Jump to content

Talinenoor

Under Observation
  • کل پوسٹس

    278
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Talinenoor نے پوسٹ کیا

  1. Asslamoalaikum 2 all muslims, Ya-Mohammadah, baat ko uljhane ki koshish na karen. Jo topic hai uss per baat karen. Hadees-e-Jabir ki sanad to aap se pesh ho nahin rahi aur baton main waqat zaia ker rahe hain. Ham ne jo ahadees pesh ki hain Alhamdulillah sahih hain aur aap k Ahmed Raza Khan sahib keh chukke hain k sahih k saamne zaeef wajib-ut-Tarrak hai. Hawala meri Rafa-ul-Yaden wali post main dekh lain. Doosra yeh k yeh masla fazael ka nahin bal k aqeedah ka hai jis main bil-ittifaq zaeef qabi-e-qabool nahin. Phir iss k zaeef ya sahih hone ka faisla to tabb ho ga jab aap iss ki sanad pesh ker sako ge...? Na sanad pesh ho gi na yeh hadees saabit ho gi. Iss ke muqable main hamari pesh ki hui ahadees sahih hain. Allah tassub se bacha ker seedhi raah dikhae, Aameen
  2. Asslamoalaikum 2 all muslims, Iss mazmoon ka jawab dene wale se guzarish hai k baar baar unnhi aitrazaat ko duhra ker bahes phailane ki koshish na ki jae, jin ka jawab iss mazmoon main tafseel se de dia gaya hai. Haan ager kissi ke paas koi nai baat ho to zaroor share kare. wasalam
  3. Talinenoor

    Masla Rafa-ul-Yaden

    Asslamoalaikum 2 all muslims, Rafa-ul-Yaden ke masle per aik tafseeli mazmoon pesh-e-khidmet hai. Main ne iss mazmoon main koshish ki hai k her baat ba'hawala aur ba'daleel bian ki jae. Lakin ager koi meri kissi baat ko daleel se galat saabit ker de to mujhe rajoo kerne main hergiz preshani nahin ho gi, inshaAllah. Aap dosto se bhi guzarish hai k iss mazmoon ko mukamal aur dhayan se parhen aur phir iss per mazeed koi baat karen. wasalam
  4. Asslamoalaikum2 all muslims, Abhi tak koi aik bhi Jabir R.A. se mansoob Hadees-e-Noor ki sanad paish nahin ker saka. Ulta Sahih ahadees ka mazaq uraya ja raha hai aur phir bhi Aashiq-e-Rasool hone ke dawe. Sahih hadees per aitraaz kerne walon k liye aik waqia:
  5. Asslamoalaikum 2 all muslims, Ya Mohammadah sahib, Nahayaet afsos ki baat hai main ne sahih ahadees paish kin aur aap uss ka mazaq urra rahe hai. Aap ko to yeh chahiye tha k ya to inn ahadees ko maan lete ya phir inn ko zaeef sabit kerte. Aap ne age barrh ker Nabi s.a.w ke alfaaz ko nishana banana shuroo ker diahai. Main neeche aik waqia naqal ker raha hoon ho sake to iss se ibrat hasil kijiye ga. Allah aap ko hadayat de. Doosra yeh k Nabi s.a.w. ne apne dor main yeh baat kahi hai k qalam ne likh lia jo abb tak hua aur jo baad mai ho ga, iss hadees ka woh matlab nahin hai jo aap galti se samajh ker Nabi s.a.w. ke alfaaz per attack ker rahe hai. Teesra yeh k ager sahih hadees paish ker k yeh manana bughz e rasool hai k qalam ko Allah ne sab se pehle paish kia to phir yeh aqeedah Ibn-e-Abbaas R.A. ka bhi hai. Kahiye inn per kia hukam lagen ge. Bal k iss ke hilaaf kissi sahabi se kuch saabit nahin. Ya ho sakta hai k aap k khayal main yeh bhi wahabi hon, jinhen bughz e rasool ho. (nauz-u-billah). Kuch to taasub chor ker dekho kia keh rahe ho. Wasalam
  6. Asslamoalaikum 2 all muslims, Abhi tak kissi aik ne bhi hadees-e-Jabir ka sanad nahin pesh ki. Mazeed yeh bhi mulahiza ho.
  7. Asslamoalaikum 2 all muslims, Musanaf Abd-ur-Razzaq ke aik naqli nuskhe k hawale se iss hadees ko saabit kerna mazeed iss baat ka saboot hai k brelvion k paas iss hadees ka koi sahih sanad k saath saboot nahin.
