is thraha kay forum say 2 batain zahoor pazeer hoti hain, kuch log sahi rasta paaletay hain or kuch ghumrah hojatay han, may aasay hi serfing kar raha tha of is forum may pounchgaya or yeh bahas read kari jis ka result yeh aya.
may khud qadri series may tha abb may nay bait toor di.
is forum say sabit ho gaya kay log is forum may quran say play kartay hain, or quran kay waqiya ki ayat ko toor toor kay aqeeday buntay hain oper yeh baat saaf saaf zahir hay.
abb mujay koi yeh bataay kay kiya ghir allah ki ebadat ho sakti hay.
ham har namaz may yeh khalaya jata hai kay "ay allah ham teri ebadat kartay hain". yeh ayat purely aqeeday ki hay.
phir is kay baad ham say yeh khalaya jata hay kay "ay allah ham tuj he say madad mangtay hain" yeh ayat bhi purely aqeeday ki hay.
yeh donu ayat saaf saat aqeeday kay alan karti hain jis kay baad no koi dalil kar sakta hay na koi aqeeday buna jasakta hay.
musalman ka farz hy k wo apnay aqeeda or amal sirf us hd tak rakhe jitna Allah k Rasool (pbuh) ne byan farmaya by or allah ne quran me btaya hy. wo allah pr dil se emaan laye or aqeedey or amal pr Q, kese, kya, kahan, agar magar kr k swalaat na uthaye or ger zaruri tashrihaat pesh na krey.
Misal kay toor par quran me hy k allah dekhta or sunta hy tou bas aqeeda ye ho k allah dekhta or sunta hy. ye behas hargiz na ho ka allah ki aankhen or kaan hain ya allah ki kitni aankhen or kitne kaan hain, ya wo kesse dekhta hy kese sunta hy etc. Tareekh me bohat se log is qisam ki ger zaruri behas me ulajh kr apna emaan khrab kr chukay hian or ajj b aese logo ki kami nhi hy.