Jump to content

Shareef Raza

ںاظم اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    1,494
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    22

سب کچھ Shareef Raza نے پوسٹ کیا

  1. Rana Sb Apka yeh article bohat hi riqqat angeez hai' har line ankhon ko ashkbar kardeti hai waqai MAAH jesi hasti humare liye aik aisi azeem naimat hai jis ka shukar lafzoo main ada nahi hosakta . Umaid hai Rana Sb Ap isi tarah degar buzrugaan e deen ki aap betyaan b share karainge ..
  2. MASHALLAH Azawajal Allama saavi ki hayat mubarka pairoshni dalne ka behad shukariya ...
  3. SUBHANALLAH Azawajal share karne ka behad shukariya...
  4. SUBHANALLAH Azawajal , Share Karne Ka Behad Shukariya ... .. G Bilkul ALLAH Tala ki Azmaish Us keh naik bandoo par aati hai , aur Phir ALLAH Tala Inhain woh maqam ata farmata hai Jo rahti dunya keh liye aik misal qaim kardeta hai anbiyae karam main hazrat ismail alihisalam ki azmaish ka waiqya aur hazrat ibrahim ki azmaish jo namrod ki aag main howi thhi .. sahaba e karam wa olya e karam main hazrat usman aur imam hussain .. ka waqiya naseehat wa ibrat keh anmol motiyo main se hai ,,,
  5. Janab . yeh mere sawaloo ka jawab nahi hai, aap bajaye wazahat karne keh mazed sawal karrhe hain maine hawala dya hai aur aap kahrhay hain isse kya sabit horaha hai . yeh tu sab jante hain kisi mozo par dalel se kya sabit hota hai... ...ap kah rahai hain keh "har tabqa apni taraf se jawab deta hai" tu janab har tabqe main aap b shamil hogai , lakin humare haan aisa nahi hai maine apni replay main pahle hi wazhat kardi yeh woh sawalat hain jo ap ki taraf se munazroo main beshtar hotay rahe hain ... ... aap ki yeh baat samjh nahi ayi ..keh aap pahle mere mazmon ko gaur se 3 say 4 bar parhain phir jo samjh na ayee use isi main dhondain... mujhe apna mazmoon parhwanay se pahle aap apne jumle par gaur karain hosakta hai tarmeem ki hjat hoo keh peche apne hi kaha hai har tabqa khud hi jawab deta hai.. .. aur aap kah rahain taqleed jesi cheez quran wa hadith se sabit nahi hosakti awwalan is jumle par nazare sani karlain taqleed cheez hai ? thoos ya maai"e ?... ja al haq se jo mazmon paish kya gya hai us main mojood hai pahle is ka radd farmain ... ... janab keh rahain main sabit karchuka hoon keh ulma se pochna taqleed nahi' janab yeh sabit karne ki taref koi muatbar kitab se wazahat karain.. jahan koi aitraz na hoo us ko sabit karna kahtee hain ... .. sahabi e rasool hazrat muaaz keh qauol ka matlab aur degar sahaba keh qauol seh apna matlab nikal kar thopna durst nahi hai taqleed par hazrat muaz ki hadith sabit hai aur hazrat umar ki aur b beshtar sahaba ki ahadeth hain is keh ilawa ja al haq keh mazmoon main mojood hain .. jin ki taqled kijati hai ..unhonay kis taqled se mana kya hai is ki wazahat kya aap nahi karsakte ... ... ............................. ...aap ki baat main tazzad paya jaraha hai aik jagah aap kahrahay hain yeh sari behas fazool hai dosri jagah aap kahrahay hain kisi muhaddith keh naam keh hanfi shafai malki se yeh nahi kah sakte woh muqalid hai .. ALLAMA Aini khud hanfi aur radd karainge in keh is qaoul ka matlab ki b sarahat karain... ... abi aap kahrahay hain keh us imam se khud sabitkarain aur yahan aap kahrahain imam shafai nay mana kya hai tu imam shafai ne apni kitab main mana kya hai aur in ki khud ki kitab hai is ka saboot dain yeh b tu kisi say maloomhowa hai aksar muhaditen ki taraf kaafi kutub mansoob kardi jati hain... ...bandoo par taqleed wajib hai is par quran wa hadith se dalel di jachuki hai ja al haq se aap is ka radd karain..agar aap keh paas aisi koi quran wa hadith se dalel hai .. ..aksar sahab taben mujtahid thhe . hazrat ibne abbas hazrat abu mosa ashari hazrat muaz hazrat aisha sideqa aur bohat saray sahaba taben mujtahid thhe...
