-
کل پوسٹس
628 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
46
سب کچھ Sybarite نے پوسٹ کیا
-
mufti e aazam hind ki kitab per aetraz ka jawab
Sybarite replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Now thats impressive Khalil Bhai! Allah aap ko Jazaye'Khair ata farmaye! -
Yaar Asif Bhai.. baray arsay se dil kar raha hai ke Thanvi ke nangay pungay tootko per alehda thread banao... but masla ye hai ke yaha apni behnay bhi hain.. aur hawalay aisay hain ke khawateen tu khawateen mardo ko bhi sharm aa jaye.. kya karo mashwara dijiye... Amaal-e-Qurani haath lagi hai Thanvi ki...
-
Molvi Tariq Jameel Ki Wife Key Zaiveraat Chori
Sybarite replied to Faraz Madani's topic in فتنہ وہابی دیوبندی
Koi nai baat nahi...humein maloom hai ke aap ka kawwa sufaid hai. Agar Tariq Jameel sahab itnay hi nadaan hai tu Waaz-o-Tabligh kyu kar rahay hain? Unhay tu khud masail samajhnay ki zaroorat huwi! Waisay Tariq Jameel sahab koi paye ke Alim bhi nahi aur Ghair Alim per waaz karna haram hai kyu aisi Tariq Jameel jaisay kisi naam’nihad alim na awaam ke beech apnay waaz mein koi aisi baat kardi jo Shara’ee tour per ghalat ho to awaam yani masses per uss ka effect hoga. So conclusion ye ke Tariq Jameel Nadaan ko waaz-o-tabligh ka haqq hi nahi ... aaj ye nadani ki hai kal kuch aur karein gay phir kuch aur tu phir waaz-o-tabligh se behtar tu pehlay khud ki islaah karein. Pehlay apni zaban ko phisalnay se bachaye phir waaz ke liye munh khoolein. Phir mazeed ye ke Tariq Jameel ki iss bhoondi aur gustakhana dua mein sirf Mujassim ka masla nahi aur bhi kaee baatein hain. Matlab Allah ko iss tarah mukhatib karna ke “Aur ab ye ailaan kar de ke mein Aaraha hon.. tu keh de mein Aaraha hon..” “Tu aaja bari dair ho gai hai... tu aja bari dair ho gai...” Allah ko apnay paas bula rahay hain aur woh bhi is andaaz mein ke “Aajaa! Aajana...bari dair ho gai...” matlab ke Allah nay Tariq Jameel ke paas anay mein dair kardi hai! (Naql-e-kufr, kufr na’bashid) “Hum tujhay bulanay aye hain.. bacha maar khaa ke abba ko bulanay jata hai... hum bhi pitt ke tujhay bulanay aye hain..” Bacha ki misaal dete hain tu kal jaisay bachay apnay abba ki good mein charh jata hai waisay hi aap ke Tariq Jameel sahab Allah ki good mein bethnay ki zidd karein gay.. (Naql-e-kufr, kufr na’bashid) “Aaja! Aajana! Tu aajana mera moula” “Hum rootay dhootay... hum loot poot hotay .. tere aagay peechay Ya Allah hum shoor machatay..” Allah ki bargaah mein ye Tariq Jameel shoor machanay ke mood mein hai... adab se sarr jhukanay ka maqam waha ye kuttay billiyo ki tarah loot poot hongay! “Aaana! Aaana ...humaray zakhmo per marham rakhnaa...” Allah ko pukaar kar keh rahay hain ke aana.. humaray zakhmo per marham rakhnay... issi majmay mein koi Tariq Jameel se ye keh deta ke “Aana.. meri naak beh rahi hai saaf kar de” tu loog jootay martay ussay ke kya bakwaas kar rahay ho.. itnay baray alim se aisay mukhatib hotay hain... Bibi Indian movie nahi chal rahi! Allah se mukhatib honay ke bhi adaab hain. Apnay susar se baat kartay waqt tu saray ikhlaaqi taqazay nazar mein rakhtay hon gay Tariq Jameel sahab magar jaha Allah se dua karne ki baat aiee tu na adab ka khayal na lehjay ka! Bibi ye baatein jaa kar Lashkar-e-Jhangvi aur naam’nihad Sipah-e-Sahaba walo ko bataiye. Alhumdulillah hum sunniyo mein ye tashadudd’pasandi nahi hai. Ye tu aap hi ke chaheetay deobandi hain jo apnay Mufti ke marnay per Banks jala dete hain... jo muslims ki hi motorcycles cars cheen kar jala dete hain. Aap ko shayad maloom nahi lekin Nishter Park Blast ke peechay bhi Lashkar-e-Jhangvi ke hi loog thay.. kahein tu poori akhbari report dikha don? So ye “hun hun” inn apnay Jhangvi bhaiyoo ke munh per jaa kar kijiye.. yaha naak bhoo charhanay se kuch hasil nahi hona! Nadan hain tu Wali Allah kahay ke? Mana ke Wali Allah masoom nahi hotay magar “nadaan” tu hargizz nahi hotay. Aap pehlay lughatt mein “Nadaan” ke manai talaash kijiye pehlay. Mein kuch synonyms likhay deta hon lafz “nadan” ke... نادان ۔ بے وقوف جاہِل ۔ ناتَجَربہ کار Aap ne pehlay kaha tha ke aap Islamic Studies ki student hain. Kya parh rahi hain aap waisay.. I mean what are your majors? Islamic Studies parh rahi hain aur daleel ki ihmiyaat ka pata nahi. Jo scan pages aap ko dikhaye gaye thay woh daleel ke tour per dikhaye gaye thay. Khair aap ki samajh se bala’tar mamlaat hain ye. Aap kehti hain ke zaroori tu nahi ke Tariq Jameel in kitabo ko mantay hon.. lekin Bibi kitab ke likhnay walo ko mantay hain. Unhi ke shagird hain.. Chaliye agar Tariq Jameel ka aqeeda sach mein aisa nahi tu kabhi Tariq Jameel ko toufiq huwi ke inn ghalat batoo ka radd karay apni taqreer mein? Agar nahi tu kyu nahi? Ghalat baat ko ghalat kehnay mein kis baat ka darr.. kis baat ki sharm? Aap ke tablighi jamat walay yehi kehtay hain na ke hum tu nabiyo wala kaam kar rahay hain.. tu bataiye aisa kaun sa Nabi guzra jis ne burai ki mazammat nahi ki khul kar? Huzoor Sarwar-e-Konain ne kya buraiyoo aur ghalat kamo ka bayan nahi kiya Sahaba ke samnay takay unn per masla wazeh ho aur woh unn buraiyoo se bachain? Sach tu ye hai ke Tariq Jameel islam ka muballigh nahi Deobandism ka muballigh hai. Khud Tablighi Jamat ke founder ka apna qoul hai ke “dil chahta hai ke Tabligh Thanvi ki taleem ki ho aur Tareeqa mera” Aur yehi ho raha hai! ur han ye special website kholne ki kia tuk hai un ko ur un ki wife ko. Bibi aap Gulf ke kaun se sehra mein khaima lagai birbira rahi hain? Kaun si “website” bana di humnein Tariq Jameel ki wife per? Sirf aik forum per thread banaya hai aur blog per post! Isay aap website kehti hain? Rahi baat Dr. Tahir ki tu thora iss forum ko search kijiye aisay logo ka alag section mil jaye ga aap ko “Sullah-e-Kulliyat” ke naam se. So iss tarah ke bhoonday aiteraaz karnay se pehlay aqal se kaam lijiye. Iss mein sharm ki kaun si baat hain? Hum ne kaun sa Tariq Jamil ki biwi ki tasaweer chaap dien? Parlour woh khud gaie.. aur sharm humein aye! Jamisa Hafsa mein danday laathiya liye aap ki deobandi auratein uchal kood machaye aur sharm humein aye... aap ka Jihad Jihad karne wala mulla burqa pehn kar bhagay aur sharm humein aye? Wah re deobandiyo! Imaan tu gaya hi gaya aqal bhi saath hi chal di tumhari... Aap jisay English mein “Lord” keh rahi hain usay Tariq Jamil ke gaoo Mian Chunnu mein “Zameendar” kehtay hain. Aur zahir hai petro-dollar per palnay walo ke paas paisa nahi hoga tu kis ke paas hoga! Aur ye bekaar ka roona band kijiye, hum ne ye aiteraaz kiya hi kab ke Tariq Jamil ne apni biwi ko soonay ke zewaraat kyu pehna diye.. humari bala se pora ka pora soonay ka pani charha de! Jis baat per aiteraaz hai uss per tu aap ki bolti band hai.. aur idher udher baat ko ghuma kar bhaagnay ka raasta bana rahi hain ab. Chaliye finally aap ne apna asli chehra dikha hi dya. Rasool se bughz ka mein itnay andhay ho gaye hain deobandi ke baat kuch ho, Rasool ki shaan mein kami karna nahi bholtay. Yaha iss topic mein Hayat-un-Nabi aur Hazir-o-Nazir ke issue per koi baat nahi huwi, iss ke ba’wajood Shan-e-Muhammad se jalnay walo ne bakwaas ki! Bibi aap ne apnay maslak ke lootay honay per muhrr laga di hai! Issi forum per aap hi ka deobandi bhai cheekh cheekh kar keh raha hai ke Huzoor-e-Pur Noor hayat hain.. ZINDA HAIN! Links mein Khadim-e-Deoband ki posts check kar lijiye ga... ديوبند کا عقيده هے تمام انبياء اپني قبروں ميں زنده هيں http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=5461&st=20# Aap logo ko apnay aqaid ka hi nahi pata abhi.. aur karnay niklay hain Tabligh! -
Molvi Tariq Jameel Ki Wife Key Zaiveraat Chori
Sybarite replied to Faraz Madani's topic in فتنہ وہابی دیوبندی
