
Talinenoor
Under Observation-
کل پوسٹس
278 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
سب کچھ Talinenoor نے پوسٹ کیا
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Janab Hafiz Sahib Aap ne likha: "Mirza goh ko halal samajta tha, Rafayaden bhi karta tha, hanfiyoun se to usko bugz tha, khalful imam ka qail tha, ameen bil jahar ka qail tha, mouzoun per mase ka qail tha, 2 jamaats aik time karne kha qail tha yeh sab aap wahabiyoun ke kaarname hain," siref wahabi hi nahin Imam Shafai bhi goh ko halal samajhte hain. Rafayaden ka mirza mukhalif tha. Khud hanafi tha Ahlehadees se usko bugaz tha iss per uss ki kitaben shahid hain. chand chezon ke ikhtilaaf se koi garaq nahin ho parrta. kai cheezon main to Imam Abu-Hanifa ke shagirdon ne bhi unn se ikhtilaaf kia hai. Molana Abdul-Hayi Lakhanvi ne bhi hanfiet se chand maamlaat main ikhtilaaf kia hai to kia woh bhi wahabi the...? Doosra yeh k jab mirza khud aur uss ki jamaat bhi khud ko hanafi fiqa ka paband kehti hai to iss baat main dhoka dena koi maani nahin rakhta. chand masael main ikhtilaaf se koi faraq nahin parrta jab woh khud apni jamaat ko hanafiet ka paaband chor ker gaya hai. Doosra yeh k woh sahih-ul-Aqeeda sunni tha main ooper hawala de chukka hoon Baaqi jis tarah k hawale Ahlehadees k khilaaf pesh kie gaye hain unn se hergiz kuch saabit nahin hota. Asal cheez yehi hai k woh kinn baaton ki buniad per itna jarri hua k Nabi hone ka dawa ker dia aur yeh cheezain Khawabon per apne aqaed rakhne walon main hi pai jaati hain Wasalam
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Aap sab ka bohat bohat shukriya k aap ne itne tafseeli jawab die. Mager meri post ka buniadi nuqta abhi bhi wahin per hai k Mirza buniadi tor per kis se mutasir hua tha? Woh alag baat hai k uss ne baad main mazeed khabasat ka muzahira kia. Hazrat Ayesha wagera se jo baat Durr-e-Mansoor k hawale se pesh ki gai hai woh hergiz unn se sabit nahin. Lahaza iss zimmen main unn ka naam lena sahih nahin. IBN-e_ARABI k siref yehi abarat nahin bal k aur bhi kai kufri abaraat uss ki kitabon main mojood hain. Baqi Ahlehadees Ulma ne jab tak uss ki Ibaraat ka kufer nahin jana usse kafir nahin kaha issi tarah doosre Ulma ne bhi. Aisi abaaraat pesh kerna jin main pata nahin chalta k kab ki hain sahih nahin...? Mirza ki apni abaraten iss baat per shahid hain k usse Ahlehadees se kitni nafrat thi. Wasalam
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Aap sab k jawab parhne k baad itna yaqeen ho gaya k aap logon k lene aur dene k asool alag alag hain. Aitraaz barae Aitraaz koi baat sahih nahin ho sakti jab tak jo baat main ne ki hai uss ka jawab sahih naa aa jae. Ahlehadeeson k aese jhoote ilzaamaat se koi faraq nahin parrta. Batana siref yeh maqsood tha k doosron per kufer ka ilzaam lagane wale jab khud per baat aati hai to kaise machalte hain. jo taveelain tum log Soofia ki kerte ho woho doosron k liye bhi kia kero. Tumhari baaten hamari samajh main nahin aatin jaisa k Khalil Rana sahib ne Ahmed Raza saheb ke hawale k jawab main kaha hai to Doosron ki baaten tum kaise saari samajh lete ho? Allah Insaaf ki tofeeq de. wasalam