  6. MASHALLAH, Azawajal, Ap ka jawab parh ker kaafi khushi howi ,aap neh bjaye mere sawalat ko claer karne keh, ulta mujh se hi sawal karlya khair sawal karna sab ka haq hai lakin is ko alag topic mai karain.. ap ka yeh sawal is topic se related Nahi hai aur na hi maine aisi koi baat ki hai jisse hadith ki koi mukhtalif tareef sabit hooti hai ya qauoli aur faili ki tarded hooti hai yeh tu parhne walay ko uljhana hi howa , Takeh parhne wala alfaz keh is khail main ulajh jaye aur samjhe keh main qaoli aur faili hadith ka inkar karrha hoon ..................... ...........bare karam mere sawalat ko claer karain jo maine sabiqa replay main kiye hain..........note : mere sawalat aap keh zimmehain man mani taweelain aur alag ssawalat peda karke ap iss se bari nahi hosakte.
  7. Janab .jesa aap keh Ilm Main Hai Disscusion Forum Main Kisi Topic Ya koi naya topic Post kia Jayee tu Dosri Janib agr mukhalif keh pas agar apne maslak keh Ulmae karam keh dalail mojod hain tu woh jawab dene ka haq rakhta hai khair yeh tu baat aap ko b maloom hai keh jab humare forum main aap ko disscuss ka haq hai tu humain b ... (.............) aur ap ka yeh kahna keh mufti sb ne buniyadi batoon ka jawab nahi dya tu aap is ko clear karain woh kaunse aitraz hain jis ka jawab aj tak nahi dya gya ,jahan tak hum ne aap keh akabireen ki kutub ka mutala kya hai , tu mere mutabiq koi aitraz aisa nahi jis ko humare ulmae kram ne tark kardya hoo balke taqleed par har tarah keh aitrazat ka jawab dya gya hai naizsenkroo mazamen kutub mojod hai , aur baqida munazre b howee hain ALHUMDULLAH Azawajal Fatah e Azeem B Naseeb Howi Hai . yeh baat shayed aap keh ilm main na hoo lakin aap keh akabreen keh ilm main zaroor hai ...(.)aap neh kaha keh yeh fazool kisam ki batain hain tu main ap ko yeh batadeta hoon keh "janab" yeh aitrazat aap keh ulma ki taraf se munazroo main kaafi bar ayee hain "dosra nukta" yeh hai in main kaafi aitraz quran pak ki ayat e mubarka se kye gye hain jo ap keh nazdek haq thhe (lakin un ki tawelain ghalat ki gayi hain) Tu Mera sawal ap se yeh hai keh kya quran se kye gaye aitrazat ko fazool kehna durust hai? bare karam quran wa hadith ki roshni main jawab dain.!...
