Jump to content

Sybarite

مدیر
  • کل پوسٹس

    628
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    46

سب کچھ Sybarite نے پوسٹ کیا

  1. Aap ye sawal hum per nahi balkay Sahib-e-Mishqat per aa'id kar arhay hain. Aur usooli tour per yehi sawal aap ko Darul Uloom Deoband ki website se karna chahiye ke jis ka image Sag-e-Attar bhai de chukay hain. Naiz mein ne aap se kuch seedhay se sawal kiye thay, unhi ka jawab de detay tu aap ko apnay iss sawal ka jawab khud'ba'khud mil jata.
  2. Apni baat ko wazeh kar ke dalail dene ka hosla paida kijiye. Aankhein aap ki sahi hi kaam kar rahi hain tu jaldi se inhi hawalajaat mein se apnay nukaat chun kar unhay dalail ki soorat mein paish kar ke diffa kijiye. Inn hawalajaat ka diffa karna aap ki zimay'daari hai so iss zimay'daari ko hum per thooptay howay ye na kahiye ke "poora parh lo jawab mil jaye ga". Jawab dene ke paband aap hain ab. Baqi Alhamdulillah sari dunya se kisi bhi ihl-e-imaan ko le aiye, woh aap ko bata de ga ke kaun haqq per hai aur kaun gumrahi mein.
  3. Jee nahi janab. Aap ne Qurani ke ayat tu quote kar di per uss per Mirza ki zindagi se misalien de kar sabit nahi kiya kuch bhi. Ye bilawaja ke haanknay mein apna aur humara waqt barbaad na karien. Mein ne Mirza ke 2 aqwaal quote kiye hain, unn ko Quran-e-Karim ki taleemat se parakh lein. Nabi jhoota nahi ho sakta aur Mirza ka jhoot mein khud Mirza ki kitabo se paish kar chuka. Ab ya tu aap Mirza ki kitabo se diye gaye hawala'jaat ka diffa karein ya phir maan lijiye ke Mirza jhoota tha aur uss ka dawa bhi. Mein yaha ab moderators se request karta hon ke Aamir Malik ko jawabat dene ka paband kiya jaye. Jab tak ye iss topic per diye gaye Mirza ki kitabo ke hawala'jaat ki safai paish nahi kartay, inhay deegar topics mein post karne ki ijazat na di jaye aur agar phir bhi ye post karein tu ussay delete kya jaye. Baat karna ka usool ye nahi hota ke topic start kar ke aap khud hi faraar ho jaye. Aap ne Quran ko daleel banaya, hum ne Mirza ki zindagi ka ihwaal Mirza ki apni kitabo se saamnay rakh dya, jis se Mirza jhoota sabit hota hai. Ab ya tu diffa kijiye, ya iqraar kijiye ke Mirza jhoota tha.
  4. Aap ki post ki pehli line aap ke tamaam aiterazaat ka mudallal jawab hai. "bahi app sydna umar he kee baat manain" Aur yehi hum kar rahay hein. Hazrat Umar-e-Farooq (Radi Allahu Anhu) ne "achi biddat" kaha tu zahir hi se baat hai ke "achi" aur "buri" ke beech farq kartay howa kaha, warna sirf "bidat" kehtay na ke "achi bidat". Aur rahi baat ba'jamat nawafil ki, tu yaha hum bil'khusoos Ba'jamaat Taraweeh ki baat kar rahay hain. Umeed hai ke farq samajh aa gaya hoga. Mera sawal aap shayad bhool gaye. Mein ne sawal kiya tha Ba'Jamaat Taraweeh ke mutalliq. Ye tu aap baat ko ghuma phira kar nawafil per laa rahay hain. Aur aiye aap ko aap hi ki post yaad dila don ke kis tarah aap ne nawafil aur taraweeh mein farq khud bayan kya tha; Aap ke iss statement mein lafz "YEH NAFAL" Urdu qaiday ke mutabiq iss baat per dalaalat karta hai ke aap ne nawafil ka zikr bil'takhsees kiya hai aur choo'ke mera sawal taraweeh ke mutalliq hi tha so sabit howa ke aap ne bil'takhsees namaz-e-taraweeh ke baray mein hi kaha tha aur ab taweelat paish kar rahay hain. Iss baat per tu yaha behes ho nahi rahi ke Ashaab-e-Kiram (Ridwan Allahe Ta'ala Allaihe Ajmain) hujjat hain ya nahi. Yaha baat ho rahi hai ke aya "bidat" ko "achi" aur "buri" iqsaam mein baanta jaa sakta hai ya nahi. So baraye mehrbaani topic se door na jaiye. Aap ne choo'ke apni pichli post mein Bidat-e-Sai'ya aur Bidat-e-Hasanah ki takhsees khatam kartay howay keh dya ke tamaam bid'aat chahay Sai'ya hon ya Hasanah "dalalah" ke hukm mein aati hai iss liye ab mandar'zayl sawalaat ke jawab dene ke zimaydaar hain. 1. Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) nay ba'jamat taraweeh ko "achi bidat" kyu kaha? Kya aap ke nazdeek Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) sunnat aur bidat ki takhsees nahi kar saktay thay? 2. Huzoor-e-Akram ke zahiri door-e-hayaat mein taraweeh ba'jamat kyu nahi parhi gai? 3. Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) ke pooray door-e-khilafat mein ba'jamat taraweeh kyu nahi parhi gai? 4. Akabir Ulema jo Bidat ke Sai'ya aur Hasanah honay per qayal hain unn ke baray mein aap ka kya khayal hai? Aya ke woh sahih-ul-aqeeda hain ya bidat ke mamlay mein unn ke aqaid bhi ghalat hain?
