Jump to content

MuhammedAli

اراکین
  • کل پوسٹس

    1,568
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    112

سب کچھ MuhammedAli نے پوسٹ کیا

  1. As salamu alayqum wr wb, Jee Toheedi baee mujjay ilm thah kay aap aur Toheedi baee nay maqool jawab arz keeyeh hen magar keun kay Mustafvi baee aur meray darmiyaan joh discussion ho rahi thee wo step by step agay barh rahi thee aur logically us manzil per pounchi thee jis ka motaram Saeedi baee pehlay zikr ker chukay hen toh is leyeh us wazahat ko shamil ker deeya. Allah ta'ala aap aur Saeedi baee kay ilm o amal o imaan meh barkat deh, apni duahoon meh yaad rakhyeh ga. Toheedi baee meh nahin samajta kay Mustafvi baee firqa wariat meh mukhalfat ker rahay hen. Meh khud Wahhabi thah aur phir Deobandi huwa aur meh nay be Ahle Sunnat kee bot'h mukhalfat kee, behas kee, magar is yaqeen kay saath kay mera Deobandi firqa sacha heh. Aur meh nahin maan sakta kay kohi musalman haq ko pechaan ker qabool nah keray. Baat brand new takhti wali heh jis per joh kuch pehlay likha jahay agar kohi us ko dohna be chahay toh joh pehli likhaee hoti heh us kay donay kay baad be nashanaat reh jatay hen. Yeh hamaray Mustafvi baee apnay ilm kay mutabiq joh kuch in'noon nay pera, aur joh kuch in ko bataya gaya us per qahim hen aur agar inoon nay kissi sunni say wazahat be talb kee ho toh hamaray Sunni ahbab aap ko be pata heh kay kitnay ilmi kabiliyat walay hen. Jis waja say in ko maqool jawabat nah millay hoon gay aur yeh abh Deobandiyoon aur Wahhabiyoon kee perahi huwi pattee per pakkay ho gahay hen. Agar yeh hamaray baee jistera khaloos e dil say discuss ker rahay hen aur kertay rahay toh joh inshallah yeh haq ko qabool ker lenh gay. Meh khud un logoon ko mushrik manta thah joh RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam kay mutaliq yeh aqeeda rakhtay thay kay aap hadhir nadhir hen aur bot debates keen forums per aur Sunni dalahil detay rahay magar meh un ka rad kerta raha. Magar aakhar meh jab quwwat e hafza bari aur Sunniyoon kay dalahil be samajnay laga aur ilm meh barkat huwi toh khud beghair kissi kay batahay huway meh nay Hadhir Nadhir kay dalahil ko samja aur joh shubat aur ashkalat thay khud door ker deeyeh. Ek insaan joh kuffr o Shirk ko sari zindgi difa kerta raha ho munazray kerta raha ho woh ek hee discussion meh apnay aqeedeh ko choray ga nahin, aur agar chor be deh toh yaqeenan us kay dil meh hidayat ka beejh pehlay boya gaya thah joh us waqt darakht bana. Insha'allah hamaray yeh baee toh ek hee discussion meh qahil to shahid nah hoon magar ba fazl e ta'ala haq ka beejh boya gaya heh joh insha'allah ek din mazboot kamil aeedeh aur imaan wala darakht banay ga aur inshallah yeh baee Sunni hoon gay. Mera Mustafvi baee kay baray meh husn e zan heh kay yeh khaloos e dil say tehqeeq e haq kee raa per chal rahay hen aur agar in kee rehnumahi sahih huwi toh yeh zeroor Sunni hoon gay. Allah ta'ala hammeh aur Mustafvi baee ko deen e haq per chalnay kee tofeeq deh. Ameen. Muhammed Ali Razavi
  2. 1] Khawab meh joh kuch RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko dekhaya gay ajmali thah ya tafseeli is per nah meh behas kay qabil hoon aur nah aap. Aur nah ajmali tor per khawab meh biddati aur murtadoon ka mamla aap sabat ker saktay hen aur nah meh tafseeli tor per, sirf qiyaas ki bunyaad per maghz mari ker saktay hen. Meh essi maghz mari say parez kerta hoon jis kee bunyaad qiyaas ho. 2] Meray baee Tafseel nah batana tafseel nah jannay kee daleel nahin. Allah (subhana wa ta'ala) qayamat kay din joh jahannumiyoon ko azaab hoon gay kitnay sakht hoon gay aur kia kia hoon gay, kesay hoon gay, Allah subhana wa ta'ala nay nahin bataya sirf mukhtasar bataya heh. Allah subhana wa ta'ala nay qaynaat ko bananay ka zikr Quran meh keeya magar sciency ilfaaz meh big bang, kistera huwa Quran meh nahin samjaya sirf ajmali tor per farmaya: “Have those who disbelieved not considered that the heavens and the earth were a joined entity, then We separated them, and made from water every living thing? Then will they not believe?” (Quran 21:30) abh Ijmali zikr say kia aap Allah kay ilm e tafseeli ka inqaar keren gay? Har giz nahin aap yahi jawab denh gay kay ijmali zikr say Allah kay tafseeli ilm kee nafi nahin kee ja sakti. Toh phir aap RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ki ijmali description say hawd kauthar per joh kuch hoga us kay baray meh tafseeli mushayda ka munkir hona bila daleel kesay darust heh? Shahid aap kahen kay Allah kay ilm e kee daleel direct, explicit toh nahin magar implicit, indirect heh joh sabat kerti heh kay Allah ko ilm thah. Jis per mujjay inqaar nahin keun kay mutliq say muqayyid nikala ja sakta heh magar muqayyid say mutliq nahin. Toh meh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kee mutliq recognition, pechaan say khaas sabat keeyeh deta hoon: "[...] Then I saw Him put his palms between my shoulder blades till I felt the coldness of his fingers between the two sides of my chest. Then everything was illuminated for me and I recognized everything. He said: Muhammad! I said: At Thy service, my Lord. He said: What do these high angels contend about? I said: In regard to expiations. He said: What are these? [...]" [Ref: Tirimdhi, Vol 5, Hadith No. 3246, Tafsir Surah S'ad] “Narrated AbdurRahman ibn A'ish: Allah's Messenger (peace be upon him) said: I saw my Lord, the Exalted and Glorious in the most beautiful form. He said: What do the Angels in the presence of Allah contend about? I said: Thou art the most aware of it. He then placed HIS PALM between my shoulders and I felt its coldness in my chest and I came to know what was in the Heavens and the Earth. He recited: 'Thus did we show Ibrahim the kingdom of the Heavens and the Earth and it was so that he might have certainty.' (6:75)" [Ref: Tirimdhi, Vol 5, Hadith No. 3245, Tafsir Surah S'ad] Is say sabat ho gaya kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) har cheese ko pechantay thay aur jab har cheese ko pechantay thay toh phir us meh murtadeen aur zindiqiyeen be aa jatay hen aur meh aur aap, sab kuch. 3] Aakhiri point per arz heh kay Allah kay nabiyoon kay khawab hu bahoo us tera hotay hen jistera din meh insaan mamulaat kerta heh: "Narrated 'Aisha: (the mother of the faithful believers) The commencement of the Divine Inspiration to Allah's Apostle was in the form of good dreams which came true like bright day light, and then the love of seclusion was bestowed upon him. He used to go in seclusion ..." [Ref: Bukhari, Book 1, Hadith 3] ek aur hadith meh: "Narrated Aisha: (the wife of the Prophet) The commencement (of the Divine Inspiration) to Allah's Apostle was in the form of true dreams in his sleep, for he never had a dream but it turned out to be true and clear as the bright daylight. Then he began to like seclusions, ..." [Ref: Bukhari, Book 60, Hadith 478] is leyeh aap ka qiyaas kerna kay dream meh kuch aur huwa aur haqiqat meh shahid kuch aur ho bilqul ghalat heh. Aur wohi kuch hoga joh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) nay dekha aur wohi logh hoon gay. Khadam nay insha'allah ainda kuch nahin likhna jawab meh. Allah ta'ala aap kay ilm o amal meh barkat deh aur deen e haq maslak e Imam Ahmad Raza rahimullah alayhi ta'ala ko qabool kernay kee tofeeq deh, aameen. Wama alayna ilal balaghul mubeen Muhammed Ali Razavi