Waisay jawabaat deegar bhaiyoo ne diye hain phir kuch batein kam si lagi; Khatoon aap ne pora topic parha ya deobandi khaslat ki mutabiq sirf sar'sari nazar daal kar apni kehnay beth gaiee? Issi thread mein ussi Deobandi maslak ke aik fatway ki scan bhi moujoud hai jisay Tariq Jamil follow kartay hain. Tu sab se pehla doghla'pana tu ye ke khud hi apnay maslak ka parchaar karna aur phir khud hi uss per amal na karna. Iss khaslat ko munafiqat kehtay hain. Alhumdulillah! Bilkul tamaam ghair'shara'ee kaamo se rooktay hain. Munafiqat nahi kartay ke pehlay fatwa dein ke "Beauty Parlour jana se ihtiraaz kiya jaye" aur phir khud hi Biwiyoo ko rang ba'rangi banwanay ke liye bhaij dein. Aur ye gire'baa ki baatein na kijiye, aap behr'haal khatoon hain warna aap ko deobandi gire'baano ki kuch jhalkiya dikhlata. Bibi humein mashwara dene se pehlay aap ye mashwara Ulema-e-Deoband ko dijiye kyu ke khud Ulema-e-Deoband apnay fatawa'jaat mein kitaboo mein yehi istilahaat istimaal karte hain jisay aap bidat keh rahi hain. Waisay aap ko zaroorat tu ye bhi hai ke aap sab se pehlay tu "Bid'at" ke mafhoom maloom kijiye. Lateefah tu ye ke aap ko maloom bhi nahi aur aap khud apnay munh aap "bid'ati" ban gaee. Aap zara pehlay lafz "Musalmaan" tu dhoond kar bata dijiye Quran-o-Hadith mein. Quran-o-Hadith mein lafz "Muslimeen" milay ga... jis se derive ho kar Urdu mein nikla "Musalman". Ab ye na kahiye ke mein zaban pakar raha hon kyu ke ye formula khud aap ka hi bayan karda hai. Phir mazeed ye ke Hadith mein tu 72 (73) firqo ka zikr hai.. aap ne shayad parha hi hoga, (nahi parha tu bata dijiye woh hadith bhi paish kar di jaye gi) Tu phir unn batil firqo ko aap kis naam se pukarein gien? Unhay bhi "Musalmaan" kahein gi? Quran-o-Hadith mein sachay pakkay imaan walo ko jin ke aqaid durust hon unhay "Muslimeen" kaha gaya hai na'ke her uss shakhs ko jo dil mein batil aqaid liye khud ko Musalmaan kehta ho. Iss hadith ki tafseel parhni ho tu Imam Abu Mansoor Abdul Qahir bin Tahir Tamimi ki “Hujjat’ullah al-Aalameen fi Mujizaati Syed il’ Mursaleen” jis mein aap ko iss hadith ki kafi tafseel mil jaye gi. Phir mazeed lutf ye ke jo Deobandi “Raafzi Raafzi” chillatay nahi thaktay unn ke baray mein aap ka kya khayal hai? Woh saray bhi bid’ati huway ya nahi? Khair baat niklay gi tu phir durr talak jaye gi... aap filhaal inhi ka jawab de dijiye bohut hoga. Aap pehlay tu lafz “Moulvi” ki tareef bataiye phir uss ki hurmat bayan kijiye. Waisay jo keechar mein utraa khud keechar ko ganda kar raha hon uss per keechar uchaalnay walay hum kaun hotay hain! Ab unn ki biwi gai thi iss liye likha hai ab jaye Tariq Jameel ki biwi aur likho mein apni biwi ka aisa tu ho nahi sakta naa. Humaray moulvi ka iss liye nahi likha woh lootay ki gulaathiya nahi martay. Humaray Ulema tu becharay baray saday se hain.. na unhay Nawaz Sharif jaisay maaldaar choor imdaad dete hain na unn ke paas itna fuzool paisa hota hai ke apni biwiyo ko beauty parlour bhaijein. Phir bhi aap ke paas aisi koi news ho tu share zaroor kijiye ga. Politics! Matlab aaj subha hi lateefo se ho rahi hai. Yaqeen jaaniye Tariq Jameel ka naam waisay bhi sirf jahil aur un’parh tabqay mein hi hai. Ihl-e-Ilm mein loog mein in per hanstay hain. Khair ye apni apni suhbat ki baat hai. Lekin aap ne janay an’janay mein ye tu maan hi liya ke Tariq Jamil ki bhi aik specific “Islamic Party” hai... ab ye bataiye ke “Islamic Party” ka concept kya hai.. bid’at hai ya kuch aur? Humein wahabiyatt ka jitna maloom hai usay chooriye aap bataiye ke “wahabiyat” kya hai. Baat ko ghumaiye ga matt... poori tafseel aur dalail ke saath bataiye ab ke wahabiyatt kya hai. Phir aap kehti hai ke Tariq Jameel ne kabhi nahi kaha ke I trust on it .. bla bla bla.... Tu bibi ye bataiye ke itnay baray naam’nihad muballigh ki kya ye zimay’daari nahi ke awaam mein aisay masail wazeh karay. Kya kabhi Tariq Jameel nay khull kar aisay ghalat aqeedo ke radd mein kuch kaha? Agar nahi tu kyu? Kya itnay baray naam’nihaad muballigh ki ye zimay’daari nahi ke woh awaam ko aisay ghalat aqeedo se bachnay ki talqeen kare? Burai se bachana bhi tabligh ka hissa hai bibi! Loo! Achay khaasi chalta karo’baar band karwana hai aap ne? Bibi Tariq Jameel tu Tablighi Jamat ke founder ki bhi bohut sari baatein nahi batatay! Unhay pata hai ke public jootay maray gi. Ye tu sara hi businees hi jhoot per hai iss mein agar sach bol dya tu phir tu sara khail hi khatam ho jaye ga. Ye jo becharay seedhay saadhay loog jinhay masail ka pata nahi, Tariq Jameel ki zahiri halat dekh kar ussay naik samajh kar peechay peechay chal partay hain unn ke samnay agar Tariq Jameel ne apni asliyatt khol di tu phir bachay ga hi kya? 1 din mein “The-bug-League” jootay khati huwi Pakistan se rukhsat ho jaye gi... Bari khoobsurti se aap ne deobandiyo ki riwayti munafiqat ka muzahira kartay huway sabit kar diye ke munafiqat aap logo ki nass nass mein sarahiyatt kar chuki hai! “ap jase brilvii log” ... “saudi ullama” ... “hamre salfi bhaioo” Bibi aap ko nahi lagta aap bari jaldi apni woh “Musalmaan” wali baat bhol gai? Kaha gai aap ki musalmaaniyat ab? Matlab saray fatway doosro per thoopnay ke liye apnay ghar mein haraam bhi halal! Aik qoul aksar suna hai ke Allah gumraho ko unhi ki zaban se zaleel karwata hai... Baqi rahi baat Saudia Arabia ki, tu bibi aap ke shayad ilm mein nahi magar Tableeghi Jamat Saudia mein officially BAN hai. Thori tehqeeq kar lijiye phir itni oonchi uraan uriye ga. Aap manay gi tu nahi tu phir aik kaam kijiye, mujhay Saudia Arabia mein Tablighi Jamat walo ka koi aik centre bata dijiye jaha se woh apnay typical style mein tabligh kartay hon. Aap ke aik liye keemti mashwara hai ke jis mouzo per baat kar rahi ho pehlay uss per thori tehqeeq kiya karein warna sari zindagi aisay hi apna tamasha banwati rahein gi. Bilkul sahi kaha aap ne, Ulema-e-Hijaz bilkul unn gumrah’kun kitabo ke likhnay walo ko jantay hain aur unn per kufr ka fatwa bhi de chukay hain. Tafseel aap ko Hassam-ul-Harmayn mein mil jaye gi. “agara ap akhain gay k arabic ka galat aqeeda hai” Ye bhi lateefah bhi sahi raha... Sach kehtay hain ke common sense is really not so common these days. Arab is woh iss liye kehlatay hain ke jazeera-e-arab ke bashinday hain.. her Arab Wahabi nahi! So hum Arabs ko ghalat nahi kehtay hain Wahabiyo ko ghalat kehtay hain. Rahi baat Kaaba’tullah ki Imamat ka sawal tu bibi Islamic history kabhi ghalti se bhi parhi hai aap ne? Zamana-e-Jahaliyat mein tu Khana-e-Kaaba mein butt bhi rakhay jatay thay! Tab woh kya Allah unhay rooknay per qadir na tha (Naql-e-kufr, kufr na’bashid) Aap ke nazdeek tu woh butt’parast bhi achay aqaid walay huway kyu ke Allah ne unhay woh butt rakhnay diye thay..Ya aap ke hisaab se uss waqt Allah koi aur tha? (Naql-e-kufr, kufr na’bashid) Yazid ne tu Masjid-e-Nabawi mein ghooray bhi bandhay thay? Woh bhi aap ke nazdeek Ameer-ul-Momineen hoga phir tu! Tuff hai aisi koorh’maghzi per! Kyu baghair tehqeeq inn masail mein ulajh kar apni dunya-o-aakhirat barbaad karne per tulli huwi hain? Itna shouq hai tu pehlay kuch tehqeeq kijiye phir zaroor baat kijiye in mamlaat per. Aap pehlay tu ye bataiye aap khud kya hain? Deobandi ya naam’nihad Salafi? Kyu ke deobandiyo ka fatwa hai ke Ghair’muqallid naam’nihad Salafi ghalat hain aur inn naam’nihad Salafiyo ka fatwa hai ke Deobandi ghalat hain. Aap zara himmat kar ke apna maslak tu wazeh karein pehlay. Aur humien mashwara dene ka shukriya lekin guzarish hai ke aap bhi zara apni keemti raye share karein ke Wahabi kinhay kaha jata hai, kyu kaha jata hai.. phir mein aap ko khud aap ke Salafiyo aur Deobandiyo ki kitabo se batao ga ke Wahabi kisay kehtay hain. Mere khayaal se fil’waqt itna hi kaafi hai, baqi baatein aap ke jawab ke baad. Aur jawab dete yaad se tamaam bato ka jawab dijiye ga, ya nahi ke jis ka jawab mila de diya jis ka nahi mila usay kawwa qorma samajh ke nigal liya! Aakhir mein aik guzarish ke iss post ko sirf 1 baar neutral ho kar parhiye ga na ke ye soch kar ke aik Barelwi ki baatein hain! Mera andaz-e-guftugo bhi talakh hai iss liye shayad aap ko bura laga ho lekin batil’paristo ke liye humaray yaha koi ria’yat nahi. Aap agar yaha tehqeeq ya islah ki gharz se baat kar rahi hoti tu mera andaaz mukhtalif hota lekin aap yaha bad’mazhabo ki safai paish kar rahi hain so andaz mukhtalif hai. Phir bhi personal level per agar koi baat buri lagi ho tu maaz’ratt lekin sirf personal level per! Baqi haqq baat kehnay mein koi aar nahi. -
Ghaliban meri baat kar rahe hain aap... banday ko Ehmad Ghaxnavi kehtay hain.. rahi baat bacha honay ki tu janab yaha aap apni hamsheera ka rishta lay ke tu aye nahi jo meri ya kisi umar ki parwah karein... waisay banday ki umar 27 saal hai... ab bhi agar aap ke nazdeek bacha huwa tu matlab aap phir umar'raseeda huway.. agar aisa hai tu bata dijiye takay mein thora halka haath rakho... Ab aap ye chichoor'panay karein gay? Beta munna ... hah... Deobandiyo mein lacharr'panay ke ilawa kuch aur hai bhi nahi..khair aap ho aiye Loota tour se.. hum tu yahee hain... Ab agli baar munh khoolnay se pehlay yaad rakhiye ga ke pichli kaafi baatein hain meri post mein jin ka jawab diye baghair aap ne be'parr ki haankna shuru kardi.. so ab ki baar unn tamaam batoo ka jawab ma'aa dalail dijiye warna be'parr ki bakwaas yaha na kijiye ga.