  5. Hazrat ab dil per haath rakh kar bataiye ga ke aap ki baat ko sahi maano ya Hazrat Umer-e-Farooq (Radi Allahu Anhu) jaisay Jaleel-ul-Qadr Sahabi ki qoul maano? Hadith aap ko Ya Mohammadah bhai de chukay, mein Bukhari ka scan bhi diye deta hon takay agar English samajh na aie ho to Urdu samajh ajaye. Rahi baat 3 din Huzoor-e-Akram ka ba'jamat nafl parhana tu woh namaz-e-Tahajudd thi. Namaz-e-Taraweeh ka uss waqt koi wujood na tha. Inn 3 ayaam ke baad Huzoor-e-Pur Noor ki zahiri-hayat ke dooran ye namaz nahi parhi gai. Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) ke pooray door-e-khilafat mein 1 din ke liye bhi namaz-e-taraweeh ba'jamaat nahi parhi gai. Hazrat Farooq-e-Azam (Radi Allahu Anhu) ke nisf door-e-khilafat guzarne ke baad Aap ne sahab-e-kiram ke mashwaray se ba'jamat Namaz-e-Taraweeh shuru ki. Agar aap isay Huzoor-e-Akram ki sunnat maantay hain tu Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) jaisay sahabi ke pooray door-e-khilafat mein iss Sunnat per amal kyu na howa? Kya aap ke nazdeek aaj kal ke musalmaan, hum aur aap Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) se zyada sunnat per amal karne walay hain?
  6. Ab mazeed aap ke diye gaye dalail ka jawab dena zaroori nahi. Kyu ke Mirza ka aik jhoot tu beher'haal mein dikha hi chuka aur Mirza ka ye qoul bhi ke koi agar aik baat mein jhoota sabit ho tu uss ki deegar batoo per bhi aitebaar nahi kiya ja sakta. Agar aap ba'ghour inn hawalajaat ko parhein tu maloom hoga ke ye Mirza ke daway se pehlay aur baad, dono zamano se mutalliq hai. Zahir hai Mirza ne bachpan mein tu dawa kiya nahi tha, aur bachpan mein Mirza ka mukhtalif usatizaa se Quran Sharif aur deegar kutb parhna sabit hai. Phir Mirza ka daway ke baad ye kehna ke mein ne kisi ustaad se nahi parha! Ab ya tu daway se pehli ki zindagi ke baray mein jhoot bola, ya daway ke baad wali zindagi mein jhoota bola, lekin ba'her soorat jhoot tu bola hi hai. Ab aap zara pehlay iss ka diffa kijiye. Agar kar sakay tu phir agay ke dalail ko bhi parakh lein gay.
  7. Haa tu janab Aamir Malik sahab. Aap ne tu waqai mein alislam se ye poraarticle chaap kar kamaal hi kar dya. Waisay agar ye article hi chaapnatha tu pehlay bata dete. Hum tu samjhay thay ke mousof apni taraf sekoi tabsara karein gay. Khair jawab hazir hai. Aap ke post kiye gaye article ki pehli daleel di hai Surah Yousuf, ayat17-18 se. Aur ye bawar karanay ki koshish ki hai ke Mirza ne nabuwwatka jhoota karne se pehlay aik pakeeza zindagi guzari. Naiz aap ne Mirzaka aik qoul bhi naql kiya ke; 'Tum koi aib, iftir'a, ya jhoot yadagha ka meri pehli zindagi per nahi laga saktay, ta tum ye khayal karoke jo shakhs pehlay se jhoot aur iftir'a ka aadi hai ye bhi uss nejhoot bola hoga. Kaun tum mein hai jo meri sawanah-e-zindagi mein nuktacheeni kar sakta hai? Pass ye khuda ka fazal hai ke jo uss ne ibtidaase mujhay taqwa pe qayam rakha aur soochnay walo ke liye ye daleel hai.' Mirza ka ye kehna ke 'Kaun hai jo meri sawanah-e-zindagi per nuktacheeni kar sakta hai?' ke jawab mein mein yeh kaho ga ke woh Mein hon!Mirza ya Mirzaiyo se agar kuch ban parta hai tu kar lein. Ab aiye dalail ki taraf matlab ke Mirza ki zindagi ke ihwaal per. Meinzyada hawala'jaat yaha paish kar ne ki zehmat nahi karo ga aur kyu nahikaro ga iss ka jawab last scan mein mil jaye ga aap ko. Mirza Imam Mahdi ke alamaat bayan karta howay likhta hai ke; 'So aanay walay ka naam jo Mahdi rakha gaya. So iss mein ishara hai ke woh anay wala ilm-e-deen Khuda se hi hasil karay ga. Aur Quran aur Hadith mein kisi ustaad ka shagird nahi hoga.So mein halfan keh sakta hon ke mera yehi haal hai. Koi sabit nahi karsakta ke mien ne kisi insaan se Quran ya hadith ya tafsir ka aik sabaqbhi parha hai. Ya kisi mufassir ya muhaddis ki shagirdi ikhtiyaar kihai.' Ab Mirza ke iss jhootay dawa ka naqaab uthanay ke liye Allah ne khud Mirza ke qalam se hi Mirza ko zaleel karne ka samaan paida kar diya.Aaiye doosra hawala dekhiye; 'Iss tarah per howi ke jab mein 6 7 sala ka tha to aik farsi-khuwa muallim mere liye naukar rakha gaya. Jinho ne Quran Sharif aur chand farsi kitabein mujhay parhai aur iss buzurg ka naam Fazal Ilahi tha. Aur jab meri umar taqreeban 10 baras ke howi tu aik Arbi'khuwa Moulvi Sahab meri tarbiyat ke liye muqarrar kiye gaye jin ka naam Fazal Ahmed tha.' Mirza ke 2 ustado ke naam tu yahi bayan ho gaye jin mein se aik neMirza ko Quran Sharif bhi parhaya. Mirza ke pehlay daway ko samnayrakhtay howay iss doosray daway ko dekhiye tu her insaan samajh saktahai ke Mirza kitnay baray jhootay thay. Aur jhoota insaan Nabi tu kujaaik naik momin bhi nahi ho sakta. Issi hawalay mien agay Mirza neteesray ustaad ka zikr bhi kiya hai aur kuch aur uloom ka bhi jo Mirzane inn ustaado se seekhay. Tafseel ke liye hawala moujod hai parhlijiye. ======================================= Mirza ke jhootay dawoo ka agar tajziya kiya jaye tu shayad aik alehda kitaab ban jaye. Mein yaha 1 hi hawala paish karna bohut samajhta hon ke ye aap ke pooray article ke jawab mein kaafi hai. Kyu ke jab koi aik baat mein jhoota sabit ho jaye tu uss ki doosri batoo per bhi aitebaar nahi kiya ja sakta. Aur ye qaida bhi mera nahi, Mirza ka apna hi hai. Parhiye hawala;
  8. Wallah! Tuff hai aisi koorh'maghzi per! Miya aaj se pehlay kisi forum per discussion ki bhi ya pehli baar ka bukhaar hai ye aap ka? Mein yaha iss topic mein aap ki post ka intizaar kar raha hon aur aap waha topic pe topic banaye jaa raha hain! Aik hi article ko 4 alag topics ki soorat mein post karne ka maqsad bayan karein gay? Ya aap apnay start kiye howay topics ki tadaad barha kar khud ko fateh qaraar dene ke mood mein hain? Waqai bad'mazhabo mein common sense kaafi uncommon hai! Khair abhi tu office mein hon per fiker na karein aap ke iss copy+paste shahkaar ka jawab jald hi mousol hoga, intizaar farmaiye.
