Behen dosti k hawalay say to insan apnay standards khud bana sakta hay, as far as wo Islami taleemat say na takraatay hon. Aur ye standards her banday k liye mukhtalif bhi ho saktay hain, lihaaza hum kisi makhsoos standard ka paband nahin ker saktay aap ko. Dosti kernay k liye insan sub say pehlay to apnay aap ko dekhta hay...k kia main ksii shakhs ki dosti k qabil hon ya nain? kia main matlabi to nain?? kai aisa to nahin k main faqat chand lamhon k sukoon aur gappen(gosspis) maarnay k liye dosti ker raha hoon ya waqaii Allah ki raza k liye ker raha hoon...jaisa k Ahadees mein bhi kai maqaamaat per aapas mein Muhabbat rakhnay, tohfay tahaaif denay waghera ka hukum hay...
Agar aap Ahaadees per amal kerna chahti hain to Aik hadees ka mafhoom paish-e-khidmat hay k Banda qayamat k roz us shakhs k sath hoga k jis say wo dunya mein muhabbat kerta hoga...!!!
To kion na kisi aisay shakhs say dosti ki jaaey k jis ka saath qyaamat mein nafa' bakhsh ho....YAAA us ka hamaray saath rehna us shakhs k liye qyaamat mein nafa' bakhsh ho, k agar donon mein say kisi ki bhi bakhshish hogai to doosray ka saath hona laazim hoga Inshaa Allaah!!!
Aur naik logon ki suhbat qyaamat to qyaamat, dunya mein bhi nafa' bakhs saabit hoti hay!!!
bahar haaal...ye aik misaal thi...zaroori nahin k her shakhs ka yahi nukta-e-nazar ho....baaz auqaat insan buray logon say bhi dosti kerleta hay magar Muhabbat her dost say nahin hoti...lihaza derkhuast ye hay k apnay aap ko khangaalen, apna tajzia karain, logon ko perkhen, aur phir ye faisla karain k aap kis qism ki dosti chahti hain??
Ummeed hay baat samajh agayi hogi,
Muhammad Ameen.