Jump to content

MuhammedAli

اراکین
  • کل پوسٹس

    1,569
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    112

سب کچھ MuhammedAli نے پوسٹ کیا

  1. Ek Wahhabi maulvi joh Derby kee Hasting Street ka Imam heh muj say thori dehr kay leyeh baat huwi. Bicharay nay kaha kay Hadith meh Ummat kay ilfaaz Musalmanoon kay leyeh hen aur puri Ummat kay leyeh. Khadam nay jawaban Arabian peninsula meh Shirk nah honay wali hadith pesh kee aur wazahat kee kay us waqt taq shrik nahin hoga jab taq musalman mar nah jahen [is ka saboot kitabut tawheed walay article meh heh] aur hadith say min ummati kee takhsees aur tafseel farman e RasoolAllah say kee jis say sabat huwa kay yeh hadith Araboon kay baray meh heh. Dosra hadith say sabat keeya kay yeh us waqt hoga jab musalman mar jahen gay. [is ka saboot ooper walay article meh mojood heh] Janab ko jawab meh kuch nah aya sirf damagh istimal kernay kee hujjatoon kay saath ... [lol he got bit upset with being put on tight spot so he resorted to ... damagh istimal kerna chahyeh, his tactic; pretend to be correct and give advice to opponent and ur falowers will think ur winning, lol] ... hadith kay ilfaaz mutlaq hen muqayyid kesay ker saktay ho aur us kay saath maulvi nay kaha kay Ulamah nay is hadith ko istera nahin samja jistera tum nay samja heh .... tesra point yeh thah kay yeh aakhuruz zama kee ahadith hen jin say meh yehni Muhammad Ali Razavi nay takhsees kee heh aur yeh hadith akhuruz zama kay leyeh nahin is leyeh takhsees darust nahin. Janab ko jawab deta magar us nay chup nah kee aur mujjay bolnay ka moqa nah deeya. Jab meh nay kaha kay janab ko meri baat kee samaj nahin aahi chela bol pera aur maulvi kee wazahateh kernay laga kay maulvi kia keh raha heh. Meh nay bataya kay mujjay pata heh maulvi kia keh raha heh is ko maulvi ko meray dalail kee samaj aur line of argument kee samaj nahin aahi. Meh is'see chelay kay saath maghz mari meh thah kay Wahhabi maulvi chalta bana. Khadam nay be roka nah keun kay chelay kee dokaan thee is leyeh munasab nah samja kay rokoon aur mazeed khabr loon. Yeh article us kee pehli argument yehni meri Ummat kay ilfaaz mualmanoon kay wastay hen per heh: Study Of The Word Ummah To Understand; “… The Last Hour Will Not Come Until … Tribes Of My Ummah Worship Idols.” Baqi teen points kee wazahat ek hee article meh ker doon ga, agar kohi chahay toh. Warna khadam ka samajta heh kay is kee zeroorat nahin.
  2. Janab qanda qanday say mila ker aur takhna takhnay say mila ker khara hona mohal heh. Do banday ya char panch banday ker kay dekh lenh. aur mujjay be bata denh kay esa keeya ja sakta heh ya nahin.
  3. Another article attacking the source of this heretical belief that Muslim Ummah will worship idols or is worshipping idols: Truth About Kitab Ut-Tawheed’S Chapter: “Some People Of This Ummah Will Worship Idols.”This is refutation to Muhammad bin Abdul Wahhab's book Kitab at-Tawheed. He was the first person to start this fitna that Ummah is worshiping idols. No one accused the Muslims of worshiping idols before this shaytaan. Even the Khawarij accused Muslims of commiting Shirk but not accused anyone of worshipping idols etc ....
  4. Musalman mushrik ho sakta heh, aur musalman mushrik huway hen. Ummat mojmo'i tor per Shirk nahin keray gee. Ummat kay jamhoor, sawad al azam Shirk nahin keray gee.
  5. Meh pehlay bot orientalists kee kitabeh perta thah. Thamos carlyle, Sinclair Tisdall, waghera sab meethi choori walay shaytaan hen. Yeh liberal aur honest objective research kee arh meh deen e islam kee jarren khodta hen. Agar is ka bass chalay toh yeh Islam ka wohi haal keren joh inoon nay Christianity ka keeya heh. Aista Aista inoon nay christianity ko bilqul deconstruct ker kay rakh deeya heh.
  6. Salam alayqum wr wb, Meri behan English kee kitaben aap nah pera keren. Deen Urdu meh seekh sakti hen ya Arabi meh English kitaboon say nahin aur agar English kitab perni ho toh phir wohi peren joh Sunni aalim kee likhi ho KISSI ENGLANDI UNIVERSITY KAY PROFFESOR ki nahin. Jin sufiyoon ki spiritual development music say hoti heh woh saath chars, bhang, saal meh ek daffa ghusul kertay hen. Joh muttabe Shariat aur sahib e ilm hotay hen woh in paleed cheezoon say door rehtay hen.
