Kya koe bata sakta hai ke hazrat imam Hussain RadiAllahu Anhu ki kitni sahabzaadiya theen? Mei ne search kya tu kafi confusing jawab milay. Sakina, Sukaina, Ruqayya, Fatima tul-Kubra, Fatima tu-Sugha, kafi naam milay lekin kahi per sahabzaadiyo ki tadad 2 hai kahi per 3. Iss baray mein tafseel chahiye aur ye bhi ke kaun si sahabzaadi Karbala mein saath thi. Aur Hazrat Imam Hussain RadiAllahu Anhu ki kis sahabzadi ka nikkah Hazrat Qasim RadiAllahu Anhu se hona tay paya tha. Meherbaani farma kar iss ka tehkeeki jawab dijiye aur hawalo ke saath ho tu aur bhi asaani ho jaye gi.
JazakAllah