  9. Miya kya howa? Copy+paste ki salahiyatt kaha marr gai? Lakeer ka fakeer ban kar poora article paste karne ke mood mein thay aap, mein ne tu sirf itna kaha hai according to the topic jo baatein hain woh pages paste kar dein. Aap ne article ke woh pages paste maar diye jin ka iss topic se koi lena dena nahi aur mein ne aap ko tanbeeh kar di tu jall bhun kar raakh howay jaa rahay hain. Zaatiyaat per utar anay se kuch sabit nahi kar paye gay aap. Jaldi se paste kijiye page 34 se onwards, takay sab ke samnay aap ki iss article ka post-mortem kiya jaa sakay. Shabaash! darnay ki koi baat nahi.
  10. Ye article mein already parh chuka janab. Page 10 per diye gaye 4th aur 5th nuqtay ka jawab dijiye ga jo iss article ke page 34 se start ho raha hai, poora article paste kar ke topic ko toul na dijiye ga.
  11. Hazrat ye tu sawal gandum jawab channa wali baat ho gai. Quran se Imkaan-e-Nabuwat ke maslay ko chooriye, apnay qoul ke mutabiq Mirza ko Quran se sacha sabit kijiye. Aap ke iss copy+paste article ke "Page 10" per diye gaye "4-5" nuqaat ko wazeh kijiye. Baqi alislam se ye 48 pages ka poora article chaapnay ki zaroorat nahi. Aur aap se aik choota sawal aur. Allah ke Nabi Masoom hotay hain. Iss per baat aap yaqeen rakhtay hain ya nahi?
  12. Aap se sirf eik choota sa sawal hai. Ba'jamaat Taraweeh "Bida'h-e-Sai'ya" hai? "Bida'h-e-hasanah" hai? ya phir "Bida'h-e-Dalalah" hai? Azray-e-Karm iss ka jawab dalail ke saath dijiye ga.
  13. Saeedi bhai aap ka be'hadd mashkoor hon iss hawalay ke scans muhaiyya karne per. Mein khud bhi kaafi arsay se in ki talaash mein tha magar muhallay ke kareeb jo maktab hai woh meri shikal dekh kar ghusnay hi nahi dete mujhay andar! Waisay aik baat samajh nahi aati. Hum per ye najanay kiya kiya ilzaam lagatay hain iss ke ba'wajood mein khud inhay Banori Town ke bahir inn ke maktab mein Bahar-e-Shariat aur Shama-e-Shabistan-e-Raza farookht karta dekh chuka hon. Mujh se ghalti bus itni ho gai ke ye 2 kitabien dekh kar pooch betha ke Fatawa-e-Razawiya bhi rakha hai, bus uss ne ghour kar dekha aur bola niklo bahir! Khair aik baar phir aap ke shukriya. Jazakh Allahu khair!
  14. Jaha tak meri raye hai tu Aamir Malik sahab se ab baat karna fuzool hai. Ratay rataye tootay ki tarah inhay sirf "yahoodi ho yahoodi ho, tehreef kardi" waghaira ke naaray lagana ke siwa kuch nahi aata. Inn se koi sawal kar liya ye jawab dene ke bajaye naaray'baazi aur muskhara'pana shuru kar dete hain. Iss topic mein jitnay scans hain saray Mirzaiyo ki mustanadd aur official website "alislam" se liye gaye hain, jis se sabit hota hai ke Mirza ko khud apni zehni kharafaat jisay woh wahi aur ilhaam kehta tha, Quran-e-Karim ki tarah yaqeen tha. Mazeed ye bhi ke Quran Mirza ki kahi howi batein hain hatta ke ye dawa bhi ke Quran mein Qadian ka zikr hai, tu saaf zahir hota hai ke Mirzaiyo ka Quran alag hai. Humaray Quran mein Alhumdulillah kisi maloon kazzab ki munh ki bakwaas nahi. Aur issi tour Aamir Malik ka ye mutaliba karna ke dalail Quran se diye jaye batil ho jata hai. Aamir Malik ab usooli tour per pa'band hain ke ya tu iss topic mein post kiye gaye hawala'jaat ki safai paish karein aur sabit karein gay ke Mirzaiyo ka Quran mukhtalif nahi. Phir mazeed aik lateefa ye ke Israel aur British ki good mein palnay walay ye Mirzai aaj hum Sunniyo ko Yahoodiyo se tashbeeh dete hain. Iss ke jawab mein Mirzaiyat ke munh per aik aur joota maar raha hon, umeed hai ke ifaqa hoga. The Jerusalem Post, 21 November 1985; "Sheikh Sharif Ahmad Amini, the outgoing head of the Ahmadiyya, an Indian Muslim sect locally based in Haifa, introduces his successor Sheikh Mohammed Hamid Katpar to President Chiam Herzog yesterday at Bait Hanassi. The new leader of the sect, which has 1200 followers in Israel, brought numerous documents as evidence that the sect is persecuted in Pakistan. The outgoing Sheikh who is returning to India praised Israel for allowing his sect to enjoy complete religious freedom." Sari dunya janti hai ke Israel mein kisi bhi qism ki Islamic activities karna mana hai lekin Israel "dushman ka dushman dost hota hai" wali policy apnata howa Mirzaiyo ko apni good ka bacha samajh kar paal raha hai. Aamir Malik, ab na machaiye ga Yahoodi Yahoodi ka shoor!