  8. Janab... Aap ka kahna hai keh ahleshadith aik sifaati naam hai yaani sifat hai aap logo chonkeh har sifat aik mosoof hota hai . Aur hazrat keh topic se yeh baat b wazih howi hai keh harhadith par amal na mumkin hai kya aap hadith e irneyen jo keh bukhari shareef ki hai ! us par amal hai ? nahi tu yeh naam rakhna kesa kya yehmuhadeseen ki taqleed nahi... ...chonkeh aap geer muqaliden ki taraf se numainde ban kar jawab dairhe tu janab jawab dene keh kuch osool b hote hain sirf apnimarzi se aik do qaol byan kar keh apni man maani taweelain karna durust nahi hoga .. balke aap ko is topic main humari taraf se byan ki gayi har dalel ka jawab dena hoga takeh yeh claer hosakee.. na keh apni baat ko dosre par thopa jayee .... ...ap ne kaha kisi muhadis se dalel byan kardee chonkeh is par b replay kardi jayeegi lakin zara yeh batain keh keh 4 aima aap keh nazdeek muhadith nahi ? aur muhadith aap ki nazar main kaun hai ...aur tabqat aur asma e rijaal ki kaunsi kutub aap keh nazdeek muatbar hai .. batayen in sab nukat ko mila kar kya yeh nateeja nahi nikalta keh aap ki batain khud aik shaksi taqeleed ka jawaz sabit karti hain ... bar e karam hosh wa hawas ko madd e nazar rakhte howee apne moqaf ki wazahat karain ....
  9. Janab Aap Ki Baat Tab Durust Sabit Hooti Hai Jab Ijma Wa Qayas ki Quran Wa Hadith Main Mumaniat Aayi Hoo Jab Keh Aisa Nahi ..................... .............aap ki post mukammal parhne keh baad sirf yehi mahsoos hota hai aap apne moqqaf ko apne masalik ki shksyat keh aqwal keh zarye thoop rahee hain jab keh yeh baat us waqt durust hoogi jab janib e mukhalif aap keh maslak ka peero hoo pahle tu janab aap apne maslak ko sahih sabit karne keh liye quran wa hadith se sabit karen phir apne moqqafko paish kenre keh liye apne ulma keh dalail dain ... .........chonkeh aap keh maslak main yeh nazariya kaafi aam hai keh sunni ulma keh haan shksyat parasti hai jab keh aap ka topic parhne keh baad koi dosri jamat ka mubtadi talib-e-ilm bsamjh sakta hai keh is thread main sirf aik hadith byan ki gayi hai ,aur us ka b apni man mani taweel karne keh baad is main Kahin ALLAH Wa Rasool ki baat nhi ... .........yeh mutazad batain hain jin ki taraf tawajjah karna zaroori hai chonkeh munafiq ki alamat main se aik yeh b hai keh us keh qol aur fail main tazzad hota hai ....
  10. MASHALLAH Azawajal Se Bohat Hi Pyari Dalail Se Bharpoor Taqrer Hai, .....Umaid Hai Hazrat Ghzali-e-Zaman Keh Degar Speech B Tehreri Sorat Main Share Karenge.........
  11. Assalamualikum.... Sajjad Bahi Ko Bohat Bohat Mubarak Ho.
  12. MASHALLAH AZAWAJAL MAZKOORA RISALA DALAIL SE MUZAYYEN HAI SHARE KARNE KA BEHAD SHUKARIYA
  13. Bohat Hi Aham Omoor ki Taraf Tawajjah Dilai Hai , ALLAH Azawajal Se Dua Hai Woh Humai Is Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye Aameen
  14. INNALILLAHI Wa Inna Ilihi Rajioon . HAZRAT "Sharf e Millat Ki Wafat Ka sun kar Behad afsoos hai ,waqai such kaha gya aik Alimki Maut Alam ki maut hai aur phir sharfe millat Jese Ulma Jin Ka Firoghe Razwiayat par kaam, Aise Nagene Ahlesunnat keh Bohat Bare Sarmaye Ka Ziya ALLAH Azawajal Hazrat ALLAMA ko Jannat Main Buland Tareen MuqamAta Farmaye Ameen
  15. یادَ جاناں میں معاذ اللہ ہستی کی خبر یادَ جاناں میں کسی سے آگہی اچھی نہیں (مولانا اختر رضا خان)
  16. وہ سوئے لالہ زار پھرتے ہیں تیرے دن اے بہار پھرتے پھرتے ہیں
  17. اٹھادو پردہ دکھا دو چہرہ کے نورَ باری حجاب میں ہے زمانہ تاریک ہورہا ہے کہ مہر کب سے نقاب میں ہے
×
×
  • Create New...