  3. Salam alayqum wr wb, Mustafvi baee meh sirf teen/char jammat ka talib e ilm thah jab Pakistan say England aya is leyeh meh Urdu nahin likh sakta. Per aur samaj sakta hoon aur is waja say keun kay mujjay deeni kitabeh pernay ka shok thah aur perta raha dictionary check ker ker kay mafoom be dekhta raha. Aur meh itna lyke be nahin thah aur nah abh hoon kay dekha dekhi likhna seekh loon is leyeh Urdu likhnay say mazrat kerta hoon. Allah ta'ala aap kee nek aur jaiz duahen qabool farmahay, ameen. Meray baee meh kohi ba salahiyat banda nahin hoon gadda hoon joh kitaboon ka bojh utha'hay huwoon hoon is leyeh andaaz e biyaan ka saleeka nahin maloom. bot koshish kerta hoon kay andaaz e biyaan khush hussan ho magar apni asliyat rang dekha deti heh is leyeh meh mazrat khawa hoon joh huwa, insha'allah ainda nahin hoga aur agar bhool kee waja say kuch sakht ilfaaz likh doon toh meray baee deen kay wastay aap be bardasht ker lenh. Pehli toh baat yeh heh kay meray ilfaaz: In ilfaaz meh muj say formatting meh khata huwi correct formating yeh heh: gay biddati leader nahin hoon gay bilqul darust heh magar sirf/israr kerna kay yahi mafoom heh kuch aur nahin bilqul ghalat gumrahi zindiqiyat ... yehni ek doh tareekoon say ek mafoom biyan kerna thah: gay biddati leader nahin hoon gay bilqul darust heh magar sirf kay yahi mafoom heh kuch aur nahin bilqul ghalat gumrahi zindiqiyat ... aur dosra tarika ... gay biddati leader nahin hoon gay bilqul darust heh magar israr kerna kay yahi mafoom heh kuch aur nahin bilqul ghalat gumrahi zindiqiyat ... wazahat, kee khatir kay aap kee samaj meh mera maqsid aa jahay. Sirf ek hee mafoom ko pakr ker beth jana aur auroon ka inqaar kerna meray baee Allah kay Nabi (sallalahu alayhi was'sallam) kay farmaan kee jawami al kalim wali shaan ka inqaar hota heh is leyeh biddat heh gumrahi heh. Agar aap chahen toh meh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kay farmaan kee shaan joh jawami al kalim heh us kay dalahil pesh ker doon bukhari o Muslim shareef say? Aur agar aap mantay hen toh phir jis asool kee be sabat ho aur joh us asool say mafoom nikalta heh woh be sabat toh kia biddat o zindiqiat nahin heh? Biddat kee tareef: Har woh amal aur aqeedah jis kee asal Quran o Hadith say sabat nahin biddat heh. Is kay mutabiq aap ka israr kay sirf ek hee mafoom heh is kee asal nahin nah Quran say aur na Hadith say balkay is kay khilaaf sabat heh toh kia asal kay khilaaf joh mowaqif ho biddat nahin? Mustafvi baee meh nay aap kay point kay meh in do ahadith ko gad mad ker raha hoon mad e nazr rakh ker in donoon ka ilada ilada jawab deeya thah. Aap nay note nahin keeya meh nay Fitna wali hadith thee us ka jawab post 33 meh deeya heh aur woh be Sunnan Abu Dawood kee hadith kay beghair balkay mazeed muwad kay saath apnay mowaqif kee wazahat ker deeh heh. Aur post 32 meh, joh aap nay ihtiraaz keeyeh thay us ka I was witness over them .... wali hadith say talluq nahin thah is leyeh meh nay ussay ilada ker deeya. Taqay tareekay aur saleekay say ikhtilaf ko suljaya ja sakkay. Joh aap kee jaiz guzarishaat hoti hen meh un ko mad e nazr rakh ker likhta hoon jistera meh nay in do ahadithoon ko ilada ker deeya. Halan kay aap ka kehna kay meh nay in ahadith ko gad mad keeya heh ghalat heh magar ikhtilaf ko tareekay saleekay say suljanay kee khatir khadim nay ussay ilada ker deeya taqay jab yeh sulaj gaya toh donoon ahadith meh joh munasbat heh us ko biyaan ker kay aap ko insha'allah haq per raazi ker loon ga. Is say pehlay meh I was witness wali hadith: 'And I was a witness Over them while I dwelt amongst them. aur hadith: You don't know what innovations they made after you? kay mafoom meh joh harmony heh, joh muwafqat heh is ko biyaan keroon, zeroori heh kay chand aur points biyaan ker doon. Part One: Hadith e Sunnan Abu Dawood. Meray baee Fitna kay joh mafoom aap nay biyaan keeyeh hen mujjay ittifaq heh. Magar mazeed arz heh kay fitnay doh type kay hen ek deeni fitna yehni Firqoon ka wajood meh ana yehni nazriyati fitna aur dosra fitna jang, qatal o gherat aur aap nay nazriyati fitnoon kay mutaliq kuch nahin likha sirf fitna e jangi qatal o gherat walay kay baray meh bataya. Sirf qatal o gherat hee fitna nahin balkay joh nazriyat is qatal o gherat ko jaiz qarar denh kia woh fitna nahin hen meray baee? Kia woh nazriyat joh Khalifa e Rashid say jang kee taleem denh kia woh fitna nahin, kia woh nazriyat joh buttoon per nazil shuda ayaat aur mushirkeen wali ayaat musalmanoon per chispan keren woh nazriya fitna nahin, kia qadiyaniat fitna nahin? Fitna ka dictionary mafoom hee per aa ikhtisaar nah keren magar fitna kee sharaee types per be aap baat keren shariat meh naziriyati fitna yehni biddat aur jangi fitna yehni qatal o gherat, loot gaseet, baghawat atay hen. Is leyeh Sunan Abu Dawood: “Narrated Hudhayfah ibn al-Yaman: I swear by Allah, I do not know whether my companions have forgotten or have pretended to forgot. I swear by Allah that the Apostle of Allah (sallalahu alayhi was'salam) did not omit a leader of a wrong belief (fitnah)--up to the end of the world--whose followers reach the number of three hundred and upwards but he mentioned to us his name, his father's name and the name of his tribe.” kee hadith meh 300 qaideen e fitna ka zikr heh toh us meh nazriyati fitna yehni musailmah bin Kazzab ka ata heh. Dosra fitna Kharijiat ka thah joh nazriati fitna be thah aur musalmanoon meh khana jangi ki waja bana. In donoon fitnoon kay khatmay kay leyeh Sahabah alayhi ridwan nay kirdaar ada keeya aur sabat ker deeya kay kon haq kay leyeh lar raha heh aur kon batal kay leyeh, khara khota ilada ho gaya. Nazriati fitnay joh RasoolAllah (salallahu alayhi was'sallam) kay zamanay say shoroon huway aur abhi taq jari hen aur musalmanoon kee azmaish be ho rahi heh khara khota, noor aur handeray wala ilada ho rahay hen, haq aur batil walay zahir ho rahay hen. Shi'at per aap aur ham mutafiq hoon gay kay fitna heh, keun kay is say musalmaanoon ko azmaish meh dala jata heh haq kia heh aur batal kia heh. Aur yaqeenan Nazriyati fitna biddat hee heh. Aur Allah ka wada thah hatta yamees alkhabees minnat tayyib, abh joh khabees hen woh tayyiboon say nikal rahay hen aur yeh silsila Imam Madhi rahimullah alayhi ta'ala taq jari rahay ga aur phir Allah thandi hawa behij ker tayyiboon ko utha leh ga aur peechay badtreen khalaiq per qayamat kee tabahi hogi. Pas a manzir kay baad abh un ahadith ko harmonise kernay laga hoon jin kay baray meh aap kehtay hen kay ghad madh ker raha hoon. Part Two: Hadith e murtadeen per notes: Is hadith meh: Narrated Abu Huraira: The Prophet said, "While I was sleeping, a group (of my followers were brought close to me), and when I recognized them, a man (an angel) came out from amongst (us) me and them, he said (to them), 'Come along.' I asked, 'Where?' He said, 'To the (Hell) Fire, by Allah' I asked, 'what is wrong with them' He said, 'They turned apostate as renegades after you left.' Then behold! (Another) group (of my followers) were brought close to me, and when I recognized them, a man (an angel) came out from (me and them) he said (to them); Come along.' I asked, "Where?' He said, 'To the (Hell) Fire, by Allah.' I asked, What is wrong with them?' He said, 'They turned apostate as renegades after you left. So I did not see anyone of them escaping except a few who were like camels without a shepherd." [Ref: Book 76, Hadith 587] Khaas points: - Logoon ka murtad hona - RasoolAllah ka un ko pechan'na Joh log murtad huway RasoolAllah (sallalalhu