-
کل پوسٹس
628 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
46
سب کچھ Sybarite نے پوسٹ کیا
-
Jaha Mirza ki zindagi ka ihwaal aqal-o-kirad ko chon'ka dene wala hai waha ussay lahaq mouzi beemariyo ki dastan bhi parhnay ke layak hai. Sab se pehlay iss zaman mein Mirza ke kuch ilhaam; "Uss ne mujhay Baraheen-e-Ahmedia mein bashaarat di ke her aik khabees aarzay se tujhay mehfooz rakho ga aur apni naymat tujh per poori kar do ga." Mirza dawa kar raha hai ke inhay bashaarat howi ke Allah inhay her khabees beemari se mehfooz rakhay ga. Aaiye ab iss Allah ki taraf iss basharat ko mansoob karne ka anjaam dekhiye; 1. Hysteria "Dr. Mir Mohammad Ismail Sahab ne mujh se bayan kiya ke mein ne kai dafa Hazrat Maseeh Muood se suna hai ke "Mujhay hysteria hai". Baaz auqaat aap maraaq bhi farmaya kartay thay. Lekin dar'asal baat ye hai ke aap ko dimaaghi mehnat aur shabana rooz tasneef ki mushaqqat ki wajeh se baaz aisi asbi alamaat paida ho jaya karti thi jo Hysteria ke mareezo mein bhi umooman dekhi jati hain. Maslan kaam kartay kartay yakdum za'af ho jana, chakaro ka aana, haath paoo ka sard hojana, ghabrahat ka doora ho jana ya aisa maloom hona ke abhi dumm nikalta hai ya kisi tang jageh ya baaz auqaat zyada aadmiyo mein ghirr kar bethnay se dil ka sakht parayshan honay lagna waghaira. Ye a'asaab ki zakawat'hiss ya takaan ki alamaat hain aur hysteria ki mareezo ko bhi hoti hain aur inhi maano mein hazrat sahab ko hysteria ya maraaq bhi tha." Intihai shaatirana andaaz mein Mirza ki Hysteria ki beemari per pardah daaltay howay ye baawar karanay ki koshish ki gai hai ke bhalay hi Mirza mein Hysteria ke saray symptoms paye gaye lekin uss ke bawajood bhi Mirza Hysteria ke mareez nahi thay. Ab agar hum ye kahien ke Mirza Hysteria ke mareezo ki tarah thay tu kisi ki dil azaari nahi honi chahiyek kyu ke hum ne Mirza ko Hysteria ka mareez hargizz nahi kaha. 2. Kamzoori, Diabetes, Sarr'dard, Tashannujj, Mardana Kamzoori. "Aik ibtila mujh ko iss shaadi ke waqt ye paish aya ke baa'is iss kay ke mera dil aur dimaagh sakht kamzoor tha aur mein bohut se imraaz ka nishana reh chuka tha. Aur do marzien yaani ziya'batees aur dard-e-sarr ma'aa dooran-e-sarr qadeem se mere shamil-e-haal thein jin ke saath baaz auqaat Tashannujj-e-qalb bhi tha. Iss liye meri halat-e-mardami kal'adam thi." Mirza ko laahaq 5 beemariya tu sirf issi hawalay se sabit hain! Dard-e-Sarr aur Zehni Kamzoor agar'chay bohut zyada khatarnaak na sahi lekin Ziya'batees, Tashannujj-e-Qalb aur khosoosan Kal'adam Mardaangi zaroor sharam'naak aur mouzi beemariya hain. 3. Sarr'dard, Kam'khuwaabi, Tashannujj-e-Dil, Ziya'batees, Kasrat-e-Paishaab "Mein aik daaim-ul-marz aadmi hon aur woh 2 zard chaadarein jin ke baray mein haditho mein zikr hai ke in 2 chaadaro mein Maseeh nazil hoga, woh 2 zard chaadarein mere shamil-e-haal hain. So aik chaadar mere ooper ke hissay mein hai ke hamesha sarr'dard aur dooran-e-sarr aur kam'khuwaabi aur tashannujj-e-dil ki beemari ke saath aati hai aur doosri chaadar jo mere neechay ke hissa-e-badan mein hai woh beemari ziya'batees hai, ke aik muddat se daman'geer hai, aur basa auqaat 100 100 dafa raat ko ya din ko paishaab ata hai aur iss qadar kasrat se paishaab se jis qadar awariz-e-za'af waghaira hotay hain woh sab mere shamil-e-haal rehtay hain." Iss per tu kisi qism ke tabsaray ki zaroorat bhi nahi rehti. 100 100 baar din mein paishaab ana bhi shayad Qadianiyo mein nabuwwat ki daleel hai jis mein Mirza hama'waqt doobay rehtay hongay. 4. Luknat "Qazi Muhammad Yousuf sahab Peshawari nay mujh se ba'zariya khatt bayan kiya ke hazrat maseeh muood ki zaban mein kisi qadar Luknat thi aur aap naalay ko panaalay farmaya karte thay aur kalaam ke dooran kabhi kabhi josh ki halat mein apni taang per haath bhi mara kartay thay. Khaak'saar arzz karta hai ke Qazi sahab ki ye riwayat durust hai magar ye Luknat sirf kabhi kabhi kisi khaas lafz ke talaffuz mein zaahir hoti thi warna waisay aam tour per aap ki zaband bohut saaf chalti thi aur taang per haath marnay ke maani sirf ye hain ke kabhi kabhi josh-e-taqreer meni aap ka haath uth kar aap ki raan per girta tha." Kya hi nazara hota hoga Mirza ki taqreer ka.. Techi Techi... panalay panalay ki takraar ke baad apni raano per jab haath marta hoga waqai kaafi muzahika'khaiz sa manzar hota hoga. Umooman aap ne dekha hoga ke rastay mein ghadda gari walay apnay ghadday ko raan per maar maar kar chalatay hain bilkul issi tarah lagta hai Shaitan apnay iss ghadday ko bhi raan per maar maar kar chalata hoga. Farq sirf itna hai ke waha ghadda apnay ko malik zehmat deta hai ke mari raan per maar tu mein chalo aur yaha Shaitan ka ye farma'bardaar ghadda apnay malik ko itni zehmat dena bhi gawara nahi karta aur khud hi apni raan per haath maray doora jata hai. 5. Daarhoo ko Keera Aur Phatti Aerhiya "Dandaan mubarak aap ke aakhir umer mein kuch kharab ho gaye thay. Yaani keera baaz daarho ko lag gaya tha jis se kabhi kabhi takleef ho jati thi. Chuna'chay aik dafa aik daarh ka sira aisa nook'daar ho gaya tha ke iss se zaban mein zakham parr gaya to raiti ke saath ghiswaa kar brabar bhi karwaya, magar kabhi koi daant nikalwaya nahi." Mirza ki tasaweer dekh kar pehla ta'asurr yehi milta hai ke ye shakhs apna munh bhi shaaz-o-nadir hi dhota hoga aur ab iss hawalay se iss ta'asurr ko mazeed taqwiyatt milti hai. Doosra Mirza ki ghaleez phatti ayrhiyoo ka ihwal bhi maloom ho raha hai. Ye wohi Mirza hai jo khud ko humaray Shehanshah-o-Sarkar-e-Do'Jaha Muhammad-e-Mujtaba ki misl aur burooz kehta hai. Aray Misl-e-Muhammad tu door Khaak-e-Naal-e-Muhammadi ke zarray brabad bhi auqaat nahi Mirza ki! Iss mouqay per Ala Hazrat Mujaddid-e-Deen-o-Millat ki aik naat yaad aa gai; Aariz-e-Shams-o-Qamar se bhi hain anwar Ay'rhiyaan Arsh ki aankhoo ke taaray hain woh khushtar Ay'rhiyaan Taaj-e-Rooh-ul-Quds ke mooti jisay sajda karein Rakhti hain WALLAH woh pakeeza gohar Ay'rhiyaan Aik thookar mein Uhad ka zalzala jata raha Rakhti hain itna waqaar Allah-o-Akbar Ay'rhiyaan
-
Yaha aashiq_koun aap ki Mirza ki kitaab per aiteraaz karay tu aap Yahoodiyo ke Quran per aiterazaat se mushabihat dete hain. Matlab aap ke nazdeek Mirza ki kitabein Quran ki tarah hain? Agar nahi tu phir ye bataiye ke yaha kis ne Quran per aiteraaz kya? Yaha tu sirf Mirza ke 2 qoul dikhai de rahay hain. Pehlay mein Mirza keh raha hai ke "Lanat bhaijna Siddiuqo ka kaam nahi" aur doosri taraf khud hi apnay aap ko kazib sabit karne ka samaan kartay howay "1 hazaar lanatien" bhi bhaij dien. Ab iss hisaab se Mirza ne khud hi sabit kar dya ke woh Siddiuqo mein se nahi, matlab sachay nahi. Mujhay yaha aik baat ye samajh nahi aati ke aap her baar ye roona tu zaroor rootay hain ke Mirza ki tehreer mein tehreef kardi lekin aaj tak aap ke josheelay Mirzai khoon ko kabhi itni ghairat nahi aiee ke sab ke samnay uss tehreef ko sabit kar ke Mirza ka dif'a aur tehreef karne walay ki tehreef ko sabit kar ke ussay jhoota sabit karein. Tehreef kardi, tehreef kardi ke naaray laganay se kuch sabit nahi hoga. Mirza ki tarah aap ke iss tehreef ke daway ki bhi koi bunyaad nahi. Mein aap ko aik baar phir dawat deta hon ke agar aap sachay pakkay Mirzai hain aur apnay Mirza ke sacha nabi honay ke daway'daar hain tu sabit kijiye ke Mirza ki tehreer mein kaha tehreef ki gai hai. Humaray Nabi per koi agar aiteraaz karay tu hum sarr dharr ki baazi laga kar uss aiteraaz ko batil sabit kar dien gay aur kartay aye hain. Aap kaisay ummat hain Mirza ke jo Mirza ki kitabo mein tehreef ka sirf dawa kartay hain magar iss daway ke saboot mein koi tabsara, koi hawala dene se qaasir hain. Sach tu ye hai ke aap ne khud apnay Mirza ki Khazain bhi shayad poori nahi parhi warna agar insaan mein zarra bara'bar bhi ghairat-e-imaani ho tu woh Mirza ki Khazain parh kar hi Mirza ki asliyatt ka andaza ba'khoobi kar sakta hai. Bara mashoor muhawara hai ke "Jhoot ke paoo nahi hotay". Doosray topic mein kuch sawalaat ka jawab aap per udhaar hai.. waha bhi jawab ki umeed rakhta hon.