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Aap logon k jawab parh ker iss baat ki amali tafseer saamne aayi k khaali barten ziada aawaaz deta hai. Main ne jis topic ko bian kia hai uss per aik jawab bhi nahin aaya aur siref pehle hawale k ulte seedhe jawab naqal kie gaye hain. Halan k bahes iss baat per to nahin k Mirza k saath pehle pahel kiss ne kia maamla kia kion k main bian ker chukka hoon k woh pehle sahih tha to phir uss waqat uss ka Nikkah parhaana ya uss k saath aur maamle kerna kiss tarah galat hua? Haan jab uss ne kufria kalme kehne shuroo kie to sab se pehle Ahlehadees Ulma ne uss ka radd kia yeh main bian ker chukka hoon. Baqi raha k uss per wahabiat ka asar tha iss liye uss ne yeh jhooti nabuwet ka shosha chora to main dalael k saath bian ker chukka hoon k uss per IBN-e-ARABI wagera ka asar tha unhin ne aisi baaten kahi hain. Doosra uss ne khawabon ko buniad banaia tha aur yeh to saari dinia jaanti hai k Khawabon per kis ka deen chalta hai yaqeen na aaye to Ahmed Raza Khan sahib ki kitaben parh lain aap ko pata chal jae ga k Khawab kis k nazdeek hujjat hain. Asal baat jo topic main bian ki gai hai woh yeh nahin k Mirza ko kaafir kehne wale kon kon the bal k yeh hai k Mirza ko jhooti Nabuwwet ka raasta kis ne dikhaya. Doosra yeh k Mirza hi ki tarah Ummet main Nabi ho sakne ka aqeedah rakhne wale aap k nazdeek wali hain unn ki baaton ko kufria kion nahin kaha jaata jo doosron ko kaafir kehne per hamesha tiyar rehte hain. Wasalam
-
-
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Taqleed ka topic yahan start kia gaya tha to iss ka jawab bhi idher dena chahiye tha ta k dekhne wale per donon nuqta-e-nazer saamne aa saken aur woh khud faisla ker saken k kis ne baat daleel se kia hai. wasalam
-
Taqleed e Mujtahid....Aik Mehfooz Rasta
Talinenoor replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Asslamoalaikum 2 all muslims, Khalil Rana Sahib main ne aap ka post kia hua saara mazmoon parha hai. Taqleed ki istilaahi tareef chor ker lugvi tareef saabit kerna koi maani nahin rakhta. Doosra yeh k aap ne taqleed per Quran ki aik aayet OOL_UL_AMMER wali pesh ki hai. Mager sawal yeh hai k OOL-UL-AMMER aap ne sirf Imam Abu Hanifa ko kaise bana lia? Imam Abu Hanifa k muqable main aap baqi OOL-UL-AMMER ki baat kion chorr dete hain...? Aik Hadess Maaz-bin-Jabal R.A. wali pesh ki to iss main se taqleed kahan se saabit ho gai? Khud yehi Sahabi taqleed se mana kerte hain to aap unn ki yeh baat kion nahin maante? Ager qaol-e-Sahabi hamare nazdeek hujjat nahin to aap k nazdeek to hai naa, to tasleem karen. Main ne jo hawale pesh kie the unn se yeh baat wazeh hai k muqalid k nazdeek Quran ya Hadees daleel nahin bal k sirf Qaol-e-Imam Hujjat hai Lahaza iss baat ko saabit karen. Aap ne kaha jab tak Qaol-e-Sahabi ko tasleem na kero tab tak Hadees bhi saabit nahin ho sakti. MashaAllah Aap jaison ka yeh haal hai. Aap k nazdeek rawaet aur raa'e main faraq hi koi nahin. Main hazar ha aise aqwal-e-sahabi pesh ker sakta hoon jin ko ahnaaf tasleem nahin kerte. Lahaza aisi asool manane per hamen majboor na karen jo khud sab se ziada aap log tasleem kerne se inkaari hain. Taqleed ka topic jahan start kia gaya tha to iss ka jawab bhi udher dena chahiye tha ta k dekhne wale per donon nuqta-e-nazer saamne aa saken aur woh khud faisla ker saken k kis ne baat daleel se ki hai. Wasalam -
