Jump to content

Shizz

Under Observation
  • کل پوسٹس

    52
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Shizz نے پوسٹ کیا

  1. ap ne kaha k mai ne topic change kia hai jb k mai is post mai ap se mukhatib nhi hon...
  2. touheedi bhai ne scan pages attach kiye wo sare arabi mai thay is lye mere kuch ziada samajh nhi aya mai abi quran ka tarjuma seekh rhi hon magar abi is qabil nhi hui k arbi ka urdu mai tarjuma kr sakon ku k abi seekhne k ibtedai marhalay mai hon...mai agar taqleed kr rhi hoti to mera jawab yaqeenan yehi hota k achaaa unho ne aisa kaha hai to yaqeenan thek hi kaha hoga is se is bat ki nafi hoti hai jo ye kehtay hain k hm taleed krtay hain...mai ne apni aik post mai shaheed ki misal di k unki zindagi ka saboot hme quran se milta hai or ye bhi k unko rizq dia ja rha hai agar mai ayat ka sirf itna hissa hi parhon to meri gumrahi k chances hain lekin agar mai poori ayat parhon to muje pata chalega k wo Allah k pas zinda hain or unhe Allah hi k pas rizq dia ja rha hai jis ka hme shaoor nhi hai agar murda sunta bhi hai to ye Allah ka kam hai k wo usay suna rha hai hme iska shaoor nhi hai... agar wo murday k is had tak qaail hain k murda jooton ki awaz sunta hai to thek hai warna agar unka ye aqeedah hai k murda sunn bhi sakta hai or hmari hajat poori bhi krwa sakta hai jesa k aap logon ka aqeedah hai to ye yaqeenan galat hai..dekhye quran or hadees k agay ksi ki bhi bat ko radd kia ja sakta hai magar ksi ki bat k ya qol k agay quran or hadees ko radd nhi kia ja sakta.... quran mai hai k zinda or murday barabar nhi ho saktay or aap S.A.W murdon ko nhi suna saktay ksi jahil shakhs se bhi poocha jayega to wo jawab dedega k is mai kia kaha ja rha hai ap ne tois ka matlab hi badal dia hai hai is se samaa qabool murad hai jb k is ayat se bilkul bhi wazeh nhi ho rha k is se samaa qabool ya or koi or samaa murad hai ap ne apni taraf se samaa ki bhi iqsam bana li…. agar hm is ayat ki tafseer parhen to hme pata chalega k ye kuffar k baray mai kaha ja rha hai ku k un na wo haqq bat suntay thay na samajhtay thay bilkul unka dil murda ho gaya tha or is ayat mai zindon se murad momin hai jo hr bat suntay thay or usay qabool krtay thay... hm agar quran ki tilawat krtay hain ya tarjuma parhtay hain to un ayat ko ye keh kr nhi chhor dete k ye to k ye to kuffar k baray mai nazil hui thi hmaray baray mai thori nazil hui hain jo jo ayaat kuffar k baray mai nazil hui hain hme usay ghor se parhna chahye k kin wojoohat ki bina pr unhe kafir kaha ja rha hai, surah baqrah ki aik ayat hai jis mai kaha ja rha hai k wo andhay hain behray hain goongay hain Allah ne un k dilon pr mohar laga di... is ayat ka agar hm apne uper rakh kr mawazna kren wo is tarah k agar hm namaz na parhen or burai or behayai k kamon mai lag jayen or hr wo kam kren jis se Allah k Nabi ne roka hai to yaqeenan hmari bhi yehi kafiat hogi hm andhay ho jayengay hme haqq or sach dikhai nhi dega hm behray hojayengay hme haqq ki baten buri lagne lagay gi or gongay ho jayengay ku jb hm haqq ko samjhengay