  15. Mirzaiyoo ke Quran-o-Hadith per aqaid per alehda topic post kar diya hai. Pehlay waha aa kar jawab tu dein ke aap ka Quran kaun sa hai phir Quran se dalail talb kijiye ga. Aur waisay bhi usooli tour per bhi yaha aap ke kisi sawaal ka jawab denay ka paband nahi kyu ke aap sirf sawal kartay hain aur jawab milta hai tu topic adhoora choor kar doosray topic ki taraf chalaang laga dete hain. Aur jab hum sawaal kartay hain tu unn sawalaat ka jawab dene mein aap ki sari Mirzai (na'paid) ghairat raffo'chakkar ho jati hai.
  16. Mujhay maskhara banne ka shouq nahi iss liye ye Haha Hoho aur bandar'gulaathiya aap hi ko mubarak. Jab tak aap koi mudallall reply nahi dete tab tak mein aap ki post ka reply karne ka paband nahi.
  17. Ab ye naubat aa gai hai aap per! Diffa ke liye aur kuch nahi bacha tu ghissi pitti batein karein gay ab aap? Miya 1400 saal se zyada ho gaye Huzoor-e-Pur Noor Sawrar-e-Do Jaha per kisi bhi aiteraaz ko koi maee ka laal sabit na kar saka aur na kar sakay ga. Bataiye agar kisi aik bhi Islam ke khilaaf debate mein Yahood-o-Nasara ko jeet howi tu? Jab ke Sunniyo ke haatho baar'haa zaleel-o-khuwaar ho kar shikast panay ke ba'wajood Mirzai bari dheetai se apnay mouqiff per jamay howay hain, bilkul Yahood-o-Nasara ki tarah. Be'shakk Yahood-o-Nasara ne bharpoor koshishein ki hain Islam ke khilaaf lekin inn koshihein ke radd-e-amal mein aap ne kahi ye suna ke Yahoodi ki sazish se fala Musalmaan Yahoodi ho gaya? Her gizz nahi! Aisa kabhi nahi howa. Jab ke apni jamat ka haal aap ba'khoobi jantay hain. Kintay hi Mirzai bila'aakhir hidayat paa kar Mirzaiyatt per lanat bhaij kar musalmaan ho gaye. Kuch ne tu kitabein tak likhi dien Mirzaiyat ke asli chehray se naqaab uthanay ke liye. So Mirza aur uss ki be'ghairat jamat ka mawazana Sarkar-e-Do Alam aur Ummat-e-Muhammadi se karna aap ki jahalat ka munh bolta saboot hai. Rahi ye baat ke pehlay Sarwar-e-Kounain ka diffa kiya jana chahiye phir Mirza per aiterazaat tu miya Mirza ka radd bhi diffa-e-Shariat-e-Muhammadi hi hai, ke Mirza ka dawa Shariat-e-Muhammadi ke khilaaf hai aur batil hai. Yahood-o-Nasara ke baray mein tamaam musalmaan jantay hain ke woh Islam ke dushman hain, lekin Mirzai Ummat-e-Muhammadi ko musalman ka libada aurh kar behkatay hain. Aap ki halat dekh kar ab taras aata hai. Kisi baat ka jawab nahi de pa rahay. Her sawal ko phalaang kar bhaag nikalnay ki koshishein, her daleel ko nazar'andaaz kar ke natt nai taweelat paish kar ke baat ka rukh ghumanay ki koshishein kab tak karein gay? Aap ki bakwaas ka aap ko munh toor jawab mila tu bajaye apni ghalti tasleem karne ke aap baat ghuma kar jazbaati taqareer per utar aye! Usooli tour per tu ab aap ko moderators ki taraf se warning milni chahiye ke ab jab tak aap pichlay kiye gaye tamaam sawalat ka mudallall jawab nahi dete, aap ko post karne ki ijazat na di jaye. Lekin humara bara dil dekhiye ke aap ki be'sar-o-paa batein iss umeed per sunay jaa rahay hain ke shayad Allah aur uss ke Habib Afzal-us-Salat wa Tasleem ke sadqay se aap ko haqq ki pechaan ho jaye.
  18. Sybarite

    Mirza Ka Quran Aur Hadith

    Aamir Malik cheekh cheekh kar her topic mein aik hi roona rootay nazar aatay hain ke Quran-o-Hadith se baat karo. Iss zaman mein mein inn se baar'ha pooch chuka ke khudara bataiye ke aap ke nazdeek Quran-o-Hadith ki kaun si tafasir aur shurohaat mutabirr hain. Magar mere baar baar pochnay ke ba'wajood Aamir Malik mere iss seedhay se sawal se bhaagtay rahay hain aur ab tak bhaag rahay hain. Yaad rakhiye Aamir Malik sahab ke iss sawal se aap ki jaan nahi chootay gi! Jawab tu dena hoga warna maan lijiye ke Quran-o-Hadith ki mutabirr tafasir aur shurohaat se aap apna mouqiff sabit nahi kar saktay. Filhaal mein yaha Quran-o-Hadith se mutalliq Mirza ke kuch qoul Mirzaiyo ki mutabirr kitabo se paish kar raha hon jisay parh kar nadaan se nadaan insaan bhi jaan sakta hai ke Mirzaiyo ka Quran-o-Hadith ke mamlay mein kya mouqiff hai. 1. Quran Sharif Khuda ki kitab aur Mirza ki batein "Iss nishaan ka mudd'aa ye hai ke Quran Sharif Khuda ki kitaab aur mere munh ki batein hain." Her aaqil-o-baligh aadmi mandarja'bala qoul ki haisiyatt samajh sakta hai! Mirza yaha dawa kar raha hai ke Quran-e-Karim jisay sari ummat Khuda ka kalaam maanti hai, woh sirf Khuda ka kalaam nahi balkay uss mein Mirza ke munh se nikli batein bhi hain! (Naql-e-kufr, kufr na bashid) Maloom howa ke Mirzaiyo ke nazdeek Quran sirf Allah ka kalaam nahi balkay khud Mirza ka kalaam bhi hai aur iss se ye muraad lena bhi ghalat nahi ke Mirza ki kitabien jo Mirza ne likhi ya Mirza ke jo qoul ye Mirzai "Malfoozat" ke naam se parhtay hain woh bhi Mirzaiyo ke nazdeek Quran-e-Karim ke barabar howi. Issi tarah aglay hawalay mein Mirza apni ki howi bakwaas ko Khuda ka kalaam qaraar deta hai. Aur ye aqeeda poori ummat ke aqeeday se muta'zaad hai jis se sabit howa ke Mirzaiyo ka Quran muslim ummat ke Quran se mukhtalif hai. 2. Mirza