
Talinenoor
Under Observation-
کل پوسٹس
278 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
سب کچھ Talinenoor نے پوسٹ کیا
-
Asslamoalaikum, Raza Bhai, aap ki reply ka bohat bohat shukriya. Mujhe acha laga k aap jo samajhte hain uss k motabiq aap ne mujhe ache andaaz aur ikhlaas se naseehat ki. Allah aap ko aur mujhe Sahih raaste per gaamzen kare. Aap ne jo mujhe kaha hai main inshaAllah uss per zaroor amel keroon ga kion k aap ne mujhe goar-o-fiker ki dawet di hai. meri bhi aap se yehi guzarish hai. Main to yehi samajhta hoon k hamesha hadayat ka talib rahna chahiye aur iss k liye apne Allah se dua bhi kerte rehna chahiye. Jo yeh samajh leta hai k mujhe bilkul sahih sab pata hai woh kabhi hadayat nahin paa sakta. Aap se bhi guzarish hai k main jo post keroon usse billa tasub khule zahen se zaroor parhen sirf issi liye inkaar na karen k yeh to Ahlehadees ka likha hai. Jahan mujhe galat samjhen islaah zaroor karen. Baat sirf itni hai k main her molvi ki baat aankh bund ker k nahin maan sakta. Aap mujhe iss lahaz se yeh nahin keh sakte k main rigid hoon k main to daleel dekh ker hi doosri taraf badla tha. Ager mujhe yahan per kissi maamle main apni galti saabit ho gai to main abb bhi haq qabool kerne main ghabraoon ga nahin. Mager yaqeen janiye aap uss waqet tak sahih faisla nahin ker sakte jab tak aap ko yeh pata na ho ko doosre iss maamle main kia kehte hain?? Hamare haan ziada ter sunni sunnai baten aisi maani jaati hain jaise wahi ho, mager haqeeqat main woh hergiz saabit nahin. Baherhaal aap se bhi yehi guzaarish hai k meri post ko bhi parhen zaroor. Aap ke islaahi jawabaat ka intezaar rahe ga. Allah ham sab ko samajhne ki tofeeq de, Aameen.
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Main ne pehle bhi kaha tha k sunni sunnai baten na ki jaen. Mager iss k bawajood aap ne phir aisa hi kia hai. Aap ne likha hai,"Abu Hurairah(RA) narrated that Rasoolillah(SAW) said "If Ilm was suspended from the Turaiya star and the Arabs are unable to reach it, even then a man from the sons of Persia will be able to reach it" (Bukhari, Muslim & Tabarani)." Main poochna chahta hoon k yeh hadees Bukhari-oMuslim main kahan hai? Umeed hai rehnumai karen ge. Doosra yeh k yeh hadees hergis Imam Abu Hanifa k haq main nahin hai kion k unn ka taluq persia se nahin tha. Aap ne 20 Sahaba Ikram R.A. se Imam Abu Hanifa ki mulaqaat hona bataya tha. Main ne kaha tha 10 se saabit ker dain aur abhi baat kehne, sunnane tak hi aayi hai to koi 5 kehta hai to koi 8. Jab saabit kerna parre ga to 1 Sahabi se bhi mulaqaat saabit na ho sake gi. Aur iss baat main Imam Abu Hanifa per koi zadd nahin parti mager aap log unn per aisi baten kerte hain jo saabit nahin ho saktin. Ager phir bhi aap ko apne dawe per barra maan hai to aik hadees pesh ker dain jo Imam Abu Hanifa ne kissi sahabi si bian ki ho aur woh Sahih ho...? Aksiriaet hergiz miar nahin. Nabi ki hadees k meri Ummet gumrahi per jama nahin ho gi se Ijmaa ka saboot nikalta hai. Tum log apne aqaed per Ijmaa hergiz saabit nahin ker sakte. Iss hadees se aksiriet muraad lena intahai galat hai. Jese aaj musalmanon ki aksiriet deen se door hai to kia yehi baat sahih hai...? Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen
-
Janab Khalil Rana Sahib, Aap se to mujhe aisi bachkana baaton ki umeed nahin thi. Aap ne pehle hadees hi jo pesh ki hai main iss ka jawab pehle bhi de chuka hoon k yeh to tab hai jab main kissi ko mushrik keh ker bila hujjet uss ke qatel ke derpe hoon. Ager iss se muraad yeh hai k shirek ko shirek hi naa kaha jae to yeh intahai galat baat hai. Doosra yeh k yeh hadees aap logon k khilaaf hai kion k ooper aik reply main Zia-ul-Haq ko mushrik o Kaafir kaha gaya hai aap ke fareeq ki tarf se. Doosri hadees main bhi yehi baat hai k Ummet k log Ijmaa k saath shirek nahin karen ge werna shirek ker sakte hain jaisa k main ne bohat si ahadees naqal ki hain. Nabi ki qaber butt banane se mehfooz hai Allah ne aisa intezaam kia hai k aap logon ko wahan phatakne bhi nahin dia jaata. Mera uss hadees ko pesh kerne se maqsood sirf yeh tha k aik qaber bhi butt ho sakti hai jiss se aap inkaar nahin ker sake, AllHamdulillah. Hadees k mutabiq ham bhi kissi gunah ki wajah se hergiz kissi ko muchrik nahin kehte. Kufaar k haq main naazil hone waali aayaat ko musalmaanon per chespaan kerna yaqeenan sahih nahin mager ager koi shirek kere ga to usse to shirek waali aayaat sunai jaen gi k nahin. Werna to phir jitna baatil firqe hain unn per