Jump to content

wasim raza

اراکین
  • کل پوسٹس

    530
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    31

سب کچھ wasim raza نے پوسٹ کیا

  1. "Hazrat Aaisha Siddiqa'h radi Allah anha farmati hai k Rasool Allah sallallaho alaihi wa sallam ko Shahad aur Halwa Pashand tha" (Bukhari,Vol.3, kitabut Talaq)
  2. WO WAHABIYA NE JISE DIYA HAI LAQAB SHAHEED-O-ZABEE H KA WO SHAHEED-E-LELAA NAJD THA WO ZABEEH-E- TAIGH- E-KHAYAAR HAI......
  3. Hanfi- Barelvi 04 Nov 2013 Poster ka Jawab... Matloob hai ..... aapke poster me jo hadees e paak hai uska jawab muhtram saeedi saab ne pahle hi diya hai. (← Alahazrat wa AhleSunnat Per Aetarazat Ke Jawabat Islami Mehfil » Ek Deobandi Ne Sarkar Alaihissalaato Wassa...).
  4. Ghulam.e.Ahmed bhai aapne wo kahaawat to suni hogi ''kadwa kadwa gat gat, meetha meetha tho tho. Wahabi bhi kuch iss type ke hi hain.
  5. Bhai jaan kya ye hadees al mustadrak, ibne kasees, Khasais Ul Qubra me bhi maujood nahi hai?
  6. Hazrat Usman ﻪﻠﻟﺍ ﯽﺿﺭ ﻪﻨﻋ ney fermaya "Jo milaad per aik derhum kharch kary ga usko badr k shohada jitna sawab milly ga". -Hazrat Umer ﻪﻠﻟﺍ ﯽﺿﺭ ﻪﻨﻋ ney fermaya:"Jiss ney milaad ki tazeem ki us ney deen ko zinda ker dia". -Hazrat Abu bakr ﯽﺿﺭ ﻪﻨﻋ ﻪﻠﻟﺍ ney fermaya:"Wo shaks jannat main mery sath hoga jis ney milaad per aik derhum bhi kharch kia". -Hazrat Ali ﻪﻨﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﯽﺿﺭ ney fermaya:"Milaad manany wala dunia sey eman ki neimat ley ker jai ga, aur billa hisab janat main dakhil hoga"References of Sahaba: -(Ibn-e-Kaseer, Maulid- ul-MUSTA FA, Page:29-30) -(Al-Mustadrak, Pg:327, vol:3) -(Khasais Ul Qubra, Page:97, vol:1) -(Anwar-ul-Muha mmadiya, Pg:62) -(Ibn-e-Kaseer, vol:4, Pg:321) -(Al-Mustadrak, Vol:2, Hadees:4174 (
  7. Khaleefah-E-Raa shid- E- Saani Hazrat Umar Faarooq Rz (Jinke Haq Me Bhi Yeh Hadees Saadiq Aati Hai''alaikum Bi Sunnati....... Y'ani Tum Par Laazim Hai Meri Sunnat Aur Khulafaa-E-Raas hideen Ki Sunnat'') Ka Daur Aaya Aur Auraton Ki Haalat Me Tabdeeli Dekh Kar Aap Ne Un Auraton Ko Jo Masjid Me Aati Thin Rok Diya. Tamaam Sahaaba-E- Kiraa m (Rz) Ne Is Baat Ko Pasand Farmaaya Kisi Ne Mukhaalifat Nahi Ki. Albatta Ba'z Auraton Ne Umm-Ul- Momineen Hazrat Aaisha Siddeeqah (Rz) Se Iski Shikaayet Farmaai To Hazrat Umm-Ul-Momineen Jo Mizaaj E Nubuwwat Ki Pehchaanne Wali Thin Aur Asraar E Sharee'at Se Waaqif Thin Unhone Bhi Faislah-E- Faarooqi Se Ittifaaq Karte Huwe Farmaaya.''Umm- Ul- Momineen Hazrat Aaisha Siddeeqah (Rz) Se Riwaayet Hai Keh Auraton Ne Jo (Zaib Wa Zeenat Aa Raaish Wa Zaibaaish Ka) Tareeqah Eejaad Kiya Hai, Agar Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ise Mulaahza Farmaate To Unhein Masjidon Se Zarur Rok Dete Jaisa Keh Bani Israaeel Ki Auraton Ko Rok Diya Gaya Tha... ''(Saheeh Bukhari, Jild 1 Safha 119, Saheeh Muslim Jild 1 Safha 183, Abu Daawood Jild 1 Safha 84, Muwatta Imaam Maalik Safha 69, Musnad Bazaar Jild 3 Safha 149). Ibne Taimiya Farmaate Hain Keh Hazrat Umm-Ul- Momineen (Rz) Ke Is Asr Me Jisko Imaam Bukhaari (Rh) Ne Naqal Kiya Is Baat Ki Daleel Hai Keh Jab Auraton Me Bida'at Paida Ho Jaaye To Phir Unka Masjidon Me Jaana Durust Nahi Hai... (Umdat-Ul-Qaari Sharah Saheeh Bukhari Jild 2 Safha159) Ahnaaf, Maalikiya, Shawaafe, Hanaablah Gharz Jamee Ahle Sunnat Wal Jama'at Ke Nazdeek Auraton Ka Masaajid Me Namaaz Ke Liye Jaana Makrooh Hai. Khaleefah-E-Raa shid-E-Saani Ne Aur Umm-Ul-Momineen Hazrat Aaisha (Rz) Ne Tanbeeh Farmaai Aur Hazraat-E-Sahaa