  8. Asslamoalaikum 2 all muslims, Ooper aik hawala pesh kia gaya hai sag-e-attar ki taraf se: Najdi Apni Kitab Auzah Al-Baraheen Mein Likhta Hai... Huzoor Ka Mazar Gira Deney Key Laiq Hai Ager Main Is Key Gira Deney Per Qadir Howa Tu Gira Doun Ga... (Naoz Billahu Min Zalik) Sag-e-Attar sahib se guzarish hai k iss hawale ko Muhammad-bin Abdulwahab ki apni kitaab se saabit keren phir iss per mazeed baat ho gi. Woh woh baat inn se mansoob ki gai hai jo unhon ne kabhi shaed ki hi na ho. Meri tamam parhne walon se guzarish hai k aap log khud Imam Muhammad-bin-AbdulWahab ki books ko parhen. Mahez sunni sunai baaton ki taraf dhiyan na den. Beshak aik taraf Imam Muhammad-bin AbdulWahab ki Kitaab-ut-Toheed rakh lain aur aik taraf Ahmed Raza Khan ki koi kitaab. Aap ko pata chal jae ga k Quran-o-Hadees ki baat kon kerta hai aur qisse kahanian kon sunata hai. Wasalam
  9. Asslamoalaikum 2 all muslims, Faisal bhai aap ki poori post parrhi bohat acha laga. Inn logon ke paas sawae waswason k aur koi daleel nahin. Islam ke mukhalif aik nai shariet kharri ki hui hai inn logon ne. Nabi s.a.w. ko Hazrat Ayesha R.A. ke hujre main dafan kerne ki aik aur sab se barri wajah yeh bhi thi k khud Nabi s.a.w ki hadees ke mutabiq Nabi ko wahin dafan kia jaata hai jahan woh fot ho. Iss ke baad Hazrat Abu Baker R.A. aur Hazrat Umer R.A. ka dafan hona bhi tamam Sahaba Ikraam ke ijmaa se hua aur Ijmaa hujjat hai. Ahadees main jab saaf mana mojood hai Qabron ko pukhta kerne ki aur unn per amarat wagera banane ki phir shubhat se daleel pakarna sawae gumraahi ke kuch nahin. Wasalam
  10. Asslamoalaikum 2 all muslims, Aap ne likha hai k wahabion ke paas jo Musanaf-Abd-ur-Razzaq hai uss main se unhon ne iss hadees ko nikaal dia hai. To aap se guzarish hai k aap Musanaf Abd-ur-Razzaq ka woh nuskha bataen jis main yeh hadees mojood ho. Imam Hakim ne iss hadees ko pesh ya rawaet kia hai to iss ki sanad kahan hai? Haqeeqat yeh hai k iss hadees ko Imam Hakim ne hergiz inn alfaaz se bian nahin kia aur na hi sahih kaha hai. Ager tum sache ho to Mustadrik-Hakim ki mazkoora hadees jin alfaaz se naqal ki hai idher scan ker k laga do. Mazeed bhi jin kitabon ke naam aap ne yeh hadees naqal ker k likhe hain unn main se kissi ke alfaaz kuch hain to kissi k kuch. Her aik alfaaz woh nahin jo aap ne bian ker k neeche inn kitabon ke hawale de die hain. Sab se aham baat yeh k aap abhi tak iss hadees ki sanad bian nahin ker sake jo aap ki shikest ke liye kaafi hai. Sanad ka hona hi hadees saabit kerta hai werna kia aap her woh baat hadees tasleem kerte hain jo kissi ne bhi apni kitaab main Nabi s.a.w. se bian ker di ho? Khud Imam Hakim hadees ki asnaad bian kerte hain. Ager Aap ne yeh bhi likha hai k aap ke nazdeek qader kitabon ki nahin bal k Hadees-e-Rasool ki hai. Mager pehle Hadees-e-Rasool saabit to kero, k bas jis ko Hadees-e-Rasool keh ker bian ker do woh hujjat hai. Sahih hadees ki sharat hai k uss ke raawi aadil, zabit wagera hon. Phir jis ki na sanad ho na rawion ka atta patta uss per aisa zor dena siref zor-zaberdasti hi hai. Wasalam
  11. Asslamoalaikum 2 all muslims, Khalil sahib aap ne jo misaalen ikhtilaaf ki di hain mujhe inn se ikhtilaaf nahin hai bal k main to iss baat ka qael hoon k hadees ya daleel ko miar banate hue ager ijtihaadi galati ho jae to uss main gunjaesh hai. Mere baat ka matlab to yeh hai k daleel wazeh hone per bhi apni apni baat per arre rehna faroi masael ko buniad bana ker aik doosre ke peeche namaz tak na parhna. Jis ki wazeh misaal Bait-Ullah sharif main char masalon ka qaem hona hai. Aap ne Sahaba Ikraam R.A. ke baahmi jangon ki misaal bhi di halan k unn main se kissi ne bhi aik doosre ke peeche namaz parhni nahin chori thi. Lahaza ijtihaadi aur taqleedi ikhtilaaf ko aik jaisa qarar dena sakht dhoka dene wali baat hai. wasalam
