Jump to content

Qufl e Madinah

اراکین
  • کل پوسٹس

    2,216
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    5

سب کچھ Qufl e Madinah نے پوسٹ کیا

  1. Aap is Book ko www.faizaneattar.net say download kar skte hain. Book ko Direct link say download karne k liye Yahan click karain. wassalamu ma'alikram
  2. Apna Nick Change karne k liye aap Admin Bhai "Shareef Raza" say contact karain. wo aap ka nick change kar dain gay... Was'salamu ma'alikram
  3. Dars e Nizami k Tulaba o Talibat k liye Double 26 Niyyatain 1.Riza e ilahi ko paish e nazar rakhte huwe is niyyat say parhun ga/gee k "Mujhe apni aur sari dunia k logon ki islah ki koshish karni hai" 2.T'azeem e ilm k liye saaf suthray kapre pehnun ga/gee. 3.Darjah(class) main jane say pehle wuzu kar liye karun ga/gee. 4.Darjah k kamray(room) ki taraf jate huwe har qadam per Talib ul ilm ki fazeelat paun ga/gee. 5.Nigahain jhuka kar rakhun ga/gee. 6.Raste main milne wale islami bhaiyun/bahno ko salam karun ga/gee. 7,8.Moqa mila to naiki ki dawat paish karun ga/gee.(Yani amar bil m'arouf o nahiyun anil munkar karun ga/gee). 9.Darjah main dakhil hote waqt salam karun ga/gee. 10.T'aleemi saal k aagaz per makhsoos jagah per baithne k liye kisi say jhagra nahi krun ga/gee. 11.Doran e parhai,agar koi meri jagah per baith chuka huwa to narmi k saath wahan say uthne ki request karun ga/gee basurat e deegar sabr karun ga/gee. 12.Darjah main baithne ki wajah say naik suhbat k fazail hasil karun ga/gee. 13.Deeni kutub ka adab karun ga/gee. 14.Dars ki jagah ka adab karun ga/gee. 15.sabaq Shuru karne say pehle T'awuz aur tasmiyah parhun ga/gee. 16.Nabi e pak per durud e pak parhun ga/gee. 17.Ustaz/ustani ki ziarat kar k aalim/aalima ki ziarat k fazail hasil karun ga/gee. 18.Ustaz/ustani ki baat tawaju say sunun ga/gee. 19.agar koi baat samjh main na aai to puch lun ga/gee. 20.fuzul aur bymahal suwalat kar k apnay saathi Tulaba/talibat aur ustaz ko kofat main mubtala nahi karun ga/gee. 21.Qilat e faham(kam samjhi ya kundzahni) per sabr karun ga/gee. 22.kasrat e faham(zahanat) per shukar karun ga/gee aur takabbur say bachun ga/gee. 23.Agar Ustaz Sahab/Ustani Sahiba ya nazim/nazima ny kabhi dant dia to khamosh rah kar sabr karun ga/gee. 24.Aik Ustaz Sahab/Ustani Sahiba ki kamzorain dusray/dusri ko bata kar unhain aapas ki ranjish main mubtala karne main hisadar nahi banun ga/gee. 25.jaiz sifarish karne ka moqa mila to zarur karun ga/gee. 26.jamia k jadwal per amal karun ga/gee. 27.Agar mujhe shikayat ki wajah say koi saza milli to main usay saza dilwane k liye moqa ki talash main nahi rahun ga/gee. 28.Saathi Tulaba/Talibat per gussah aane ki surat main Gussay ko p kar is ki fazeelat hasil karun ga/gee. 29.Poore Badan ka Qufl e Madinah lagun ga/gee. 30.Bila ijazat kisi ki kitab ya qalam ya copy etc istemal nahi karun ga/gee. 31.Agar Sabaq yaad karne k doran koi baat bhul gai to apne say (bazahir) kamzor ya umar main chote islami bhai/bhan say puchne main sharm mahsus nahi karun ga/gee. 32.Agar kisi