alayhi was'sallam) kay baad us kee waja biddat [e kuffria] thee yehni musailmah bin kazzab ko Nabi maan lena. Aur Khawarij joh logh biddati thay in ka fitna e jangi o nazriyatin be thah. Alhasil Musailmah bin kazzab aur is kay perokar, aur Khawarij kay leader aur in kay perokar sab biddat per maray thay farq yeh heh kay Musailmah kee biddat e kuffria heh aur khawarij kay baray meh khadim kee tehqeeqi heh kay woh be ahle kuffr hen magar is meh ikhtilaf heh, ittifaq biddati honay per heh is leyeh joh mowaqif behtr lagay apna leeya jahay, khadam khawarij ko ahle kuffr wal irtaad say janta heh aur yahi qaw'vi dalahil say sabat yeh aur is See --- &--#62;&--#62;Ref: Bukhari Book 76, Hadith 587] meh awal giro Musailmah wala joh ahle kuffr o irtad wala thah aur dosra khawarij wala. inshallah jald khawarij kay mutaliq article likhoon ga jis meh apnay mowaqif ka saboot hoga. Part Three: Hadith e Murtadeen Aur Hadith e Biddat meh Harmony. Aur jab yeh logh hawd e kauthar per jahen gay toh phir in biddat kuffria aur biddat e zalala walay perokar aur in kay saath in kay leaderoon ko hawd e kauthar say door keeya jahay ga toh phir RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) farmahen gay: My Lord, they are my companions, they are my companions, ..." [Ref: Muslim, Book 30, Hadith 5706] aur phir in murtadoon aur in kay fallowers kay baray meh kaha jahay ga: “ Don't you know what innovations they made after you?” [Ref: Muslim, Book 30, Hadith 5690] Aur phir Allah kay Nabi (sallalahu alayhi was'sallam) jantay huway pechantay huway, baap dada aur qabiloon kay naam jantay huway be adban, ihtiraman jilal e illahi ko mad e nazr rakhtay huway aajzi o inkasari meh farmahen gay jesay Hadhrat isa (alayhis salam) nay aajzi o inkasari meh farmaya tha:. 'And I was a witness Over them while I dwelt amongst them. When You took me up You were the Watcher over them, And You are a witness to all things. If You punish them. They are Your slaves And if You forgive them, Verily you, only You are the All-Mighty, the All-Wise." [Ref: Bukhari, Book 55, Hadith 656] Aakhiri guzarish: Nuskhoon ka joh ikhtilaaf heh khadam ko kuch ilm nahin aur nah meh is na khatam honay wali behas meh perna chahta hoon. Yeh nuskhoon ka ikhtilaf Sunniyoon ka banaya huwa nahin heh, yeh peechay say chala a raha heh is leyeh yeh toh kaha nahin ja sakta kay yeh mangarat saboot heh. Muj taq joh muskha pouncha heh meh us per qaim hoon aur rahoon ga. Aur agar kissi tareekay say mukhtalaf nuskhoon meh muwafqat ho saki to keroon ga warna wohi joh sabat ghair mutanaza ahadith say sabit shuda heh yehni RasoolAllah biddatiyoon ko pechantay hoon gay aur un kay leaderoon ko be. Aur Musailmah bin Kazzab, Khawarij kay qaideen sab biddati hen shar'raee mafoom meh aur biddatiyoon ko RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) pechantay hoon gay Aur yeh mafoom Jawami al Kalim kee shaan kay mutabiq be heh.: Narrated Anas: The Prophet said, "Some of my companions will come to me at my Lake Fount, and after I recognize them, they will then be taken away from me, whereupon I will say, 'My companions!' Then it will be said, 'You do not know what they innovated (new things) in the religion after you." [Ref: Bukhari, Book 76, Hadith 584] "Narrated Abu Hazim from Sahl bin Sa'd: The Prophet said, "I am your predecessor (forerunner) at the Lake-Fount, and whoever will pass by there, he will drink from it and whoever will drink from it, he will never be thirsty. There will come to me some people whom I will recognize, and they will recognize me, but a barrier will be placed between me and them." Abu Hazim added: An-Nu'man bin Abi 'Aiyash, on hearing me, said. "Did you hear this from Sahl?" I said, … [Ref: Sahih Bukhari, Book 76, Hadith 585] Is leyeh nuskhoon kee behas ka koi faida nahin keun kay agar bilfarz meh maan loon kay yeh sara nuskha asli nahin balkay asli wohi heh joh jis per aap imaan lahay hen toh phir be mera woqif aur ahadith say sabat ho jata heh. Is leyeh jis nuqtay per behas ka faida nahin us per behas kernay kee kia zeroorat. Mustafvi baee behas ta qayamat taq khatam nahin honay wali, balkay qayamat kay din Allah subhana wa ta'ala say logh behas keren gay aur Allah un logoon kay moon ko see deh ga taqay yeh behas band keren. Aur nah aap aur muj meh yeh behas khatam hogi aur nah in mozoon per baray baray maulvi behas ker kay fesla ker sakkay hen. Sab feslay kitaab say nahin hotay deen kay maslay dil kay noor say hal hotay hen agar us meh noor e hidayat heh toh fesla ho jata heh. Kitabi ilm hidayat nahin deta darwaza e hidayat per khara ker deta heh phir chand qadam insaan ko Allah tawakul utha ker chalna perta heh. Meh is dawr say guzr chuka hoon mujjay meri tehqeeq darwazay taq leh aahi 75% tehqeeq baqi 25% abhi ihtiraaz reh gahay thay magar Allah nay dil meh baat dal deeh kay 100% kissi maslay per tummeh shaytaan yaqeen nahin honay deh ga har maslay per kuch na kuch percent doubt ihtiraaz rahay ga. Us kay baad meray jazb e talash haq aur meri nafs ki jang huwi, nafs kehti 8 saal in ko mushrik kaffir, biddati zindeeq raza khani qabar parast subho shaam kaffir kaffir shia kaffir aur us ka bahi barelwi be kaffir kee rat laga ker aaj un'nee meh ja raha heh, log hansenh gay mazakh banay ga, logh tanz keren gay [aur yeh sab kuch huwa bee] magar khadam nay apni bani huwi us jhooti izzat ko joh mujjay deeh gaee thee, bara ilm wala heh banda hamari masjid meh, barelwiyoon kee achi khabr leta heh sab kuch Allah kay deen kee khatir jhooti izzat qurban ker deeh. Meray baee, meri taraf say is topic per dicussion khatam heh, Allah kay karam ra e haq, sirat e mustaqeem aap kay samnay heh magar aap ko decide kerna heh kay aap is per chalna pasand keren gay ya qiyasat aur dil pasand taweelat per qaim rahen gay. Mujjay joh kuch ata thah sirf ker deeya baqi aap ka mamla Allah ta'ala per chora. Allah ta'ala mujjay aur aap ko haq sunnay, qabool kernay, samajnay kee tofeeq deh. Ya Allah tooh jissay chahay hidayat deh jissay chahay gumrah keray, jissay tooh hidayat deh kohi gumra nahin ker sakta aur jissay tooh gumra keray kohi hiayat yafta nahin bana sakta wal hamdulillahi rabbil alameen was salatu was salamu ala sayyidil ambiya'i wal mursaleen. Wama alayna ilal balaghul mubeen. Muhammed Ali Razavi
  4. Jazakallah khair Toheedi baee. Allah aap kay ilm o amal meh barkat deh, aameen.
  5. MuhammedAli

    Hadith Kee Talash

    As salamu alayqum wr wb Meh ek hadith kee talash meh hoon jis meh ek khariji nay ek Quran kee ayaat ka mafoom ghalat biyaan keeya thah aur ghaliban Hadhrat Abdullah Ibn Abbas nay us ka rad keeya thah ya kohi aur Sahabi thay. Is silsilay meh joh be ahadith Sunni baiyoon kay ilm meh hoon refference deh denh, mahirbani hogi. Muhammed Ali Razawi
  6. Mirza Ghulam Ahmed Qadiyani dajjal ka naya roop is kee mot'h kay baad joh bhonknay walay peechay choray ga woh us ko Nabi maan lenh gay. Jistera Gohar Shah ko ila bana leeya gaya heh; meh nay un kee zikr mehfil sunneeh, la ilaha ila riaz ... la hawla wala quwwata ...
  7. Salam alayqum wr wb, Wahi ka zariyeh toh Quran aur ihkaam e deen wala ghayb milla. Aur Wahi kay baghair mushayda [ilm e] ghayb aur sama'at e [ilm e] ghayb bi ahadith say sabat heh. RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ka jannat aur jahanum ko dekhna, namaz kay doran jannat say angoor dekhna, aur jahanam kee aag dekhna, murdoon kee awaaz sunna, waghera waghera baghair wahi kay maloom huway.