  12. Asslamoalaikum 2 all muslims, Mujhe nahaet afsos ke saathkehna parrta hai k meri post ko sarsari andaaz se parha jaata hai aur baat se woh maani nikale jaate hain jo main ne nahin kahe. Sab se pehle to yeh baat clear ker lain k mohadisseem ka kissi rawaet ko mahez naqal ker dena uss ki toseeq nahin hoti aur iss per itni misaalain naqal ki ja sakti hain k aik alag mazmoon ki zaroorat hai. Doosra yeh k rawaet k liye sanad ka hona zaroori hai werna woh rawaet naqabale aitbaar hoti hai. Iss main kissi mohaddis ka koi ikhtilaaf nahin. Ager kissi ko meri iss baat se ikhtilaaf hai to saboot se baat kare. Teesra yeh k ager muhadissen ki baat main ikhtilaaf ho sahih ya zaeef kehne main kissi rawaet k to dekha jae ga k kiss ki baat asool-e-hadees aur daleel ke mutabiq hai. Inn baaton main koi tazaad nahin hai bal k alag alag halaat ka faraq hai. Aap sab se guzarish hai k asool-e-hadees ki kitabon ki taraf rajoo karen aur deen ko zid main seekhne ki bajae daleel aur zahen ko roshan kerne k liye seekhain. Abb kuch iss hadees-e-Jabir almaroof hadees-noor ke baare main. Mere bhai logo aap mahez Musanaf-Abd-ur-Razzaq ka naam le rahe hain. Werna haqeeqat yeh haik kissi bhi hadees ki kitaab main iss ka wajood nahin. Iss main gussa kerne wali baat nahin hai aap ager iss baat main sache hain to iss hadees ko basanad hadees ki kitaab se bian ker dain. Akhir ager yeh hadees itni hi sahih haito phir iss ki sanad kion bian nahin ki jaati. Akhir main iss sawal ka jawab k Ham Imam Bukhari ko Imam Abd-ur-Razzaq se ziada kion maante hain to bhai baat yeh hai k Imam Bukhari ki Sahih Bukhari ki kitaab per ijmaa hai k iss ki tamam ahadees sahih hain, jo Imam Abd-ur-Razzaq ki kitaab ko hasil nahin. Phir aap bhi jo Imam Abu-Hanifa ki taqleed kerte hain to unn ki taqleed ki bajae unn ke ustaatza ki kion nahin ker lete. Ajeeb baat hai ham daleel ki buniad per tarjeeh dain to galat aur aap log Imam Abu-Hanifa ko taqleed main tarjeeh dain unn ke usaatza per to sahih. Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen.
  13. Asslamoalaikum 2 all muslims, Aap ne Imam Hakim ke hawale se likha hai k iss hadees ki tamam asnaad sahih hain. Aik to iss ka hawala darkaar hai doosra yeh k mahez kissi k keh dene se sanad saabit nahin ho jaati. Aap se guzarish hai k iss hadees ki aap k mutabiq jo bohat si asnaad hain unn main se koi aik pesh ker dain. Bila sanad rawaet to Imam Bukhari R.A. ki qabool nahin ki jati to kissi doosre ka kia muqam. Iss baat per muhadissen ka itifaaq hai. Aap ne jitne naam likhe hain un main se kissi aik ne bhi iss hadees ko sanad ke saath naqal nahin kia jo iss baat ka saboot hai ke yeh hadees mahez aik se doosri kitabon main naqal hoti chali aayi hain rawaet nahin hui werna iss ke rawaet kerne wale raawi kahan hain? Pehle naqal aur rawaet ka faraq to maloom ker aayen. Wasalam
  14. Rana sahib, Jab issi rawaet main saat ke hindse ka haser haqeeqi nahin azaafi hai to phir iss main jis Rafa-Yaden ka ziker nahin usse iss main dakhil kaise smjha ja sakta hai. Waise bhi aik cheez ka ziker na hona uss ki nafi ki daleel nahin hota jab woh doosri jagah se saabit ho. Aur main ne yeh baat pehle bhi likhi thi yeh sab baaten tab bahes ke laeq hon gi jab yeh rawaet saabit ho gi. Halan k khud hanfi ulma aur jamhoor muhadissen ke nazdeek iss ka aik raawi "ibn-e-abbi laila" zaeef hai. Main jo tafseeli mazmoon likh raha hoon bas takmeel ke marahel main hai jald post keroon ga uss main badaleel iss baat ko saabit kia jae ga. Wasalam