  7. Pehli baat toh yeh heh kay Deobandiat kay uqabir Ulamah kay aqahid o nazriat per tanqeed kerni chahyeh. Dosri baat deobandiat meh joh majority opinion heh ussee ko jammat ka opinion lena chahyeh aur agar kohi is kay khialf jata heh toh ussay fringe eliment samja jahay. Aur fringe eliment ko jammat say mansoob kerna ya fringe eliment kay nazriyeh ko puri deobandiat ka nazria bana ker pesh kerna kabi darust nahin. Aur jab kohi Sunni esa kerta heh kay fringe kay aqahid ko mainstream firqa kay nazriat batata heh ya anjanay meh esa tassur deta heh kay yeh mainstream firqa kay aqahid hen toh joh logh mainstream firqa say talluq rakhtay hen woh aap kay mowaqif kee teen lines perh ker sunni ko LIAR declare ker denh gay. Un meh mashoor kia heh, Barelwi bila waja jhoot boltay hen, jhootay ilzam lagatay hen hamaray ulamah per aur jab kohi Sunni fringe kay aqeedeh ko mainstream ka aqeedah batata heh ya essay andaaz meh likhta heh jis say fringe ka aqeedah mainstream ka aqeeda maloom ho toh pernay wala mainstream firqa deobandiat say talluq rakhnay wala aap ko jhoota karar deh ga aur joh us nay suna heh barelwi jhoot gar gar ker deobandiat kay khilaf likhtay hen woh us kay leyeh sabat ho jahay ga. Asoolan yeh hona chahyeh kay fringe eliment ko mainstream say mansoob nahin kerna chahyeh aur fringe eliment kee bunyad per mainstream per chot nahin kerni chahyeh. Balkay criticism ka nishana woh banda hona chahyeh jis nay essi wesi baat kee aur us kay hawariyoon. Aur us say bee behtr yeh kay saath likh deeya jahay kay likhnay walay ko ilm heh kay yeh Deobandi jammat ka nazria nahin magar is per khamoshi jurm heh, ya kuch be case banaya gaya ho magar ilaan zeroori heh taqay joh mainstream opinion walay hen kam say kam aap kee ek point ko toh sarahen gay. Thora husn e zann peda hoga, aur yeh samaj leh thora sa husn e zan peda hona esa heh jesay pathar par pani ka qatra. Agar qatray girtay rahen toh pathar toot jata heh issee tera agar husn e zann barta rahay toh banda maslak qabool ker leta heh. Khadam kay saath kuch esa hee huwa. Mujjay bataya gaya thah Barelwi RasoolAllah ko bashr nahin mantay, meh nay kaha meh barelwi thah toh manta thah, jawab mila kay woh is waja say kay tum per Ahle Sunnat ka asr thah warna asli nahin mantay. meh nay maan leeya is ko. Is'see tera har maslay meh taqriban jhoot bola gaya. Magar jab Sayyidi Ala Hazrat kay maslak pera to asal maloom huwi. Aista aista husn e zan barta gaya; yar yeh ahmad khan brelwi wohi toh heh jis ko quran ka tarjuma be sahih kerna naseeb nahin huwa aur yeh kehta heh maklooq ko sajda jaiz nahin. kehta he RasoolAllah (salalahu alayhi was'sallam) bashr hen, waghera ... is nay toh itni kitabeh likhi hen, fatawa razaviya is ka heh meh samajta thah is nay kabi kohi hadith nahin peri hogi yeh kia. Is per Deobandi mauvliyoon kay jhoot, Quran meh ilm e ghayb ka kohi saboot nahin, hadhir nadhir kee kohi daleel nahin, Noor honay kee kohi daleel nahin, tehqeeq kee toh is kay khilaaf paya aur husn e zan barta gaya aur aakhir meh jab gustakhana ibaraat ka pata chala meh nay Deobandiat ko khair baad kaha. Magar bunyaad choti choti batoon say husn e zan peda honay say huwi. Allama iqbal kehtay hen joh baat shikwa meh joh baat dil say nikalti heh taqat e parwaz rakhti heh, aur wohi likhi janay kay qabil heh joh dil say ho. Mowaqif yahi hona chayeh kay joh kaha ghalat kaha.
  8. Syed Turab Ul Haq al Qadri Allah tallah un per keroon rehmateh behjay jayyid Aalim e deen hen. Unoon nay kabi bee apnay bayanat meh esa tareeka nahin apnaya joh in hazrat nay apnaya heh. Khadam, Syed Turab ul Haq qadri sahib ko, Maulana Saeed Assad, Maulana Ashraf Sehalvi (rahimullah), Allama Abdul Ghafoor Hazarvi (rahimullah), Allama Syed Saeed Ahmad Qazmi (rahimullah), Maulana Kokab Noorani, Maulana Shah Ahmad Noorani (rahimullah), Maulana Madni Miyan, Maulana Hashmi Mian, aur Sayyidi Ala Hazrat alayhi rehma aur joh un say munsalik Ulamah hen unoon nay tareekay aur saleekay say jin masail me kuffr heh samjaya heh baghair comprimise kay. Aur esa hee hona chahyeh. Aamir Liaqat kafi arsa pehlay yeh Shiyoon kee mehfil meh gaya thah us meh biyan kay doran is say Sahabah kee shan meh gustakhi kee thee. Phir aap ko is kay kirdar kay baray meh maloom hoga. Yeh Televanglist type banda heh. jis nay pesay deeyeh hoon us ko kush kernay kay leyeh bilqul wohi kuch kahay ga.