-
Sahi dumm per paoo para hai Aiye miya aap ko kawwo ka bhi taste karwatay hain...Pehlay tu mein scan paish kardo takay aap ko scan dekhnay ke liye baar baar doosray topic mein na janay paray. Ab tum bekaar ke raag na alaapo iss liye sawal ba'maa Gangohi ke jawab ke likh bhi raha hon. Sawal: Jis jageh Zagh-e-Maroofa ko aksar haraam jantay hon aur khanay walay ko bura kehtay hon tu aisi jageh uss kawway khanay walay ko kuch sawab hoga ta ba sawab hoga na azaab? Jawab: Sawab Hoga Zagh-e-Maroofa, matlab mashoor ya maroof yani aam common kawwa jis ka rang bikul deobandiyo ke dil ki tarah hota hai.. kala! Tu janab yaha tu aap ke "Qutb-e-Rabbani" jin ke thay Nanotwi "Rafeeq-e-Jani" unho ne iss aam common kalay kawway ko jo halal haram murdaar sab khaa jata hai usay hi na'sirf halaal qaraar diya hai balkay yaha tak keh dya ke "Sawab hoga". Ajeeb-o-ghareeb kawwa mantak hai deobandiyo ki! Sunni halwa khaye tu inhay mirchi lag jati hai, becharay halaal halway ke ijza mein koi haraam cheez nahi hoti usay biddat kehtay thaktay nahi inke bhookay nangay muftay..aur Kawwa khanay mein halal-o-haram choor "Sawab" ka fatwa! Aur jawab ki madd koi daleel nahi, na fiqh sa istadlaal na hadith se. Jawab dekhiye sirf 2 alfaaz ka ke "Sawab Hoga" aur hum se ye takkay takkay deobandi dalail ka mutaliba kartay hain. Janab jaiye Gangohi ki qabar per aur laat maar kar pehlay "sawab" honay per dalail laiye, halal-o-haram ko tu phir baad mein dekhtay hain. Mazeed ye janna bhi zaroori hai ke agar Sawab hai tu aaj kal ke deobandi iss sawab se kyu mehroom hain? Ye jo aap ki chaapa'maar "The-bug-League" Jamat idher udher loota/bistar liye ghoomti rehti hai uss ke liye tu bari asaani honi chahiye ke agar kisi door daraaz ilaqay mein tashkeel ho gai tu masla hi nahi khoraak ka. Jal bichaya, kawway pakray aur khaa liye. Bhook bhi mitt gai aur sawab ka sawab bhi! Deobandiyo ko chahiye ke Shaadi aur deegar taqreebat per kuch ho na ho kam az kam aik dish tu kawway ki zaroor rakhein. Khanay mein variety bhi ho jaye gi aur sawab alag! Aisay aur kaee sawal hain jinka jawab shayad Gangohi ko qabar se guddi se pakar kar nikalnay ke baad bhi shayad maloom na ho sakein. Phir bhi aap koshish zaroor kijiye ga inn ke jawab dene ki. Hum tu seedhay saadhay sachay loog hain aur ye sach hi hai ke Deobandi mazhab ki umer hai around 100 saal. Iss se pehlay tu ye maslak tha hi! Ye parh lijiye apnay ghar ki gawahi; "Mera yaqeen hai ke Akabir-e-Deoband jin ki ibtidaa mere khayal mein Qasim Nanotwi aur Rasheed Gangohi say hai." Matlab inn 2 lawatat ke mareezo se pehlay deobandiyatt ka wajood na tha. Agay jaa kar ye bhi iqraar hai ke Hazrat Shah Abdul Aziz Muhaddis Dehalvi se bhi deobandiyatt doori per hai aur deobandiyatt ke asal Maata Pitta wohi 2 hain jin ke naam pehlay liye. Mazeed agay chal kar Shaami aur Shiekh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi jaisay Jaleel-ul-Qadar Hastiyo ke baray mein Anwar Kashmiri mein likha hai ke inn per "baaz masail mein bid'at aur sunnat ka farq wazeh nahi ho saka". Matlab ke Gangohi aur Nanotwi per Chaarpai mein ghussnay per woh woh masail WAZEH ho gaye jo inn bandarja'bala 2 azeem hastiyo per na ho sakay aur ye sach hai! Alhumdulillah 2 hastiyo mein se koi bhi lawatat ka mareez na tha! So conclusion ye ke jazbaat jazbaat mein aap ne apnay hi munh se iqraar kar liya ke Deobandi Maslak ki umar faqt 100 saal hai aur iss se pehlay na Deobandi Maslak tha, na Tablighi Jamat thi... lootay thay aur becharay baray sukoon se apnay maqaam per hi rehtay thay. Matlab iss be'ghairti se jhoot bolna aap ke nazdeek koi qabil-e-fakhr baat hai ya phir Deobandiyo mein rehtay aap ki khaslat ban gai hai? Pehlay tu aiye aap ko apni asli ibarat dikhao ke aap ne pehlay likha kya tha. Pehlay aap ne oonchi chalaang maar kar dawa kya ke "Iss tarah kisi aur ne nahi samjha hoga" aur ab taweel paish kar rahay hain ke; Matlab samnay samnay jhoot woh bhi itni be'ghairti se! Ab aaiye aap ki taweelaat ki taraf. Aap ne taweel bhi paish ki tu "Sab se achay" ke mafroozay ko le kar, jab aap ki asli ibarat mein achay buray ka koi zikr hi nahi tha. Pehlay tu khud barkiyaa maar kar apni zillat ka samaan kya, aur ab be'ghairati se jhoot bool kar be'sar-o-paa taweelien garh rahay hain. Aray miya 1 minute lagti hai ye kehnay mein ke "Janab ghalti ho gai, kehnay ka maqsad ye tha....." lekin nahi! Ye kaam tu ghairat'mando ka hai... Deobandiyatt ka iss se lena dena. Ab agar aap ke walid aap ki taraf ishara kar ke kahein ke "Issay jis tarah mein ne paida kiya aur uss tarah aur kisi ne nahi" tu iss ka kya matlab hoga? Aap ki paish'karda misal per aik misaal mein bhi paish karta hon.. Agar aap ka paroosi aap ki taraf ishara kar ke kahay ke "Ye sab se acha bacha hai" tu achay buray ko tu chooriye ye bataiye ke aap bachay kis ke qaraar paye gay? Miya lafzoo ka khail yaha na kheliye... ghan'chakkar ban jaye gay
-
aap ki bari nawazish bhai.. waisay iss mein mera koi kamaal nahi..Ye bay'painday ke lootay hain.. handle ye apnay Akabir looto se na huway mujh se kya hongay! Mera maqsad sirf inhay wahi ki rah dikhana hota jo in ka maqaam hai..
-
Kaafi batein ho chuki hain iss liye mein sirf qabil-e-tawwujju statements quote kar ke baat karta hon. Itni onchi uraan na uriye ke kawwo ki itni qudrat hi nahi! Apnay daway ko zara ghour se dekhiye aur phir ainay mein jaa kar shikal dekhiye! Deobandi maslak jis ki umar bohut bohut tou 100 saal ke areeb kareeb hogi, Anzar Shah ka khulla iqraar hai ke deobandiyat ki ibtidaa Gangohi aur Nanotwi se huwi, aisay no'moulod firqay ke siyasi mullao ki deen'fehmi ko Sahaba, Taba'een, Taba'taba'een, Aimaeen, Mujtahideen sab se afzal qaraar dete huway kuch tu sharm kar letay! Agar aap mein deegar deobandiyo ke bar'ask ghairat aur haya naam ki cheez hai tu saboot bhi de dijiye iss baat ka. Nahi tu aisi suni sunai per tu hum ne bhi suna hai Saniha-e-Nishtar Park ke peechay bhi khabees deobandi hi thay. Iss per tu khair Akhbaari report bhi hai jis mein Lashkar-e-Jhangvi ke logo ki poori tafseel moujod hai. Iss per tafseeli baat baad mein kartay hain pehlay sirf aik seedhay se sawal ka jawab de dijiye. Na'ra-e-Risalat ke jawab mein Ya Rasool'Allah kehna kaisa hai? Iss kehtay hain khalis deobandiyat! Bay'painday ka loota bhi kya lurakta hoga jaisay aap deobandi hazrat idher se udher lurkay jatay hain. Mein yaha aap ke lootay'panay ki sirf 1 misaal deta hon baqi agar ghairat ho tu khud hi dhoond lijiye ga apnay aiteraaf mein. Aap kehtay hain kisi ki baat ko samajhnay ke liye ya tu khud mutakallim ki wazahat dekhi jaye, ya siyaq-o-sabaq ko dekha jaye, ya phir uss se taaluqq rakhnay walo ki wazahat se samjha jaye. Tu phir ye bataiye ke Ala Hazrat ki waseeyat jo "Wasaya Sharif" ke naam se mash'hoor hai uss mein "Mera Deen-o-Mazhab" ibarat ko aap deobandi kis zariye se samajh kar aiteraaz kartay hain? Ye jo formula aap ne bayan kiya ye aap loota'chaap jamaat ko aiteraaz kartay waqt kyu yaad nahi aata? Uss waqt iss formulay ko paishaab mein ghool kar kyu pee jatay hain? Aap ne Rab Nawaz Hanfi ka naam tu suna hoga, kafi mashoor ho gaye ye phannay khan. Inn ki Paltalk per ki gai nafsiyaat bakwaas ki audio clips aap ki kafi websites per moujod hain, in mousof se issi mazkoora'bala hawalay ka matlab samajhtay huway aap ke bataye huway formulay mien kis option ko choose kiya hai? Pehlay apni daaghdaar dhootiyo ko saaf kijiye phir kisi ke daman per daagh talash kijiye ga. Ye taweel bhi bohut purani ho gai aur iss ka jawab mein aap ke khor'maghaz ulema ke munh per thappar per bhi kaee baar mara jaa chuka magar woh "Sharm magar hum ko nahi aati" ke misdaaq aap phir munh aagay kiye dete hain to ye lijiye. Pehlay ibarat likh do phir aap ki taweel ka post-mortem kartay hain. "Mein bhi aik din marr kar mitti mein milnay wala hon" Aap ne taweel paish ki ke iss muraad "muss hona" hai. Tu ab ye bataiye ke aap ke iss qaiday ke mutabiq mandarja'zail ibaarat sahi hai ya ghalat, agar ghalat hai tu bataiye kyu? 1. Gangohi nay Nanotwi MEIN haath mila liya. Janab Urdu mein iss "MIEN" ka istimaal tab hota hai jab 2 cheezien aik doosray ke andar gudmud ho jaye, ya aik doosray mein mill jaye, naa ke aik doosray SAY mil jaye. Doodh mein paani milaya jata hai.. tu yaha mein iss liye ke dono ab aik dosray ka hissa ban gaye.. wohi baat jo aap ne number 1 mein kahi. Aap jis qaiday se taweel paish kar rahay hain tu iss hisaab se tu aap nahatay huway pani mein mil jaya kartay hon gay..chaltay hon gay tu zameen mein mill jaya kartay hongay. Hazrat koi sensible baat kijiye, ye bhoondi taweelat bohut purani ho gai. Aap ne Kawwa Khor ka fatwa parha hai? "Zaagh-e-Maroofa"!! Ab ye bataiye ke maroof yaani common kawwa yehi kala kawwa hai jis ki nasal'kashi per deobandi tullay huway hain ya phir Zaagh-e-Maroofa se muraad deobandiyo ke Kawwa Farm ke kawway hain jinhay sakht nighe'daasht mein sirf halaal khoraak per hi pala jata hai? Sawal se munh chura kar bhagnay ke ye acha tareeqa hai! Janab jawab aap ne dena ke Ya Mohammadah bhai ke quoted reference se aap ko kya samajh aya? Aap ne jo sawal kiya hai pehlay tu khud aap hi se iss ka jawab matloob hai kyu ke aap ke ghar ke mullay ka qoul hai ke niyyat ho na ho agar alfaaz gustaakhi ke hain tu kufr hai! So pehlay apnay sawal ka khud jawab dijiye. Waisay darnay ki koi baat nahi... Humein apnay Ulema ki taraf se kuch milay na milay Ilm aur Kharafaat ke darmyaan farq karne ki tameez zaroor mil jati hai! Iss liye na humaray gharo mein Thanvi ke phailaya "bay'ghairti ka zewar" hota hai ke jisay parh kar khawateen tu khawateen mard sharm jaye, na humaray yaha peero tawaifoo se apnay munh per paishaab karwatay phirtay hain, na humaray akabiro ke apnay bhaiyoo ke saro per paishaab karne ke kissay paye jatay hain, na humaray Darul-Uloom mein Gangohi/Nanotwi Charpai Olympics hotay hain... Khair ye list tu bohut taweel hai chali hi rahay gi, chooriye isay. Gangohi ki tarah na khulliye ga!! Ye Darul-Uloom Deoband ki chaarpai nahi! Aap ki attachment nazar nahi aa rahi. Baraye'mehrbaani dobara attach kijiye. Baqiya jawabaat InshAllah jald hi aa jaye gay.. Filhaal tu request itni si hai ke post kartay huway fonts ko normal rakhiye 2pt ya 3pt. Ye koi secondary school ke exams tu hain nahi ke jageh purr karnay per aap zyada numbers ki umeed karein...
