Jump to content

wasim raza

اراکین
  • کل پوسٹس

    526
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    31

سب کچھ wasim raza نے پوسٹ کیا

  1. wasim raza

    Ala Hazrat Gairon Ki Nazar Me.

    1) Janab Ashraf Ali thanvi shahib Farmatay hain:' meray dil mein Ahmad Raza k liye bai hadh Ihtram hai ,wo Humain Kafir kehta hai,Laikin Ishq-e- Rasool(aslato-a ssalaam) kie bana per kehta hai kise aur garz se tou nahi kehta'' Chiitah Lahore 23 April 1926 . . . . . . . . 2) Khurasheed Ali Khan S.D.O(naher) kehtay hain k:- Molana Amhmad Raza khan brelvi kay intaqal per breli se Hazrat Thanvi kay aik murred ka Tar (letter) aya,jou mein nai per kar sunaya, hazrat thnavi nai. (Inelha wo inalha rajeoin), peri hazrien mein se kise nai kaha k Molana Ahmad 0brelvi nai ap ko Kafir kaaha ar ap iun k maut per inhila per rahay hain,Hazrat Thanvi nai Farmaya''Molvie Ahmad Raza khan baray Alim aur Ishq-e-Rasool(a ssalto- asalaam) mein dhoobay howay thay. Iunho nai meri ibarat ka jou matlab samja aur iuse k bina per ju likha wo sahi tha. Aur ager mein in ki jaga hota aur wo meri jga hotay,aur iun ki kalam se yeh Alfaz sarzad hotay,tou ise matlab ki bana per w jou samjay thay,mein iun k takfir hi karta. (Molana Kosar shafi Niazi nai b Mufti Muhammad shafi Shahib DEo Bandi ki zubani suna howa yehi wakiya,Apnay Kalam'' Mushatad-o- Tasarat''(Rozna ma Jang)mein tehreer kiya) . . . . . . . . 3) Abu Al-Ali Modvi shahib Farmatay hain:-''Moalna Ahmad Raza khan shahib Ilim-o-Fazal ka mere dil mein bara ihtram hai,Fi- alwaka wo uloom-o- deeni per bari nazer rakhtay hain,aur iun ki fazeelat ka aitraf iun logo ko b hai,jou iun se ihtilaaf rakhte hain,nazie mobhasat ki waja se jou Talhiya paida hui hain,darasal iun k ilmi kamalat,aur deeni khidmat per perda dalnay ki mojab hui''( hafta Roza shahab Lahore,25 november 1926) . . . . . . . . 4) anab syed Sulemman Nadvi shahib Farmtay hain;-ise Ahkar nai Janab Molana Ahmad Raza khan brelvi (Marhoom) ki chand Kitabien dekhie,tou meri ankhie hairan(surpise) ho kar reh gie,hairan (surprise) tha k yeh wakiye . Moalana Ahmad Raza khan shahib kie hain,Jin k mutaliq kal tak yeh suna tha,k wo sirf ahle-Bidat ki tarjmaan hain, aur sirf chand frohi masZ NAHI.yeh Ahle-Bidat k Naqeeb nahi bal k yeh tou alm-e- Islam k scholar and shahkar nazaer atay hain,jis tara Molana Ahmad Raza ki tehreero mein gehri pai jati hai,ise tara gehri tou mera ustaad-e mukram, (jinad molana shibli nomani,aur hazat Hakeem Molana Ashraf Ali Thanvi, aur molana Mehmoond Al- hassan deo bandi aur hazrat Molana shykh ul Tafseer Allama shahbir Ahmad Usmani k ANDER B NAHI HAI,jis Qader Molana Amhad Raza khan ki tehriroo mein hai''( Mahmana 'Nadoo'August 1913 page 17 ) . . . . . . . . 