Jump to content

Gustakh E Rasool Ki Saza


alSaifiya

تجویز کردہ جواب

(salam):)

 

Aaj kal jaisay hum jantay hain ke sulman Taseer aur Asia bibi jaisay do Issues ki wajah se Mulq mein bohot hungamay ho rahay hain . Jis ki Wajah se Mulq 2 kisam ke logon mein Taqseem hota dikhayi de raha hai is Muamlay mein :

 

1 Woh Log jin ka Taluq Media ya Siyasi Parties se hai aur yeh log kehtay hain ke Qatal karna Islam mein Jaiz nahin hai aur is group mein Ghamdi jaisay Shakhs bhi hain jo claim kartay hain ke kis jagah likha hai Qur'an mein ke Gustakh e Rasool (saw) ki saza Mot hai na hi aisi koi Hadis hai na hi Fiqha Hanafi mein iski Ijazat hai ( Baqol un ke ) .

 

2 Is group mein na sirf Ahle Sunnat Wal Jammat ke Barday barday Ulema balke aam Awam bhi shamil hain . aur aisay log bhi hain jinko Deen se Lagao aur thordi bohot Information bhi hai . aur Lagh bagh tamam Maktaba Fiqar ki Mazhabi Parties bhi is group mein hain .

Ab main chahta hoon ke mujh se Youtube pe kayi logon ne sawal kiye Dalail dikhao Qur'an o Hadis se kahan likha hai ke Gustakh e Rasool (saw) ki saza Mot hai jabkeh Islam toh Aman ka Pegham deta hai aur humaray Aaqa (saw) Rehmatalil Alamin ban kar Aye thay aur unhon ne toh Fateh Makka ke Moqe pe Sab ko Muaff kar diya tha Waghairah jaisi batain kartay hain .

 

Main yeh request karna chahta hoon ke tamam Ahle Ilm Hazrat Dalail aur Qur'an O Sunnat ki Roshani mein Ek Article likhain ya Ilami Roshani Dalain is Muamlay pe . Takeh woh log jo Islam ke bar mein kam Ilami ki wajah se aisi batain kartay hain unko samjhaya ja sakay .

 

Is Thread mein agar Mumkin ho toh Dalail waghairah pesh kar dein take jaisay doosray Articles aur Ilmi Mubahison ki madad se hum log khud bhi Ilm hasil kartay hain aur doosron ko bhi pohnchatay hain is muamlay mein bhi jo log behas kartay hain unko Agah kiya ja sakay .

Edited by alSaifiya
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...