ka kalaam Khuda ka kalaam hai "Magar mein Khuda Ta'ala ki qasam khaa kar kehta hon ke mein inn ilhamaat per ussi tarah imaan lata hon jaisa ke Quran Sharif per aur Khuda ki doosri kitaboo per. Aur jis tarah mein Quran Sharif ko yaqeeni aur qat'ai tour per Khuda ka kalaam jaanta hon ussi tarah uss kalaam ko bhi jo mujh per nazil hota hai, Khuda ka kalaam yaqeen karta hon." Yaha Mirza khullam'khulla dawa kar raha hai ke woh apnay ooper nazil honay wali khud'sakhta aur man'gharat wahi ko bilkul Quran-e-Karim ki tarah Khuda ka kalaam manta hai. Aur zahir hai jab Mirza ka ye aqeeda hai tu Mirzaiyo ka bhi yehi aqeeda hoga. Pehlay dawa kiya ke Quran mein mere munh ki batein hain aur ab dawa kiya ke mera kalaal Khuda ka kalaam hai. Maloom howa ke Mirzaiyo ke nazdeek na'sirf Quran Mirza ka kalaam hai balkay Mirza ki deegar bakwaas bhi ko bhi ye kalaam-e-Ilahi tabeer kartay hain. 3. Mirzaiyo ke Quran mein Shehr Qadiyan ka zikr bhi moujod hai "Iss jageh mujhay yaad aya ke jis rooz woh ilhaam mazkoora'bala jis mein Qadian mein nazil honay ka zikr howa tha. Uss rooz kashfi tour per mein ne ye dekha ke mere bhai sahab marhoom, Mirza Ghulam Qadir mere qareeb beth kar ba'awaaz-e-bulund Quran Sharif parh rahay hain aur parhtay parhtay uinho ne in fuqraat ko parha ke "Inna anzalnahu qareeb'um min al'Qadian" tu mein ne sun kar bohut ta'ajjub kiya ke Qadian ka naam bhi Quran Sharif mein likha howa hai? Tab unho ne kaha ke ye dekho likha howa hai. Tab mein ne nazar daal kar jo dekha tu maloom howa ke fil'haqeeqat Quran Shairf ke daaien safhe mein shayad qareeb nisf ke mouqay per yehi ilhaami ibarat likhi howi moujod hai. Tab mein ne apnay dil mein kaha ke haa waqai tour per Qadian ka naam Quran Sharif mein darj hai aur mein ne kaha ke 3 shehro ka naam aizaaz ke saath Quran Sharif mein darj kiya gaya hai, Makkah, Madinah aur Qadian. Ye kashf tha." Mulahiza kijiye! Kya khul kar dharallay se Mirza Quran per jhoot band raha hai ke Quran mein Qadian ka zikr hai! Poori ummat mein aaj tak kisi ko Quran-e-Karim mein Qadian ka naam nazar nahi aaya. Yaha bhi wazeh hota hai ke Mirzaiyoo ka Quran Muslim Ummah ke Quran se mukhtalif hai. Quran ke mutalliq tu aap ne dekh liya ke iss kazzab batil firqay ka kya aqeeda hai. Ab aaiye hadith per. 4. Mirza ke daway ki bunyad Hadith nahi, Jo ahadith Mirza ke daway ke maariz hain usay Mirza Raddi mein phaink deta hai. "Aur hum iss ke jawab mein Khuda Ta'ala ki qasam khaa kar bayan kartay hain ke meray iss daway ki Hadith bunyaad nahi balkay Quran aur woh wahi hai jo mere per nazil howi. Haa taeedi tour per hum woh hadithein bhi paish kartay hani jo Quran Sharif kay mutabiq hain aur meri wahi ke maariz nahi. Aur doosri haditho ko hum raddi ki tarah phaink dete hain." Pehlay apna jhootay daway ki taeed mein apni zehni kharabi ke baa'is dimaagh mein anay wali kharafaat aur shaitani waswaso ko Kalaam-e-Ilahi ke brabar kaha, Quran ko apna kalaam kaha aur ab jin ahadith se Mirza ki jhooti nabuwwat sabit nahi hoti unhay Raddi ki tarah phaink dene ka iqraar. Mandarja'bala tamaam hawalo ki bunyaad per ye kehna ghalat na hoga ke Mirzaiyoo ka Khuda alag, Nabi alag, Quran alag aur hadith se tu koi lena dena hi nahi. Tu phir ye khud ko musalmaan qaraar dene per kyu tulay hain? Khud ko Qadiani kehlwaiye, Mirza kehlwaiye, Ahmedi kehlwaiye magar Musalman nahi! Musalmaanoo ke Khuda ka kalaam Mirza ke kalaam ki tarah chichoora aur fehesh nahi! Musalmaano ke Khuda ka kalaam be'misl-o-be'nazeer hai, aur waisay hi uss ke Nabi-e-Mua'zzam Huzoor-e-Akram . Musalmaano Quran ko Khuda ka kalaam maantay hain, kisi nafsiyaati Punjabi Sikh numa sar'phiray ki bakwaas ka uss Kalaam-e-Ilahi se koi mawazana nahi. Musalmaan Hadith-e-Nawabi ko Quran-e-Karim ke baad sab se zyada mutabirr aur muhtaram mantay hain aur iss se Mirza ka koi lena dena tu Mirzaiyo ki tu phir baat hi rehnay dein. Umeed hai ke Aamir Malik Qadiani (ye na kahiye ga ke aap Qadiani nahi, jis tarah zaroori nahi ke her Hindu Hindustan mein rehta hon tabhi Hindu kehlaye ga ussi tarah ye bhi zaroori nahi ke her Qadiani Qadian mein rehta ho tabhi Qadiani kehlaye ga) ab ye roona dhoona nahi machaye gay ke Quran-o-Hadith se baat karo. Mazeed baat karne se pehlay ab Aamir Malik ki ye zimay'daari hai ke ya tu woh mandarja'bala hawalajaat ki wazahat kartay howay sabit karein ke woh Quran-e-Karim ko Allah ka kalaam samajh aur Ahadith-e-Nabawi per imaan rakhtay hain. Basoorat-e-deegar inn ko chahiye ke Quran-o-Hadith paish karo ki ratt lagana band karien aur Allah se dua karein ke woh inhay Haqq ko pechan kar usay qubool karne ki toufiq ata farmaye. Aameen Bijahi Nabiyil Ameen
  19. Mirza ka Quran doosra hai! New topic jald hi post karo ga parh lijiye ga. Aur rahi baat ke tafsir ki baat nahi kar rahay tu jawab dijiye ke kyu nahi kar rahay? Tafsir per baat karne mien kyu jaan jaa rahi hai? Mirzai apni marzi ke tarjummay kartay phirein tu woh humaray liye hujjat nahi.
