hamesha ki tarha jaisy unn ke molvi karty hain.
  13. Bhai mera iss kam mein tajurba hai ke woh har kisi ko inn kafiron (Thanvi & Gangohi) ki books nahi daity koi khas banda ho tu woh unn ke maktaba per jai tu daity hain amm banda ko nahi daity. App ko jo book ki scan pages cahiye unn ke name bata dein mein Post kar don ga InsahAllah.
  14. InsahAllah mein yeh pura read karon ga share karne ka buhat sukriya.
  15. Ji Bismillah bhai Fatwa mein yahi likha hai na ke kam say kam 4 unglion ka fasla rakhna zarori hai aur zyada say zyada 1 balisht laikin jaisa meine kaha ke meine Ulama say pocha hai ke aghar koi Mota banda hoo tu zahir hai woh tu 4 unglion ka fasla rakh nahi sakta so uss ke liye koi qaid nahi woh asaani say jaisy khara hoo sakay ho jai. Aur aghar koi asaani say khara ho sakta hai namaz mein tu uss ko sunnat ke mutabiq 4 unglion jitna fasla rakna cahiye.
×
×
  • Create New...