Jump to content

لیڈر بورڈ

مشہور مواد

Showing content with the highest reputation on 17/07/2023 in all areas

  1. Salam alaykum, "2) Hadees e Paak mein bhi aaya hai ke Dua Ibaadat hai" Part 1 - Sab say pehlay, Hadith e Dua Ibadat heh is par thori wazahat. Allah kay Nabi sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam ka farman heh, Dua Ibadat heh: “An-Nu`man bin Bashir narrated that: The Prophet said: “The supplication, is worship.” Then he recited: And Your Lord said: “Call upon me, I will respond to you. Verily, those who scorn My worship, they will surely enter Hell humiliated." [Ref: Tirmadhi, B45, H3372, here.] Pehlay is Hadith nay zahir par thora bayan. Is Hadith ka yeh mana nahin kay har pukar/dua Ibadat heh. Agar Wahhabi kehta heh kay is Hadith ki bunyad par har dua ibadat heh toh phir is ayaat ka kia banay ga: “(Remember) when you (fled and) climbed (the mountain) without looking aside at anyone while the Messenger was calling you from behind. So Allah repaid you with distress upon distress ...” [Ref: 3:153] Yehni Allah kay Nabi (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) tum ko pukar/dua rahay thay. Yahan lafz joh istimal huwa heh dua ka hi makhaz heh. Agay wali ayaat mein heh kay Allah sahaba ko RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko pukarnay/dua ka tareeka bata raha heh: “Do not make (your) calling of the Messenger among yourselves as the call of one of you to another. Already Allah knows those of you who slip away, concealed by others. So let those beware who dissent from the Prophet's order, lest fitnah strike them or a painful punishment.” [Ref: 24:63] RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko pukaro toh aisa waisay na pukaro. Abh agar har jaga dua lafz ahay toh ibadat mana leeya jahay toh phir kia nateeja nikalta heh? Yahi kay RasoolAllah Sahabah ko ibadat mein pukara kartay thay aur Sahabah RasoolAllah ki ibadat mein pukara kartay thay. Asal mein har woh Dua/pukar jis mein zuban say iqrar aur dil say tasdeeq karda Ilah/Khuda ko pukara jahay aur niyat ibadat ho to ibadat heh. Warna har aisi pukar ibadat nahin, i) jis mein khuda ko pukara nah jahay, ii) aur niyat ibadat nah ho. In do upar wali ayaat par in do asooloon ka itlaq kar lenh. Kia Sahabah RasoolAllah ko khuda/ilah man kar aur niyat ibadat say pukara kartay thay? Nahin! Kia RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) Sahabah ko khuda aur ibadat ki niyat say pukar rahay thay? Nahin! Lehaza har pukar/dua Ibadat nahin sirf wohi heh jis mein aqeedah ilahiyyah ka iqrar/tasdeeq aur niyat ibadat ho. Yahi asool har Ibadat par fit atay hen. Namaz peren magr Allah ta'ala ko apna Ilah/khuda nah maneh balkay apni gali kay Gama jaisa aisa waisa samjen aur niyat ibadat bi nah ho sirf bandoon ko raazi karnay wasteh namaz kay tamam amaal keren to kia Allah ki ibadat hogi? Nahin! Keun kay HAR IBADAT wasteh aqeedah ilahiyyah aur niyat ibadat shart heh. Joh Allah ko Ilah maan kar aur niyat ibadat say Allah ko pukarta heh woh dua ibadat heh. Agar Hindu, Christian, Sikh apnay khudahoon ko ilah/khuda maan kar aur niyat ibadat say pukarta heh toh ibadat karta heh apnay khuda ki. Misaal tor par aik mulhid/atheist joh khuda kay