5)''Seerat Ul Nabi''k naam ki mashoor kitab likhnay walay. Janab Shimbli Noumani shahib farmtay haim:-"Molvi Amhad khan Raza shahib jou apnay Aqeed mein sahat Tasdad hain,mager ise k bawajood Molana Amhad Raza shahib ka ilmi-e-Shajar ise Qader buland darjay ka hai, k iuse dor k tamama Aalm- e-deen Molana Amhad Raza khan shahib k samnay pirka ki b haisiat nahi rakhte, ise Aqar nai b ap Ahmad Raza ki kiatabien parien,jis mein Aikam- e- Shariat aur deegar Kitabien b shamil hain, aur naiz yeh k.. Molanaa ki sarprasti per aik Mahanama Risala''Al Raza'' breli se niklta hai,jis k chand Qistien Bagoro- Hoz dekhie hain,jis mein Buland paya Mozameen shaya hotay hain''Reesala "Nadoo"October 1924 page 17) 6) Mashoor siaysi aur Mazhabi Leader Molana Muhammad Ali Johar Farmatay hain :-''iuse dor k Mashooor Alme-deen Moalana Ahmad Raza khan brelvi wakiye aik Azeem Muslam rehnama hain,hum baz batoo ki ikhitalaf k bawajood iun ki Azeem shakhsiyat, aur deeni rehnama honay k aitraf ise liye kartay hain k wo iuse dor k . sub se baray Mohaqaq,musanaf ,adeeb,sha aur MARDE_HAQ thay, bila shuba asie hastiyo ka wajod-e-masoood humray liye Marhoon-e-minat hai.''(roznama khilafat Mumbai Page 4) . . . . . . . . 7) Janab Anwar Kashmri (sadar madras Darulloom deo Band) Farmtay hain:- Jub banda Tirmizi Shareef aur deegar Kutab-e- Hadees ki shaouro Likh raha tha,tou Bisab-e- Zorert Ahadees ki jazeeiat dekhnay ki zorert paid ie.. tou meinn nai shia, hazrat ahlay Hadees aur ahlay deoband hazrat kie kitabien dekhie mader zaihen Mutmin na howa,Bik akhir aik dost ki mashwaray se Molana Ahamd Raza khan ki kitabien dekhie tou mera dil mutmin hogoya tou mein ab bahobi ahadees ki sharoue bila jijhak likh sakta hoon,wakiya brelvi hazrat k serkarda Alim Molana Ahmad RAza khan shahib ki tehrrieen shistaaur mazboot hain,jisay dekh kar yeh andaza hota hai, k yeh Molvi Ahmad RAza khan shahib aik zabardast Alim- e-deen aur fikiya hain'' Mahnama Hadi,deoband, Jamadil Awal 1330 hijri,page 21) Darulloom deoband ki shiekh Al Adaab, Jinab Izaaz Ali Farmtay hain :- yeh Ahqar yeh baat tasleem karnay per majoor hai k,ise door ander ager mohqaq aur alm-e- deen hai tou wo Molana Ahmad Raza khan shahib hain q k mein nai Molana Ahmad Raza khan ko , jisay hum aj tak,kafir,mushr ik bidati kehtay rahay hain, buhat wasiee ul nazar aur buland kahyal iloo himat alam-e- deen shahib e fikro nazar paya hai, Ap Ahmad Raza k daliel Quran-o-sunat se mutsadim nahi, bal kay am ahang hain,lihaza mein ap ko mashwara doonga,ager ap ko kise mushkal maslay mein,ager ap ko kise masalay mein kise kisamki uljaan dar paish ho,tou ap breli mein jakar, Molana Ahmad Raza khan shahbi brelvi se tehqeeq karien''( Reesala Al- Noor,thana bhoon, Shawal al Mukram, 1346 hijri page 40) . . . . . . . 