Jump to content

-Mazhar-

اراکین
  • کل پوسٹس

    63
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    11

سب کچھ -Mazhar- نے پوسٹ کیا

  1. Assalam Alaikum, in do sawalon ke jawab main de chuka hun. 1. alamgir takfeer ke maanen na ittefaqi hi hosakti hai, agar is ke ilava koi aur maanen hen to aap mujhe bataen aur saboot den. main jo na ittefaqi keh raha hun wo is liye kyun ke alamgir takfeer agar hui hoti to fatwe hote, jo ke nahin hen. 2. is ka jawab wohi hai jo no.1 mein main ne likha hai aur us se pehle bhi kayi dafa likh chuka hun. ab meri doosri baat. jab ap log phans gaye aur yeh ap ko maloom hogaya ke agar saeedi sab isi tarah mere post ka jawab dete rahe to main to poll khol dunga to ab ye 2 sawalon ka bahana le kar aagaye.
  2. Post # 95 ka jawab: Takfeer hui is ka suboot kya hai? fatwe lao. Aakhir takfeer kahin chapi to hogi? Koi to shahadat hogi wo kahan hai? hai koi jawab? Lekin main ap ko batadun mere bhai ke takfeer hui hi nahin hai isi liye un ke alfaz ka matlab na ittifaqi hi nikalta hai agar ap is ko jahalat kehte hen to sirf kehne se kuch nahin hoga fatwe dikhane parenge. Ilzam lagana to asan hai lekin suboot bhi to do apni baat ka, bas apni baat chuspaan kardi aur beth gay ek hi baat ka ratt lagane. Yaani aap maan gaye ke raza khan ke al-muhannad ki taeed ki thi? Al-muhannad ke jawab mein jo kuch bhi likha gaya kya un ki taeed harmain shareefain ne ki thi? Agar nahin to phir jo kuch likha gaya us ka jawab dena fuzool tha, kyun ke al-muhannad ka maqsad hussam ul harmain ke jhootay fatwe ko radd kar ke sahih fatwa aur sahih aqaid batane the aur harmain shareefain se taeed leni thi aur Alhamdulillah haq saamne aagaya aur qayamat take liye baat saaf hogayi. Aur maqsad poora hogaya. Agar kisi ne radd likha hai to us ko chahiye ke harmain shareefain se taeed karale agar kamyaab hua to phir jawab bhi tehreer kya jaega. Aesi hi hawa mein radd likhne se kuch thori hoga. Hussam mein kahan tehzeer ki ibaraten hen un ka scan pesh Karen. Nae takfeer to hum ahle biddat ki nahin karte to ahle sunnat wal jamaat ki karke kya jahannum mein jana hai. bahar haal ap ruju to dikhaen. Mufti mujtahid hota hai ke nahin is baat ka mujhe ilm nahin lekin haan aimma arbaa ke baad ijtihaad ka rasta khatam hogaya hai jahan tak mere ilm mein hai, shayad main galat hun to meri islah karna. Bhai khalil ahmed barkati barelvi akabir mein se the main ap ko inkeshaf e haq ka aks de chukka hun aur raza khan ke qareebi log jese ke zafaruddin bahari sahb molana abdul aziz sahb bhi raza khan ke fatwe mein un ke saath nahin the, to phir un ko bhi to deobandi kaho. Hamara pesha mushrik saazi nahin balke shirk ko khatam karna hai jese ke qabaron pe sajda, qabron ka tawaaf, shirk bhari naaten aur nazmein, qabaron se magna aur aulia Allah ko mushkil kusha samajhna aur Allah ke bajae un se mangna, hum in sab ke khilaf hen. Ijmaa e Ummat se bahir dekhun kya matlab? Phir ap shuru hogaye ke yeh mumkin hai wo mumkin hai, is tarah to main bhi baaten garh doon ke eh mumkin hai wo mumkin hai, bhai do tok baat karo idhar udhar kyun bhatak rahe ho. Tum ne sayyidina abu bakr siddiq ki misaal di to bhai unhon ne to laat ki misaal di thi lekin raza khan ne to Allah Pak ki shaan mein gustaakhi ki hai, kya kya kaha hai jis ka koi insaan tasawwur bhi nahin karsakta. Aur jo Allah Pak ki gustakhi karey us ke bare mein ap ka kya fatwa hai?
  3. Post # 93 ka jawab: Main ap ko pehle hi keh chukka hunk e alamgir takfeer se murad na ittifaqi hosakti hai aur kuch nahin. Gali mat do. Fatwa do. Tum ne jo hawala diya us ka matlab uper batachuka hun. Jo natija ap ne tehzeer, meri nazar mein pg 34, 35 ka nikala hai wo peer sahib ne kyun nahin nikala? Wo to molana nanotvi sahb ko khatme nabuwwat ka munkir nahin jaante. Bhai raza khan ne khud koi jawab kyun nahin diya? Jawab main parhta hun, ap ko bas bahana chahiye. Mujhe raza khan ka koi radd dikha do jo unhon ne khud al-muhannad ke khilaf likha ho. Tum phir wohi mutanazia ibarat pe kyun atke ho, al-muhannad koi tehzeer ka tarjuma thori hai jo ek ek lafz ka tarjuma hoga, al-muhannad mein tehzeer pe jo aetraz hai us ka jawab hai, jo matlab tehzeer mein bayan kya hai wohi muhannad mein hai. matlab wazeh kardiya gaya hai, uzar dhoondne wale uzar hi dhoondte rehte hen matlab pe un ka dehan nahin hota. Tum pehle yeh sabit karo ke hussam mein tehzeer ki ibarat kahan hai? phir bat karo. Qayamat tak sabit nahin karsakte. Acha maktab walon ke kon se safahaat kharch hojate agar wo is lafz ko nahin uraate to? To saabit hua ke lafz ka urana asal mein awam ko dhoka dena hai. Ruju dikhao, bas jesa hai wesa hi dikhana tor mor ke mat dikhana. Ijtihad karna mujtahid ka kaam hai raza khan kon se mujtahid hen? Inkeshaf e haq ek barelvi aalim ki kitab hai jin ka naam khalil ahmed barkati hai. Main muddayi hun to main apna daawa karchuka honk e wo barelvi hen, ap ko ikhtilaf hai to ap saboot den. Main ne takfeer ke peshay wali aat ko to ap ko karvi lagi. Sach karwa hi hota hai. Jab aur koi banaha nahin mila to laoom iltizam ko le kar beth gaye. Fatwa raza khan pe lag raha hai bhai kahan jaoge phans gaye tum to. Molana Thanvi sahb ke hawale se to pata chala ke fazal haq sahb, molana ismail ko musalman samajhte hen, to bat wahin rahi ke raza khan to baqol ap ke molana ismail ko na musalman samajhte hen na kafir. Molana ajmeri ka poora moaqaf dikhao, un ki ek baat se un ka moqaf bayan nahin hota. Agar aghlat e qasmia mein takfeer hai to dikhao. Yeh hosakta hai, yeh mumkin hai, yeh bhi hosakta hai, yeh saare alfaz hata ke saboot do phir baat karo. Tum ne kaha ke khilaf e ummat kehna takfeer hai to agar hai to ghulam rasoon saeedi na kaha ke raza khan ne ummat se ikhtilaf kya hai, yani takfeer ki hai. Wah kya bat hai, deobandion ki kitabon mein fuhush gui dhoondte ho apne raza khan ki kitaben nahin dekhte. Kya tumhen nahin pata unhon ne kitni gandi zuban apni kitabon mein istimal ki hai? Main hawale de kar kisi ki dil azari nahin karna chahta, lekin agar ap ne majboor kya to hawale bhi dene parenge aur ibaraat bhi. Jesa ke main ne pehle kaha ke mera maqsad dil azari nahin balke shareefana andaz mein munazra karna hai, warna mujhe koi zaroorat nahin ke main ap se in topic par behes karoon, deobandion ka ahle sunnat hona wazeh hai. Main apne post 88, 89 aur 90 aur us se pehle bhi ap ko saare saboot dechuka hun, hujjat tamaam hochuki hai, ap se koi jawab ban nahin parta to bahane bana lete ho, baat taal dete ho, bar bar duhraate ho baat ko, zidd karte ho. In sab ka hamare pas yehi ilaj hai ke apna dimagh kharab kar ke ap ke sawalon ka jawab den, app e mehnat Karen. Lekin is ki bhi koi had hoti hai.