Taqleed e Mujtahid....Aik Mehfooz Rasta
Talinenoor replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Asslamoalaikum 2 all muslims, Main ne taqleed per post ki thi aap ne kai masael per sawalaat ka anbaar laga dia...Kia Taqleed ka wajoob sawalaat se saabit hota hi...? Aap ne likha hai k main ne Ulma ka jo aqwaal pesh kiye hain to yeh unn ki taqleed ker raha hoon. Jab aap log deobandi ulma ke aqwaal bator huijjat unn ki gusaakhi per pesh kerte hain to kia woh gustaakhi aap ke zimme bhi aati hai...? Taqleed ka hukam Quran o Sunnat main hai hi nahin aur iss ka dawa bhi aap ko hai lahaza Taqleed ki daleel pesh kerna bhi aap ke zimme hai. Jin masael ko aap ne likha hai unn per beshumaar mazeed sawalaat aur jawabaat ki bahes hai iss liye bahter ho ga k aik hi topic ko rkhte huebaat aage barhai jae. Taqleed se baat start hui hai main iss per apni baat likh chuka hoon. See http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=2718 Aap se bhi guzarish hai k aap Taqleed ka wajoob jis Aayet ya Hadees se saabit hota sirf usse tehreer ker dain aur gaer-mutaliqa baaton se bahes ko na uljhaen. Wasalam -
Asslamoalaikum 2 all muslims, Ubaid-e-Raza aap ne likha jab ap log inki ahades per gawahi ko mante hain tu imam bukhari ke muqalid hone per gawahi kyon nahi mante? yahan quran hades ka hawala kyon yad ajata hai? Mere dost main ne kab aap se Imam Bukhari ke Muqalid hone per Quran ya Hadees se hawala maanga hai. Mager main ne yeh zaroor likha hai k Imam Bukhari ko Shafai kehne walon k paas iss ki koi daleel nahin bal k iss k hilaaf saabit hai k Imam Bukhari ne apni Sahih main Imam Shafai k maslak k hilaaf abwab baandhe hain. Imam Shafai ne khud apni taqleed se mana kia hai.Doosra yeh k main wazahet ker chuka hoon k kissi ko shafai ya Malki kehne se hergiz murad yeh nahin hoti k woh Imam Shafai ya Imam Malik ka muqalid bhi ho jaisa k main apne mazmoon main saabit ker chuka hoon k Shafai ya Hanafi kehlana wale bohat se aalim khud taqleed ki terdeed ker chuke hain phir bhi unhen muqalid kehna bohat na-insaafi hai. Teesri baat yeh k kia aap her mohaddis ki her gawahi qabool kerte hain to mere dost ager Imam Abu Hanifa ki hadees qabool na kerne per sirf Abdullah Ibn-e-Mubarik ki gawahi la doon to qabool ker lain ge....? Wohi Ibn-e-Mubarik jinhen hanafi baawer kerwaia jaata hai. Baat yeh hai k ager kissi mohaddis ne aik raawi ko Saqqa kahe aur koi doosra mohaddis ussi raawi ko zaeef kahe aur saath daleel bhi de to baat uss ki maani jae gi jo saath wajah bhi bata raha hai. Asool-e-Hadees main isse jiraah aur Tadeel kaha jaata hai k jo mufassir ho usse qabool kia jaata hai yeh nahin k her mohaddis ki her gawahi qabool ker li jaati hai. Lahaza iss k liye Asool-e-Hadees ki taraf rajoo karen. Aakhir main phir kehna chahoon ga k mere mazmoon main itne Aema Ikraam aur Muhadisseen ne taqleed ka naam le ker uss per radd kia hai uss k muqable main mubhim baton se unhen muqalid kehna koi maani nahin rakhta. Allah ham sab ko samajhne ki tofeeq de, Aameen.
