Jump to content

Qufl e Madinah

اراکین
  • کل پوسٹس

    2,216
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    5

سب کچھ Qufl e Madinah نے پوسٹ کیا

  1. , , , Allah karam aisa karay Tujh py jahan main Ay Dawat e islami Teri Dhoom machi ho Tum Dawat e islami ko jantay ho kia hai Faizan e Madinah hai Faizan e Madinah hai 4 sharing Allah Meethay Murshid k sadqay hamain hamesha Dawat e islami k Madani Mahool say wabasta rakhay.Aameeeeeeen Bijahin nabi yel ameen
  2. Bhai Aap Baat kar rahay hain k agar Dua qabool hoti ho to pak team koi b match na haray,to Jeet aur Haar to Insan ka muqaddar hai jahan jeet hoti hai wahin har b hoti hai aisay he Insan k halat har waqt aik jaisay nahi rehte bal k un main urooj o zawal aatay he rehtay hain aur ye b nahi k aik insan ki zindagi main khushiayan hain to wo gham main mubtila he na ho aur jo ghamgeen hai wo kabhi khushiyan he na pa skay aisa bilkul b nahi hai bal k khushi aur gham b saath saath hain. waisay agar daikha jaye to Insan Gham k moqa per he Rab ko yaad karta hai,khushi k moqa per to aksar Yaad e Khuda say gafil he rehta hai. Laikin Allah ki Rehmat say mayoos ho jana ye to buhat he sakht baat hai,Agar Aap Allah Azzawajal say nahi mango gay to kis say mango gay,konsa darwaza khtkhatao gay,kis say apni hajtain talab karo gay......???? Bhai Allah ki bargah main jo b Dua ki jati hai wo radd nahi hoti bal k baaz Auqat Rab apnay banday ki dua ko kisi maslehat ki wajah say jaldi qabool nahi karta laikin aksar baysabray Insan pareshan ho jatay hain aur Maaz Allah Shikwa karnay lagtay hain k hamari to koi b dua qabool nahi hoti........ Jab k Dua ki qabooliyat main takheer main b Allah ki kai maslahatain hain Aap jantay hain k Hazrat Mousa Alaihussalam ki Dua k 40 saal baad fir'aon garq huwa tha aur Hazrat Yaqoob Alaihussalam apnay farzand ki judai main byqarari k saath Duain mangtay rahay yahan tak k ro ro kar binai chali gai,80 bars k baad aap ki apnay baitay Hazrat Yousuf Alaihassalam say mulaqat hui thi........ Dua ki qabooliyat main takheer main jo maslehat hai us k baray main hamaray Aaqa Sallallaho alaihi wassalam farmatay hain k jab Allah Azzawajal ka koi pyara Dua karta hai to Jibraeel Alaihassalam arz kartay hain k Ilahi Tera banda tujh say kuch mangta hai,Hukam hota hai Tehro abhi na do ta k phir mangay k mujh ko is ki awaz pasand hai aur jab koi kafir o fasiq dua karta hai to farmata hai k is ka kaam jaldi kar do ta k phir na mangay k mujhe is ki awaz na pasand hai. (Kanz ul Aamal jild 2 page 39) Dua ki qaboliyat main jaldi na machaye kyunki Hadees e Mubarika main hai k: Allah Azzawajal 3 aadmiyun ki dua qabool nahi karta 1)aik wo k gunah ki dua mangay yani kisi najaiz cheez ki dua mangay. 2)dusra wo jo aisi baat chahaye k qata e reham ho yani jis say rishta dar ka haq zaya hota ho. 3) teesra wo ki dua ki qabooliyat main jaldi karay k main ny dua mangi abhi tak qabool nahi hui aur Saheeh Bukhari jild 7 page 197 per hai k: "Tumhari Dua qabool hoti hai jab tak jaldi na karo ye mat kaho k main ny dua ki thi qabool na hui" aur phir ye b to daikhain k Dua qabool na b ho phir dua karnay ka ajar aur faida to milta he hai jaisa k Hadees e Pak main hai k Banday ki Dua 3 baaton say khali nahi hoti 1)ya us ka gunah baksha jata hai 2)ya usay faida hasil hota hai 3)ya us k liye aakhirat main bhalai jama ki jati hai k jab banda aakirat main apni duaoon ka sawab daikhay ga jo duniya main qabool na hui thin to tamana karay ga k kash meri koi dua qabool na hoti aur sab yaheen Yani Aakhirat k wasitay jama ho jatin.(Altargeeb wal tarheeb Jild 2 page 475) to bhai aap daikhain k dua kisi surat b raigan nahi jati bal k dunia main asar zahir na ho to aakhirat main ajar o sawab to mil he jaye ga.... Aur Bhai aap to keh rahay hain k dua ko bilkul he chor do jab k Dua mangnay ka hukam to hamain Allah ny he Quran e Pak main dia hai: Chunachay Rab farmata hai k : Tarjuma e Kanz ul Iman "Mujh sy Dua mango main Qabool karun ga"(para 24 Surah Mo'min Aayat 60) Suran Baqara Para # 2 Aayat # 186 main Allah ka Farman hai: Tarjuma e Kanz ul iman: "Dua Qabool karta hun pukarnay walay ki jab wo mujhay pukaray" aur Dua Mangna to Hamary Meethay Meethay Alaih Salat o wassalam ki sunnat e Mubarika hai Aap Sallallaho Alaihi wassalam aksar Auqat dua manga kartay thay. Isliye aap Mayoosi ko chorain,Mayoosi to Kabira Gunah hai bal k ye to Kufr tak puhncha daiti hai Shaitan jin baaton ki wajah say badbakht huwa tha us main say aik baat ye b hai k wo Allah ki Rehmat say Mayoos ho gaya tha. Aur Hazrat Adam Alaihassalam jin baaton ki wajah say sa'dat mand huway un main aik baat ye hai k Aap Allah ki rehmat say mayoos nahi huway thay. Sachay Dil say Raheem k kareem Rab say toba karain wo to Toba qabool karne wala meharban hai aap ny Allah ki Rehmat e wasee k kai waqiat parhay he hun gay jaisa k aik mashhoor waqia hai k 100 Afrad ka qatil sachi toba ki niyyat karnay ki wajah say Rab ki rehmat ka haqdar ban gaya tha so har waqt har ghari Umeed ka daman thamay rakhain kabhi us ko hath say na janay dain. Allah Meethay Aaqa k sadqay hamain Seerat e Mustaqeem per isitqamat atta farmaye.Aameeeeeeen Bijahin nabi yel ameen was'salam ma'alikram
  3. Buhat aham mas'alay ki Taraf tawajju dilai. 4 sharing
  4. Qufl e Madinah