koi aayet nahin pesh ki jaa sakti k woh unn k haq main to naazil nahin hui. Khud kia aap iss baat ko maante hain k Gustaak-e-Rasool per woh aayeten pesh nahin kerni chahiyen jo kufaar ke haq main naazil hui hain....? Aap ne bhi tasleem ker lia hai k Quran main jitni shirek k khilaaf aayeten pesh ki gai hain unn main shirek se daraia gaya hai to phir saabit hua k shirek ho sakta hai to daraia gaya hai. Yeh ham per buhtaan hai k ham her dor k EemanDaron ki aksiriat ko mushrik qara dete hain??? Mazaraat per jo kuch hota hai aap kabhi bhi uss ko her zamane main saabit nahin ker sakte kahan yeh baat k aksiriet inn kamon ko sahih her dor main samajhti thi. Nabi ki wazeh hadees hai k deen ajnabi tha aur anqareeb ajnabi ho jae ga aur aaj yehi soort-e-haal hai. Aksiriet deen main kabhi bhi miar nahin rahi. Baat ussi ki deen main sahih hai jo dallel se baat kare werna aaj kaseer musalmaanon ki hi jo haalat hai kia aap usse deen tasleem kerte hain..? Mushware ka hukam dia gaya hai musalmanon ko apne duniavi maamlaat main werna jahan daleelse baat saabit ker di jae wahan aksiriet ka faisla thukra dia jaata hai bal k duniavi maamlaat main bhi ameer paaband nahin hota Shoora ka. Hazzret Abu Baker Sadeeq R.A. ke kai faisle aise the jo jamhoor k rae ke khilaaf the jaise Zakaat na dene walon se Jihaad ka faisla. Soorah Yousaf ki aayet ka jawab bhi main de chuka hoon k main ne uss k neeche wazahet ki hai dhiyaan se parhen. isse iss per pesh kia gaya hai k Allah per emman k saath bhi shirek hota hai. Barae meherbaani bahes barae bahes na kerain bal k jo baat abhi main ne ki hi nahin mere per woh na lagaen. Abhi jab baat yeh ho gi k shirek kia hai kia nahin to phir aisi baten pesh kijie ga ta k ussi tanazer main uss per baat ho sake. Wasalam
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, Aap mujhe kehte hai k emotional hoon aur khud gusse main aisi aisi maarte hai k jin ka na sir na per. Aap ne kaha k Nabi ne kahan kaha hai k mere baad Bukhari o Muslim ki hi manana. To mere dost ham ne kab kaha hai Imam Bukhari Ya Imam Muslim ki mano. Ham to uss hadees ko maante hain jo woh pesh kerte hain. Ager sahis hadees koi bhi pesh kare ham manane k liye tiar hain. Abb chahe woh hadees Imam Bukhari pesh karen ya Imam Abu Hanifa. Sirf uss ko sahih hona chahiye. Aap log Imam Abu Hanifa ki hadees nahin maante bal k taqleed kerte ho jo bila daleel hoti hai (Taqleed ka maani hi kissi ki baat bila daleel manana hai hanfi books main dekh lain). Aik aur baat per gor kero sab se ziada tum ne shor machaya hua tha k aqeede per baat kero aur abhi sirf pehli post main ne ki hai k tum ne kabhi yeh kehna shuroo ker dia k Ahlehadees nai pedawaar hain, kabhi yeh k Imam Abu Hanifa qareeb k hain. Abb jo topic hai ussi per post kero. Ager Imam Abu Hanifa ki taqleed issi liye behter hai k woh ziada qareeb k hai to phir kissi Sahabi ki taqleed kion nahin ker lete woh to mazeed qareeb ho ga Nabi se. Imam Abu Hanifa ne kabhi yeh nahin kaha tha k meri taqleed kero na unn k apne shagirdon ne aisi baat koi tasleem ki bal k daleel ki buniad per unn se ikhtilaaf kia. Mager aafreen hai aane walon per jinhon ne taqleed ko laazim ker dia. Aap ne yeh bhi likha k Imam Abu Hanifa, 20 Sahaba Ikram se mille. Mahez sunni sunai na maaren, Ager aap ko iss baat yaqeen hai to 20 choren 10 Sahaba Ikram ka naam sahih saabit ker dain, main sab kuch chor ker aap ki maan loon ga k aap log sache ho aur jhoot nahin bolte. Ager na ker sake to phir maan lena k aap logon ko jhooti baaton se perchaya jaata hai. Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen
-
Asslamoalaikum 2 all muslims, aise ilzaam barae ilzaam bahes main bhi ker sakta hoon. Lakin yeh to her aik ka apna zaraf hai. Ahlehadees 100-150 bares pehle ki padaesh nahin kion k yeh manhaj ka naam hai aur Ahlehadees hi sahih AhleSunnat hota hai. Jin logon ne Rasm o Rawaaj ko deen bana lia ho unn ka koi taluq Ahlesunnat se hergiz nahin. Aap log khud ko Ahlesunnat kis tarah kehte hain halan k aap log Brelvi hain. Ahlesunnat se toot ker aap log hanfi hue aur phir mazeed taqseem ho ker brelvi ho gae, lakin dawa phir Ahlesunnat hone ka. Aap logon ki saari daawet Ahmed Raza Khan ke pesh kie gaye deen ki taraf hai. Jab k Ahlehadees aur Ahlesunnat ki dawet Quran-o-Hadees aur Sunnat ki taraf. Hamari dawet kissi aalim ki tarf nahin jo peda na hota to Ahlehadees bhi na hote. Haan ager Ahmed Raza na hote to Firqa-e-Brelvia hergiz na hota. Main aisi ilzaami baten hergiz na kerta mager jin logon k paas daleel ki bajae mahez ilzaam hon unn se aisi baat kerne per khud ko majboor paata hoon. phir bhi kissi ko meri kissi baat se takleef pohanch ho to maazret'khua hoon. Wasalm