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Aap ne kaha k aap ne Imam Bukhari ki taqleed per dalael die aur aap ne unhen fazool kaha to mere dost jab main unn ka radd ooper ker chuka hoon k yeh kion fazool hain to phir iss baat ka kia matlab...? Aap ne likha hai k aap ne poora mazmoon Quran-o-Hadees ke hawale se taqleed per likha to main ne usse bhi fazool kaha. Poora mazmoon likhne ki kia zaroorat hai mera mutaliba hai siref aik Aayet ya hadees bata do jis mai taqleed ka hukam bian kia gaya ho. Jab Aayaat ko galat matlab pehnae jaen ge to usse fazool hi kaha jae ga werna ager taqleed Quran ka hukam hoti to sab musalmanon per hoti shuroo se. Yeh Chothi Sadi Hijri main Quran ki samajh ziada logon ko aa gayi k Quran se Taqleed ka hukam nikaal ker uss per amal start kia....? Aap ne jo yeh likha hai k main ne waseele k inkaar per koi daleel nahin di to iss baat ko uss ki post main ja ker bian karen yahan kion topic se hat ker baat ker rahe hain? Wahan main wazahet ker chuka hoon k main ne waseele se inkaar per koi daleel kion nahin di abhi tak... Aap ne likha kabhi k aap wasela par bat karte hain tu dalel imam e azam ki late hain Imam Abu Hanifa ka fatwa aap logon k liye bator hujjat pesh kia hai werna main ikhtilaafi waseele se iss liye inkaari nahin k iss ka inkaar Imam Abu Hanifa ne kia hai. Jo mujh per yeh ilzaam lagaia ja sake. Aap ne likha 1 hades ke 20 rawi hote hain. kisi ko tum zaeef kehte ho kisi ko saheh kehte ho. akhir in rawyon ke sahi or ghalat hone ki kya daleel hai tumhare pas? Behter hai k jaaker rawaet aur rae ke faraq ko jaa ker samjhen. Abhi siref itna arez hai k Quran ka hukam hai k tumhaare paas jo khaber laaye uss ki tehqeeq ker lia kero lahaza ager kissi ko sahih ya zaeef kehte hain to yeh unn gawahion ki buniad per hai jinn ko maanane ka Allah aur Nabi ne hukam dia hai. Doosra yeh k Iss per Ijmaa hai k Hadees rawaet kerne walon ki tehqeeq ki jae gi. Mazeed yeh k ooper meri post mai aap ki asooli kitaabon ke hawale se yeh guzer chuka hai k gawahion per faisla taqleed nahin. Werna kia hayal hai jab Hafiz Ibn-e-Hajer kehte hain k Imam abu-Hanifa ne falan raawi ko zaeef kaha hai to iss se woh Hanafi muqalid ban jaate hain...? umeed hai k Rae aur Gawahi ke faraq ko samajh jaen ge. Wasalam
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Be-Shak hamara yehi manhaj hai k chahe apna ho ya paraya jab uss ka masla Quran-o-Hadees k khilaaf saabit ho jae to usse redd ker dia jae ga yeh nahin k aap logon ki tarah galat masael ko bhi seene se laga ker rakhen. Doosra Ubaid-e-Raza sahib ka yeh kehna k yahan to galation k anbaar hain to behter hai k fiqa Hanafi ka mutalia ker lain jis ki taqleed ki aap her waqat dawet dete hain. Aap ko pata chale k galtian kia hoti hain. Mazeed yeh k jin kitabon ko tum log buniad bana ker ham per tanqeed kerte ho unn main ager galat masael hain bhi to kia...? Ham ne kabhi unn kitabon ki taraf dawet nahi di k yeh hamare maslak ki kitaben hain inn per amal kero bal k hamesha Quran-o-Sunnat ki taraf bulaia hai k galati her aik se ho sakti hai. Jab k aap log bawajood fiqa Hanafi k kaseer galat masael k uss ki taraf dawet-e-taqleed dete ho. Yehi hamara aur tumhara faraq hai. Sag-e-Attar ka yeh kehna Aur Jab Apna 1 Nhin Kayi Ulema Ghalat Masley Bayan Kerein Tu Awal Unko Man'na Nhin Key Hum Tu Ghair Muqalid Hain.. Aur Phir Unko Ghalat Bhi Nhin Kehna Key Yeh Aalim Hain.. Aisi Policy Ko Kiya Kaha Jata Hai? Yeh Sub Behter Jantey Hain... Haan to jab aap khud bian ker chuke hai k jab hamara bhi koi aalim galat masla bian kare to uss ko maante nahin to phir masla kia hai...? Doosra jahan tak galat kehne ka taluq hai to unhen