-
Aik sunehra qoul hai jo buzurg aksar kaha kartay hain ke jis cheez ke baray mein ilm na ho uss ke per apni zaban band rakhni chahiye. Lekin zahir jaha Mirza aap ke Nabi hone ke bawajood khud deeni-o-dunyawi uloom se ghafil rahay waha aap ko ba'haisiyatt ummati kaha aisi batein samajh aye gi. Aap se pehlay bhi guzarish ki thi apni zaban per thora sa qaabo rakhein aur mujhay "Bhai" keh kar gaaliya na dein. Mere liye kisi Qadiani, Wahabi, Najdi, Shia ka bhai hona azeem'tareen gaaliyo mein se hai. Ye aakhiri warning hai, agli baar mujh se na kahiye ga ke mera lehja kyu talkh ho gaya. Aap ne aik typical kunway ke maindak ki tarah dawa tu kar diya ke "Baha'is" ke bani ne nabuwwat ka dawa nahi balkay Khudai ka dawa kiya tha, lekin iss per koi choota moota hawala denay ki aap ko toufiq nahi howi. Zaahir hai hawala kaha se dein gay! Jo apnay Qadiani ke munh se suna usay Khudai kalam ki tarah sach samajh kar aagay quote kar dya. Chaliye thora aap ki maloomat mein izafa karta chalo. Baha'is ki official website ko open kar ke "Information Directory" mein sab se pehlay section mein chalay jaiye, named as "Baha'u'llah". Apni jamat ke bani ke introduction ke tour per jo pehli line likhi hai woh kuch iss tarah hai. "Bahá'ís believe that Bahá’u’lláh is the Messenger of God for this day." Mere khayal mein aap ki hawa hawai bakwaas ke radd mein Baha'i firqay ki official website se sirf yehi statement kaafi hai. Lekin aap beher'haal Qadiani hain! Seedhi sachi baat aap ko itni asaani samajh mein aajaye tu phir aap Qadiani kaisay. Iss liye issi website se aik aur hawala bhi diye deta hon. Issi page per neechay The Life of Baha'u'llah ke naam se aik alehda articles hai jo ke kuch iss tarah se hai; "Throughout history, God has revealed Himself to humanity through a series of divine Messengers, each of whom has founded a great religion. The Messengers have included Abraham, Krishna, Zoroaster, Moses, Buddha, Jesus, and Muhammad. The latest of these Messengers is Bahá’u’lláh, who brings new spiritual and social teachings for our modern age." So ab ya tu aap koi mustanadd hawala dein jis aap ki statement sabit hoti ho ya phir maan lijiye ke iss maslay per maloomat na honay ke ba'wajood aap ne Qadiani fitrat ke mutabiq man'gharat kahani suna kar khud ko sacha sabit karna chaha! Khair Qadianiyat mein Ilm ke ratio ka mujhay ba'khoobi andaza hai so ab aatay hain asal baat ki taraf. Mein ne aap se last post mein 2 sawal poochay thay aur uss se pichli post mein 3 sawal aur. Lekin aap ne khalisatan Qadianiyoo ki khaslat ka muzahira kartay howa sirf 1 ka jawab diya woh bhi jhoota aur baqi jawabat gool kar gaye. Jhootay Nabi ke sachay ummati se siwaye jhoot ke aur umeed bhi kya ki jaa sakti hai. Last post mein jo 2 sawalaat poochay thay un ka maqsad aap ki paish'karda Mirzai mantak ka post mortem karna tha jo ab kaafi achi tarah se hoga. Aap ke shayad ilm mein na ho ke jis zamanay mein Mirza jhootay Nabi banay aap jaisay zaeef-ul-imaan logo ko apna ummati bananay mein masroof thay ussi zamanay mein woh akelay nahi thay jinho ne Nabuwwat ka dawa kiya tha. Mirza ki zindagi ka dooraniya tha 1835-1908 tak. Aur Mirza ka hi zamanay mein doosra jhoota nabuwwat ka daway'daar tha Baha'i firqay ka bani Mirza Hussain Ali Nuri jis ki zindagi ka dooraniya tha 1817-1892 tak. So jis zamanay mein Mirza Nabi bana betha tha ussi zamanay mein ye Mirza Hussain Ali Nuri bhi Nabi bana betha tha. Mirza agar sacha hota tu iss jhootay Nabi ko jhoota sabit karta ya jaisa ke dunya bhar ko Mirza duaien kar ke marwanay ki koshishein kartay kartay khud jahanum'wasil howa ussi tarah iss jhootay Nabi ke liye bhi dua karta. Lekin aisa kuch kam'az'kam meri knowledge mein nahi. Aap ne ye bhi bakwaas ki thi ke Nabuwwat ke jhootay daway'daar ki saza Quran mein mojoud hai lekin aap ne kisi Qurani ayat ka hawala nahi diya. Khair qissa mukhtasir, mera ab aap se sawal ye hai ke aap ke nazdeek yaqeenan Baha'u'llah nabuwwat ka jhoota daway'daar tha, tu phir isay kaun si saza mili? Mirza mara 73 years ki umer mein jab ke Mirza Hussain mara 75 saal ki umer mein! Aap ke Nabi se 2 saal zyada zinda raha aur iss ki jamaat aaj bhi dunya bhar mein mojoud hai. Aap apni 2 takkay ki Mirzaiyat ki sachai ko sabit karne ke liye jo mantak paish kartay rahay hain ke "kaun sa jhoota nabi hai jis ki jamat aaj mojoud hai?" tu yaha mein aap ke samnay aisay jhooti nabi ka ihwaal bata chuka jis ki jamat na'sirf aaj dunya bhar mein moujoud balkay jo aap ke Mirza se pehlay dunya mein aya aur Mirza se zyada lambi umer pai. Ab usooli tour per aap ko chahiye ke aap apni khabees mantak ko maantay howay Baha'u'llah ko bhi Nabi maan lijiye, ba'soorat-e-deegar aap ko aiteraaf karna paray ga ke Mirzaiyatt ki khookli bunyad ko khara karne ke liye aap ne jo mantak paish ki woh sirf aur sirf bakwaas per mabni hai. Aap per sawalaat ka udhaar barhta jaa raha hai Aamir Malik! Pichli posts ke 4 sawal aur ab ye... inn ka sab ka jawab mil jaye tabhi post kijiye ga warna loog hansay gay Mirzaiyatt per.
-
Aamir Malik Qadiyani ne aik mantak ye bhi paish ki ke Nabuwwat ka jhoota dawa karne walo ka naam mitt jata hai unn ki jamat baqi nahi rehti aur issi ko daleel bana kar ke ye Mirzaiyat ki khookli imaarat khari karne ki koshish kai baar kar chukay. Inn ki ajeeb-o-ghareeb mantak ko samnay rakhtay howay kuch sawaalat zehn mein aye tu soocha pooch hi loon. Sab se pehlay Aamir Malik ki statements; Aap ki in tamaam batoo ke aap se simple se kuch sawalaat kar raha hon, umeed hai ke jawab jald aye ga. 1. Bahais ke baray mein Qadianiyo ka kya khayal hai? 2. Maitreya ke baray mein Qadianiyo ka kya khayal hai?
-
Sirf aik choota sa sawal. Seedha seedha jawab dijiye ga ghumaiye ga matt baat ko idher se udher. Aap ke Mirza nay kya Nabuwwat ka dawa issi tarah kiya tha, inhi alfaaz ke saath ke "Mujhay Khuda ne Nabi bana kar Qadyanioon ki taraf bheja hai"? Sawal bilkul seedha sa hai umeed karta hon jawab jald aur seedha saadha sa hi aye ga.
-
Aap ki be'sarro-o-paa hizyaan ka jawab dena mein zaroori nahi samjhta. Hum meni se koi bhi yaha Mirzaiyat ke media mein achievements discuss karne nahi betha, aap ke nazdeek TV Channels chalana islam hai tu phir aisay dalail aur lataif apne ihbaab mein hi bayan kiya karein. Filhaal sirf itna bata don BBC is waqt dunya ki largest broadcasting company since 1922 with an estimated annual budget of £4 billion. Rahi baat Mirza ke ilhaam ki tu mein ab agar aap se unn ilhamaat ke baray mein sawal karo ga jo poora na howay balkay ultay sabit ho gaye tu aap ki baat ko idher se udher ghumana shuru ho jaye gay. Kahiye issi issue per aleha topic bana kar baat kar lein ke Mirza ke kitnay ilhaam aur paishangoiyaa sachi sabit howi aur kitni ghalat? Aur aap se aik chooti si request to ye ke mujhay bhai keh kar gaali na dijiye baar baar. Mein kisi bad'aqeeda shakhs ke munh se khud ko bhai kehalwana pasand nahi karta. Doosra ye ke agar aap ne waqai mere kisi sawal ka jawab nahi dena tu bata dijiye takay aap per mazeed waqt zaya na karo. Mere sawal se farar honay ke liye taweelat ka sahara lene se baat nahi banay gi ulta loog aap per hansay gay! Mazeed ye ke mein ne aap se pehlay bhi poocha ab bhi pooch raha hon ke aap jo ye Quran-o-Hadith se hawalat ka naara lagaye jaa rahay hain tu pehlay zara ye bhi tu bataiye na ke aap ke nazdeek kaun si tafasir mu'tabirr hain. Pehlay dalail ka taiyyunn tu kijiye phir mutaliba kijiye ga ke Quran-o-Hadith se hawalajaat ka. Mein yaha tafasir ya ahadith se hawalay deta rahon aur agay se aap kehtay rahein ke ye aap Mirzaiyoo ke nazdeek mutabirr nahi tu phir tu ho gai discussion. Khudara iss baar tu iss baat ka jawab dejiye ga! Tu matlab 4 ghadday mil kar 5th ghadday ko apnay ko apna khalifa bana lien tu ye khilafat ka qayam ho gaya? Aap apni jamato mein kya kartay hain kya nahi, kis cheez ka qayam kartay hain kis ka nahi iss se kisi ko kya sar-o-kar? Aisi hi andarnoo-e-khana khalifa giri ko aap khilafat kehtay hain? Waisay jitnay bhi Salasil chal rahay hain un sab mein khilafat aaj tak chal rahi hai.. ab ye baat aap ke sarr se guzar jaye gi. Koi 2 saal pehlay meri aik Qadiyani khandaan se khaafi lambi behes chali thi. Mousoof mujh se her baat mein yehi kehtay ke mujhay zyada knowledge nahi baroo se baat karo. Mein ne uss per bhi raza'mandi zahir kar di tu woh apnay Dada ko le aye jo ba'qoul unn ki Lahore kisi Qadiyani party ke sar'garam kaarkun aur bohut hi pohanchi howi hasti thay. Mere laakh israar ke bawajood bhi woh hazrat bil'mushafa mulaqaat aur samnay beth kar baat karne ke liye raazi nahi howi halanke meri taraf se khulli choot thi ke jaha aap ka dil karay, jaha aap khud ko mehfooz samjhein waha mujhay bula lien but Dada jee inkaar hi kartay rahay. Bila'aakhir tehreeri baat hi shuru howi Hayat-e-Eisa (Allaihe Salam). Unn ki taraf se pehla sawal aya jis ka mudallal jawab dene ke baad mein ne Mirza ki kitabo se kuch sawalaat paish kiye khosoosan Hazrat Eisa (Allaihe Salam) ki qabar ki nishandahi ke baray mein. Jawab mein mujhay kaha gaya ke abhi Lahore jaa raha hon aa kar jawab don aur Allah ko gawah bana kar kehta hon ke 2 saal ho gaye unn Dada jee ki taraf se koi jawab nahi aya. Allah hi janay kaisa direct raabta hai ye! Iss se bari aur kya saza hogi ke Mirza jawani se martay damm tak mukhtalif moozi beemariyo mein mubtila rahay yaha tak ke haiza ki halat mein maray? Aur yehi kuch haal Mirza ke khulfa ka howa, kisi ko falij howa tu kisi ko kuch! Allah ke Nabi aisay hotay hain? Hazrat mein ne aap se kab kaha ke mujhay Kashf ke maani nahi maloom. Mein ne tu simply aap se mutabila kiya ke aap jo ye keh rahay hain ke mujhay kashf ke maani nahi maloom tu aap batla dijiye ke Kashf kisay kehtay hain. Aap Mirzai hain tu zara pehlay Kashf ki mirzai tareef to bayan karein na! Rahi baat kashf kis ne dikhaya tu iss baat ka faisla aap kaisay kar saktay hain? Aap ke paas kaun sa ilhaami saboot hai ke Mirza ke kashf sachay thay? Ya kahi aap ko bhi kashf ki zariye maloom hogaya ke Mirza ke kashf sachay thay? Aik hi baat ko roye jaa rahay hain! Hazrat mein ne kab inkaar kiya Quran-o-Hadith se dalail paish karne ka! Lekin pehlay aap taiyunn tu kijiye na ke aap ke nazdeek kya mutabirr hai aur kya nahi! Rahi baat keechar uchalnay ki tu mein ne kaun si gaali de di? Agar hum aap ko aap hi ke Mirza ki kitaboo se hawalay detay hain tu ussay aap keechar uchalnay se tabeer kartay hain! Agar aap ye kehna chahtay hain ke hum Mirza ki