-
Asslamoalaikum 2 all Muslims, "ya-Muhammadah" main aap ki meethi zuban ka to pehle se hi qael ho chuka hoon, mager aap her mertaba iss ka saboot mazeed dete hain. Ager aap bhi yehi kehte hain k shirek ho sakta hai aur aap iss se inkar nahin kerte jaisa k aap ne khud likha hai to phir gussa kis baat ka hai mere dost yehi main ne bhi likha hai. aap yeh bataen k main ne abhi tak konse muslima aqaed ke hilaaf koi kufria baat kahi hai jis ki wajah se aap ne mujhe jahanum ka perwana dia hai, jaise jahanum aap ki zaati jaageer hai ya Jannat main aap ne apna thikana dekh rakha hai jo doosron ko jahanum ke plot taqseem ker rahe hain?? Khuda k liye aap log apne siwa kissi ko musalmaan samajhte bhi hain ya nahin aur ilzaam phir ham per hi k ham sab ko gumrah kehte hain. Apna tarz-e-amal dekh lain baar baar bila daleel gumrahi ka fatwa. Lakin kia main ne aap main se kissi aik ko zaati tanqeed ka nishana banaya hai??? Kia Nabi ne barre barre gumrahon k liye bhi aise alfaaz istimaal kiye hai jaisa k aap mujh per ker rahe hain????(woh bhi bila daleel) Abb tak jo main ne kaha hai uss main se konsi baat aisi hai jis per aap ko main kaafir ya gumrah nazer aaya??? Aap ne jo yeh kaha hai k main tafseer Ibn-e-Kaseer ki ahadees hazam ker gaya hoon to uss ka jawab bhi main de chuka hoon k woh meri post k hilaaf nahin. Ager aap ko lagta hai k meri Ilmi hasiyet kuch nahin aur mere se ilmi guftagoo fazool hai to koi baat nahin. Mujhe apne Ilm per koi Fakher bhi nahin, mera bherosa to apne Allah ki zaat per hi hai. Aap ko lagta hai k meri post ka jawab aap logo ne de dia hai to bohat acha. Logon k saamne donon maoqaf hain woh khud dekh lain ge k kis ne daleel apne maoqaf per sahih di hai aur kis ko confusion hai???
-
Asslamoalaikum, Main ne apne article main jo surah Yousaf ki aayet pesh ki jis per aap ne aitraaz yeh kia hai k main ne woh musalmanon per laga di hai. Mujhe intahai afsos se kehna parr raha hai k aap log khule dil se meri baat ko parhte nahin aur ilzam laga dete hai jo main kehta bhi nahin, yahan bhi yehi hua. Jahan main ne yeh aayet pesh ki hai uss k baad main ne saaf likha hai k" iss aayet main Allah ne saaf wazahet ker di k Mushrikeen main se akser......." Jab main ne khud mushrikeen ki wazaher ker di thi, phir mere per yeh ilzaam kia maani rakhta hai? Iss aayet ko paish kerne ka maqsad sirf yeh tha k Allah ko maante hue bhi shirek hota hai. Haan doosri aayet main Allah ne musalmanon ko kaha hai k ager tum logon ne Mushrikon ya kuffar ki Ataat ki to tum bhi mushrik ho jao ge. Iss se wazeh aur kia baat ho sakti hai k Musalmaan bhi shirek ker k Mushrik ho sakta hai. Main ne jo ahadees pesh ki hain woh bhi saaf hain k Ummet main shirek ho sakta hai. Aap ne jo ahadees pesh ki hain unn main se kissi main yeh nahin k ummet se shirek ho hi nahin sakta. Apne bhai ko mushrik kehne waali hadees bhi tab mujh per lagti hai jab main ne kissi khaas ferd per Mushrik hone ki tohmet lagai ho. Werna to aap logon ne bhi Zia-ul-Haq ko mushrik kaha hai ooper saboot majood hai aik reply main to phir yeh hadees aap logon per na laga di jae. Main ne apne iss article main iss baat ki wazahet to ki hi nahin k kia shirek hai kia nahin, to phir aap mujhe kaise keh sakte hai k main nne sab ko mushrik keh dia hai. Main pehle bhi keh chuka hoon ke khud ko Ahlesunnat kehna Ahlesunnat hone ki daleel nahin bal k amel batae ga jab ayenda mazedd topics per baat ho gi to pata chal jae ga k Mohadasseen, Aema Ikraam ke khilaaf kis k aqaed o amaal hain. Abhi to jo kaha hai ussi topic main rehen. Aap ne aik hadees pesh ki hai k jis ka mefhoom hai k Naaji jamaat woh hai jo uss tareeqe per ho gi jis per Nabi aur Sahaba Ikraam hain. Allah aap ko jazae khair de buss issi ko pakar lain apne aqeede aur apne amaal check kerna start ker dain k kon kon se aqeede aur amaal inn Paak hastion ke the phir ussi ko pakar lain. Qisse, kahanion se jin kitabon main daleel li jaati hai unhen chor dain. Meri bhi aap se yehi guzarish hai. Aap se yeh bhi guzarish hai k barae meherbaani meri post ko dhiyaan se parhen aur jo baat main ne ki hai uss per hi bahes karen jo main ne ki hi nahin usse mere ser na lagaen. jo topic se ger mutaliqa baten hain unhen kot na kren, baat phelti chali jaati hai. Allah ham sab ko hadayet se nawaze, Aameen.