iss masle main galat hi kehte hain. Itne Sahaba Ikraam ne aik doosre se ikhtilaaf kia mager masle ko hi galat kaha na k poori zindagi k galat hone ka fatwa daag dia. Issi tarah Aema Ikraam ka bhi tareeqa raha k Imam Abu-Yousaf aur Imam-Muhammad kaseer masael main Imam Abu-Hanifa ka masla galat samajhte hue inkaar kerte hain mager unn ko completely galat nahin kehte. Lahaza ager aap ko fatwa lagane ka shoq hai to ooper se start lijie. Bahter hai k hamara manhaj janane k liye yeh post achi tarah parrhen: http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=2704
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Aap logon ki tarah ham muqalid nahin hai k her aik ki baat bila-daleel manane ke paband hon. Yeh dalael unn per pesh karen jo aap ki tarah muqalid hon. Hamare manhaj ke khilaaf koi baat ham qabool nahin kerte. Jam Imam Abu Hanifa ki taqleed nahin kerte to Ibn-e-Bazz ki kia karen ge.Gussa thook dain aur woh baat karen jo sahih hai.... Aap ne likha k main unn aalimon ko phir jaahil kahoon jinhon ne ye masael kahen hain to mere dost main to aisa nahin keh sakta k ager kissi aalim se kissi masle main galti hui ho to usse jaahil keh doon. Aap log itne masael main sahaba Ikraam ki mukhalifet kerte hain jin main woh dalel ke khilaaf hote hain to kia unhen jaahil kehte hain. Jab Imam Abu Yousaf Imam Abu Hanifa ke aik masle ko galat samajh ker un ki mukhalifet kerte hai to kia unhen jaahil samajhte hain. Aakir main uss kahani aur qisse k mutaliq jo aap ne likha hai to mere dost jab dalael na hon to qisse kahanian hi kaam aati hain. Wasalam
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Main ne aik topic Ahlehadees ka manhaj bhi post kia hai usse parh lain. http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=2704 Jab ham muqalid nahin to ham per Ahlehadees ya Gaer-Ahlehadees ki bila daleel aur hilaf-e-daleel baat pesh kerna sahih nahin. Aap ne likha hai k muhadasseen ki baat phir kion qabool kerte ho to guzarish hai k woh bhi jo baat daleel k saath karen wohi qabool ki jaati hai hilaf-e-daleel baat to unn ki bhi qabool nahin kerte. lahaza yeh aitraaz fazool hai. Jahan tak unn ki kissi bande k baare main gawahi ka taluq hai to uss main bhi jaanch parakh hoti hai k baat kitni sahih hai aur kia sahih hai? Werna kia aap log Imam Abu-Hanifa k baaren main sab Muhaddasseen ki baat qabool ker sakte ho...? Abb misaal ke tor per ooper wale mazmoon main jo sag-e-Attar ne post kia hai, Shah Abd-ul-Aziz ke hawale se Imam Abdullah ibn-e-Mubarik ko siraf Imam Abu Hanifa ka shagird hone ki wajah se hanafi shumar kia gaya hai. Khud bataie kia kissi ka shagird hone se banda uss ka muqalid ban jaata hai. khud uss main tasleem bhi kia gaya hai k malki hazraat unhen malki aur hanafi unhen hanafi kehte hai, abb inn main se kon sahih hai? aur iss ki wajah yehi hai ke khud unn se na malki hona sabit hai aur na hanafi. Mazeed yeh k Imam Abdullah ibn-e-Mubarik ne Imam Abu Hanifa ke bare main jo kuch kaha hai uss se kam az kam hanafi hazraat ko to unn ka naam lene se perhez kerni chahiye. Aap ne likha hai k tum log bhi falan ko Imam kehte ya maante ho aur unn ki baat qabool kerte ho to mere dosto Daleel k saath baat manane k ham bhi qael hain chahe Imam Abu-Hanifa hi kion na hon. yeh taqleed nahin hai. Jahan tak kissi ko Imam kehne ka taluq hai to iss se kia taqleed saabit hoti hai...? Bachkana baaten na karen. aap log Imam Shafi ya Imam Malik ya doosre Aema ko bhi Imam aur Muhaddiss maante ho to kia aap iss se unn ke muqalid ban jaate ho...? Jab nahin to phir ham kissi ko Imam keh ker kaise uss ke miqalid ban gaye...? Lahaza fazool qisem k aitrazaat ka koi faeda nahin.