  4. Post 91 ka jawab: Ap ne jo mujh se molana rasheed sahb ka fatwa manga hai, main us ki tehqeeq karta hun aur jald ap ko jawab dunga insha Allah. Nahin humein takfeer nazar nahin aati ap hi dikhaden fatwe kahan hain. Kon se deegar hawala diye hain ap ne? tum khuda ka khauf karo, bila waje ek hi chez ki zidd kar rahe ho ke takfeer hui takfeer hui, arey bhai hui hai to tum logon ki rasai kyun nahin hai us par? Hai to dikhao fatwe. jo hawala ap ne diya us mein bat ka matlab kuch aur hosakta hai, wo nahin jo ap keh rahe hen, agar takfeer hui hoti to us ka koi jawab hota, koi radd hota, lekin koi aesi tasneef humen nahin milti, to bas sabit hogaya ke takfeer sirf aur sirf akele raza khan ki hai, jhootay sirf .................................... hen aur kisi ne bhi un ke is jhoot aur sazish mein un ka sath nahin diya. Ye jhoot nahin sach hai. mere post 88, 89 aur 90 ghaur se parh len. Ap ne peer sahb ke hawale se mujhe koi jawab nahin diya, baat ko taal diya hai. itni si bat ap ke samajh mein nahin aati ke: Peer sahb molana nanotvi ko khatme nabuwwat ka munkir nahin samajhte, aur is tarah wo raza khan ke khilaf hojate hen kyun ke raza khan ne hussam mein molana nanotvi ko khatme nabuwwat ka munkir qarar diya hai. 26 sawalon ke jo jawabaat diye gaye un se hussam ul harmain ka jawab hogaya aur hujjat tamam hogayi jabhi to 12 saal tak raza khan se koi jawab na ban para, yahan tak ke wo intiqal kargaye. Main ap ko muhannad ke safhat dechuka hun, jis bat pe ap ko aetraz tha ke “khatmiat sirf zamane ke lihaz se nahin, kyun ke is mein koi bari fazilat nahin”, is bat pe ap aetraz karchuke hen pehle, theek hai, ab yehi baat al muhannad mein hai. aur jo baat tehzeer mein likhi hai wohi baat muhannad mein hai safhat dekh len. Ab ap kehte hen ke khatmiat e zamani ko shaan nahin maana to yehi baat ke :fazilat nahin hai” muhannad mein bhi hai, to ab taqreez likhne walon par bhi fatwa do. Baq raha hussam ki ibarat ka jawab to, hussam mein jo ibarat hai, wo tehzeer mein kahin bhi nahin hai. yani ke jin ibarat pe raza khan ne takfeer ki hai wo ibarat tehzeer mein hain hi nahin. Maktab ki khayanat main ap ko dikha chukka hun, bachon ki tarah zidd karne se aur mukarne se kuch nahin hoga. RasoolAllah ke bad SAW kyun nahin likha? Jawab do. Ek hi baat ko kitna repeat karoge. Abdullah bari farangi ke ittefaq ka saboot do, molana ajmeri ki takfeer dikhao. Ap ne kaha ijtihadi ikhtilaf, to kya sahabae karam, imam abu hanifa, imam malik, imam hambal wager se ikhtilaf kya koi bari baat nahin? Jo in sab se ikhtilaf kare us ki baat ka kya aetbar wo to kisi se bhi ikhtilaf karsakta hai. Shujaat qadri sahb ne jo kaha us se raza khan ki tasveer khul ke nazar ajati hai, un ki ravish aur jazbatiat ke unhon ne kisi se ittefaq kya hi nahin, aur ghulam rasool saeedi ke mutabiq to sahaba e karam aur aimma se bhi ikhtilaf kya hai, astaghfirullah! To aese shakhs ki baat ka kya aetbaar, hussam aur deegar tasaneef ka kya aetbaar? aur phir jo shakh quran mein tehreef kare, hafza kamzor ho, jhoot bole us ka kya aetbaar? shayad ap kahen ke yeh bat topic se hat kar hai, lekin aesa nahin hai, bat hussam ul harmain ki horahi hai to us ke musannif ko bhi dekha aur parkha jaega, ke us pe aetbaar kya bhi jasakta hai ke nahin, aur wo bhi takfeer ke itne nazuk maamle mein to yeh aur bhi zaroori hojata hai Main ne ap ko inkeshaf e haq ka aks diya us mein yehi likha hai ke molana zafaruddin bihari takfeer ke fatwe ko durust nahin jaante the. Aur dosri bat khalil barkati sahb ki to bhai un ke khilaf apne molvion ka fatwa le ao phir ke wo munafiq the aura b barelvi nahin rahe. Agar gusse ke kalmaat the to phir un ka bayan dikhao ke ke unhon ne yeh sab gusse mein kaha tha. Sach baat tum logon se to bardash hi nahin hoti, koi na koi banaha mil hi jata hai. Ap ke buhtanon se to main tang aachuka hun, ap ko aina dikha diya, ibaraton ka matlab samjha diya, ghar ki shahadaten dedin, lekin jis ka pesha hi takfeer ho wo kya karay, kahan jae? Molana ismail shaheed pe jo buhtaan raza khan ne lagae, wo main ap ko de chukka hun, to kya wo mansookh hogaye? Agar nahin to fatwa ulta raza khan pe lagta hai ke unhon ke molana ismail shaheed ki takfeer nahin ki. Molana fazal haq ka fatwa agar galat hai to phir un ka bayan dikhao ke mera fatwa galat tha. Molana ajmeri ne kahan raza khan ki takfeer ki taeed ki hai, wo dikhao. Unhon ne jesa kaha ke baad sehat ke ainda karunga to wo ainda ki baat dikhao? Sirf ek ibarat se kam nahin chalega, un ka poora moaqqaf dikhao. Phir un ki apni tajalliaat ki toba bhi dikhao. Aghlat e qasmia mein takfeer kyun nahin hui molana nanotvi ki? Ap parh chuke hen is ke bare. Ilzam lagaye, lekin takfeer nahin ki, hussam ki taeed nahin ki. Phir wohi bat ke molana nazeer ahmed ne bhi kufr ka fatwa nahin lagaya. Post 90 ke point 3 mein parh len. Un ko marhoom bhi likha hai, ab lao un ke khilaf fatwa. Kahan tak bhaago ge, kitne bahane banaoge. Katib ki galti ka jhoot nahin bolo. Taeed e islam ki hai, rehmat ki dua ki hai, marhoom kaha hai, deen ka nashir kaha hai, etc. Agar khilaf e ummat kehna takfeer hai to ghulam rasool saeedi ne bhi phir raza khan ki takfeer ki hai kyun ke un ko ummat se ikhtilaf karne wala bataya hai. Abdul sami rampuri ki bat bhi ap yehi keh kar kha gaye. Agar aesi bat hai to yehi baat un hi ki zabani dikhao. Arshadul qadri ki baat to ko bhi tor mor ke dediya. Yeh jhoot hai ap ka. ................................. ki zuban to aesi hai ke kisi sharif insan ki to kaja, kisi kafir ki bhi nahin hosakti. ............................................ ne Allah Pak ko bhi apni gandi zuban ka nishana banaya. Astaghfirullah! To bas sabit hogaya ke arshad sahb raza khan ki hi zuban ki bat kar rahe hen. Agar khalil sahb sunni nahin hen to yehi bat apne ulemaon ki mujhe dikha do. Molana karamuddin ke bare mein ap ka yehi jawab hai? unhon ne likhne ke bajae practical kar ke dikha diya. Ab lao fatwa un ke bare mein agar nahin mante to. Agar muhabbat ke peeche maslihat thi to saabit karo warna fatwa lao. Main apne post 88, 89 aur 90 aur us se pehle bhi ap ko saare saboot dechuka hun, hujjat tamaam hochuki hai, ap se koi jawab ban nahin parta to bahane bana lete ho, baat taal dete ho, bar bar duhraate ho baat ko, zidd karte ho. In sab ka hamare pas yehi ilaj hai ke apna dimagh kharab kar ke ap ke sawalon ka jawab den, app e mehnat Karen. Lekin is ki bhi koi had hoti hai.
  5. baqi ap ke raza khan barelvi ko to ap ke ghar ke log nahin maante: aur parho: to ab in sab ke khilaf mujhe apne ulemaon ka fatwa dikhao phir bat karo.