  20. Kya baat hai! Frustration itni barh gai ke "aap" se "tum" per aa gaye aap. Mirzaiyatt ka rung ahista aahista baahir aa raha hai! Aap ye batlaiye ke mein ne kab aur kaha per "aashiq_koun" ki kisi bhi post ka diffa kiya? Khud apnay munh se iqraar kar liya aap ne ke aap kabhi humari post parhne ki zehmat kartay hi nahi. Mera unn topics ka hawala dene ka maqsad ye tha ke yaha hum sunnis ke samnay Qasim Nanotwi waghaira ke hawalay na diya karein aur yeh intibaah aashiq_koun ke liye bhi thi. Aap tehray Mirzai tu zahir hai ultay ko seedhi baat kaha samajh aye gi! Waisay aik baat samajh nahi aati. Jin topics mien aap per mere sawal udhaar hain waha post karne mein jaan jaati hai aap ki aur doosray topics mein aap aisay uchal uchal kar jawab dete hain jaisay taza taza Mirzai khanwaday se baramad howay hon. Quran Hadith chillatay chillatay thaktay nahi aap lekin issi zaman mein mere seedhay se sawal ka jawab dena aap ko bhaari parr raha hai. Yaqeenan iss baar bhi aap iss baat ka koi jawab nahi dein gay balkay phir uchal kood macha kar eik jazbaati taqreer kar ke rafoo'chakar ho jaye gay.
  21. Aamir Malik aap ke paas "bhaija" naam ki koi cheez hai? Maaz'raat magar aap ki dimaaghi halat per mujhay ab shuba honay laga hai. Aap ne daleel ke tour per yaha seena phulla kar Deobandi Qasim Nanotwi ki "Tehzeer-un-Naas" ka hawala de diya. Aap ko maloom bhi hai ke aap jis per forum per baat karne aye hain unn ka Qasim Nanotwi balkay poori deobandi jamat ke baray mein kya mouqiff hai? Aap ke liye issi forum ke kuch puranay topics ka link de raha hon, khudara inhay sirf dekhiye ga matt, parhiye ga! http://www.islamimehfil.info/Deobandi-aur-...READ-t3366.html (Parhiye nuqta 5) http://www.islamimehfil.info/Tehzeer-un-Na...aqub-t2655.html Agar ye topics parh kar bhi aap ko baat samajh naa aye tu asaan alfaaz mein bayan kiye deta hon. Qasim Nanotwi, musanniff Tehzeer-un-Naas per humaray ulema ki taraf se KUFR ka fatwa hai. Aik jhootay ko sacha sabit karne ke liye doosray jhootay ka hawala na'qabil-e-qubool hai.
  22. Aap ka masla yehi hai ke aap apni kahay jatay hain samnay walay ki suntay hi nahi. Aap apnay dil per haath rakh kar bataiye ke aap ne abhi tak mere aik basic sawal ka jawab diya? Mein aap se baar'ha pooch chuka ke janab Quran-o-Hadith ki tafasir-o-sharah mein kis ko aap mutabirr maantay hain? Iss seedhay se sawal ka jawab aap dete nahi aur phir takraar kartay hain ke Quran-o-Hadith se baat karo. Janab thora thanday dil se mere sawal per ghour kijiye. Jab tak aap ye nahi bataye gay ke aap ke nazdeek kaun si tafasir aur shurohaat mutabirr hain, dalail ka taiyunn kaisay hoga? Maslan kisi maslay per aap aik Qurani ayat paish karein aur kisi qadiani ya xyz kisi ki bhi tafsir paish karein jo humaray nazeek ghair'mutabirr ho to bataiye ke kya hum per woh hujjat hogi? Issi tarah mein agar aap ko humaray akabireen ki tafasir aur shurohaat paish karo ga tu aap ye keh kar radd kar dein gay ye tu aap ke apnay mullao ki tafasir hain. Tu janab dalail woh qabil-e-qubool hotay hain jo fareeq-e-mukhalif ke liye bhi mutabirr hon. Mein ya koi bhi doosra agar Mirza ki kitabo se hawala deta hai tu aap per uss ko maanna lazim hai! Kyu ke aap Mirza ko, uss ki kitabo ko mutabirr samajhtay hain. Agar nahi samajhtay tu aik baar khul kar bata dijiye ke aap Mirza ki kitabo ko qabil-e-aitebaar nahi samajhtay. Hum uss se hawalay dena band kar dein gay. Rahi baat Mirza ki kitabo se hawala paish kartay waqt tehreef ka dawa, tu issay sabit karna tu aap ki zimay'daari hai. Humaray akabireen ki kutb se hawala paish kartay howay deobandi/wahabi aksar tehreef kartay hain tu hum jawaban sirf itna tu nahi kehtay ke "Tehreef kardi". Hum uss tehreef ko hawalo ke saath sabit kartay hain ke janab ye thi asal ibarat ya mouqiff aur iss iss tarah tehreef kar ke maani badlay gaye. Aap ko agar lagta hai ke Mirza ki kitabo se hawalay dete waqt hum tehreef kar rahay hain tu aap apnay hi Nabi ke diffa mein uss tehreef ka parda chaak kar ke humari islaah karne se kyu ghabratay hain? Ab mein iss mamlay per Mirza ki kutb se hawalay don ga tu aap bajaye jawab dene ke sirf yeh kar baat khatam kar dein gay ke "Tehreef ki hai". Kahiye aap ke Mirza ki khud'sakhta shariat ki jhalkiya dikhao? Mirza ki kitabo mein jageh jageh aisay usool moujod hain jo Shariat-e-Muhammadi mien moujod nahi. Dekh lijiye, ab aap ne wada bhi kar liya. Mere sawalaat pehlay hi aap per udhaar hain. Pehlay wada nibhatay howay sirf