-
-
Yeh mazmoon aik deobandi muqalid ke jawab main likha gaya hai main ne sirf wohi hissa naqal kia ji iss forum se mutaliqa tha. wasalam
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Yeh saari bahes fazool hai jab tak khud taqleed ko saabit nahin ker dia jaata. Doosra yeh k Imam Bukhari ko ager kissi ne Shaafi likh dia to kia woh muqalid saabit ho gae? Saawen ke andhe ko her taraf harra harra hi soojhta hai. Imam Bukhari se saabit kero ko unhon ne kahin khud ko muqalid kaha ho. Imam Bukhari ne apni Sahih main bohat si jagah per Imam Shafi ke mazhab ke khilaaf abwab bandhe hain. Teesra yeh k main bian ker chuka hoon k kissi bhi muhaddiss ya aalim ke naam ke saath hanfi, shafi, malki wagera laga hone ka matlab hergiz yeh nahin k woh muqalid bhi the kion k inhin ulma ne to taqleed per radd ker rakha hai. jaisa k Allama Aeni Hanafi, Allama Zaeli Hanfi wagera ka hawala dia ja chuka hai. Chotha yeh k Imam Bukhari Imam Shafi ki taqleed kion karen ge jab Imam Shafi ne khud apni taqleed se mana ker rakha hai. hawala ooper bian ho chuka hai mere mazmoon main. Aakhri baat yeh k mujtahid ke ilawa sab bandon per taqleed wajib hai, iss ki daleel kia hai? Kia sab Sahaba aur tabaeen mujtahid the ager nahin to woh kis ki taqleed kerte the? Daleel se saabit karen.
-
Ahle Hadith banna Na Mumkin-Jhoot hai !!
Talinenoor replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Janab Shareef Raza sahib, Aap se guzarish hai k Sunnat aur Hadees ki tareef kissi mustanad aalim jo donon fareeq ke nazdeek moatber ho se pesh karen. Jamhoor Muhadasseen Hadees aur Sunnat main faraq nahin kerte. Unn ke nazdeek jo hadees saabit ho woh sunnat bhi hai chahe usse Nabi s.a.e. ne kia na ho bal k usse qaoli sunnat kehte hain. Issi tarah aik kaam aap s.a.w. ke saamne ho aur aap khamosh rahen usse taqreeri sunnat kehte hain. Yeh baat galat hai k Sunnat siref wohai hai jo aap ne ki ho bal k aap ke aqwaal bhi sunnat hain. Issi liye jo amal aap ne kia na ho bas aap ke qaol se saabit ho usse bhi masnoon kehte hain. allah samajhne ki tofeeq de, Aameen -
Sag-e-Attar sahib, Kissi ko makhsoos shakhas ko kaafir kehna aasaan nahin hai. Iss per tafseeli bahes hai k kab kissi per kafir ka hukam lagaea jae ga. Zaroori nahin hota ke kufer kerne walw per kaafir ka hukam bhi lage jab tak hujjat mukamal na ker li jae. baherhaal yeh tafseeli bahes hai. Doosra main yeh clear ker dena chahta hoon k Ahlehadees Ulma se poochne ya unn ki baton ko qabool kerne ke khilaaf nahin hain kion k yeh taqleed nahin hai. Taqleed hoti hai bila daleed baat manana. Tafseel k liye Taqleed wala topic parhen http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=2718 Haan, jab kissi ki baat daleel ke khilaaf aa jae to phir uss ko radd ker dia jae ga chahe koi bhi ho. Wasalam
