AL QUR’AN:-
Jho ALLAH k ahad aur apni qasmo k badle zalil daam letey hai akhirat me unka kuch hissah nahi aur ALLAH na unse baat kare na unki taraf nazar farmaye qayamat k din aur na unhe (gunaho se) paak kare aur unke liye dardnak azaab hai.
Those who accept abject prices in exchange of ALLAH’s covenant and their oaths..., do not have a portion in the Hereafter - ALLAH will neither speak to them nor look towards them on the Day of Resurrection, nor will He purify them; and for them is a painful punishment.
(Al Imran, Surah 3, Ayaah 77 – Tarjama: Kanzool Imaan)
{ e aayat yahood k ahbaar aur unke rosa’a abu rafe’a wa kinana’h bin abi al haqiq aur ka’ab bin ashraf wahyyi bin akhtab k haq me nazil huwi, jinhone ALLAH TA’ALA ka woh ahad chupaya tha jo SAYYADE ALAM SALLALAHU ALAIHI WASALLAM par iman lane k muta’allik unse tauret me liya gaya. Unhone usko badal diya aur bajaye uske apney hatho se kuch ka kuch likh diya aur juti qassam khai k ye ALLAH ki taraf se hai. Aur ye sab kuch unhone apni jama’at se rishwat hasil kanney k liye kiya. }