-
Yaha thoray din Eid ki khushiyoo mein kya masroof huway her kunway se maindak bramad ho gaya hai... khair... Sunny sahib, mein ne pura topic tu nahi parha magar aap her post mein yehi roona rootay nazar aatay hain ke aap ki baat ka jawab nahi dya jaa raha.. topic ko divert kiya jaa raha hai waghaira waghaira... Aap ko kafi bhaiyo ne jawabaat diye lekin mein yaha final summary likhay deta hon mumkin ho iss mein aap ko apnay tamaam sawalaat ka jawab mil jaye... lekin shart ye hain ke post ko sirf dekhiye ga matt.. parhiye ga! Maazrat ke saath ..bohut hi bachkana si taweel hai hazrat! Akhbaar walay ko kisi pagal wahabi ne tu kaata nahi ke woh aap hazrat ke ulema ke bayan mein radd-o-badal kar ke shaya kar de! Aap ke Banori Town walo ko tu waisay hi hangama'arai kar ke jalao ghirao mein maharat hai.. kaun pagal Akhbaar wala aap ke Ulema ka bayan badal kar chaapnay ki ghalti kar ke apni mout ko dawat de ga? Shamzai sahab ke qatal per jis mein Akhbaar walo Bank walo ka kasoor na tha uss mein becharo ke office jala diye gaye tu aisi sangeen ghalti per tu aap ke ghairat'mand deobandi hazrat Akhbaar walay ka ghar bhi jala detay! Khair, aap ki ittila ke liye arz hai ke agar aisi koi ghalat'bayani ki gai hoti tu aap ke Ulema ki taraf se uss ka radd bhi kiya gaya hota ke janab hum ne aisa koi bayan nahi diya. Ab zahir hai ke kal ko kisi akhbaar mein Zar Wali Khan sahab ke naam se bayan chaap diya jaye ke "Thanvi Shatim-e-Rasool hai" to zahir hi si baat hai ke Zar Wali Khan Sahab khull kar iss ki tardeed karein gay ke mein ne aisa koi bayan nahi diya. Aur deegar Akhbaaro mein iss tardeed ki ishaa'at kar ke uss ghalat bayani karnay walay akhbaar ki mazammatt bhi ki jaye gi. Agar aisi koi tardeed aap ke Deobandi Ulema ki taraf se shaya huwi hai tu iss ka saboot paish karna aap ke zimmay! Aap ko kam-o-baish yehi jawab aik doosray bhai ne diya tu aap ne jawab kaha ke; Janab thoray aqal ke naakhun lijiye! Agar koi action liya gaya hai tu uss ka saboot paish kijiye.. hum ne kaha rooka hai aap ko! Lekin sirf gumaan ke "action lya gaya hogaaa.." ke base per tu aap kisi ilzaam ko radd nahi kar saktay. Hum inkaar nahi kartay ke action nahi lya, hum to sirf mutalibaa kar rahay hain ke agar iss Akhbari bayan ki tardeed mein aap ke Ulema ne kuch kaha hai tu saboot ke saath paish kar dein. Mamla sab ke saamnay saaf ho jaye ga ke Akhbaar ne ghalat bayani ki aur aap ke Ulema ne uss ka Khullay'aam radd kar diya. Action bara ho ya choota, Islamimehfil per liya gaya ho ya Darul'Uloom Deobandi ke Bayt'ul'Khala mein! Iss se humein koi saro-kaar nahi. Aap sirf koi saboot paish kar dijiye ke iss Akhbaari Hawalay ke khilaaf ya radd mein Deobandi Ulema ne koi Bayan diya ho ya koi bhi choota ya bara ya nanha munna sa action liya ho. Urdu mein tu tabsara nahi karta mein albatta aap ko apni English ki tas'heeh karni chahiye. Lafz "Cabel" nahi "Cable" hota hai .. aur iss Cable ne Pakistan ka bayra gharak kiya ho ya nahi lekin iss "Chatting" ne humari nasal ki bool chaal ka bayra gharak zaroor kar diya jo aik seedhay se English word "Anyways" ko "Anywayz" banay diya jis ki koi tukk hi nahi banti siwaye bekaar ke chichoor'panay ke! Khair, aap ne kaha ke "shairi may shair Takhayul istamal karta hay" .. ab agar bilkul aap hi mantak se jawab diya jaye tu... Takhaiyull maani khayal.. matlab ke Qasim Nanotwi sahab khud apnay khayal mein Kuttay thay.. ab zoor se kahiye HAA! Khair ye doghlay'baazi aap hi deobandiyo ko mubarak ke apnay mullay per baat aye tu Shairi ka Takhaiyull yaad ajata hai aur humaray Ala Hazrat ki shairi mein her baat haqeeqi maani mein le kar Kufr ke fatway chapay jatay hain... Gul gaye gulshan gaye jungle dhatooray reh gay Aqal walay sab chal diye ab baysha'ooray reh gaye Khair kehnay ka maqsad ye ke jis tarah aap Qasim Nanotwi ke shair ki safai mein keh rahay hain ke Shair Takhaiyull istimaal karta hai issi tarah aap ko yehi bhi maloom hona chahiye ke Nisbat-o-Alqaab mein bhi Takhaiyull ki tarah ghair'haqeeqi aur Mijaazi maani istimaal hotay hain. Sagg-e-Attar bhi nisbat hai aur nisbat haqeeqi maani mein hi ki jaye ye zaroori nahi. Jaisay Hazrat-e-Ali (Radi Allahu Anhu) ko Shair-e-Khuda kaha jata hai tu Nauzubillah aap jaisay ghooncho iss se ye muraad lein gay ke Hazrat-e-Ali (Radi Allahu Anhu) Bashar nahi Shair thay? ===================== Iss ke ilawa deegar posts mein aap yehi roona rootay nazar aatay hain ke aap ki post ka jawab nahi diya, baat ignore kar di and all that... Ab iss post ko poora parh lijiye aur bataiye ke agar koi baat reh gai ho tu. Aur ye bhi decide kar lijiye ke aap ne agay kis mouzo per baat karni hai... Sag walay issue per ya apnay Ulema ke Akhbaari karnamay per?
-
Najdi Shaitan Chan Muhammad kay Video Bohtan
Sybarite replied to F.Shahzad's topic in اہلسنت پر اعتراضات کے جوابات
Acha jee matlab ye Chan kaanriye sahab ne phir Kawwa biryani ke nashay mein koi video banai hai....khair koi nahi.. I know ke zyada'tar bakwaas tu wohi hogi jis ka jawab hazaaro baar diya jaa chuka hai.. aur jo new bakwaas hogi woh uss layak hi na hogi ke Ulema uss ka jawab dein tu uss ke hum jaisay na'cheez hi bohut. Aur aap kis forum per aanay ki baat kar rahay hain? Orkut per tu mein hon, lekin masla itna hai ke sunniyo ko dekh kar inn deobandiyo ka pitta pani ho jata hai... Mein in ki baishtar communities mein ban hon, balkay ab tu shayad new community banatay howay bhi in to-do-list mein sab se pehlay mujhay ban karna hai hai kyu ke bohut si aisi communities jo mein ne kabhi join ki hi nahi waha per bhi mein ban hon Fiker na kijiye.. koonay khudro mein munh chupa kar baat karna inhi ka shu'aar hai inhay hi mubarak. Jab khul kar maidan mein aiye gay tu jawab bhi diya jaye ga. Sunny janab, pehli baat tu ye ke kisi sunni ko bhai bool kar gaali na dijiye, jawab mein joota parr jaye ga. Doosri baat, aap pehlay apnay banaye howay topics per tu baat kar lijiye baad mein idher udher gulaathiya mariye ga. Aap ne doosray topic mein Ilm-e-Ro'ya ke mutaliqq kuch baatien ki, tu hazrat uss khuwab ki tabeer bhi apnay kisi mustnadd alim se likhwa kar laa dijiye... yaha doosro ko mashwara dene se acha aisay kuch mashwaray apnay liye bhi hasil kijiye kyu ke deobandi hazrat ke Khuwaboo ki dastaan tu bohut lambi hai. Aap agar thori si himmat karein tu kuch aur bhi khuwaab hain deobandi hazrat ko jin ki tabeer jannay ki bari khuwashish hai... kahiye kya khayal hai? -
First of all, sorry for being out of the picture all these days... its Ramadan ... I said it all. I dont have time to explain things in detail but I want ACTUAL REFERENCES for Dr. Tahir's comments over Aurat ki Diyyat. Anything, scan/audio but the real one. Not from the books or speeches made in refutation to him. Please consider it IMPORTANT! I read in Waqar-ul-Fatawa that Dr. Tahir's comments over this issue has been published in many newspapers, namely Naway-e-Waqt. If anybody got a scan or anything like it please respond asap! I seriously need my brothers to respond to this at their earliest, I'll tell the detail laters.. no time for this now...