9) Justice Malik Ghulam Ali Shahib farmtay hain:- Haqeeqt yeh hai k Molana Ahmad Raza khan shahib k barien mein ab tak hum log shaht Galt fehmi mein mubtala thay.iun k baz tasanief aur fatwa k matalia k bad,ise natiija per pohncha hoon,'jou ilmi gehri mein iun ki yaha paii wo buhat kam logo mein pai jati hain''aur Ishq- e- Khuda aur Rasool (assalato-assal am) iun ki satar satar se phoot parta hai (Aramgani Haram Page 14 Lakhnuw) . . . . . . . 10) Janab Moen ul deen Nadwi farmtay hain :-'' Molana Ahmad Raza khan shahib brelvi iuse door k shahib-e-ilem o nazar ulma musanfeen mein se thay, deeni Hasoosan Fika o Hadees per iun ki nazar qasiee aur gehri thie, Molana Ahmad raza jis waqt nazr aur tehqeeq k sath ulma k istafraat k jawab tehreer farmay hain, iuse se iun k jamiyat,ilmi biseerat ,deeyanat aur tabie ka pura pura andaza hota hai,iun k alamana mehkana fatway Mohalfat o Moofaq her Tabka k Mootlia k lain hain Mahnama Mohraf, Azam Garh Shumra September 1949) . . . . . . . 11) Jinab Shahbir Ahmad Usmani Farmatay hain :- Molana Ahamd Raza khan ko Takfir k jurm mein Bura kehna buhat hi bura hai hai, q k wo buhat baray Alam-e-deen aur Buland paya k Muhaqiq thay, Molana Ahmad Raza khan ki Rihalat Alam-e-Islam ka buhat bara saniha hai,jise nazar andaz nahi kiya ja sakta''( Ma Hadi Deoband Zul haja 1369 hijri page 21) . . . . . . . 12) Jinab Muhammad Yousaf Banoori k walid shahib Zakira shah Banori Farmatay hain:-''Ager Allah Talla Hindustan mein Molana Ahmad Raza khan brelvi ko paida na farmatay tou hindustaan mein Hanfiyat Hatem hojati'' . . . . . . . 13) Jinad Abu Al Hassan Ali Nadvi Farmatay hain:- Fika Hanfi aur iuse ki Jaziat per jou, Molana Ahmad Raza khan ko aboor hasil tha, ise Zamamne mein iuse ki Nazer nahi milti 14) Modvi Jammat ka Mashoor sahafo Janab Manoor Al haq farmtay hain :- Jub hum Imam Ahmad Raza khan fazle Brelvi ki kitabo ka matalia kartay hain tou,tou masool hota hai k yeh shakhs apni ilmi Fazelat aur apni abkiriyat ki waja se doosray ulma per akaila hi barie hai''(Mahanama hijaz-e-jadeed , New Dehli januray 1989 page 84) . . . . . . . 15) Molana Hiyaat Muhammad Kosar Niazi Farmtay hain :- Molana Ahmad Raza khan Brelvi k barien mein ula deoband k biynaat per mushtamil mazmoon ise Haqeeqat ka aitraaf hai k, Aala Hazrat Ahmad raza Brelvi bilashuba sachay Ashq- e- Rasool(assalato - assalaam aur deen k Yagaana rozgar Alam-e aur milat ki Mohsin thay''(Roznama JUNG Lahore 3 October 1990 ) . . . . . . . 16) Janab Dr. Israr Ahmad (bani tanzeem-e- islam i) Farmatay hain:-''Imam Ahmad Raza khan Peechli sadi ki Mujdeed thay aur iun k ilam mein koi shak nahi''(24 october 2004, Sialkot Anwar Club (Confernce 2004)
  2. wasim raza

