Jump to content

Ghulam E Mustafa

رکنِ خاص
  • کل پوسٹس

    1,780
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    23

سب کچھ Ghulam E Mustafa نے پوسٹ کیا

  1. JazakAllah... SubhanAllah... Bhai Alhumdulillah mera to yeh Aqeeda hai ke Hajj ke baad sab say bara Ijtema Dawat-e-Islami ka hota hai but mein yeh pochna cahta hon ke iss mein kam az kam kitne People shirkat kartay hain ???
  2. Bhai mein kuch pochna cahta hon ke app ko sootay mein hee ehtlam hota hai na ya phir jaisy app ne peeshab kiya tu uss ke sath kuch qatray nikal jatay hain ? aghar peshab ke sath nikalty hain tu woh mani nahi hoti uss ko kuch aur kaha jata hai aur uss say sirf wozzo toot jata hai ghusal farz nahi hota per aghar sootay mein hota hai tu phir ghusal farz hoo gaya.
  3. Yaar baqi batain choro tum say meray bhai baat kar lain gai mujhe pehly yeh batao ke tum ne yahan kitne days tak stay karne ka program bana rakha hai ? Kyon ki tumhare bhai bhi aatay hain na tu woh 1-2 week mein hee bhaagh jatay hain aur phir apna munafqana face nahi dekhatay acha tu Ala Hazrat Alaihe Rahma ke haan jo Kawway thay unn ko khana Deobandi daltay thay ? Tum ne kaha na woh haraam khatay thay Alhumdulillah humare Ala Hazrat ne tu kabhi Angraiz (British) ka khaya nahi woh tu tumhare Thanvi sahib khata thay 700/- Rupes Per month so i am sure Deobandion ne Kawwon ko khana dalne ka theeka utha rakha hoo ga isse liye tu tum ne kaha ke wahan bhi kawway haram khatay thay.
  4. Kabirah Gunnah woh hain jo buhat baray hain yani Jhoot Bolna, Maan Baap ki nafarmani, Zanna, Chori, Qatal etc.. etc.. Kabirah Gunnah ki tauba ke baghair muafi nahi hoo sakti. Saghira gunnah woh hain jo chootay hain inn ki muafi hai per Ulama farmaty hain ke jiss gunnah ko chotta samajh kar kiya jai woh buhat bara hai.
  5. Ji Asif bhai ne sahi kaha jab iss amal per banda ghusal nahi karai ga tu phir ghusal ki hajat kab ho gi. aur aghar app ka jism napaak hai aur ghusal farz ho chuka hai tu app beshak 10 bar wozzo karain app paak nahi hon gai kyon ki paaki ke liye app ko ghusal karna hai ghusal ke faraiz ke sath.
  6. Meray bhai Alhumdulillah meray Abu Jaan tab say Dawat-e-Islami say iss baat per Ekhtlaf rakhty hain jab say Dawat-e-Islami humare City mein aai hai. Meray Abu Jaan ne yahan ke Ameer say yeh baat 15 Years pehly kahi thi ke Dawat-e-Islami ko sirf Audio nahi Video Bayaan release karne cahiye uss waqt unhain bhi meray Abu Jaan ki baat buhat buri lagi ke janab app yeh baat keh rahai hain ke Video aur Dawat-e-Islami...... per ajj woh waqt hum dekh rahai hain logh tu hum say bhi ise aitraaz per jawab mangty hain but hum bhi kiya karain ? Kam az kam meray pass tu iss baat ka koi answer nahi aur mazeed mein kuch kehna bhi nahi cahta.
  7. I think yeh hai tu jaiz laikin iss sorat mein jaiz ho ga jab app ki buhat zyada namazain qaza ho chuki hain.
  8. Ji buhat achi baat kahi app ne mery dil ki baat... Hamd-o-Naat zaror upload karni cahiye laikin sath hee sath apne Aqaid zaror ba zaror hone cahiye humare yahan har saal Eid-e-Milad shareef per aik buhat bara jalsa karwaty hain aur Umrah ke Tickets bhi nikalty hein mery Abu Jaan ne unhain last year kaha tha ke bajai Umrah ke Tickets ke app Aqaid ki Books taqseem kar diya karain Alhumdulillah iss year unhon ne Eid-e-Milad per kafi Aqaid ki Books taqseem ki hain aur iss dafa humara bhi program hai ke jab bhi koi Mehfil hoo tu uss mein zyada nahi tu kam az kam 10 Zalazalla by Allamah Arshad-ul-Qadri Alaihe Rahma logon mein bazriya Lucky Draw taqseem ki jain. InsahAllah!!
  9. Afsos ke mery net ki speed itne slow hai ke 1 minute ki video chalne mein kam az kam 3-5 minutes tak wait karna parta hai so video upload karna tu dor ki baat app dua karain ke jald az jald humari city mein DSL aa jai InsahAllah Azawajjal mein aur nahi tu Ala Hazrat Alaihe Rahma aur Ahl-e-Sunnat per aitrazaat ke jawabat ki videos zaror upload kiya karon ga aur app sab ki bhi help karon ga but abhi kuch pata nahi PTCL waly DSL kab launch kar rahai hain
  10. Ji nahi aghar mani ke qatray nikal aain tu ghusal karna farz ho jata hai pehly gusal karain.
  11. 1)- Aghar uss ki namaz qaza ho gai hai tu woh ghar mein bhi par sakta hai laikin zahir see baat hai ke Masjid mein parne ka abb bhi sawab zyada hai kyon ki woh Namaz ke liye masjad chal kar jai ga tu har qadam ke badly bhi uss ko naiki milay gi aur hadith shareef ke mutabiq masjid mein har saanse per aik naiki milti hai abb app khudh andaza laga lain. 2)- Pehly asar ki par lai aur phir zuhar ki qaza kar lai kyon ki abhi asar ka waqt hai so asar ki par kar zuhar ki qaza hai tu uss ke 4 farz par lai. 3)- Mujhe iss Question ki samajh nahi aai
  12. Bhai meine kuch arsa pehly iss mozo per aik Article likha tha jo mein attach kar raha hon app iss ko read kar lain app ko answer mil jai ga InsahAllah!!!
  13. Bhai TV per jo Fahashi dekhi/dekhai jati hai woh uss ke khilaf hain nah ke TV ke
×
×
  • Create New...