hi nhi to bolengay kia??? maqsad samjhne ka yehi hai k jin ayat mai kuffar k baray mai kaha gaya hai k hm unki ibadat is lye krtay hain k wo hme Allah se qareeb krden.... aik or ayat mai kaha gaya hai k wo hmare sifarishi hain.. ap ye to hr giz nhi mane gay k ap jin buzurgon ki qabron pr aap charhaway charhatay hain un k nam ki ap niaz dila kr khana bantay hain wo un buzurgon ki ibadat hai magar ayat ka akhri hissa dekhye jis mai kaha gaya hai k wo hme Allah se qareeb krtay hain or hmare sifarishi hain... is ayat k lehaz se ap ka or unka maqsad aik hi hai ... magar ap shayad ap ye bhool rhay hain k Allah jis k lye chahay ga sirf usi k lye sifarish qabool krega to kia ye behtar nhi k un buzurgon ko khosh krne k bajaye Allah ko khosh kia jae ta k hmari sifarish ka chance pakka ho hojae. or yad rakhye agar hmari zindagi ka tarz e amal quran ki ksi ayat se takrata hua nazar aae to hm us ayat ko tabdeel krne ki hargiz koshish nhi krengay bal k apne us tarz e amal ko tabdeel krengay jo hmare Rabb k farman k khilaf ja rha hai.
  3. oh realy?????? muje bilkul bhi nhi pata tha k ap us forum k x super mod thay plzzzz aisa mat kryega... ap ko kia laga k mai ye sb kahongi ap se?shoq se jaye or apne ikhtiyarat ka najaaiz faida uthaye or meri koi aik nhi balke sari posts delete krwa den muje koi farq nhi parta magar us se pehle wahan aik thread hai "sirf ya Allah madad" k naam se usay zaroor paryega ye thread mai ne kahi se bhi coppy paste nhi kia hai balke khod banaya hai baqol ap k mai sirf coppy paste se hi kam chalati hon, is thread mai admin sahab ne khod behas mai hissa lia hai. or us k bad ye kryega k mai 8,10 forums pr mojood hoti hon ap kahen to mai un k links ap ko de sakti hon wahan pr bhi un forums k admin se kahyega k is larki ki sari posts delete kr den.... muje is pr bhi koi aitraz nhi hoga..
  4. bht hi betreen tareeqa hai logon ko gumrah krne ka un ko is chakkar bazi mai aisa phansaya jaye k wo quran or hadees ko chhor kr apki bat man le or us k pas taqleed k ilawah koi charah hi na rahay....
  5. aap apni nazar check krwaye ku k jitne jawabat mai us forum pr diye hain ksi or forum pr nhi diye or saare jawabat mere apne thay kahi se copy paste nhi kiye gae thay. ap ne us forum pr to kabhi zehmat nhi ki muje jawab dene ki , kia sirf gupshup section mai hi active hotay hain wahan pr ap?... ma,azrat k saath magar muje yahan aik kahawat yad aa rhi hai k apni gali mai_____ bhi shair hota hai.... wese muje ye kahawat bayan kr ne k lye 100 bar sochna para k kahin bura na lagay magar ap logon ki kia bat hai jo baray fakhar se is ko apne lye istemal krtay hain " sag" keh kr..
  6. aap logon ne aksar suna hoga peoples party k karkunan aksar naara lagatay hain k zinda hai bhutto zinda hai or kal bhi bhutto zinda tha aj bhi bhutto zinda hai ap un se aik bar zaroor pochyega k kia bhutto hme is waqt sunn or dekh rhe hain wo ap ko kia kahega ap achi tarah jantay hain. wo bhutto se mohabbat krtay hain or unke kehne ka maqsad sirf ye hota hai k bhutto un k dilon mai zinda hain..