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Janab Shareef Raza sahib ager aap k ulma ne kitaben likhi hain to iss se kia saabit hota hai...? Her tabqa apni taraf se doosre ki baaton ka jawab dene ki koshish kerta hai aur be-shumar books likhi jaati hain. Aap mera mazmoon 2 3 baar tafseel se parhen. Phir zahen main jo sawal peda hon unn ke jawab doondhne ki koshish karen. Taqleed jaisi cheez Quran ya Hadees se saabit nahin ho sakti. Jo aayet ya hadees wagera pesh ki jaati hai uss main ziada se ziada ulma se poochne ki baat hai aur main yeh baat saabit ker chuka hoon k ulma se poochna Taqleed nahin hai. Iss ke muqable main mere mazmoon main taqleed ka naam le ker Sahabi-e-Rasool S.A.W. Maaz bin Jabal R.A kehte hain k Taqleed na kero. Kia iss ke muqable main kissi sahabi se saabit hai k uss ne kaha ho k Taqleed kero. Hata k jin ki taqleed ki jaati hai woh khud mana kerte rahe taqleed se mager iss k bawajood taqleed kerna........? Aap logon k zahen main yeh baat hoti hai k Taqleed na kerna shaed her aik ko Mujtahid ka derja de dena hai halan k yeh baat galat hai. Ulma se seekhne aur unn ki daleel k saath perwi ko koi bhi galat nahin kehta. Mager yeh baat kahan hai k aik aalim ko hi Aalim maan ker sirf ussi ki taqleed ki jae aur uss ke muqable main chahe kitne hi aalim kion na hon unn ko radd ker dia jae. Tafseel ka moqa nahin werna Fiqa Hanafi kai masael main jamhoor Ulma ke hilaaf hai jis main daleel bhi jamhoor ke saath hai lakin unn ko radd ker dia jaata hai. Wasalam
-
Janab Sag-e-Attar, Main ne taqleed ke topic per jo post ki hai, uss main kab kaha hai k iss ka jawab bhi do. Log dekh ker khud faisla ker lain ge. Jahan tak taaliq hai Jaa-ul-Haq ki aik aik ibaarat ka jawab dena to fazool baaton ka jawab kion dia jae...? Mufti sahib jo merzi kahen uss se pehle jo buniadi tareen aitrazaat taqleed per aate hain unn ka jawab kahan hain...? Wasalam
-
-
Tehzeer ul Naas...Ghair Muqalideen ki Nazer main
Talinenoor replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Asslamoalaikum 2 all muslims, Mr. Malang Hafiz Zubair Ali Zai ager aalim nahin hai to kia woh log hain jinhon ne Aqeeda Hatem-e-Nabuwwat tak main shakook peda kerne ki koshish ki. Mazeed yeh k aap k kehne se to koi jhoota nahin banta jo hawala dia gaya hai uss ko galat saabit kero. Wasalam -
Plz doosron tak bhi pohanchaen. Iss Channel ki Islam dushmani barrhti chali jaa rahi hai. Magrib ke Agende ko feroag de raha hai ye channal.
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Bank ki kissi bhi qisem ki maavnet haram hai. Sood ki maavnet kia haram nahin. Auraton ki job kuch sharaet k saath sahih hai mager aam tor per unn ka lehaaz nahin rakha jaata. Musalmaan Aurat ki zimmadari se mutaliq yeh topic parrhen: http://www.islamimehfil.info/forum/index.p...amp;#entry13622