kitaboo se siyaq-o-sabaq ke baghair hawalajaat naql kar rahay hain aur haqeeqi maani meni tehreef kar rahay hain tu ye sabit karna tu aap ki zimaydaari hai naa ke hamari. Maslan aap forum mein doosray topics dehkien. Agar koi deobandi humaray akabireen ki ibarato per aiteraaz karta hain tu hum usay us ka jawab detay hain. Aap ne abhi tak Mirza ki kitabo se diye gaye kisi hawalay per mudallal baat nahi ki. Sirf yehi rootay aarahay hain ke tehreef kardi, ghalat maani le liye, siyaq-o-sabaaq nahi waghaira waghaira. To ab ye tu aap ki zimaydaari hai na ke aap siyaq-o-sabaq paish kar ke Mirza ki tehreer ko justify karein. Lakeer ke fakeer bannay se perhaiz karein tu baat samajh aa jaye gi aap ko. Mein ne aap ki baat mein paish'karda mantak ko le kar baat ki thi na ke Abu'Jehl ki zaat ko le kar. Aap yehi kehna chah rahay hain na ke Abu Jehl apni hatt dharmi ki wajeh si Abu'Jehl kehalwaya tu mein bhi tu yehi arz kar raha hon ke Musaylma Kazzab, Aswad-e-Ansi aur Mukhtar dajjal aur kazzab kyu kehalwaye? Unn ka dawa bhi wohi tu jo Mirza ne kiya. Mutabiqat ko dekhiye naa ke shakhsiyaat ko. 30 Dajjalo ke zahoor ka zikr hadith mein wazeh tour per moujoud hai aur yehi bayan ke 30 ke 30 dajjal jhooti nabuwatt ka dawa karein gay. Yehi kuch aap ke Mirza ne kiya. Agar Mirza sacha nabi hota tu hadith youn hoti ke 30 dajjal hongay jo nabuwatt ka jhoota dawa karein gay aur aik aisa hoga jo sacha hoga. Jab ke iss zaman mein koi aik hadith bhi nahi. Yehi tu masla hai! Dekhiye aap ne kitnay kamaal se aap hazrat Huzoor ke ihkaam ke mutabiq hi Mirza ko nabi maantay hain tu yaha woh uss farman-e-Rasool ka hawala bhi detay. Dalail aap detay nahi aur phir kehtay hain ke mein Quran-o-Hadith se baat kar raha hon. Usooli tour per aap ko chahiye tha ke aap yaha iss baat ke saath daleel ki tour per koi Qurani ayat ya hadith ka hawala detay lekin aap ne nahi diya aur jawab mein aap hum se Qurani Ayat ka aur ahadith ka hawala maangtay hain. Ye kaha ki mantaq hai? Hum Mirza ki kitabo se hawala paish karein tu woh buhtaan aur aap bawlay najdiyo ki ibaratein paish karein tu woh daleel! Jis Ludhyanwi aur Moudoodi ko aap rootay hain hum un ke aqaid ko bhi batil hi kehtay hain tu ye daleel tu na howi. Ye tu wohi baat hogi aik jhootay ki baat ko sabit karne ke liye doosray jhootay ko gawah banaya jaa raha hai. Rahi baat chooti chooti tehreero aur pooray mazmoon ki tu janab thori dair ke liye maan bhi liya jaye ke hum siyaq-o-sabaq se hatt kar sirf kuch sutoor ko le kar ilzaam laga rahein hain tu aap aur poori Mirzaiyat kya channay baich rahi hai? Aap kyu siyaq-o-sabaaq paish kar ke asliyat samnay laa kar humein ghalat sabit karne se qaasir hain? Maslan kashf walay mamlay ko hi le lijiye. Mein ne uss topic mein aik nahi taqreeban 4-5 pages scan kar ke dikha diye. Aap ne sirf ye keh kar jaan chura li ke ye tu kashf tha. Agay kashf ki tareef paish karne mein aap ko mout aarahi hai. Uss topic mein aa kar baat tu kijiye mere paish'karda hawalo per! Mirza keh raha hai mien ne kashf dekha ke mein Khuda hon aur agay keh raha hai ke mein ne yaqeen kya ke wohi hon! Baat ab sirf kashf tak tu mehdood na rahi janab. 1. Kashf ki tareef aap se abhi tak matloob hai. 2. Qurani-o-Hadith se agar dalail paish kiye jaye tu aap ke nazdeek kaun si tafasir ya shurohaat mu'tabirr hain? 3. Aap hi ki paish'karda mantak ko istimaal kartay howay aik sawal aap se 2 baar pooch chuka uss ka bhi jawab matloob hai. Aur aap jo ye roona roo rahay hain ke aap ne Qurani ayat post ki tu janab zara bata bhi dijiye ke iss topic mein kis post per aap ne kaun si Qurani ayat ka hawala diya? Aap ki pehli post mein Khazain ka hawala hai, ye kya Mirzaiyoo ka Quran hai? Phir agay chal kar aap Ludhyanwi ke aqwaal paish karne ke mood mein lagay ... Ludhyanwi ka kalaam aap ke nazdeek Quran hai? Mein ne abhi tak ulema ki aqwaal tu paish hi nahi kiye. Mei ne tu Mirzaiyo ki official website se aap ko Khazain ke kuch scans dikhaye hain bus. Rahi baat sachay nabi ke dawa ke baray mein tu her sachay Nabi mein Anbiya wali shaan pe pai gai. Mirza tu sari zindagi Allah ke azaab ka mazhar bana raha. Zindagi bhar beemar aur aakhir mein haizay se mout! Mirza jis ka "meelan kanjariyo se tha" Mirza jis ki 3 naaniya aur 3 dadiya fahisha aur kasbi auratein thi" Ye Nabi ki shaan hai ya Kazzab ki ghalazat? Ye tamaam batein aapke Mirza ki kitabo mein moujod. Agar ab bhi aap yehi kehna chahtay hain ke hum ne maani mein tehreef ki tu baray-e-mehrbaani aap hi inn ki sahih tashreeh kar ke humein asal maani bataliye. Mujhay achi tarah maloom hai ke aap apni bharpoor Mirzaiyat samait ultay latak jaye gay lekin iss ka jawab nahi dein gay. Meri yaha muraad aap per keechar uchalana nahi aur ye baat mein apni pehli post mein bhi keh chuka ke "dil per mat lijiye ga kyu ke maqsad baat ko samjhana hai na ke tazleel!" Mujhay aap batlaiye tu sahi ke meri baat mein ghalat kya hai. Mein yaha nabuwatt ki tu baat hi nahi kar raha hai. Mera sawal Mirza ki nabuwatt se mutalliq nahi balkay Mirza ki nabuwwat ko sacha sabit karne ke liye jis mantaq ko aap daleel bana raha hain uss mantaq se mutalliaq hai. Aap hi na kaha na ke Mirza ne nabuwat ka dawa kyu tu Mirza ko choro Khuda se poocho, tu issi mantak ke mutabiq agar aap ki walida ke baray mein iss tarah dawa agar mein karo tu aap mujh se kyu jhagartay hain, apni walida se kyu nahi poochtay? Ye mantaq aap hi ne paish ki hai na na janab, tu ab iss se faraar kyu? Hazrat mein ne ye dawa kya hi kab ke mein aap ka baap hon, mein ne tu yaha tak likh dya ke Allah mujhay iss gunah-e-azeem se bachaye! Yaha mouzo daway ko sabit karne ki daleel hai naa ke dawa! Aur agar aap ki ghairat itna hi josh maar rahi hai tu mei Allah ki qasam khaa kar kehta hon ke Huzoor Allah ke aakhiri Nabi hain aur Mirza Allah ka Nabi nahi balkay aik kazzab tha. Ye dawa aap ke baap bannay se kahi zyada bara! Mein Mirza ke naam ke saath Ahmed jaisa mubarak naam lena pasand nahi karta aap ki tu phir baat hi rehnay dein! Aap khud ko meri bala se jo chahay keh lein.. Ahmedi, Qadiyani, Mirzai, Ahmedi Lahori ya kuch bhi meri sehat per kya farq parta hai. Rahi baat Qadiyan mein rehnay walay Qadiyani kehlatay hain tu kya hindustan mein rehnay walay sab Hindu kehlwaye gay? Nahi janab aap ki baatein buri nahi lagti. Mein tu pehlay hi keh chuka ke Khuda jab imaan leta hain tu aqlien bhi cheen leta hain. Jin ka man'gharat Nabi ghalazat ki mout mara hon, jis ka nasb fahisha auratoo se chala araha hon woh doosro ko ghaleez kahay tu mirchi nahi lagti, hansi aati hai! Rahi baat Quran-o-Hadith ki tu iss poora topic mein kaun si Qurani ayat ya hadith quote kar di aap ne? Umeed karta hon iss baar aap ko mere sawal wazeh tour per nazar aa rahien hongay. Inn ka jawab agli mein zaroor dijiye ga warna phir agar aap ne issi tarah taweelat ka roona rona hai tu batlya dijiye takay mein mazeed aap per waqt barbaad na karo.
-
Ye aap ne kis baat ka jawab diya ye bhi bata djiye. Aur Qurani Ayat ka hawala denay ka tareeqah ye nahi hota ke Surah ka naam likh kar keh diya jaye ke parh lo. Ainda se Qurani Surah ya Ayaat ka hawala detay waqt khayal rakhiya ga. Khuda ka naam tu shaitaan bhi leta hai! Tu sirf Khuda ka naam lena kisi bhi daway ke sachay honay ki daleel tu nahi. Yaha poora forum Khuda ka naam le kar kahay ga ke Mirza Maloon Kazib aur Jahannumi hai tu phir aap apni paish'karda mantak ke mutabik isay ba'haisiyat daleel qubool kar ke iss daway ko bhi sacha maan lijiye ga. Sawal ke jawab mein sawal nahi kiya jata janab! Kashf aap ke mirza ka hai aur kashf ki tareef ka mutaliba hum se kar rahay hain! Kis maslay per Qurani ayaat dekhni hai aap ne? Aur agar Qurani Ayat paish kar bhi di tu aap ke nazdeek kaun si tafasir mu'tabirr hain? Umooman Mirzaiyoo ki khaslat ye hoti hai ke jaha baat nahi bani waha samnay walay ke dalail ko man gharat keh kar radd kar dya jis ka bharpoor muzahira aap yaha bhi kartay nazar aa rahay hain. Agar yaha aap ko Qurani Ayaat bhi dikha di gai tu uss ki tafasir mein kuch dair behes ke baad aap yehi roona roota nazar aien gay ke "aap ki tafsir man'gharat hai". Aap ki halat kunway ke maindak ki si hai. Aap ko yehi nahi maloom ke aap kis maktaba-e-fikr ke forum per baat karnay aye hain. Aap ki kajj'fehmi ka andaza isi baat se ho jata hai ke aap yaha hum Ahle`Sunnah ke saamnay Yousuf Ludhyanvi, Qasim Nanotwi aur Maudoodi jaiso ki kharafaat ko daleel bana rahay hain jab ke hum wazeh tour per inn sab ka radd kartay hain. Rahi baat gand uchalnay ki tu yaha kisi nay aap ko gaali tu di nahi. Saray hi hazrat aap ko aap hi ke Mirzay ki kitabein utha utha kar dikha rahay hain. Ab Mirza ki kitabein ko hawalay dena gand uchalnay ke mutaradiff hai tu phir aap dekh lijiye aap kis maqaam per kharay hain! Musalyma, Kazzab kyu kehalaya? Aswad-e-Ansi dajjal kyu kehalaya? Ummat mein 30 dajjalo ki aamad ki khabar hadith mein mojoud, uss mein se pehlay 2 ye thay. In ka dawa bhi wohi jo Mirza ka tu Mirza kya howa? Hum tu Ummat-e-Muhammadi aur iss ihsaan per apnay Maalik ke shukar'guzar hain. Aap ka tu nabi hi Mirza tu aap Ummat-e-Muhammadi tu na howay. Rahi baat khuda badalnay na badalnay ki tu iss ka andaza isi se hojata hai ke aap ne Khuda Ta'la ki tareef ke liye Mirza ko wajeh-e-iftikhaar bana lya aur Fakhr-e-Kainaat Sarwar-e-Do jahan (Sallallahu Allaihe Wasallam) ka zikr tak nahi! Ab ye typical Mirzaiyoo wali oochi harkatein aur ilzaam tarashi karein gay tu koi faida nahi. Aap ko gandi gaaliya dekhni hai tu Mirza ki kitabein parh lijiye, gaaliyo ke encyclopedia ki kami mehsoos nahi hogi aap ko. Aap ko namoonay dekhnay tu bata dijiye ga. Waisay aik baat hai, aap sawal ke jawab ke ilawa tamaam batein bari khoobi se kar letay hain. Mein ne aap ki paish'karda mantak ko samnay rakhtay howay aap se aik sawal kya tu uss ka jawab aap gool kar gaye. Aap ki asaani ke liye mein dobara likhay deta hon, umeed karta hon iss baar jawab zaroor marhamat farmaye gay. Apni iss mandarja'bala mantak ko paish-e-nazr rakhtay howay iss sawal ka jawab dijiye takay wazahat ho jaye ke aap apni baat per kitna qayam hain. Yaad rakhiye yaha koi gaali nahi di gai. Mantak aap hi ki hai sirf theme change ki hai scenario same hi hai. Mein agar yaha ba'baang-e-dehl kaho ke mein iss forum per moujod Aamir Malik Qadiyani ka Baap hon (Allah mujhay iss bad'kaari se bachaye!).. tu aap mujh se jhagra karein gay jis ne dawa kya hai ya phir apni walida ka giraybaan pakrein gay ke Amma! Ye kya munh kaala karwa bethien?