  15. Asslamoalaikum 2 all muslims, Khalil Rana sahib, yeh kaisi sabeel-ul-huda hai ke aik muqalid doosre imam ke muqalid ke peeche namaz ko parrhna jaez nahin samjhta tha. Yahan per yeh aitraaz nahin chale ga k woh aqeede ka ikhtilaaf ki wajah se hai kion k main aap ko saboot de sakta hoon k hanfi aalim siref rafa-yaden kerne ki wajah se shafai aalim ke peeche namaz ko batil samjha. Bait-Ullah shareef main chaar chaar masale qaem hona kia aqeede ke ikhlilaaf ki wajah se tha ya taqleed ki wajah se. Ahnaaf aur shafai aik doosre ke khilaaf qitaal kerte rahe, jange larte rahe woh kia aqeede ka ikhtilaaf tha ya taqleed ka? Hanafi aalim jo shafia se ger-muslimon ki tarah jazia lene ki baat kerte rahe woh aqeede ka ikhtilaaf tha ya taqleed ka? Inn sab baaton ka saboot maangne per mohia kia ja sakta hai. Iss ke bawajood aap ki yeh masoomiet k yeh taqleedi group aik hi sabeel ki alag rahen hain sawae khud ko aur logon ko dhoka dene ke koi maani nahin rakhta. Wasalam
  16. Asslamoalaikum 2 all muslims, Khalil Rana Sahib, Aap ne likha hai k main ne aap ki baaton k jawab Taqleed ke mozoo per nahin die the. Halan k baat yoon hai k aik post main pehle main wazaher ker chukka tha k taqleed hoti kia hai? jab aap ne jawab likha to ger-mutaliqa cheezon ko bhi uss main le aaye. Zahir hai main aisi baaton ka kia jawab doon jin se istidlal banta hi nahin. Doosra yeh k main to yeh pehla mazmoon kissi aalim ka idher post ker raha hoon jab k aap k bande poori poori kitaab iss forum per copy paste ker dete hain chahe uss main jawab ho ya na ho mahez iss liye ke jawab de dia gaya hai. Mahez jawab dena to koi baat nahin baat to yeh hai k jo baat ki gai hai uss ka radd bhi hai ya nahin. Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen.
  17. Asslamoalaikum 2 all muslims, Sag-e-Attar, aap ne likha hai k main copy paste kerta hoon halan k aik do topic ke ilawa mere mazmoon iss baat per gawah hain k main unhen khud likh ker post kerta hoon bal k unn ke jawab main kitaab Jaa-ul-Haq ke poore poore abwab paste ker die jaate hain. Iss ke ilawa aap ne yeh bhi likha hai k main gussa kerta hoon to iss ke liye aap "RadiatingAli" ke replies per gor karen, aap ko pata chal jae ga k gussa kon ker raha hai. Iss ke ilawa yehi kehna chahoon ga k main yeh saari post sab k saamne hai main ne aap ke jawab bhi die hain chahe app unhen maanen ya na maanen mager aap ne meri baaton k jawab nahin die. Ager aap log gor karen to Iraq k baare main to tasreeh mojood hai fitnon ki phir kia wahan per jo peda hua uss hadees ka misdaq hai? Jab Iraq ka naam aane per aap baat ko tasleem nahin ker rahe to mujh per zaberdasti kion? wasalam
  18. Asslamoalaikum 2 all muslims, Bohat achi baat ki hai aap ne bhai "smartcoolguy". Bilkul main iss baat se agree kerta hoon k ager hanafi banane ka hukam nahin to deobandi banane ka bhi nahin. Issi tarah ager chishti,qadri wagera ki nisbet ker k alag alag tareeqe rawaaj dena sahih nahin to NANOTVI...LUDHEYANVI....AMBETHVI....GANGOHI ya aur bhi kissi aalim ki baat ko deen samajh lena uss se bhi barri gumraahi. Bhai aap se guzarish hai kam az kam iss asool ko apna manhaj banaen k Quran-o-Sunnet k muqable main kissi ki baat bhi qabool nahin. phir iss per her cheez check karen aur faisla karen. Ho sakta hai k amal main kotahi ho jae lakin iss ka yeh matlab to nahin k asool ko hi chor dia jae. Jiase ham sab maante hai k jhoot bolna kabeerah gunaah hai lakin ham main se akser kotahi ka shikaar ho ker jhoot bol bhi dete hai to iss ka yeh matlab to nahin k jhoot ko bura samajhna hi chor dia jae. Issi tarah Quran-oSunnet ko hi apna asool bana ker rakhen phir ussi ko miar banane ki dawet dain aur uss ke khilaaf her baat radd karen chahe apne ki ho ya parae ki. Allah samajhne ki tofeeq de. Aameen
×
×
  • Create New...