-
Try these...though I havent tried it myself! http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...&hl=paltalk http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...&hl=paltalk
-
Arwaah-e-Thalatha p.444, story no.443
Sybarite replied to 786Ahlesunnat's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
It wasnt a glass... it was LOOTA! I hope the scanned image will be provided soon -
Basit tum bhi kasam se hadd kartay ho! Reference kis cheez ka chahiye woh tu batatay! Let me explain; My jigri friend Basit wants a reference of Rasm-ul-Mufti which says something like this; There is a principle in this book which says that it is possible that writing can be similar or tone can be similar or even signature can be similar but the reader must believe that the fatwa is from the mufti whose name is written there. Iss kitab Rasm-ul-Mufti mein Muftiyan-e-Kiram ka aik usool bayan kiya gaya hai ke even agar Muhar ya Tehreer ya Signature mein kisi ko shakk ho ya iss ka imkaan ho ke fatwa asal Mufti ka nahi balkay man'gharat ya jhoota hai tu bhi agar aisay kisi fatwa per kisi Mufti ka naam darj ho tu parhnay walay ko yaqeen kar lena chahiye ke Fatwa asal hai. I am not sure if I explained it properly or not... so Basit khud thora tafseel se likh do yaha... Mein Sagg-e-Attar bhai ko msg bhi kar diya koi na koi jawab tu aye ga hi!
-
Seems like they've changed their ealier statement. I've checked the same page again and this is what it says; Q. Is KFC chicken Halal? A. Unfortunately we do not currently use Halal chicken in any of our UK or Irish stores. http://kfc.co.uk/faqs.aspx#qhalal
-
Tahir Ul Qadri Ka South Africa Me Munazara Se Farar
Sybarite replied to Raza ka ghulam's topic in فتنہ صلح کلیت
I think Munazira howa nahi tha, Munaziray ke liye Dr. Tahir ko bulwaya gaya tha, ye aye bhi thay aur phir aa kar Waaz-o-Taqreer ke liye kharay ho gaye. Logo ne kaha ke munaziray hona hai taqreer chooriye to issi baat pe kuch hungama howa aur kuch reports ke mutabiq Dr. Sahib aur un ke saathi masjid ke deewarein kood ke bhagay thay. -
Nah! Its not JUST Quran by Allah . Quran is what you can see written in Arabic, the rest is its interpretation, which is for sure done by humans and can be wrong! Even if its not wrong its us, the humans who can make severe mistakes in understanding it. So what you've posted is not actually from a divine source or anything like it. Ye jo posts ki hain iss mein tafsir inn Moulviyo ki hi hai! Khair, aap ne Quran-e-Karim se hawalajaat tu paish kar diye ab zara apna maqsad bhi bayan kijiye. Warna paste karnay ko tu mein yaha poora Quran-e-Karim hi paste kardo aur kehdo ke parh lo.. hidayat hi hidayat hai. Agar kisi maamlay per aap apni raye paish karna chahtay hain tu khul kar baat kijiye. Sharmanay ki koi baat nahi. Moulviyo ka sahara tu aap waisay hi lena pasand nahi kartay. Hawala likh kar kuch tabsarra khud hi kar dijiye takay yaha users ko maloom tu ho ke aap kis mamlay per kya kehna chah rahay hain.
-
Miya ye aap ka haqq nahi aap ke libada hai jisay oorh kar sunniyo ko behkana ka mission shuru kya gaya. Warna awaam tu aap ko Wahabi ke naam se pukarti thi aur iss ka saboot khud aap Ghair'muqallideen ke jayyad ulema ki kitabo se sabit hai. Raha aap ke ye dawa ke "Ahle'Hadith" ki nisbat pehlay bhi istimaal ki jati thi tu uss ka saboot tu paish karna aap ke zimmay. Balkay yaha tu zaroor 2 batoo ka saboot dene ki hogi. Awwal tu ye ke ba'qaida officially "Ahle'Hadith" ke naam se koi jamaat mojoud thi, aur agar aisi koi jamaat thi tu kya uss ke aqaid wohi thay jo aaj ki mojoudah naam'nihad Ahle'Hadiths jamat ke hain? Waisay yaha aik baat samajh nahi aati. Ye jo Istiaanat ke mouzo per Wahabi bawlay shirk biddat ke fatwo ki firing kartay phirtay hain, yehi fatwa inhay apnay akabir per maartay itni sharam kyu aati hai? Matlab Wahabi ke naam se pukaray janay per khud ko "Ahle'Hadith" kehalwaya bhi tu British government se! Usooli tour per tu chahiye tha ke khullay asmaan ke neechay Allah se dua kartay kartay iss naam ko khud ke liye alott kartay. Khair baat niklay gi tu phir door talak jaye gi... Filhaal tu aap ye saboot paish kijiye ke Britishers ki paida karda Ahle'Hadith se pehlay bhi koi jamaat baaqaida tour per Ahle'Hadith ke naam se jani jati thi.
-
-
Info Reqd about Dr Farhat naseem hashmi
Sybarite replied to Faizan e Attar@Madani Inaamat's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Nothing more but an another Jew-funded Ghair'Muqallid. In a T.V broadcast she defined the arrival of Hazrat Adam (Allaihe Salam) in this world as "Buhat be aabroo ho ker terey koochay say ham nikley". Will get back with more information soon -
Najany kitnay munaziray howay, kitnay mubahisay howay, howa kya? Humara kawwa sufaid hai ke misdaaq ya tu deobandi munazir munaziray choor kar bhaag gaye ya phir kisi aur bahanay se munaziray adhooray reh gaye... Waisay Taha ye Haq Nawaz Jhangwi bhi deobandi hi tha na? Ya phir munazira harne ke baad isay deobandiyatt se kharij kar dya gaya? Agar deobandi tha tu pehlay tu ussi munaziray ko haarnay ke asbaab bata do ke agar deobandi haq per hain tu woh munazira haray hi kyu? Khair munaziray ki baatein tu chalti rahein gi.. Mera tu choota sa sawal hai. Rab Nawaz Hanfi, bara mashoor bawla hai tumhara, iss ka phone no. ho sakay tu kahi se laa do.
-
Dr Israr on Hazrat Ali that He Drank Alcohol ASTAGFIRULLAH
Sybarite replied to Sunni Tehreek's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Just take a look at the problems of the Matn and Sanad in this hadith; Imam Al Hakem narrated the Hadith among others, and only he went to say after the hadith: "it is authentic, they did not narrate it (Bukhari and Muslim), yet in it there is a disagreement on Ata bin Saa'ib". Dr. Israr said what the Khawarej claimed, who are the core of Nasibi's. And that Imam Al-Hakem after the hadith said: "The khawarej claimed that, yet the hadith (which is authentic in the eyes of the Hakem) states that Ali (Radi Allahu Anhu) is the narrator, not the leader of the salat, and Allah purified him from their accusation". So you see Imam Al-Hakem denounced the Khawarej for that and when narrating the Hadith, which he says has some versions, and the following is the most authentic form: حدثناه أبو زكريا العنبري ثنا أبو عبد الله البوشنجي ثنا مسدد بن مسرهد أنبأ خالد بن عبد الله عن عطاء بن السائب عن أبي عبد الرحمن ثم أن عبد الرحمن صنع طعاما قال فدعا ناسا من أصحاب النبي فيهم علي بن أبي طالب رضي الله عنه فقرأ قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ لاَ أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ ونحن عابدون ما عبدتم فأنزل الله عز وجل يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لاَ تَقْرَبُوا الصَّلاَةَ وَأَنْتُمْ سُكَارَى حَتَّى تَعْلَمُوا مَا تَقُولُونَ The hadith explicitly states that Hazrat Abdur-Rahman bin Auf (Radi Allahu Anhu) made food and led the prayers. On that basis Imam Hakem denounced the accusation of the Khawarej that Imam Ali led the salat drunk. Furthermore, Imam Ibn Hajar said: "this story is known for Abdur-Rahman bin Auf" 6/250 Fat'h Al Bari. هذا الحديث صححه الترمذي كما رواه المصنف رحمه الله . وأخرجه أيضا النسائي وأبو داود وفي إسناده عطاء بن السائب لا يعرف إلا من حديثه . وقد قال يحيى بن معين : لا يحتج بحديثه , وفرق مرة بين حديثه القديم وحديثه الحديث , ووافقه على التفرقة الإمام أحمد . وقال أبو بكر البزار : وهذا الحديث لا نعلمه يروى عن علي متصل الإسناد إلا من حديث عطاء بن السائب عن أبي عبد الرحمن , يعني السلمي . قال المنذري : وقد اختلف في إسناده ومتنه , فأما الاختلاف في إسناده فرواه سفيان الثوري وأبو جعفر الرازي عن عطاء بن السائب فأرسلوه . وأما الاختلاف في متنه ففي كتاب أبي داود والترمذي : أن الذي صلى بهم علي رضى الله عنه وفي كتاب النسائي وأبي جعفر النحاس أن المصلي بهم عبد الرحمن بن عوف . وفي كتاب أبي بكر البزار أمروا رجلا فصلى بهم ولم يسمه . وفي حديث غيره " فتقدم بعض القوم " ا هـ . وأخرج الحاكم في تفسير سورة النساء عن عطاء بن السائب عن أبي عبد الرحمن عن علي رضي الله عنه دعانا رجل من الأنصار قبل تحريم الخمر فحضرت صلاة المغرب فتقدم رجل فقرأ : { قل يا أيها الكافرون } فألبس عليه , فنزلت { لا تقربوا الصلاة وأنتم سكارى } ثم قال : صحيح . [ ص: 197 ] قال : وفي هذا الحديث فائدة كبيرة وهي أن الخوارج تنسب هذا السكر وهذه القراءة إلى أمير المؤمنين علي بن أبي طالب دون غيره . وقد برأه الله منها فإنه راوي الحديث . والله اعلم Translation: This hadith is authenticated by Tirmidhi, Abu Dawod and Nasa'i also narrated and in the Isnaad: Ata bin Assaa'ib, and the