ba-E- Kiraam Ajmaeen (Rz), Taabaeen Uzaam, Aur Fuqahaa E Ummat Ne Is Par Ittifaaq Kiya. Auraton Ko Masaajid Me Jaane Se Roka Gaya. Aur Is Par Ijmaa E Ummat Ho Gaya. .. Allaama Badruddin Aini (Rh) Farmaate Hain Keh Hamaare Ashaab Ne Auraton Ko Masjidon Me Jaane Ko Makrooh Tehreemi Qaraar Diya Hai. Kyunki Unke Nikalne Me Fitna Ka Andesha Hai Aur Ye Sabab Hai Hurmat Ka. Aur Jo Cheez Haraam Tak Pahonchaaye Woh Bhi Haraam Hai..... Is Ijmaa E Ummat Par Har Daur Me Amal Baaqi Raha..... To Phir Kya Wajah Hai Ke Aaj Auraton Ko Masaajid Me Jaane Par Zor Diya Jaa Raha Hai Balke Isko Sunnat Samjha Jaa Raha Hai. Kya Aaj Ka Mua'ashrah Umm-Ul-Momineen Aur Hazraat-E-Sahaa ba-E-Kiraam (Rz) Ke Mua'ashra Se Achha Ho Gaya Hai? Ya Hazraat-E- Sahaa ba-E-Kiraam (Rz) Manshaa-E- Nubuw wat Ko Behtar Taur Par Samajhne Wale Nahi The? Kya Hazraat-E-Sahaa ba-E- Kiraam (Rz) Huqooq E Niswaan Ka Paas Wa Lehaaz Karne Wale Nahi The? Muqallideen Ki Zid Me Gair Muqallideen, Auraton Ko'' Masaajid Me Namaaz'' Ke Naam Par Gharon Se Nikaalte Hai........
  8. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Zamaana Khair-Ul-Quroon Hai Auraton Ko Masaajid Me Namaaz Padhne Ki Ijaazat Thi Unki Safein Aa Khir Me Mardon, Bachchon Ke Ba'd Laga Karti Thi Dekhiye...: (Saheeh Bukhari, Jild 1 Safha 120. Saheeh Muslim, Jild 1 Safha 234. Nasai''almunfar id Khalfas Saf''jild 1 Safha 139. Tirmizi, Jilad 1 Safha 55, Abu Dawood, Jild 1 Safha 90. Musnad Ahmad Jild 3 Safha 164) (1) Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Zamaana Khair-Ul- Quroon Tha... (2) Fitnon Se Mahfooz Tha..... (3) Rasool Maqbool Sallallahu Alaihi Wasallam Banafs E Nafees Tashreef Farma The. Wahee Naazil Hoti Thi.... Naye Naye Ahkaam Aate The..... (4) Namaaz Wa Ghairah Ke Masaayel Seekhne Ki Zarurat Thi.... (5) Aur Sabse Badh Kar Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Iqtida Me Namaaz Ada Karne Ka Sharf Haasil Hota Tha.... In Tamaam Baaton Ke Ba Wajood Auratein Namaaz Ba Jama'at Padhne Ki Mukallaf Nahi Thin Sirf Ijaazat Thi Aur Woh Bhi Mashroot Thi. Y'ani Unke Liye Masjid Me Jaane Ka Hukm Aam Nahi Tha Unke Liye Laazim Tha Keh Woh Masjid Ki Namaaz Ke Liye Ijaazat Lein. Isi Liye Hadees Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya Keh''jab Tum Me Se Kisi Ki Aurat Masjid Me Jaane Ki Ijaazat Chaahe To Use Na Roko... ''(Saheeh Bukhari, Jild 1 Safha 120, Saheeh Muslim Jild 1 Safha 183 Wa Ghairah). Ijaazat Ki Shart Fitno Se Ehtiyaat Hi Thi.
  9. Abuahmed bhai google open karo aur 'najd kahan hai' likh kar search karo aapko iss ka jawab mil jayega.
  10. Khazaane ki zeenat ko Almas kahte hain, Tamanna paani ki hoti hai tabhi to Pyaas kahte hain, Jahan peetei'n hain sab paani use kahte hain sab dariya, Jo dariya ko pilaata hai use ABBAS kahte hain.
  11. Ashiq koun bhai kya kitab deen al haq ke radd me koi kitab likhi gayi hai? ya phir iske liye ja alhaq hi kaafi hai?
  12. Muhammad Aqeel saab aap paak me kis se jihad karoge? Kabhi hind me aa jao jihad karne.
  13. Janab shahzad saab kairaala nahi 'kerala hai. Mai kaafi kerala ke logon se mil chuka hon jo shafaee hain. Hamare shahar me unka ek madrasa bhi hai. In sab kerala walon ko to achhi taraha maloom hai ke Imam ahmad raza kaun hai. Janab shahzad saab kairaala nahi 'kerala hai. Mai kaafi kerala ke logon se mil chuka hon jo shafaee hain. Hamare shahar me unka ek madrasa bhi hai. In sab kerala walon ko to achhi taraha maloom hai ke Imam ahmad raza kaun hai.
×
×
  • Create New...