  9. Agar aap nay mera likha huwa pera aur ghor keeya hota toh meh nay dunya meh kohi Shia musalman nahin chora. Aur jo bachay hen apni jahalat kee bina per bachay hen. Is per ghor keren: "Joh Shia, Quran meh tehreef ka aqeeda rakhta ho, Jibraeel ka Wahi ko ghalat banday ko pochana, Sahabah ko gali deh, Allah kay leyeh esa aqeeda rakhay jis say nuqs sabat ho, Hazrat Abu Bakr kee khilafat ka munkir ho, Azwaj e Rasool kay ahle bayt honay ka, ashaab e Rasool ka behtreen ummat yehni ummah khaira honay ka munkir ho, waghera, woh kaffir heh." Aqeedah woh hota heh joh iqrarum bil lisaani ho nah aap taseeq bil qalb ker saktay hen aur nah maulvi. Sharan jaiz nahin kay kissi kay biyaan kerda aqeedeh ko is waja say reject keeya jahay kay motbar nahin. Bukhar o Muslim kee hadith meh Sahabi nay ek mushrik ko qatal ker deeya jab kay woh kalmah per chuka. RasoolAllah ko maloom huwa toh poocha tooh nay ussay qatal keeya jab woh kalma par chuka Sahabi nay kaha jaan bachanay kay leyeh kalma pera thah us nay ... RasoolAllah salallahu alayhi wassallam yeh sawal pochtay rahay hatta kay sahabi itna sharminda huwa kay khiyaal keeya kay kash meh peda hee nah hota. Ahle Sunnat iqrarum bil lisaani ko motbar jantay hen qiyasat kee bina per kissi ka aqeedah rad nahin keeya ja sakta jab taq wazia saboot nah ho. Misaal kay tor per joh aap nay likha heh; kay agar kohi kissi aqedeh ka inqar kerta heh toh ussay kalma per ker mualman hona chahyeh. Janab ko agar kohi Wahhabi ilzaam deh kay tum qabar waloon kee ibadat kertay ho aur un ko khuda mantay ho, toh kia aap kalmah per ker musalman ho jahen gay ya phir ilzaam kee tardeed meh apna aqeeda batahen gay? Aap ka aqeedah joh aap batahen us ko keun mana jahay iqrarum bil lisaani toh heh jistera Shia krta heh. Samjen kay Wahhabi aap ko yeh ilzaam deh raha heh: agar aap kabaroon kee ibadat aur un kay khuda honay ka inkar kartay hain kay mariay aqaid aisay nahe to ap ko cahhay tuba kar kay islam qubool karayn warna ap ka inkar mo'atabar nahee kay inkar bhe keay jaiay aur saath bhe unhe kay ho. Khadam ka advice sirf yeh thah kay joh banda joh aqeeda zahir keray us ko us kay mutabiq judge keren keun kay dil ka pata nahin aur dosra har ek banday kay baray meh yeh samajna nahin chayhe kay ussay har aqeedeh ka ilm heh aur dosra bot say firqay hen. in sab kay aqahid ek jesay nahin. Aap nay kabi kissi Shia Aalim ko suna nahin. Ek Shia aalim heh us ka naam Dhakoo heh us ko sun lenh ap ko pata lagay ga kay jin ko aap suntay hen aur joh Dhako heh us kay aqahid aur Zakiroon meh kia farq heh. Aaj kal Nusairi Shia bot active hen. Athna Ashari Asool Jafri shia active nahin, aur in kay aqahid o nazriyat meh bot farq heh, aap sirf Nusairiyoon kay aqahidko jantay hen kay Allah bhool gaya, jhoot bolta heh, joh chahta heh ker nahin sakta, Athna Ashari Asool Jafir in sab aqahid ko kufr jantay hen. Meh sunni honay say pehlay Deobandi thah, aur Haq Nawaz Jhangvi, Zia ur Rehman Farooqi, Isaarul Qasmi, Mohsan Raza Farooqi, waghera meray ideal thay. Meh Deobandiat say haqiqatan impress innee kee waja say huwa aur phir Derby kay Deobandiyoon say dosti huwi aur kitabeh khareed ker perta raha aur deoabndi huwa. meh achi tera janta hoon kay Shia kay kia aqahid hen, kis firqeh kay kia aqahd hen aur kon kon say firqay hen 6 saal yeh mera pesha thah jistera say 8 saal say ziyada ka arsa Ahle Sunnat kay aqahid o nazriyat kee study aur likh raha hoon. Aap nay kabi Asool e Kafi, al istibrar, dekhi nahin hoon gi meh nay peri hen. Aap ko yeh be pata nahin hoga kay kon kon say aqahid kis firqay hen khadam yeh be janta heh, yeh joh upper paste keeya gaya heh, Nusairi, Athna Ashari Jafri Asool, Athna Ashari Akbari, aur Ismailiyoon kay aqahid o nazirat ka majmoa heh kissi ek firqay kay aqahid nahin.
  10. Meri behan Shia meh bot say firqay hen saroon kaya aqahid ek jesay nahin. Hammeh joh banda jistera apnay aqahid batahay hammeh us kay mutabiq judge kerna chahyeh. Agar kohi apnay aqahid ko chupata heh toh hammeh kia nuqsaan heh. Agar kohi Quran meh tehreef ka aqeedah rakhta heh aur chupata heh toh hammeh kia nuqsaan heh. Yeh us ka zaati masla heh han jab woh banda apnay aqeedeh ko pehlahay ga aur logoon ko gumra keray ga hammeh phir bolna chahyeh. Shia awaam bichari itni hee jahil heh jitni Sunni awaam balkay Shia ziyada jahil hen. In kay Zakir istera biyan kertay hen: "Maula Ali jab goray per sawar huway ...." toh joh awaam bethi hoti heh; wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, zakir; "... aur jab goray ko doraya toh hawa be saath dor peri." aur awaam; wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah aur awaam; wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah, aur awaam; wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah aur awaam; wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah aur awaam; wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, wah, jeeyo, jeeyo, wah, wah, jeeyo, wah, wah, wah. Meh nay kabi kissi Shia ko biyan kay doran kabi kohi Quran pertay nahin suna. In ko yeh pata nahin hota kay in kay firqeh ka aqeeda kia heh Quran meh joh likha heh us ka ilm toh bot door kee baat. Joh Shia, Quran meh tehreef ka aqeeda rakhta ho, Jibraeel ka Wahi ko ghalat banday ko pochana, Sahabah ko gali deh, Allah kay leyeh esa aqeeda rakhay jis say nuqs sabat ho, Hazrat Abu Bakr kee khilafat ka munkir ho, Azwaj e Rasool kay ahle bayt honay ka, ashaab e Rasool ka behtreen ummat yehni ummah khaira honay ka munkir ho, waghera, woh kaffir heh.