-
Pehlay Nabi badla ab Khuda bhi!! Kya hi ghaleez mantak hai. Mein yaha aik simple si misaal don ga... dil per mat lijiye ga kyu ke maqsad baat ko samjhana hai na ke tazleel! Mein agar yaha ba'baang-e-dehl kaho ke mein iss forum per moujod Aamir Malik Qadiyani ka Baap hon (Allah mujhay iss bad'kaari se bachaye!).. tu aap mujh se jhagra karein gay jis ne dawa kya hai ya phir apni walida ka giraybaan pakrein gay ke Amma! Ye kya munh kaala karwa bethien? Suna tu tha ke Khuda jab imaan leta hai tu aqlein bhi cheen leta hain aap ne iss ka namoona bhi dikha diya! Khair aap per doosray topic per bhi post ka jawab matloob hai jis ke kashf mein Mirza sahib ne khudai ka dawa bhi kar dya. Uss ki bhi kuch wazahat kar dijiye tu baat kuch agay barhay. Iss tarah topics create kar ke khud faraar honay se tu kuch sabit hona nahi. Khalil Bhai ka jawab bhi aap per udhaar hai...
-
Amir Malik sahab mein tu Khatm-e-Nabuwwat per baat hi nahi karo ga... uss per humaray bhaiyo ne aap ko kaafi kuch dikha dya hai. Lekin jo bohut si awaam ki aankhon se oojhal hai ab zara woh bhi dekh lijiye. Umooman awaam ke khayal mein Mirza Qadiyani ne Nabuwwat ka jhoota dawa kya tha lekin ghar ke bheedi khud jantay hain ke soorat-e-haal iss se bhi zyada bad'tarr hai. Mirza nay nabuwwat ka dawa tu aik taraf Khudai ka dawa bhi khullay aam kya hai! Ye aap ke Mirza Qadiyan ki mashoor kitaab aur aap Qadiyani hazrat mein sab se zyada parhi jani wali Roohani Khazain ke 40th volume ke kuch scans hain. Inhay parh kar bataiye ke aap ke Mirza Nabi thay ke Khuda? Haa tu janab highlighted text aap ko saaf nazar aa raha hoga aur uss mein likhi Mirza ki kharafaat bhi. Bus itna sa sawal hai iss ka simple sa jawab dijiye ga. Aur haa! Yaha raah-e-faraar ke tour pe ya na kahiye ga ke ye scans naqli hain, jhootay hain kyu ke Roohani Khazain ka ye 40th volume mein ne abhi kuch dair pehlay hi Qadiyaniyo ki official website se download kya hai.
-
Ashraf Ali Thanvi Datta Darbar main
Sybarite replied to Ghulam E Mustafa's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
MashAllah! Iss josh-o-jazbay ke saath agar aap hazrat behes kartay howay issi tarah sabit'qadmi bhi dikhain tu kya hi baat ho! Khair ye e-mail address wali kahani ko tu rehnay dein. Behes-o-mubahisa awaam ke darmyaan hi hona chahiye ke awaam bhi mustafeez hon... ye zanaan'khano mein chup chup kar munazaray humaray yaha nahi howa kartay. Aap iss forum per tu aa hi chukay, ab aap ko khud agar kisi mouzo per baat karni hai tu aap ko poora ikhtiyaar hai. Topic create kijiye.. banda hazir hai. Iss topic se hatt kar filhaal mera aap se aik hi sawal hai, ghour se parhiye ga aur jawab zaroor dijiye ga; Qurani Ayaat ko likh kar Aurat ki sharam'gaah per baandhna jayaz hai ya nahi? Jawab ki koi jaldi nahi, tassalli aur itminaan se jawab dijiye ga. -
AHLE SUUNAT KI MUNAZRE MAI ZABARDAST FATAH
Sybarite replied to Attari.Rafique's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Aap ko apni post se pehlay ye pqrst313 ki post nazar nahi aiee? -
Molvi Tariq Jameel Ki Wife Key Zaiveraat Chori
Sybarite replied to Faraz Madani's topic in فتنہ وہابی دیوبندی
Hazrat aap ke fake kamalat ka kaun qayal nahi! Kitni hi kitabein Ala Hazrat aur unn ke Walid-e-Majid ke naam se garh kar hawalay bana kar paish kar diye gaye deobandiyo/raiwindiyo ki taraf se.. aaj tak uss hawalay ko kitabi shikal mein paish karne se qaasir hain. Aur rahi baat fake bananay ki tu janab thora bohut computer graphics mein na'cheez bhi jaanta hon. Aap try kar lijiye fake bananay ki mein koshish kar ke ussay saboot ke sath hi fake sabit kar do ga. Khair ye alehda mazmoon hai, filhaal to yaha hawalajaat paish kiye gaye akhbaraat ke. Aap ko lagta hai ke hawalajaat jhootay hain tu libraries mein puranay akhbarat mil jatay hain waha se koshish kar ke uss tareekh ka asli akhbar utha kar dekh lijiye agar hawala ghalat ho to uss ka scan rakh dijiye. Aur bhaiyo ye T.J ke mazkoora bayanat ke jis mein uss ne ajeeb-o-ghareeb dua maangi hai, iss ki audio agar kahi se muyassar ho to zaroor batiaye ga. Audios tu kaafi available hain iss ki lekin ab itna bhi farigh nahi mein ke T.J ki lambiiiiii lambii kahaniya suno, tu baraye'karam specifically agar woh audio mil jaye tu bari meherbaani hogi. -
Assalam-o-Allaikum my sunni brethern! Munazara-e-Jhang ki audio/video ki talash mein tu mein bhi hon but mil nahi saka, albatta iss munazaray ke ikhtitaam per 3 judges ka signed faislay ka scan hazir-e-khidmat hai;
-
Aap nay dil ki aankh na sahi sarr ki aankhein khool kar hi meri post ko parhnay ki zehmat ki hoti tu ye sawal na kartay. Meri pichli post mein mein nay ye bhi likha tha ke; Mera ye video links paish karne ka maqsad sirf itna tha ke iss tarah ki video dikhanay se kuch sabit nahi hota. Awaam tu dunya bhar ki kharafaat mein mubtilaa hai. Lekin iss tarah ki awaam jis ki na koi pehchan ho na koi ilmi haisiyatt uss ki harkato ko samnay rakh kar kisi jamat ko nishana banaya jaye. Aap mujh se keh rahay hain ke mein Qasam khaa kar kaho ke ye sari videos mein jitnay loog hain woh sab deobandi/raiwindi hain tu janab mein tu apna faisla suna chuka ke iss tarah ke ghair'mustanidd logo ki videos se kuch sabit nahi hota. Ab agar mein aap se kaho ke aap Qasam khaa kar keh dijiye ke jo video aap nay post ki uss mein koi aik bhi Saheeh-ul-Aqeeda barelvi hai! Aakhir iss video mein kis baat se sabit hota hai ke ye sab barelwi hain? Hai koi jawab aap ke paas? Kuch logo ko uchal kood kartay dekha tu ilzaam laga dya ke janab ye barelwi hain.. ye kaha ki mantak hai janab? Agar aap ke nazdeek saboot ke tour per issi tarah ki video paish karna sahi hai tu phir aap ko maan'na paray ga jo videos mein nay paish ki hain unn mein uchal kood karnay walay deobandi/raiwindi hain! Sirf 1 wajeh bata dijiye ke aap ki paish ki howi videos ko kyu sacha samjha aur meri posts ki howi videos ko kyu jhoota samjha jaye?
-
Agar aisa hota tu baat ko itna agay le janay ke bajaye apnay signature mein likhay note ko tabdeel kar chukay hotay. Itni lambi lambi kahaniya sunai jaa sakti hain, apnay diffa mein kitabo ke scan images diye jaa saktay hain lekin Allah nay aap ko toufiq nahi di tu uss signature ke note mein tabdeeli ki! Hazrat ilmiyatt ki tu baat hi na kijiye khair se... Deegar batein apni jageh abhi aap ko sahi se Urdu parhna aur samjhna nahi aati! Rahi baat aap ne kiya sabit karne ke koshish ki aur kya nahi tu ye tu saaf hi nazar aa raha hai. Sirf aik kitab ka scan aur bus? Uss per bhi tabsarra karne se abhi tak qaasir hain aap. Aap ki ilmi aur zehni nehaj ka andaza aap ki issi baat se ho jata hai. Baat yaha humein manwanay ya na manwanay ki tu hai hi nahi. Baat yaha sirf itni si hai ke aapne jo NOTE likha hai aya ke woh sahi hai ya nahi. Aap ki niyyat per koi baat nahi ki, sirf aap ko aap ki ghalti ki taraf tawajjuh dilai gai thi. Lekin bajaye iss ke aap apni iss ghalti ko tasleem kar ke uss NOTE mein tabdeeli kartay aap ne yaha aik alag hi tamasha khara kar dya hai. Aap ki ilmiyat ke saray bajay yaha aa kar bajj gaye ! Mujhay ye bataiye ke iss video mein kitnay mustanadd Barelvi ulema nazar aa rahay hain? Matlab aisa kaun sa banda hai iss video mein jis ki base per iss video ko "Barelvi Dhamaal" kaha jaye? Sirf iss liye ke youtube per iss video ka title iss tarah hai ke "Barelvi Islam-filthy ritual. *THIS IS NOT ISLAM* 2/3". Agar issi tarah sabit karna chahtay hain tu aisi hi kuch video mere paas bhi hain. Night time Sufi zikr at Darul Uloom Deoband (UP, India) http://youtube.com/watch?v=Bdkhe7TtrsM Yeh wohi video hai jis ka link aap ne paish kya tha. Lekin waha title kuch tha aur yaha kuch. Ab dekhnay wali baat tu ye hai ke video mein jitni awaam nazar aa rahi hai uss mein ba'zahir tu koi Barelvi nazar nahi aata. Na koi mustanadd alim nazar aata hai na koi sabz imama wala! Tablighi Jamat, Project Afghanistan .. Pashtun Style Aap dhamaal dekhna chahtay thay naa. Ye lijiye poori *performance* dekh lijiye aur dekhtay waqt video ka title zaroor zehn mein rakhiye ga! Song "Tablighi Jamaat" - Unplugged at Karachi http://youtube.com/watch?v=CxUY8aUvP_k Ye mere khayal mein Junaid Jamshed ki tarah Tablighi Jamat ke ubhartay howay sitaray hain. Waisay zaati tour per mein aisi videos ko mustanadd nahi samjhta ke inn videos mein koi bhi aisi shakhsiyatt nahi jo itni maroof ho ke jis ki bina per issay kisi khaas tabka-e-fikr se mansoob kya jaa sakay. Maqsad in videos ko yaha post karnay ka sirf itna hai ke aisi be'tukki videos ko sirf unn ke titles ki bina per kisi ki taraf mansoob karna himakat hai aur kuch nahi. Kehtay hain insaan ka labb-o-lehja uss ke bohut se raaz khool deta hai.. aap ke saath bhi kuch aisa hi mamla hai. Ab tak mein samjha tha ke aap dalail ki adam'dastiyabi ki wajeh se baat nahi karna chah rahay lekin ab maloom hota hai ke apni baat se faraar aap ki khaslat mein shamil hai aur faraar ka rasta aap Jahil Jahil ki takraar se banatay hain. Awwal tu mein ne abhi tak aap ko "TU" door ki baat "TUM" keh kar bhi nahi pukara aur iss ke bawajood aap tehzeeb ke dairay se bahir kharay "Tu Tu" aur "Jahil Jahil" ka mantar jaaptay nazar aatay hain. Sach bataiye ye "Jahil Jahil" ka mantar kis deobandi/raiwindi se seekha hai? Aap ko dekh kar maloom hota hai ke deobandiyo/raiwindiyo mein "Jahil Jahil" ka ye mantar na'munasib halaat mien faraar ka rasta dhoondnay ke liye akseer hai! Rahi baat aap ki posts ka jawab denay ki, tu janab poora topic moujod hai sab ke samnay. Mein ne ab tak aap ki her baat ko, her aik aik line ko quote kar ke jawabaat diye hain. Phir bhi agar kisi baat ka jawab aap ko nahi mila tu batla dijiye, banda hazir hai. Pehli baat tu aap nay meri jo post quote ki hai uss mein aap se mukhatib hi nahi. Woh post tu "aashiq koun" ke jawab mein thi. Khair dil mein choor ho to iss tarah ki harkatein sar'zard ho hi jati hain. Chaliye aap ki tassali ke wohi seedha sa sawal mein aap se bhi kar leta hon, mumkin hai aap hi jawab day dein. Agar aap waqai apnay dill mein Allah ke saath saath Sarwar-e-Kaunain Rasool Allah ka Ishq bhi apnay dil mein rakhtay hain tu woh kaun si baat hai jo aap ko Rasool Allah se Ishq ke izhaar ko chupanay per majboor kar rahi hai?