wujud ka qail hi nahin agar woh Allah ko pukaray to Allah ki ibadat kar raha heh? Chalen aik aur misaal lenh, aik banda Allah ko toh manta heh magr namaz parta toh heh magr woh Allah ki ibadat ki naiyat nahin karta aur nah ibadat karna chahta heh balkay majboori mein bandoon saath kara heh, saray namaz kay amaal puray karta heh magr khiyaal mein jaan booj kar tv aur filmoon kay scenes kay mazay leh raha heh to kia ibadat/namaz pari us nay? Nahin nah! Keun kay niyat ibadat nahin thee. Aik aur misaal lenh, Sajdah namaz mein Ibadat heh. Kia har sajdah ghair khuda ko ibadat heh? Allah ko ham Sajda kertay hen toh ibadat heh magr farishtay Adam ko sajda keren toh ibadat nahin. Kuen? Allah ko sajda Ilah/khuda maan kar aur ibadat ki niyat say is leyeh ibadat heh. Magr Adam alayhis salam ko Sajda keeya gaya magr baghayr ibadat ki niyat say aur baghayr khuda/ilah manay is leyeh ibadat nahin. Hasil kalam, HAR IBADAT MEIN AQEEDA ILAHIYYAH AUR NIYAT IBADAT LAZAM HEH. Agar donoon mein aik bi nah ho, ibadat nahin hoti. Yahan say wazia huwa kay wasila/istighathah ki pukaar ibadat nahin keun kay pukarnay wala pukaray janay walay ko nah khuda manta heh aur nah niyat ibadat karta heh. Part 2 - Hadith Ka Sahih Mafoom: Aik Hadith mein aya heh: “Abdur-Rahman bin Ya'mar narrated that: Some people among the residents of Najd came to the Messenger of Allah while he was at Arafat. They were questioning him, so he ordered a caller to proclaim: "The Hajj is Arafah. Whoever came to Jam during the night, before the time of Fajr, then he has attended the Hajj. ” [Ref: Tirmadhi, B4, H889, here] Dua Ibadat heh ki misl ilfaaz hen Hajj Arafat heh. Yehni Hajj Arafat ka qayam heh. Abh kaya sirf Hajj Arafat taq hi heh, safa marwa ka tawaf aur kaba ka tawaf hajj ka hissa nahin? Bilkul heh magr yahan par kehna muraad heh kay Hajj ka dill, Hajj ki asal, Hajj ki jarr, Hajj ka damagh, Hajj ka khaas markaz jis kay baghayr Hajj nahin woh Arafat ka qa Hadith: “An-Nu`man bin Bashir narrated that: The Prophet said: “The supplication, is worship.” Then he recited: And Your Lord said: “Call upon me, I will respond to you. Verily, those who scorn My worship, they will surely enter Hell humiliated." [Ref: Tirmadhi, B45, H3372, here.] Is ka mana woh nahin joh aam tor par samja jata heh. Balkay is ka mana heh, kay Ibadat/namaz/waghayra kay amaal mein joh kalamaat paray jatay hen woh ibadat hen. Yehni ibadat ka dill/damagh/asal kalamat e tayyibaat hen jin ko Allah ki hamd aur Allah ko pukara jata heh. Dua Ibadat heh, is Hadith ki aur yahi mafoom ki wazahat aik aur Hadith mein heh: “Anas bin Malik narrated that the Prophet said: ‘The supplication is the essence of worship.’” [Ref: Tirmadhi, B45, H3371, here.] To maloom huwa kay is Hadith ka mana hi wo nahin jo Wahhabi/Deobandi hazraat aam tor par letay hen. Dua ibadat heh, ka asal mana heh, Ibadat ka dil/asal dua heh aur woh bi har woh Dua jis mein manay huway ilah/khuda ko pukara jahay aur niyat ibadat ho tab ja kar ibadat hoti heh warna nahin. Mein misalen pesh kar aya peechay. Part 3 - Surah Naml Ayat 61 ki Tafsir: بلکہ وہ کون ہے جو بے قرار شخص کی دعا قبول فرماتا ہے جب وہ اسے پکارے اور تکلیف دور فرماتا ہے اور تمہیں زمین میں(پہلے لوگوں کا) وارث و جانشین بناتا ہے؟ کیا اللہ کے ساتھ کوئی (اور بھی) معبود ہے؟ تم لوگ بہت ہی کم نصیحت قبول کرتے ہو Surah Naml ki ayat 62/63 ko dekhyeh: ھلا کس نے زمین کو قرار گاہ بنایا اور اس کے بیچ نہریں بنائیں اور اس کے لئے پہاڑ بنائے اور (کس نے) دو دریاؤں کے بیچ اوٹ بنائی (یہ سب کچھ خدا نے بنایا) تو کیا خدا کے ساتھ کوئی اور معبود/خدا بھی ہے؟ (ہرگز نہیں) بلکہ ان میں اکثر دانش نہیں رکھتے ھلا کون بیقرار کی التجا قبول کرتا ہے۔ جب وہ اس سے دعا کرتا ہے اور (کون اس کی) تکلیف کو دور کرتا ہے اور (کون) تم کو زمین میں (اگلوں کا) جانشین بناتا ہے (یہ سب کچھ خدا کرتا ہے) تو کیا خدا کے ساتھ کوئی اور معبود/خدا بھی ہے (ہرگز نہیں مگر) تم بہت کم غور کرتے ہو In donoon ayaatoon say wazia hota heh kay yeh Ayaat Mushrikeen e Makkah kay wasteh nazil huween theen keun kay woh Allah kay saath auron ko khuda mantay thay aur Allah ta'ala nay un kay khilaaf daleel qaim ki kay jab zameen asmanoon waghayra ka bananay wala Allah heh to us kay ilawa kohi aur khuda kesay ho sakta heh. Abh Wahhabi nay aik wo ayaat joh Mushrikoon/kafiroon wasteh nazil huwi us ko Musalmanoon par chispan keeya aur is say yeh bazhir karna chaha kay ham Musalmanoon aur Mushrikeen kay darmiyaan kohi farq nahin. Is par aap ko yeh maloom hona chayeh kay Abdullah Ibn Umar radiallah ta'ala anhu ka farmaan heh kay khawarij sab say badtreen logh hen Allah ki makhlooq mein, keun, woh kafiroon wali ayaat musalmanoon par chispan kartay hen: "And the statement of Allah: 'Allah will not mislead a people after He has guided them, until He makes clear to them what to avoid.' (9:115) And Ibn Umar used to consider them (the Khawarij and the Mulhidun) the worst of Allah's creatures and said: "These people took some verses that had been revealed concerning the disbelievers and interpreted them as describing the believers.” [Ref: Bukhari, Book 88, Book Apostates, Chapter 6:Killing al-Khawarij and Mulhideen, here, scribd here.] Yad rahay kay Khariji tamam kay tamam KAFIR MURTAD hen aur Wahhabi bi asal aur asoolan KHARIJI hen lehaza in mein joh Wahhabiyat kay aqaid o nazriat aur asal o asool ko janta manta ho sab KAFIR hen. Bas ham sirf us ka lehaz keren gay jo la-ilmi u jahalat mein ya Wahhabi gar mein peda huway aur baap dada kay dekhaway par bila tehqeeq tanqeeq Wahhabi tareeka namaz waghayra par amal kartay hen aur taqleedan Wahhabi hen aur nah woh kissi ko ilzam shirk detay hen bas apni keeyeh ja rahay hen. aisay ko hargiz kafir na tehraya jahay aur na mana jahay sirf gumra tasleem keeya jahay. Part 4 - Wahhabi Asool Aur Bey-Daleel Mangarat Heh: "Unka kehna yeh hai ki 1) Gayiibana Madad ke liye kisi ko pukarna use Ma'abood banana hai" Jis Wahhabi nay yeh likha heh, us say kaha jahay, kay aaik Quran ki ayaat, aik Hadith pesh karo jis mein likha ho Ghaybana madad kay leyeh kissi ko pukarna us-say ma'bood/ilah/khuda banana hai. Wahhabiat kay saray aisay asool mangarat hen. door say pukara toh ilah bana deeya, qareeb walay ko pukara toh ilah/mabood nahin banaya, murda ko pukara toh ussay mabood bana deeya, zinda ko pukara toh ussay mabood nahin banaya. Waghayra waghayra ... Qareeb walay ko pukara to maboob keun nahin banta? Allah Qareeb nahin sharag say. Agar door walay ko pukarnay say Mabood lazam ata heh toh phir Qareeb walay ko pukarnay say