-
Asslamoalaikum 2 all Muslims, Bhai mere her cheez ko tassub se dekhna koi achi baat nahin. Main ne kahan Nabi ki Qaber ko Butt kaha hai? Main ne apni to koi baat nahin ki main ne to hadees paish ki hai k Nabi ne Allah se dua ki thi k meri qaber ko butt na banane dena aur iss se yeh masla nikalta hai k aik qaber bhi butt ho sakti hai. Aap yeh bataen k main ne Zia-ul-Haq, Shah Faisal ya kissi ki koi baat paish ki hai? Ya un ko apna peshwa kaha hai k unnhon ne jo kia uss per hujjaten paish keron. Doosra yeh k Qaber per phool charhane ko kiss ne shirek kaha hai? Mere article main aisi koi baat hai?? Jo baat ki gai hai uss per comments karen. Aakhir main bhi khoob kahi k "ager Hazoor ki qaber per bhi jana shirek hai to......." Oh mere bhai main ne kahan likha hai k Nabi ki Qaber per jaana shirek hai???? Main kehta kuch hoon mtlab koi nikal rahe ho. Bhai mere dhiyan se parho main ne iss article main shirek kia hai, kia nahin, iss per to baat hi nahin ki. Iss main sirf itni baat samjhai gai hai k jo yeh samjha jaata hai k Ummet-e-Muslima shirek nahin ker sakti to yeh baat galat hai. Shirek kia hai kia nahin uss per to ahista ahista mazeed likhoon ga. Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen.
-
Asslamoalaikum, Mere bhai yeh post aqeede per hi hai. Iss main koi faroi masla nahin chera gaya. Ager main ne koi hawala galat dia hai to zaroor nishandahi kero. Kissi Aayet ya Hadees se galat matlab nikala hai to meri islaah kero. Yeh bila daleel tanqeed koi maani nahin rakhti. Ager kissi aayet ka Shan-e-Nazool main ne nahin dia to aap de ker baat wazeh ker do iss main gussa kerne wali kia baat hai. Doosra yeh k main ne Ahadees bhi pesh ki hain aur woh ziada ter apne mozoo per saaf hain k Ummet-e-Muslima main shirek ho sakta hai. Main ne kissi per fatwa nahin lagaya sirf aik galatfehmi door kerne ki koshish ki hai, jahan galat hoon Islaah ker dain. Musanaf AbdurRazzaq ka hawala akela nahin hai uss k saath aur kitabon k hawale bhi hain doosra yeh k ham main se koi yeh nahin kehta k iss ki tamam ahadees zaeef hain, haan jo saabit ker de daleel k saath. wasalam
-
Asslamoalaikum, plz Read it. Ager kissi ko koi baat galat mehsoos ho to reply ker k islaah ker dain. Allah ham sab ko samajhne ki tofeeq de, Aameen.
-
Allhamdulillah, Abb bhi kehta hoon k main Ahlehadees hoon. aur main ooper bian ker chuka hoon k AhleHadees hone ka matlab hai Quran aur Hadees ko manana. Iss buniad per main Sahih AhleSunnat bhi hoon k main Quran aur Sunnat ko maanta hoon. Ahlehadees per jo Ilzaamaat hain ka hi to jawab de raha hoon k Ahlehadees aik manhaj hai kissi aalim ka naam Ahlehadees nahin. Tum jo ilzaam lagate ho kissi nakissi aalim per lagate ho aur hamare nazdeek Aalim ki wohi baat qabel e qabool hai jo Quran o Hadees se sabit ho werna merdood hai. Aap logon se jis cheez ka mutaliba hai woh yeh k apne aqeede ko dalael se wazeh karen uss per dalael dain ilzaamaat per dalel dene ko nahin kaha. Main ne yeh bhi kaha hai k ager tumhare nazdeek main galat hoon to mujhe batao sahih aqeeda kia hai? uss per dalael do. Mager tum masael per bahes kerne ke bajae bando per bahes kerna chahte ho. jo bilkul be-maani hai. wasalam
-
Asslamoalaikum, Aashique-Mustafa bhai yaqeen se kehta hoon k brelvi hazraat main aap jaise bhi bohat kam hain jin main baat kerne ka koi tareeqa to hai. Jo baat kerna hi nahin sunana bhi jaante hain. Mere bhai baat sirf yeh hai k aap ooper mere tamam replies dekh lain main ne kissi per Attack nahin kia. Sirf iss liye k aap log chalne k liye tiar to hon phir jis ki jo jo baat galat saabit ho usse chor de aur ager daleel k saath kufria saabit ho to kufria bhi kahe. Aap ne jo kuch fermaia k Ahlesunnat ke dermian aqaed main koi ikhtilaaf nahin to main yeh baat maanta hoon. Mager aisa bhi nahin k jin jin ko Ahlesunnat samja jaata hai woh Ahlesunnat hain. Bal k uss k liye apna aqeeda sabit kerna pare ga aur yeh tab tak nahin ho sakta jab tak aik aadmi ko uss ka aqeeda bian hi na kerne dia jae. Mujhe bian kerne dain phir InshaAllah pata chal jae ga k kis ka Aqeeda Aema Ikram wala hai? Abhi sirf aik misaal de raha hoon aur yeh aqeede k masle per hai. Sheikh Abdul Qadir Jilani RehmatUllahAleh ne unn logon ko Ahlesunnat se kharij qarar dia hai jo kehte hain k Eeman kam ya ziada nahin hota. Aur issi baat ki bina per Hanfia ko gumrah firqon main shumar kia hai.