Hum ko bulana Ya Rasulallah Hum ko bulana Ya Habiballah Kabhi to subz gumbad ka ujala hum bhi dekhein ge hamein bulwaein ge aaqa madina hum bhi dekhaein ge Dharak uthe ga ye dil ya dharkna bhool jaae ga dil e bismil ka us dur pur tamasha hum bhi dekhein ge Adab se haath baande un ke roze pur khare hon ge sunehri jaaliyon ka yun nazara hum bhi dekhein ge Dar e dolat se lotaya nahi jaata koi khali wahan khairat ka butna khudara hum bhi dekhein ge Barasti gumbad e khuzra se takrati hui boondein wahan pur shan se baarish barasna hum bhi dekhein ge Guzare raat din apne issi ummeed pur hum ne kisi din to jamal e roo e zeba hum bhi dekhein ge Dum e rukhsat qadam mun bhar ke hain mehsoos karte hain kise hai jaa ke lot aane ka yaara hum bhi dekhein ge Pohonch jaaein ge jis din ae ujagur un ke qadmon mein kise kehtein hain jannat ka nazara hum bhi dekhein ge Hum ko bulana Ya Rasulallah Hum ko bulana Ya Habiballah