  11. Baee har Shia kafir nahin heh. Rafzi Shia kafir. Shia aur Rafziyoon meh farq heh. Magar yeh hazrat joh be hen in ko wazahat kerni chahyeh thee achi tera. Ek Aalim kee responsibility heh kay woh apni envoriment say waqif aur envoriment kay mutabiq jawab deh. Misaal kay tor per, ek banda thah us kay bakri bemari thee us nay apnay parosi say poocha; array baee jab tumari bakri bemar huwi toh kia dawa istimal kee thee. Parosi nay jawab deeya; matti ka telh, parosi gaya aur us nay be apni bakri ko matti ka telh pilaya. Phir us nay apnay parosi say kaha array baee meri bakri toh matti ka telh pee ker mar gahi heh, parsohi nay jawab deeya mar toh meri be gahi thee. Matlab yeh kay sawal ka jawab sirf itni detail meh nahin dena chahyeh jis say nuqsaan ho. Ikhlaaqi farz banta heh kay tafseel say jawab deeya jahay esay nazuk masail meh takay joh beguna hen woh bach saken aur joh mujrim hen woh pechanay ja saken. Ek Tv program dekha jis meh Shia aalim say ek presenter sawal ker raha heh, kia aap Hazrat Abu Bakr ko kafir kehtay hen. Shia nay jawab deeya joh kissi Sahabi ko kaffir janay woh bila shak o shuba kafir heh. Nateeja kia nikla, Shia toh Hazrat Abu Bakr ko Sahabi manta hee nahin balkay woh toh munafiq aur kafir honay kay qail hen aur Sunni Hazrat Abu Bakr ko Sahabi mantay hen. Abh Shia kay jawab ko sun ker joh jis ka apna aqeedah heh kay Hazrat Abu Bakr Sahabi hen woh Shia kay jawab ka mafoom leh ga kay joh banda Hazrat Abu Bakr ko kafir kahay khud kafir heh. Aur haqiqat yeh heh kay us banday nay Hazrat Abu Bakr ko Shiyoon kay aqeedeh kay mutabiq Sahabiat say kharij jana aur jaan booj ker esay ilfaaz istimal keeyeh jis say us ko Hazrat Abu Bakr ko musalman kehna nah peray aur dosra faida huwa kay directly kaffir nah kaha is say joh Shia kay baray meh mashoor heh kay woh Sahabah kee toheen kertay hen us ka be rad ho gaya. Aur Shia ko toh maloom hee hota heh kay un ka maulvi kia keh raha heh keun kay in kay saray maulvi isharatan Sahabah kee shaan meh gustakhi kertay hen apnay bayanaat meh. Misaal kay tor per yeh Shaytaan Aamir Liaqat, yeh Shia majlis meh gaya aur Hazrat Abu Bakr kay mutaliq yeh kaha: "... kahan gahay betiyan denay walay ..." aur context meh Hazrat Abu Bakr per tanz ker raha thah.
  12. I am fully aware of my language and how accurately i described him. I am sorry but i do not share your idealic respect and love of maulvis.
  13. If you decide to put speeches on your site, make sure they are speeches of people who speak and not scream, last person you want on ur site is someone like Tokay wali sarkar, you dont want Mustafa Qureshi, or Sultan Rahi, or Mr bean type scholars. there is nothing wrong with aqeedah of Mufti Muhammad Yusuf Razavi aka tokay wali sarkar, but his manner of delivering a speech is very unacademic and very much like a jahil. Deobandis Wahhabis do not listen and factually no one wants to listen to someone screaming, yelling, times have changed and we have to change our ways how we present our deen to people. What was acceptable is no longer acceptable any longer. You have to make decisions ... good decisions. Learn from mistakes and improve. That was the advice i could offer you.
  14. Salam alaqum wr wb, brother my advice for you is to keep the website simple, When i opened the page two things start out, the header of the page, and the books passing from right to the left. You need to minmize the header and you need to minimize the books going past. it should be big enough to be seen but not big enough that it covers half of screen. Also note that anything moving on the front page will automatically attract the attention eye. If people dont like what they see moving chances are they will leave. People decide to stay or leave a site in 10/15 seconds. Keep the website simple as possible but elegant. Writting should be readable but not in your face and the colours should be easy on the eyes not so difficult that people cant see and writting style syle should be something simple elegant not:Keroon Kia Meh Wahabia, Aqal Pay Matam Teri. uncoventional and over powering. Keep your writting academic; dont slander, dont disrespect Wahhabis or their scholars. Most people will leave straight away if their loved religious personality is disrespected, or they will disregard what you write. You have to explain your point of view in simple language, and in a way the points are easily accessible to a average intellect. When you write about a topic carefully analyze what you write. And when you write always write in neutral manner, as if you are not wrtting your own aqeedah but only stating whats written in the Quran or hadith. Dont focus on images posters, focus on the quality of the content. When you quote a book reference also provide a link to it liketh this [1] so the reader can click on the link and actually see the scan. On the scan page clearly under line the content you referenced. Its not okay to say, this is gustakhi of Prophet sallalahu alayhi was'sallam, and not explain why it is gustakhi, and please dont write; its gustakhi because a imam of our age has said so. No explain the reason why Imam said, how linguistically it means insult, how the phrase is used... in language then establish evidence from Quran hadith. Always write a base FIRST article and then move onto issues related to it. For example, if you going to write about Milaad not being innovation, FIRST WRITE DEFINITION OF INNOVATION with evidences. Once you have written that article proceed to write about definition of innovation, then write about why Milad is not innovation, in this way the readers will be able to read the definition of innovation, and then understand you reasons why milad isnt innovation. If you write about gustakhana ibarat, first write about how we determine a insult, what type of language is considred insult, how people insult each other, then write what will be insult in context of Prophet, talking loud is disrespectful ... write about the punishment of insulting Prophet sallahau alayhi was'sallam, then write about the actual issues. This way people have all the back ground information and then they will be able to understand why so and so statement is gustakhana. What i am sugesting is be systematic, methodological, plan what you going to write about and then write about. Many times when you write you will come to realise a sub-topic needs to be written about, make sure you make note of that, and then you write about it. Focuse on the content, how you present the content. not the images and pictures. Beauty is in simplicity.