hadith is not known except from him..! Yahya bin Ma'in said: "his narration should cannot be used as an evidence", and sometimes he used to seperate between his old and his new narrations. Imam Ahmad agreed with Yahya bin Ma'in on that. Imam Al Bazzra said: "we do not know this hadith with a continuous Isnaad except from Ata bin Assa'ib" Imam Munthiri said: "This hadith has problems in its Isnaad and its Matn. With its isnaad, it is narrated from Sufyan and Abu Ja'far Ar-Razy in a Mursal way (mursal is part of weak). As for the problems in the Matn, it is because in Abu Dawood and Tirmithi the one who prayed is Ali, and in Nasa'i and An-Nahhas: the one who prayed is Abur-Rahman bin Auf, and in the narration of Abu Bakr Al-Bazzar: a man was asked to lead and he was not named, and in other narrations: somebody from the group came foreward and led". As you know, difference such as this is called: Muttareb Matn, i.e. conflicting versions, and Matareb is part of Weak Hadith, per the Matn. Then Imam Hakem in Tafsir Surat An-Nisa, by way of Ata bin Assa'ib said: Ali said: "a man from the Ansaar invited us to his home before the prohibition of Alcohol, and Salat Al Magreb came. A man came foreward and led, and hemade a mistake when reciting (ya ayyuha al-kafiroon), then Allah revealed the ayah ( la taqrabu assalata wa ntum sukara = do not pray while drunk)". Imam Hakem said: Saheeh. But as you can easily notice that the hadith says explicitly that Sayyidina Ali was not the Imam, further more, no where does it say that Sayyidina Ali even drank!!!. Now a little about Nasiruddin Albani whom Dr. Israr addressed as "Muhaddis-e-Azam"! A watch repairman by trade, Albani is a self-taught claimant to hadith scholarship who has no known teacher in any of the Islamic sciences and has admitted not to have memorized the Quran nor any book of hadith, fiqh, aqaid, usul, or grammar. Kicked out of rom Syria then Saudi Arabia and lived in Amman, Jordan under house-arrest until his death in 1999. Countless scholarly refutation have been written against Albani's diabolical beliefs. Now let me just show a glimspe of his crap; In his book Adab al-Zafaf he prohibits women from wearing gold jewelry - rings, bracelets, and chains. In Tamam al-Minna he declares that masturbation does not annul one's fast. In five of his books (Ahkam al-Jana'iz wa Bida`uha, Talkhis Ahkam al-Jana'iz, Tahdhir al-Sajid, Hijjat al-Nabi, and Manasik al-Hajj wa al-`Umra) he calls for the demolition of the Green Dome of the Prophet's Mosque in Madina Munawwara and for taking the Prophet's grave outside the Mosque. He declares in his Fatawa (p. 53) that its prohibited HARAM and an innovation to lengthen the beard over a fistful's length and that declares Dr. Israr's beard as HARAM! Go and tell the doc to shorten his beard as his so called Muhaddis-e-Azam said so! For sure Dr. Israr will soon be burning right next to Albani in hell! -
tamam doston sey 2 sawalat (pehla sawal)
Sybarite replied to Nasir Noman's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Aap ke paas bolnay ko ab kuch nahi bacha tu aik hi baat ko her post mein likhay ja rahay hain. Aap ne jin khaas khaas points per baat ki hai ussi ka jawab diya hai hum ne so ye bekaar ki baansi bajana band kijiye aur kaam ki baat per aiye. Kaun kehta hai? Quran ya Hadith? Iss ka jawab aap de chukay ke Quran-o-Hadith tu nahi kehta. Tu phir iss per daleel kya hai? Koi nahi! Kehnay walay (yani aap) ka ilmi maqaam kya hai? Kuch bhi nahi. So ye humaray liye hujjat nahi. Apni fatwa'baazi aap apnay ghar tak hi mehdood rakhiye. Humien tu daleel chahiye Quran-o-Hadith se. Agar hai tu paish kijiye warna aap ki zaati mantak aap ka zaati faisla humare liye koi maani nahi rakhta. Ab iss mouzo per tab hi baat kijiye ga jab koi daleel ho. Aap ka abhi itna Ilmi maqaam nahi ke aap keh dien aur ummat ke liye aap ka kaha hujjat ho jaye. 1. Islam dushmani ka English writing se kya lena dena? Be'shakk uss ki khabasat per ussay Islam dushmano ne jaani aur maali dono tour per tahaffuz dya magar "English Literature" se is ka kya lena dena? 2. Salman Rushdie ko awards English books jaddi pushti Britishers se bohut achi Enlish likhnay per diya gaya jo ke translation se zyada mushkil kaam hai. Translation mein aap ke pas sab kuch likha likhaya hota hai ussi ko translate karna hota hai jab ke authoring mein aap ko khud likhna parta hai. Ab ye bataiye ke Quran bhaijna wala Allah bartar ya Quran ko translate karnay wala bartar? Kalam tu Allah ka hai, sara kamal tu Allah ke kamal ka hai. Banday ka kamal tu sirf uss ka tarjuma karna hai tu bartar zahir hai Kalam wala howa na ke kalam ka tarjuma karnay wala. 3. Salman Rushdie nay agar aisa koi challenge nahi kiya tu aisa koi challenge tu humaray ulema nay bhi nahi kiya ke hum se behtar Arabi koi nahi janta. Agar kabhi aap ko humaray ulema ki kitabein parhnay ki toufiq howi ho tu uss mein aap ko khud hi nazar aa jaye ga ke humaray Ulema khud Arab ke Ulema-e-Haqq se aksar-o-baishtar istadlaal kartay hain. So jab iss tarah ka koi dawa humaray ulema ki taraf se kya hi nahi gaya tu aap iss per kyu roye jaa rahay hain? Ainda fuzool batoo se perhaiz kijiye ga. 4. Sirf Ad'Daulat-ul-Makkia per hi 77 Ulema-e-Arab ki tasdeeq moujod hai! Ye sirf 1 kitab ka ihwaal.. aap ko agar tafseeli list chahiye tu bata dijiye mein Ulema ke naam ke saath faraham kar do ke kitnay Ulema-e-Arab ne humaray Imam Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan ki shaan mein kya kya kaha! Iss bay'ghairti se jhoot bolna aap hi ke maslak ke bus ki baat hai! Pehlay dekhiye ke aap ne mujh per ilzaam kya lagaya tha; Aap ka jhoot aur meri kahi howi baat, dono samnay hai. Mujhay highlight kar ke bata dijiye meri statement mein kaha ye alfaaz ya iss tarjuma aur tashreeh ke mutalliq meri iss tarah ki koi bhi baat mojoud hai. Jhoot boltay sharam tu aani nahi aap ko ke ye aap ke maslak ka turra-e-imtiaz hai. Lekin bila'shuba jis be'ghairti se aap ne iss jhoot ko sach sabit karne ke doosra jhoot bola uss ki misaal nahi! Lanatullahe al'al-Kazibeen! Hadd hai jahalat ki! Khud hi baat kartay hain aur jab jawab thappar ban kar munh per parta hai tu kehtay hain ke iss ka jawab new thread mein do ga! Nasir miya ye bakwaas aap ne hi ki thi naa; "Kia aap in bunyadi aqeedey ko samjhney key liyain Ulama ki Tafseer ki zaroorat perti hay jabkey Quraan Pak main bohat sari jaghoon per wazeh ehkamat mojood hain," Issi ke jawab mein aap ko Quran se hawala diya hai. Ab iss ka jawab dene ke liye new thread mein janay ki kya zaroorat paish aa gai? Aap ke under ka mujtahidd ab kaha marr gaya? Aap ko tu wazeh ehkamaat samajh aa jatay hain baghair ulema ke paas jaye! Tu phir meri quote ki howi ayat ka jawab denay mein aap ki jaan kyu jaa rahi hai. Iss ka jawab tu aap ko issi thread mein dena paray ga. Kyu ke ye aap hi ki baat ka jawab hai jo aap ne issi thread mein ki. Haa Ghair'Allah se madad walay topic ko aap zaroor discuss kijiye alehda topic bana kar. Aap ke saath doosray forums per kya howa kya nahi iss per behes karnay ka faida? Youn tu mein bhi najanay wahabis ki kitnay forums/communities per baat karne jaa chuka aur waha per siray se kisi wahabi mein himmat hi nahi howi ke baat karay. Ya tu khud bhaag gaye ya mujhay ban kar diya. Lekin inn sari baato ka yaha iss mouqay per karne ka kya maqsad? Topic kya hai aur aap kis baat per roye jaa rahay hain khud dekh lein. Topic start kiya tha Milad per, phir rootay rootay aye Ulema-e-Arab aur Ulema-e-Hind waghaira ke maslay phir, phir bhagay Ghair'Allah se madad ke maslay per! Aap doosray forums ko roona chooriye iss forum ki baat kijiye. Yaha sabhi dekh rahi hain aap ki halat. Sawab gandum jawab channa wali baatein kartay hain aap. Milad per aiteraaz kar ke topic bana kar jab ruswa honay lagay tu roona lagay ke ye bunyaadi masla nahi, bunyaadi masla tu Ghair'Allah se madad, Hazir-o-Nazir waghaira hai... Aray tu miya aap ko chahiye tha na ke pehlay unn bunyaadi masail per baat kartay. Hum ne rooka thori na tha aap ko. Aur aap ka ye dawa ke unhay aap ki bakwaas per mabni guftugo samajh aa gai tu unse jawab na diye gaye ye bhi aap ka zehni fitoor hai. Wohi baat hai ke pagal kisi rasta chaltay ko patthar maray aur woh banda chup chaap chala jaye tu pagal kahay; "Dekha darr gaya"! Hum iss tarah ke bawlo se uljhaa nahi kartay. Aap shayad ab tak ye samajh rahay hon ke hum aap se behes kar rahay hain. Hargizz