    Salam k 11 Madani Phool

    Ye Madani Phool Risala Josh e Imani say liye gaye hain. was'salam ma'alikram
  5. , Nawafil k Fazail per Mushtamil Ameer e Ahlesunnat ka buhaaaaaaat informative Booklet share karnay k liye Jazakillahu khaira was'salam ma'alikram
  6. , Buhaaaat dil Afroz pictures share ki hain........... 4 Sharing
  7. 4 Info. Kya is Masjid ka Name Faizan e Madinah hai......??? Post ka name change kar dia hai.ta k confusion na ho jaye. Was'salam ma'alikram
  8. Meethi Meethi Islami Behno....!!! Islami Behno k Madani kamoon k 41 Madani Phoolon ki Sari Attachments update kar di gai hain,agar kisi islami behan ny Sabiqa attachments k Print out ki tarkeeb ki thi to un say Madani iltija hai k wo un attachments ki bijaye New attachments k Prints out ki tarkeeb kar lain. Jazakumullahu khaira was'salam ma'alikram
  9. , Buhat achi targeeb dilai Meri Shirkat ki Sa'adat hasil kartay rehne ki niyyat hai.Allah Meethay Aaqa k Sadqay Istiqamat atta farmaye.Aameeeeeen Bijahin nabi yel ameen
×
×
  • Create New...