  8. Janab aap kee RED wali ghalt fehmi ka jawab meh nay pitchli post meh deh deeya heh. Sirf ek aur correction heh, Hadith e Sunnan abu dawood meh fitnoon ke qaideen kee tadad 300 say zahid batahi gaee heh aur aap un kay perokar ka zikr ker rahay hen. GREEN wali writting meh joh aap kee gumrahi heh us kee be islah honay wali heh. Mujjay jawab likhnay say pehlay RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam kay farmaan kay mujjay jawami al kalim kee sift atah huwi heh yaad rakhyeh ga. Keun kay meh is kay mutabiq doh mafoom biyaan kernay laga hoon. Agar aap takhsees keren gay toh woh takhsees part two meh discuss hogi. Aap joh be rasta lenh, Jawami al kalim kee mukhalfat ker kay takhsees keren toh tab bee aap la jawab hoon gay aur agar nah keren toh tab bee aap la jawab hoon gay. Part one: RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) deen say joh joh ta qayamat deen say baghi hoga us ko pechantay hoon gay: Narrated Abu Huraira: The Prophet said, "While I was sleeping, a group (of my followers were brought close to me), and when I recognized them, a man (an angel) came out from amongst (us) me and them, he said (to them), 'Come along.' I asked, 'Where?' He said, 'To the (Hell) Fire, by Allah' I asked, 'what is wrong with them' He said, 'They turned apostate as renegades after you left.' Then behold! (Another) group (of my followers) were brought close to me, and when I recognized them, a man (an angel) came out from (me and them) he said (to them); Come along.' I asked, "Where?' He said, 'To the (Hell) Fire, by Allah.' I asked, What is wrong with them?' He said, 'They turned apostate as renegades after you left. So I did not see anyone of them escaping except a few who were like camels without a shepherd." [Ref: Book 76, Hadith 587] Is hadith say sabat ho gaya RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kee hayaat say leh ker ta qayamat joh joh biddati aur deen ka baghi ho jahay ga sab ko RasooolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) pehchantay hoon gay. [side note: Mujjay pata heh yeh tashri aap ko hazam nahin honi wali keun kay shaan e RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam sirf Sunni biyaan kerta heh aur us meh apna nuqs aur nuqsaan sirf Wahhabi ya Deobandi kerta heh] Part two: Murtadooneen e Ummat ko toh chor denh chalen sirf RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kee hayaat meh logh deen say baaghi ho gahay thay un ko hee leh lenh: "Narrated Anas: Some people from the tribe of 'Ukl came to the Prophet and embraced Islam. The climate of Medina did not suit them, so the Prophet ordered them to go to the (herd of milch) camels of charity and to drink, their milk and urine (as a medicine). They did so, and after they had recovered from their ailment (became healthy) they turned renegades (reverted from Islam) and killed the shepherd of the camels and took the camels away. The Prophet sent (some people) in their pursuit and so they were (caught and) brought, and the Prophets ordered that their hands and legs should be cut off and that their eyes should be branded with heated pieces of iron, and that their cut hands and legs should not be cauterized, till they die." [Ref, bukhari, Book 82, Hadith 794] Anas b. Malik reported that some people belonging (to the tribe) of 'Uraina came to Allah's Messenger (may peace be upon him) at Medina, but they found its climate uncogenial. So Allah's Messenger (may peace be upon him) said to them: If you so like, you may go to the camels of Sadaqa and drink their milk and urine. They did so and were all right. They then fell upon the shepherds and killed them and turned apostates from Islam and drove off the camels of the Prophet (may peace be upon him). This news reached Allah's Apostle (may peace be upon him) and he sent (people) on their track and they were (brought) and handed over to him. He (the Holy Prophet) got their hands cut off, and their feet, and put out their eyes, and threw them on the stony ground until they died. [Ref: Muslim, Book 16, Hadith 4130] Jab woh imaan lahay toh un'noon Sahabiyoon ko shaheed keeya is waja say woh murtad ho gahay, keun kay joh Musalman ko bila sharaee uzr qatal keray woh murtad ho jata heh: Narrated Jarir: The Prophet said to me during Hajjat-al-Wada', "Let the people keep quiet and listen." Then he said (addressing the people), "Beware! Do not renegade as disbelievers after me by striking (cutting) the necks of one another."[Ref:Bukhari, Book 88, Hadith 201] Is leyeh Ukl tribe walay woh logh jinoon nay Sahabah ko shaheed keeya woh murtad ho gahay. Woh deen say baaghi ho gahay aur un ko RasoolAllah jantay be thay, pechantay be thay aur un kee deen say baghawat kee waja be jantay thay magir phir be qayamat kay din yeh farmahen gay: 'And I was a witness Over them while I dwelt amongst them. When You took me up You were the Watcher over them, And You are a witness to all things. If You punish them. They are Your slaves And if You forgive them, Verily you, only You are the All-Mighty, the All-Wise." Toh batahen nay kay is context meh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ka yeh farmana kia mafoom rakhta heh? Jhoot hee huwa nah baqaul aap kay mazhab kay. Muwafqat toh aap peda nahin honay deh rahay aur nah maneh gay toh yahee kaha ja sakta heh kay kuch logh imkaan e kizb e bari ta'ala kay qahil hen toh aap waqia e kizb RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam say mansoob ker denh toh meh surprise be nahin hoon ga. Conclusion: Alhasil, RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) murtadoon aur biddatiyoon ko be pechantay hoon gay, jesa kay ahadith say sabat heh magar phir be Allah (subhana wa ta'ala) kee shaan kay agay apni aajzi o inkasari keren gay. Mannay walay kay leyeh daleel kafi heh aur nah mannay walay kay leyeh bahana. Muhammed Ali Razawi
  9. Part One: Janab e aali aap ka yeh kehna kay jin logoon ko RasoolAllah sallalalahu alayhi was'sallam pechantay hoon gay woh aam biddati hoon gay biddati leader nahin hoon gay bilqul darust heh magar sirf israr kerna kay yahi mafoom heh kuch aur nahin bilqul ghalat gumrahi zindiqiyat keun kay RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ka farmaan jawami al kalim heh, yehni kam ilfaaz meh waseeh mafoom biyaan keeyeh jatay hen. Joh meh nay hadith say mafoom akhaz keeya heh aur jis per aap ko ihtiraaz heh khadam us ka saboot pesh ker raha heh. mukhtasar mera mowaqif yeh thah; jin logoon ko RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) pechantay hoon gay woh biddati leader hoon gay, abh is mowaqif kee daleel: “'Abdullah reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying; I shall be there at the Reservoir {Al Kauthar} before you, and I shall have to contend for some people, but I shall have to yield. I would be saying: My Lord, they are my friends, they are my friends, and it would be said: You don't know what innovations they made after you?” [Ref: Muslim, Book 30, Hadith 5690] ek aur hadith meh heh: "... I heard Allah's Messenger (may peace be upon him) say:" O people." I said to that girl: Keep away from me. She said: He (the Holy Prophet) has addressed the men only and he has not invited the attention of the women. I said: I am amongst the people also (and have thus every right to listen to the things pertaining to religion). Allah's Messenger (may peace be upon him) said: I shall be your harbinger on the Resevoir {Al Kauthar}; therefore, be cautious lest one of you should come (to me) and may be driven away like a stray camel. I would ask the reasons, and it would be said to me: You don't know what innovations they made after you? And I would then also say: Be away.” [Ref: Muslim, Book 30, Hadith 5686] Sahih Bukhari kay doh joh aahdith hen un ahadith kay ilfaaz per be khor keren, Biddat ko ijaad kernay wala biddati leader hota heh ya biddat ko fallow kernay wala? Yaqeenan aap maan jahen gay kay yeh ilfaaz farishtoon kay is baat ka saboot detay hen kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) jin logoon ko pechantay hoon gay aur joh RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ko pechantay hoon gay woh biddatiyoon kay leader hoon gay. Jab hadith e Muslim say sabat ho gaya kay jin ko RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) jantay, pechantay hoon gay abh aap ko ihtiraaz nahin hona chahyeh. Part Two: Janab meh nay doh mukhtalif aahadith ko kis bunyaad per jor raha hoon aap ko samaj nahin? Kia aap kakay (bachay, baby) hen kay aap ko samaj nahin aa saki abhi taq? Sunnan Abu Dawaood kee hadith kay ilfaaz: "I swear by Allah that the Apostle of Allah (sallalahu alayhi was'salam) did not omit a leader of a wrong belief (fitnah)--up to the end of the world--whose followers reach the number of three hundred and upwardsbut he mentioned to us his name, his father's name and the name of his tribe.” say aap un logoon ko kistera bahir nikalen gay jin logoon ko RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam pechantay hen aur joh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko pechantay hen? Kia hadith ka wazia mafoom nahin kay jitnay bee fitnoon kay leader qayamat taq aahen gay RasoolAllah (salalahu alayhi was'sallam) un kay naam, baap dada, aur un kay kabileh kay naam be jantay hen? Aur jin ko RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) dunyawi zindgi meh jantay thay voh is hadith kay ilfaaz: “... leader of a wrong belief (fitnah)--up to the end of the world ...”say kesay bahir hen? Janab un teenso say zahid meh voh biddati leader be hen jin ko RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam hayaat e dunyawi meh jantay be thay aur voh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko jantay hoon gay. Agar aap meh itni be qabiliyat nahin kay ahadith ka mafoom samaj saken toh behas kis bunyaad per ker rahay hen. Meh nay sabat yeh keeya heh kay jin ko RasoolAllah pehchantay be thay voh be RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ko pechantay hoon gay aur un kay naam, baap dada aur qabileh kay naam taq maloom hen sirf un ko shakal say nahin pechantay thay. Conclusion: Kam say kam aap yeh baat maan chukay hen kay RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam biddatiyoon ko pechantay hoon gay aur biddati joh RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam kay zamanay meh hayat thay voh biddati rasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ko pechantay be hoon. Magar haqiqat Muslim kee do ahadith say wazia ho chuki kay woh biddati nahin balkay sarbara hoon gay biddatiyoon kay na'kay biddati followers. Toh joh biddati leader RasoolAllah sallalahu alayhi wassallam kay zamana e haayat meh thay un ka be ilm RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kay leyeh sabat ho chuka. Is leyeh aap ka mowaqif kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko ilm nahin thah hawd e khauthar per anay waloon ka bilqul zindeeqiat heh.