(Gunia-tul-Talibeen) Kion k Ahnaaf issi baat k qael hai k Eemaan kam ya ziada nahin hota. Iss tarah k aur masael bhi hain. Aap ne Ilm-e-Gaib se motaliq bhi baat ki hai to dekhen ager main aik cheez ko shirak samajhta hoon mager aap ki baat daleel k saath sune bager bas aap ke uss masle ko dekh ker aap per shirak ka fatwa laga doon to kia yeh sahih hai??? Aap ko moqa to dia jana chahiye na k aap sabit kar saken k yeh shirak nahin. Issi tarah her baat per gustaakhi ka aur kufer ka fatwa lagane se pehle hamen bhi to moqa dena chahiye k ham apne aqeeda ko khud wazeh karan k ham kia maante hain aur kitna maante hain. Abhi itna bata doon k hamara aqeedah hergiz yeh nahin k Nabi ko Allah ke batane se bhi Gaib ki baat maloom nahin hoti. yeh ham per buhtaan hai. Main ilm-e-Gaib per apna nuqta-e-nazer tafseel se likhoon ga. Phir uss se motaliq bahes ho gi. Issi tarah dusre masle bhi. Main chahta hoon k abb iss taveel bahes jo ko khatam kia jae jo bahes barae bahes bani hui hai. Main different topics per post keroon ga jo main galat samajhta hoon uss per islaah ki koshish keroon ga jo aap mujh main galat samjhen zaroor islaah karen. Allah ham sab ko hadayat de aur taferqe baazi aur apne apne ulma per taasub ko chor ker sahih Ahlesunnat aur Ahlehadees bana de, Aamin. Aik aur baat wazeh kerna chahta hoon k Deobandi hazraat jitni mukhalfet Ahlehadees ki kerte hain utni Brelvion ki nahin kerte. Aur yeh nai baat nahin hai Ashraf Ali Thanvi aur deoband ke purane Ulma se bhi aap ko fatwe dikhae ja sakte hain Ahlehadees ke khilaaf. Hata k inn logon se Ahlehadees ko apni masajid se nikaalne se motaliq poori poori kitaaben likhi hain. Aam tor per brelvi hazrat inn ke chand Ulma ki Muhammad Bin AbdulWahab se motaliq chand tareefi kalme pesh ker k inheh bhi wahabi kehte hain. Halan k yeh aik jesa hone ki baat nahin hai. Nabi se motaliq ager kaafir tareefi kalmaat kehne per majboor hain to iss se hergiz yeh nahin nikalta k kaafir wagera, Nabi ke deen ko bhi maante hain. Muhammad Bin AbdulWahab aur Deobandion ke aqeede main zameen aasmaan ka faraq hai. Bal k deobandion k bohat barre aalim Molana Hussain Ahmed Madni ne Muhammad Bin Abdulwahab ko Gumrah aur Bagi bhi likha hai. Baherhaal yeh tafseeli bahes hai. kon sahih hai kon galat iss se qata nazer sirf itna batana maqsood hai k kon kis se mutafiq hai uss k aqaed se pata chalta hai aur Ahlehadees aur Deobandion k Aqaed opposite hain. Tafseel phir kabhi. Wasalam
-
Asslamoalaikum, Aafreen hai tum per mere dost, kaash k tum meri ooper wale reply bhi gor se parhte. Jab main keh chuka hoon k meri dawet Quran aur Hadees hai phir bhi uss per ratt lagae jaana k tumhara GM Group, kia maani rakhta hai? Main ne aap logon ko uss ki dawet di hai? Baar Baar mujh se iss baat ka taqaaza k apna Eemaan sabit keroon. Aik aadmi jo gawahi de raha hai k woh sirf Quran o Sunnat ko miar samajhta hai, ager woh bhi eemandar nahin to phir kon hai? Main ne abhi tak konsi kufria baat ki hai jis ki buniad per mujhe eeman se kharij kie jaane ka hukam lagaea jaa raha hai. Main baar baar keh chuka hoon k Quran O Hadees hi ki meri dawet hai Uss main koi aitraaz kerna hai to main jawab dene ka paaband hoon. Kia tumhare nazdeek deen sirf Ahlehadees kehlane wale logon per kufer ka hukam lagane ka naam hai???? Main yeh sab baten keh keh ker thak gaya hoon mager tumhari samajh main yeh kuch nahin aa raha. Tum log apne baare main aik cheez sahih saabit nahin kerte aur mere per unn cheezon se motaliq bhi poochte ho jo main ne nahin kahin. Apne aqaed bhi to saabit kero jo k tum kehte bhi ho aur mujhe mera aqeeda bian kerne do sab pata chal jae ga k kon sahih keh raha hai??? Jab tum log sahih ho to phir islahaana rawaia apnao bahes barae bahes wala tareeqa kion apna rakha hai? Nabi apne paas aane walon k sawalon ka jawab dete the ya unn se kehte the k pehle apna Eeman sabit kero phir baat ho gi?? jab tumhare nazdeek mera aqeeda (jisse tafseel se baian kerne ka moqa hi nahin dia gaya abhi tak)sahih nahin to phir apna aqeeda sahih sabit kero/?? Mazeed yek k Kal 28 September, 2007 wale din Q TV per sehri time main Mufti Akmal sahib ne jo baatcheet ki ager usse suna hota to tumhen yaqeenan faeda hota. Kaash woh tumhare reply dekh lain to unhen pata chale k kon tanqeed barae tanqeed ka aadi hai bajae Islaah ke. wasalam
-
Asslamoalaikum, Aashique-Mustafa Bhai aap ke jawab ka bohat bohat shukriya. Mere bhai aap ka kia hayal hai k main ne Brelvi ulma se poocha na ho ga? Mager apne dalael dene ki bajae jab baat sirf aitraaz barae aitraaz hi ki jae to faeda kis tarh ho sakta hai. Aap to 2,3 kitabon se motaliq keh rahe hain k inn se hamara koi taluq nahin, main aik aik kitaab se motaliq biraat ka izhaar kerta hoon k jis main bhi Quran o Hadees k khilaaf bian ho woh mardood hai. Abb chahe woh Shah Ismail ki ho ya Molana Ahmed Raza Khan ki. Hamara to manhaj hi sirf Quran o Hadees hai. Ulema ka kaam uss ki tashreeh to ho sakta hai mager uss k hilaaf kissi ki baat qabel-e-qabool nahin. Main samajhta hoo aur issi per aqeeda rakhta hoon k Nabi ke baad ummat main koi bhi masoom nahin her aik se galti ho sakti hai. Abb ager