-
Hazrat Tanqeed-baraye-tanqeed be'shakk ghalat hai lekin agar kisi ko ghalti per paya jaye tu kya us ki tasheeh karna bhi ghalat hai? Abhi tak tu meri koshish yehi rahi ke Malang sahab samajh jaye ke unho jo signature ke saath NOTE likha hai uss mein "Sirf" ki istillaah ka istimaal karne mein thori si chook ho gai hai so ussay sudhaar liya jaye. Aur aap ke bhi samnay hain ke khud Malang bhi iss baat ka iqraar kar chukay hain ke Tu phir woh kya wajeh hai abhi tak Malang sahab nay apnay signature ki iss bhool ko sahi nahi kiya? Jab mouqiff mein koi ikhtilaaf nahi tu phir "sirf" ki istilaah ke ghalat istimaal se parhaiz kyu nahi kya jaa raha? Aur afsoos ke saath ke aap ki baat bhi intihai ghair'mantaki hai. Aik taraf aap keh rahay hain ke; itni si baat peaik dousry ko ghalat kehny ki kya zarourat hay. Aur agay khud hi ye bhi keh rahay hain ke; mery nazdeek to wo muslim hi nien jo k NABI HAZRAT MOHAMMAD se ishq na kary Tu janab phir ye "Itni si baat" tu naa howi. Aur aap ka ye kehna ke; ho sakta hay malang k dil mien bhi nabi hazrat mohammad ka ishq ho aor wo zahir na kerta ho. Tu phir sawal ye uthta hai ke aisi kaun si aafat aa pari Malang per ke ab Huzoor Sarwar-e-Kainaat se ishq ke izhaar ko chupana parr raha hai unhay? Itni tafseeli guftugo ke baad bhi ab tak Malang hatt'dharmi ka muzahira kartay howay apnay "SIRF" ke ghalat istimaal ka nakaam difa'a kartay hi nazar aatay hain. Agar inn ki niyyat wohi hoti jaisa aap gumaan kar rahay hain tu ab tak ye apnay signature mein likhay NOTE mein tabdeeli kar ke iss maslay ko khatam kar chukay hotay. Lekin iss ke bar'aks ab tak Malang sahab sirf jahil jahil ki ratt hi lagatay nazar aatay hain. Umeed hai ab soorat-e-haal aap ke liye aur wazeh ho gai hogi.
-
Maltab ke ab aap ke paas taweel ke tour per bhi kuch nahi bacha tu jahil jahil ki dhoom per dhamaal dalein gay aap? Aray miya kuch aqal ke nakhun lo. Jo scan dikha rahay ho uss mein "SIRF" ko parhnay se pehlay sail kya arz kar raha hai ye tu parh lete. "Arz : Kuttay ka ruu'wa tu na'paak nahi?" "Irshad : Sahi ye hai ke kuttay ka sirf Lu'aab najis hai....." Yaha "SIRF" ka istimaal howa hai takhsees ke liye. Yaha 2 cheezon ke ma'bayn takhsees ho rahi hai ke "kuttay ka ruu'wa najis nahi .... jab ke lu'aab najis hai". 2 alag alag batein howi na janab! Ab aap ke signature mein tu aik hi zaat ka zikr hai aur woh hai Allah , doosra tu kisi ka zikr hi nahi tu waha aap ne Urdu qaiday ke mutabiq Allah se tamaam ghair'Allah ki takhsees kardi. Matlab ke waha "Sirf" ka ittilaaq "Ishq" ko khaas Allah ke liye muqeed karne liye howa aur jo scan aap ne dikhaya waha Ruu'way aur Lu'aab ke beech Najasat ka ittilaaq batla dya ke dono mein se SIRF Lu'aab per iss ka ittilaq hai aur Ruu'way per nahi. Umeed hai ke iss baar aap ye Jahil Jahil ki dhoolak ki thaap per gulaathiya marnay ke bajaye koi mantaki aur mudallall baat karein gay.
-
Janab ye “Lol” aur “haha .. hehe” jaisay tamashay karne ke maskhara ban ne se baat nahi bana karti. Aap nay jo apni pichli post mein bayan kya mein ussay bhi quote kar ke uss ka jawab de hi chuka. Urdu zaban aap ki ya meri jageer tu hai nahi ke jo matlab chahay nikaal kar paish kar dein aur agar aisi soorat hai tu phir tu bad’zabani ki khulli ijazat mil jaye gi ke jis ka jo jee chahay keh de aur phir apni zaati tashreeh paish kar ke keh de ke mera ye matlab hai aur ye nahi! Agar aap apni baat ke itnay hi sachay hain tu meri pichli post ke aakhir mein di gai highlighted statements per “Haa Haa” kar dijiye. Aap se shayad booklahat mein ab keyboard bhi sahi se istimaal nahi kya jaa raha. Aap ghaliban kehna chah rahay thay ke “Baat ka batangar banana hai tu banao” tu mein sirf itna kaho ga ke zyada nahi sirf 1 minute ke liye khud se insaaf kartay howay soochiye ke yaha baat ka batangar kaun bana raha hai? Agar aap ko kisi ki ya sirf apni hi islaah bhi maqsood hoti tu ab tak aap apnay signature mein se iss “Note” ko hata chukay hotay lekin hatt’dharmi ki inteha dekhiye ke aap ulta humein baat ka batangar bananay ka ilzaam dete hain.
-
Fitna-e-Najad wali Hadees ka Misdaq kon?
Sybarite replied to Talinenoor's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Janab Talinoor! Mein aap ki tarah koi siyaasi aur jazbaati taqreer tu nahi karo ga albatta kuch seedhay saadhay se sawal zaroor karo ga aur umeed karta hon iss baar aap jawab dein gay. Aap ne pehli hadith paish ki Muslim #2905, jis mein Ihl-e-Iraq ko mukhatib kar ke Fitna-e-Najd ke baray mein Qoul-e-Rasool bayan kya gaya hai. Lekin kahi bhi iss hadith mein Iraq ko "Qurn-ush-Shaitan" nahi kaha gaya. Ishara "Mashriq" ki taraf hi hai aur Iraq shumaal ki taraf. Doosri hadith aap ne paish ki Bukhari #5994, tu iss hadith mein bhi kisi andaaz mein "Iraq" ke liye "Qurn-ush-Shaitan" ke alfaaz istimaal nahi howay. Lekin in ahadith ko paish kar ke ab aap khud phans chukay. Dono ahadith se saaf zahir ho raha hai ke Zamana-e-Risalat mein bhi "IRAQ" ko "IRAQ" hi kaha jata tha. Tou phir Hadith-e-Najd mein "Qurn-ush-Shaitan" jaisa naam dete waqt Huzoor-e-Akram ne "NAJD" kyu kaha? Agar "Qurn-ush-Shaitan" se "Iraq" hi muraad hota to doosri ahadith ki tarah yaha bhi "Iraq" hi kaha jata ke issi naam se Iraq uss zamanay mein bhi jana pehchana jata tha! Mein ne pichli post mein bhi iss mouzo' per likha tha lekin najanay kyu aap ne uss ke jawab mein aik line bhi na likhi. Aap ki asaani ke liye phir dobara qadr-e-tafseel se samjhaye deta hon. Mumkin hai iss baar aap ko samajh aa jaye. Sahih Bukhari mein "Qurn-ush-Shaitan" ke zahoor ke baray mein jis hadith ka hum zikr kar rahay hain uss mein "Qurn-ush-Shaitan" ke zahir honay ki jageh ko "Najd" ke naam se pukara gaya hai. Aap iss hadith mein "Najd" ke lughwi maani ke istimaal per zoor dete hain. Lekin agar lughwi maani se bhi dekha jaye tu "Najd" se muraad kuch ho na ho magar "Iraq" hergizz nahi ho sakta. "Najd" ke maani hain "Oonchi Zameen". Lafz "Iraq" nikla hai Arabic lafz "Areeq" se jis ke maani hain "Gehra" ya "Gehrai". Matlab ke "Najd" ke lughwi maani bhi "Iraq" se qadre bar'aks hain. So iss lehaaz se bhi "Najd" se "Iraq" muraad lena sirf aur sirf hat'dharmi aur sareeh daroogh’goi hai. Ye tu pehla nuqta howa. Ab doosray nuqtay ki taraf aaiye. Jaisa ke hadith se pata chalta hai ke pehlay Huzoor-e-Pur Noor nay dua ki Yemen ke liye, aur Yemen keh kar hi dua ki, issi tarah Shaam ke liye bhi dua ki aur “Shaam” keh kar hi ki. Dono jagho ke liye dua unn ke naam le kar ki. Tou phir Iraq ke liye fitnoo ki nishaandahi karni hi maqsood thi tau “Iraq” kyu na irshaad farmaya jab ke aap hi ki paish karda ahadith se pata chalta hai ke Iraq ko uss zamanay mein Iraq hi kaha jata tha. Dunya ke tamaam qaido ke mutabiq qareen qiyaas yehi hoga ke jis tarah pehli 2 jagho ke naam le kar dua ki issi tarah teesri jageh ka bhi naam le kar hi dua ki jaati. Aur teesra naam jo liya gaya woh hai “NAJD” ka jaha se fitno ke zahoor ki nishaandahi ki gai. Ab ye raag alaapna ke pehli 2 jagho ka tu naam lya aur teesri jageh ko geographical term mein samjhaya to ye bilkul illogical si baat hogi. Koi aik qabil-e-qubool aur mantaki wajeh bata dijiye ke jis per ye qiyaas kiya jaye ke iss hadith mein “Najd” se muraad mulk-e-Najd nahi hai. “wa fi Najdina” ke alfaaz sirf aik hadith hi tak mehdood nahi! Sahih Bukhari, Baab-ul-Istisqaa #976 mein bhi yeh hadith moujod hai. Mazeed ke ye aik hadith mein Hujra-e-Ayesha Siddiqua (Radi Allahu Anha) ke darwazay per kharay ho kar farmaya ke fitnay mashriq ki taraf hain. Mein ne pehlay bhi kaha tha, ab bhi keh raha hon, Atlas utha kar Hujra-e-Mubarak se Mashriq ki taraf aik seedhi lakeer khainchiye… bilkul “NAJD” ke beech se guzarti hai! Iraq tu aas paas bhi nahi kahi! Aur sirf yehi nahi balkay aur bohut si doosri ahadith aur un ka mafhoom “Najd” ke “Qurn-ush-Shaitan” honay per dalalat karti hain. Huzoor-e-Akram ki hayat-e-zahiri ke baad sab se pehla aur bara fitna utha Najd se jisay dunya “Musaylma Kazzab” ke naam se jaanti hai. Phir Zul`Khuwaisra, jis ke mutaliqq Huzoor-e-Pur Noor ne paishan’goi farmai ke iss ki peeth say aik qoum paida hogi ke tum loog apni namazoo ko inn ki namazoo se aur apnay roozo ko inn ke roozo se haqeer janoo gay. Quran parhay gay magar halaq se agay na barhay ga. Deen say aisay nikal jaye gay jaisay teer nishanay se nikal jata hai. Aur yehi nishaaniya Mashriq se uthnay walay fitnay ke liye bhi irshaad farmai. Phir mazeed ye ke aap khud’sakhta musleh (reformer) Ibn Abdul Wahab bhi Banu Tamim se thay aur ussi jageh se namoodar howay jaha se Musaylma Kazzab namoodar howa tha. Phir “Sarr mundanay” ki alaamat ka bayan jo Ibn Abdul Wahab Nadji ke paishwaoo mein hi sab se pehlay paii gai. Al'gharz tamaam Aqwaal-e-Nabawi ko samnay rakha jaye tu aakhiri nateeja yehi niklay ga ke "Qurn-ush-Shaitan" wali hadith mein jo "Najd" hai woh wohi "Najd" jo Hurja-e-Ayesha Siddiqa (Radi Allahu Anha) se bilkul mashriq per hai, jaha Banu Tamim abaad thay aur hain, jaha Rabi'a aur Midr ke qabeelay thay, jaha se Musalyma Kazzab aur Ibn Abdul Wahab jaisay fitnay namoodar howay! Agay aap ne bari bay’sharmi se ghair’muqallidiyat ke minhaaj se bilkul mukhtalif baat kartay howay Bukhari-o-Muslim ko choor kar Masnad Imam Ahmed ki riwayato ke zariye rah-e-faraar dhoondnay ki koshish ki aur iss koshish mein khud apnay hi hatho apnay maslak ka gala ghoont dya! Khair aaj ke liye itna kaafi hai. Umeed karta hon iss baar aap mere sawalaat ke jawabaat denay per zaroor ghour karein gay. -
Fitna-e-Najad wali Hadees ka Misdaq kon?