  10. as'salam alayqum wr wb Meray Sunni bahiyo agar aap kay pass wasail hen toh phir aap thori mehnat ker kay koshish keren aur joh hazrat Sunni huway hen un kee video recording kerwa ker mafooz ker lenh. Yeh bot'h aham heh keun kay Deobandi aur Wahhabiyoon ka baee jhoot heh aur woh apnay mazhab kay difa meh jhoot ko istera istimal kertay jesay sharbat kay chamchay meh banda pani dalta heh. Is leyeh aap say agar ho sakkay toh koshish ker kay video banwahen in ulamah kee joh sunni huway hen. Insha'allah mera irada heh kay meh Maulvi Saeed Ahmad Qadri musannaf Raza Khani Mazhab kay pass jahoon ga jab be Pakistan jana huwa, inshallah chand maheenoon mehjahoon ga. Aur phir ek video recording banwahoon ga un kee. Yeh bot aham kaam heh. Joh logh Wahhabiyoon say Sunni hoon un kee video recording kee jahay aur us ko aam keeya jahay.
  11. Sunni baee mutawajoh hoon. Meh Sunni hoon aur Sayyidi Taajush Sharia Hadhrat Mufti Akhtar Raza Khan al Azhari mada zil ul aali ka mureed hoon. Mujjay apnay aqeedeh per kamil yaqeen heh aur dil meh alhamdulillah kohi shakook o shubhat nahin hen Sunni aqahid kay baray meh. Khadim nay sirf is leyeh yeh thread banaya thah taqay mazeed mawad jamma keeya ja sakkay aur meh tafseelan is ihtiraaz per English meh ek article likh sakoon. Alhamdulillah Toheedi baee, Saeedi baee ka likha huwa mawad bot honda heh aur yaqeenan meh is ko apnay article meh istimaal keroon ga. Future meh agar kohi esa thread banahoon toh meray baray meh kohi ghalt ya bad'mazhabi kee rahay qaim mat keejeeyeh ga, niyyat sirf ilm meh izafa kee hogi. Apni dua'hoon meh yaad rakhyeh ga. Aakhir meh joh meh nay ihtiraaz keeya thah us ka jawab meh pesh ker deta hoon taqay Sunniyoon kay dil meh meri waja say kohi shakook peda nah hoon. Keun kay discussion ka rukh thora badla thah aur bunyadi point say door hat gaya thah is leyeh zeroori heh kay discussion ka joh natural hal nikla heh us nateejay ko yehni post #1 kay context meh samja deeya jahay. Wahhabiyoon ka ihtiraaz: heh kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) apni ummat per dunya say rukhsat ho janay kay baad witness, shahid, hadhir aur nadhir nahin hen keun kay unoon nay farmaya thah: "... and I will say: 'My companions! My companions!' It will be said: 'They renegade from Islam after you left them.' Then I will say as the Pious slave of Allah (i.e. Jesus) said. 'And I was a witness Over them while I dwelt amongst them. When You took me up You were the Watcher over them, And You are a witness to all things. If You punish them. They are Your slaves And if You forgive them, Verily you, only You are the All-Mighty, the All-Wise." (5.120-121) [Ref: Bukhari, Book 55 , Hadith 568] is say yeh sabat hoga heh kay RasoolAllah apni Ummat per hadhir nadhir nahin hen aur un ko ilm nahin hoga kay jin ko RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) Sahabi keh rahay hen haqiqatan woh biddati hen. Ahle Sunnat Wal Jammat Kee Wazahat: Deegir ahadith say sabat heh kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko ilm hoga kay jin ko woh Sahabi Sahabi keh rahay hen woh haqiqatan biddati hen. Ahadith e Sunnan Abi Dawood meh rawayat heh kay Sahabi nay kasm deh ker farmaya: "... Apostle of Allah (sallalahu alayhi was'salam) did not omit a leader of a wrong belief (fitnah)--up to the end of the world--whose followers reach the number of three hundred and upwards but he mentioned to us his name, his father's name and the name of his tribe.”" [Ref: Abu Dawood, Book 35, Hadith 4231] aur RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) nah sirf un kay baap dada aur qabilay ka naam jantay thay balkay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ka farmaan heh kay woh un ko pehchantay bee hen aur biddati un ko pechantay be hoon gay: "[...] There will come to me some people whom I will recognize,and they will recognize me, but a barrier will be placed between me and them." …" [Ref: Bukhari, Book 76, Hadith 585] is leyeh yeh toh nahin kaa jaha sakta kay Allah kay Nabi (sallalahu alayhi was'sallam) ko ilm nahin thah biddatiyoon kay mutaliq. Ahle Sunnat ka Tariqa: Abh jab yeh sabat ho gaya kay ilm thah toh ek aur problem peda hoti heh kay agar teenoon ahadith sahih hen toh phir bazahir ikhtilafi mafoom e ahadith ko kistera samja jahay. Zahir heh kay ek hadith kay mutabiq witness honay kee nafi heh aur dosray meh jis bunyad per hadhir nadhir honay kee nafi kee ja rahi heh us bunyaad kay khilaaf wazia saboot heh. Toh phir is contradiction ko kistera solve keeya jahay. Ahle Sunnat Wal Jammat ka tareeqa heh kay jahan taq ho sakkay mukhtalif ahadith kee zahiri contradiction ko ek dosray kay saath harmonise keeya jahay yehni mutabqat peda kerni chahyeh. Agar yeh muhaal ho toh phir Tarjee dee jahay us ahadith ko joh ziyada qawvi ho aur jis per sawad e azam ka aqeeda ho keun kay sawad e azam kabi gumrahi per nahin ho saktay. Is leyeh joh behtr tareeka woh yahee heh kay is contradiction joh donoon ahadith meh peda hoti heh us ko harmonise keeya jahay behtreen tareekay say. Takay donoon mafoom qahim be rahen aur haq be wazia ho jahay beghair kissi ahadith ko tarjeeh deeyeh. Nafi e Ilm Kee Doh Kismeh: Ek jahil anparh aadmi say poocha jata heh aap peray likhay hen? woh jawaban arz kerta heh kay meh anparh hoon kuch nahin janta. Yeh un anparh kee haqiqat heh. Dosra ek pera likha aadmi, ek bot bara Allama, Hadhrat, Muhaddith, Sufi, Mufassir, Imam, darjanoon kitaboon ka musannaf woh khutba denay say pehlay kehta heh kay meh Allah ka banda hoon aur kam feham, kam ilm, sirf muj per Allah ka karam heh kay yahan per betha khutba denay laga hoon. Us ka kehna kay meh kam feham aur kam ilm hoon aur aap ka nokar hoon, us kee haqiqat kay khilaaf heh woh kam ilm be nahin aur kam feham be nahin, aur woh kissi ka naukar be nahin toh woh kiss waja say yeh keh raha heh kay woh kam ilm, kam feham, aur naukar heh? Yeh us hadhrat, Allama kee aajzi o inkasari, humility hogi nah kay us kee haqiqat. Kohi be banda majlis meh betha yeh mafoom nahin leh ga kay Hadhrat, Allama, Sufi, Muffasir, Muhaddith sahib kam ilm aur kam feham hen balkay sab hee samjen gay kay yeh un kee aajzi o inkasari o humility heh. Allah kay Nabi (sallalahu alayhi was'sallam) kay farmaan ka haqiqi mafoom: RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ka yeh farmana: 'And I was a witness Over them while I dwelt amongst them. When You took me up You were the Watcher over them, And You are a witness to all things. If You punish them. They are Your slaves And if You forgive them, Verily you, only You are the All-Mighty, the All-Wise." kay teen mafoom ho saktay hen: 1] RasoolAllah ko biddati leaderoon kay baray meh ilm nahin thah. 2] Ilm toh thah magar Allah say jhoot bola. 3] Ilm toh thah magar Allah kay samnay aajzi o inkasari kee keun kay poochnay wala Allah heh joh sab kuch janta heh aur us ko batanay kee zeroorat nahin. Abh in teen possibilities kee wazahat: 1] Rasooallah sallalahu alayhi was'sallam ko ilm thah kay yeh gumra firkoon kay leader hen jistera ahadith e sahiha say sabat heh kay Rasoolallah (sallalahu alayhi was'salam) gumrahi kay leaderoon, biddatiyoon ko pechantay bee hoon gay aur un kay naam, baap kay naam aur qabeelay ka bee naam be maloom hoon gay. Is leyeh option one nahin ho sakta. 2] Allah subhana wa ta'ala kay Nabi kay mutaliq yeh aqeeda rakhna kay woh jhoot bolta heh kuffr heh. Allah kay sab Nabi har chotay baray gunna say masoom hen, aur jhoot bolna gunna heh. Is leyeh yeh be nahin ho sakta. 3] Tesra aur aakhiri option yeh heh kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) Allah kay adab o ihtiraam meh aajzi o inkasari aur humility meh apnay ilm kee nafi ker rahay thay aur haqiqat wohi heh joh hadith say sabat heh. Yehni un ko gumrahi kay leaderoon kay naam be pata thay un kay dada kay aur qabeeloon kay be aur un ko pechantay be thay. Magar Allah joh Aalim Ul Ghayb wa Shahadah heh, aleemum bizzaatis sadoor heh, woh sab janta heh, aur adab o ihtiraam yahi thah kay Allah joh sab kuch janta heh us kay sawal per, aajzi o inkasari kee jahay. Tafseelan arz heh. Jistera ek Aalim gussay meh apnay shagird say kehta heh tooh janta heh kay Alim Ul Ghayb ka mafoom kia heh, aur agar shagird ba adab ho aqal o feham wala ho toh ustaad ko gussay meh dekh ker hargiz yeh nahin kahay ga kay meh janta hoon balkay kahay ga hadhrat aap bata denh meh toh wohi janta hoon joh aap nay bataya heh. Is'see tera Allah ta'ala jalal meh hoon gay, Sahih hadith sabat heh kay Allah ta'ala jalal meh hoon gay aur Ambiyah alayhis salam: shaf'at nahin keren gay keun kay Allah kee zaat e yaqta jalal meh hogi: " [...] Don't you see in what (miserable) state we are, and to what condition we have reached?' On that Adam will reply, 'My Lord is so angry as He has never been before and will never be in the future; (besides), He forbade me (to eat from) the tree, but I disobeyed (Him), (I am worried about) myself! Myself! Go to somebody else; go to Noah.' They will go to Noah and say; 'O Noah! You are the first amongst the messengers of Allah to the people of the earth, ..." [Ref: Bukhari, Book 55, Hadith 556] Is halat e jalal meh Allah ta'ala apnay piyaray Nabi sallalahu alayhi was'sallam say sawal keren gay kia aap ilm nahin kay unoon nay kia gul khilahay aap kee dunyawi zindgi kay baad phir RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) jantay huway be Allah jalla shana ka samnay aajzi o inkasari meh apnay ilm kee nafi keren gay [bila tashbeeh] jistera is dunya meh ek ba adab shagird apnay ustaad ko jalal meh dekh ker apnay ilm kee nafi kerta heh. Man'nay walay kay leyeh daleel kafi heh aur nah mannay walay kay leyeh bahana. Allah ta'ala jissay chahay hidayat deh jissay chahay gumra keray, jissay Allah gumra keray ussay kohi seeda nahin chala sakta aur jissay Allah seeda rasta chalahay ussay gumra kohi nahin ker sakta. Sab tareefen Allah ta'ala kay leyeh joh zaat sifaat o afaal meh yaqta heh. Wama alayna ilal balaghul mubeen. Muhammed Ali Razavi
  12. Masha'allah Saeedi baee, Allah ta'ala aap kay ilm o amal aur ishq e RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ko kamil darja taq puncha deh, ameen.