to kissi ki baat Quran o hadees k motabiq hai to sir aankhon per werna diwar se maar di jae gi. Aap ne poocha hai k aap ka Allah k baare main kia aqeeda hai k kia woh jhoot bol sakta hai? to main kahoon ga hergiz nahin k Allah her tarah k ayoob se paak hai woh sab se bara sacha hai. Uss ki taraf kissi bhi tarah k aib ki nasbat bohat barri gustakhi hai. Jahan tak baat hai k main kiss tarah se samjhta hoon k Brelvi hazrat galat hain to arz yeh hai k aap log mujhe kuch kehne dain ge to main kuch kahoon abhi tak to sirf mujh per jirah hi ki jaa rahi hai. lahaza aap se guzarish hai k doore doston se bhi kahen k taasub ko iak taraf rakh ker meri baat to sun lain jo main kehna chahta hoon. Jo post keroon ga uss se aap ko pata chal jae ga k main kia keh raha honn aur main ne koi aqeeda ya amal kion apnaya hai ? phir ager meri koi baat galat ho to zaroor islaah kerain. Aakhir main aap ki Dr. Zakir Naik wali baat ka jawab yeh hai k Aap ne kaha k Sunni Aalim ne sabit kia k Wahabi Nabi ke zamane main nahin the. Mujhe iss baat se bilkul ittefaq hai. Wahabi ka lafaz to bator taana istemaal kia jaata hai. Lakin poochna chahoon ga k Molana Ahmed Raza Khan ne to Nabi ke paas aane wale aik munafiq ko wahabi qarar dia hai."(Malfoozaat : page 87) Abb aap bataen Molana Ahmed Raza ka bian kia galat biani nahin?? Sirf logon ko mutnafir kerne ke liye keh dia k jis munafiq ne Nabi ki gusakhi ki thi woh wahabi tha. Baherhaal main iss per bahes nahin kerna chahta yeh to lafzon ka khail hai apne matlab k liye kabhi kuch kabhi kuch. Abb arz itni hai k mujhe mukhtalif topics per posts kerne di jaen jo baat galat ho uss per islaah karen. jiss ko radd kerna ho ussi k neeche jawab de ta k sab k saamne ho k kiss ki baat main wazan hai. Abb Post ko delete ker dena iss baat ki ilamat ho gi k yahan per koi daleel se baat kerna hi nahin chahta. Aap ka aik daffa phir shukriya k aap ne mujhe samajhne ki koshish ki aur umeed hai k baqi dost bhi karen ge. Wasalam
-
Asslamoalaikum, Yaqeen jaaniye aap sab ne jo tareeqa apna rakha hai woh bahes barae bahes k liye bohat acha hai. Lakin iss tarah isslaahi kaam hergiz nahin ho sakta. Main aap logon ko kai mertaba bata chuka hoon k main Ahlehadees hua hoon Quran o Sunnat k dalael dekh ker. Mera maslak Quran aur Hadees hai na k Shah Ismail ya Molana Ahmed Raza. Mujhe ye samajh nahin aati k main ne jo baat ki hi nahin main uss per daleel kion doon? Main ne kissi bhi apni post main Shah Ismail ka koi hawala dia tha jo mujhe un ki ibaaraat ke motaliq bian kerna zaroori hai ya main ne TAQWIAT-UL-IMAAN ki taraf dawet di thi jo main uss ka difa keroon main ne to dawet di hai Quran o Hadees ki taraf uss per kissi ka koi aitraaz hai to aaye inshaAllah uss ka difa kreoon ga. mere se aap log mera aqeeda poochen. Main ne jo post ki thi jis ko urra dia gaya yehi thi k Quran aur Sunnat ko apnana chahiye her maamle main chahe woh aqeeda ho ya koi amal. Apni Apni baat per jame rehna aur uss k khilaaf koi baat sunane k liye tiyar hi na hona hergiz faedamand nahin. Lakin aap log iss baat ko samajhna hi nahin chah rahe. Phir dekh lain k mujh se to kaha jaata hai k sirf aqeede per baat ho gi lakin khud RafaYaden per bhi aik Bhai ne bahes ki hai. Abb aap log jo merzi kaho mere per sirf wohi kehna shart hai jo main kehna hi nahin chahta. Lahaza meri aap sab se Guzarish hai ache tareeqe se bahes ko chalaya jae. Main Aqeede per hi post keroon ga jiss ko galat mehsoos ho woh uss ki Quran o hadees ki roshni main islaah ker de. Lakin baat ko topic ke ander hi rakha jae werna baat ka batanger to ban sakta hai baat nahin ban sakti. umeed hai aap musbat radeamal dikhaen ge Aik aur baat clear ker doon k Ahlehadees ya Ahlesunnat ka naam istamaal kerna kissi ki malkiat nahin. Ahlehadees hona ya Ahlesunnat hona aap ka aqeeda o Amal batata hai mahez kehne se koi na to Ahlehadees hota hai na Ahlesunnat. Jo apna Aqeeda o Amal Quran o Hadees wala rakhe, Quran o Sunnat ko apnaye wohi Ahlehadees hai wohi Ahlesunnat kehlaane ka haqdaar hai baaqi sab zubani dawe. Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen
-
Asslamoalaikum, Yeh Sahih nahin hai. Abhi to sirf pehli hi post thi usse udher hi rehne dete delete kion ki ta k sab dekh sakte kon sahih keh raha hai Abhi to start hi lia tha aur uss main zara sa bhi kissi ko abuse nahin kia gaya. tum logon main daleel se baat kerne ki himmat nahin. aik aisi post ko bhi delete ker dia gaya hai jiss main koi tanqeed nahin ki gai to phir tab kia ho ga jab tanqeedi baten saamne aayen gi. yeh kia baat hai Eeman sabit kero? Ager yehi shart tum logon per laga di jae to tum kaise Eeman saabit kero ge? Bolne ka haq to do jahan galat hoonn Nishandahi kero, Islah kero yeh kia k post hi delete ker di. itni Buzdali.