  15. MuhammedAli

    Poetical Representations.

    Nazriati Ikhtilaf Raazi jab Allah ho, ho jab raazi Bagwan. Seeta Geeta jab raazi, raazi ho Rehman. Kafir, Mushrik, Sab naraz, qaim jab Islam. Raazi ho jab Allah, naraz ho jab shaytaan. Meh theek, too theek, hen sab to musalman. Ittihad wastay sab theek, daleel he farman. Theek toh sab theek he, theek he sab Islam. Door raho sab be'eman, farmaya Rab e Rahman. Quran ki Ummat khair he Ahle Sunnat ke pechaan Yad ker amr maroof o munkir wala Nabi ka farman. Theek heh rasta, theek, teen qawloon kay darmiyan Theek he sada haq, buland kerna, khilaf be-eman. Yeh un sufiyoon kay khilaaf likhi joh ghalt ko ghalt kehna najaiz samajtay hen. Aur ghalt ko ghalt kehna chahtay nahin is waja say say agar ghalt ko ghalt kaha toh izzat me kami hogi aur faradi sufiat peace love tolerance wali image kharab ho jahay gee. Aur kutta aur khanzeer naraz ho jahen gay muj say aur keun kay meh bot bara sufi hoon is leyeh khamosh rehna chahyeh. ============================== Tafsir bil ra'i: Kohi momin musalman kerta nahin kabi Tafsir bil ra'y Keray tafsir bil ra'y, jahanumi kafiroon wali heh yeh jurrat teri Joh huween theen nazil asnaam e mushrikeenh kay wastay Musalmanoon per chispan keray, ajab heh yeh hamaqat teri, Shar'rul khalaiq kay huway misdaq, ziayada agar kahoon; Mashriki qarn e kuffr say ho, to bi samajna yeh sharafat meri, Wala qad yassir nal Qur'ana ko per ker phir be samaj nah paya Jaan leh Nabi nay hadith meh bewaqoofi batahi thee asliyat teri, ============================== Nara e Tehqeeq Kay Rafzi Dushman: Jissay char yaar say piyar ho Nah ussay haq char yar say khar ho. Tooh Nara Haidri per har dam tiyar ho Sirf Bakr Omar Usman say tujjay bukhar ho. Tafzili, Rafzi kay nazranay khanay per tiyar ho, Haram khor phir tahirun say keyun nah bezar ho Tanqeed e Raza per nah sirf tera ikhtisaar ho, Tabarah e Sahabah say tujjay khoob piyar ho Rafz'iat kay bister meh tera har ek Tafzili yar ho Sahabi ko bhonkay, Shiat ke rah tuj say hamwar ho Peren qabr meh tujjay keereh, teri muridiat ka yahi hal ho. Heh khuda dua heh meri tuj say jhooti meri is kee kha'al ho. Dunya o akhirat meh misl e khanzeer tera haal ho Heh meri dua Rabb say, lanat tum pay be shumar ho, ============================== Wahhabiat Ki Asliyat: Keroon Kia Meh Wahabia, Aqal Pay Matam Teri. Quran Nah Samaj Saka, Bewaqufi Asliyat Teri, Utray Nah Quran Halq Say, Paleed He Khalq Teri, Najd Say Nikla He, Thi Mashrik Me, Kufr e Qarn Teri, Dua e Rasool Say Be Marum Raha, E'si Bad'bakhti Teri, Tera Qatal Qom e Aad Sa Kerun, Pakeeza Khawahish Meri Buland Kee Sada e Insaaf Tooh Nay, Quran Meh zikr e Hamaqat Teri, Adab e Risalat Malhooz Na Rakh Saka, He Khawaisiri Fitrat Teri, Gustakhi Teri Fitrat, Gustakh e Ambiyah o Muqaribeen Heh Itrat Teri, Tera Qatal Keroon He O Be'gherat , Umar O Khalid See Niyat Meri, Teri Namaz esi Kay Ashab Be Sharmahen, Nabi Nay Batahi Nishani Teri, Teer Jesay Kharij Ho nishan Say, Kharij Hoti He Tuj Say Musalmani Teri, Baghawat o takfir, qatil e aam, Mushrik, biddat thee aur heh nishani teri Ali Nay Zabiya Fi'sabililah Ki Teri fojh, yahi ho agar Ho Huk'marani Meri, Mashrik Say Nikla, Iraq Meh Thee Teen Qarnoon Say Jang Teri, Abbas O Ali To Is taraf, Mukhalif He In Ki Zul Khawaisiri Foj Teri, Fatawah e Shirk Ali Pay Lagen, Aj Be Chalti He Shirki Gun Teri. Ali Ki Tawheed Per Qurban Jahun, Wohi Fatweh Hen Aj Sadat Meri. ============================== Aur be bot likhi theen, magar la parwahi kee waja say zaya ho gaheen. Ek bot lambi thee jis meh Wahhabi ko Ilm e Ghayb per ihtirazat ka jawab thah, ek kafi lambi two pages wali ek Deobandi poem ka jawab thah jis meh unoon nay Ahle Sunnat per ihtiraaz keeyeh thay Hindu kay ihtirzat Hindoon ban ker likhi gaee thee. Deobandi ban kay hindu kehta heh tooh Mushrik musalman ko Kesay tehrahay Mushrik joh manay Surah al kafiroon kay farman ko ... Hindu heh Mushrik, keun kay manay woh but meh khudai shaan ko. Sunni manta heh khuda sirf Rab e Alameen Raheem o Rahman ko. ... waghera ... lambi thee is me us Deobandi poem kay har ihtiraaz ka jawab thah magar sab zayan ho gaya.