nahi! Aap ki abhi itni ilmi auqaat hi nahi ke aap se iss kism ke ilmi masail per baat ki jaye. Yaha sirf aur sirf aap apni jahalat ki tarjumani kar rahay hain aur hum sirf isay projection de rahay hain ke dekh lo sunniyo, ye halat hai najdiyo/wahabiyo ke imaan aur ilm ki! Allah hi behtar janta hai ke woh sawalaat Shah Sahib tak pohanchay ya nahi ya aap ne sawalaat bhaijay bhi ke nahi. Lekin aik baat samajh nahi aati. Aap keh rahay hain ke Shah Sahib ke "Shagirdo" ke haatho sawalaat bhijwaye, aur jaha tak mere ilm mein hai Shah Sahib Dars-o-Tadrees ke shubay mein tu hai hi nahi. Ustaad aur Muallim mein farq hota hai. Aap nay sawalaat bhaijay ya nahi ye baat bhi yaqeeni tour per nahi kahi jaa sakti. Iss tarah ke sawalaat bhaijay jatay hain tu koi saboot bhi hota hai jaisa ke Hazrat Allama Abbas Rizwi Sahib ke Wahabiyo se sawalaat, jinhay posters ki shikal mein chaapa ja chuka aur aaj tak uss ke jawab dene ke liye poori wahabiyatt mein se koi samnay nahi aya. Baqi aap ke paas agar sawalaat hain tu unhay yaha post kar dijiye. Aap ko yahi jawab mil jaye ga Rahi aap ki mantak tu uss ko sabit karne ke liye tu khud aap ke paas bhi kuch nahi. Khud aap ne iqraar kar liya ke Quran-o-Hadith tu ye nahi kehta. Tu jab Quran-o-Hadith aap ki mantak ki taeed mein nahi tu phir jawab dene ki zaroorat hi kya baki rehti hai. Yaha baat samajh anay ki nahi balkay sirf itni si hai ke aap ka sawal hi na'maqoul hai. Aur meri kis baat mein aap ki mantak ko samajh kar uss ke sahih honay ka iqraar hai? Ye kamal-e-be'ghairti se jhoot bolnay ki beemari aap ki fitrati hai ya maslaki? Aap ki ilmi halat ka andaza issi baat se hota hai ke aap Prof. Tahir-ul-Qadri ko humaray Ulema mein se samajh rahay hain. Humaray 300 ulema ka mutaffiq faisla hai ke Tahir-ul-Qadri GUMRAH hai. Iss forum per bhi aap ko Tahir-ul-Qadri ke khilaaf kaafi mawaad mil jaye ga. So miya jee pehlay kuch tehqeeq kijiye phir iss tarah ke masail per baat kijiye ga. Rahi baat Shah Sahib, Mufti Muneed-ur-Rehman sahib aur deegar ulema ki tu janab woh Ulema mein se hain. Ilmi sawalaat hon tu woh zaroor jawab dete hain. Iss tarah ki ghair'mantaki bakwaas ka jawab dene ka na tu unn ke paas waqt hai aur na hi zaroorat. Aap jo signature aur stamp ki baat kartay hain tu janab aik kaam kijiye, aap ki bakwaas per mabni jo ye 6 pages hain unn per kisi known alim ke signature aur stamp lagwa kar post kar dein takay maloom ho jaye ke ye jahalat per mabni sawalaat jo aap kar rahay hain wohi aap ke ulema ke bhi hain. Janab mera sawal "khullay asmaan ke neechay" namaz per nahi tha! Mera sawal ye hai ke aap sabit kijiye ke jis tarah Pak-o-Hind mein "ROAD BLOCK" kar ke Eidain ki namaz hoti hai ussi tarah tamaam dunya mein hoti hai. Jo bold mein likha hai ussay ghour se parhiye aur phir jawab dijiye. Tu aap ka matlab hai ke non-muslims countries mein Azan mukhtalif andaaz mein hoti hai? Muslim country ho ya non-muslim azaan ka haisiyatt tu wohi rahay ga na! Aap ne khud hi apnay saray sawalaat ka jawab de diya. Aap kehtay hain ke "ap jawab dey tey hain key azan deyney ka tareeqa dunia main mukhtalif hai(yaani Azan main bhi tabdeeli nahi sirif dey ney ka faraq hai" Tu Milad ka bhi ye mamla hai. Milad ke mamoolaat mein bhi koi farq nahi, sirf tareeqa ya andaaz alag hai. Naat'khuwani bhi hoti hai, Salat-o-Salam bhi parha jata hai, juloos bhi nikalta hai, jhanday bhi hotay hain, ijtimaa bhi hota hai gharz ke saray amaal wohi hain karnay ka andaaz mukhtalif hai ke kahi per Naat'khuwani khullay aam roads per hoti hain aur kahi per gharo mein, kahi per juloos ke liye pooray pooray roads band kar diye jatay hain tu kahi per road ke sirf kuch hissay per juloos nikala jata hai! Aap nay hoshiyaari hoshiyaari mein apnay aiteraaz ka khud hi jawab de dya! Shukriya! -
tamam doston sey 2 sawalat (pehla sawal)
Sybarite replied to Nasir Noman's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Phir wohi murghi ki aik taang! Aray miya joo poocha hai uss ka jawab denay mein kyu sharm se paani paani howay jaa rahay hain aap. Seedha sa sawal number 1 tha, woh khaa gaye aap kawwa biryani samajh kar! Mein ne aap se kaha bhi tha ke jitna seedha sawal hai utna hi seedha aur simple sa jawab dene ki koshish kijiye ga. Mera pehla aur doosra sawal ghour se parhiye. 1. Kya Quran-e-Pak ko samajhnay ke sirf Arabi zaban per uboor hasil hona kaafi hai? Iss ke seedhay se 2 jawab ho saktay hain ke "Nahi sirf Arabi zaban per uboor hasil hona Qurani Taleemat ko samajhnay ke liye kafi nahi" Ya phir "Haa sirf Arabi zaban per uboor hasil hona Qurani Taleemat ko samajhnay ke liye kafi hai". Lekin aap ko seedhay se sawal ka jawab denay mein na'janay kaun si takleef thi jo aap ki zaban iss per khamoosh rahi. Ab aiye doosray sawal ki taraf; 2. Islam ka kaun sa qanoon ye kehta hai ke jisay Arabi zaban per uboor ho ussay Quran ki taleemat bhi samajh aa jaye gi? Iss ke jawab mein aap ne meri jo baat quote ki uss parh kar samajhnay ki aap ko shayad kabhi toufiq howi hi nahi. Meri statement ko dobara parhiye. Meri statement mein kahi bhi ye iqraar nahi ke Arabi zaban jaannay walay ko Quran ki taleemat samajh ana lazim hai! Meri statement mein iss baat ka aiteraaf hai ke Arabs ko ba'haisiyatt qoumi zaban ke Arabi per non-arabs se zyada uboor hai. Jo bold mein likha hai ussay 10 baar aankhein khool kar parhiye shayad aap ko samajh aa jaye baat. "Ba'haisiyatt qoumi zaban ke" Urdu humari bhi Qoumi zaban hai magar hum Urdu bool chaal Urdu ke asal qaido se kaafi mukhtalif andaz mein kartay hain. Aap ko aap hi ki posts se misaal deta hon. Aap ki aik post mein aap ne kuch iss tarah ki statements di; "Bhai hum ney Khalil Rana sahib key bhi jawabat diey they jo apney 05 post delet ki hian ager apkey pas save hain to apko un main is ka jawab bhi mil jaey ga." Urdu aap ki bhi qoumi zaban hai is ke bawajood aik seedhi si baat kartay howay aap ne Urdu ke beech 2 English lafz ghussa diye (jis mein se 1 ki spelling bhi ghalat hai). Aap ko usooli tour per tu Delete ki jageh Urdu mein "Hazaf" likhna chahiye tha aur Save ki jageh "Mehfooz" likhna chahiye tha. Aur shayad aap ko ginti bhi nahi aati tabhi Sawal number 2 ka jawab pehlay diya aur Sawal numer 1 ka baad mein! Tu kehna ka maqsad ye ke qoumi zaban ki aam bool chaal aur Quran-e-Karim jaisay Aala-o-Arfa Kalam ko samajhnay mein zameen asmaan ka farq hai. Urdu humari qoumi zaban hai jab ke Urdu ke bayshumaar naamwar Shai'r Adeeb India ke hain jinki qoumi zaban Hindi hai! Salman Rushdie Maloon-o-Mardood ka naam suna hoga aap ne. Uss ki Madri zaban English nahi phir bhi iss khabees ko saikro Awards milay hain as an English Writer. Author of the Year (British Book Awards), Author of the Year (Germany), Kurt Tucholsky Prize (Sweden), Aristeion Prize (European Union), English-Speaking Union Award aur najanay kitnay deegar awards. Aur ye woh awards hain jin ke liye English writers including Britishers apni jaan dene ko tayyar ho jaye, aur ye sab mil kisay gaye? Aik aisay banday ko jo Indian hai, jis ki madri zaban Hindi hai magar woh hazaroo laakho Britishers se achi English bool leta hai, likh leta hai aur samajh leta hai! Aur mein pehlay hi bata chuka ke humaray liye Hujjat Quran-o-Hadith hai. Aur iss baat ka iqraar aap khud kar chukay ke Quran-o-Hadith ye nahi kehtay ke jis ki madri zaban Arabi ho usay Quran ki taleemat bhi yaqeenan samajh aa jaye gi. So ab aap ki ye zaati be'waqoofana mantak "daleel" ki "daal" ko bhi nahi chooti! Aap mujhay bata dijiye ke mein ne kab kaha kis post mein ye baat kahi ho ke "dunia ka koi bhi gher zuban wala maatheri zuban waley sey acha tarjuma or tashreeh nahi karsakta" Itni bay'baaki aur be'sharmi se jhoot bolnay walay mein ne kam hi dekhay hain! Aap ya tu mujhay bataiye ke mein ne kis post mein ye baat kahi, ba'soorat-e-deeegar iss ghalti ka i'aada aap ke zimay hai. Aur agar mein aap ko Quran se hi hawalajaat paish kardo ke jaha se wazeh andaaz mein pata chalta hai ke Allah ke naik banday Allah ki aata say bando ki madad kartay hain tu? Aap ko dawat bhi di hai ke janab alehda topic bana kar iss maslay per bhi apnay dil ki hasrat poori kar lijiye. Najanay aap ki ghairat iss dawat ke jawab mein kyu soee pari hai! Jee haa, Alhumdulillah hum wazeh ehkamat ko bhi poori tarah samajhnay ke liye Ulema ki tafaseer parhtay hain aur yehi Quran ka hukm hai. "So pooch lo ihl-e-zikr se agar tum nahi jaantay" (Surah Al-Nahl, Ayat 43) Iss ki agli hi ayat mein hai ke; "Bhaija tha un ko) khulli