-
Thora sa intezar main aik aik point per baat keroon ga, inshaAllah Pehle kuch galatfehmian hain woh door ker laine dain jaise k kia ummat main sirak ho sakta hai k nahin aur iss tarah ki doosri baten jo barri wajah hain hamare dermian ikhtilaaf ki. Zaati ibaaraat per bhi baat ho gi, aur inshaAllah jab Ahmed Raza khan sahib ki Ibaaraat bhi samne hon gi phir sahih nateeja nikle ga. Abhi main Aqaed per hi baat keroon ga aur unn aqaed pr jo ahlehadees aur brelviat k dermian jhagre ka baes hain unn aqaed per apna khayal Quran o Sunnat ki roshni main pesh keroon ga. Sirf thora sa intezar phir aik k baad aik post diff. topics per bhejoon ga jo main likh raha hoon. abhi filhaal aik post aam islah k liye bhej raha hoon umeed hai zaroor parhen ge. http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=2496
-
Asslamoalaikum, Yeh baat bilkul sahih hai k jab tak insaan k aqaed darust na hon tab tak koi amal qabool nahin hota. RafaYaden per baat zimni tor per aa gai thi k main ne yahan per aik post Rafayaden k motaliq parhi thi. Theek hai iss per baat baad main ho gi pehle baat aqaed per hi ho, main aap ki iss baat se agree kerta hoon. Lakin iss silsele main chand cheezain clear kerna zaroori hain. Main pehle bhi keh chuka hoon k main Ahehadees hoon iss naate k main hadees ko maanta hoon. Iss naate se main Ahlesunnat bhi hoon k main Sunnat ko tasleem kerta hoon. Main ne kalma parha hai Muhammad-ur-Rasool Allah ka. Lahaza mere nazdeek hujjat bhi sirf unhi ki baat hai. Koi Shah Ismail ho ya Ahmed Raza jis ki baat galat ho gi woh thukra di jae gi. Apne aqeeda bata doon k mere nazdeek Quran o Hadees se jo saabit ho jae wohi aqeeda hai. Haan, bila daleel kissi baat ko main tasleem nahin kerta chahe woh dekhne main acchi lage. InshaAllah main aqaed k mozoo per hi post keroon ga. Bohat si baaten aisi hain jo sirf ham ne jazbaati andaaz main apnai hui hain. InshaAllah ahista ahista different topics per azhaar keroon ga. Jahan mujhe galat samjhain daleel k saath islaah ker dain aur jahan apna galat hona nazar aaye wahan apni islaah ker lain. Allah ham sab ko hadayat de. Aameen
-
Asslamoalaikum 2 all Muslims, Bohat afsos hua aap sab ke jawab dekh ker. Kissi insaaf pasand ke saame meri posts rakh dain aur doosri taraf aap logon k jawab rakh die jaen to woh jaan jae ga k aap log sirf baten bana sakte ho. Ulti seedhi main bhi haank sakta hoon. Lakin main asooli tor per baat kerna chahta hoon. Mere se jo mutaliba kia gaya tha main ne ussi tarah k doosre mutalibaat ker k yeh baat saabet ker di thi k iss tarah ka mutliba hi galat hai k yoon nahin yoon dikhao. uss taraf to jawab bana nahin oar laga koi kuch to koi kuch kehne. Main pehle bhi keh chuka hoon k taasub ko aik taraf rakh ker baat ki jae to hi faeda ho sakta hai. Mager aap log apni posts parh lain her aik Eemaan o Kufer k certificate taqseem ker raha hai. Kia hood ko Ahlehadees kehne se banda kaafir ho jaata hai? Taff hai aise taasub per. Lahaza guzarish hai k ache tareeqe se baat ki jae. Allah ne to Moosa Alehisalam ko Faraoon jaise k paas bheja tha to talqeen ki thi k ache tareeqe se baat kerna. Aap log jab Nabi SallAllah o Alehe Wasalm se mohabbat ka dawa rakhte hain to unn ke usswa-e-karima ko hi saamne rakhen. Rahi baat Jabir bin Sumra R.A wali hadees ki to InshaAllah jald uss ka tafseeli jawab doon ga. Abhi sirf itna goar karen k iss hadees main to Rakoo jate Rakoo se uthte waqt RafaYaden kerne ka naam o nishaan bhi nahin. Lakin ager aap main se koi kahe k Jab RafaYaden ka lafaz mojood hai to phir Rakoo wala RafaYaden bhi aa gaya to phir iss hadees se Shuroo namaz wala RafaYaden bhi to band hona chahiye. Witer wala RafaYaden bhi to band hona chahiye. Eid ki namaz wale RafaYaden bhi to band hona chahiye. Iss Hadees per hood ahnaaf jis tarah samajhte hai amal nahin kerte. Wasalam
