aap ne mujhe abhi tak jawab nahin dya jo main ne post # 35 mein kya tha:
Ab post # 40 mein jo attachment hai us ka jawab:
point # 4, 5, 6 aur 7 ka saboot den phir baat karen.
saboot den ke kahan RasoolAllah (peace be upon him) ki hadees ko matan bana kar awam ka khayal batlaya gaya?
jab sheikh nanotvi ne khatmiat e zamani ko apna deen aur emaan keh dya hai to bas shaan saabit hogayi hai, aur jesa ke saabit hai ke unhon ne yeh baat tehzeer un naas ki taujeeh mein kahi hai, ab agar aap log bar bar, bar bar ek hi baat aur ek hi ibarat ko duhraate rahenge to yeh mehez zidd aur shaoor na hone ki daleel hai.
main ne aap ko Munazra-e-Ajeebah ke hawale diye hen jo ke sheikh nanotvi ne tehzeer un naas ke aitrazaat pe likhi hai, lekin aap ne palat kar mujhe phir tehzeer un naas ka hawala dya aur apni baat pe are rahe. musannif ki khud ki taujeeh aur wazahat ke baad bhi us ki baat ko na maanna awwal darje ki bad-diyanati hai.