    Ilm E Gaib.

    Ilm e Ghaib ke khilaf ibarat fukah ke bayan me 1) Fatwa kaaji khwa’n me hai Tarjuma : kisi ne bagair gawaho’n ke nikah kiya toh mard aur aurat ne kaha ki humne khuda aur rasul ko gawah kiya , toh logo’n ne kaha hai ki yeh qaul kufr hai kyo’n ke usne etkad kiya ki Rasul ALLAH alaihissalam ghaib jaante hai , Halaki aap toh ghaib zindagi me na jaante the che jaaye ki maut k baad .2) Sharah fiqhe akbar me Mulla ali qari alaihirrehma farmate hai . Tarjuma: Hanfiyo’n ne sarahatan zikr kiya ki yeh etkad ki NABI alaihissalam ghaib jaante the kufr hai kyo’nki yeh aqeeda khudaye paak k us farmaan ke khilaf hai ki “farma do aasamano aur zameeno ka ghaib khuda ke siwa koi nahi jaanta”. In dono Ibarato’n se maalum hua ki Huzur Alaihissalam ko ilm e ghaib manna kufr hai . Jawaab : In dono ibarato’n ka ijmali aur iljami jawaab toh yeh hai ki mukhalifeen bhi Huzur Alaihissalam ko kuch ilm e ghaib maante hai , lihaja woh bhi kaafir hue kyo’nki in ibarato’n me qul ya thoda ka toh zikr nahi , yeh hai ki jo bhi Huzur ko ilm e ghaib mane woh kaafir hai , khwa ek ka maane ya zyada ka , toh woh bhi khair manaye , maulvi ashraf ali sahab ne “Hifzul imaan” me baccho,paglo aur jaanwaro ko baaz ilm e ghaib maana hai , Maulvi khalil ahmed sahab ne “Barahine Fatiha” me shaitaan aur malaqul maut ko wasi ilm e ghaib mana , Maulana qasim sahab ne “tehzirunnas” me kamal hi kardiya ki saari makhlukaat se Huzur Alaihissalam ka ilm zyada mana , ab in teeno saahbo’n per kya hukum lagaya jayega??? Tafseeli jawaab yeh hai kaaji kha’n ki ibaarat me hai “Qalu” logo’n ne kaha aur kaaji kha’n wagaira fuqha ki aadat yeh hai ki woh “qalu” us jagah bolte hai jaha’n unko yeh qaul pasand na ho . Shaami jild 5 safa : 445 me hai. Ek shaks ne nikah kiya ALLAH wa Rasul ki gawahi se toh nahi jaiz hai balki kaha gaya ki woh kaafir ho jayega . Is ibaarat ke matahat shaami ne tatar khaniya se nakal kiya, Tarjuma : Mooltkit me hai ki woh kaafir na hoga kyo’nki tamam chizen Huzur Alaihissalam ki rooh per pesh ki jaati hai aur rasul baaz ghaib jaante hai , rab nefarmaya hai ki pas nahi zaahir farmata apne ghaib per kisi ko siwaye pasandida rasul ke , me kehta hu ki qutube aqaid me hai ki auliya ALLAH ki karamatme se baaz ghaibo’n per muttla (bakhabar ) hona bhi hai . Shaami “Baabul- Murtdin ” me masla bajajiya zikr farma kar farmaya , Tarjuma : Iska khulasa yeh hai ki daawa ilm e ghaib nasse Qurani ke khilaf hai ki isse kaafir ho gaya , magar jabki isko sarahatan ya dalalatan kisi sabab ki taraf nisbat kar de , jaise wahi ya ilham. Mujmeraat me hai ki sahih yeh hai ki woh shaks kaafir na hoga kyo’nki Ambiya e kiram ghaib jaante hai aur un per chize’n pesh ki jaati hai pas yeh kufr na hoga. In ibaarat se maalum hua ki aqeeda e ilm e ghain per fatwa kufr lagana galat hai balki fuqha ka bhi aqeeda hai ki Huzur Alaihissalam o ilm e ghaib diya gaya. Mulla Ali Qari ki ibaarat nakal nahi ki gai , Asal Ibarat yeh jo matlab wazeh karti hai . Tarjuma : Fir jaano ki Ambiya e kiram ghaib ki chizo’n ko nahi jaante siwaye uske jo unko ALLAH ne bata di aur Hanfiyo’n ne tasreeh ki ke jo NABI Alaihissalam ko ilm e ghaib jaane. Ab pura matlab maalum hua ki NABI Sallallahualaih iwasallam ko ilm e ghaib zaati manne ko Mulla ali qari kufr farma rahe hai na ki Ataai , kyo’nki Ataai ko toh maan rahe hai , aur fir unki ibarate hum suboot ilm e ghaib me pesh kar chuke hai , ki Mulla ali qari Huzur Sallallahualaih iwasallam ko tamam “Ma Kaana wa Mayakun” ka ilm maante hai.
  3. wasim raza

    Auraton Ka Masjid Me Jana.

    Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Zamaana Khair-Ul-Quroon Hai Auraton Ko Masaajid Me Namaaz Padhne Ki Ijaazat Thi Unki Safein Aa Khir Me Mardon, Bachchon Ke Ba'd Laga Karti Thi Dekhiye...: (Saheeh Bukhari, Jild 1 Safha 120. Saheeh Muslim, Jild 1 Safha 234. Nasai''almunfar id Khalfas Saf''jild 1 Safha 139. Tirmizi, Jilad 1 Safha 55, Abu Dawood, Jild 1 Safha 90. Musnad Ahmad Jild 3 Safha 164) (1) Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Zamaana Khair-Ul- Quroon Tha... (2) Fitnon Se Mahfooz Tha..... (3) Rasool Maqbool Sallallahu Alaihi Wasallam Banafs E Nafees Tashreef Farma The. Wahee Naazil Hoti Thi.... Naye Naye Ahkaam Aate The..... (4) Namaaz Wa Ghairah Ke Masaayel Seekhne Ki Zarurat Thi.... (5) Aur Sabse Badh Kar Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Iqtida Me Namaaz Ada Karne Ka Sharf Haasil Hota Tha.... In Tamaam Baaton Ke Ba Wajood Auratein Namaaz Ba Jama'at Padhne Ki Mukallaf Nahi Thin Sirf Ijaazat Thi Aur Woh Bhi Mashroot Thi. Y'ani Unke Liye Masjid Me Jaane Ka Hukm Aam Nahi Tha Unke Liye Laazim Tha Keh Woh Masjid Ki Namaaz Ke Liye Ijaazat Lein. Isi Liye Hadees Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya Keh''jab Tum Me Se Kisi Ki Aurat Masjid Me Jaane Ki Ijaazat Chaahe To Use Na Roko... ''(Saheeh Bukhari, Jild 1 Safha 120, Saheeh Muslim Jild 1 Safha 183 Wa Ghairah). Ijaazat Ki Shart Fitno Se Ehtiyaat Hi Thi. Khaleefah-E-Raa shid- E-Saani Hazrat Umar Faarooq Rz (Jinke Haq Me Bhi Yeh Hadees Saadiq Aati Hai''alaikum Bi Sunnati....... Y'ani Tum Par Laazim Hai Meri Sunnat Aur Khulafaa-E-Raas hideen Ki Sunnat'') Ka Daur Aaya Aur Auraton Ki Haalat Me Tabdeeli Dekh Kar Aap Ne Un Auraton Ko Jo Masjid Me Aati Thin Rok Diya. Tamaam Sahaaba-E- Kiraa m (Rz) Ne Is Baat Ko Pasand Farmaaya Kisi Ne Mukhaalifat Nahi Ki. Albatta Ba'z Auraton Ne Umm-Ul- Momineen Hazrat Aaisha Siddeeqah (Rz) Se Iski Shikaayet Farmaai To Hazrat Umm-Ul-Momineen Jo Mizaaj E Nubuwwat Ki Pehchaanne Wali Thin Aur Asraar E Sharee'at Se Waaqif Thin Unhone Bhi Faislah-E- Faarooqi Se Ittifaaq Karte Huwe Farmaaya.''Umm- Ul- Momineen Hazrat Aaisha Siddeeqah (Rz) Se Riwaayet Hai Keh Auraton Ne Jo (Zaib Wa Zeenat Aa Raaish Wa Zaibaaish Ka) Tareeqah Eejaad Kiya Hai, Agar Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ise Mulaahza Farmaate To Unhein Masjidon Se Zarur Rok Dete Jaisa Keh Bani Israaeel Ki Auraton Ko Rok Diya Gaya Tha... ''(Saheeh Bukhari, Jild 1 Safha 119, Saheeh Muslim Jild 1 Safha 183, Abu Daawood Jild 1 Safha 84, Muwatta Imaam Maalik Safha 69, Musnad Bazaar Jild 3 Safha 149). Ibne Taimiya Farmaate Hain Keh Hazrat Umm-Ul- Momineen (Rz) Ke Is Asr Me Jisko Imaam Bukhaari (Rh) Ne Naqal Kiya Is Baat Ki Daleel Hai Keh Jab Auraton Me Bida'at Paida Ho Jaaye To Phir Unka Masjidon Me Jaana Durust Nahi Hai... (Umdat-Ul-Qaari Sharah Saheeh Bukhari Jild 2 Safha159) Ahnaaf, Maalikiya, Shawaafe, Hanaablah Gharz Jamee Ahle Sunnat Wal Jama'at Ke Nazdeek Auraton Ka Masaajid Me Namaaz Ke Liye Jaana Makrooh Hai. Khaleefah-E-Raa shid-E-Saani Ne Aur Umm-Ul-Momineen Hazrat Aaisha (Rz) Ne Tanbeeh Farmaai Aur Hazraat-E-Sahaa ba-E- Kiraam Ajmaeen (Rz), Taabaeen Uzaam, Aur Fuqahaa E Ummat Ne Is Par Ittifaaq Kiya. Auraton Ko Masaajid Me Jaane Se Roka Gaya. Aur Is Par Ijmaa E Ummat Ho Gaya. .. Allaama Badruddin Aini (Rh) Farmaate Hain Keh Hamaare Ashaab Ne Auraton Ko Masjidon Me Jaane Ko Makrooh Tehreemi Qaraar Diya Hai. Kyunki Unke Nikalne Me Fitna Ka Andesha Hai Aur Ye Sabab Hai Hurmat Ka. Aur Jo Cheez Haraam Tak Pahonchaaye Woh Bhi Haraam Hai..... Is Ijmaa E Ummat Par Har Daur Me Amal Baaqi Raha..... To Phir Kya Wajah Hai Ke Aaj Auraton Ko Masaajid Me Jaane Par Zor Diya Jaa Raha Hai Balke Isko Sunnat Samjha Jaa Raha Hai. Kya Aaj Ka Mua'ashrah Umm-Ul-Momineen Aur Hazraat-E-Sahaa ba-E-Kiraam (Rz) Ke Mua'ashra Se Achha Ho Gaya Hai? Ya Hazraat-E- Sahaa ba-E-Kiraam (Rz) Manshaa-E- Nubuw wat Ko Behtar Taur Par Samajhne Wale Nahi The? Kya Hazraat-E-Sahaa ba-E- Kiraam (Rz) Huqooq E Niswaan Ka Paas Wa Lehaaz Karne Wale Nahi The? Muqallideen Ki Zid Me Gair Muqallideen, Auraton Ko'' Masaajid Me Namaaz'' Ke Naam Par Gharon Se Nikaalte Hai........
  4. wasim raza