nay mujh say sabaq k bare main dariyaft kia to Hatal maqdoor ahsan andaz main samjhane ki koshish kar k musalmano ki khair khawahi karne k fazail paun ga/gee. 33.Mujh say danista tor per kisi ki haq talafi ho gai to muafi mangne main dair nahi lagaun ga/gee. 34.Ghamzada islami bhan/bahan ki ghamkhawari karun ga/gee. 35.Beemar islami bhai/bahan ki aayadat karun ga/gee. 36.Aapas main naraz ho jane wale/wali islami bhaiyun/bahno main sulah karwane ki koshish karun ga/gee. 37.Agar kisi Islami bhai/bahan ko mali madad ki zarurat hui to Ustaz sahab/Ustani Sahiba k mashware ya in k zariye say is ki mali madad kar k Rah e khuda main karch karne ka sawab paun ga/gee. 38.Islami bhaiyun/bahno per infiradi koshish karun ga/gee. 39.agar mumkin huwa to khane etc k ikhrajat jaib say ada karun ga/gee. 40.Agar kabhi tang dasti ny aa ghaira to b bil zarurat e sharee kisi say suwal nahi karun ga/gee bal k aisi surat main qarz ly kar apni mushkil hal karun ga/gee aur Qarz Hasb e w'ada wapas b lota dun ga/gee. 41.Apna waqt fuzul kaamon main zaya nahi karun ga/gee. 42.Parhai aur madani kaamon main mashgool rahun ga/gee. 43.Apne ilm per amal karne k liye madani in'amat per amal karun ga/gee. 44.Har madani mah ki ibtidai tareekhoon main apna risala madani inamat k zimmadar/zimmadara ko jam'a karwa dia karun ga/gee. 45.Madani markaz ki taraf say diye gaye jadwal k mutabiq aashiqan e Rasool k Madani Qafiloon main safr karta rahun ga. 46.jaan buj kar amrad k qareeb nahi baithun ga. 47.Agar wo mere qareeb aa kar baith gaya to hatal imkan apni jagah tabdeel kar lun ga,basurat e deegar uska chehra ya libas daikh kar baaat karne say bachun ga. 48.Suhbat k haqooq pure karne ki koshish karun ga/gee. 49.Sadagi ko barqarar rakhte huwe sunnat ki tazeem k liye ahtimam say Imama Shareef bandhun ga. 50.Madani Burqah dastane aur jurabain pehnun gee. 51.T'azeem e ilm aur sunnat per amal k liye khushbu istemal karun ga. 52.Kitab parhne say pehle Kitab parhne ki dua parh lia karun ga/gee. Hum ko Ay Attar sunni Aalimoon say pyar hai Insha Allah Azzawajal 2 jahan main apna baira paar hai.
  4. Plz Check Ur Personal Messenger....!!! was'salamu ma'alikram
  5. mujhay to is site pay yeh software hi nae mil raha kia koi direct link mil sakta hay? LINK : Unicode Convertor link Was'salmau ma'alikram
  6. انا للہ وانا الیہ راجعون Allah ki Un per Rahmat ho aur un k Sadqay hamari magfirat ho.Aameeeeen bijahin nabi yel ameen
  7. Bahut he Iman afroz sharing hai,iman taza ho gaya daikh kar............Allah ka Shukar hai k us ny hamain Dawat e islami k madani mahool say wabasta kia,Allah Meethay Aaqa k sadqay hamain is madani mahool main istiqamat naseeeeb farmaye aur hamara jeena marna isi mahool main ho.....Aameeeeeen Bijahin nabi yel ameen 4 sharing Sarkar ki Ghulami.........................Dawat e islami Was'salamu ma'alikram
  8. , Bahut he piyari niyyatain share ki hain.... Was'salamu ma'alikram
  9. Is Article ko Aap Yahan say read kar skte hain. Was'salamu ma'alikram
×
×
  • Create New...