  7. بولا کاش! میری قوم کو خبر ہو کہ خدا نے مجھے بخش دیا اور عزت والوں میں کیا سورة يس agar aap ye sabit krna chah rhay hain k murday sun saktay hain to ye bhi quran ki 1 soorat hai is mai 1 murda bol rha hai. or Hadees mai hai k murda kehta hai k "muje jaldi le chalo" to aap isay ku nhi sunn patay? or qubrustan mai qabron ki ziarat k waqt jo dua parhi jati hai wo sirf aik dua hai jis tarah khane khane ki sonay ki dua hai or ye unhe dua di jati hai k ap pr salamti ho hadees se sabit hai k murda juton ki aahat sunta hai.... magar is se ye kahan sabit hota hai k wo hr bat sunta hai... salam sun kr jawab ku nhi deta kia us mai sunnay ki hiss marne k bad bhi mojood hai or bolne ki nhi?? agar jawab deta hai to hm usay kyon nhi sun patay kia hm murdon se bhi gaye guzray hain k wo to hmari bat ko sun rhe hain or jawab bhi de rhe hain magar hm unki bat nhi sunn saktay..
  8. سورة البقرة154 اور جو لوگ خدا کی راہ میں مارے جائیں ان کی نسبت یہ کہنا کہ وہ مرے ہوئے ہیں (وہ مردہ نہیں) بلکہ زندہ ہیں لیکن تم نہیں جانتے agar mai kahon k shaheed mar chuka hai or aap kahen k nhi wo to zinda hai Quran keh rha hai...apni jaga aap bhi thek hain or mai bhi.. aap usi soorat mai thek keh rhay hain jb aap ye maan rhay hon k wo Allah k pas zinda hain kyon k جو لوگ خدا کی راہ میں مارے گئے ان کو مرے ہوئے نہ سمجھنا (وہ مرے ہوئے نہیں ہیں) بلکہ خدا کے نزدیک زندہ ہیں اور ان کو رزق مل رہا ہے جو کچھ خدا نے ان کو اپنے فضل سے بخش رکھا ہے اس میں خوش ہیں۔ lekin agar ap ye kahen k hme sun or dekh rhay hain to yaqeenan aap galat hain.. or mai is lye thek keh rhi hon k mai unki dunyawi zindagi k lehaz se bat kr rhi hon.. ku k mai ne quran mai parha hai سورة آل عمران ہر متنفس کو موت کا مزا چکھنا ہے agar shaheed ko Allah rizq de rha hai to wo Allah ka kaam hai hm ye to nhi keh saktay k say dunya mai rizq dia ja rha hai isi tarah agar Allah murdon ko juton ki ahat suwata hai to hm ye kese keh saktay hain k wo hmari hr bat sunn rha hai is se to jannat or dozakh ka tasawwor hi khatam hojata hai ku k agar insan naik hai to jannat mai jayega or agar gunahgar hai to dozakh mai lekin agar wo qabr mai hi mojood hai to phir kia kaha jayega ?
  9. کیا آپ میں اتنی بھی اہلیت نہیں کہ جس مسئلہ پر آپ گفتگو کرنا چاہیں اس کے مندرجات چاہے کسی مخصوص نظریہ کی حامل کتاب سے ہی نوٹ فرماکر ان کو اپنے الفاظ میں باقاعدہ استدلال کے ساتھ ترتیب دے سکیں ؟؟؟؟ تاکہ گفتگو کا ایک مربوط سلسلہ قائم ہو اور ہم سمیت دیگر قارئین کرام کا جو کہ علم کے متلاشی ہیں بھلا ہو ؟؟؟؟؟ Aabid inayat sahab kitna acha hota k yehi bat agar ap apne touheedi bhai se bhi keh dete meri urdu to ap ko samaj aa nhi rhi unki arbi samajh aa rhi hai?????