    Ala Hazrat Ka Fatwa.

    SAWAAL : GRAMOPHONE KA KYA HUKM HAI ? JAWAB: BAAZ BAATON ME ASL KA HUKM HAI,BAAZ ME NAHIN,GRAMOPHON E ME AGAR QURAAN AZEEM HO IS KA SUNNA FARZ NAHIN BALKI NAJAAIZ,AUR AAYAT E SAJDA US SE AGAR SUNI SAJDA WAAJIB NAHIN. - HAALA'NKI YUN QURAN SUNNE ME AUR AAYAT E SAJDA PAR SAJDA WAAJIB- AUR GAANE ME ASL KA HUKM HAI AGAR ASL JAAIZ YEH BHI JAAIZ AGAR ASL HARAM YEH BHI HARAM,MASLAN AURAT WA AMARD KI AAWAAZ NA HO,MAZAAMIR(MUS IC) KI AWAAZ NA HO,ASH'AAR KHILAAF E SHARA NA HO'N TO JAAIZ HAI WARNA NAHIN AUR QURAN AZEEM KA SUNNA TO JID HAI KI IBADAT HAI AUR AGAR GRAMOPHONE SE SUNNA LAHAV(KHEL) HAI KI WOH MOUZU HI IS LIYE HAI AGARCHE KOI NIYYAT LAHAV NA KARE,MAGAR ASL WAJH'E KI TABDIL KOI NAHIN KAR SAKTA FIR JO MASALA IS ME BHARA HOTA HAI IS ME AKSAR SPIRIT KA MEL HOTA HAI AUR SPIRIT SHARAB HAI AUR SHARAB NAJIS HAI TO IS ME QURAN SHARIF KA BHARNA HI HARAM HUA. (AL MALFOOZ SHARIF PART 3 PAGE 71).
  5. phir wahi baat faysal saab ooper huzaifa bhai ki post ko phir ek baar padhlo.
  6. last line me hai 'khazi ko mazol kar diya, iska watlab kya hai bhai?
  7. jaha'n baani ata karde bhari jannat hiba karde, nabi mukhtaare qull hain jise jo chahe ata karde. Nabi se jo ho begana use dil se juda karde, bidar maadar biraadar maal o jaa'n unpar fida karde. (Huzoor Azhari miyan)
  8. mai nahi maanta ke koi sunni apne aapko akhtari kaheta ho. Jis tarha wahabi hum ahle sunnat ko barelvi kahte hai usi tarha aaj kuch log sunniyon ko ilyasi aur akhtari keh kar logon me fasad phaila rahe hain. mai nahi maanta ke koi sunni apne aapko akhtari kaheta ho. Jis tarha wahabi hum ahle sunnat ko barelvi kahte hai usi tarha aaj kuch log sunniyon ko ilyasi aur akhtari keh kar logon me fasad phaila rahe hain. mai nahi maanta ke koi sunni apne aapko akhtari kaheta ho. Jis tarha wahabi hum ahle sunnat ko barelvi kahte hai usi tarha aaj kuch log sunniyon ko ilyasi aur akhtari keh kar logon me fasad phaila rahe hain.
×
×
  • Create New...