  6. Agar Hassam ul harmain sahih hai to molana shah ismail shaheed ko kafir kyun nahin kaha? Ye parhen: اکابر اربعہ میں سے حضرت نانوتوی پر الزام ختم نبوت کے انکار کا احمد رضا خان نے لگایا ہے اور حضرت گنگوہی پر الزام خدا کو جھوٹا کہنے کا لگایا ہے اور حضرت سہارنپوری پر الزام یہ لگایا ہے کہ آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم کے علم مبارک سے شیطان کا علم زیادہ مانتا ہے اور حکیم الامت پر الزام یہ لگایا ہے کہ وہ آنحضور پُرنور صلی اللہ علیہ وسلم کے علم مبارک کو چو پاؤں کے علم کے برابر سمجھتے ہیں. خلاصہ یہ ہوا کہ پہلے بزرگ کو ختم نبوت کا منکر کہا۔ دوسرے کو خدا کا جھوٹا کہنے والا کہا آخری دو کو توہین رسالت کامرتکب کہا. اب یکھیے!یہ تینوں الزام شاہ اسماعیل شہید پر بھی اسی احمد رضا خان نے لگائے۔ مثلاً لکھا کہ: اسماعیل دہلوی کا اپنے پیر کو نبی ماننا ۔ فتاو ی رض ویہ ج 15 ص 20 آگے شاہ صاحب پر رد کرتے ہوئے لکھا ہے کہ ”یہ صراحۃً غیر نبی کو نبی بنایا ہے کہ صریح کفر ہے اور نبی بھی کیسا؟ صاحب شریعت!“ فتاو ی رض ویہ ص 248ج 15 الزام کا خلاصہ یہ ہوا کہ شاہ اسماعیل اپنے پیر کو نبی مانتے ہیں اور نبی بھی صاحب شریعت تو اس اعتراض کی روشنی میں شاہ صاحب رحمۃ اللہ پر ختم نبوت کے انکار کا الزام لگایا۔ آگے لکھتے ہیں ”وہ (دیوبندی) اسماعیل دہلوی کی اتباع میں کذب کو ممکن بلکہ جائز و وقوعی مانتے ہیں۔ فتاو ی رض ویہ ج 15، ص 34 نوٹ:قولہ سے عبارت اکابر دیوبند کی ہے اقول سے فاضل بریلوی کی شروع ہے۔ آگے لکھتے ہیں : قولہ: ہمارا اعتقاد ہے کہ خدا نے کبھی جھوٹ بولا نہ بولے۔ اقول : یہ زبانی اظہار محض بے بنیاد ناپائیدار کہ جب کذب ممکن بلکہ جائز و قوعی ہوا جیسا کہ تمہارے امام کا مشرب۔ فتاو ی رض ویہ ج 15، ص 436 خلاصہ یہ ہوا کہ شاہ صاحب پرخدا کو جھوٹا ماننے کا الزام لگایا۔ فاضل بریلوی لکھتے ہیں : امام الوہابیہ نے نبی پاک صلی اللہ علیہ وسلم کو کھلی دشنام دے کر مسلمانوں کے دلوں کو زخم پہنچایا۔ فتاو ی رص ویہ ج 15۔ ص 20 آگے شاہ صاحب کا رد کرتے ہوئے لکھتے ہیں۔ یہ صراحۃً حضور اقدس سید المرسلین صلی اللہ علیہ وسلم کو فحش گالی دینا ہے ۔ فتاو ی رض ویہ ج 15، ص 249 اس کا خلاصہ یہ ہوا کہ شاہ صاحب پر سخت توہین نبوی کے مرتکب ہونے کا الزام لگایا۔ القصہ: جو جو الزام اکابر اربعہ پر فاضل بریلوی نے لگایا وہی الزام شاہ صاحب پر بھی گایا مگر ان اکابر اربعہ کے متعلق یہ لکھا کہ جو ان کے کفر و عذاب میں شک کرے خود کافر ہے۔ حسام الحرمین ص 20 اور شاہ صاحب کے متعلق یہ لکھا کہ ’’علمائے محتاطین انہیں کافر نہ کہیں یہی صواب ہے ۔’’وہو الجواب و بہ یفتی و علیہ الفتوی و ہوالمذہب و علیہ الاعتماد و فیہ السلامۃ و فیہ السداد‘‘. حسام الحرمین مع تمہ ید ص 132 آپ خود دیکھیے کہ اب جو حسام الحرمین کافتویٰ کہ ’’ جو ان کے کفر میں شک کرے خود کافر ہے۔ ‘‘ وہ فاضل بریلوی پر جا لگا. Halanke raza khan ke saathi kehte hen ke jo molana ismail shaheed ke kafir hone mein shak kare wo kafir hai, ye parho: Aur ap ke raza khan to molana ismail shaheed to musalman bhi maante the aur un ko kafir kehne se mana karte the yehi un ka mazhab tha: Ab agar Hassam ul harmain sahih hai to molana ismail shaheed ko bhi kafir kehna chahiye tha, to ab raza khan ke khilaf aur un ke saathiyon ke khilaf fatwa lao.
  7. Bismillah Post # 87 ka jawab: Al-muhannad mein hawala den kahan molana rasheed aur qadiani ki baat hai. Nahin yeh jhoot nahin kyun ke ap ke pas koi takfeer hai hi nahin, ap ne bauhat dhoondi ke shayad kahin se nikal aaye, lekin jab hai hi nahin to phir ap ne deobandion ki kitabon se hawala nikal ke jhoot banadiya ke dekho takfeer hai, lekin asal takfeer hai hi nahin, kyun ke wahan molana nanotvi sahib na-ittefaqi ki bat kar rahe honge ya shayad aur hi koi baat ho, is ka sabot yeh hai ke agar takfeer hui hoti to us ke radd mein koi kitab koi risala hota. Jese ke hussam ke radd mein kayi kitaben likhi gayin, aur al-muhannad to usi saal likhi gayi jis saal hussam chapi. To yeh takfeer wala hawala ap ka jhoot hai, ap tehqeeq Karen lekin wo ap nahin karenge kyun ke ap ke pas koi taeed hi nahin hai, ap ke pas raza khan ke ilava koi nahin jo ap ki taeed karta ho, to bas ap wo hawala pakar kar bethe hen. Raza khan barelvi ne hussam likhi, dhokay se fatwa liya lekin un ki is takfeer mein wo akele the, koi bhi un ke saath nahin tha, kisi ne bhi deobandion ko kaafir nahin kaha, agar kaha to saboot do. Kitabn se jhootay hawale mat banao. peer sahib sheikh qasim nanotvi ko khatm e nabuwwat ka munkir nahin samajhte, lekin raza khan samajhte hen. Hussam ul harmain ki roo se to peer sahib ko raza khan se ittefaq karna chahiye jo ke unhon ne nahin kya. Ab fatwa do un ke khilaf. Kya raza khan ne sheikh nanotvi ko khatme nabuwwat ka munkir nahin samjha tha? Ap ko al muhannad ki tareekh to pata nahin hai. ulema e harmain ne 26 sawalat deoband bheje kyun ke un ko raza khan ki khayanat ka shuba hogaya tha. Al-muhannad mein bhi wohi baat ulema e deoband ne likhi hai jis pe ap ko aetraz hai, aur jis ko ap man gharat khulasa keh rahe hen: Yahan saaf yehi likha hai ke “huzur pak ki khatmiat sirf zamane ke lehaz se nahin hai kyun ke is mein koi bari fazilat nahin hai balke bari fazilat khatmiat e zaat aur zamana donon se ho.” To ab agar tum tehzeer pe fatwa lagate ho to almuhannad pe bhi lagao aur phir almuhannad pe jin ulemaon ne tasdeeqaat likhi hain un pe bhi fatwa lagao. Ye parho: Aur ap ne kaha ke al muhannad mein baton ko mix kya gaya, to bhai apni hussam utha kar to dekho, raza khan ne qadianion ki aar mein laakar deobandion ko mix kar ke fatwa dhokay se leliya. Raza khan ke pas aur koi chaara bhi nahin tha, lekin afsos un ka yeh mission fail hogaya aur usi saal al-muhannad chap gayi jis ka jawab raza khan se na ban para aur 12 saal tak zinda rehne ka bawajood kuch bhi na likha. To bas yehi saboot hai unhon ne al-muhannad ko maan lia tha. Ap ne mujhe phir wohi galat usool diya. Us ke jawab mein main ap se kehta hun ke ap bhi hussam ko jhoota maanen kyun ke us mein qadianion ko mix kya gaya hai aur baqol ap ke muhannad mein baton ko mix kya hai is liye wo sahih nahin. To bas agar muhannad ap ke nazdeek sahih nahin to hussam ko bhi galat mano. Muhannad mein hi ba muhawra tarjuma hai is ka saboot main ap ko upper dechuka hun muhannad ke aks mein, wohi baat likhi gayi hai jis pe ap ko aetraz hai. dosri bat yeh ke hussam mein kufr ka fatwa tha, muhannad mein aqaid hen aur un mein agar ki shart nahin aati. To ap ka usool galat hai. Aur raza khan ne jo tarjuma kya us ka matlab yeh banta hai (jesa main pehle bhi keh chuka hun) ke “is mein bilkul koi fazilat nahin”. Aur ap ke “aslan” ka jawab bhi main dechuka hun is se pehle wale post mein, ke us ka matlab yeh hai ke us mein koi fazilat hai hi nahin jo ke galat tarjuma hai. ab ap yahan raza khan ki khayanat ka saboot dekh len ke tarjuma bhi tor mor ke pesh kya. Ghaur se parho, ap ke raza khan ne khayanat ka kesa fun dikhaya: Aur maktab nabawiya ki khayanat bhi dekho: Aur phir RasoolAllah ke baad saw bhi nahi likha halanke tehzeer un naas mein likha hai. hussam ul harmain mein tehzeer un naas ka hawala kyun nahin diya? Hawala na dekar apni khayanat ka suboot dediya. Agar un ki niyat saaf hoti to who har fiqray ko alag alag hawale ke sath pesh karte. Is ke baad yeh bhi dekho ke raza khan ke fatwe ki bunyaad is bat par hai ke molana nanotvi sahb ne khatme nabuwwat ka inkar kya hai, lekin tehzeer mein un ke saaf alfaz humein milte hen ke jis mein unhon ne har tarah se khatme nabuwwat ki hifazat ki hai balke tehzeer un naas likhi hi khatme nabuwwat ki hifazat ke liye hai, to us mein inkaar kese hosakta hai. 3 mukhtalif ibaraton ko mukhtalif tarteebon se likhna, beech mein koi gap na dena ke pata chal sake key yeh teen alag ibaraten hen, tarjuma badalna, hawala nahin dena, siyaaq o sabaaq se hat kar ibarat pesh karna, yeh sab kuch bata raha hai aur zahir kar raha hai key yeh ilzam galat hai. aur phir yeh kehna ke wo khatm e nabuwwat ke munkir hen, arey main un ki 10 ibaraten dikha sakta hun jis mein unhon ne khatm e nabuwwat, zamani ho ya zaatti ho ya martabi ho sab ko maana hai. ab kisi ka pesha aur rozi ka zarya hi takfeer ho to hamara kya kasoor. Ab main ap ko aina dikha deta hun: مولوی اشرف علی تھانوی کی حفظ الایمان کی گستاخانہ عبارت اعلیٰ حضرت امام احمد رضا نے جب اپنے دوست مولانا عبدالباری فرنگی محلی کو دکھائی تو انہوں نے فرمایا کہ مجھے تو اس میں کفر نظر نہیں آتا اعلیٰ حضرت نے اک مثال دی پھر بھی انہوں نے نہ مانا اعلیٰ حضرت خاموش ہو گئے اور دوستی ومحبت کو برقرار رکھا۔ انوار مظہ ریہ ص 292 قاضی عبدالنبی کوب لکھتے ہیں : مخالف نقطہ نظر کی طرف سے بھی زیادہ سے ز یادہ بات مولانا کے خلاف یہ کہی جا سکتی ہے کہ انہوں نے علماء دیوبند سے اظہار اختلافات کے لیے نہایت سخت اور تلخ لہجہ اختیار کیا تھا انہوں نے مدرسہ دیوبند کے جید اساطین علم کی بعض عبارات کو کفریہ قرار دیا اور اس فتو ی میں انہوں نے اس شرعی احتیاط و مراعات کوملحوظ نہ رکھا جو ایسے نازک موقع پر ملحوظ رکھنی ناگزیر ہوی ہے۔ مقالات یوم رضا ص 21 مولوی محمد توفیق برکای مصباحی لکھتے ہیں : جتنے بھی اختلاف ہیں وہ بہت معمولی ہیں البتہ علماء دیوبند کی تکفیر کے بارے میں انہوں نے تشدد برتا ہے یہ علیحدہ بات ہے کہ وہ اس میں مخلص نظر آتے ہیں تاہم ان کے نتیجے سے متفق نہیں کہ ان عبارات کی کوئی قابل قبول تاویل نہیں اگرچہ وہ عبارات قابل اعتراض ہیں مگر ان کی نیت پر شبہ اور تکفیر پر اصرار زیادتی ہے۔ خ یابان رضا ص 217 خواجہ قمر الدین صاحب کے استاد حضرت معین الدین اجمیری لکھتے ہیں خلقت آپ کی اس فضیلت سے بے حد نالاں ہے وہ کہتی کہ دنیا میں شاید کسی نے اس قدر کافروں کومسلمان نہیں کیا ہو گا۔ جس قدر اعلیٰ حضرت نے مسلمانون کو کافر بنایا۔ تج لیات انوارالمعین ص 73 مفتی سیدشجاععت علی قادری لکھتے ہیں: حقیقت یہ کہ مولانا کے علمی ذخائر میں تلاش کرناکچھ مشکل نہیں کہ آپ نے کس کس سے اختلاف کیا ہے بلکہ اصل دقت طلب کام یہ ہے کہ وہ کون سا فقیہ ہے۔ جس سے مولانا نے بالکل اختلافات نہ کیا ہو اگرایساکوئی شخص نکل آیا تو یہ اک بڑی تحقیق ہو گی۔ حقائق شرح مسلم ص 170 بریلوی علامہ غلام رسول سعیدی لکھتا ہے: راقم ذیل اک مثال پیش کر رہا ہے جس میں امام احمد رضا نے اکابر صحابہ کرام اور ائمہ مجتہدین امام اعظم ابوحنیفہ امام مالک اور امام احمد بن حنبل رضی اللہ عنہم اجمعین کے موقف سے اختلاف فرمایا ہے۔ حقائق شرح مسلم ص 172 مولانا خلیل احمد خان برکاتی لکھتے ہیں: دو مسئلے اعلیٰ حضرت نے امت مرحومہ کے سامنے ایسے پیش کیے جو ان سے قبل کسی امام، عالم کسی ولی کو نہ سوجھے دونوں مسئلوں کی بناء پر ہندوستان کے مسلمین میں جابجا جھگڑے اور فساد، نا اتفاقیاں، بغض، کینہ، بدگوئی، ایذائے مسلمین و غیبت و بہتان بری طرح پھیلے رب تعالیٰ رحم فرمائے گھر گھر اختلاف بھائی بھائی کاد شمن و مخالف بن گیا۔ وہ دومسئلے جو فاضل بریلوی نے پیش کیے وہ یہ ہیں۔ 1۔ تمام علماء دیوبند تمام علماء مدرسہ قادریہ بدایوں کی تکفیر۔ 2۔ مسئلہ اذان ثانی یعنی جمعہ کی اذان خطبہ کا باہر یعنی مسجد سے خارج ہونا۔ انکشاف حق ص 13 اک جگہ لکھتے ہیں : ان کو قطع و برید و تحریف کا ایسا چسکا پڑ گیا ہے کہ کوئی عبارت کسی کی پوری نقل نہیں فرماتے۔ علماء بدایوں فاضل بریلوی کے لیے صاف صاف بتا رہے ہیں کہ ان کو قطع و برید و تحریف عبارت غیر کا چسکا پڑگیا ہے۔ انکشاف حق ص 36 Ab jahan tak sawal hai barkati sahb ka to wo barelvi hen aur un ke baray bhai aur raza khan ke dost bhi un ke khilaf the, ye parho: Agar phir bhi nahin mante to phir apne ulemaon ka barkari sahb aur un ke bare bhai abdul aziz sahb aur zafaruddin bihari sahb ke khilaf fatwa dikhao. Aur phir in par bhi fatwe lagao:
  8. Post 84 ka jawab: main bhi to yehi keh raha hun ke deobandion ne qadiani ko kafir kaha hai us ke fatwe ap ko dikha sakta hun, molana rasheed ahmed bhi deobandi the, lekin ap koi fatwa to dikhaen raza khan ke ilava jis mein molana qasim nanotvi ko kafir kaha ho? Apne kaha ke ap molana ismail dehelvi ke bare mein dikha sakte hen ke unhon ne musalmano ko laraya, lekin bhai main ne to ap ko ap ke ghar ki shahadat dikhadin, us ka kya jawab hai ap ke pas? Kya qaari ahmed ne aur deegar logon ne galat likha hai? To un ke khilaf fatwa dikhado phir aage bat karo. Ap ne inkar + iqrar ki bat ki to pehli bat yeh hai ke inkar to hai hi nahin, lekin agar bil-farz hai bhi to wo hai ek jaga aur iqraar kayi jaga hai, aur wo bhi inkar ki tuhmat ke jawab mein iqrar hai to insaf yehi hai ke iqrar mana jae. Yahan ghaur kijiye ke munazra e ajeeba mein iqrar tehzeer wale ilzam ke jawab mein hai to baat saaf hogayi. Jab aap iqrar maante hen to yeh kehna ke sheikh nanotvi khatm e nabuwwat ke munkir hen, jhoot hai. Wah janab wah, ap ne “tehzeer un naas meri nazar mein” ka jawab diya hi nahin ke peer sahib sheikh qasim nanotvi ko khatm e nabuwwat ka munkir nahin samajhte, lekin raza khan samajhte hen, to saabit hogaya ke peer sahib molana nanotvi ko kafir nahin kehte aur na hi unhon ne hussam ul harmain ki taeed ki hai, agar taeed ki hoti to un ki ibarat se wohi akhaz karte jo raza khan ne kiya, Wo to ap ki tarah un ko munafiq nahin kehte balke un ke iqraar ko hi maante hen, to ab un ke khilaf fatwa do. main baat samajh hi raha hun jabhi to keh raha hun ke jab ap hussam ul harmain ka fatwa sahih samajhte hen to al-muhind ka kyun nahin? Jawab den. Ap ne kaha ke Fatwe dene walon mein abdul haq sahb bhi the, to bhai aur ulema kya wahan nahin the? Poore aalame islam mein aur haq goo musalman kahan the? Kya wo in sab cheezon se be khabar the? Aur bhai al-muhind harmain shareefain ke sawalon ke jawab mein likhi gayi, jitney sawaal kiye, un ke 2 tok jawabat diye gaye, aur yeh bataya gaya key yeh un ke khilaf ek sazish hai aur jhoot aur iftira hai. Agar tum hussam ul harmain ko mante ho to al-muhind ko bhi maano. Al-muhind ki tasdeeq se hussam ul harmain nakamyab hogayi thi kyun ke al-muhind barah e raast hussam ka jawab thi. Tum phir khulaase pe atke ho, bhai hussam ki tasdeeq mein agar ki shart hai, is mein al-muhind kahan se agayi? Wo to bad ki baat hai, hussam ki tasdeeq hi shartia hai to fatwa to aam hua khas nahin, hussam ki taqreez mein hai ke agar aese aqaid un ke hen to wo kafir hen, lekin aese aqaid hen hi nahin kyun ke al-muhind mein baat saaf hogayi. Al-muhind ki baat to bad mein karo na pehle taqreez mein agar ki shart to dekh lo. Main ne ap ko ap ke ghar ki shahadat di ke raza khan ke bare meinn ap ke log kya kehte hen is ka kya jawab hai ap ke pas? Hussam mein ibaraat ka sahih tarjuma hai hi nahin: Aur dosri bat yeh ke ap ne jo shart banai hai wo galat hai kyun ke hussam mein kufr lagaya gaya hai jabke al-muhind mein us ka jawab hai. Yani ke hussam mein taqreez kufr ke fatwe ki hai lekin al-muhind mein taqreez aqaid ke sahih hone ki hai, is mein farq hai. Yani ke aap mante hen ke raza khan ke dost un ko chor gaye to bhai ab un ke doston pe bhi fatwe lagao, kyun ke hussma mein hai “jo un ke kufr mein shak karey wo bhi kafir hai”. To ab un ke doston ke khilaf fatwa lao phir bat karo. Tum ne kaha ke aam deobandi bekhabar hen, to yeh is ka suboot hai ke raza khan ki takfeeri muhim kamyab nahin hosaki aur us ko is waqt to kaja, un hi ki hayat mein koi nahin janta tha. Sawal kya ke al-muhind mein molana ismail ki takfeer kahan likhi hai? Kya matlab main samjha hi nahi ap ka sawal? main to yeh keh raha hun ke: raza khan ne akabir arbaa ko kafir kaha,theek hai to phir molana ismail pe itne ilzamaat ke bawajud un ko musalman hi samjha aur takfeer nahin ki, kyun? Ap kehte hen ke al-muhind mein jhoot hai lekin ap ke abdul hakeem sharf qadri kehte hen ke al-muhind mein ahle sunnat ke aqaid hen: ab in ke khilaf bhi fatwa lao, aur barelvi aalim Khalil ahmed barkati par bhi fatwa lagao ke un ki kitab "inkeshaf e haq", hussam ul harmain ke radd mein hai.