  10. meri post se ye kahan zahir hota hai k mai ne ksi ki taqleed ki? hm quran or hadees ki bat mantay hain chahe wo koi bhi kahe... agar mai ne ap se koi sawal kia or aap ne uska jawab quran or hadees ki ro se dia to kia mai aap ki muqallid ho gai???? is thead me wohi baten thi jo k mere zehn mai bhi thi. mai ne kis forum pr sirf or sirf copy paste se kaam chalaya hai ap zara batana pasand frmaengay??? mai agar koi thread start krti hon us k mutalliq agar koi sawal krta hai to us ko jawab bhi deti hon sirf copy paste pr hi nazar dalne k ilawah mere jawabat pr bhi nazar dal lia kren mehrbani hogi...
  11. ap ne kaha ki ayat mai murdon se murad kuffar thay. to ye bataye kuffar ko murdon se ku tashbih di gai hai? ku murday to suntay hain n baqol aap k...
  12. مشرکین اللہ کو اپنا خالق مانتے تھے۔۔ اور اگر آپ ان سے پوچھیں کہ انہیں کس نے پیدا کیا ہے تو ضرور کہیں گے الله نے پھر کہا ں بہکے جا رہے ہیں سورة الزخرف ۸۷ مشرکین آسمانوں اور زمین کا خالق اللہ ہی کو مانتے تھے۔۔۔ اور اگر آپ اُن سے دریافت فرمائیں کہ آسمانوں اور زمین کو کِس نے پیدا کیا تو وہ ضرور کہیں گے: اللہ نے، ۳۸سورة الزمر مشرکین آسمان سے پانی برسا نے والا اللہ ھی کو مانتے تھے۔۔۔۔ اور البتہ اگر تو ان سے پوچھے آسمان سے کس نے پانی اتارا پھر اس سے زمین کو اس کے مرنے کے بعد زندہ کیا کہیں گے الله نے سورة العنكبوت۶۳ مشرکین رازق متصرف فی الاموراللہ ہی کو مانتے تھے۔۔۔۔ کہو تمہیں آسمان اور زمین سے کون روزی دیتا ہے یا کانوں اور آنکھوں کا کون مالک ہے اور زندہ کو مردہ سے کون نکلتا ہے اور مردہ کو زندہ سے کون نکلتا ہے اور سب کاموں کا کون انتظام کرتا ہے سو کہیں گے کہ اللہ سورة يونس۳۱ مشرکین عرش عظیم کا رب اللہ ہی کو مانتے تھے۔۔۔۔ ان سے پوچھو یہ زمین اور جو کچھ اس میں ہے کس کا ہے اگر تم جانتے ہو ﴿۸۴﴾ وہ فوراً کہیں گے الله کاہے کہہ دو پھر تم کیوں نہیں سمجھتے ﴿۸۵﴾ ان سے پوچھو کہ ساتوں آسمانوں اور عرش عظیم کا مالک کون ہے ﴿۸۶﴾ وہ فوراً کہیں گے الله ہے کہہ دوکیاپھر تم الله سے نہیں ڈرتے ﴿۸۷﴾ ان سے پوچھو کہ ہر چیز کی حکومت کس کے ہاتھ میں ہے اور وہ بچا لیتا ہے اور اسے کوئی نہیں بچا سکتا اگر تم جانتے ہو ﴿۸۸﴾ وہ فوراً کہیں گے الله ہی کے ہاتھ میں ہے کہہ دو پھرتم کیسے دیوانے ہو رہے ہو ﴿۸۹﴾ سورة المؤمنون مشرکین حج کیا کرتے تھے۔۔۔ پھر تم لوٹ کر آؤ جہاں سے لوٹ کر آتے ہیں اور الله سے بخشش مانگو بے شک الله بڑا بخشنے والا نہایت رحم والا ہے ۱۹۹ سورة البقرة مشرکین حاجیوں کو پانی پلاتے تھے اور بیت اللہ کے خادم تھے۔۔۔ کیا تم نے حاجیوں کا پانی پلانا اور مسجد حرام کا آباد کرنا اس کے برابر کر دیا جو الله پر اور آخرت کے دن پر ایمان لایا اور الله کی راہ میں لڑا الله کہ ہاں یہ برابر نہیں ہیں اور الله ظالم لوگوں کو راستہ نہیں دکھاتا ﴿۱۹ سورة التوبة مشرکین زکوٰۃ بھی دیتےتھے اور الله کی پیدا کی ہوئی کھیتی اور مویشیوں میں سے ایک حصہ اس کے لیے مقرر کرتے ہیں اور اپنے خیال کے مطابق کہتے ہیں کہ یہ الله کا حصہ ہے اور یہ ہمارے شریکوں کا ہے سو جو حصہ ان کے شریکوں کا ہے وہ الله کی طرف نہیں جا سکتا اور جو الله کا ہے وہ ان کے شریکوں کی طرف جا سکتا ہے کیسا برا فیصلہ کرتے ہیں ۱۳۶ سورة الأنعام ج کے مشرک بھی یہی ساری عبادات کرتے ہیں مگر شرک کی وجہ سے انکا کوئی بھی نیک عمل قابل قبول نہیں ہے کیونکہ الله نے قرآن میں اپنے نبیوں کے لیے ہی فرما دیا ہے کہ اگر یہ لوگ شرک کرتے تو البتہ جو کچھ انہوں نے کیا تھا سب کچھ ضائع ہو جاتا ﴿۸۸﴾سورة الأنعام
  13. Surat Az-Zumar30 (اے پیغمبر) تم بھی مر جاؤ گے اور یہ بھی مر جائیں گے
  14. اور جب ابراہیم نے (خدا سے) کہا کہ اے پروردگار مجھے دکھا کہ تو مردوں کو کیونکر زندہ کرے گا۔ خدا نے فرمایا کیا تم نے (اس بات کو) باور نہیں کیا۔ انہوں نے کہا کیوں نہیں۔ لیکن (میں دیکھنا) اس لئے (چاہتا ہوں) کہ میرا دل اطمینان کامل حاصل کرلے۔ خدا نے فرمایا کہ چار جانور پکڑوا کر اپنے پاس منگا لو (اور ٹکڑے ٹکڑے کرادو) پھر ان کا ایک ٹکڑا ہر ایک پہاڑ پر رکھوا دو پھر ان کو بلاؤ تو وہ تمہارے پاس دوڑتے چلے آئیں گے۔ اور جان رکھو کہ خدا غالب اور صاحب حکمت ہے۔ Surat Al-Baqarah ye moajzat ka zikar kr k ap kia sabit krna chahty hain?
  15. kaash k ap logon ne mere thread ko sahi se or poora parha hota...
  16. ap zara ghor se parhen ap k har sawal ka jawab isi mai mojood hai agar phir b nhi mantay to aik kam kren qabrustan mai ja kr murdon se guftgoo kr k video upload kr den phir hme waqai mai yaqeen aa jayega k murday suntay hain..
  17. pehli bat ye k mai female hon male nhi... mai ne tafseer apni taraf se nhi likhi ap ko Hadees ka hawala nazar nhi ayaa is mai? mai ne tafseer roman mai likhi shayad is lye ap aisa keh rhe hain arbi likhti to shayad..... quran ki ayat k ma,non mai tehreef krna yani k uska galat matlab nikalna apka kaam hai hmara nhi... or ye arabi k professor hain in se kahen k jo bhi likhna hai urdu mai likhen. sunni defender bhai surah Alkahf ki jo ayat ap ne paish ki us ka num thek kren. ap k khayal mai pehle k mushrikeen sirf buton ki pooja krty thay to aye quran or hadees mai dekhty hain kia tm ne La,at or uzza ko dekha hai(najam 19) is ayat ki tafseer mai ibne Abbas ne frmaya La,at aik shakhs ka naam tha jo Hajion k lye satto banaya krta tha. sahi Bukhari kitab ul Tafseer Hadees 1964 baqi rahi murdon k sunnay ki bat to us k lye alag thread lagaya hai..