  16. Khudkhasi bila waja apni jaan ko, niyatan, iradatan, koshishan, apnay hathon say, kuch kha lena, ya unchi building say chalang lagana, ya chalti gari kay agay khara hona, yeh khud khasi heh. Khudkashi har halat meh haram heh. Apni amraaz ka ilaaj nah kerwana khudkashi nahin. Agar niyaat ho kay Allah (subhanahu wa ta'ala) sehat yaab keray ga, aur maut ho jahay toh shaheed kee maut heh. Apni ismat kay bachanay kay leyeh be khudkashi jaiz nahin. Agar khawand murtad ho jahay toh musalman aurat ka nikkah mansookh ho jata heh, talaq denay aur nah lenay kee zeroorat heh. Aurat ko iddat guzarni peray gee. Is kay ilawa aurat per joh be Nikkah meh sharahit rakhi gahi theen un per poora utarna zeroori nahin. Misaal kay tor per nikkah meh shart thee kay agar aurat talaq leh toh ussay mard ka deeya huwa haq mahir aur sona wapis kerna peray ga. Is shart per aurat ko amal kee zeroorat nahin keun kay aurat nay awal talaq nahin leeh mard murtad huwa. Kafir mard aur musalman aurat meh nikkah nahin ho sakta. Chaheh court meh forms fill keeyeh hoon, ya United Nations nay nikkah jaiz kerwaya ho.
  17. Kawwa khana kesa heh? Janab is sawal ka jawab kia doon, kabi khaya nahin, Deobandiyon say poochen kesa heh. Halway kay baray meh ham say poochen kay kesa heh toh ham bata saktay hen.
  18. Agar kissi aur maslay per wazahat talb kerni heh toh hazir e khidmat hoon. Apna taruf kerwa denh aur batahen kia aap Sunni hen ya pehlay Deobandi thay. Thora apna taruf kerwahen meray baee.
  19. As salamu alayqum wr wb Shukria meray baee Allah ta'ala aap ko jaza e khair deh.
  20. Bunyaad: Thora ghor o fikr kernay kaay baad meh nay note keeya kay Thanvi sahib kay mureed nay sara din kalma pera. Tehqeeq pesh e khidmat heh. Thanvi ka mureed khawab meh ghalt kalma perta heh: "La ilaha il allah ashraf ali RasoolAllah." Is ghalat kalmay kee islah per jagtay huway darood perta heh: Allah behij apni barkateh hamaray Sayyid per, aur hamaray Nabi aur Maula Ashraf Ali per ..." Abh agay meh aap ko mureed ka likha huwa pesh kerta hoon: "Halanh kay abh bedaar hoon, khawab nahin, lekin be ikhtiyar hoon, majboor hoon, zubaan apnay qaboo meh nahin, us roz esa hee kuch khiyaal raha toh dosray roz bedaari meh riqqat rahi khoob roya ..." Is ibarat meh khiyaal ba-mana nazriya istimal huwa heh. Dekhyeh aap jab baat kertay hen toh kehtay hen meray khiyaal meh esa ghalt heh aur esa darust heh, aap ka matlab hota heh kay meray nazriyeh meh esa ghalat aur esa darust heh. Note keryeh ga mureed ko khawab meh bee pata thah kay us ka kalmah ghalat heh, aur jagtay huway be us ko pata thah kay darood ghalat heh is leyeh yeh khiyaal imagination wala khiyaal nahin yeh khiyaal nazriyeh wala heh. Abh janab ka esa nazria sara din raha: "La ilaha il allah ashraf ali RasoolAllah." Allah behij apni barkateh hamaray Sayyid per, aur hamaray Nabi aur Maula Ashraf Ali per ..." Aur mureed ko dil meh toh pata hee thah kay us ka kalma aur darood ghalat heh aur woh islah kee khatar sara din zubaan say koshish kerta raha aur jab bee zubaan kholi yeh nazria nikla: "La ilaha il allah ashraf ali RasoolAllah." Allah behij apni barkateh hamaray Sayyid per, aur hamaray Nabi aur Maula Ashraf Ali per ..." is leyeh mureed nay likha: "... lekin be ikhtiyar hoon, majboor hoon, zubaan apnay qaboo meh nahin, us roz esa hee kuch NAZRIYA raha ..." Sawalat kay jawab: 1] Khawab per fatwah nahin thah balkay joh mureed nay sara din kalmah peray aur thanvi un kalmoon say raazi huwa fatwa us per thah 2] Pedari meh Kalmah ek dafa nahin sara din pera gaya. Abh toh tasalli ho gahi hogi nah kay sara din para gaya ya nahin? 