  9. post 81 ka jawab: ap ne kaha toba ke bad sawal ka matlab nahin rehta, to janab yahan pe baat Hazrat Aisha ki hai, un ki shan mein gustakhi ki hai, ap kyun Is ko halka le rahe hen. Aakhir toba jab hi kyun ki jab zinda rehna azab hogaya, logon ne awaz uthai, is ka saf matlab yeh hai ke mehboob khan ko pata tha ke yeh ashaar gustakhana hen aur wo un ko jaan boojh kar chupa rahe the, aur jab jaan pe ban ayi to jhoot bol dya key eh sher umme zara pe lagey. Ap ne qaseedey ki baat ki, aur ap bat ko taalne ke liye kahan se kahan le gaye. Janab agar wo ashaar raza khan ne umme zara k liye likhe the to un ki zadd to hazrat aisha pe bhi aayi na, us hadees ke hawale se jo main ne pesh ki, is ka kya jawab hai ap ke pas? Is ki toba kon karega? Ap ne kaha ke qadiani ke khilaf molana gangohi sahb ka fatwa dikhaon, to jawab yeh hai ke hum to deobandion ke kayi fatwe dikha sakte hen ke jin mein qadianion ko kafir kaha hai, lekin aap ek fatwa bhi nahin de sakte ke raza khan ke ilava kisi ne Hassam ul harmain ki taeed ki ho aur deobanion ke khilaf fatwe diye hon. Deobandion ne to khul kar qadioanion ke khilaf baaten kin lekin raza khan ke ilava aur kis ne deobanidon ko kafir kaha? Aap ne kaha ke firqay molana ismail ne banaye lekin raza khan ke sawaneh nigar qaari ahmed likhte hen ke "raza khan 50 saal isi koshish mein rahe yahan tak ke 2 firqay qaim hogaye, barelvi aur deobandi". (sawaneh alahazrat pg8) Ap ne kaha ke ap ne inak + iqrar ko munafiqat kaha lekin aap khud sochen ke inkaar hai kahan? Main ne aap ko itne saare hawale diye khud tehzeer un naas mein se jis mein khule taur pe iqrar hi iqrar hai, lekin aap asaan ibarat ko maanne ke bajae, mushkil ibarat mein un ke inkaar ko hi dhoond rahe hen, kuch to insaf kijiye. Musannif khud khullam kulla keh raha hai ke yeh hamare upper ilzam aur iftira hai jhoot hai hamare aese aqaid nahin hen (dekhiye al-muhind, munazrae ajeeba), hum to aesa mane wale ko kaafir jante hen, hum nabuwwat ko apna deen aur emaan maante hen. Ab in baton ke baad aap phir wohi mushkil ibarat ko pakar kar bethe hen, yeh kahan ka insaaf hai? Khudaara khudaara mere bhayion aesa nahin karo, takfeer chor do, un ke iqraar ko tasleem karlo warna qayamat mein ruswa hojaoge, khuda ke waste ab bhi waqt hai soch lo medaan e hasher mein kya hisaab dogay? peer karam ali shah ka moaqaf kya tha aap bhi parhen: peer karam ali shah "zia ul quran" mein likhte hen ke deen ke usooli masail mein jese tauheed, risalat aur khatme nabuwwat wagera mein donon mein kulli ittefaq hai. ap ne al-muhind ka hawala diya ke aur us mein al-muhind ka mayaar bataya, is jawab yeh hai ke al-muhind Hassam ul harmain ka hi jawab hai, Hassam ul harmain mein jo jo ilzamaat hen un ke jawabaat diye gaye hen aur un par tasdeeqaat hen, agar bil-farz Hassam ul harmain ka fatwa ap jaiz samajhte hen to al-muhind ka kyun nahin? aur main sabit karchuka hun ke khud raza khan ke mutabiq fatwa lene ka tariqa yeh nahin hai to bas hassam ul harmain ki dhajjian to usi waqt ur chuki hen. ulema harmain ne "agar" ki shart lagai aur likha ke "yeh hukum un logon ka hai ke agar un se yeh baaten saabit hon". jab ulema e harmain ko wo ibraten dekhne ka moqa hi nahin mila to phir yeh fatwa kis kaam ka, yeh fatwa to un ke liye hai jin ki aesi ibaraten hun, ulema deoband ki aesi ibaraten hen hi nahin, aur na hi kisi fatwe mein ulema e harmain ne kaha ke ulema e deoband kaafir hen. kayi ulemaon ne apne bayan me bhi yehi shart rakhi. kisi aalim ne bhi ye nahin kaha ke hum ne ulema deoband ki in ibaraton ko dekha hai aur un ko wese hi paya hai jese ke raza khan barelvi ne paya. sheikh taufeeq shabli ki taqreez is sari saazish pe paani bahadeti hai kon se ulema hen jinhon ne hassam ul harmain ki taeed likhi? taeed to door ki baat, raza khan barelvi ko to koi janta bhi nahin hai: isi takfeer ki waja se un ki position kya hai wo ap khud hi dekh len. aj kon sa barelvi hai jo in fatwon pe amal karta ho: aur suno, hassam ul harmain ke jawab mein al-muhind likhi gayi jis mein ilzamaat ke jawabaat aur ahle sunnat ka sahih aqeeda diya gaya. al-muhind ke chapne ke baad bhi raza khan 12 saal tak zinda rahe lekin unhon ne al-muhind ka jawab nahin diya yahan tak ke un ke saathiyon ne yeh samajh lya ke aap ne apne fatwe wapis leliye hen aur toba karli hai. to aakhir unhon ne jawab kyun nahin diya is ka? aur, agar hassam ul harmain ke fatwe sahih hen to raza khan barelvi ne molana ismail shaheed ko kaafir kyun nahin kaha bawajood is ke ke un par ilzamon ki bochaar laga di, kya waja thi ke un ke bare mein aesa likha ke "un ko kafir na kahen, yeh sahih hai aur isi mein istiqamat hai". saeedi sahb, raza khan ne hassam ul harmain mein jo ibarat likhi hai, wo musalsal ibarat tehzeer un naas mein kahin bhi nahin hai. Aur jee han al-muhind mein 26 sawalon ke jawabat, Hassam ul harmain ke aetrazaat ke jawab the.
  10. pehli bat to yeh ke yahan filhal tashreeh ki bat nahin horahi. main ne yeh saabit kardya hai ke molana nanotvi sahb ne koi aesi bat nahin ki ke un pe yeh ilzam lagaya jae. ap ko jab jawab mil jata hai to ap uchal kar agli bat shuru kardete hen. lekin yeh chaalen yahan nahin chalengi.
  11. madinah ke mufti ahmed barzanji ke risalay "ghayat ul mamool" mein un ulemaon ki tasdeeq hai aur dosri bat ye keh jab al-muhind chapi, us ke baad se raza khan barelvi ne is jawab nahin diya, wo khamosh hogaye, un ki koi bhi tasneef is ke jawab mein nahin hai, goya ke unhon ne apne takfeeri fatwe wapis leliye aur toba karli. lekin barelvion ne yeh ilzamaat jari rakhe.