  13. Janab shahid aap nay socha ho kay meh nay hadith peri heh aur samji nahin, hadith ko agar aap dosray ahadith kay baghair peren toh aap ko samaj nahin aanay wali, nateeja ghalat hee nikalna thah. Farmaan e RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ko farmaan e RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam kay saath samajna chahyeh. Is daffa tawajoh keejeeyeh ga keun kay pehlay meh nay sirf teen ahadith post 17 meh aap ko teen ahadith bator e daleel pesh keeyeh thay jis say yeh mowaqif sabat hota thah joh meh neechay wazahat krnay laga hoon. J Abh is nuqtay ko yaad rakhyeh ga; jistera Quran kee Quran say tafsir behtreen heh issee tera farman e RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam kee tashri RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ka farmaan e mubarak hee heh ya phir Allah ka Quran. Is leyeh meh RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam kay farman kee tashri un'nhi kay farmaan say keroon ga. Sunyeh Hadith e RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam heh: Sunan Abu Dawood, Book 35, Hadith 4231: “Narrated Hudhayfah ibn al-Yaman: I swear by Allah, I do not know whether my companions have forgotten or have pretended to forgot. I swear by Allah that the Apostle of Allah (sallalahu alayhi was'salam) did not omit a leader of a wrong belief (fitnah)--up to the end of the world--whose followers reach the number of three hundred and upwards but he mentioned to us his name, his father's name and the name of his tribe.” RasoolAllah gumrahi pehlanay walay leaderoon ko jantay thay, un kay naam be jantay thay, aur us kay baap ka naam be aur us ki tribe bee. Mazeed arz heh kay RasoolAllah un ko pehchantay be thay: Sahih Bukhari, Book 76, Hadith 585: "Narrated Abu Hazim from Sahl bin Sa'd: The Prophet said, "I am your predecessor (forerunner) at the Lake-Fount, and whoever will pass by there, he will drink from it and whoever will drink from it, he will never be thirsty. There will come to me some people whom I will recognize,and they will recognize me, but a barrier will be placed between me and them." Abu Hazim added: An-Nu'man bin Abi 'Aiyash, on hearing me, said. "Did you hear this from Sahl?" I said, …" Nateeja, yeh nikla kay RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam nah sirf gumra kun firkoon kay leaderoon kay namoon ka pata thah, balkay un kay baap ka naam un kee tribe ka naam, aur un ko shakal say be pehchantay be thay. Ek mukhtasar ibarat donoon ahadith kee bana ker pesh ker deta hoon taqay aap samaj jahen: Apostle of Allah (sallalahu alayhi was'salam) did not omit a leader of a wrong belief (fitnah)--up to the end of the world--whose followers reach the number of three hundred and upwards but he mentioned to us his name, his father's name and the name of his tribe. [They will be people] whom I [Prophet Muhammad] will recognize,and they will recognize me, but a barrier will be placed between me and them. Yehni jin logoon gumra logoon kay naam, baap ka naam un kee tribe ka naam waghera jantay thay un ko RasoolAllah pehchantay hoon gay. Jin ko dunya meh RasoolAllah (sallahahu alayhi was'sallam) pechantay hen, waghera waghera un ko aakhirat hawd e kausar per be pechantay hoon gay magar RasoolAllah sallalahu alayhi wassallam rehmatal lil alameen hen is leyeh josh e rehmat ghalib aa jahay ga aur Allah say guzarish keren gay yeh meray ummati hen magar un say kaha jaahy ga kay kia aap ko ilm nahin kay innoon nay kia keeya. Mustafvi baee kia meh nay kuch ghalat likha aap is wazahat ko ghalat sabat nahin ker saktay sirf grammar kay balbootay per aap nay apni taang upper rakhni heh. Warna haaq aa chuka heh aap kay pass ... bass aap ko haq pasand nahin aya, dil ko joh pasand aya woh batil thah jis per aap qahim hen. Man'nay kay leyeh daleel chahyeh aur nah man'nay kay leyeh bahana. wama alayna ilal balaghul mubeen. Muhammed Ali Razavi
  14. Mustafvi baee aap nay apni tang utha ker rakhni heh aur muj meh itni qabiliyat nahin kay aap kee tang be neechay ker sakoon. Ahadith e Sahiha say sabat heh kay RasooolAllah sallalahu alayhi was'sallam biddati tolay ko pehchantay hoon gay balkay biddati be RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ko pehchantay hoon gay: Sahih Bukhari, Book 76, Hadith 584: Narrated Anas: The Prophet said, "Some of my companions will come to me at my Lake Fount, and after I recognize them, they will then be taken away from me, whereupon I will say, 'My companions!' Then it will be said, 'You do not know what they innovated (new things) in the religion after you." Sahih Bukhari, Book 76, Hadith 585: "Narrated Abu Hazim from Sahl bin Sa'd: The Prophet said, "I am your predecessor (forerunner) at the Lake-Fount, and whoever will pass by there, he will drink from it and whoever will drink from it, he will never be thirsty. There will come to me some people whom I will recognize, and they will recognize me, but a barrier will be placed between me and them." Abu Hazim added: An-Nu'man bin Abi 'Aiyash, on hearing me, said. "Did you hear this from Sahl?" I said, …" Grammar kay chakkar meh tab peroon job wazia hadith nah ho. Jab aap ko ahadith pesh kee ja rahi hen jin say sabat hota heh kay RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam biddatiiyoon ko pehchantay hoon gay toh aap grammar ko pakr ker keun bethay hen! Meh nah manoon kee tasbeeh pernay waloon ko kohi manwa nahin sakta. Mannay walay ko daleel chahyeh aur nah mannay walay ko bahana. Yeh aap per heh kay aap daleel walay hen ya bahanay. Allah jissay chahta heh hidayat say nawazta heh aur jissay chahta heh gumra kerta heh, jissay Allah gumra keray kohi sirat e mutaqeem per nahin challa sakta aur jissay Allah sirat e mustaqeem per chalahay ussay kohi gumra nahin ker sakta, hidayat. Muj say jawab kee tawaqoh mat rakhyeh ga. wama alayna ilal balaghul mubeen.
  15. Jazakallah khair Toheedi baee aap kay ilm o amal meh Allah barkat deh. Joh shak o shuba thah us ko aap nay hadith kee roshini meh door ker deeya. Agar janab Mustafvi sahib abhi be haq ko qabool nah keren toh sum'mun bukmun um'yun fahum la yarji'un kay misdaq hen.