-
Brelvi hazrat ka Ahlehadees ho jana kahani nahin hai Ek haqeeqat hai. Aap logon k nazren churane se haqeeqat badal nahin sakti. Yeh acha mutaliba hai k yeh dikhao k Nabi ne RafaYaden ka hukam dia ho? Kia Nabi ne namaz k start wale RafaYaden ka hukam dia hai? Kia Nabi ne Eid kia namaz main jo RafaYaden kia jata hai uss ka hukam dia hai? Kia jo witr main qanoot se pehle ahnaaf RafaYaden kerte hain uss ka hukam dia hai? Ya inn se mutaliq koi qauli hadees milti hai? Issi tarah kia Nabi ne kahin hukam dia hai k Namaz main haath bandho ya naaf ke neeche baandho to abb kia haath baandhne chor die jaen ge. Phir yeh sharat sirf Rakoo wale Rafayaden k liye hi kion hai? Doosra yeh k kia sirf deen wohi hai jis ka Nabi hukam dain, jo Aap karen woh deen nahin hai. jin masael main Aap ka amal milta ho kia woh sab khatam ker die jaen. Iss tarh to Deen ka hulia hi bagar jae ga. Allah hamen mefooz fermae Shetaan se waswason se jo aisi ulti patian parhata hai.Aameen.
-
-
Asslamoalaikum, Allah aise taasub se bacahye. Bila Daleel aik bande ko Kaafir kehne wala khud kaafir ho jaata hai. sunni sunai baaton se apne logon ko bewaqoof banane wale.
-
نبی کی تعظیم سے انکار کرنے والا پہلا گستاخ
Talinenoor replied to Jad Dul Mukhtar's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Asslamoalaikum, Shaitan ko jhoot bolna bhi bohat pasand hai. Khaas tor per Allah, Nabi SallAllah ho Alehe walehi Wasalam aur Sahaba Ikraam R.A. per. Iss post ko parh ker yeh baat saabit ho gai. Nabi SallAllah ho Alehe Wasalam ne fermaia jis ka mefhoom hai k "jo mujh per jhoot bole woh apna thikaana jahanum main bana le. Abb ooper wale mezmoon main bian kie gae points dobara parhain khaas tor per points Nos. 14,15,21,27,28,29. Kia inn points ko saabit kia ja sakta hai? Allah jhoot bolne khaas tor per Islam per jhoot bolne se mehfooz fermae, Aameen. -
Asslamoalaium, Mera naam Shoaib hai. MAin pehle Brelvi tha lakin aAlhamdulillah abb Ahlehadees hoon. Iss forum per Ahlehadees ke khilaaf jo ilzaam lagae gae hain, Aik waqt tha k main bhi yehi kuch samajhta tha. Hata k Ahlehadees k peeche namaz bhi nahin parhta tha k yeh log to gustakh hai. Mager jab Allah ne Quran o sunnat ki janib rehnumai ki to Zahen bhi taasub se paak ho gia. Kia ilzaam tarashian daleel hoti hain? Mujhe to aaj tak kisi brelvi aalim ne koi aisi daleel Rafa Yaden ya kissi aur Masle per nahin di jis se behter daleel Ahle hadees ke paas na ho (Alhamdulilla). Lakin main phir bhi rigid nahin ager aap main se koi bhi kissi masle per mere saath baatcheet kerna chahta hai to main haazir hoon lakin baat ager daleel se ki jae. Mujhe sirf darr iss baat ka hai k mujhe yahaan ban ker dia jae ga. Allah ne to Yahood-o-Nisara se kaha hai k "AAo USS KALME KI TARAF JO HAM AUR TUM MAIN MUSHTARIK HAI" to phir ham sab to aik kalma parhne wale hain phir kia ham TAASUB se baalater ho ker Quran-o-Sunnat ki jaanib nahin aa sakte jo hamare dermian mushtarik cheez hai bajae iss k main yeh kehta rahoon k falan Ahlehadees aalim yeh kehta hai buss main to issi ko manoon ga aur Aap main se koi yeh kehta rahe k main to falan Brelvi Aalim ki baat hi maanon ga. Hamari Dawet sirf Quran-o-Sunnat ko miar banana hai. Abb iss ki buniad per ager Ahlehadees Aalim ki baat Quran-o-Sunnat ke khilaaf ho to uss ki galat ager kissi doosre maslak ke aalim ki baat galat saabit ho to woh galat. Quran main bhi Allah ne kaha hai k "AGER TUM MAIN KISSI BAAT MAIN IKHTILAAF HO JAE TO USSE LOTA DO ALLAH AUR USS KE RASOOL (SALLALLAH O ALEHE WASALIM) kI JAANIB" Ager aap main se koi mere saath kissi masle per baat kerna chahta hai to main haazir hoon yaqeen se kehta hoon jo baat daleel se sabit ker di jae gi usse maan loon ga. Allah ham sab ko hadayat de. Mera E.mail Address hai: ********@yahoo.com Wasalam