nishaniya aur kitaabein day kar aur utara hum ne tum per bhi ye zikr takay khool khool kar bayan karo tum insaano ke samnay woh taleem jo nazil ki gai hai un ke wastay takay woh ghour-o-fikr karein" (Surah Al-Nahl, Ayat 44) Ab ghour se parhiye ke pehlay Allah farmata hai ke "Bhaija un ko Khulli Nishaniya aur kitabein de kar" tu khulli nishaniya tu ba'qoul aap ke sabhi ko samajh aajani chahiye, lekin Allah agay farmata hai ke "takay khool khool kar bayan karo tum insaano ke samnay". Tu ab Allah se MaazAllah kya ye sawal karien gay ke "Khulli nishaaniyo ko bhi aur khool khool kar bayan karne ka hukum kyu dya?" Ab ye na kahiye ga ke iss tarjumay ko aap nahi mantay! Ye tarjuma humara nahi ussi website se as it as likha hai jaha se pehlay aap ne pehlay images post kiye thay! Alhumdulillah hum Ahle'Sunnat wa Jamat se hain, muqallid hain aur dua kartay hain ke Allah apnay Habib ke sadqay humein aur humari nasal ko muqallid hi rakhay. Humaray yaha her tatt'poonjiya Mujtahidd nahi bana phirta iss liye hum Ulema ke ilm se mustafeez hotay hain. Iss ki zinda misaal mein ne aap ko Salman Rushdie Maloon-o-Mardood ki shikal mein de di. India ki paidaish hai, madri zaban hindi hai lekin hazaro laakho aam English bolnay say hi nahi, English literature ke najanay kitnay writers se achi English likh leta hai, bool leta hai aur samajh leta hai. Agar aisa na hota tu ye awards ussay kabhi na miltay balkay kisi Britisher ko hi miltay. Ye tu thi sirf zaban ke baat. Ab aiye Quran-o-Hadith ki taraf. Arabs mein bohut se gumrah loog bhi hain. Arabs mein kitnay hi aisay hain jo Haram'kaari kartay hain. Jab ke dunya mein aisay bohut se non-arab muslims hain jo ye Haram'Kariya nahi kartay. Unn non-arabs ko ye samajh Quran-o-Hadith ki taleemat samajh aa gai, Arabs ko nahi aiee. Iss per kya kahein gay? So dunya mein aisay bohut se loog hain jin ki madri zaban koi aur hai aur unhay mukammal uboor kisi doosri zaban per hota hai. Humaray Shiekh Nabira-e-Ala Hazrat Hazrat Allama Moulana Mufti Akhter Raza Khan Azhari ki Arabi sun lijiye. Jamia Al-Azhar se "Jamia Al-Azhar Award" liya, did B.A in Arabic, first position, sirf Jamia Al-Azhar nahi pooray Cairo mein! Jamia Al-Azhar mein aaj bhi unn ki naam bhulaya nahi gaya! Khud Makka-o-Madina ke Arab Shuyookh iqraar kartay hain ke in ki Arabi hum madar'pider Arabo se achi hai! So Arabi per uboor sirf Arabs ki meeras nahi. Dunya mein kisi bhi zaban ke kisi bhi baray se baray ustaad ke samnay apni ye mantak rakhiye, agar Ihl-e-Zouq hoga tu shayad aap ko jootay maray ga! Tu iss ka matlab ye kaha jaa sakta hai ke zaroori nahi ke Arabs mein bhi saray ke saray Ulema yaqeeni tour per Quran-o-Hadith ko samajh jatay hain. Aur mera bhi ye ilzaam nahi ke Arab Ulema saray ke saray hi gumrah hain. Aap baat ko agay barha kar hawala'jaat per aiye tu sahi janab. Aap ko hum apna aqeeda Arab Ulema ki kitabo se bhi zahir kar dein gay Baqi aap jisay Daleel keh rahay hain ke Madri zaban walay Ulema Quran-o-Hadith ko zyada behtar samajh saktay ba'nisbat ghair'zaban walay Ulema ke tu ye daleel nahi jahalat hai. Daleel usay kehtay jis ke saboot mein kuch ho. Aap ke paas sirf apni mantak hai jab ke mein aap ko jeeti jaagti misalein dikha di hain. WALLAH! mujhay aap per hansi aati hai! Aap "madri" zaban per behes kar rahay hain aur madri ki spelling "maatheri" likh rahay hain. Aur ye ghalti bhi pehli baar nahi. Ab khud hi bataiye issay mein jahalaat nahi tu aur kya kaho! Typing mistake ka bahana matt kijiye ga warna yaqeen janiye iss per aap ki aisi durgat banay gi bus! Khud apnay dil per haath rakh kar bataiye kiya ye mere sawal ka jawab hai? Khair ye aap ke bus ka kaam nahi janay dijiye! Aap dawa kar rahay hain ke bunyaadi masail mein Arabs mein ikhtilaaf nahi, misal ke tour per aapne Ghair'Allah se isti'aanat ka zikr kya. Mera pehlay bhi sawal yehi tha, ab bhi yehi hai ke aap ne kitnay Arab Ulema ki tafasir/shurohaat waghaira parhi hain ke jis se aap ko maloom ho gaya ke Arabs mein bunyadi masail mein ikhtilaaf nahi? Mujhay kuch tu naam bataiye naa ke aap ne aakhir Arabs ki kitni kitabein parh li hain? 100, 50, 10, 1, ya 1 bhi nahi? Khair yaha tu Ulema ki baat bhi chooriye. Aap ka tu kehna hai ke Quran mein Allah ke Wazeh ihkamat ko samajhnay ke liye Ulema ke paas janay ki bhi zaroorat nahi. Tu matlab yaqeenan Quran mein Allah ke wazeh ihkamaat ko aap achi tarah samajh jatay hon gay. Tu zara ye bataiye ke mandarja'zail ayat se aap ki kya samajh aata hai. "Aye woh logo jo imaan laye ho, agar madad karo gay tum Allah ki tu woh bhi tumhari madad karay ga, aur jama de ga mazbooti se tumharay qadam." (Surah Muhammad, Ayat 7) Tarjuma ussi website se lya hai jaha se aap ne pehlay images post kiye thay. Khair iss ki tafseel mein abhi nahi jatay aap bus mukhtasiran bata dijiye ke iss WAZEH ayat se aap ki kya samajh aata hai. Baqi tafseel jab aap mein alehda topic create kar ke baat karnay ki himmat hogi tab karein gay. Tu phir tu ye aap ki bay'ghairti aur hatt'dharmi hai ke aap ko humaray bunyaadi aqaid per aiteraaz hai iss ke ba'wajood aap ne inn bunyaadi masail per baat karne ke bajaye Milad ke maslay per baat shuru kar di. Aap ko tu chahiye tha ke pehlay inn tamaam aqaid per baari baari baat kartay phir Milad ki taraf aatay. Khud hi topic choose kar ke baat kartay hain aur phir kehtay hain ke bunyaadi aqaid pehlay atay hain. Apnay hi chakkar mein ghan'chakkar mein banay jaa rahay hain. Aap ko tu humari taraf se khulli dawat hai janab jab jee chahay inn mein se jis topic per jee chahay baat kar lijiye, apnay saray armaan nikal lijiye, hum tu bethay hi khidmat ke liye hain. Ab usooli tour per tu aap ko chahiye ke aap forun se Milad ke ghair'bunyaadi maslay ko aik taraf rakh kar inn bunyaadi masail per baat karna shuru karien gay. Karein gay naa??? Naat se tu wahabiyo/najdiyo ko chirr hai aur iss ka iqraar ye khud bhi kartay hain tabhi Saudi Government ki taraf aaj tak Aalmi kya mulki sitah per bhi koi Naat'Khuwani nahi howi. Rahi baat ikhtilaafi ashaar ki tu janab aiye naa. Unn ashaar ko ghair'shar'aee sabit bhi tu kijiye na. Ye zanaan'khano mein ghuss ke "biddat hai, biddat hai, shirk hai, shirk hai" ke naray laganay se tu ikhtilafaat khatam nahi hongay. Yaqeenan aap ke paas bhi koi chooti mooti list zaroor mojoud hogi aisay ikhtilaafi ashaar ki. Tu aiye na janab, kijiye baat unn per dalail-o-saboot se. Rahi wahabiyo ki toheen, tu iss forum per bohut saboot moujod hain, aankhein khool kar parh lijiye. Ye Saudi kuttay hi hain jo Gunbad-e-Khizra ko giranay ki na'paak khuwahishay apnay dil mein rakhtay hain, aur ye khuwahishay phir apni kitabo mein chaaptay bhi hain aur ye kitabein phir Saudia samait sari dunya mein publish bhi ki jati hain aur Saudi Government inn per koi ban nahi lagati! Wah jee wah! Kya kehnay.. apnay sarr per aye tu infiraadi aur ijtimaee ka farq nazar aa gaya. Mein zyada kuch nahi bolo ga, bus aik seedha aur simple sa sawal aap ki inn tamaam baato ka jawab hai. Pak-o-Hind mein Eidain ki namazein jis andaaz mein hoti hain ussi andaz mein sari dunya mein hoti hain kya? Maslan; 1. Masjid se bahir road block kar ke namaz-e-Eid parhna. 2. Masjid ke Imam ka loudspeaker per Khutba-e-Taqreer karna 3. Naiz Eid ke ilawa panj'waqta namaz ke time Masjid se loudspeaker per Azan dena. Inn ka jawab de dijiye aap ki baat ka jawab aap ko khud hi mil jaye ga. Aap ko baar baar samjhaye janay ke ba'wajood aap dheet banay her post mein Milad se hatt kar doosray masail per zaroor kuch na kuch likhtay hain. Miya jee aap ko dawat di tu hai deegar tamam masail per alehda alehda topic create kar ke baat karne ki. Tu phir ye saray masail isi topic mein kyu ghussairnay per tulay hain? Agar Milad ki mouzo per baat karne ke liye ab aap ke paas kuch nahi bacha tu khamoosh ho jaiye, koi maray ga thori na aap ko! Waisay ab tu aap ko haqq bhi nahi ke aap iss topic per mazeed koi baat karein. Kyu ke aap khud iqraar kar chukay ke Milad bunyadi aqeeda nahi balkay bunyaadi aqeeday ki bina per kiya jana wala amal hai. Tu aamal per guftufo tu baad mein hoti hai pehlay tu bunyadi aqaid zaroori hain. Tu usooli tour per tu ab aap ko unn bunyaadi ikhtilafaat per baat karni chahiye jin ka aap ne zikr kya. Mujhay hai aap usoolo ki pabandi kartay howay jald hi bunyaadi ikhtilafaat per baat shuru karein gay. Humari taraf se aap ko khulli choot hai, aap apnay paish'karda bunyaadi ikhtilafaat mein se jis per jee chahay baat shuru kar lijiye, hum hazir hain.