  16. Salam alayqum wr wb Meray baee Mustafvi baee sahib Hayati Deobandi hen. Yeh ghaliban Mufti Shafi (Deobandi) say influence hen is leyeh Mamati Deobandiyoon kee tera hawlka nahin hen. Mufti Shafi sahib nay apni kitab ghaliban us ka naam ikhtilaf e ummat ya kuch esa thah us meh unoon nay Ahle Sunnat Wal Jammat, Deobandiyoon aur Wahhabiyoon ko asooli tor per Ahle Sunnat meh shammil keeya thah jistera yeh janab ker rahay hen. Yeh thoray tableeghi tolay say ilada hen is leyeh thori lachak aur kush-hamd type tabiat heh in kee. Ghaliban kissi madrassay say thoray ya ziyada peray hen aur apnay firkay kay ba'shahoor logoon kee kutb ka mutalia kertay hen. Dosra in ka maqsid tableegh e deen heh is leyeh yeh aap ko apnay firka kee details nahin batahen gay keun kay in ka nazriya heh kay agar apnay aap ko ek firkay kay saath pin point keeya toh phir 'barelwi' joh in kay firkay kay saath ikhtilafat rakhtay hen us behas ko cher denh gay aur bajahay tableegh e deen kay joh traditional ikhtilafat chalay aa rahay hen un per time waste hoga aur islah per kaam nah ho sakkay ga jin ko yeh zeroori samajtay hen, yehni biddat ka khatma, shirk ka khatma waghera ... Mujjay is leyeh pata heh kuen kay meh khud Hayati Deobandi thah, aur Mamati Deobandiyoon meh aur Hayati Deobandiyoon meh bot farq paya. Mamati tola tor o tareeka meh Wahhabi hen aur Hayati tola sufiat ka lebada oray huway hen is leyeh banday kay putr kee tera behave kertay hen [mazrat chahta hoon chand jaga per mirpuri Urdu mix kee.].
  17. Janab mazrat kay saath, yeh aap kee chawal baat heh warna feham o firasat wala banda yeh baat nahin ker sakta.Hadith say sabat heh kay Hadhrat Hasan radiallah ta'ala ko ilm thah. Jis andaaz meh poocha gaya: "Don't you know that we do not eat the sadaqa?" is say har feham o firasat wala yahi samjay ga kay ilm toh thah magar bhool ho gaee is leyeh rehetorical tor per yaad kerwaya ja raha heh. Baqi aap kee marzi janab joh marzi papar belenh jawab dahi aap kee hogi. Aap nay chit let'h ker be apni taang utha leni heh; aur yahi aap ka asal maqsid heh har maslay meh tang utha lena aur apni chit kamr ko ignore ker kay tang kee taraf ishara krna aur kehna abhi tang ooper heh. Agar aap thori ghor o fikr kertay toh kam say kam neutral ho jatay, agar aap kay batahay huway qawaid darust hen toh aap nay khud hee Toheedi baee kay grammar kay rules kee taheed ker deeh heh magar saath apna ullu seeda keeya heh. Abh kam say kam donoon interpretation possibility kay dahiray meh hen is leyeh pakka fesla tab hee ho sakta heh jab wahi kay zariyeh khabr aa jahay kay hadith ka asal mafoom yeh heh yeh nahin Ya phir donoon meh say kissi eek mowaqif kay mutabiq aur ahadith say dalahil mil jahen toh. Abh meh aap ko apnay mowaqif kee daleel batata hoon kay meh nay Ahle Sunnat kay mowaqif ko keun apnaya aur is issue per kis tera Ahle Sunnat aur Deobandi ar Wahhabiyoon meh fesla keeya RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) nay fitna e kharijiat kay mutaliq farma deeya, balkay yeh farmaya ghaliban Sunnan abi dawood kee hadith heh kay jitnay be fitnay Ummat meh hoon gay un sab kay leader, un kee tribes ka ilm be rakhta hoon: Sunan Abu Dawood, Book 35, Hadith 4231: “Narrated Hudhayfah ibn al-Yaman: I swear by Allah, I do not know whether my companions have forgotten or have pretended to forgot. I swear by Allah that the Apostle of Allah (sallalahu alayhi was'salam) did not omit a leader of a wrong belief (fitnah)--up to the end of the world--whose followers reach the number of three hundred and upwards but he mentioned to us his name, his father's name and the name of his tribe.” Balkay ahadith mubarak say wazia sabat heh kay RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam gumra logoon ko pehcha'neh gay: Sahih Bukhari, Book 76, Hadith 584: Narrated Anas: The Prophet said, "Some of my companions will come to me at my Lake Fount, and after I recognize them, they will then be taken away from me, whereupon I will say, 'My companions!' Then it will be said, 'You do not know what they innovated (new things) in the religion after you." Sahih Bukhari, Book 76, Hadith 585: "Narrated Abu Hazim from Sahl bin Sa'd: The Prophet said, "I am your predecessor (forerunner) at the Lake-Fount, and whoever will pass by there, he will drink from it and whoever will drink from it, he will never be thirsty. There will come to me some people whom I will recognize, and they will recognize me, but a barrier will be placed between me and them." Abu Hazim added: An-Nu'man bin Abi 'Aiyash, on hearing me, said. "Did you hear this from Sahl?" I said, …" In dalahil kee bina per yeh hadith: Sahih Muslim, Book 30, Hadith 5690: “'Abdullah reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying; I shall be there at the Reservoir {Al Kauthar} before you, and I shall have to contend for some people, but I shall have to yield. I would be saying: My Lord, they are my friends, they are my friends, and it would be said: Don't you know what innovations they made after you?” Yahi mafoom deta heh kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko ilm thah, aur biddati logoon ko pehcha'nay bi gay magar rehmatal lil alameen hen, apnay ummatiyoon ko dekh ker darya e rehmat josh meh ahay ga aur is josh e rehmat meh bhool jahen gay kay in logoon nay dunya meh kia kia gul khilahay hen phir farishtay yaad kerwanay kee khaatir sawal keren gay. Aur RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam pehchaantay hoon gay biddatiyoon ko aakhirat meh be jistera dunya meh, hayat meh un ko jantay thay. Is leyeh joh aap mafoom biyaan ker rahay hen woh ahadith e sahiha kee roshini meh batil heh. Aur ما شعرت ka joh mafoom Toheedi baee nay biyan keeya heh woh bilqul ahadith e sahiha kee roshini meh darust heh. Mustafvi baee firqa wariat ko chor denh, aur behas barahay behas ko laat maren haq jahan say millay qabool keren, maulviyoon aur firqoon kay chakkar meh apni aakhirat kharab mat kerna. Qayamat kay din sab chor bagen gay, jin maulviyoon kee aap jootiyan utha ker chaltay hen woh be titr bitr ho jahen gay, aap ki shafat sirf aur srif agar kerni heh toh Nabi sallalahu alayhi was'sallam nay kerni heh is leyeh aap un say wafa dari keren. Deen wohi heh joh Qura aur hadith say sabat heh na kay joh aap kay dil ko reasonable, jaiz, rational, acha lagay. Apnay aap ko Quran o Sunnat kay mutabiq keren, nay kay quran o Hadith ko apnay mutabiq keren. Meray baee baqi aap kee marzi heh dil cha'hay toh qabool keren aur dil chahay toh apni tang utha ker rakhen. Allah ham sab ko haq o sach batanay aur samajnay aur qabool kernay kee tofeeq deh, ameen. Mannay kay leyeh daleel kafi heh aur na mannay kay leyeh bahana. Muhammed Ali Razavi
  18. Ghusul kay mutaliq arz heh kay hokam yahi heh kay saray badan per pani dala jahay agar khuda na khasta kohi jaga kushk reh jahay aur aap ko is baat ka ilm nah ho toh inshallah Allah subhana wa ta'ala ghusul kabool keray ga. Agar ilm ho kay badan ka hissa kushk heh toh phir be us ko doya nah jahay toh aap per phir ghusul kerna farz hoga aur is soorat meh ghusul nahin hoga. Yaqeeni tor per kohi nahin keh sakta kay meh nay ghusul keeya aur sara badan doya haqiqat sirf Allah hee janta heh kay kohi jaga kushq rahi ya nah is leyeh aap puri koshish keren aur jab aap samjen kay sara badan doya ja juka heh toh aap ko is say ziyada fikr nahn kerni chahyeh. Yeh sirf Shaytaan kay waswasay hen, aap apni puri koshish kay saath ghusul ker leeya keren baqi jis ka aap ko ilm nahin aap say pooch nahin hogi inshallah. Awal toh sab kay leyeh farz heh kay woh sahih tareekay say namaz seekhay aur peray, agar kissi nay is meh la perwahi kee toh woh mujrim heh. Aur agar kissi nay namaz seekhnay meh la perwahi kee ho aur ghalt malt perta raha ho toh phir us per lazam heh kay sahih namaz ka tareeka seekhay aur niyaat band lay kay meh apni namazen lotahoon ga yehni phir peroon ga aur phir is per amal keray, agar khuda na khasta namazen complete kernay say pehlay faut ho jata heh toh Allah maaf krnay wala heh, inshallah Allah subhana wa ta'ala us kee namazen be qabool keray ga aur ghalt malt peri huwi