  12. post 77 ka jawab; ap mujhe sabot den ke munafiq aur kafir, donon kafir hote hen. ap ne kaha ke mehboob khan ne proof reading ki galati ki thi, to kya yeh galati un ko jab hi nazar ayi jab un ashaar ke upper awaz uthi? pehle ye galati kyun nazar nahin aayi? aur umme zara wali hadees ka kya jawab hai ap ke pas? agar bil farz yeh maan bhi len ke raza khan ne wo ashaar umme zara ke liye likhe the to bhi hazrat Aisha pe us ke asraat jaate hen, baat wahin ki wahin hai. ap ne worldwide takfeer ki baat ki, lekin ap ka jawab wahin ka wahin khara hai, zara bhi aagey nahin barha. fatwe diye hote to ap ke pas bhi zarur hote, ap sirf naqqaali karsakte hen aur naqal karke peeche chup jaate hen, himmat hai to khud saamne aakar wo fatwe dikhao, takfeer o tazleel dikhao aakhir kahan hai? agar hoti to raza khan zaroor us ka hawala dete, deobandion ko badnaam karne ka moqa mile aur wo hath se jaanen den aesa kahan mumkin tha? raza khan ne 50 saal mehnat ki yahan tak ke 2 firqay bana hi daale. raza khan ne un fatwon ka aur us takfeer ka sahara kyun nahin lya? yehi saboot hai ke koi takfeer thi hi nahin. aap ka molana nanotvi ke izhar ko munafiqat kehna na insafi hai, aetraf ek, do jaga nahin kayi dafa hai phir bhi na manna kahan ka insaf hai? aap ne kaha ke peer sahb ne is khat par nidamat ki hai, to mujhe pesh Karen is ka hawala. aur jee han wo tasdeeqat kam hen, baqi ulema kahan gaye the? kya raza khan to itni hi tasdeeqa milin thin? aur wo tasdeeqat ko ghaur se parho, un mein "agar" ki shart hai, zada tar tasdeeqat aesi hen ke jin mein yeh shart lagai gayi hai ke agar un ke aqaid aese saabit hogaye to wo kaafir hen, lekin aj tak saabit hi nahin hue hen, to is "agar" ki shart se poori hassam ul harmain bekaar hojati hai. aur phir kya waja hai ke kisi ne bhi tayeed nahin likhi? ham maslak logon ne tak nahin likhin to baqi kya likhte? aur phir baad mein "al-muhind" mein un ulemaon ne jinhon ne Hassam ul harmain me taqreez likhi thi, apna fatwa wapis liya, aur al-muhind parho aur us mein tasdeeqat parho, yeh mazeed bat ko saaf kardeti hai. raza khan jab Hindustan wapis aaye to 2 saal kyun chup rahe? 2 saal tak koi takfeer nahin ki deoband ki, kahan chale gaye the? is ki waja yehi hai ke wo harmain se buri tarah nakaam hokar lote the, wahan wo gaye to deoband ke aqeede le kar, lekin ulta lene ke dene par gaye aur harmain ne khud un se un ke aqeede ki chaan been shuru ki aur jab un ko galat paaya to un ko foran nikal jaane ko kaha wapis Hindustan. jab al-muhind chapi to raza khan ne koi jawab kyun nahin dya? is ka radd kyun nahin likha? yeh kayi saari cheezen hen jo saaf bata rahi hen ke Hassam ul harmain to un hi ke zamane mein radd kardi gayi thi, ek ke bad ek kitab ne us ko kahin ka nahin chora. ap ne kaha ibarat ke sahih tarjume pesh kye raza khan ne, main ap se pochta hun, zara insaf se kaam lo, kya tehzeer un naas ki 3 ibaraton ko ek hi musalsal ibarat banana aur us mein apna lafz daakhil kar ke apni pasand ka lafz nikalna kahan ka insaf hai? jin ibaraton pe harmain ne fatwa diya wo raza khan ki tori marori hui ibaraten hen asal ibaraat nahin, to fatwa kahan ka? ap na kaha ke al-muhind se kese ruju kya harmain ne? to jawab yeh hai ke agar ruju nahin kya to ulema deoband ko 16 sawaalaat kis ne bheje? harmain ko apni galati ka ehsaas hua aur deoband mein yeh sawaalat bheje aur jawab aane par un ko ahle sunnat hi samjha jesa ke pehle samajhte the. aap ne kaha ke ye usool waha hota hai jahan harmain ke hokum ko maana jaye, to janab pehle bhi maante the kis ne kaha nahin maante the? ye ilzamlaga kar aap patli rah se faraar hona chahte hen lekin nahin hum faraar nahin hone denge, raza khan ne jo usool likhe hen fatwa lene ke wo usool Hassam ul harmain par bhi naafiz hote hen, to raza khan ke hi usoolon se un ki hassamm ul harmain tabah o barbaad hojati hai. ap ne kahan ke main ne subhan us subooh se daleel de kar sheikh nanotvi ke kufr ko maan liya hai to jawab yeh hai ke, phir to aap ne bhi maan liye ke meri daleel waqai sahih hai, aur na aap ne us ka koi jawab likha. Allah Pak ne batil ke jhoot ko baatil se hi kehelwaya aur haq zahir karwadya, raza khan ne apne hi hathon apni mehnat barbaad karli, waqai Allah Pak ne sach farmaya Quran mein: اور وہ چال چلے اور خدا بھی چال چلا اور خدا خوب چال چلنے والا ہے
  13. post # 52 mein jawab de chuka hun, khud parh len,halanke wahan main ne doosri dafa samjhaya hai aap ko phir bhi ap ki ek hi ratt hai ke jawab nahin dya. mera wo post ghaur se parhen aur toba Karen. aur us ke saath saath post 69 bhi dekhen, tamam sawalon ka jawab mil jaega, main ne apni baat saabit karchuka hun.
  14. janab moderator sahb, mere saare sawalaat ke jawab post # 69 par dekh len. Allah Pak ap ko samajhne ki taufeeq de, Ameen! ap ne mera post move kardya, chalen koi bat nahin radd yahan karun ya wahan bat to ek hi hai. haq chup to nahin sakta, han albatta koi agar nazar andaz kare to wo alag bat hai.
  15. main ap ke saamne ek aur muqadma rakh raha hun, mujhe yaqeen hai ke InshaAllah meri mehnat kaam aaegi aur baat ap ke samajh mein aajaegi. Allah ke naam se jo bara meherbaan nihayat rehem wala hai: molana nanotvi ne tehzeer un naas mein kayi dafa aqeeda e khatme nabuwwat zamani ka izhaar kya hai. 1. page # 6 par farmaate hen : - ke Ap pe silsila e nabuwwat khatam hojata hai aur aap jese nabi ul ummat hen wese hi nabi ul ambia bhi hen. - ek hadees ki wazahat mein likhte hen ke hazrat moosa bhi agar zinda hote to ap ki hi ittiba karte, aur hazrat eesa bhi baad mein aakar ap ki hi shariat par amal karenge. page # 6 ka aks ye raha: 2. Page # 10 par molana nanotvi sahb likhte hen: - jab ap ki siffat mausoof bizzaat hai aur doosre ambia mausoof bil-arz aur sab ke uloom bhi aap ko ata hue to laazim aata hai ke aap ko aakhri zamane mein hi bheja jata. to yahan molana nanotvi ne khatmiat e zamani ko saabit kya hai aur bari shaan se dalail ke saath saabit kya hai, to wo is ko kamtar kese samajh sakte hen. page # 10 ka aks ye raha: 3. page # 13 pe farmaate hen: - (yaha par "Laa Nabi Baadi" wali hadees ko naqal karke likhte hen ke) khatmiat e zamani zaroor saabit hai aur yeh hadees is ko saabit karne ke liye kaafi hai kyun ke yeh mazmoon darja e tawatur ko pauhanch gaya hai jese namaz ki rakaaton par hai aur phir is par ijmaa munaqid hogaya to is ka munkir kaafir hoga ... (phir aage likhte hen ke) … to khatmiat bhi bowaja ehsan saabit hoti hai aur khatmiat e zamani bhi haath se nahin jaati. page # 13 ka aks ye raha: yahan par yeh baat wazeh taur par saabit hai ke sheikh molana nanotvi sahb khatmiat e zamani ko (jesa ke munazra e ajeeba mein bhi kaha) apna deen aur emaan maante hen aur "Laa Nabi Baadi" wali hadees ko is mazmoon mein kaafi maante hen. yahan aakar baat ek dum saaf hojaati hai. baat agar phir bhi samajh nahi aati to phir main barelvion ke ghar ki gawaahi pesh kardeta hun: peer karam shah apne ek khat mein likhte hen: "hazrat qasim ul uloom (RH) ki tehzeer un naas ko mutaadid baar ghaur o taamul ke saath parha aur har baar naya lutf o saroor haasil hua ..." un ke khat ka aks ye raha: ab main ap ke samne ulema harmain se liye hue fatwe ki baat karta hun. mazeed ye ke raza khan aur un ke hindustani saatiyon ne sirf 37 ulema se tasdeeq karai (jo koi bari taadaad nahin) aur un mein wahan rehne wale kuch hindustani bhi the. to is se yeh saabit hua ke yeh poore ulema e arab ki shahadat na thi. ye barelvion ka jhoot hai raza khan ne tor maror ke jo ibaraten pesh ki un par 30 ulema e karam ne taqreez likhne se saaf inkar kardya jin ke naam aur martabey kitab "Ashahab us Saaqib" mein likhe hen. 7 ulemaon ne yeh shart lagai ke agar waqai yeh aqaid saabit hojaen to yaqeenan yeh kufr hoga aur phir is shart ke baad hi taqreez likhi (aur aj tak yeh aqaid saabit nahin hosake hen). yeh 7 taqreezen bimaa shart "hassam ul harmain" mein darj hen parh sakte hen. doosri baat ye ke raza khan ne jo ibaraten pesh ki thin wo asal ibaraten thin hi nahin, un ko tor maror ke pesh kya, to is ka matlab yeh hua ke jin ulemaon ne fatwe dye wo raza khan ki galat ibaraton par diye, asal ibaraton par nahin to zahir hai yeh fatwa kese sahih hosakta hai. kuch arse baad ulema harmain ko ehsaas hua aur deoband ke aqaid ki chaan been hui, ye parhen: ab main yeh sawaal uthata hun ke kya raza khan ne jo fatwa ulema harmain se lya, kya wo insaaf ki bunyaad pe tha, kya fatwa aese hi lena chahiye tha? is ka jawab khud raza khan ke qalam se Allah Pak ne likhwadya aur haq ko zahir karwadiya, ye parhen:
  16. tum ne yeh kaha ke qasim nanotvi sahb pe takfeer hui wo khud likhte hen, lekin aakhir tumhare akabir kya yehi keh kar peeche hat jaenge? yeh to jan churane wali bat hui jo har nakami admi karta hai, agar takfeer hui to kahan hen fatwe? kahin nahin hen, is ka matlab yehi hua ke qasim nanotvi sahb ikhtilaf ki bat kar rahe honge ke kuch logon ne un ki bat se ittifaq nahin kya bas aagey aur kuch nahin. agar fatwe hen to dikhao, ek hi baat keh kar jaan na churao.