mabood keun nahin hota. Wesay Shirk ko Allah kay saath barabari heh, Qareeb honay mein, barabari sabat ho toh Shirk nahin. Quran mein toh Allah kay Qareeb honay ka zikr heh Door honay ka nahin. Yeh kia heh kay door/ghaybana say Maboodiat sabat kartay ho Qareebiat say bi to Maboodiat sabat karo. Nahin karo gay. is leyeh keun kay bey-iman ho. Waghayra waghayra ... aik idhar aya thah aisay hi mangarat asooloon kay saath, here. Agar baag kar nah jata toh ham kalmah parwa kar behijtay, pakka sacha musalman bana kar, magr jab lajawab huwa toh bhaag nikla. Is article mein Islami nazria bataya thah kay kaisay Islam mein Ilah mutayyin aur Ilahiyyat ka tayyun keeya jata heh: Is article mein khadam nay tafseelan us kay tamam principles ka radd bi kieeya thah: Lambi maghz mari ko tarq kartay hen, yahan par sirf is par ikhtisaar heh kay WAHHABI ka bayan karda aur us kay ilawa joh bi wahhabiyun kay mabood mutayyin karnay kay asool sab kay sab, kullu, mangarat bila daleel hen. Wahhabiat ko challenge heh kay apnay kissi aik asool ko Quran/Hadith say sabat keren. Ya phir ham joh ihtirazat o baraheen in kay asooloon kay khilaaf lazam kartay hen utha kar dekha denh. Part 5 - Ghaybana Madad Kay Leyeh Pukarna, Dalail: "Unka kehna yeh hai ki 1) Gayiibana Madad ke liye kisi ko pukarna use Ma'abood banana hai" Wahhabi nay lafz Ghaybana ka istimal keeya heh is say muraad do ho sakti hen, aik kissi ghayb cheez ko pukarna yehni fawt ko rooh type ghaybana ko, dosra banda hayat ko magr joh itna door ho kay pukarnay walay ki aur pukaray janay wali ki ankh dekh nah sakti ho aur qaan sun nah saktay hoon yeh bi is ghaybana ka mana ho sakta heh. Part 5A - Yeh Wala Ghaybana Murad Thah: Chalyeh donoon Ghaybana par daleel pesh kar detay hen: “When she reached the Marwa (for the last time) she heard a voice and she asked herself to be quiet and listened attentively. She heard the voice again and said, 'O, (whoever you may be)! You have made me hear your voice; have you got something to help me?" And behold! She saw an angel at the place of Zamzam, digging the earth with his heel (or his wing), till water flowed from that place.” [Ref: Bukhari, B55, H583, here] Nabi Ismail alayhis salam ki walida aur Ibrahim alayhis salam ki zauja nay Ghaybana farishtay ko madad kay leyeh pukara. Abh kia hoga tera Wahhabia? Mushrik theen farishtay ho Mabood bana leeya thah? Ghaybana madad kay leyeh pukara. Aaah Wahhabi laga hukm Shirk/Kufr. Is kay ilawa aur bi hen: “Musa Ibn Ishaq related to us from Manjab Ibn Al-Harith, Hatim Ibn Isma’il related to us from Usamah Ibn Zayd from Aban Ibn Salih from Mujahid from Ibn Abbas that the Messenger of Allah said: ‘Indeed Allah possesses Angels besides the Hafazah (the Angels of Protection) who write (of even) the leaf which falls from a tree so when one of you suffers a limp in a deserted land he should call “Assist (me) O slaves of Allah.”’ [Ref: Musnad al-Bazzar, Volume 11, Musnad Ibn Abbas, H4922, Page181, here, scribd here.] “Narrated Hussain bin Ishaq Tustari, narrated Yahya As-Soofi, narrated Abdur Rahman bin Sahl, narrates from his father, Abdullah bin Isa, from Zaid bin Ali, from Utbah bin Ghazwan, from Prophet (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam). He said: ‘When one of you loses something or desires assistance while in a land where no person of assistance (is available) he should say: “O slaves of Allah! Assist me; help me” For indeed Allah has many slaves who we do not see.” And this [Hadith] has been acted upon.” [Ref: Tabarani, Mu'jam ul-Kabeer, 17/177 - online Hadith 5469] “Abdullah bin Ahmed bin Hanbal (rah) said that he heard his father (Imam Ahmed) who said: I performed Hajj 5 times, thrice on foot and twice on ride or he said thrice on ride and twice on foot, once when I was on foot I lost my way hence I started to exclaim this: O Allah’s servants show me the way I kept on repeating this until I came back on track.” [Ref: Shu’ayb ul Iman, Vol6, P128, H7697] Ghaybana madad ki pukar ki taleem Allah kay Nabi say aur Imam Ahmad Ibn Hanbal ka amal heh is par. Ghaybana madad ki pukaar ki taleem deh kar kia RasoolAllah nay Ma'bood bananay ki taleem deeh, aur Imam Ahmad Ibn Hanbal nay pukar kar MAKHLOOQ KO maboood banaya? Part 5B - Nahin Ji Mera To Dosra Wala, Door Wala Ghaybana Murad Thah: Chalen Wahhabi keh sakta heh, nahin nahin, mera matlab door wala, ma fawq alasbab wali Ghaybana pukar thee chalen is kay khilaaf bi daleel lenh: “Maymuna bint Harith, the blessed wife of Prophet (Peace be upon her) narrates: The Prophet (peace be upon him) was doing Wudhu for Tahajjud Salaah at the home of Hazrat Maimuna (radi Allahu anha). He suddenly called out three times, “Labbaik, Labbaik, Labbaik!” (Here I am) and “Nusirtu, Nusirtu, Nusirtu!” (I helped you). Hadhrat Maimuna (radhi Allaho anha) further asked him why he had called out those words”. He replied: “Raajiz (a sahabi from far) was calling me because Quraish wanted to kill him“ [Ref: Imam Tabarani in Mu’jam as-Sagheer, Volume 2, H968] Raajiz radiallah tala anhu nay door wali Ghaybana madad kay leyeh pukara, aur RasoolAllah ko Mabood banaya, baqawl Wahhabi kay, asool Wahhabiat kay mutabiq Raajiz kay Ma'bood/ilah yehni Nabiullah nay madad kar di. Abh agar Wahhabiat ka asool darust heh to phir RasoolAllah Ma'bood yehni Ilah hen aur agar ghalat heh toh phir ham Kafir ki taraf qaan keun keren. Ham Musalman hen hammen Tawheed bi pata heh aur Kafiroon ko nay Tawheed ka pata heh aur nah Shirk ka aur nah yeh pata kay Ilahiyyat ka tayyun kesay, aur Ilah mutayyin kesay hota heh. Mein arsa daraaz pehlay Wahhabi thah aur us waqt mujjay Tawheed ka josh ziyada ilm kam, aur Shirk ki behosi ziyada thi aur ilm kam. Magr alhamdulillah Allah kay karam mein nay Wahhabiat ko laat mari aur Islam qubul keeya. Agar Wahhabiat sacha mazhab hoti aur in kay mazhab kay dalail in kay dawoon aur asooloon kay mutabiq Quran/Hadith mein hotay mein kabi bi Wahhabiat nah chorta. Mein nay jab Wahhabiat ko chora toh ult pult kar kay chora, sab tehqeeq kar kay. Misaal kay tor par joh is nay asool bayan keeyeh hen, un ka ayaat say talluq, aur joh is nay fehm Hadith leeya heh us ka fehm farman rasoolAllah say kia talluq. Haqiqat ko tortay mortay hen aur logoon ki la ilmi ki bunyad par gumra kar detay hen. Mera yeh likha huwa matan un ko jawab mein post kar denh. Joh jawab denh mujjay ba-khabr kar denh inshallah jawab likh doon ga.
    1 point
×
×
  • Create New...