Sybarite replied to Talinenoor's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Imam Bukhari aur Imam Tirmidhi Hazrat Syedna Abdullah bin Umer (Radi Allahu Anhu) se riwayat ki ke Rasool ne dua ki; "Aye Allah! Hamaray liye Shaam mein barkat day. Aye Allah! Hamaray liye Yemen mein barkat day. Kuch logo ne arzz kya 'aur hamaray najd mein bhi'. Iss per phir farmaya, aye Allah! Hamaray liye Shaam mein barkat day. Aye Allah! Hamaray liye Yemen mein barkat day. Inn logo ne arzz kya 'aur hamaray Najd mein Ya Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam)?' (rawi ne kaha) mein gumaan karta hon ke teesri baar ye farmaya (Najd ke liye kaisay dua karo?) Waha zalzalay aur fitnay hain, waha se shaitaan ke pairoo niklay gay. (Sahih Bukhari, Vol. 1, pg. 141 Tirmidhi, Vol. 2, Pg. 234) Ab aiye un dalail per ke jin se Najd se wohi Najd sabit hota hai ke jaha se Mardood Muhammad ibn Abdul Wahab nikla. Pehli Daleel: Najd ka lughwi maani "Onchi Zameen" hai, lekin Quran-o-Ahadiths mein alfaaz ke wohi maani muraad hotay hain jo urf mein shaya hon, matlab ke jo most common aur general hon. Jab "Najd" Arab ke aik makhsoos ilaqay ka naam hai (abhi se nahi, Zamana-e-Risalat se) aur ye sab ko maloom bhi tha to yaha "Najd" se yehi ilaqa muraad hai na ke iss ke lughwi maani. "Najd" Zamana-e-Risalat mein bhi "Najd" hi kehlata tha aur "Iraq" zamana-e-Risalat mein bhi "Iraq" hi kehlata iss ke gawah Bukhari-o-Muslim hain! Doosri Daleel: Iss hadiths mein, baghair kisi shakk-o-shubeh ke "Shaam" aur "Yemen" se muraad makhsoos mumalik hi hain, na ke lafz "Shaam" se dopeher ke baad wali "Shaam" muraad hai. Agar lughwi maani mein lakeer ka fakeer ban kar hi hi istimaal karna hai to phir in dono naamo ke saath bhi aap hazrat ko aisa hi khail khailna chahiye. So qareena-e-qawiyya yehi hai ke yaha "Najd" se muraad Arab ka khitta "Najd" hi murad hai. Ab aaiye deegar aqwaal ki taraf. "Najd iss choori zameen ka naam hai jis ke ooper Tahama aur Yemen hai aur neechay Iraq aur Shaam." (Muajjam-al`baldan, Vol. 5, Pg. 262, by Yaqoot bin Abdullah al`Hamwi) Geography ki kitaaboo mein intihai mustandd kitab hai ye. "Suno! Bey`rehmi, sangdili.. kaashtkaaro aur auntoo ki dumoo ki jaroo ke paas hai, Rab`eya aur Mizr mein jaha se shaitan ke 2 pairoo niklaye gay." (Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 466) Baaz riwayato mein ye bhi hai ke Umm-ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiuqua (Radi Allahu Anha) ke hujra-e-mubarak ke paas kharay ho kar Mashriq ki taraf ishara kar ke farmaya ke fitna idher hai, jaha se shaitan ke pairo niklay gay. Atlas uthaiye, Minbar-e-Aqdas se Hujra-e-Ayesha (Radi Allahu Anha) ki taraf khatt khainchiye Mashriq ki taraf, bilkul Najd ke beech se guzray ga. Yaha se pehla fitna baramadd howa Musalyma Kazzab aur doosra issi Najd ke ilaqay Ainiya jaha Musalyma Kazzab paida howa wahi se nikla Muhammad ibn Abdul Wahab Najdi. "Mashriq ki janib se kuch loog niklay gay jo Quran parhay gay magar unn ke halaq say agay nahi barhay ga. Deen se iss tarah nikal jaye gay jaisay teer nishaana paar kar ke nikal jata hai. Iss ke baad deen mein lootay gay nahi, yaha tak ke teer apnay chalay ki taraf lootay. Poocha gaya inn ki alamat kya deen hai? Farmaya, in ki alamat sarr mundana ya tasbeed (payshaani ka ghatta)." (Sahih Bukhari, vol. 2, Pg. 1128) Wahabiyo se pehlay jitnay bad`mazhab aye kisi mein ye nishani nahi thi. Albatta najdi wahabiyo ne zaroor sarr mundanay ko apna tareeqa banaye rakha. Sheikh Allama Syed Zaini Dahlan likhtay hain: "Ye hadiths najdiyo ke baray mein sareeh hai........ Ibn Abdul Wahab in auratoo ko bhi sarr mundanay ka hukum deta jo uss ke mazhab mein dakhil hotien. Aik baar aik aurat nay iss per hujjat qayam kar di, ye aurat bil`jabr iss ke deen mein dakhil ki gai aur najdi ke za`m ke mutabiq iss ne tajdeed-e-islam kya. To najdi ne iss ka sarr mundana ka hukum dya. Iss aurat ne kaha agar apnay mardo ki daarhiya mundanay ka hukum de to tujhay jayaz hoga? Ke auratoo ke sarr mundanay ka hukum de. Iss liye ke auratoo ke sarr ka baal, mardoo ke darhiyoo ke ba`manzil hai. Iss per woh kafir mabhoot ho gaya aur uss se koi jawab na ban para." (Ad`darr` al`sunniya, Pg. 42) Wahabi Najdiyo se jab kuch nahi ban parta tu iss hadith se "Iraq" muraad lete hain aur uss per apni bay'sar-o-paa dalail de de kar jaan halkaan kartay hain. Aiye ab zara Iraq ke baray mein bhi parh letay hain. Kanz-ul-Aamaal mein ba`hawala Masnad Imam Ahmed aur Ibn Asaakar issi qism ki hadiths mojoud hai jo kaafi tafseeli hai. Uss mein “wa` fi Najdna” ke bajaye “wa` fi Mashriqna” hai. Issi mein Hazrat Ibn Umer (Radi Allahu Anhu) ki hadiths mein “wa` al-Iraq” hai. Issi tarah Jame-al`Amkana mein Imam Hassan Basri (Radi Allahu Anhu) mein aisa hi hai. Inhi riwayat ki bina per aap ghair`muqallideen apni poori quwwat se Iraq ko Najd sabit karnay ki na`kaam koshish kartay hain. Lekin apnay tamaam usoolo ko bhool jatay hain ke jin per aap ki iss Ghair`Muqallidi ki bunyaad qayam hai. Ghair`Muqallideen ke mazhab ki bunyaad iss per qayam hai ke “Bukhair aur Muslim” ko choor kar Abu`Daud ki hadiths bhi ghair`mutabirr, to phir Bukhair aur Tirmidhi ki maariz, Ibn Asaakar ki hadith aap ke nazdeek kaisay mutabirr ho gai?? Khud Shah Waliullah (Rehmatullahe Allaihe) ne Abu Daud ko “Tabqa-e-Sania” mein aur Ibn Asaakar ko “Tabqa-e-Raabiya” mein rakha hai. To ghair`muqallideen jin ke mazhab mein Bukhari-o-Muslim ke maariz Abu`Daud (Tabqa-e-Sania) ke hadiths ghair`mutabirr, jis ka darja-e-sehat Bukhari-o-Muslim ke baad baqiya Sihah`Sitta se muqaddam hai to Iraq ki baat per Bukhari-o-Tirmidhi ki Sahih Hadiths ko choor Ibn Asaakar (Tabqa-e-Rabiya) ki hadiths ko daleel banana to seedha seedha loota`pana hai janab. Ghair`muqallideen ka iss baat per ijmaa hai ke Hadiths-e-Munqataa, Mursil, laik-e-istinaad nahi. Hazrat Imam Hassan Basri se marwi jo hadiths hai woh “Mursil Munqataa” hai, kyu ke Hassan Basri ki mulaqaat Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) say nahi howi. Iraq se dushmani mein apnay banaye howay usoolo ko aap khud hi toortay hain. “Iraq ka naam Iraq iss liye para ke who Najd se neechay samandar se kareeb hai.” (Muajjam-al`baldan, Vol. 4, Pg. 95 by Yaqoot bin Abdullah al-Hamwi) Muajjam-al`baldan, qadeem Geography ki intihai mustanadd kitaab hai, aur saaf gawahi de rahi hai ke Iraq, Najd se neechay hai. So agar lughwi maani bhi istimaal kiye jaye tab bhi “Najd” se muraad Iraq nahi balkay “Najd” hi sabit hota hai. Her tareeqay se yehi sabit hota hai ke Ehd-e-Risalat se le kar aaj tak “Najd”, jazera-e-Arab ka aik Khitta hai jo iss ke Mashriq mein moujoud hai aaj kal Saudi Arabia ka hissa hai. Ab issay lughwi maani ka labada pehnana tehreef-e-maanwi hai aur kuch nahi. Aur hadiths mein tehreef karnay ka kya matlab iss se aap bakhoobi waqif hongay. Ab aaiye aap ko mazeed ahadiths dikha don. Imam Bukhari, Imam Muslim aur Imam Ahmed nay mukhtalif alfaazo mein Hazrat Abdullah bin Umer (Radi Allahu Anhu) se riwayat kiya: “Mein ne Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) ko dekha ke mashriq ki janib ishara kar ke farmaya ke fitna waha hai, be`shakk fitna waha hai, waha se shaitan ke pairoo niklay gay.” (Sahih Muslim, Vol. 4, Pg. 2228-2229, Beirut Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 18-40-91-111-121-140-143, Qurtuba, Misr. Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 73 Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 463) Imam Bukhari ne Sayedna Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) se riwayat kiya: “Kufr ki jarr mashriq ki taraf hai. Takabburr aur ghamandd, ghooray aur aunt waloo kasht'karoo aur khaimay walo mein hai.” (Sahih Bukhari, Vol. 3, Pg. 202, Dar` Ibn Kathir, Beirut Sahih Muslim, Vol. 1, Pg. 72-73, Darul`Ihya at`Tiras al`Arabi, Beirut Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 202-418-506, Darul`Harmain, Qahira) Imam Bukhari nay Hazrat Uqba bin Aamir aur Hazrat abu Masud Ansaari (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) se riwayat kiya ke Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne farmaya: "Suno! Bey`rehmi, sangdili.. kaasht'kaaro aur auntoo ki dumoo ki jaroo ke paas hai, Rab'ia aur Mudar mein jaha se shaitan ke 2 pairoo niklaye gay." (Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 466 Sahih Bukhari, Kitab Bid`al`Khalq, Hadith 3057 Sahih Muslim, Kitab-ul-Imaan, Hadith 72) Ab aiye dalail ki taraf. 1. Medina Tayyaba se Mashriq Najd hai na ke Iraq. Iraq Shumal ki taraf hata howa Mashriq aur Shumal ke koonay per hai, matlab ke Shumal Mashriq. 