3] Khawab per toh ihtiraaz har giz nahin. Thanvi sahib ka jawab saray waqia kay baray meh thah khawab kay baray meh nahin: "Is waqia meh tasalli thee ke jis kee taraf tum ruju kertay ho ba'una ta'ala mutta-beh sunnat heh." Agar Meem, Jeem, Noon, woh khawab ka rona roh raha heh aur Thanvi nay is puray waqia say apnay aap ko muttabeh sunnat sabat keeya heh. Abh meri taraf say teen sawalat: In sawalat ka jawab imandari aur apni gut feelings kay saath deejeeyeh ga. - Thanvi Sahib nay is puray waqia say joh mafoom akhaz keeya heh yehni: "Is waqia meh tasalli thee ke jis kee taraf tum ruju kertay ho ba'una ta'ala mutta-beh sunnat heh." Kia Thanvi sahib ka sirf yahi haq banta thah kay apnay haq meh is waqia ko is andaaz meh biyan kertay? - Thanvi sahib kay mureed nay jagtay huway darood meh Thanvi sahib ko Nabi tehraya: " Allah behij apni barkateh hamaray Sayyid per, aur hamaray Nabi aur Maula Ashraf Ali per ..." Kia Thanvi Sahib munkir kee rok kerna zeroori nahin thee? Char lafz hee Islah meh kehtay; "esa kehna kuffr heh." - Thanvi Sahib kay mureed ka darood pertay huway Thanvi Sahib ko Nabi manna aur is per Thanvi sahib ka khamosh rehna aur is pooray waqia ko apnay muttabeh Sunnat honay kee daleel banana, kuffr per raazi hona nahin? ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- Khadam nay pehli dafa is maslay ko satti nazr say dekha aur ghor o fikr nah keeh. Phir jab Ala Hazrat alayhi rehma ka likha huwa pera toh Thanvi sahib kee kitab kee ibaraat per ghor o fikr keeya. Jab is maslay per ghor fikr kee aur Thanvi sahib kee arwa e salasah kee ibarat ka ghor say mo'ina keeya toh zahir huwa kay Thanvi sahib kay mureed nay waqia hee sara din Kalmah pernay kee koshish kee magar Ashraf Ali perta raha. Is leyeh khadam nay post 43 meh thori tarmeem ker dali.
  21. As salamu alayqum wr wb Agar khamoshi behtr hoti to Sayyidi Ala Hazrat khamoshi ikhtiyaar kertay aur imaan e janab e Abu Talib kee tardeed nah kertay. Yeh ikhtilaaf aaj ka nahin pehlay say chala a raha heh magar phir be Ala Hazrat alayhi rehma nay iman e janab e Abu Talib kee tardeed kee aur kitaab likhi. Jee khamoshi us'see waqt taq behtr thee jab taq aap khamosh thay. Ham nay toh khamoshi ikhtiyaar kee huwi thee jis khamoshi ko aap nay torwaya aur abhi be khamoshi ikhtiyar keeyeh huway thay magar aap nay jawab per majboor keeya. Khamoshi mofeed us'see waqt thee jab aap nay sawal nahin keeya thah. Aap ko be pata hee thah kay yeh ikhtilafi masla heh toh aap ko chehr'na nahin chahyeh thah aur abh chehr deeya heh toh mera jawab be bardasht ker lenh. Yaqeenan aap ko hee nahin auroon ko be tardeed e imaan e Janab Abu Talib per dukh huwa hoga magar woh khamosh rahay aur behtr heh aap bee chup ker jahen. Allama Ahmad bin Zayni Dahlan rahimullah alayhi ta'ala martba e ilm meh Sayyidi Ala Hazrat Imam e Ahle Sunnat kay madd e muqabil nahin ustaad hen. Meh is baat ka qail hoon kay Sayyidi Ala Hazrat say leh ker Imam Mahdi (rahimullah alayhi ta'ala) kee pedaish taq kay arsay aur nuzul e Isa (alayhis salam), walay darmiyani arsay meh Ala Hazrat kee nazeer nah hoga. Taba Tabiyeen aur char Imamoon ko chor ker pedaish e Ala Hazrat taq, Sayyidi Ala Hazrat ka ilmi midaan meh kohi madd e muqabil nahin. Is leyeh aap kissi ko be daleel bana lenh Khadam Ala Hazrat kay mowaqif ko hee sahih aur haqiqat samajta heh aur meh is'see ko biyaan keroon ga. Khadam ko achi tera maloom heh kay kon say ikhtilafi masail hen is leyeh meh apnay dostoon aur Sunniyoon ko yahi advice deta hoon kay Ahle Sunnat meh agar kohi masla ikhtilafi ho jahay toh Ulamah aur awaam ko total silence ikhtiyar ker lena chahyeh. Keun kay jitnay logh is maslay meh peren gay utna masla bara hoga. Aur har banday kee zabt ek jesi nahin hoti is leyeh ek side ka banda jazbat meh kuch sakht kalamat kahay toh phir dosri party kay josheelay hazrat bee bardasht nahin kertay aur phir joh un kay saath ziyadti hoti heh us kee wazahat meh mimbar, TV per char jatay hen aur phir mukhalif party kay logh apna TV channel bana ker ya apnay bandon kay samnay sara issue biyan kertay hen aur Videos YOUTUBE per ana shoroon ho jati hen. Abhi kuch arsa pehlay hamaray Ahle Sunnat kay doh Mufti dari bilqul safed thee donoon kee. Ek nay ek maslay per Wahhabi mowaqif ko apnaya us per dosra joh traditional Ahle Sunnat aur Hanafi mowaqif ka representative thah, donoon kay darmiyan munazra huwa. Waja kia bani kay Ahle Sunnat kay representative nay dosray Mufti joh ghalti per thah us