unhi ka jawab de dijiye. Aur jaha tak baat hai tehqeeq ki tu aap ne kya tehqeeq karli Mirza per? Tehqeeq ke liye lazim hai ke aap mukhalif ka mouqiff bhi janay. Aap ne kabhi ye zehmat ki? Aap ko tu Mirza ki Khazain ka hawala bhi deta hon tu aap jawab dene se katraatay hain. Mirza ki Khazain aur deegar books aap hi ki official website per dastiyaab hain. www.alislam.org. Aap ko bus yehi samajh dawa kartay hain ke hum Mirza ke mukhaliff ulema ki kitabo se hawala parh kar naql kar rahain hain. Iss zaman mein Allah ki qasam kha kar kehta hon ke Mirza ke baray mukhalif ulema ki kitabo mein jo hawalay hain unn mein se beshtar mein ne khud aap ki official website per moujod kutb se tasdeeq ke baad yaha post kiye hain. Aap ko yaqeen nahi tu bataiye mein uss kitab ka link, page number waghaira sab bataye deta hon. Janab mubahissa ka ye usool nahi hota ke aap sawaal kartay jaye aur agla jawab deta jaye. Ab tak aap ke kaafi sawalo ka jawab hum dete aye aur iss ka jawab bhi zaroor dein gay lekin pehlay humaray kuch sawalaat ka jawab bhi dein takay baat agay barhanay mein asaani ho. Mein aap ke issi sawal ka jawab agar Qurani ayat se bhi deta hon aur tafasir paish karta hon tu iss baat ki kiya zamanat ke aap unn tafasir ko mutabirr samajh kar qubool karein gay? Issi liye mein aap se baar'ha pooch chuka ke iss zaman mein kuch irshad farmain magar her baar aap ne iss seedhay se sawal ko nazar'andaaz hi kya hai. Umeed karta hon iss baar aap ko baat samajh aa jaye gi aur jawab dein gay.
  23. Aap iss waqt itnay be'hawaas ho chukay hain ke khud aap ko nahi maloom ke kya bakay jaa rahay hain. Pehlay apni ki howi post dekhiye aur phir aankhein khool kar mera reply parhiye. Afyooni Mirza ki poori ummat afyooni ho chuki hai kya? Sirf kitab ka naam likh dena hawala kehlata hai? Mein ne Baha'is ki official website se saray references diye hain. Agar aap wald-e-halaal hain tu sabit karein ke mera reference ghalat hai. Aur "Kitab-e-Aqdas" ka hawala dena hai tu tafseeli hawala dijiye, ye sirf naam bata ka race honay wala mamla Mirzaiyatt ke cheetharoo ki paiwand'karo nahi kar sakay ga. Sunnat-e-Mustafa ye hai ke Momin apas mein bhai bhai hain. Aap khud ko momin sabit tu kijiye phir mujhay bhai kahiye ga. Rahi baat ikhlaaq ki tu aap bhai na kehtay howay bhi ikhlaaq ka daman thamay reh saktay hain. Mazeed ye ke jo hazraat qadianiyat per imaan nahi laye unn ke baray aap ka Mirza kis qism ki zaban istimaal karta tha uss ka namoonay dekhna hai tu bataiye. Mein pehlay bhi aap ko challenge kar chuka ke agar aap wald-e-halaal hain (jis per mujhay ab shuba sa hone laga hai kyu ke mere 2 baar kehnay ke bawajood bhi aap ne challenge na accept kya na jawab diya) sabit kar dijiye ke mera "data" kahi se bhi copy+pate kiya gaya hai. Aray kya Mirzaiyoo mein koi aik bhi halaal ki aulaad nahi? Aap yaqeenan Mirza ki banai howi afyooni dawai ke zair-e-asar hain! Awwal tu aap sirf ilzaam laga saktay hain ke mein ne kisi website se kuch copy+pate kiya hai, sabit karna aap ke kya aap ki poori nasal ke buss mein nahi ke mein ne kuch copy+paste kiya hai. Mere baar baar kehnay ke bawajood aap mein itni himmat aur ghairat nahi ki apnay ilzaam ko sabit karne ke liye koi 1 hawala dein aur ye Mirzaiyoo ki khaslat hai. Jin ka ustaad jhoota kazzab uss ke shagirdo ko tu aisa hi hona hai. Aap ko bhi kya Mirza ke khud'sakhta farishtay Techi Techi ne Pitti Pitti Gai keh kar khabar di hai ke www.ahmedi.org humari website hai? Chalo ye bhi choriye, aap ke bus ka kaam nahi ye bhi. Sirf itna bata dijiye ke mein ne kab aur kaha per www.ahmedi.org ko qadianiyo ki official website kaha. Aray Mirzai mein www.alislam.org ki baat kar raha tha. Pehle link iss liye nahi dya ke iss forum per ghair-sunni websites ke link post karna allow nahi but aap ki Mirzai aqal mein koi baat ghussay tab na! Scans agar ghalat hain tu bataiye. Matlab qadianiyo mein koi mard-e-maidaan nahi jo apni kahi howi baat ka saboot bhi paish kar de? Kya Mirzay ne apnay peechay saray Mini-Mirza hi chooray hain? Bara jhoota choor mara chootay jhootay wala maamla hai kya? Scans? Kaha hain scans? Aap ki post per editing bhi khud aap hi ki nazar aarahi hai so ye bhi nahi ho sakta ke kisi Moderator ne scans delete kar diye hon post se. Shayad Mirza ki tarah aap ko bhi hysteria honay laga hai. Khair koi nahi, dobara se post kar dijiye scans. Tuff hai aisi bay'ghairti per! Mere kisi sawal ka jawab dene ki toufiq aap ko nahi aur mujhi per buhtaan