  17. post # 66 ka jawab aap ne kaha kafir aur munafiq, donon kafir hote hen, sabot pesh Karen. baqi hadaiq bakhshish ke bare mein ap khud hi parh lijiye aur haqeeqat se moon nahin moriye, main yahan pe mutalai barelviat volume 2 se kuch pages pesh kar raha hun:
  18. hum yahan deobandi akabir ki ibaraat ke bare mein baat kar rahe hen, un par jo ilzaam lagey wo Hassam ul harmain mein lagey. to yahan Hassam ul harmain ki baat karna topic ka hissa hai. aap jitna chahen mujhe topic se idhar udhar karne ki lekin main topic par hi ra rahunga aur apne jawabat deta rahunga, mujhe yeh chaalen achi tarah pata hen janab.
  19. main ne jo baat kahi wo topic ke related hai aur bilkul related hai, meri baat wo waja hai jis ki badulat Hassam ul harmain likhi gayi hai. aap ko baat is liye buri lag rahi hai ke sach karwa hota hai. آپ کی وہ ایک لائن جواب نہیں بلکہ جواب سے فرار کی ناکام کوشش ہے۔ اگر آپ واقعی سچے ہیں تو پھر نمبروار طریقے سے ایک ایک کرکے جس طرح سوال کئے گئے ہیں اسی طرح ایک ایک کرکے بھلے ایک ہی لائن کا جواب دے دیجیئے۔ اس میں آخر کون سی ایسی آفت آن پڑی ہے کہ ۱۵ سوالوں کے ایک ایک لائن کے ۱۵ جواب دینے میں آپ کی جان جارہی ہے۔ number waar jawab dene ki zaroorat hoti to zaroor deta lekin mujhe zaroorat hi nahin hai. un ke har sawaal ka ek hi jawab hai to alag alag de kar main kyun apna time waste Karun. اول تو اس غلط فہمی کو دور کردیں کہ آپ مناظرہ کررہے ہیں یا مناظر کہلانے کے اہل بھی ہیں۔ اگر خود کو واقعی مناظر سمجھتے ہیں تو ذرا اصولِ مناظرہ ہی لکھ دیجیئے۔ یہاں آپ دونوں حضرات مباحثہ کررہے ہیں۔ بہانے اگر بنانے ہوتے یا آپ کو بین کرنا ہوتا تو وہ تو ہم بغیر وارننگ دیئے کردیتے اور آپ کو یہاں اس طرح رونے کا موقع بھی نہیں مل پاتا۔ ہم صرف آپ کو منتبہ کررہے ہیں کہ مباحثہ کو غیرمتعلقہ موضوعات سے الجھانے کی بجائے اصل موضوع تک محدود رہ کر گفتگو کریں۔ aage aage dekhiye kon rota hai aur kon hansta hai.
  20. saeedi sahb ke post # 61 ka jawab: aap phir se wohi ek hi baat duhra rahe hen aur mere pas phir wohi jawab hai to main de chukka hun pehle. aap ne kaha ke zikr to mutalliqa agar ek kafir hai to dosra munafiq kyun nahin to mera jawab ye hai ke ap yahan sheikh nanotvi ko munafiq keh rahe hen, lekin ap to unhen kaafir maante hen?to yeh ap ki bat mein tazaad kyun?? [Content removed] aap ne kaha ke main aap ke sawaal ka jawab nahin de raha. janab main jawab de chukka hun ap zidd pe arey hain to main kya karoon. aap ne kaha ke agar bil-farz kisi ulema ne fatwa na dya ho to main ap ko islami maaney dun, to janab kya yeh islami maaney sirf aap ki hi aqal mein aaye hen? kya yeh islami maaney dekhne waale pehle paida nahin hue? kya un ko Urdu nahin aati thi? aakhir kya waja hai ke unhon ne fatwe jaari nahin kye? baat phir waheen khari hai jo main pehle bhi keh chukka hun ke fatwa sirf raza khan ne lagaya aur wo koi aalim nahin the.
  21. aap ke post # 56 ka jawab: mirzai to yeh kehte hen ke ghulam ahmed qadiani nabi hai, wo to saaf saaf inkar e khatme nabuwwat kar rahe hen aur isi waja se kaafir hen. lekin sheikh nanotvi ne to khatm e nabuwwat ko apna deen aur emaan mana hai. yahan pe mirzaion ka zikr lana topic se hatna hai hum is waqt mirzaion ki baat nahin kar rahe hen. aap ne kaha ke ek jaga shaan na maanna aur wohi baat doosri jaga manna kufr nahin hai, to jawab yeh hai ke yeh to do opposite baaten hogayin, in mein se ek baat sahih hosakti hai, yaa top aap kahen ke maana ya kahen nahin maana, yeh kehna ke jahan maana hai wahan un ka aetbaar nahin kya jasakta siwae jhoot ke kuch nahin hai. ap khud hi confuse horahe hen. aap ne jo hissa munazre mein pesh kya hai main ne us ka tarjuma ap se maanga hai, to aap hi den main kisi aur se kyun karwaon? aap ne ibarat pesh ki hai to tarjuma dena bhi ap ka hi farz hai kisi aur ka nahin. ap ne jo ibarat pesh ki wo mere samajh mein nahin aarahi hai main kese ap ko jawab dun? aap ne kaha ke ap ne sheikh nanotvi aur maulana thanvi sahb ka bayan naqal kardya hai baqi ap unhi se poochen to janab kya ap ke log aur ap ke ulema kya hindustan ke kisi bhi ulema ko nahin jaante jis ne sheikh nanotvi ko kaafir kaha ho? agar sheikh nanotvi ne baqol aap ke kufriya ibarat kahi hen to kya poore aalame islam mein koi bhi sacha musalman nahin tha ke unhon ne sheikh nanotvi ki ibarat ko parha ho aur kaafir kaha ho siwae ap ke raza khan barelvi ke? ap na post # 56 mein kaha ke 30-35 saal pehle jin ulema ne takfeer o tazleel ki to ap hi bataen wo kon se ulema hen aur un ke fatwe pesh karen. hum mulzim ke saathi hen mujrim ke nahin. agar jurm hai to jao court mein apna bayan le kar aur sheikh nanotvi ko kaafir qaraar karwalo agar sache ho to. jo bhi baat mainne kahi hai wo hassam ul harmain ke hawale se hi kahi hai, koi alag baat shuru nahin ki. sheikh nanotvi pe kufr ka ilzam hassam ul harmain mein hai, to main ne yeh pocha tha ke aur kon kon se ulema hen jinhon ne sheikh nanotvi ko kaafir kaha? meri baat bilkul topic par hai, wo baat alag hai ke is baat ka ap logon ke pas koi jawab nahin to is ko nazar andaz karne ke liye delete kardoge. saeedi sahb ne jo mirzaion ka topic nikala wo bhi to alag baat hai us se bhi un ko roko. نانوتوی کی تحذیرالناس کے متعلق آپ کا موقف یہ ہے کہ انہوں نے مناظرہ عجیبیہ میں اپنے موقف کی توجیح پیش کردی لہذا ان پر کفر ثابت نہیں۔ اس کے جواب میں سعیدی صاحب نے آپ دیوبندیوں کے ہی مسلم عالم دربھنگی کے حوالے سے اس ضمن میں ایک اصول پیش کردیا۔ اب اپنے ہی عالم کے اس اصول کو مدِنظر رکھتے ہوئے تحذیرالناس کے کفر کا رد پیش کریں۔ ورنہ آپ جیسے غیرمستند دیوبندی کے اصول پر دربھنگی کے اصول کو فوقیت حاصل ہے اور اسے ہی مانا جائےگا۔ main us hawale ka jawab de chuka hon ke mirzaion ki baat aur hai wo to aelania kehte hen ke ghulam ahmed qadiani nabi hai. is ka is bat se koi talluq nahin. سعیدی صاحب کے 15 سوالات جنہیں آپ ایک ہی طرح کا قرار دے رہے ہیں برائےکرم ان کا جواب دیں۔ چاہے ایک ہی طرح دیں، لیکن نمبروار طریقے سے دیں تاکہ دیگر حضرات بھی آپ کا جواب پڑھ کر آپ کا موقف سمجھ سکیں۔ اب اگر آپ نے اگلی پوسٹ میں پھر ان سوالات سے منہ چھپانے کی کوشش کی تو افسوس کے ساتھ اس بحث کو یہیں ختم کردیا جائے گا۔ main ne ek line ka jwab dediya hai, ab wo apni zidd pe arey hen to main kya karun. un ke 15 sawaal ek hi tarah ke hen jin ka jawab bhi ek hi hai aur wo bhi sirf ek line ka jo main dechuka hun. dosri baat ye ke main ne bhi un se un ulemaon ke naam aur fatwe maange hen jinhon ne sheikh nanotvi ko kaafir qarar dya, un se is ka jawab bhi maangen. munazra khatam karna hai to wese hi haar maan lo, bahaane bana kar aur mere jawabon ko out of context keh kar mujhe nikalne ki koshish bekaar hai, main akela ap ke forum pe hun, aap sab saath ho, himmat hai daleri hai to meri baaton ka jawab do, agar banned karna hai, topic delete karna hai to kardo mujhe koi farq nahin parta. tum haq ko nazar andaz karsakte ho daba nahin sakte. toheedi bhai ke post 58 ka jawab: ap ghaur se parhen to sheikh nanotvi un muftian e karam ke bayan ko tauhmat hi maante hen aur kuch nahin, wo apni safai pesh kar rahe hen aur jis page ka ap ne scan dya us ke aakhri mein (1#) hashia bhi parh len jawab mil jaega. dosri baat yeh ke aakhir wo kon se muftian e delhi hen jinhon ne takfeer o tazleel ki? us ki tafseel kya nahin hai aap logon ke paas? agar hai to pesh karen, nahin hai to sirf sheikh nanotvi ki is ibarat ko bar bar pesh karne se ap ki baat poori nahin hoti.