  18. اور جو لوگ اپنے رب کو صبح و شام پکارتے ہیں انہیں اپنے سے دور نہ کر جو الله کی رضا چاہتے ہیں تیرے ذمہ ان کا کوئی حساب نہیں ہے اور نہ تیرا کوئی حساب ان کے ذمہ اگر تو نے انہیں دو ہٹا یا پس تو بے انصافوں میں سے ہوگا ﴿۵۲﴾ surah al inaam 52 is ayat ki tafseer ye hai k be sahara or gareeb musalman jo bare ikhlas se raat din apne Rabb ko pukartay hain yani unki ibadat krty hain ap mushrikeen k is mutalbe se k ae Mohammad tmhare ird gird to guraba or fuqra ka hajoom rehta hai zara inhe hatao to hm b tmhare sath bethain in guraba ko apne se door na krna bilkhosoos jb k apka koi hisab in k mutalliq nhi or inka ap k mutalliq nhi agar ap aisa krengay to ye zulm hoga jo ap k shayan e shan nhi is se maqsad ummat ko bhi samjhana hai ke be wasaail momin mohid logon ko haqeer samajhna ya unki sohbat se guraiz krna or un se wabastagi na rakhna, ye nadano ka kaam hai ahl e imaan ka nhio ahl e imaan to ahl e imaan se mohabbt rakhty hain chahe wo gareeb or miskeen hi ku naho....... تو ان لوگو ں کی صحبت میں رہ جو صبح اور شام اپنے رب کو پکارتے ہیں اسی کی رضا مندی چاہتے ہیں اور تو اپنی آنکھوں کو ان سے نہ ہٹا کہ دنیا کی زندگی کی زینت تلاش کرنے لگ جائے اور اس شخص کا کہنا نہ مان جس کے دل کو ہم نے اپنی یاد سے غافل کر دیاہے اور اپنی خواہش کے تابع ہو گیا ہے اور ا سکا معاملہ حد سے گزر ا ہوا ہے ﴿۲۸ surah kahf28 is se murad wo sahaba karam hain jo gareeb or kamzor thay jin k saath bethna ishraaf quraish ko gawara na tha Saad bin abi waqasR.A frmate hain hm 6 admi Nabi Akram S.A.W k saath thay mere ilawa Bilal, ibn e Masood,1 huzel qabeele ka sahabi or 2 Sahaba R.Aor thay.. quraish e Makkah ne khuwahish zahir ki k in lgon ko apne pas se hata do ta k hm aap ki khidmat mai hazir ho kr aap ki bat sunen aap S.A.W k dil mai aaya k chalo shayad meri bat sunne se in k dilon ki dunia badal jae lekin Allah ne sakhti k saath aisa krne se mana frma dia sahi Muslim hadees 46 (2413)
  19. Toheedi Bhai ap se guzarish hai jo b post krna ho urdu mai kren ku k mai ne arabi language ka course nhi kia hua k mai apki bat asani se samajh kr jhutt se uska jawab dedon.
  20. ap ne bataya k butt na sun saktay hain na samajh sakty hain to kia murday sun or samajh sakty hain? 2 sri bat ap ne kahi k Allah ki makhlooq ksi b tarah poojne k qabil nhi hai to kia qabron ko sajda krna sahib e qabr k lye qurbani krna jesa k ap log krty hain un k naam ka khana bantna kia sb ibadat k zamray mai nhi aata jo k sirf or sirf Allah k lye hai...
  21. ap ne wo hadees nhi suni jis mai kaha gaya hai k Nabi S.A.W ne farmaya :pukarna hi ibadat hai...(abu daud,kitabul vitr, bab ud dua) is ayat ko bhi dekhain ab ye mat kahyega k ye buton k bare mai nazil ki gai thi ku k is mai saaf saaf bataya gaya hai k jin jin ko tm pukarte ho wo tmhari hi tarah k banday hain..
×
×
  • Create New...