ke mein chaal chal raha hon. Ab tak koi 3-4 baar aap se pooch chuka ke miya Quran-o-Hadith se baat karni hai tu pehlay ye tu batao ke Quran ki kis tafsir ko maantay ho? hadith ki kis sharah ko mantay ho? Jawab dene mein khud ki dhooti qadian ki taraf ko urri jaati hai aur ilzaam mujh per laga rahay hain. Aur ye gharailo kahaniya ghar walo ko sunaiye ga, kyu ke agar baat niklay gi tu phir door talak jaye gi ke misdaaq agar baat personal experiences per aa gai tu mein qadiani gharo mein beti ka apnay hi maa baap ki hum'bistiri ke manazir dekh kar "lutf andooz" hone ka ihwaal bhi likh do ga, jis ko aap manay gay nahi aur mein saboot de nahi sako ga. So aisi batoo se perhaiz kijiye ke jin ka saboot dena aap ke bus mein nahi. Personal experiences ko andaroon-e-khana discuss kiya karein. Iss mamlay mein sach kya jhoot kiya iss per mera taqraar karna be'tukki si baat hogi ke ye bhi aap ka personal experience hai. Lekin aap ke liye munh toor jawab sirf itna hai ke Jamia Ashrafia Lahore Deobandio ka idara hai jinhay hum Ahle'Sunnat wa a'Jamat batil firqa mantay hain ke iss najdi toolay ke baray mullao ne aap ke Mirza ke liye jhooti nabuwatt ka raasta khoola aur uss ka hawala aap khud apni post mein de chukay hain. Keyword = Qasim Nanotwi... kuch yaad aya? Kaha hai woh challenge? Zara humein bhi nazara karwaiye ya woh challenge sirf qadiani zanaan'khaano mein hi dikhaya jata hai? Jaldi se woh challenge yaha post kijiye aur ye bhi bataiye ke Mirza ke marne ke baad ab kaun iss challenge ko paish kar raha hai? Mirza Masroor ya koi aur? Jawab ka intizaar rahay ga! (aur shayad sirf intizaar hi rahay ga!) Jo challenge waha diya woh zara mukhtasir tareeqay se yaha bhi naql kar dein. Uss topic mein tu aap ne Qadianiyo ki website se articles utha kar paste kar diya hai. Mazeed ye ke challenge aap ne Khalil Bhai ko kiya hai ya mujhay? Chaliye chooriye jisay bhi kiya ho, kiya tu Sunni ko hi hai, so jawab tu munh toor milay ga InshAllah. Aap ko challenge ke jawab ki zyada jaldi tu yaha mukhtasiran hi likh dijiye dobara. Waisay usooli tour per tu pehlay aap ko mere challenge ka jawab dena chahiye ke challenge aap ko pehlay mein ne dya. Khair ye tu usooli baat thi jis se aap shayad waqif hi nahi. Beher'haal aap ki na'waaqfiyat koi uzr nahi iss liye pehlay tu mere challenge ka koi sensible jawab dijiye phir aap ki baari bhi aye gi. Jitnay chahein jawab talb kar lijiye ga.
  24. Meri taraf se aap ko khulla challenge! Agar aap wald-e-halaal hain tu meri post ko copy+paste sabit kar dijiye. Kaun si takzeeb kaha ki takzeeb? Koi hawala jhoota hai tu saboot paish kar ke ussay jhoota sabit kijiye, ba'soorat-e-deegar aap ke ye Mirza ki bewa ban kar wa'wayla karna be'sud rahay ga. Bilkul haqq kaha aap ne. Allah jin ke dilo per qufl laga deta hai un ke dil mein imaan kabhi ghar kar hi nahi sakta aur iss ki zinda misaal aap hain. Nangnay mailay Mirza ka ihwaal mein ne mukhalifeen ki kitaboo se nahi balkay Qadianis ki worldwide official website ki library mein moujod kitabo se hi scans diye hain. Aik baar mil kar khaiye mere saath, balkay poora forum mil kar kahay... LAANATULLAHE AL'AL KAZIBEEN Kya haankay jaa rahay hain? Kis website ka reference de diya mein ne? Mirza ki tarah kahi aap bhi afyooni tu nahi ban gaye ya "Tonic Wine" pee kar aye hain?! Pehli line mein aap samait poori Mirzaiyat mera khulla challenge.. agar wald-e-halaal ho tu aoo sabit karo ke meri post mein kuch copy+pate kiya hai mein ne. Scans pages ka hawala dena copy+paste nahi kehlata kyu ke hawala ba'her soorat waisay hi paish kiya jata hai jaisa ke haqeeqat mein ho aur iss ke liye scan image se behtar hall koi nahi. Aap debate ki baat kartay hain.. aray chooriye seedha mubahilay per aaiye. Kahiye hum dum aap mein ya aap ke Mirza Masroor mein? Aap ki Mirzai mantak per ab mujhe hansi aa rahi hai. Pehlay mere mutalliq Allah ke dilo per qufl laganay ki baatein kar rahein hain aur ab mere liye hidayat ki dua kar rahein hain. Poora ghan'chakkar bana diya hai Mirzaiyatt ne aap ko. Bahir aaiye iss confusion se aur bataiye ke ye jantay howay bhi ke dil per Allah ne qufl laga diya hai, aisay shakhs ke liye hidayat ki dua karna kaisa hai? Apni bay'bassi ka aalam dekhiye ke aap ke pass Mirza ko bachanay ke liye sirf aur sirf aik hi harba bacha hai aur woh ye ke Cheekh-o-pukaar kar ke, haye haye ki duhaaiya de kar, her baat ko jhoota aur tehreef qaraar de raah-e-faraar ikhtiyaar kar li jaye.
×
×
  • Create New...