namazoon ka ajr be. Allah subhana wa ta'ala musalman ko agar ek kanta lagay toh us ka ajr deh ga yeh tawaqoh nahin kee ja sakti kay Allah ghaffur raheem, ek apnay banday kee mehnat ko zaya ker deh, shartan kay us kay aqahid darust hoon. Amaal e saleh meh ghaltiyan, kotahiyan Allah inshallah maaf ker deh ga. Baee joh pesa kissi nay Allah kee rah meh lagaya woh doob nahin sakta inshallah har sunni ko us pesay ka ajr millay ga. Wesay kissi ko kia pata kay Allah ta'ala nay kissi ka hajj qabool keeya heh ya nahin. Yeh toh aalim joh hajj ka sara tareeka tafseelan janta ho woh be nahin keh sakta kay Hajj qabool huwa ya nahin. Allah subhana wa ta'ala cha'hay nay tamam Sahabah say behtr us kee namaz ko bataya jis Sahabi nay chand mint pehlay Islam qabool keeya, aur left right dekh dekh ker nakal ker ker kay namaz peri. Allah subhana wa ta'ala dilloon ka haal janta heh, janta heh kay kon kiss niyat say kia ker raha heh, Allah nay us namaz ko pasandeeda bataya jis meh Sahabi nay kuch pera bee nahin left right dekh dekh ker sirf phisical harkateh copy keen, waja sirf yeh heh kay us Sahabi kay dil meh ibadat e illahi kee khawahish thee, justgooh thee, irada thah. Un kee la ilmi per un kee namaz ko Allah tala nay radd nahin keeya balkay maqbool banaya. Inshallah agar dil kay saath kissi nay hajj keeya aur joh dekh dekh ker kerta raha chahay Sunnat e hajj kay khilaaf agar us kay dil meh woh Sahabi wala josh, jazba irada, niyat, khawaish thee toh phir Allah (subhana wa ta'ala) zeroor us ko hajj ka sawab be deh ga aur qabool keray ga. Hajj kee sunnatoon meh kami peshi, ghaltiyan Allah subhana wa ta'ala) maaf keray ga, magar jis be imaan kay dil kala heh woh sara kharijiyoon kee tera Quran peray, namazen peray, Sunnat kay mutabiq hajj keray us ko mafi nahin hogi. Yeh har banday kay leyeh zeroori heh kay woh hajj say pehlay hajj kay mutaliq ilm hasil keray, wesay lotay kee tera moon utha ker jana aur phir namaz ka ilm be nah ho, kay kistera perni heh balkay wahan per jaa ker hee seekhen kay namaz kistera pertay hen. Joh banda teen lakh kharch ker kay ja raha heh us ko itni be soch toh honi chayeh nah kay wahan pr mujjay kerna kia heh. Agar kissi kee shaadi ho toh teen saal pehlay kapray isteri, shoot boot, tie, car, makeup shakeup perfumes laga ker baboo ban ker jatay hen sirf is leyeh kay camera meh meri tasweer achi ahay, log dekhen kay bara pesa heh is kay pass, bara mastanda heh aur tareef keren kay wah wah, kia shoot boot lagaya heh is nay. Jahilana rasmoon aur tareeka e jahilliat ko apnanay meh itni mehnat hoti heh Allah kay deen kay leyeh hafta hajj kay baray meh beth ker seekh nahin sakta. Dunya kee chand mint kay show kay leyeh kia kia kertay hen magar joh zindgi hamesha kay leyeh heh us ko kesay bulahay bethay hen. Allah ta'ala ham musalmaan ko hidayat deh, ameen. Allah ta'ala say rehm o karam kee tawaqoh rakhen toh Allah ta'ala aap ko aap kee tawaqoh kay mutabiq ajr deh ga. Deen kee zeroori fiqhi masail ko seekhen aur gar waloon ko seekhahen. Joh ghaltiyan ho chuki un izala kernay kee koshih keren aur ainda ihtiyaat keren.
  19. Jazakallah khair Saeedi baee, meri bee yahi rai thee kay yahan per shahid ba mana muhafiz aya heh keun kay hadith kay aglay hissay meh Allah subhana wa ta'ala ko WATCHER bola gaya heh, aur wacher guard nigraan hee hota heh is leyeh Isa alayahis salam ka farmana kay meh nigraan thah jab taq meh mojood thah in meh jab mujjay uthaya gaya toh heh Allah tooh nigran thah in per aur tooh is sab per gawah heh. Toheedi baee Allah aap ko jaza e khair deh, aap kee post number 9 nay masly ko sulja deeya heh. Maqalaat e Qazmi, Sayyid Saeed Ahmad Qazmi alayhi rehma kee kitaab meh aap kay mowaqif kee tasdeeq mojood heh. Aap ka response pernay kay baad mujjay yaad aya.
  20. Mustafvi sahib aap nay yeh hadith pesh kee: Narrated Abu Huraira: Al-Hasan bin 'All took a date from the dates of the sadaqa and put it in his mouth. The Prophet said (to him) in Persian, "Kakh, kakh! (i.e. Don't you know that we do not eat the sadaqa (i.e. what is given in charity) (charity is the dirt of the people))." (Bukhari, Book #52, Hadith #306) Muslim shareef kee hadith meh yeh ilfaaz hen: Abu Huraira reported that Hasan b. 'Ali took one of The dates of the sadaqa and put it in his mouth, whereupon the Prophet (may peace be upon him) said: Leave it, leave it, throw it; don't you know that we do not eat the sadaqa? (Muslim, Book #005, Hadith #2339) Yeh lafz la ilmi per nahin bola jata magar bhoolnay per bola jata heh. Yehni jis ko masla toh maloom ho, waqia to maloom ho magar bhool gaya ho ...
  21. Salam, Jazakallah khair Toheedi baee, aap kee wazahat nay maslay kee samaj meh thori asaani ker deeh. RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) aur Ummatoon per bator e gawa pesh hoon gay aur un per gawahi be denh gay magar apni Ummat kay gumra logoon kay mutaliq wohi ilfaaz istimal keren gay joh Hadhrat Isa (alaayhis salam) nay istimal keeyeh. Ahadith say sabat heh kay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko hayaat meh hee ilm thah kay khariji waghera firkay niklenh gay ... Is leyeh la'ilmi kee kohi tuq nahin banti. Balkay RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) aajzi o inkasari humility meh apnay ilm kee nafi keren gay keun kay joh sawal kernay wala heh woh Allah kee zaat heh aur woh sab janta heh is leyeh adban nafi inkasari o aajzi keren gay. Agar kohi mazeed mawad ho is per toh zeroor pesh keren. Mujjay tafseelan english meh Wahhabiyoon ko jawab likhna heh is ihtiraaz per magar socha kay aap Sunni baeeyoon kee khidmat meh is ihtiraaz ko pesh ker doon taqay mazeed ilm meh izafa ho sakay. insha'allan jald meh article complete ker doon ga.
  22. salam, Janab meh nay sari kitab per'ree heh mujjay meray ihtiraaz ka jawab nahin milla. Narrated Ibn Abbas: The Prophet said, "You will be gathered (on the Day of Judgment), bare-footed, naked and not circumcised." He then recited:--'As We began the first creation, We, shall repeat it: A Promise We have undertaken: Truly we shall do it.' (21.104) He added, "The first to be dressed on the Day of Resurrection, will be Abraham, and some of my companions will be taken towards the left side (i.e. to the (Hell) Fire), and I will say: 'My companions! My companions!' It will be said: 'They renegade from Islam after you left them.' Then I will say as the Pious slave of Allah (i.e. Jesus) said. 'And I was a witness Over them while I dwelt amongst them. When You took me up You were the Watcher over them, And You are a witness to all things. If You punish them. They are Your slaves And if You forgive them, Verily you, only You are the All-Mighty, the All-Wise." (5.120-121) ( Bukhari, Book 55 , Hadith 568) Narrted Ibn Abbas: Allah's Apostle said, "You will be resurrected (and assembled) bare-footed, naked and uncircumcised." The Prophet then recited the Divine Verse:-- "As We began the first creation, We shall repeat it: A promise We have undertaken. Truly we shall do it." (21.104) He added, "The first to be dressed will be Abraham. Then some of my companions will take to the right and to the left. I will say: 'My companions! 'It will be said, 'They had been renegades since you left them.' I will then say what the Pious Slave Jesus, the son of Mary said: 'And I was a witness over them while I dwelt amongst them; when You did take me up, You were the Watcher over them, and You are a witness to all things. If You punish them, they are Your slaves, and if you forgive them, You, only You are the All-Mighty the All-Wise.' " (5.117-118) Narrated Quaggas, "Those were the apostates who renegade from Islam during the Caliphate of Abu Bakr who fought them". (Bukhari, Book 55, Hadith 656) In ahadith say yahi sabat hota heh kay RasoolAllah ko apni ummat kay mutaliq kuch ilm nahin keun kay woh dunya say rukhsat ho gahay hen. Yeh ahadith aqeeda e hadhir nadhir kay khilaaf hen.
  23. MuhammedAli

    Hadhir Nadhir Objection

    Sahih Bukhari, Book 60, Hadith 149 say sabat hota heh kay RasoolAllah ko apni Ummat kay mutalliq faut ho janay kay baad kuch ilm nahin hoga.
×
×
  • Create New...