Faizan e Niyyat ka faizan barta ja raha hai.aur Niyyaton ki Baharain lag gai hai
Panjtan Pak ki Nisbat say 5 Madani Niyyatain(Naye Hijri saal ki)
1)Dawat e islami ka ziada say ziada Madani Kam karun gee/ga.
2)Madani Ina'amat per ziada say ziada amal karun gee/ga.
3)Hafta war ijtimah main shirkat kiya karun gee/ga.
4)Naiki ki Dawat k Doron main Shirkat karun gee/ga.
5)IM per Informative topic share karun gee/ga.
Was'salam ma'alikram
Buhat Acha topic share kia aap ny.....
Allah hmain Sahaba Karam k Naqshay Qadam per chalnay ki Toufeeq atta farmaye aur un k sadqay hamari magfirat farmaye.Aameeeeeen Bijahin nabi yel ameen
was'salam ma'alikram
Hazrat e Syyeduna Abu Huraira say riwayat hai Hazoor e Akram,Noor e Mujasam Shah e Bani Aadam Rasool e muhtasham Farmatay hain:"Ramadan k ba'ad Muharram ka Roza Afzal hai aur Farz k ba'ad Afzal namaz Salatul lail(Yani Raat k nawafil)hai.
(Saheeh Muslim page 891 Hadees 1163)
Meethay Mustufa ka Farman e Rehmat Nishan hai:Muharram k har din ka roza aik maheenay k rozon k barabar hai.(Tibrani fis sagheer j 2 page 87 Hadees 1580)
WELCOME NAQSHBANDI SIS
Aap k baray main parh kar khushi hui.Umeed hai aap yahan py acha izafa sabit hun gee.Allah hm sab ko ikhlas k saath deen ka kaam karnay ki toufeeq atta farmaye.Aameeeeen Bijahin nabi yel ameen
was'salam ma'alikram
Ameer e Ahlesunnat Damat Barkatuhumul aalia apnay Risala "Fatiha Ka Tareeqa" main Tehreer farmatay hain k:
Aik Pamphlet banam "wasiyat nama" log taqseem kartay hain jis main kisi "Shaikh Ahmed" ka khawab darj hai ye b ja'ali hai.Is k neechay makhsus ta'adad main chapwa kar bantnay ki fazeelat aur na taqseem karnay k nuqsanat wagaira likhay hain aur in k b aitbar na karain.
Page 4rm Book "Namaz k Ahkam" Risala "Fatiha ka tareeqa"
Was'salam ma'alikram
حضرت عبداللہ ابن عمر رضی اللہ عنھما سے مروی ہے کہ انھوں نے فرمایا کہ ایک شخص نے تاجدار مدینہ
صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت بابرکت میں حاضر ہو کردریافت کیا کہ عالم افضل ھے یا عابد؟آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے تبسم فرما کر ارشاد فرمایاکہ اے شخص!تیرے اس قول سے فرشتوں کو بھی تعجب ہوگا کیونکہ اللہ عزوجل کے نزدیک ایک سست عالم ستر ھزار محنتی اور رات بھر اٹھ
کر نماز پڑھنے والے اور دن بھر روزہ رکھنے والے عابد سے بہتر ھے۔
(تذکرہ الواعظین)
4 sharing
Alhmdulillah Deedar e Ameer e Ahlesunnat Damat Barkatuhumul aalia VCd to Release ho gai hai.Ab sab Islami Behnain aur Islami Bhai is VCD ki dhoom macha dain.Is k liye apnay ilaqoon main VCD ijtimah ki tarkeeb karain.Is VCD ko Ziada say Ziada Taqseem karain.Cables etc py b chalwain.Insha Allah Azzawajal Madani Result samnay aain gay.
VCD IJTIMAH KI BAHROON K LIYE IS RISALAY KO ZARUR PARH LAIN INSHA ALLAH VCD IJTIMAH KARNAY KA ZEHAN BANAY GA:
Allah Meethay Aaqa k sadqay hmain Apnay Murshid Damat Barkatuhumul aalia ki Ita'at o farmanbardari ki toufeeq atta farmaye aur Dawat e islami ka ziada say ziada madani kaam karnay ki sa'adat naseeb farmaye aur Dawat e islami ko din 11ween Raat 12ween taraqiyan aur kamiyabiyan atta farmaye.Sab Dawat e islami Waloon aur waliyun ki hifazat ho.Aameeeeeeeeen Bijahin nabi yel ameen
wassalam ma'alikram
Talabgar e Dua