kee tanqeed kee munazra challengoon taq baat gahi, munazra huwa, aur joh baat do Muftiyoon kay darmiyan thee saray Ahle Sunnat meh pehal gaee. Aur nateeja yeh nikla kay abh is chotay say issue per do jamateh ban chuki hen joh apnay apnay mowaqif ko pehla rahi hen aur saath hee ikhtilaf ko be. Behtr yeh hota kay Ahle Sunnat Hanafi madhab ka Mufti khamosh rehta aur fatwah ussee tera deta joh Hanafi mowaqif heh aur us ko munazra waghera ka challenge taq nah leh ker jata. Nateeja kia hota, doh teen saal bad donoon buzurg faut ho jatay aur Ahle Sunnat micro sectarianism say bach jaati. Magar abh joh woh fasad chor ker jahen gay us ka nateeja Allah behtr janta heh kia nikla heh aur mazeed ki niklay ga. Joh Aalim Sunni ho aur us ka tareeq Ahle Sunnat kay mutabiq ho aur us ka asool Ahle Sunnat wala ho agar kissi ek maslay meh kohi ghalti kerta heh toh dar guzr ker deni chahyeh. Aur agar kohi Sunni Aalim esa rawaiya ikhtiyar keray kay sirf ek, do, masail nahin balkay bot say masail meh gumrahoon kay mowaqif ko apnahay aur phir difa keray toh us kay khilaaf zeroor bolna chahyeh. Aur essee doh shakhsiyaat Tahir Ul Qadir, dosra Rafzi Shia Abdul Qadir Tenchbatwi hen. Abdul Qadir ka qibla e ilm Shiat aur Tahir Ul Qadri ka qibla e fikr western ideals kay mutabiq Islam ko banana, Shiat. Khadam nay kafi arsa pehlay ek janab Aamir Ibrahim sahib thay joh apnay aap ko Sunni kehta thah magar Tahzir Un Naas kee ibarat ka difa aur Qasim Nanotavi, Ashraf Ali Thanvi, kay Islam kay leyeh taweelat kerta thah, khadam nay ussay samjaya aur hujjat kay baad us kee takfir kee jis kee zubani taeed Sayyidi Irfan Shah Sahib Mashadi nay gawa kee mojoodgi meh kee. Kafi maghz mari huwi, muj per bot say ilzaam lagay, hatta kay janab Aamir sahib nay apni likhi huwi ibarat say inqaar keeya. Aur kuch nah ban pera Aamir Sahib say toh ulta mujjay kazzab, dajjal, forgerer, gustakh e Sahabah o awliyah kay ilqaab say nawaz deeya, aur nateeja kia nikla joh Sunni pehlay mutafiq thay aur Wahhabiyoon kay khilaaf qamar band ker kharay thay abh un meh ittehad toot gaya. Sufi type logh joh Tariqat, Marifat, Haqiqat, Tasawwuf, peace, tolerance, roses, choclates, cute teddy bear, kee soch waloon nay us ka saath deeya aur joh thoray maulvi type thay unoon nay mera. Nateeja kia nikla ek ittehad toota aur Wahhabiyoon ko is ka faida huwa. Ham joh pehlay un kay khilaf thay ek dosray kay khilaf ho gahay. Joh meri thori ilmi credibility thee woh gahi, joh pehlay ihtibar kertay thay abh kazzab samaj ker door ho gahay. Aur joh thori izzat reh gahi thee woh jhootay ilzamat yehni gustakh e Sahabah o Awliyah kee waja say jaati rahi. Nateeja kia nikla joh thoray Sunni saath thay, ek, ek, kertay door ho gahay. Chalees pachas bandoon meh say sirf ek, do banday hen jinoon nay Aamir kay tactics ko samj kay saath deeya yeh Aamir sirf is leyeh MsAli per ilzaam laga raha heh kay is kee apni jaan pansi heh, magar majority door ho gai. Muj per personally is ka yeh effect huwa kay meh nay deeni mamulat say kinara kashi ker leeh aur orkut ko chor deeya. Wesay bee chor hee dena thah keun kay meray uncomprimising, unflinching attitude say saray tang thay, kohi community esi nahin thee jis say banned nah hoon aur kohi internet forum esa nahin jahan say banned nah huwa hoon apnay sakht rawaiyeh kee waja say. Hatta kay is forum say doh daffa banned ho chuka hoon pehlay. Magar tanhahi aur roz kee maghz mari behas say doori ka joh mujjay faida huwa. Ek dil meh narmi, aur dosra constructive kaam Ahle Sunnat kay nazriyat ko pesh kernay ka moqa milla. Aur apnay ek baee kay advice kee waja say yahan per ek dafa phir aya. Aap kay leyeh sabak yeh heh kay ikhtilafi masail meh bila zeroorat nah peren warna eman be kho bethen gay aur dost be. Ahle Sunnat kay wastay kaam keren kissi jammat ya maulvi ko faida kay leyeh nahin. Woh rawaiya, tareeka apna-hen jis say Ahle Sunnat ko faida ho aur koshish keren kay Ahle Sunnat meh ikhtilafi masail ko forums per nah laya keren, joh Sunni bat chukay hen un ko milahen.
×
×
  • Create New...