2. Jaisay ke peechay bhi likh chuka, baaz riwayato mein ye bhi hai ke Umm-ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiuqua (Radi Allahu Anha) ke hujra-e-mubarak ke paas kharay ho kar Mashriq ki taraf ishara kar ke farmaya ke fitna idher hai, jaha se shaitan ke pairo niklay gay. Atlas uthaiye, Minbar-e-Aqdas se Hujra-e-Ayesha (Radi Allahu Anha) ki taraf khatt khainchiye Mashriq ki taraf, seedha Najd per guzray gay. 3. Hazrat Uqba aur Hazrat Abu Masud (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) ki hadiths meiun “Rab'ia aur Mudar” ka zikr hai jo uss Ehd mein “Najd” mein thay na ke Iraq mein. Rab'ia ke baray mein Najdi ki gawahi sun lijiye: “Rab'ia bin Nazaar, Najd se Yemen tak ke baadshah thay…..” Issi ki hashiye mein likha hai; “Rab'ia ki shaakho ki bastiya Najd-o-Tahama, Yamama, Bahrain mein theen, Iraq TAK.” (al`Wajd fi`nisaab, Mulook Najd, Pg. 31 by Rashid bin Musheer) 4. Hazrat Uqba aur Hazrat Abu Masud (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) ki hadiths mein “Shaitan ke 2 pairoo” ka zikr howa. Pehla to sari ummat jaanti hai ke Musaylma Kazzab, doosra uss ka hum'watan Ibn Abdul Wahab Najdi Maloon. Musaylma Kazzab bhi Mizr se tha aur Ibn Abdul Wahab bhi. Aur sab se bari daleel jo qayamat tak tamaam Wahabi ke sarr per mandalati rahay gi. Bukhari mein Syedna Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) se marwi hai ke Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne farmaya: “Mashriq ki janib se kuch loog niklay gay jo Quran parhay gay magar unn ke halaq se aagay nahi barhay ga. Deen se iss tarah nikal jaye gay jaisay teer nishana paar kar ke nikal jata hai. Iss ke baad deen mein lootay gay nahi, yaha tak ke teer apnay chalay ki taraf lootay. Poocha gaya inn ki alamaat (nishani) kya deen hai? Farmaya, “Inn ke alamaat (nishani) sarr mundana (ganja hona) hai ya tasbeed (payshaani ka ghatta)” (Sahih Bukhari, Vol. 2, Pg. 1128 Sahih Bukhar, Vol. 2, Pg. 2784, Dar Ibn Kathir, Beirut Masnad Imam Ahmed, Vol. 3, Pg. 64/464, Qurtaba, Misr Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Pg. 62, Darul`Fikr, Beirut) Iss hadiths mein 2 batein wazeh hoti hain. Aik to mashriq se iss fitnay ka zahoor aur doosra inn ki sarr mundanay ki alamat. Wahabiyo se pehlay koi aik bad`mazhab firqa bata dijiye jis ki nishani sarr`mundana ho. So in tamaam ahadiths aur aqwaal ko madd-e-nazar rakhtay howay to Wahabiyoo ki Najdiyatt sarr se paoo tak tapak rahi hai. Ab aaiye aap ko Iraq ki haisiyatt bhi dikhata chalo. Syedna Zaid bin Sabit (Radi Allahu Anhu) se marwi hai ke; “Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne Yemen ki taraf deka aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo ko meri taraf mayal farma aur Iraq ki taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo mein meri taraf mayal farma, aur Shaam ki taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo mein meri taraf mayal farma, Aye Allah! Hamaray liye sa`aa aur hamaray madd mein barkat ataa farma.” (Kanzul-ul-Aamaal, Vol. 9, Pg. 136 Muajjam-ul-Sagheer, Vol. 1, Pg. 173, al`Maktabt-ul-Islami, Beirut Muajjam-ul-Kabeer, Vol. 5, Pg. 116, Maktabat-ul-Uloom wa`Hikm, Mousal) Iss mein lafz “Iraq” nazar aaraha hoga aap ko yaqeenan. “Nabi (Salllallahu Allaihe Wasallam) ne Shaam ki taraf nazar ki aur ye dua ki, Aye Allah! Inn ke dilo ko apni ataa'at ki taraf mayal farma aur inn ke ird`girdd apni rehmat ghair de. Phir Yemen ki taraf nazar ki aur iss ki misl dua farmai, phir Iraq ki taraf nazar ki aur waisay hi dua farmai.” (Majmoa`-al`Zawaid, Vol. 3, Pg. 304, Darul Riyan-ul-Tiraas, Qahira, Darul Kitab al`Arabi, Beirut al`Adb-ul-Mufarrid, Vol. 1, Pg. 169, Darul Bashair-ul-Islamiya, Beirut) Umm-ul-Momineen Hazrat Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) nay farmaya; “Imam Mahdi ki khidmat mein Shaam ke abdaal aur Iraq ke loog giroh`dar`giroh hazir ho kar bayt karein gay.” (Sunan Abu Duad, Vol. 4, Pg. 107, Darul`Fikr, Beirut Sahih Ibn Hibban, Vol. 10, Pg. 59, Beirut) Ab ye Iraqi saray ke saray kaun hon gay? Khawarij, Rawafiz, Mutazilla ya Ghair Muqallid?? Ghair'muqallideen ki aik aur chaal iss mouqay per ye bhi hoti hai ke Najd ke Banu Tamim ki tareef mein ahadith paish kartay hain. Abhi kuch arsay pehlay hi aik ghair'muqallid ne ye ahadith paish ki; ============================================================= Sahih Bukhari: I have loved the people of the tribe of Banu Tamim, ever since I heard three things the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said about them. I heard him saying, 'these people (of the tribe of Banu Tamim) would stand firm against the Dajjaal.' When the Saddaqat from that tribe came, the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said, "these are the Saddaqat (charitable gifts) of our folk." Aa'ishah had a slave girl from that tribe, and the Prophet , sallallaahu alayhi wa sallam, said to Aa'ishah, 'manumit her as she is a descendant of Ismaa'eel, alayhis salaam.' Musnad Ahmad ibn Hanbal: "do not say of Bani Tameem anything but good, for indeed they are the severest of people in attacking the Dajjaal." ============================================================= Iss ka bhi paishgi jawab hazir hai; Imam Bukhari nay Hazrat Imran bin Hassain (Radi Allahu Anhu) se riwayat ki hai ke; “Bani Tamim ke kuch loog Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ki khidmat mein aye to Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne inn se farmaya, Aye Bani Tamim, tumhay basharat ho. Unho ne kaha, Aap basharat to de chukay kuch (maal) dijiye. Iss per Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ka chehra badal gaya. Iss ke baad Ihl-e-Yemen hazir howay to farmaya, Aye Ihl-e-Yemen! Basharat qubool karo jab ke Bani Tamim nay issay qubool nahi kya. Unho ne arz kya, Hum ne qubool kya. (Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 453 Sahih Bukhari, Vol 3/4, Pg. 1165/1594, Daar Ibn Kathir, Yamama Sunan Tirmidhi, Vol. 5, Pg. 732, Darul`Ihya al`Tiraas al`Aarabi, Beirut Masnad Ahmed, Vol. 4, Pg. 432-433, Qurtaba, Qahira.) Chaliye, ab saaf sabit hai ke Basharat to be'shakk Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne Banu Tamim ko di, lekin inn bad'bakhtoo ne ussay qubool na kya. Mazeed ye ke gustakh-e-Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) Zul`Khuwaisra bhi Banu Tamim se hi tha. “Hazrat Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) farmayta hain ke; Hum Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam) ke khidmat mein hazir thay, aur Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) (juraana mein maal-e-ghaneemat) taqsem farma rahay thay. Itnay mein Zul`Khuwaisraa aaya aur ye Bani Tamim ka aik shakhs tha aur ye kaha, Ya Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam) Insaaf karo. Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) nay farmaya, agar mein insaaf na karo to kaun insaaf karay ga. Agar mein insaaf na karo to too khaib-o-khasir ho gaya. Iss per Hazrat Umer (Radi Allahu Anhu) nay arz kya, Ijazat dijiye, mein iss ki gardan uraa don. Farmaya issay choor do, ke iss ki peeth say aik qoum paida hogi ke tum loog apni namazoo ko inn ki namazoo se aur apnay roozo ko inn ke roozo se haqeer janoo gay. Quran parhay gay magar halaq se agay na barhay ga. Deen say aisay nikal jaye gay jaisay teer nishanay se nikal jata hai. (Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 509) Underlined farmaan-e-Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) per ghour kijiye. Yehi alfaaz "Najd" wali hadiths mein Najdiyo ke liye bhi irshaad howay. Mazeed iss zaman mein doosri ahadith, mukhtalif alfaaz ke saath Sahih Bukhari, Vol. 2, Pg. 624, Masnad Ahmed Vol. 4, Pg. 25-424 aur Sunan Nisaee, Vol. 2, Pg. 73-172 mein bhi mill jaye gi aap ko. “Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ki khidmat mein Zul`Khuwaisra aaya jo Bani Tamim ka fard tha, jis ke baray mein ye Ayat nazil howi. Munafiqeen mein se kuch woh hain jo sadqaat ke mamlay per Aap (Sallallahu Allaihe Wasallam) per taan kartay hain.” (Marqaat-ul-Mufateh, Vol. 5, Pg. 456 by Ali bin Sultan Muhammad Qari) “Inn sab se zyada sareeh ye hai ke ye maghroor Muhammad bin Abdul Wahab Banu Tamim se hai, to ho sakta hai ye Zul`Khuwaisra Tamimi ki nasl se ho, jis ke baray mein hadiths aiee hai ke iss ki nasl se aik qoum paida hogi.” (Ad`daar` al`sunniya, Pg. 51) Chaliye janab, Banu Tamim ki bhi asliyatt tamaam howi. Mere khayal itna kaafi hai... hai ya nahi? -
to my sunni brethren! Janab ye tu "ulta choor kotwaal ko daantay" wali baat ho gai. Singature aap khud likhein.. uss signature ko Urdu lughat ke hisaab se parkha jaye tu ghalti aap ki .. aur ilzam hum per ke jahil hum hain. Aap ki khatir aap ke signature per thori taba' aazmai mein bhi kar leta hon shayad aap ko samajh aa jaye baat. Aap ka signature ke saath NOTE hai ke; نوٹ : عشق صرف اللہ پاک کا ھے ۔ Ab iss note mein Urdu qaiday aur qareenay ke mutabiq "SIRF" (ONLY) ka aik hi maqsad banta hai, aur woh hai bila'shirkat-e-gairay (exlusiveness) ittilaaq. Maslan agar farz kiya jaye ke aap ke walid ka naam hai "Super Malang" aur aap ke 4 bhai hain. Tu phir kya ye kehna theek hoga ke "Super Malang "SIRF" aap ke walid hain"? Agar sahi hai tu phir loog tu yehi poochein gay ke baki 4 bhaiyo ka baap kaun hai? Zahir hi si baat hai ke aisa kehna ghalat hoga kyu ke aap ke bhaiyo ke walid bhi beherhaal Super Malang hi hongay aur iss baat ko sahi qareenay se kaha janay ke liye "SIRF" ko hata kar kaha jaye ga ke "Super Malang aap ke walid hain" Agar jis qareenay se aap "SIRF" ka istimaal kar rahay hain ussi qareenay se iss ka istimaal kya jaye to phir ye mandarja'zail ibaratein bhi aap ke nazdeek theek hongi. Aap ki SIRF walida hain. Aap SIRF kurta pehantay hain. Aap ki hamsheera SIRF dupatta pehanti hain Aap SIRF bachay hain. Agar ab bhi aap ba'zidd hain tu ainda "SIRF" ka ittilaaq aisi tamaam batoo per kiya kijiye ga warna phir baat dooghlay panay wali ho jaye gi.