  22. tum kehte ho ke sheikh nanotvi sahb ne kufr kya hai ke RasoolAllah (peace be upon him) ko aakhri nabi nahin maana, kyun jhoot bolte ho? Kya munazra e ajeeba mein unhon ne is ko apna deen aur emaan nahin maana hai? Aur jab unhon ne khatmiat e zamani ko apna deen aur emaan mana hai to phir un ko kaafir kehna kahan ka insaf hai? Aur tum ne jo maktoobat e qasim ke hawale mein jo ibarat pesh ki hai, wo poori ibarat pesh karo aur us ibarat ka tarjuma bhi to do. Aur mera sawaal to wahin ka wahin khara hai, main ne poch tha ke mujhe wo ulema batao jinhon ne sheikh nanotvi ko kaafir qaraar dya, un ke naam batao aur un ke fatwe dikhao, tum to ulta nanotvi sahb ki hi ibarat pesh kar rahe ho aur baat ko ghuma rahe ho. Agar tehzeer un naas ki ibarat itni hi saaf thi to Hindustan aur poore aalam e islam mein kin kin ne fatwa dya zara batao to sahih? Halanke asal baat yeh hai ke raza khan barelvi ne aesa jhoot bola ke kisi ne un ka saath tak nahin dya aur un ki is takfeer ka hissa banne se saaf inkaar kardya. Raza khan ne harmain shareefain se galat fatwa le to lya lekin bad mein harmain shareefain se wo fatwa wapis hogaya aur ulema e deoband se tasdeeq hone ke baad harmain shareefain ne phir raza khan ki chaal samajh li. Utho aur haqeeqat ko jaano,haqeeqat yeh hai ke raza khan barelvi ne ulema e Hindustan aur deegar ulemaon ko kayi khat likhe aur apna saath maanga lekin un ulemaon ne raza khan ko saaf mana kardya aur ulema e deoband ko ahle sunnat hi samjha, to kya wo ulema galat the aur tum sahih ho? Aur tum ne jo ek hi tarah ke 15 sawaal kye hen, un ka jawab to ek line ka hi hai aur wo yeh hai: Tehzeer un naas mein sheikh nanotvi ne khatmiat e zamani ka inkaar nahin kya aur is ka saboot yeh hai ke unhon ne tehzeer un naas ki hi sharah munazra e ajeeba mein khatmiate zamani ko apna deen aur apna emaan maana hai aur is ke inkaar karne waale ko kafir kaha hai. Un ki is taujeeh se baat saaf hogayi lekin raza khan ko ehle sunnat ke 2 tukre karne ke liye angrezon se hukum mila tha aur unhon ne apni agent ki job bharpoor ada ki lekin afsos wo nakaam hogaye aur ilzam aj tak ilzam hi hai jurm aaj tak saabit nahin hua.
  23. aaye main app ko phir se samjhaane ki koshish karta hun, halanke main samjha chukka hun lekin shayad aap samajhna hi nahin chahte kher main to apna farz poora Karun phir aap jaanen ap ke emaal:<o:p></o:p> sheikh nanotvi sahb ka maqsad yeh hai ke agar awam khatim ke sirf ye hi maana len ke RasoolAllah (peace be upon him) Allah Pak ke aakhri nabi hen (yani khatmiat e zamani) to aesa nahin hai, kyun ke khatim ke maana khatmiat e zamani ke saath saath khatmiat e martabi bhi hai aur fazilat khatmiat e martabi mein hai khatmiat e zamani mein nahin wo is liye kyun ke phir us mein RasoolAllah (peace be upon him) ki bazaat kuch fazilat nahin nikalti.<o:p></o:p> <o:p> </o:p> ab yahan par jo baat samajhne ki hai wo yeh hai ke sheikh nanotvi ne awam ka khayal yeh bataya hai ke wo khatim se muraad sirf khatmiat e zamani ke lete hen, to yahan hasar karne ko awam ka khayal bataya hai. awam yahan khatim ke lafz ko literally lelete hen ke is ka matlab sirf aur sirf aakhri nabi ke hen halanke is mein khatmiat e martabi bhi chupi hai jo awam ko tehzeer un naas se pata chali.<o:p></o:p> <o:p> </o:p> ab agar koi yeh kahe ke nahin nanotvi sahb ki ibarat mein hasar nahin hai to is ka jawab ye hai ke agar hasar nahin hai to phir aap yeh bhi maanen ke sheikh nanotvi ne (nauzubillah)inkar e khatme nabuwwat kya hai. lekin aap yeh bhi nahin keh sakte kyun ne Munazra e Ajeebah mein kayi jaga pe nanotvi sahb ne khatme nabuwwat ka iqrar kya hai aur usay apna deen aur emaan maana hai.<o:p></o:p> <o:p> </o:p> Munazra e Ajeeba koi alag kitab nahin balke tehzeer un naas ki hi sharah hai aur usi ke mutaalliq sawalat ke jawabat hen.<o:p></o:p> <o:p> </o:p> Aap ne kaha ke sheikh nanotvi sahb ne munafiqana iqrar kya hai to aap ke pas kya sabot hai is bat ka? Agar saboot tehzeer un naas wali ibadat hai to ape k circle mein hi ghomte rahiyye aur bar bar ek hi baat duhraate rahiyye, bad mein khud musannif sahb ne jo munazra e ajeeba likhi hai wo bhi to dekhen us pe bhi to nazar Karen, aur un ke wahan khatmiat e zamani ke iqrar ko munafiqana kehna ek sufaid jhoot ke ilava kuch nahin.<o:p></o:p> <o:p> </o:p> Dosri baat yeh ke aap ne phir mere sawal ko gol kardya, chalen phir se pochta hun bauhat hi asan alfazon mein:<o:p></o:p> <o:p> </o:p> Kya sheikh nanotvi sahb ki tehzeer un naas wali ibarat sirf raza khan barelvi ko hi nazar aayi thi? Un ke ilava aur kon kon se ulema the jinhon ne sheikh nanotvi ko kaafir qaraar dya?<o:p></o:p> <o:p> </o:p> Mere aakhri post ka jawab to aap ne dya hi nahin.<o:p></o:p> <o:p> </o:p> Aur ab bhi agar mere jawab dene mein koi kasar reh gayi hai to zaroor aakhri had tak samjhayi jaegi InshaAllah.<o:p></o:p>
  24. aap ek hi ibarat ko pakar kar beth gaye hen, munzra e ajeebah ka aap ne abhi tak koi jawab nahin dya hai. na aap ne is ka jawab dya ke kin ulemaon ne sheikh nanotvi ko kaafir kaha. agar kisi ne kaafir kaha to wo the raza khan barelvi jo na to ulema the na hi un ko koi jaanta tha, unhon ne hele aur bahane bana kar, harmain shareefain ko dhoka aur jhoot bol kar, roo peet kar apni baat manwayi, lekin baad mein harmain shareefain ne tasdeeq ki aur ulema deoband se sawaalat kye to un ke jawaabat sun kar apna fatwa wapis leliya. kya sirf raza khan ko hi deobani akabir par kufr nazar aaya aur kisi ko nahin? aur phir poora aalam e islam raza khan ke saath na tha, ulema deoband pe ilzaam ilzaam hi raha us waqt bhi aur aaj bhi sirf ilzaam hi hai jurm saabit na hua na hoga.
×
×
  • Create New...