-
Dawar bhai uss bawlay Saqi ke jawabat yahi post kar raha hon... copy kar ke uss ke munh per de mariye ga... meri uss community mein membership request tu woh accept karay ga hi nahi! Lekin bus aik request hai... as it is post kijiye ga.. shayad issay ghairat aa jaye aur mujhay community join karne de! 1st post: Saqi jo apnay time ka mashoor bhagoora reh chukka hai. Pata nahi kitnay hi topics khud create kar hum sunnis ko dekh kar aisa bhaga hai ke aaj tak un topics per jawab denay ki himmat nahi howi iss ki. Lekin yaha dekhiye, apnay community mein Sunnis ko allow kiye baghair kitna seena phulla kar uchal kood machai jaa rahi hai. Sahi kehtay hain apnay bill mein chooha bhi shair hota hai. Khair kitna hi chup le zaleel tu hona hi hai iss ne. Aik baat yaha ke tamaam members zehan mein rakhein ke Saqi ne hamaray ulema ka naam letay waqt bari bad’tameezi ka muzahira kya hai so agar mein bhi ussi andaaz mein Saqi ke mullao ko mukhatib karo tu kisi ko bura nahi lagna chahiye. Sab se pehlay aiteraaz paish kiya Saqi nay [red](malfoozat aala hazrat vol 3 pg no 32 )[/red] se. Saqi ne hum Ahle’Sunnah wa al’Jamat per jo aiteraazat ya ilzamat lagaye woh yeh; [red]1. “ghor se sunaye aur parhe is bat ko ke barelvion ke yahan buzurgoon ke mazarat par larkion ka charawa charta hai”[/red] Agar ye aiteraaz Saqi ne khud kya hota tu mein ye samajh leta ke chalo typical jahil deobandari hai, kuch maloom na honay ke baad bhi her baat mein bidat hai bidat hai, shirk hai shirk hai chillana iss ki virasat hai lekin ye aiteraaz deobandario ke naam’nihaad mullay bhi kartay hain. Aur iss se saaf zahir hota hai ke awaam tu awaam, deobandario ke mullay bhi jahil hain! Inn jahil deobandario ko “Bandi/Londi/Kaneez” ke baray Sharia’ee ihkaam hi nahi maloom! Hairat hoti hai ke apnay Darul-Uloom mein phir kya sirf Gangohi aur Nanotwi ke “Chaarpaee Games” hi sikhatay hain? 2nd post: Khair aoo tum ko aur tumharay deobandari mullo ko dikhao ke Quran iss maslay mein kya kehta hai. Surah al’Mominoon, ayat 5 & 6; “[blue]Aur jo zakat diya kartay hain aur jo apni Shehwat ki jageh ko thaamtay hain (5) Magar apni auratoo per ya [red]apnay haath ke maal – baandiyo – per, soo unn per nahi kuch ilzaam[/red] (6)[/blue]” (Maariful Quran, pg. 292) Ab Saqi ke dimaagh mein forun se ye baat aye hogi ke translation per aiteraaz kar do, lekin ye chichoori harkat karne se pehlay yaad rakhna ke ye ooper likhi translation tumharay mashoor Muftay Shafi Usmani ki hai! Ab aoo tumhay tumharay Muftay ki tafsir bhi dikhao iss ayat per. “[blue]Aur jo apni sharam’gaho ki (haram shehwat’rani se) hifazat rakhnay walay hain, lekin apni biwiyo se [red]ya apni (Sharaee) londiyo se (hifazat nahi kartay) kyu ke unn per (iss mein) koi ilzaam nahi[/red]. Haa jo iss ke ilawa (aur jageh shehwat’rani ka) talabgaar ho aisay loog hadd (sharaee) se nikalnay walay hain……[/blue]” (Maariful Quran, pg. 293) Ab Saqi shor machaye ga ke scans dikhao, to iss ki ye khuwahish bhi poori kar dete hain. http://www.geocities.com/sunni_deobandi1/M..._pg_292_293.jpg Agar khujli abhi bhi khatam nahi howi ho Saqi ki tu Surah al’Maarij ki ayat 30 bhi dekh lena ya agar itni bhi toufiq nahi hoti tu bata dena. Uss ki tafsir bhi Maariful Quran se hi dikha don ga! Khair! ye tu ab Quran se bhi sabit ho gaya ke apni (Sharaee) londi ya kaneez se mujamiatt ki jaa sakti hai aur iss per aik top class deobandari ki tafsir bhi mein dikha chuka. Ab Saqi ko chahiye ke ya tu Malfozaat-e-Ala Hazrat per aiteraaz na karay ya phir jaa kar pehlay apnay Muftay Shafi Usmani ki qabar per tara tarr jootay maray aur phir Ala Hazrat per aiteraaz karay! 3rd post: [red]2. “ab barelvi ahmed raza sabit karna chata hai ke mazarat par larkion ko nazar marna sahi hai”[/red] Malfoozat mein baat ho rahi hai Kaneez hiba karnay ki. Iss per shayad Saqi chalang laganay ke mood mein hoga ke Londi/Kaneez kisi doosray ko di ja sakti hai ya nahi tu iss per tu Bukhari ki ye hadiths parh lo; “[blue]Narrated Kurib: the freed slave of Ibn 'Abbas, that Maimuna bint Al-Harith told him that she manumitted a slave-girl without taking the permission of the Prophet. On the day when it was her turn to be with the Prophet, she said, "Do you know, O Allah's Apostle, that I have manumitted my slave-girl?" He said, "Have you really?" She replied in the affirmative. He said, "[red]You would have got more reward if you had given her (i.e. the slave-girl) to one of your maternal uncles.[/red]"[/blue] ( Volume 3, Book 47, Number 765) In Malik Mawatta you can easily find this; [blue]Malik said, "The generally agreed upon way of doing things among us is that if a man returns a slave girl in whom he has found a defect and [red]he has already had intercourse with her[/red], he must pay what he has reduced of her price if she was a virgin. If she was not a virgin, [red]there is nothing against his having had intercourse with her because he had charge of her[/red]."[/blue] (Book 31, Number 31.4.4:)(excerpt) Sach mein bara dil kar raha hai tumhara zalalat bhara chehra dekhna ka Saqi! Matlab jis cheez ka tum mazaak uraye jaa rahay thay uss ka saboot Quran-o-Hadiths se dekhnay ke baad tumhari shikal per kaisi manhoosiyat baras rahi hogi I can imagine!! Mera her baar deobandariyo se aik hi simple sawal hota hai. Aiteraaz karne se pehlay thori research kyu nahi kartay? Apnay mullay ki kitab mein jo parha as it as likh kar uss per seena phulla kar aisay kharay ho jatay ho jaisay dunya fateh karli! 4th post: [red]3. “aur aj bhi dekhein ke jahil bidati barelvi log apni larkion ko mazrat par chor jate hain wahan kia hota hai sab waqif hain us se”[/red] Aik saboot! Sirf aik saboot dikha do zyada kuch nahi mangta. Agar Ala Hazrat ki baat kartay ho tu Ala Hazrat ne auratoo ke mazaar per janay ke radd mein poori kitaab likhi hai “Jumal an-Nur fi Nahyi’n Nisa an’Ziyaratil Qubur”. Tafseeli tour per Ala Hazrat ne auratoo ke mazaar per janay ka radd kya hai. Jin mazaraat ka tum zikr kartay ho un ki administration humaray haatho mein de do! Aisay tamam mazaraat ke auqaaf mein kaun loog hain ye jaa kar khud maloom kar saktay ho tum. Alhumdulillah jin mazaraat per hamari administration hai waha iss qism ki koi harkat nahi hoti. Chalo jee .. tumhari bakwaas ka jawab tu tumharay munh per maar dya. Agar tumhay Malfoozat ka ye references ghalat lagta hai tu sab se pehlay tu Bukhari aur Malik Muwatta per aiteraaz karo, phir jaa kar apnay Muftay Shafi Usmani ki qabar per paishaab karo ke uss ne Tafsir mein ye kya likh dya. Phir ye saray kaam kar lenay ke baad hamari taraf aa kar aiteraaz karna. Aur Saqi bachay! Tujhay sab se 1 on 1 debate ka bara shouq hai aur mujhay tu community mein anay nahi deta! Its me Sybarite.... Itni kyu jaan nikalti hai mere samnay beth kar baat karne se? Abhi bhi teri iss community koi join kya hai.. request aa gai hogi tere paas... agar hai hosla baat karne ka tu kar accept! Zindagi mein aik baar tu mard ban kar samnay aa kar baat kar! Kab tak zananiyoo ki tarah community band kar ke taaliya bajata rahay ga!
-
Assalam-o-Allaikum wa`Rehmatullahe wa`Barakatuhu Dawar bhai parayshaan na hon. Inhay InshAllah wahi jawab dein gay jaha inho ne kharafaat baki hain. "Ulema-e-Deoband Are WaliAllah" wali community ka Owner hai "Saqi". Ye pehlay hi itnay zakhm khaa chuka hai ke ab mujhay tu sari zindagi nahi ghusnay de ga uss community mein. Apnay Orkut profile ke link paste kar dijiye ya e-mail address de dijiye iss ke jawabat asaan tareeqay se likh kar send kar do ga aap waha inn ke munh per maar dijiye ga.
-
Assalam-o-Allaikum wa`Rehmatullahe wa`Barakatuhu! Hazrat maloomat to khair mujhay bhi kuch zyada nahi lekin aap ki post parh kar search kya to ye results milay hain. Dekh lijiye shayad kuch madad mil jaye. http://en.wikipedia.org/wiki/Syed_Ata_Ullah_Shah_Bukhari http://mjanji.tripod.com/bukhari.htm The 2nd link says ; His role is discussed at length in the translator's note `Hazrat Maulana Muhammad Ilyas's Attention Towards Various Muslim Parties'. Muhammad Ilyas, the founder of Deobandi Tablighi Jamat (The-bug-League)! So there is something fishy.... will try to get some more information in this regard soon InshAllah!